Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 30 November 2019

,
Assalamu Alaykum Tamam Sunni Sahih ul Aqeeda

Wahabi Deobandiyo k Aitraz me yeh ek Aitraaz b hai k Gairullah ko Ya Gaus kehkar pukarna shirk , bidat , Najayz o Haram hai aur yeh koi dhaki chupi baat nai k is per daleel di jaye lekin hum in sha ALLAH taala is per daleel pesh karege k YA GAUS kehna bilkul durust o Jayaz hai aur In sha ALLAH taala Sahaba e Kram k hawaley se pesh karege.

Issye Qably aap yeh Jaanley k GAUS ka maana kya hota hai ?

Al Kamoos ul Jadees : Yeh luighat ki kitab hai isme Gaus ka maana : Imdad , madad , releif , Faryad , Madad ki Darkhwast k aaya hai.

Scan page.


Toh lughat se GAUS ka maana wazeh hogaya. ab aaye me apni daleel pesh karta hu.

Hadees : 

Khilafat-e-Faaroqui me ek bar Madeena Tayyeba me qehet-e-Azeem pada, Us saal ka naam halakat, tabahi jaan-o-maal ka saal rakha gaya. Ameerul Mumineen ne Amru bin Aaz radiAllaho Ta'aala Anhu ko Misr me farman bheja. Bandah-e-Khuda Umar Ameerul Mumineen ki taraf se Ibn Aaz ke naam:
“Salaam ke baad wazeh ho, mujhe apni jaan ki
qasam, Aye Amru jab tum aur tumhare mulkk wale sair hon tab tumhen kuch parwah
nahin ki mai aur mere mulk wale halaak ho jayen, “Ya Ghaus””

Amru bin Aas radiAllaho Ta'aala Anhu ne jawab hazir kiya: ye Arzi Bandahe-Khuda Ameerul Mumineen ko Amr bin Aas ki taraf se hai.
“Baad salaam ke ma’rooz, Huzur meai bar bar khidmat ko hazir humaine Huzur me wo kaarwan rawana kiya hai jiska awwal huzur
ke paas hoga aur akhir mere paas aur Huzur par salam ho aur ALLAH Azzuwaal ki rehmaten aur barkaten ho.”

Amru bin Aas radiAllaho Ta'aala Anhu ne aisa hi kaarwan hazir kiya ki Madeena Tayyeba se Misr tak tamam manzil door daraz oonton se bhari hui thi.
Yahan se wahan tak ek Qatar bani hui thi jiska pehla Oont Madeena Tayyeba me tha aur pichla Misr me. Sab par anaaj tha. Ameerul Mumineen ne wo tamam oont taqseem farma diye. Har ghar ko ek ek oont ata hua ki Anaaj khao aur is oot ko zibah karke iska gosht khao. Khaal ke joote banao. Jis kapde me anaaj bandha hua tha, uska lihaaf waghairah banao.

Ye riwayat Mukhtalif matan aur sanad ke sath maujud hai.
Imam Hakim ki al Mustadarak Jild 1 Safa 563
Imam Hakim ne is riwayat ko Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ki shart par Saheeh qarar diya.

(Saheeh Ibn Khuzaima jild 4 Pg.68): Isme is hadees ki sanad ko HASAN kaha hai.

(Kanzul Ummal jild 12,Pg.610, )

(Tabqaat-e-Kubra Jild 3 pg.288)

(Sunan Qubra jild 3 Pg.577)

Scan Pages :







Wahabi Deobandi apne usool per rehte hue kya yaha b Najayz o Haram , Shirk o Bidat k Fatwe lagege ya sirf Bugz e Ala Hazrat me rehkar sunniyo per fatwe dege ??

ALLAH taala hum sabko Haq per Amal karne ki taufeeq ataa farmaye .

Ameen

Dua ki Darkhwast.
Sheyckh Mohammad Imran Saifi










Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers