Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Namaz E Nabwi


بسم الله الرحمن الرحيم

Kalma E Shahadat Allah ki Tauheed Aur Rasoolullah Ki Risalat Ki tasdeeq kay baad Islam ka Dusra Rukn hai Namaz. Ye ek aisi ibadat hai jo kisi haal me maaf nahi hai isko ada karne waalo kay liye faiz wa barkaat hai in’aamat hai aur jo naa padhe unke liye sakhti waeed hai. Daur E Haazir Me Bada fitna Musalmano Kay darmiyan hai wo fitna naam nihad ahle hadees Wahabi Firqa hai bhole bhale Musalman ko Namaz kay naam pe gumraah karte hai aur awaam se kahte hai Aap log KUFI Namaz Hanfi Namaz padhte ho Hum log Nabwi namaz padhte hai aapki Namaz Sahih Hadees Se Saabit Nahi Hai.
Ek aam Musalman soch me pad jaata hai itne saalo se namaz padhta aaraha hoon ye kya kah raha hai humari namaz Nabi Kay tarike pe nahi hanfi tarike pe hai Kufi tarike pe hai ? Aur phir Apni Dalil me awaam kay dil me apne baatil firqe Rob daalne kay khatir naam lete hai Sahih Bukhari Muslim deegar hadeeso ka. Ab jab Saamne Dalil Bukhari Muslim ki awaam dekhti hai to inke fareb me aajati hai. In Sha Allah Taala yahan hum ek ek masle me Namaz padhne kay talluk se bayan karenge jo Namaz Kay Shuru Se namaz me Salam ferne tak kay ektelafi masail hai.
Ek Aam Bhola bhala Musalman bas Inke issi fareb me aake apne Imaan ko gawa deta hai aur ye sochne lagta hai meri namaz ka tarika galat hai Mai Hanfi Namaz padh raha hoon Ye Nabwi Namaz padh rahe hai aur hadees jo upar bayan huwi usme hai Namaz us tarah padho jaise mujhe dekhte ho.
Hanfi Namaz Kaa Maana Hargiz hargiz ye nahi hai kay ye Namaz ka koi aisa tarika hai jo Imam E Azam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih ne apni taraf se izaad kar liya hai balki Imam E Aazam ne jo Namaz kay tarike bayan kiye hai wo Sahih hadees se saabit hai Aur Nabi E Akram ﷺ ne ussi tarah Namaz ada ki hai.Jo In Sha Allah Taala Hum Post dar post ek ek masail me saabit karenge.


Wahabi Ka Dhoka Jisko Samajhna Jaruri Hai Taake Inke Makr Wa Fareb Samajh Sake

Tum Hanfi Namaz padhte ho Hum Nabwi Namaz Padhte hai Jo Sahih Hadees Se Saabit hai ab is baat ko saabit karne kay liye wo ek hadees pesh karenge.
Hadees :
وَصَلُّوا كَمَا رَأَيْتُمُونِي أُصَلِّي
“Tum Is Tarah Namaz padho Jis Tarah Mujhe Namaz Ada Karte Huwe Dekhte Ho”
(Sahih Bukhari, Kitab Al Azaan, Baab (18) : باب الأَذَانِ لِلْمُسَافِرِ Hadees : 631)
Iske baad apne baatil mazhab ka Raub awaam me daalne kay liye kuch hadees pesh kar denge Rafayden karne ki Aamin Kahne Ki Sine Pe haath bandhne ki  wagairah.

Baab 01 : Farz Namaz Me Iqamat Kay Waqt Kab Khade Hona Chahiye ? CLICK HERE TO READ

Baab 02 : Namaz Qibla Rukh Hoke Padhna Click Here To Read Baab 03 : Taqbeer E Tahrima Kay Waqt Haatho Ko Kaano Tak Uthana Click Here To Read PANT FOLD KARKE NAMAZ PADHNA KAISA ? AASTIN KO UTHA KAR NAMAZ PADHNA KAISA CLICK HERE TO READ Aurato Ka Masjid Me Namaz Kay Liye Jana Kaisa ? Click Here To Read

Fiqh Wahabiyo ka Tashahuud masale per apas may ikhtilaf Part - 1 Click Here To read 
Tashahud Masala Click Here To read

SALAT AL TASBEEH KI NAMAZ (CLICK HERE TO READ) Salat Al Tasbeeh Padhne Ka Tarika Click Here To Read
--------------------------------------------------------------- Masla E Taraweeh - Post 01 : 20 Rakat Tarawih Ka Saboot CLICK HERE TO READ Post 02 : Muwatta Imam Malik Ki 11 Rakat Ka Jawab CLICK HERE TO READ

Post 03 : SAHIH BUKHARI KI HAZRAT AYESHA SIDDIQA RADIALLAH ANHA WAALI RIVAYAT KA JAWAB CLICK HERE TO READ

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Admin Shaikh Sher Ali Hanfi



10 comments:

  1. Namaj me rafayden ka bhi batana. Aakhiri wakt me Na padhane ki hadis dena

    ReplyDelete
  2. SHO ka Ahle Sunnat par bohot bada Ehsan hai
    Allah SHO ki Puri team, Organisation ki iska behtareen Ajar Ata Farmae
    Aameen

    ReplyDelete
  3. Do sajodo ki darmiyaan dua pad sakte hai kya

    ReplyDelete
  4. Great job, we hope that God will reward you with good

    ReplyDelete
  5. AoA sir tou sahih Ahdith sy sabit kr dyn na ta k asani ho hum sub ko hath kahn bandhyny hai or rafayadm ni krna etc

    ReplyDelete
  6. khali aysi batain ni kryen saboot dyen references sahi hadees k ta k humri reh numai ho skty ap k jwb ka intzr krun ga InshaAllah

    ReplyDelete
  7. Jo jo gair muqallid apne aap ko naam nihad ahlehadees kehta wo namaz ke furo masail mai bohot uchal uchal ke aate hai , agar wo apni maa ke asli aulad hai toh Farooq razvi sahab ne jaha jaha jin jin baaton pe ahlekhabees ki bolti band ki hai wo log pehle uska jawab dede, aur haa jinhe zyada hee shoq hai tehkeek karne ka wo namaz e habib e kibriya ek kitab hai marfat.com se miljaygi usko padhle
    ye ahlekhabees ki bolti band ho jaygi.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers