Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 20 September 2019

,

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم


Yun to Islam me kayi shahadat huwi hai par unme Imam Hussain ibn Ali Radiallahu anhu ki shahadat ka zikr sab se zyada kiya jaata hai uski kayi wajah hai Nabi E Akram Ne Imam Hussai Radiallahu Anhu kay bachpan me hi ye bata diya tha kay mera nawasa Hussain Ibn Ali Radiallahu anhu Karbala me shaheed kiya jayega sahaba ki badi jamaat bhi ye jaanti thi, hatta kay khud Imam Ko iska ilm bakhubi tha, Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu ki shahadat ek aisi munfarid shahadat hai jisne aalam e duniya ko wo fiqr di hai kay log soche aur samjhe haq aur baatil ka paimana pata kar sake, bina jung kiye bhi sabr ka daman tham aap jung jeet sakte hai Musalman to chode gair muslim bhi aaj Imam Kay qaseede padhne pe majbur hai Aalam E Duniya me jisko aaj Peace ka masiha maana jaata hai wo Gandhiji bhi agar kisi shaksiyat se muttasir hoke jung e azadi kay maidan me utarkar azadi haasil ki hai to wo Imam E Aali Makam ki shaksiyat hai, jab duniya skin colors me jung kar rahi thi Africa kay Nelson Mandela jinko aaj puri dunya Black people ka ek masiha maanti hai wo bhi jab jail me they unko bhi agar hausla mila to wo Imam Ki shaksiyat se mila hai.
Isliye ek shayar ne khoob likha hai 
DUNIYA KO BEDAR HO LENE DO JARA 
HAR KAUM PUKAREGI HAMARE HAI HUSSAIN.
Lekin ab aise log aaye jinhe hum wahabi ahle hadees deobandi naam se jante hai in logo ne Imam Ki shahadat ko kam karne ki garz se mission e Yazeed ko chala diya aur logo ko kahte phirte hai ye kya matlab hai jo 10-10 din Ulema Stage lagakar Zikr E Ahle Bayt Imam Hussain ki majlis sazate hai.
Yazeed ko bhi bura naa kaho usne kuch nahi kiya Balki baaj yahan tak behude hote hai kay kahte hai yaar ye Hussain ibn Ali ne to bhagawat ki thi hukumat kay baagi they Astagfirullah.
Isi shubahat kay jawab me hum yahan kuch hadees e paak naql kar rahe hai Khud Nabi E Akram ne jagah ba jagah Sahaba Se Shahadat E Imam Ka tazkira kiya hai aapki shahadat mashoor thi jo sahih hadees se saabit hai.

