Namaz May Rafayadein Karna Aur Uska Jayza (01)
Ruku May Jaate Aur Ruku Say Uthte Waqt Rafayadei (Yaani Haath Uthana) Kay Baare May Aimma E Kiram May Bahut Say Ikhtilaf Hai Aur Rahi Sahi Kasar Gair Muqallido Nay Puri Kardi Hai Aur Isey Imaano Kufr Ka Mauzu Bana Liya ,Is Masala Ko Itna Uchala Ki Gair Muqallid Hazraat Rafaydein Na Karne Wale Ko Rasul ALLAH ﷺ Ka Ghustakh Aur Na Farman Tasleem Karne Lagay ,Sach Baat Toh Yeh Hai Ki Dono Ka Saboot Nabi ﷺ Aur Sahaba Aur Tabaeen Say Silsilawar Maujud Hai, Kisi 1 Masale Ka Paksh Letay Hue Dusre Ka Inkar Karna Jahilana Amal Hai, Namaz Me Rafayadein Usi Tarah Sabit Hai Jis Tarah Tark E Rafayadein Sabit Hai, Magar Yeh Dawah Karna Ki Nabi ﷺ Nay Hamehsa Rafayadein Kiya Hai, Yeh Sahih Nahi Aur Mohtaj E Daleel Hai.
Aimma E Mujhtahideen Ka Maslak
Kuch Arz Karne Say Pehle Rafayadein Kay Masala Per Aimma E Mujhtahideen Kay Maslak Per 1 Nazar Dalte Chale, Jisa Ki Humne Upar Likha Ki Aimma Dono Taraf Maujud Hai, Baaz Kay Nazdeek Rafayadein Nahi Hai Aur Baaz Kay Nadeek Rafayadein Ka Saboot Nahi,
1 Maslak Yeh
Hai Ki Namaz May Sirf Takbeer Oola Kay Waqt Rafayadein Hai Aur Uske Baad Ruku
Wagaira Kay Mauka Per Nahi Hai.
Allama Ayni
Nay Zikr Kiya Hai Ki Rafayadein Na Karna Imam Abu Hanifa Aur Unke Ashab Ka
Maslak Hai, Isi Tarah Imam Sufiyan Sawri, Imam Nakhai, Ibn Ali Laila, Alkama
Bin Qais, Aswad Bin Yazeed, Imam Shueba, Imam Abi Ishaq, Imam Mugira, Imam
Waqih Ibn Jarah, Imam Asim Bin Kulayb, Aur Imam Jafar Ka Bhi Yahi Qaul Hai Aur
Ek Riwayat Say Imam Malik Ka Mashur Mazhab Bhi Yahi Hai, Aur Imam Tirmidhi Nay
Kaha Ki Beshumar Sahaba Aur Tabaeen Nay Bhi Yahi Baat Kahi Hai.
Umdatul Qari
Sharah Sahih Bukhari Jild 4 Safa 380
Aur Allama
Abdul Hay Lakhnawi Sahab Nay Likha Hai Ki Yahi Hazrat Sawri, Hazrat Hasan Bin
Hayi, Aur Tamam Faqeeh Kufa Ka Qaul Hai, Aur Yahi Hazrat Ibn Masood Radialla
Taala Anhu Aur Unke Shagirdo Ka Qaul Hai.
Ta’alik Ul
Mumjad Safa 91
Aur Malikiyo
Ki Mashur Kitab “Al Madina Tul Kubra” May Imam Malik Ka Qaul Hai Ki “May Siwaye
Shuru Namaz Ki Takbeer Kay Kahi Bhi Rafayadein Ko Nahi Janta Na Jhukte Waqt Na
Uthte Waqt.
Al Madina
Tul Kubrak Jild 1 Safa 165
2 Maslak Yeh
Hai Ki Takbeer Tehrima Kay Baad Ruku May Jaate Waqt Aur Ruku Say Sir Uthate Hue
Bhi Rafayadein Hai
Allam Ayni
Kehte Hai Yehi Maslak Imam Shafai, Imam Ahmed Bin Hanmbal, Imam Ishaq, Imam
Sawr, Aur Imam Tabri Ka Hai, Isi Tarah Imam Malik Ki Ek Riwayat Yahi Hai Aur
Imam Hasan Basri, Imam Ibn Shireen, Ata Bin Abi Ribah, Tawus, Mujahid, Qasim
Bin Muhammad, Saalim, Qatada, Makhol, Saeed Bin Zuber, Ibn Mubarak, Aur Sufiyan
Bn Uyyayna Ka Hai.
Umdatul Qari
Sharah Sahih Bukhari Jild 4 Safa 379
Al Mughni
Lil Ibn Qadama Jild 1 Safa 350
Issey Malum
Hua Ki Sahaba Aur Tabaeen May Say Bhi Bahut Say Hazraat Nay Kisi Na Kisi Qaul
Say Ko Ikhtiyar Kiya Hai.
Raha Raajay
Aur Marjuh Ka Muamla Toh Kisi Nay Tark Rafayadein Ko Tarjeeh Di Hai Toh Kisi
Nay Rafayadein Ko Tarjeeh Di Hai Aur Imam Abu Hanifa Aur Ullema E Ahnaf Bhi
Tark E Rafayadein Ki Tarjeeh Kay Qayal Hai.
Al Ham Du
Lil Lah Hum Ahnaf Na Toh Yeh Kehte Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Nay Namaz May
Rafayadein Kiya Hi Nahi Aur Na Rafayadein Ko Nahsiq Mante Hai Balki Rafayadein
Ko Mansukh Honay K Qayal Hai Kyoki Nabi ﷺ Nay Isko Tark Kardiya Tha.
Hum Un
Ahadeeso Ka Jayza Lege Jissey Yeh Hazraat Daleel Pakadte Hai Aur Kehte Hai Ki
Rafayadein Karna Hi Nabi ﷺ Ki Akhri Sunnat Hai
Daleel 01
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُقَاتِلٍ، قَالَ أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ، قَالَ أَخْبَرَنَا يُونُسُ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، أَخْبَرَنِي سَالِمُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، رضى الله عنهما قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا قَامَ فِي الصَّلاَةِ رَفَعَ يَدَيْهِ حَتَّى يَكُونَا حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ، وَكَانَ يَفْعَلُ ذَلِكَ حِينَ يُكَبِّرُ لِلرُّكُوعِ، وَيَفْعَلُ ذَلِكَ إِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ وَيَقُولُ " سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ ". وَلاَ يَفْعَلُ ذَلِكَ فِي السُّجُودِ.
Hazrat
Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Mene Rasul ALLAH ﷺ Ko
Dekha Jab Aap Namaz Kay Liye Khade Hote Toh Rafayadein Karte Hatta Kay Dono
Haath Kandho Kay Barabar Ho Jate Aur Aap Ruku May Jaate Waqt Aur Ruku Say
Uthate Waqt Isi Tarah Karte Jaise Namaz Kay Shuru May Karte Aur Sami Allahu Liman
Hamida Kehte Hue Ruku Say Khade Hojate Aur Sajde May Aisa Nahi Karte.
Sahih Bukhari
Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 736
Yeh Hadees
Sehat Kay Lihaz Say Ala Darje Ki Hai Aur Is Hadees Say Rafayadein Kay Qayal
Hazraat Nay Istedlal Kiya Hai Aur Wo Isko Sabse Zyada Mazboot Hujjat Aur Daleel
Kehte Hai, Magar Yeh Riwayat Sanad Kay Aitbaar Say Qawi Hone Kay Bawajud
Rafayadein Na Karne Walo Kay Paas Is Hadees Per Amal Na Karne Ki Wajah Hai.
Hazrat Mujahid
Say Marwi Hai Ki Mene Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Kay Piche
Namaz Padhi, Aap Takbeer E Tehrima Kay Alawa Namaz May Kahi Rafayadein Nahi
Karte Thay.
Sharah Maani
Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1265
Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 1 Hadees 2467
Marfat Ul
Sunan Wal Asaar Lil Bayhaqi Jild 2 Safa 429
Asaar E Sunnah
Safa 151 Hadees 405
Imam Ayni Nay
Farmaya Kay Yeh Hadees Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ki Sharto Per Sahih Hai.
Nakhbul Afkar
Jild 2 Safa 612
Allama Ibn
Turkmani Nay Iski Sanad Ko Sahih Kaha Hai.
Jawahirul Naqi
Jild 2 Safa 109
Allama Nemwi
Nay Inko Sahih Kaha Hai
Asaar E Sunnah
Safa 151 Hadees 405
Isliye Ullema
Ahnaf Kehte Hai Ki Jab Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Nay Khud Hi Rasul ALLAH
ﷺ Say Riwayat Kiya Hai Ki Aap Rafayadein Karte Thay Toh Phir Bina Kisi Wajah
Kay Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Kyo Isey Tark Karege? Zahir Hai Ki Inke
Paas Rafayadein Ko Tark Karne Ki Wajah Yahi Hai Ki Unhone Rasul ALLAH ﷺ Ko Isey
Tark Karte Hue Dekha Hoga, Toh Apke Is Amal Say Yeh Ishara Milta Hai Ki Rasul ALLAH
ﷺ Bhi Rafayadein Nahi Karte Thay,Jaisa Ki Ibn Masood Radialla Taala Anhu
Wagaira Sahaba Say Marwi Hai, Aur Ahnaf Ka Yeh Ek Usool Hai Ki Jab Kisi Sahabi
Ki Riwayat Kay Unka Amal Ho Toh Wo Riwayat Mansukh Hai, Isliye Hazrat E Ibn
Umar Radialla Taala Anhi Nay Rafayadein Ki Riwayat Kay Bawajud Isey Tark
Kardiya Toh Issey Unki Riwayat Mansukh Hogai, Agarche Sahih Isnad Ho.
Is Sahih
Hadees Ki Taeed Is Hasan Hadees Say Hoti Hai Jisko Hazrat Ibn Umar Radialla
Taala Anhu Kay Dusre Shagird Hazrat Abdul Aziz Bin Hakim Nay Riwayat Kiya Hai.
Hazrat Abdul
Aziz Bin Hakim Riwayat Karte Hai Ki Mene Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Ko
Namaz Kay Shuru May Dono Kano Ki Law Tak Rafayadein Karte Dekha Iske Alawa Wo
Kabhi Haath Nahi Uthate.
Muwatta Imam
Malik Hadees 108
Hujjat Alal
Ahle Madina Lil Imam Muhammad Jild 1 Safa 98
Jab 1
Sahabi Say 2 Qabil E Etimad Tabaeen Gawahi De Toh Zahir See Baat Hai Ki Is
Riwayat Ko Takwiyyat Pahuchti Hai, Aur Wo Baat Is Layak Banjaati Hai Ki Log
Issey Hujjat Pakde.
“Riwayat Ibn
Umar May Tatbeek”
Ek Baat Yeh
Bhi Hai Ki Ibn Umar Radialla Taala Anhu Kay Baaki Aur Shagirdo Nay Inko
Rafayadein Karte Hue Bhi Dekha Hai Masalan Hazrat Naafe Say
Sahih
Bukhari Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 739
Sunan Al
Kubra Lil Bayhaqi Jild 2 Hadees 2510
Aur Hazrat
Tawus Say (Amani Ul Ahbar Safa 214)
Yeh 2 Qism
Ki Riwayat Hai Ab Zahir Hai Ki Ismay Tatbeek Ki Surat Talash Karni Padegi
Lihaza Tatbeek Ki Surat Kay Baare May Imama Tahawi Nay Farmaya
Hosakta Hai
Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Nuskh Ka Ilm Hone Say Pehle Rafayadein
Karte Ho Aur Isko Hazrat Tawus, Saalim, Aur Nafe Nay Dekha Aur Bayan Kiya Ho
Aur Jab Apko Nuskh Ka Ilm Hogaya Aur Apne Rafayadein Tark Kardiya Uswaqt
Mujahid Aur Abdul Aziz Bin Hakim Nay Apko Dekha Ho Aur Isko Bayan Kiya Ho
Sharah Mani
Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1265 (scan page)
Daleel 02
حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ الْوَاسِطِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ خَالِدٍ، عَنْ أَبِي قِلاَبَةَ، أَنَّهُ رَأَى مَالِكَ بْنَ الْحُوَيْرِثِ إِذَا صَلَّى كَبَّرَ وَرَفَعَ يَدَيْهِ، وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَرْكَعَ رَفَعَ يَدَيْهِ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ رَفَعَ يَدَيْهِ، وَحَدَّثَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم صَنَعَ هَكَذَا.
Hazrat Malik
Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Kay Mene Nabi ﷺ Ko Dekha Ki
Apne Jab Takbeer Kahi Aur Jab Ruku Kiya Aur Jab Ruku Say Sir Uthaya Toh
Rafayadein Kiya.
Sahih Bukhari
Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 737
Yeh Hadees
Bhi Sehat Kay Lihaz Say Ala Darje Ki Hai Aur Is Hadees Say Rafayadein Kay Qayal
Hazraat Nay Istedlal Kiya Hai Aur Wo Isko Is Hadees Ko Dusre Darje Ki Mazboot
Hujjat Aur Daleel Tasleem Karte Hai Magar Yeh Riwayat Sanad Kay Aitbar Say Qawi
Hai Hone Kay Bawajud Rafayadein Na Karne Walo Kay Paas Is Hadees Per Amal Na
Karne Ki Wajah Hai.
Aur Is Hadees Kay Mansukh Hone Ki Taeed Is Tarah Bhi Hoti Hai Ki Hazrat Malik Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Hi Sunan Nasai Me Sahih Sanad Kay Saath Yeh Hadees Maujud Hai Jisme Ruku Kay Saath Saath Sajdo May Bhi Rafayadein Karne Ka Zikr Hai.
سنن نسائی
کتاب: نماز شروع کرنے سے متعلق احادیث
باب: سجدہ کرنے کے وقت ہاتھ اٹھانا
حدیث نمبر: 1088
أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى، قَالَ: حَدَّثَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ، قال: حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ نَصْرِ بْنِ عَاصِمٍ، عَنْ مَالِكِ بْنِ الْحُوَيْرِثِ، أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَكَانَ إِذَا دَخَلَ فِي الصَّلَاةِ فَذَكَرَ نَحْوَهُ وَزَادَ فِيهِ وَإِذَا رَكَعَ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ السُّجُودِ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ.
تخریج دارالدعوہ: تفرد بہ النسائي، انظر حدیث رقم: ٨٨١ (بدون ذکر الزیادة)، (تحفة الأشراف: ١١١٨٤) (صحیح )
قال الشيخ الألباني: صحيح
Hazrat Malik
Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Ki Mene Nabi ﷺ Ko Dekha Ki Jab
Namaz May Aap Ruku Karte Aur Jab Ruku Say Sir Uthate Aur Jab Sajda Karte Aur
Jab Sajde Say Sir Uthate Toh Rafayadein Karte Hatta Kay Apne Dono Haatho Ko
Apne Kaano Kay Upar Wale Hisse Kay Barabar Farma Lete.
Sunan Nasai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 1088
Albani Nay
Isey Sahih Kaha Hai (Sahih Ul Nasai 1085)
Jamhoor Nay
Is Hadees Kay Sajde Wale Rafayadein Ko Nahi Liya Aur Isey Mansukh Kaha Hai Jab
Is Hadees Kay Is Tukde Ko Isliye Nahi Liya Kay Yeh Mansukh Hai Toh Phir Ruku
Kay Rafayadein Ko Mansukh Manne May Kya Dikkat Hai ?
Ya Phir
Apko Sajde May Bhi Rafayadein Karna Chahiye Kyoki Gairmuqallid Kay Mashur Alim
Shaikh Albani Nay Apni Kitab May Likha Hai Ki “Sajdo Ka Rafayadein 10 Sahaba
Say Riwayat Hai” (Salat Un Nabi Safa 146)
Aur Likhte
Hai “Nabi ﷺ Ka Har Takbeer Per Rafayadein Karna Sahaba Ki 1 Jamat Say Sabit Hai
(Takhreej Ul Mishkat Jild 1 Safa 248)
Phir Kyo
Rafayadein Kay Qayal Hazraat Nay Isey Mansukh Qarar Dekar Tark Kar Diya Halaki
Isko Mansukh Qarar Dene Walo Kay Wo Hi Daleelein Li Hai Jo Hanafi Hazraat Nay
Ruku Kay Dauran Kiye Jaane Wale Rafayadein Ko Mansukh Sabit Karne Kay Liye Li
Hai.
Isliye Allaa
Nemwi Farmate Hai Ki “Wo Log Durustagi Ko Nahi Pahuche Jo Yeh Kehte Hai Ki
Sajde Kay Rafayadein Kay Baare May Koi Hadees Nahi Hai Aur Jinhone Isko Mansukh
Kaha Hai Unke Paas Is Daleel Kay Alawa Koi Daleel Nahi Ki Jaisi Us Shaks Ki
Daleel Hai, Jinhone Yeh Kaha Ki Takbeer Tehrima Kay Alawa Rafayadein Nahi Hai”
Asaar E Sunnah
Safa 150 Hadees 401
Daleel 03
Hazrat
Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Jab Namaz
Shuru Karte Toh Rafayadein Karte Aur Jab Ruku May Jaate Aur Ruku Say Sir Uthate
Waqt Isi Tarah Karte Aur Sajde May Aisa Nahi Karte, Aur Yeh Namaz Apki Hamesha
Rahi Hatta Kay ALLAH Taala Say Jaa Mile.
Nasburraya Kitab
Us Salat Jild 1 Safa 409
Al Diraya
Jild 1 Safa 153
Talkhijul Khabeer
Jild 1 Safa 218
Is Hadees
Ko Likhkar Kuch Gair Muqallid Kehte Hai Ki Dekho Huzur Nay Wisal Tak Rafayadein
Kiya Hai Isliye Isey Tark Karna Jahiliyat Aur Haram Hai
Hum Kehte
Hai Ki Yeh Hadees Sirf Zaef Hi Nahi Balki Manghadat Hai.
Allama Nemwi
Nay Kaha Yeh Hadees Sirf Zaef Hi Nahi Balki Manghadat Hai (Asaar E Sunnah Safa
147 Hadees 394)
Is Sanad
May 1 Rawi (Abdur Rehman Bin Quraish Bin Khuzayma Harwi) Hai Jo Hadees Khalat
Malat Karta Tha.
Imam Ibn
Hajar Nay Isey Hadees Ghadne Wala Kaha Hai (Lisan Ul Mizan Jild 3 Safa 425)
Albani Nay
Isey Wajahe Hadees Aur Iski 1 Riwayat Ko Mauzu Kaha Hai (Silsila Ahadees E Zaef
Jild 2 Safa 228)
Isme 2nd
Rawi Asma Bin Muhammad Al Ansari Hai Jiske Baare May Hafiz Ibn Hajar
Muhaddiseen Kay Qaul Naqal Karte Hai.
Imam Abu
Hatim Nay Kaha Kawi Nahi Hai
Imam Yayha
Ibn Muin Nay Kazzab Aur Wajah Kaha
Imam Ukeli
Nay Kaha Ki Siqat Say Batil Hadeesein Bayan Karta Hai
Imam Darqutni
Nay Matrul Kaha Hai (Lisan Ul Mizan Jild 4 Safa 170)
Imam Zahbi
Nay Isey Wajah Hadees Sabit Kiya Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 68)
Khatib Bagdadi
Nay Isey Kazzab Aur Wajahe Hadees Kaha (Tarikh E Bagdad Jild 12 Safa 286)
Imam Ukeli
Nay Isko Aimma Kay Hawale Say Kazzab Aur Hadees Ghadne Wala Sabit Kiya Hai
(Kitab Ul Zuafa Al Kabir Jild 3 Safa 340)
Imam Ibn
Zauji Nay Aimma Kay Hawalo Say Isey Kazzab Aur Matruk Sabit Kiya Hai (Zaufa Wal
Matrukin Jild 2 Safa 176)
Mashur Wahabi
Alim Qazi Shawkani Nay Isey Kazzab Likha Hai (Al Fawaid Ul Majmua Safa 67)
Albani Nay
Isey Munkirul Hadees Kaha (Silsila Ahadees E Zaefa Jild 1 Safa 265)
Lihaza Yeh
Hadees Mauzu, Batil Aur Munkar Hai
Khud Inke
Alim Abdur Rauf Nay Is Hadees Kay Akhri Izafe Ko Batil Kaha Hai (Al Qaul Ul
Maqbool Safa 414)
Zaruri Baat
Hum Kehte
Hai Ki Ruku May Rafayadein Karne Kay Mutalik Bahut See Ahadees Hai Lekin Issey
Sabit Nahi Hota Ki Yeh Sunnat Hai Jabki Humare Paas Tark E Rafayadein Ki Sahih
Hadeesein Maujud Hai, Aur Hum Yeh Tasleem Karte Hai Ki Rafayadein Karna Najayaz
Nahi Balki Mansukh Hai Aur Issey Iski Sunniyat Khatam Hogai, Ab Chahe Jitni
Daleel Pesh Ki Jaye Wo Sahih Hone Kay Bawajud Mansukh Hai.
Wallah Hu Alam
No comments:
Post a Comment