Naaf kay Niche Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (01)
Naaf Kay
Niche Haath Bandhne Wali Hadees Ka Jayeza
Haq Walo Ko
1 Daleel Kafi Hai Ha Qabul Karne Kay Liye , Ilsiye Hum Abhi Sirf 1 Hadees Pesh
Karke Usper Tehqeeq Pesh Karege Aur Aitrazat Kay Jawab Bhi Dege In Sha Allah
Hadees:
Imam Ibn
Abi Shyba Nay Waqih Ibn Jarah Say Unhone Musa Bin Amir Tamimi Say Unhone Hazrat
Alkama Bin Wayl Say Unhone Apne Walid Say Riwayat Kiya Ki Hazrat Wayl Bin Hajar
Farmate Hai Ki Mene Rasul Allah ﷺ Ko Dekha Aap Namaz May Apne Daye Haath Ko
Baye Haath Per Naaf Kay Niche Rakhe Hue The.
Musannaf
Ibn Abi Shayba Jild 3 Hadees 3959
Is Riwayat Kay Teeno Rawi Indal Muhaddiseen Siqah Aur Adil Hai In Per Kisi Gair Muqallid Ko Aitraz Nahi.
Waqih Ibn Jarah
Sahih
Bukhari Wa Muslim Kay Rawi Hai Aur Jaleel Ul Qadr Imam Hai
Rijal
Bukhari Lil Bazi Jild 2 Safa 767 Raqam 1288
Rijal
Muslim Ibn Manjuya Jild 2 Safa 309 Raqam 1767
Imam Ibn
Hibban Nay Inko Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 7 Safa 562)
Imam Ijli
Nay Inko Apni Siqat May Darj Kiya Hai (Siqat Safa 56)
Imam Yahya
Bin Mueen Nay Farmaya Mene Waqi Say Afzal Kisi Ko Nahi Dekha Wo Qibla Rukh
Hokar Hadeesein Yaad Karte , Din Roza Rakhte Aur Raat Ko Ibadat May Guzarte
The, Aur Imam Abu Hanifa Kay Qaul Per Fatawa Dete The.
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Waqih Say Zyada Waseeh Ilm Wala Aur Unse Bada
Hafiz E Hadees Nahi Dekha
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Hazrat E Waqih Apne Waqt Kay Imam Ul Muslimeen
The (Tehzeeb Ul Kamal Jild 30 Safa 471 – 475)
Musa Bin Amir Tamimi
Imam Yahya
Bin Mueen, Abu Hatim, Muhammad Bin Abdullah Bin Namir, Khatib Baghdadi Aur Imam
Ijli Nay Farmaya Musa Bin Amir Tamimi Siqah Rawi Hai.
Imam Abu
Jara Nay Farmaya Inme Koi Kharabi Nahi
Tehzeeb Ul
Kamal Jild 29 Safa 127, Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 19 Safa 234
Alkama Bin Wayl
Yeh Sihah
Sitta Kay Rawi Hai Insay
Imam
Bukhari Juzz Rafayadein Hadees 32
Imam Muslim
Nay Inse Kamo Besh 10 Hadeesein Li Hai Jinme Se Chand Yeh Hai
Sahih
Muslim Jild 1 Hadees 358, 359, 891 Wagaira
Imam
Tirmidhi Nay Insay Kamo Besh 7 Hadeesein Li Hai Jinme Say Kuch Yeh Hai
Sunan
Tirmidhi Jild 1 Hadees 235,1350, 1400, 1482 Wagaira
Imam Nasai
Nay Bhi Insay 10 Hadeesein Li Hai Jinme Say Chand Yeh Hai
Sunan Nasai
Jild 1hadees 890, 1058 Wagaira
Imam Abu
Dawud Nay Insay 10 Hadeesein Riwayat Ki Hai
Sunan Abi
Dawud Jild 1 Hadees 725, 985 Wagaira
Aur Ibn
Majah Jild 3 Hadees 381
Imam Zehbi
Nay Inhe Saccha Likha Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 5 Safa 134)
Ibn Sa’ad
Nay Inhe Siqah Kaha
Ibn Hajar
Nay Ibn Hibban Kay Hawale Say Inhe Siqat May Zikr Kiya Ha (Tehzeeb Ut Tehzeeb
Jild 7 Safa 246)
Samaa E Alkama
Gair
Muqallid Hazraat Aitraz Karte Hai Ki Hazrat Alkama Ka Sama Apne Walid Hazrat
Wayl Radialla Taala Anhu Sabit Nahi Hai Aur Ibn Hajar Ka Qaul Pesh Karte Hai Ki
Ane Walid Say Sima Sabit Nahi Hai Lekin Jo Dalail Aagay Ayegi Unsay Yeh Sabit
Hota Hai Ki In Allama Ibn Hajar Ka Qaul Sahih Nahi Kyuki Sihah Sitta Kay Imamo
Nay Insay Riwayat Li Hai, Aur Khas Kar Imam Muslim Nai Apni Sahih May Sama E
Alkama Ki Tashreeh Ki Hai Aur Unka Is Sanad Ko Zikr Karna Is Baat Ki Daleel Hai
Ki Hazrat Alkama Ka Apne Walid Say Sama Sabit Hai Aur Jab Sahih Muslim May Yeh
Hadees Is Sanad Kay Hote Hue Sahih Hai Toh Phir Musannaf Ibn Abi Shayba May Is
Sanad Per Aitraz Kyu Kiya Jaye.
Sahih
Muslim Jild 1 Hadees 891 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz
Hai
Sunan Nasai
Jild 1 Hadees 890 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz Hai
Sunan Abi
Dawud Jild 1 Hadees 725 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz
Hai
Sahih
Khuzayma Jild 2 Hadees 905 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar”Kay Alfaz
Hai
Musnad E
Ahmed Jild 8 Hadees 19059, 19068, 19071 “Samaytu Alkama Yuhdeesu An Wayl” Kay
Alfaz Hai
Imam
Tirmidhi Farmate Hai Hazrat Alkama Ko Apne Walid Say Sama Hasil Hai (Sunan
Tirmidhi Kitab Us Hudud Hadees 1482)
Lihaza Yeh
Aitraz Bhi Be Buniyad Hai
Is Hadees Me “Tehtussara” Ki Zyadti
Yeh Hadees
Sahih Ul Isnad Hai Isliye Gair Muqallid Iski Sanad Kay Baare Kuch Nahi Keh
Sakte Isliye Unhone Is Hadees Ko Gair Moatbar Kehne Kay Liye Dusra Hathiyar
Istemal Kiya Hai Aur Wo Yeh Hai Ki Musannaf Kay Asalm Nuskhe May “Tehtussara”
Lafz Yaani Naaf Kay Niche Kay Lafz Nahi Hai Aur Yeh Lafz Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh Nay Apni Taraf Say Badhaye Hai Lekin In Sha Allah Hum
Aage Sabit Karege Ki Gair Muqallid Hazraat Ka Yeh Ilzam Batil Aur Be Buniyad
Hai.
Baaz
Hazraat Ko Musannaf Ibn Shayba Kay Kuch Nuskho May Lafz “Tehtussara” Ki Zyadti
Nahi Mili Jissey Unko Galat Fehmi Lagi Ki Yeh Lafz Badhaya Gaya Hai Aur Hayat
Sindhi Nay Yeh Kaha Ki Yeh Lafz Musannaf May Nahi Hai Iske Radd May Shaikh Abul
Hasan Kayam Sindhi Rehmatullah Alayh Nay Apne Risale Fauzul Karam May Kaha Kay
Mene Khud Al Musannaf May Is Zyadti Ko Dekha Hai Jo Aksar Nuskho May Ibarat E
Sahiha Kay Saath Maujud Tha Aur Kaha Ki Yeh Zyadti Aksar Nuskho May Sahi Hai
(Talikul Hasan Jild 1 Safa 70)
Fauzul Karam Scan Page:
Aur Yeh Bhi
Farmaya Ki Yeh Nuskha Shaikh Abdul Qadir Ki Library May Maujud Hai Aur Shaikh
Mohammad Hashim Sindhi Nay Kaha “Mene Yeh Zyadti Al Musannaf” Kay 3 Nushko May
Pai Hai
1.Wo Nuskha
Jisko Shaikh Kasim Muhaddis Dayar Misriya Rehmatullah Alayh Nay Naqal Kiya
2.Wo Nuskha
Jiski Shaikh Mohammad Akram Naspuri Rehmatullah Alayh Nay Naqal Kiya
3.Wo Nuskha
Jisko Shaikh Abdul Qadir Rehmatullah Alayh Mufti Makkah Ul Muazzama Nay Naqal
Kiya Hai
Tarsee Ud
Durrah Ala Dirham Us Surrah Safa 84
Aur Gair
Muqallid Kay 1 Jayyad Alim Allamaa Wahid Uz Zama Nay Bhi Moata Imam Malik Kay
Tarjuma May Farmaya Ki “Aur Ibn Abi Shayba Nay Wayl Bin Hajar Radialla Taala
Anhi Say Marfuan””Tehtussara” Naqal Kiya Hai (Moata Imam Malik Safa 138)
Dusre Gair
Muqallid Alim Abdul Rauf Bin Abdul Hannan Sindhi Nay Bhi Iqrar Ki “Musannad Ibn
Abi Shayba Kay Kisi Nuskhe May Hadees Wayl Ibn Hajar Kay Ek Tarik May
“Tehtussara” Kay Alfaz Hai Aur Iski Sanad Sahih Hai Aur Ahnaf May Say Baaz Nay
Naaf Kay Niche Haath Bandhne May Issey Hi Daleel Li Hai (Salat Ur Rasool Mai
Takhreej Wa Talik Safa 230)
Lihaza Gair
Muqallid Hazraat Humari Na Sahih Apni Alim Ki Hi Maan Lijiye.
Aur Janab
Ki Mazeed Tasalli Kay Liye Yeh Batana Munasib Hoga Ki Yeh Zyadti Faqat Yaha Kay
Nuskho May Hi Nahi Balki Madina Munawwara Kay Nuskho May Bhi Mazkoor Hai.
Maktabatul
Rashd Al Riyadh Say Chapne Wale Musannaf Ibn Abi Shayba Kay Nuskhe May 2
Muhakkik Nay Tehqeeq Ki Hai Jinme 1 Hamd Bin Abdullah Hai Aur Dusre Muhammad Bin
Ibrahim Hai Inhone Is Riwayat Kay Niche Nishandehi Ki Hai Ki Yeh Alfaz
(Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 2 Safa 336 Hadees 3955) Maktaba Mehmoodiya Bil
Madina Tul Nabawiya) Kay Makhtuta May Bhi Maujud Hai.
Jan In
Nuskho May Sahih Hawalo Say Pata Chala Ki Yeh Lafz Musannaf May Maujud Hai Toh
Ab Yeh Kehna Ki Fala Ko Yeh Zyadti Nahi Mili Kitni Haqeeqat Rakhta Hai ? Kya
Nuskho Ki Tadad Ki Wajah Say Aisa Hona Badi Baat Hai ? Hosakta Hai Kisi Nay
Dekha Aur Kisi Nay Nahi Dekha Aur Jisne Na Paya Wo Toh Yehi Kahega Kay Mene
Nahi Paya Lekin Jisne Yeh Lafz Musannaf May Dekha Hai Aur Kehraha Hai Ki Mene
Apni Ankho Say Dekha Aur Dekhna Na Dekhne Per Mukaddam Hota Hai Jaise Ki Imam
Bukhari Nay Kaha Dekhiye (Juzz Rafayadein Hadees 11) Phir Gair Muqallid Hazraat
Ko Inki Baat Manne May Kya Harj Hai ?
Isi Baat Ko
Musannaf Per Tehqeeq Karne Wale Shaikh Mohammad Awama Nay Likha Ki “Jisne In 4
Nuskho May Lafz Na Paya Wo Is Baat Ko Manne May Majoor Hai Lekin Iski Warid
Karne Ki Nafi May Wo Majoor Nahi Hai Aur Jo Unko 2 Nuskho Say Naqal Kare Jinmay
Say Lafz Ka Hona Sabit Hai Wo Isko Sabit Manne Say Majoor Hai Balkay Isper Yeh
Baat Wajib Hai Aur Unke Liye Yeh Jayaz Nahi Ki Is Lafz Ko Hazaf Karde (Talikate
Musannaf Ibn Abi Shayba Lil Shaikh Mohammad Awama Jild 3 Safa 321)
Ek Aitraz
Aman Puri Nay Kiya Hai Ki Is Lafz Ki Zyadti Ko Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi
Rehmatullah Alayh (802 Hijri – Mutawakiff 879 Hijri) Nay Apni Taraf Say Badhaya
Hai Aur 8th Sadi Say Pehle Is Riwayat May “Tehtussara’’ Lafz Maujud
Nahi Tha
Tehsilul
Usool Ala Takhreej Salat Ur Rasool Safa 150
Iska Jawab
Yeh Arz Hai Ki Aman Puri Sahab Kay Eh Ilzam Bhi Galat Hai Kyuki Khud Aman Puri
Sahab Nay Sarahat Ki Hai Ki Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh
Paidaish 802 Hijri Me Hui Hai Jabki Murtuza Zubaidi Rehmatullah Alayh Wala
Nuskha Yusuf Bin Abdul Latif Hanbali Nay 744hijri May Mukammal Kiya Aur Yahi
Baat Muhaqeeq Shaikh Mohammad Awama Nay Kaha Hai
Talikate
Musannaf Ibn Abi Shayba Lil Shaikh Mohammad Awama Jild 2 Safa 321
Al Ham Du
Lil Lah Is Tehqeeq Say Yeh Baat Saabit Hogai Ki Gair Muqallid Hazraat Ka Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh Per “Tehtussara” Ki Tehrif Ka Ilzam
Lagana Be Buniyad Aur Maslaki Taasub Ki Bina Per Hai Aur Yeh Hadees Inhi Alfazo
Kay Saath Marfuan Marwi Hai, Hume Lagta Hai Ki Shayad Hi Aisa Ki Gair Muqallid
Ho Jo Is Tehqeeq Ko Qabul Kare Kyuki Inke Nazdeek Inka Mazhab Hadees E Rasool
Per Muqaddam Hai , Allah Samajhne Ki Taufeek Ata Farmaye.
In Dalail
Kay Baad Yeh Aitraz Be Buniyad Hai.
End
No comments:
Post a Comment