Imam Kay Peeche Surah Fatiha Padhne ki Hadeesein Aur Unka Jayza (02)
【Daleel Number 6 Ka Jaiza】
Hazrat Anas
Bin Malik Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Ke Ek Martaba Nabi Muhammad ﷺ Ne
Sahaba Ko Namaz Padhai. Jab Farigh Huye To Muktadi Ki Taraf Dekh Kar Farmaya,
"Kya Tum Imam Ke Peechay Qiraat Karte Ho?" Sahaba Khamosh Rahe. Aap ﷺ
Ne Is Baat Ko Teen Martaba Dohraya. To Ek Shakhs Ne Kaha, "Ji Haan, Hum
Qiraat Karte Hain." Aap ﷺ Ne Farmaya, "Aisa Na Karo, Lekin Surah Al-Fatihah
Ko Aahista Padh Liya Karo."
1. Juz'
Qira'at, Safa 54.
2. Kitab Al-Qira'at,
Safa 47.
3. Sunan Al-Kubra
Jild 2 Hadith No. 2923.
Ghair
Muqallid Hazraat Imam Haithami Ka Qoul Pesh Karte Hain Ke Unhone Farmaya Ke
Iske Tamam Rawi Siqah Hain.
Iska Jawab
Yeh Hai Ke Agar Bina Daleel Koi Riwayat Sahih Keh Di Jaye To Phir Koi Aisi
Hadees Na Rahe Jispar Zaeef Ka Hukm Lagaya Ja Sake. Warna Iski Sehat Per Koi
Daleel Mojood Nahi Aur Yeh Hadees Bhi Zaeef Hai.
Awwalan Isliye
Ke Isme Abu Qulabah Hai Jo Ki Mudallis Hai Aur An Ana Se Riwayat Karta Hai Aur Khud
Ghair Muqallid Ke Nazdeek Mudallis Ka 'An'ana Qabool Nahi Hota Aur Naahi Mudallis
Ki Riwayat Qabool Hai Siwaye Shaikhain Ke Toh Ab Kyo Yeh Hazraat Is Hadees Ko
Pesh Karke Apne Usoolo Se Khilwad Karte Hai Kya Sirf Isliye Ki Wo Apne Mazhab
Ke Muwafik Hai
Note: Hamre
Nazdeek Imam Abi Qulabah Siqah Sabt Hai Aur Inka An Ana Bhi Qabul Hai.
Doosri Baat
Yeh Ke Is Hadees Ki Sanad Zabardast Izterab Hai:
1. Ek Turuq Mein Abu Qulabah Hazrat
Anas Se Riwayat Karte Hain
Juz' Qira'at, Safa 54
Kitab Al-Qira'at Safa 47
2. Baaz Turuq Mein Abu Qulabah Seedha Nabi
ﷺ Se Riwayat Karte Hain
Sunan Al-Kubra Jild 2 Hadith No. 2925
3. Ek Sanad Mein Abu Qulabah Muhammad Bin
Abi Aisha Se, Unhone Ek Naamaloom Sahabi Se Aur Unhone Nabi ﷺ Se Riwayat Ki
Talkhis Al-Habir, Safa 86
4. Aur Ek Sanad Mein Abu Qulabah Hazrat
Abu Huraira Se Riwayat Karte Hain
Sunan Al-Daraqutni, Safa 1, Hadith No. 129
Aap Khud Hi
Faisla Karein Ke Ek Ravi Kabhi Nabi ﷺ Se Riwayat Karta Hai, Kabhi Sahabi Se, To
Kabhi Kisi Tabi'i Se, Jab Ke Inhone Nabi ﷺ Ka Zamana Paaya Hi Nahi. Aur Gaur
Talab Baat Yeh Hai Ke Shaded Izterab Wali Riwayat Ghair Muqallid Hazraat Ke
Nazdeek Bilkul Hujjat Nahi Phir Kyo Yeh Janab Is Hadees Per Seena Thok Kar
Ahnaaf Ko Khual Challenge Karte Phirte Hai.
【Daleel Number 7 Ka Jaiza】
Abu Qatada Se
Marwi Hai Ke Nabi Muhammad ﷺ Ne Irshad Farmaya, "Tum Mere Peechay Qiraat
Karte Ho?" Sahaba Ne Kaha, "Ji Haan," To Aap ﷺ Ne Farmaya,
"Surah Al-Fatihah Ke Alawa Kuch Na Padha Karo."
1. Sunan Al-Kubra
Jild 2 Hadith No. 2926.
Iska Pehla
Jawab Yeh Hai Ke Is Sanad Mein Ek Munkar Rawi Malik Bin Yahya Hai Jiske Bare
Mein Aimma-E-Jarh Wa Ta'dil Ne Kalam Kiya Hai.
1. Imam Ibn
Hibban Is Par Kalam Karte Hain.
2. Imam
Bukhari Farmate Hain Ke Iski Hadees Nazar Aur Kalam Hai.
3. Imam Uqayli
Aur Ibn Hibban Isko Zuafa Mein Likhte Hain Aur Isko Munkar Hadees Kehte Hain
Aur Farmate Hain Ke Isse Ihtijaj Jaiz Nahi Kyunke Yeh Shakhs Aise Riwayatain
Bayan Karta Hai Jinki Koi Asliyat Nahi Hoti
4. Imam Ibn
Adi Farmate Hain Ke Iski Hadees Mehfooz Nahi Hai.
Lisaan Al-Mizan,
Jild 5, Safa 7.
5. Allama
Ibn Khaldun Apni Kitab Mein Farmate Hain Ke Imam Bukhari Ka Yeh Aitiraz Hai Ke
Jab Woh Kisi Ravi Ke Bare Mein Kehte Hain Ke Iski Hadees Me Nazar Hai To Uski
Riwayat Intehai Zaeef Hoti Hai.
Al-Muqaddimah,
Safa 318.
Doosri Baat
Yeh Ke Is Hadees Mein Sulayman Tayami Lafz “Hudistu” Ke Lafz Se Riwayat Bayan
Kartei Hai ,Ab Na Maaloom Ke Woh Rawi Kaun Tha, Kaisa Tha, Adil Tha Ya Faasiq,
Sahi Tha Ya Zaeef?
Kyoki Imam
Haakim Apni Musnad Ul Ki Tareef Bayan Karte Hue Likhte Hai Is Mein Ukhbar Tu
Aur Hadistu An Fala Na Ho
Ma'arif Ul-Uloom
Al-Hadees, Safa 19.
Teesri Baat
Yeh Ke Imam Baihaqi Ne Is Hadees Ko Mursal Kaha Hai Aur Ghair Muqallid Ke
Nazdeek Mursal Qabool Nahi Hoti. Aur Inhi Ke Ek Aalim Zuber Ali Zai Ne Zaeef
Hadees Ki Tareef Kuch Yun Farmayi Hai:
- "Har Woh Hadees Jisme Sahih Aur Hasan
Hadees Ki Sifat Mojood Na Ho To Woh Zaeef Hadees Hogi. Aur Iski Iqsaam Yeh
Hain: Mauzu, Munkar, Maklub, Shadh, Muallal, Muztarib, Mursal, Etc."
Nur Ul Aynen
Safa 60.
Lihazah Yeh
Hadees Khud Inhi Ke Usoolo Se Zaeef Hai.
【Daleel Number 8 Ka Jaiza】
Hazrat
Abdullah Bin Huzaifa Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Ke Unhone Ek Martaba
Namaz Padhi Aur Buland Awaaz Se Qiraat Ki. Toh Nabi Muhammad ﷺ Ne Farmaya,
"Aye Ibn Huzaifa Mujhe Na Sunao Balki Khuda Ko Sunao"
1. Kitab Ul-Qiraat,
Safa 55.
Is Hadees
Se Bhi Janab-E-Wala Ka Istidlal Baatil Hai Kyunke Iski Sanad Mein Ek Ravi Nu'man
Bin Rashid Hai Jinpar Kalam Hai.
1. Imam
Bukhari Farmate Hain Ke Inki Hadees Mein Bakasarat Wahm Hota Hai.
2. Imam
Ahmad Isko Munkar Hadees Bayan Karne Wala Kehte Hain.
3. Aur Farmate
Hain Iski Hadees Mein Iztiraab Hai.
4. Imam Abu
Dawood.
5. Imam
Nasa'i.
6. Imam Ibn
Mu'een.
7. Aur
Yahya Bin Saeed Yeh Sab Inko Zaeef Kehte Hain.
Lisaan Ul-Mizan,
Jild 3, Safa 237.
Doosri Baat,
Is Hadees Se Zara Bhi Pata Nahi Chalta Ki Ibn Huzaifa Imam Ke Peechay Hain Ya
Munfarid Hai, Lihaza Is Hadees Ko Daleel Banana Galat Hai.
【Daleel Number 9 Ka Jaiza】
Hazrat Ali Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Ke Wo Is Baat Ko Pasand Karte Aur Iska Hokum Dete Hai Thay Ki Imam Ke Peeche Zohar Aur Asar Ki Pehli 2 Rakato Mein Surah Fatiha Aur Iske Sath Dusri Surah Bhi Padhi Jaye Aur Pichli Do Rakaton Mein Sirf Surah Fatiha Padhi Jaye.
1. Sunan
Kubra Lil Bayhaqi, Jild 2, Hadith 2932.
2. Mustadrak,
Jild 1, Safa 239.
Jawab
Iska Jawab
Ye Hai Ke Is Rivayat Se Bhi Ghair Muqallid Hazraat Ko Koi Faida Nahi Kyunki Is Hadees
Ke Ek Ravi Sufyan Bin Hussain Hai Aur In Par Aimma-E-Jarh Wa Ta’deel Ne Kalam
Kiya Hai.
1. Imam
Ahmad Kehte Hain Ke Zahri Ki Rivayat Mein Wo Nihayat Zaeef Aur Kamzor Hain.
2. Yahya Bin
Kittaan Aur Ibn Mu’in Farmate Hain Ke Zahri Ki Rivayat Mein Ye Siqah Na Thay
3. Ibn Sa’d
Kehte Hain Ke Hadees Ki Rivayat Mein Inse Bohot Sari Khata Hoti Hai.
4. Aur Yehi
Baat Yaqub Bin Shaiba Ne Kahi.
5. Abu
Hatim Kehte Hain Inse Ehtijaz Jaiz Nahi.
6. Imam Ibn
Hibban Kehte Hain Ke Ye Imam Zahri Se Ulat-Pulat Hadeesein Bayan Karta Hai.
7. Imam
Nasa’i Kehte Hain Ke Ye Imam Zahri Ki Rivayat Mein Zaeef Hai.
8. Imam Ibn
Adi Kehte Hain Ke Ye Zahri Ki Rivayat Mein Qabil E Ihtijaj Nahi
Mizan, Jild
1, Safa 394
9. Hafiz
Ibn Hajar Likhte Hain Ke Zahri Ki Rivayat Zaeef Hai
Taqreeb, Safa
151
Jab Sufyan Bin
Hussain Ko Itne Aimma-E-Muhaddiseen Ne Zaeef Kaha Hai To H Phir Issey Istidlal
Baatil Hai.
【Daleel Number 10 Ka Jaiza】
Hazrat Abi Bin
Ka'b Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Ke Aap Imam Ke Peeche Qiraat Karte The.
1. Kitab Ul-Qiraat,
Safa 62.
Jawab
Iska Jawab
Ye Hai Ke Iski Sanad Mein Ek Zaeef Ravi Ziyad Bakai Hai, Iske Bare Mein
Muhaddiseen Ke Aqwaal Dekhein:
1. Imam
Nasa’i Kehte Hain Ke Wo Qawi Nahi Tha (Al Zuafa Safa 43)
2. Abu
Hatim Kehte Hain Ke Inse Ehtijaz Sahih Nahi Hai.
3. Ibn
Madini Aur Ibn Sa’d Isko Zaeef Kehte Hain (Mizan, Jild 1, Safa 357).
4. Ibn
Mu’in Kehte Hain Ke Hadees Mein Ye Qabil-E-Aitbaar Nahi.
5. Salih Ka
Bayan Hai Ke Wo Zaeef Hai.
6. Ibn
Hibban Isko Faahish Aur Kasir-Ul-Wahm Kehte Hain (Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 3, Safa
375).
7. Hafiz
Ibn Hajar Likhte Hain Ke Ye Kamzor Hai (Taqreeb, Safa 132).
Lihaza Is
Sanad Se Ye Hadees Zaeef Hai
Aur Yehi
Hadees Doosri Sanad Se Sunan Al Kubra Lil Bahaqi Jild 2 Hadees 2936 Manqul Hai Jiski
Sanad Mein “Abu Zafar Razi” Jiska Naam Isa Bin Abi Isa Hai Aur Yeh Zaef Hai.
1. Imam
Ahmad Aur Imam Nasa’i Kehte Hain Ke Wo Qawi Na Tha.
2. Ibn
Madini Isko Sahibe-Khata Kehte Hain.
3. Falash Isko
Kamzor Hafize Wala Kehte Hain.
4. Ibn
Hibban Kehte Hain Ke Mashhur Rawi Se Munkar Riwayate Bayan Karta Hai.
5. Abu Zarah
Kehte Hain Ke Wo Baksarat Wahm Ka Shikar Tha (Mizan, Jild 2, Safa 315).
6. Saaji Kehte
Hain Ke Wo Sahibe-Itqan Na Tha.
7. Ibn
Khirash Isko Kamzor Hafize Wala Kehte Hain.
8. Imam
Azli Kehte Hain Ke Wo Qawi Na Tha.
9. Hafiz
Ibn Hajar Isko Kamzor Hafize Wala Kehte Hain (Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 12, Safa
57).
Lihaza Is
Hadees Ke Dono Tareeq Nihayat Zaeef Hain Jis Se Fareeq-E-Sani Ka Istidlal
Baatil Thehrata Hai.
END Part 02
Part 03 Link
https://786sho.blogspot.com/2024/05/imam-kay-peeche-surah-fatiha-padhne-ki_57.html
No comments:
Post a Comment