Mere Aaqa ﷺ Ne Imam Hussain Radiallahu Taala Anhu Ki Shaheed Hone Ki Khabar Pehle Hi Di Hain
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki Rivayat
Hadees 01:
حدثنا محمد بن عبيد حدثنا شرحبيل بن مدرك عن عبد الله بن نجي عن أبيه أنه سار مع علي، وكان صاحب مطهرته، فلما حاذى نينوى وهو منطلق إلى صفين فنادى علي: اصبر أبا عبد الله، اصبر أبا عبد الله بشط الفرات، قلت وماذا؟ قال: دخلت على النبي ذات يوم وعيناه تفيضان، قلت: يا نبي الله أغضبك أحد؟ ما شأن عينيك تفيضان؟ قال: بل قام من عندي جبريل قبل فحدثني أن الحسين يقتل بشط الفرات، قال: فقال هل لك إلى أن أشمك من تربته؟ قال قلت نعم. فمد يده فقبض قبضة من تراب فأعطانيها فلم أملك عيني أن فاضت 
“Hazrat Abu Abdullah Tabayi Kay Bete Abdullah ibn Nuzayi apne walid se bayan karte hai Jo Syedna Maula Ali Radiallahu Anhu kay liye (safar me) saman e taharat ka bandobast karte they wo Syedna Ali ibn Abi Talib Radiallahu Anhu kay saath safar me they, Jab aap Siffin me jaate huwe Makan e Nainwa kay barabar pahuche to Aapne Buland Awaaz se kaha Aye Abu Abdullah Furaat Kay kinare Sabr Karna Aye Abu Abdullah Furaat Kay Kinaare Sabr karna. Maine Arz Ki Kya Baat ho gayi Aye Ameerul Momineen ! Hazrat Ali Radiallahu anhu ne farmaya ek din mai Rasoolullah Kay pass haazir huwa to kya dekhta hoon ki Aap kay aankh mubarak se aansu rawan hai Maine bechain hokar Arz Kiya Kya Aap ko kisi ne naraaz kiya hai ? Aapki Mubarak Aankh Se Aansu kyun bah rahe hai ? Rasoolullah ne irshad Farmaya Nahi Balki Abhi Hazrat Jibril Alaihsalam Mere pass se gaye hain, Aur unhone mujhe khabar di hai kay Hussain ko Furaat kay kinaare qatl kar diya jayega. Phir Jibril Alaihsalam ne pucha kay aapko Hussain kay maqtal ki mitthi lakar dikhaun maine arz kiya haan lakar dikhau Jibril ne phir mutthi bhar mitthi lakar di aur ispar mai apne aansu na rok saka” (Imam Ahmad Musnad Ahmad Ibn Hanbal, Kitab Ali ibn Abu Talib Vol : 01, Pg : 255, #658) Note : Kuch version me ye hadees 648 hai. (Imam ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 08, Pg :  478, #37367) (Imam Mizzi Tahzib Al Kamal, Vol : 06, Pg : 407) (Imam Ibn Hajar Asqalani Tahzeeb Al Tahzeeb Vol : 02, Pg : 300) (Imam Munawi Al Fathul Qadir, vol : 01, pg : 204-205) (Imam Ziaudin Maqdisi Al Mukhtara, Vol : 02, Pg:375, #758) Scan Page Musnad Ahmad

Hadees 02: Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki Rivayat Yahan Par Shuhada Kay Ghode Kheme Bandhe Jayenge Imam Abu Nu’aym Ne Asbag bin Naba’ta Se Rivayat Kiya ki Hum Hazrat Maula Ali kay humraah Hazrat Imam Hussain Ki qabr kay makan par pahuche Hazrat Maula Ali ne bayan farmaya Yahan Un Shohda kay Oont Bandhenge Yaha Unke Kazawe Rakhe Jaynge Yahan Unke Khoon Bahenge Jawanane Aale Muhammad Is maidan me shaheed honge Aasman wa jameen un par royenge (Imam Jalaludin Suyuti Khasaisul Kubra Vol : 02 Pg : 214) (Imam Abu Nu'aym Dalail Un Nubuwwah Vol : 02, Pg : 147) Scan Page


  Hadees 03 : Hazrat Anas Ibn Malik raḍyAllāhu 'anhu (may Allāh be pleased with him) Aur Umm Salama Ki Rivayat  حدثنا مؤمل حدثنا عمارة بن زادان حدثنا ثابت عن أنس بن مالك أن ملك القطر استأذن ربه أن يأتي النبي فأذن له، فقال لأم سلمة املكي علينا الباب لا يدخل علينا أحد، قال وجاء الحسين ليدخل فمنعته، فوثب فدخل فجعل يقعد على ظهر النبي صلى الله عليه وسلم وعلى منكبه وعلى عاتقه، قال: فقال الملك للنبي أتحبه؟. قال نعم. قال: أما إن أمتك ستقتله، وإن شئت أريتك المكان الذي يقتل فيه. فضرب بيده فجاء بطينة حمراء، فأخذتها أم سلمة فصرتها في خمارها. قال قال ثابت: بلغنا أنها كربلاء Muammal, → Umaarah bin Zaadaan, →  Thaabit → Anas bin Malik Hazrate Anas رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Farmate Hai Ki Baarish Ka Farishta Huzoor ﷺ Ki Baargaah Mein Haazir Huwa To Us Waqt Imaame Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Aaye Or Aaqa ﷺ Ki Gaud Mein Beth Gaye To Aaqa ﷺ Un Ko Chumne Or Pyaar Karne Lage Us Farishte Ne Pucha Ya Rasulallah ﷺ Aap In Se Pyaar Karte Hain Farmaya Haan To Kehne Laga Ki Aapki Ummat Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Ko Qatal Kar Degi Agar Aap Chaahein To Mein Inki Qatal Gaah Ki Mitti Dikha Dun Fir Us Fariste Ne Surkh ( Laal ) Mitti Laa Kar Di.Us Mitti Ko Umme Salma Ne Apne Kapde Mein Le Liya. Hazrat Thabit Bunani Farmate Hai Hamare pass jo baat pahuchi wo ye kay Karbala hai. (Imam Abu Ya'la Al Musnad Vol. 6, Pg. # 129,  # 3402) #647)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Hadees Umm Salamah, Vol : 10, Pg : 180, Hadees : 26586) (Imam Al Bazzar Al Musnad, #2642) (Imam Al Haythami Majma Al-Zawa'id. Vol. 9, Pg. # 217, # 15111) (Shaykh Nasiruddin Albani Silsilat Al-Ahadith Al-Saheeh. Vol. 2, Pg. # 465-466) Albani Ne Kaha ye hadees Bukhari Wa Muslim Ki Shart par sahih hai. (Imam Ahmad ibn Hanbal Fada'il Al-Sahaba. Vol. 2, Pg. # 965 - 966. Hadees : 1357) (Imam Tabarani Al Mu'jam Al Kabeer, Vol :03, Pg : 107, #6814 or 2814) (Imam Ibn HIbban Sahih Vol : 15, pg :142, #6742)Hadith Hasan, (Imam Abu Nuaym Dalailun Nubuwwah Vol:01, Pg 553, #492) (Imam Bayhaqi Dalail Un Nubuwwah, Vol : 06, Pg : 469)(Imam Zahabi Siyar Vol : 03, Pg : 288, 289) (Imam Al Mizzi Tahzeeb Al Kamal, Vol : 06, Pg : 408) (Imam Hussamuddin Hindi Kanzul Ummal, #37672) (Imam Suyuti Khasais Ul Kubra Vol : 02, Pg : 450) Scan Page
Umme Salama Radiallahu anha Ki Rivayat Jab Mitthi Ka Khoon Hojaye to Samajh Lena Imam Hussain Ibn Ali Karbala Me Shaheed Hogaye
Hadees 04:
Hazrat Umme Salama Radiallahu Anha Farmati Hai Ki Hasan Aur Hussain RadiallahuAnhuma Azmayeen Dono Mere Ghar Me Rasoolullah ﷺ Kay Saamne Khel rahe they ki Jibril Alaihisalam Khidmat E Aqsad Me haazir huwe Aur Kaha Ki Aye Muhammad ﷺ Beshaq Aapki Ummat Me Se Ek Jamaat Aapke Is bete ko Aapke baad qatl kar degi,
Jibril Alaihsalam ne Aap Ko Wahan ki mitthi di jisko Huzoor E Pak ﷺ ne Apne Seenah Mubarak Se laga liya Aur Roye.
Phir Farmaya Aye Umme Salamah Jab Ye Mitthi Khoon me badal jaaye to jaan lena ki Mera Beta Hussain Qatl Hogaya hai, Umme Salama ne Us Mitthi ko Botal me rakh liya tha aur who har roz us ko dekhte aur farmati Aye Mitthi Jis Din Tu Khoon ho Jayegi who din Azim hoga.
(Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer, Vol :03, Pg :117, #2817)
(Imam Mizzi, Tahzeeb Al Kamal, Vol : 06, Pg :409)
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Tahzeeb Al Tahzeeb Vol : 02, Pg :300-301)
(Imam Haythami Majma Uz Zawaid, Vol : 09,Pg :184)
(Imam Suyuti Shafai Al Khasaisul Kubra, Vol:02, Pg :125)
(Shah Waliullah Muhadis Dahelvi, Sirr-ush Shahadatain, Pg :28) Scan Page Tabrani Mujam Al Kabeer





Hadees 05 :
Hazrat Umme Salamah Se Marvi Hai Farmati Hai Ek Roz Nabi E Akram aaram farma rahe they kay achanak uthe, Aap kay daste mubarak me surkh mitthi thi aur maine Arz Kiya Ya Rasoolullah ye mitthi kya hai ?
Nabi Ne Irshad Farmaya Jibril Alaihsalam ne khabar di kay Hussain Radiallahu Anhu ko Iraq ki jameen me qatl kiya jayega aur ye wahan ki mitthi hai.

(Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer, Vol : 23, Pg : 308, #618)
(Imam Asim Al Ahad Wa Al Mathani Vol :01, 310, #429)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol :04, Pg :440 #8202)
Imam Hakim Kahte Hai Ye Hadees Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ki Shart Par Sahih hai Scan Page Tabrani #617


Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa raḍyAllāhu 'anhu (may Allāh be pleased with him) Ki Rivayat  Hadees 06 : “Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Se Rivayat hai Nabi E Akram Ne Farmaya Mujhe Jibril Ne Khabar Di Ki Mere baad Mera Farzand Hussain Jamin E Taff Me Qatl kiya jayega aur Jibril mere pass ye Ye Mitthi laaye, unhone Arz Ki Ye Hussain Ki Khwabgaah (Maqtal) Ki Khaak Hai” References :  (Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 06, Pg : 249,#6316) (Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer, Vol :03,pg :113,#2814) (Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, vol : 08/09,Pg : 288/188) (Imam Ibn Hajr Al Makki Haythami Shafai, As Sawaqe Muharrik, pg : 193) (Imam Suyuti Jami Al Sagheer, #147) (Imam Hussamuddin Hindi #34299) Note : Taff Karib E Kufa Us Makam Kaa Naam Hai jisko karbala Kahte Hai. Scan Page Imam Tabrani Al Ausat

Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Rivayat  Hadees 07 : Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Karte Hai Kay Allah Taala ne Nabi E Akram Kay pass wahi bheji ki Maine Yahya ibn Zakaria Alaihisalam kay ewaj 70000 Hazar Ko maara aur Aye Mehboob Tumhare Nawase Kay ewaj 70000 Hazar Aur 70000 Hazaar ko marunga
References : (Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 03, Pg : 195-96, Hadees : 4822) (Imam Haythami As Sawaiqe Muhariqa pg : 662) (Imam Suyuti Khasaisul Kubra Vol : 02, pg : 208) (Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Masabatal Minal Sunnah Pg :30) Hakim Al Mustadraq Isko Likh Kar Imam Hakim Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ye hadees Sahih Hai Rivayat Ummul Fazal bint Haaris Radiallahu Anha
Hadees 08 : Hazrat Ummul Fazal Bint Haaris Radiallahu Taala Anha Yaani Hazrat Abbas Radiallahu Taala Anhu Ki Jauza Farmati Hai Ki Maine Ek Roz Nabi E Akram Ki Khidmat Me Hazir Hokar Hazrat Imam Hussain Radiallahu Anhu Ko Aap ki godh me diya, phir Mai kya Dekhti hoon ki Huzoor Ki Ki Aankho Se Lagatar Aansu Bah rahe hai, Maine Arz Kiya Ya Rasoolullah ! Mere Maa baap aap par qurban ho ya kya haal hai ? Farmaya Mere Pass Gibril Alaihisalam Aaye aur unhone ye khabar pahuchayi ki Meri Ummat Mere Is Farzand ko Shaheed karegi. Hazrat Ummul Fazal Farmati Hai Ki Maine Arz Ki Yaa Rasoolullah Kya Is Farzand Ko Shaheed Kar Degi ? Huzoor Ne Farmaya Haan Phir JIbril Mere Pass Uski Shahadatgaah ki mitthi bhi laaye. (Imam Hakim Al Mustadraq, Vol : 03, Pg : 196, Hadees : 4824) Scan Page Hakim Al Mustadraq Hadees : 8222, 8224 

Pray for us Shaikh Sher Ali Hanfi

Tuesday 10 September 2019

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers