Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 8 May 2020

Salat Al Tasbeeh in the light of hadees



بسم الله الرحمن الرحيم

Ek Post haasil huwi ek hamare bhai ne forward ki unhe kisi wahabi ne forward Ramzanul Mubarak ka mahina hai lockdown bhi hai log ghar me ibadat me zyada mashgul hai log Salat Al Tasbeeh bhi padh rahe hai aise me ye kaise mumkin hai kay gair muqallideen awaam me koi shosha na chode is baare me lihaja zor shor se kaha gaya ye Salat Al Tasbeeh ki koi ahmiyat nahi hai rivayatein Zaeef hai kabil e aitemad kabil e kabul nahi hai padhne se koi fayda nahi hai lihaja humne chaha kay uska jawab yahan likha jaaye.

Imam Abu Dawood Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 275 Hijri) Apni Sunan me Baab Kayam Karte hai Jiska Naam Hai (باب صَلاَةِ التَّسْبِيحِ) Salat Al Tasbih

Hadees 01:
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallaahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allaah ﷺ ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib Radi Allaahu Anhu se farmaya: Aye Abbas ! Ae Chacha Jaan! Kya mai aapko Ek hadiya (tohfa) na du ? Atia ya tohfa na du?
Kya mai aapko Dus baat na sikha du. Jab aap in par amal karenge to Allaah Aap ke agle ,peechle, Qadeem wa Jadeed Khata(gunah), Jaan booj kar, chote Bade, Chipi hui aur Zahiri sab Gunaho ko maaf farmadega. Dus baatein ye hai keay. Aap Chaar rakatein padhein. Har Rakat me Aap Surah Fatiha aur Ek Surah padhein. Baad Jab Aap pahli rakat me Qirat Se faarigh hojayein aur Qayam me ho to 15 baar ye Tasbih padhein *Subhanallaahi walhamdulillaahi wala ilaha illallah wallaahu Akbar.*

Phir Ruku karein aur Halat Ruku me Dus baar yahi tasbih padhein Phir Ruku se sar oothaye aur Dus baar yahi tasbih padhein. Phir Sajda karein aur Sajde me Dus baar yahi padhein. Phir Sajde se sir oothaye to yahi Dus baar padhein Phir dusra sajda karein,to usme bhi dus baar padhein. Phir Sir oothaye to Dus baar padhein. Har rakat me 75 Tasbihat huein. Aur Aap chaar rakato me aise hi karein. Agar Himmat ho to har roz padha karein. Agar Har roz na padh sakein to Har haftein me ek baar padhein, agar har hafte me na pad sakein to ek mahine me ek baar padhein. Agar ye na kar sakein to Saal me ek baar padhien. Agar saal me bhi na padh sakein to apni zindagi me ek baar padhlein" (Imam Abu Dawood As Sunan, Vol : 01, Pg : 223, Kitab Al Salat, باب صَلاَةِ التَّسْبِيحِ Hadees: 1297) (Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Vol :01, Pg : 63, Kitab Al Witr,
 باب مَا جَاءَ فِي صَلاَةِ التَّسْبِيحِ Hadees : 482) (Imam Ibn Majah As Sunan Vol : 01, Kitab Iqamat Al Salat, باب مَا جَاءَ فِي صَلاَةِ التَّسْبِيحِ Hadees : 1386, 1387) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer, Vol :11, Pg : 243-44, Hadees : 11622) (Imam ibn Khuzaima Sahih, Vol :01, Hadees : 1216) (Khatib Tabrezi Mishkal Al Masabih, Vol : 01, Pg : 418, Hadees : 1328, 1329)Scan Page Sunan Abu Dawood 



Scan Page Sunan Ibn Majah

Scan Page Jamai Tirmizi

Upar Di Gayi ye teeno hadees ki tehkeek Wahabiyo kay Muhadis E Azam Arabia Nasirudin Albani ne ki hai aur hukm lagaya Hadees Sahih hai.

Hazrat Jafar ibn Abu Talib Aur Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhuma Azmayeen Se Marvi Rivayat Hadees 02: “Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim Ne Jab Hazrat Jafar Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu ko mamlak e Habsha ki taraf bheja jab woh wahan se aaye to Aap ne unse muaanka kiya aur Jafar Radiallahu Anhu ki peshani par bosa diya phir Nabi ne farmaya kya mai tumhe kuch tohfa doon Hazrat Jafar Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu Ne Kaha Haan Ya Rasoolullah ! Nabi ne farmaya 04 raqat namaz padha karo har raqat me Surah Fatiha aur koi dusri surah padha karo Aur Ruku Se Pahle Surah kay baad Kiyam ki halaat me 15 martaba ye padha karo Phir Ruku karo aur yehi tasbeeh 10 baar padho Dusri raqat shuru karne se pahle kayam sazda aur jalse me bhi yehi tasbeeh padha karo aur is raqat ko pura karo aur baaki 03 rakat ko pura karo aur 04 raqatein mukammal karo, Ye isnaad sahih hai aur ispe koi gubaar nahi hai aur iske sahih hone par ye dalil bhi hai ki tabe tabain se lekar hamare aajke jamane tak aimma e hadees ne uspar amal kiya hai aur uspar intehayi pabandi ki hai aur logo ko uski talim bhi di hai unme se Abdullah ibn Mubarak ka naam sare fehrisht hai (jaisa kay darj e jayl hadees me wajah hai. (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg :475 Salat Al Tatawwah, Nafal Namaz ka Bayan, Hadees 1196)
Scan Page Hakim Al Mustadraq
Imam Tirmizi Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 279 Hijri) ne Sunan Me rivayat Naql ki hai
Hadees 03:
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، أَنَّ أُمَّ سُلَيْمٍ، غَدَتْ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَتْ عَلِّمْنِي كَلِمَاتٍ أَقُولُهُنَّ فِي صَلاَتِي ‏.‏ فَقَالَ ‏"‏ كَبِّرِي اللَّهَ عَشْرًا وَسَبِّحِي اللَّهَ عَشْرًا وَاحْمَدِيهِ عَشْرًا ثُمَّ سَلِي مَا شِئْتِ يَقُولُ نَعَمْ نَعَمْ ‏
Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se marvi Hai Hazrat Umme Sulaim Radiallahu Anha Ne Nabi E Karim ﷺ Kay pas aake arz kiya ki mujhe kuch aise kalimat sikha dijiye jinhe mai Namaz me kaha karoon, Aap ﷺ Ne Farmaya 10 baar Allah-o-Akbar kaho, 10 baar SubhanAllah Kaho, 10 baar Alhamdullilah Kaho phir jo chahe mango wo ALLAH har chiz par Haan Haan kahta hai (yaani kabool karta hai).

قَالَ وَفِي الْبَابِ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ وَعَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو وَالْفَضْلِ بْنِ عَبَّاسٍ وَأَبِي رَافِعٍ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ أَنَسٍ حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ

Imam Tirmizi Radiallahu Anhu Kahte hai Anas Radiallahu Anhu ki Hadees Hasan Gharib hai Is baab me Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu, Hazrat Abdullah ibn Umar, Hazrat Fazal Ibn Abbas Aur Hazrat Abu Rafe Radiallahu Anhuma Azmayeen se bhi hadees aayi hai.

وَقَدْ رُوِيَ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم غَيْرُ حَدِيثٍ فِي صَلاَةِ التَّسْبِيحِ وَلاَ يَصِحُّ مِنْهُ كَبِيرُ شَيْءٍ ‏.‏ وَقَدْ رَأَى ابْنُ الْمُبَارَكِ وَغَيْرُ وَاحِدٍ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ صَلاَةَ التَّسْبِيحِ وَذَكَرُوا الْفَضْلَ فِيهِ ‏.‏ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدَةَ حَدَّثَنَا أَبُو وَهْبٍ قَالَ سَأَلْتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ الْمُبَارَكِ عَنِ الصَّلاَةِ الَّتِي يُسَبَّحُ فِيهَا فَقَالَ يُكَبِّرُ ثُمَّ يَقُولُ سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ ثُمَّ يَقُولُ خَمْسَ عَشْرَةَ مَرَّةً سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ ثُمَّ يَتَعَوَّذُ وَيَقْرَأُ ‏(‏بِسمِ الله الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ‏)‏ وَفَاتِحَةَ الْكِتَابِ وَسُورَةً ثُمَّ يَقُولُ عَشْرَ مَرَّاتٍ سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ ثُمَّ يَرْكَعُ فَيَقُولُهَا عَشْرًا ‏.‏ ثُمَّ يَرْفَعُ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ فَيَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ يَسْجُدُ فَيَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ يَرْفَعُ رَأْسَهُ فَيَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ يَسْجُدُ الثَّانِيَةَ فَيَقُولُهَا عَشْرًا يُصَلِّي أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ عَلَى هَذَا فَذَلِكَ خَمْسٌ وَسَبْعُونَ تَسْبِيحَةً فِي كُلِّ رَكْعَةٍ يَبْدَأُ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ بِخَمْسَ عَشْرَةَ تَسْبِيحَةً ثُمَّ يَقْرَأُ ثُمَّ يُسَبِّحُ عَشْرًا فَإِنْ صَلَّى لَيْلاً فَأَحَبُّ إِلَىَّ أَنْ يُسَلِّمَ فِي الرَّكْعَتَيْنِ وَإِنْ صَلَّى نَهَارًا فَإِنْ شَاءَ سَلَّمَ وَإِنْ شَاءَ لَمْ يُسَلِّمْ ‏.

Salat Al Tasbeeh kay silsile me Nabi E Karim ﷺ Se Aur bhi kayi hadees marwi hai lekin koi zyada sahih nahi hai, Hazrat Abdullah ibn Mubarak Radiallahu Anhu Aur Deegar Kayi Ahle Ilm Salat Al Tasbeeh kay kayal hai aur unhone uski fazilat ka zikr kiya hai, Abu Wahab Muhammad ibn Al Ne Bayan kiya maine Abdullah ibn Mubarak Se Salat Al Taseeh Kay baare me daryaft kiya kay jisme tasbeeh padhi jaati hai Pahle Taqbir E Tehrima kahe phir Subhanaka (SANA padhe) ‘Aye ALLAH TERI Jaat paak Hai Aye ALLAH har aib aur har nushq se paak hai’ tarife tere hi liye hai baa barkat hai tera naam buland hai teri shaan aur tere siwa koi maabud barhaq nahi,
Kahe Phir 15 martaba SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR, kahe Phir Aujubillah Minashaitanir rajeem aur bissmillah sharif kahe phir Suraah fatiha Aur koi Surah kahe aur phir 10 martaba (SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR) Phir ruku me jaaye aur 10 martaba (SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR) Phir sar uthaye aur 10 martaba yehi kalma (SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR) padhe,
Phir Sazde me 10 baar, phir Sazde se sar uthake 10 baar aur phir wapas dusre sazde me 10 baar is tarah 04 raqat padhe to har raqat me ye 75 tasbeeh hongi, Har raqat kay shuru me 15 baar aur phir 10 10 padhe Aur agar raat ko padh raha ho to mere nazdik mustahab hai kay har 2  raqat kay baad salam fere aur agar din me padhe to chahe to 2 rakat kay baad salam fere ya chahe to naa fere (yaani 04 ek saath padhe). 
قَالَ أَبُو وَهْبٍ وَأَخْبَرَنِي عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ أَبِي رِزْمَةَ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ أَنَّهُ قَالَ يَبْدَأُ فِي الرُّكُوعِ بِسُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ وَفِي السُّجُودِ بِسُبْحَانَ رَبِّيَ الأَعْلَى ثَلاَثًا ثُمَّ يُسَبِّحُ التَّسْبِيحَاتِ ‏.‏ قَالَ أَحْمَدُ بْنُ عَبْدَةَ وَحَدَّثَنَا وَهْبُ بْنُ زَمْعَةَ قَالَ أَخْبَرَنِي عَبْدُ الْعَزِيزِ وَهُوَ ابْنُ أَبِي رِزْمَةَ قَالَ قُلْتُ لِعَبْدِ اللَّهِ بْنِ الْمُبَارَكِ إِنْ سَهَا فِيهَا يُسَبِّحُ فِي سَجْدَتَىِ السَّهْوِ عَشْرًا عَشْرًا قَالَ لاَ إِنَّمَا هِيَ ثَلاَثُمِائَةِ تَسْبِيحَةٍ
Abu Wahab Se rivayat hai kay Abdul Aziz kahte hai Abdullah ibn Mubarak Radiallahu Anhu ne kaha ruku me pahle Subhan Allahi Rabeel Azeem aur Sazde me Subhan Rabbi Aala pahle 03 bar kahe phir tasbeeh padhe.
Abdul Aziz ibn Abi Razma kahte hai kay agar us namaz me Sahu hojaye to kya hai wo Sazda sahu kahega Abdullah ibn Mubarak Rahmatullah Alaih ne kaha nahi isme sirf 300 tasbeehat hai (Sunan Tirmizi, Vol : 01, Pg : 127, Kitab Al Witr, باب مَا جَاءَ فِي صَلاَةِ التَّسْبِيحِ Hadees : 481)
Scan Page Sunan Tirmizi Albani Ne Isko Hasan Sahih Kaha
Hadees 04:
Hazrat Abu Wahab Muhammad Ibn Majahim Farmate Hai maine Hazrat Abdullah Ibn Mubarak Radiallahu Anhu Se Us Namaz Kay muttalik pucha jisme tasbeehat padhi jaati hai to unhone farmaya Takbeer e tahirma padhe phir Sana padhe aur phir 15 Martaba Subhanallhi Walahamdullilahi Wala illaha Illallah Wallahu Akbar padho phir Tauz (yaani Auzbillah-bismillah padho) phir Surah Fatiha Aur koi Dusri Surah padho phir 10 martaba Tasbeeh padho phir Ruko karo 10 martaba yehi tasbeeh padho, Phir Sar Uthao aur 10 martaba Tasbeeh padho, Phir Sazde me 10 martaba tasbeeh padho, Sazde Se Sir Uthakar 10 martaba Aur Dusre Sazde me 10 martaba yehi tasbeeh padho is tarah har rakat me 75 aur Puri 04 rakat me 300 Tasbeehiya’n hai” (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg :476 Salat Al Tatawwah, Nafal Namaz ka Bayan, Hadees 1197)

Scan Page Hakim #1197

Upar ki ye 04 hadees Se Saabit hai kay Is hadees pe Sahaba Se leke tabayn tabe tabain ka amal raha hai yahan tak kay Imam Hakim rehmatullah Alaih ne Apni hadees me farmaya ispe aimma e muhadiseen ka amal raha hai Imam Hakim rahmatullah Alaih ki wiladat hai 321 Hizri aur Wisaal hai 405 Hijri Imam Hakim ne jis waqt Al Mustadraq likhna shuru ki us waqt Aap Radiallahu Anhu ki umr 72 saal thi yaani 380 Hijri tak bhi ispe amal me hai to lihaja jab us waqt ektelaf naa tha to aaj isko padhne se rokne par jor shor kyun ? Imam Abu Baqr Ahmad Al Hussain Bayhaqi Imam Bayhaqi Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 458 Hijri) apni kitab me Hazrat Abbas Radiallahu Anhu wali rivayat likh kar naql karte hai Hazrat Abdullah ibn Mubarak Radiallahu Anhu Ka Ispe amal kiya karte they aur swalaheen ne isko ek dusre se haatho haath liya hai aur is hadees me hadees e marfu ki tayeed hai aur taufiq Allah Taala ki janib se hoti hai"
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : Hadees : 602) Scan page
Woh Aimma Aur Ulema Jinhone Salat Al Tasbeeh Par Mushtaqil risala likha hai
Imam Ibn Manda Rahmatullah Alaih
Imam Abul Hasan Darqutni Rahmatullah Alaih
Imam Khatib Al Baghdadi Rahmatullah Alaih Imam Abu Saad As Samaani Rahmatullah Alaih (445 Hizri)
Imam Abu Moosa Al Madaini Rahmatullah Alaih Imam Tazuddin As Subqi Shafai Rahmatullah Alaih Hafiz ibn Nasirudin Damishqui Rahmatullah Alaih Imam Abu Ali Al Wahidi Rahmatullah Alaih Imam Ibn Hajar Asqalani Rahmatullah Alaih Imam Al Darani Rahmatullah Alaih Imam Jalaludin Suyuti Rahmatullah Alaih Hafiz Muhammad Ibn Ali Al Tulun Al Damishqui Rahmatullah Alaih
Hazrat Allama Abdul Hayy Lucknowi Firangi Maheli (Al Mutwaffa (1304 Hizri) ne ispe ek bahut umda dalail se bhari kitab likhi hai Salat Al Tasbeeh jiska urdu tarjuma tehkeek takhreej Muhadis E Asr Hazrat Allama Mufti Abbas Razvi Damatbarkatahu ne kiya hai bahut detail kay liye ye kitab jarur padhen Wo Sahaba E Kiram Jinse Salat Al Tasbeeh Ki rivayat aayi hai Hazrat Abbas Radiallahu Anhu Hazrat Umar Radiallahu Anhu Hazrat Ali Ul Murtaza Radiallahu Anhu Hazrat Zafar Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Hazrat Fazal Ibn Abbas Radiallahu Anhu Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Hazrat Anas Radiallahu Anhu aur bhi kuch sahaba se ye iski fazilat par rivayatein aayi hai

Mauzuda Gair Muqallideen Aalim Jo Iske padhne kay kayal hai Jisme Nasirudin Albani, Hafiz Zuber Ali Zai, Shaykh Shoeb Arnaut, Shaykh Ahmad Shakir wagairah shamil hai. SALAT AL TASBEEH PAR AUR TAFSEELI DETAIL KAY LIYE IS LINK PAR CLICK KARE (SALAT AL TASBEEH ALLAMA ABDUL HAYY LUCKNOWI TARJUMA TAKHREEJ MUFTI ABBAS RAZVI SAHAB)
Salat Al Tasbeeh padhne Ka Tarika Agli Post me aayega
Post Created by Shaikh Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers