Asslamu Alaykum , In sha ALLAH Ek Post May 1 Hadees Jisey Gair Muqallid Daleel Banate Hai Wo Pesh Karke Uska Radd Kiya Jayega.
Har Musalman
Yeh Janta Hai Kay Namaz Me Qiyam Kay Dauran Apne Sidhe Haath Ki Hateli Ko Oolte
Haath Ki Hateli Ki Pust , Gatte Aur Kalai Per Bandhna Sunnat Tarika Hai Jasper
Takreeban Har Musalman Ka Amal Hai Siwaye Imam Malik Aur Apke Muqallideen Kay
Wo Kehte Hai Kay Wo Haatho Ko Bandhne Kay Bajaye Chorna Sunnat Hai Lekin Jo
Hazrat Hatho Ko Bandhne K Qayal Hai Unka Is Baat Per Ikhtelaf Hai Ki Hatho Ko Seene
Per Rakha Jaye Ya Naaf Kay Upar Ya Phir Naaf Kay Niche.
Aye Sabse
Pehle Ullema E Arba Kay Mazhab Bayan Karte Hai , Taakey Baat Ko Samajhne Me
Asani Ho.
1) Imam Abu Hanifa , Imam Ahmed , Sufiyan
Sawri , Ishaq Bin Rahwiya , Abu Ishaq Maruji
Aur Mashur Tabai Hazrat Mujlaj Aur Ibrahim Nakhai Rehmatullah Alayhim
Wagaira Naaf Kay Niche Haath Bandhne Kay Qayal Hai Aur Yahi Hazrat Abu Hurrera
Radialla Taala Anhu Se Bhi Marwi Hai.
2) Imam Shafai Ek Riwayat Kay Mutabik
Imam Ahmed Aur Saeed Bin Jubair Rehmatulllah Alayhim Wagaira Seene Kay Niche
Naaf Kay Upar Hath Bandhne Kay Qayal Hai .
Al Mugni
Jild 1 Safa 281-82
Sharah Ul Mazhab
Jild 3 Safa 269
Aur Imam
Shafai Se Ek Riwayat Seene Per Hath Bandhne Ki Bhi Marw Hai.
Faiz Ul Bari
Jild 2 Safa 266
Khulasa Kalam
Yeh Ki Aimma E Arba May Say Kisi Ka Bhi Tareeka Seene Per Haath Bandhne Ka Nahi
Siwaye Imam Shafai Kay Aur Wo Bhi Mashur Nahi Hai Isi Ka Oolta Naaf Kay Niche
Haath Bandhne May Kaseer Aimma Wa Mashur Tabaeen Wa Sahaba Hazraat Ka Amal Hai
Jo Is Baat Ki Daleel Hai Ki Yeh Amal Hi Nabi ﷺ Ki Haqeeqi Sunnat Hai Jisko Ham In Sha ALLAH Aagay
Daleel Ki Roshni May Sabit Karege.
Lekin Gair
Muqallid Hazraat Seene Per Haath Bandhne Ne Qayal Hai Aur Baaki Sab Tareeka Ko
Naqis Aur Bekar Samajhte Hai Aur Is Per Itna Shor Macha Rakha Hai Ki Gair
Muqallid Mazhab Ki Awam Toh Kya Acche Acche Alim Bhi Iske Khilaf Wale Tareeke
Ko Najayaz Aur Haram Kehte Phirte Hai Aur Daleel Kay Taur Per Kuch Hadeesein
Pesh Karte Hai Aur Yeh Dawaah Karte Hai Ki Yeh Hadees Sahi Ul Sareeh Aur Marfuh
Hai Aur Yahi Nabi ﷺ Ki Haqeeqi Sunnat
Hai.
Daleel 01. Sahih
Bukhari Wali Hadees Ka Haal.
Hazrat Sahl
Bin Sa’ad Radialla Taala Anhi Riwayat Karte Hai Ki Logo Ko Hukm Diya Jata Tha
Ki Wo Namaz Me Apne Daye Haath Ko Baye Haath Darag Per Rakhe Aur Abu Khazim
Kehte Hai Ki Mujhe Toh Sirf Aur Sirf Yahi Malum Hai Ki Hazrat Sahl Bin Sa’ad
Radialla Taala Anhu Ne Isey Nabi ﷺ Tak
Pahuchaya.
Sahih
Bukhari Jild 1 Hadees 740.
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ أَبِي حَازِمٍ، عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، قَالَ كَانَ النَّاسُ يُؤْمَرُونَ أَنْ يَضَعَ الرَّجُلُ الْيَدَ الْيُمْنَى عَلَى ذِرَاعِهِ الْيُسْرَى فِي الصَّلاَةِ. قَالَ أَبُو حَازِمٍ لاَ أَعْلَمُهُ إِلاَّ يَنْمِي ذَلِكَ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم. قَالَ إِسْمَاعِيلُ يُنْمَى ذَلِكَ. وَلَمْ يَقُلْ يَنْمِي.
Gair
Muqallid Hazraat Ba Kasrat Is Hadees Say Istedlal Karte Hai Jab Siddha Haath
Baye Darag Per Rakhege Toh Haath Khud Ba Khud Seene Per Ajayegay Lekin Gaur
Muqallid Ka Yeh Faham Mahaz Dhoka Hai Jisey Hum Aagay Tafseel Se Zikr Karege
Is Riwayat
Me 2 Hissey Ka Zikr Hai.
1) 1 Hath
2) 2 Darag Ka
Haath Kaha Se Kaha Tak
1) Lugat Ki Mashur Kitab Lisan Ul Arab
Me Hai “Haath Ungliyo Kay Kinare Say Lekar Hatheli Tak Hai ( Lisan Ul Arab Jild
15 Safa 419)
2) Yahi Baat Allama Murtuza Zubaidi Nay
Kahi (Taj Ul Urus Jild 40,Safa 337)
3) Allama Abul Hasan Ali Bin Ismail
Apni Kitab May Likhte Hai Ki “Haath Hatheli Ko Kehte Hai Aur Abu Ishaq Nay
Farmaya Haath Ungliyo Kay Kinare Say Lekar Kandho Tak Hai (Al Muhkam Wal Muhitul
Azam , Jild 9 , Safa 363)
4) Yahi Baat Allam Harwi Ne Likhi Hai
(Tehzib Ul Lughat ,Jild 11, Safa 350)
Ullema Ki
Tashrihat Se Malum Hua Ki Lafz Haath Kabhi Sirf Ungliyo Kay Kinare Say Lekar
Hatheli Tak Toh Kabhi Ungliyo Kay Kinare Say Lekar Kandhe Tak Istemal Hota Hai.
Lekin Jab
Lafz Hath Baju Kay Dusre Hisso Kay Saath Istemal Hoga Toh Issey Murad Ungli Kay
Kinare Say Lekar Gatt Tak Hatheli Hogi , Is Riwayat May Yeh Lafz Darag Kay
Saath Istemal Hua Hai Aur Jab Hum Baju Kay Hisso May Say Darag Ka Mahal Malum
Karlege Toh Riwayat Ko Samajhne Me Asani Hogi ,Lihaza Pehle Darag Kay Baare May
Jante Hai.
Darag Kaha Se Kaha Tak
1) Mashur Lughat Al Munjad May Hai “Kohni
Say Lekar Ungli Kay Darmiyani Seeray Ka Hissa Darag Hai (Munjad Safa 351)
2) Mashur Arabi Lughat Lisan Ul Arab
May Hai “Kohni Kay Seeray Say Lekar Ungli Kay Darmiyani Seeray Ka Hissa Darag
Hai (Lisan Ul Arab Jild 2 Safa 77)
Jab Humne Haath
Aur Darag Ki Hadd Malum Karli Toh Ab Is Hadees Ko Samajhna Bhi Asan Hogaya.
1) Haath: Ungliyoi Kay Seeray Say Lekar
Gatt Tak Hota Hai
2) Darag: Kohni Say Lekar Haath Ki
Darmiyani Ungli Kay Kinare Tak Hota Hai
Is Hadees
May Farmaya Gaya Hai Ki Daye Haath Ko Baye Darag Per Rakho Lekin Masala Yeh Hai
Ki Haath Mukammal Darag Per Nahi Aasakta Kyuki Darag Haath Say Badi Hai Akhir
Haath Ko Darag Kay Kaunse Hisse Per Rakhna Hai Kyuki Is Riwayat May Wo Jagah
Toh Batai Nahi Gai Isliye Imam Ibn Hajar Asqalani Farmate Hai Ki “Darag Ka
Muqam Mubham Hai Ki Haath Darag Kay Kiss Hisse Per Rakha Jaye. ( Fath Ul Bari
Jild 2 Safa 178)
Agar Gatt
Per Rakh Kar Dekha Jaye Tab Bhi Haath Mukammal Darag Per Nahi Aa Raha Jissey
Hadees Wali Darag Murad Ho Aur Yeh Ho Bhi Nahi Sakta Kyuki Mukammal Darag Per
Toh Haath Aya Hi Nahi, Dusri Surat Yeh Hai Ki Agar Haath Ko Gatt Say Thodi
Aagay Kohni Ki Janib Rakh Kar Dekha Jaye Jaise Gair Muqallid Hazraat Karte Hai
Toh Haath Darag Per Nahi Balke Daye Darag Ki Baye Darag Per Rakhna Lazim Ayega
Jo Ki Khilaf E Sunnat Hai Kyuki Darag Per Darag Rakhna Ka Hokum Nahi Balke Haath
Ko Darag Per Rakhne Ka Hokum Hai Isliye Hume Manna Padega Ki Yeh Darag Ka Aisa
Hissa Hai Jisper Haath Rakhne Say Darag Per Haath Rakhna Malum Ho Naaki Darag
Per Darag.
Yaani
Haqeeqat Yeh Hai Ki Is Riwayat May Haath Darag Kay Jis Hissey Per Rakhe Jaane
Chahiye Wo Hissa Na Malum Hai Toh Is Hadees Ko Samajhne Kay Liye Hume Gair
Muqallido Ki Rai Wa Qaya Ko Chodkar Koi Aisi Hadees Jo Sahih Ul Sareeh Marfu Ho
Talash Karni Chahiye Jisme Darag Ko Wo Hissa Malum Hojaye Jaha Per Haath Rakha
Jana Hai .
Hadees:
Tarjuma: Hazrat
Wayl Bin Hajar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Nay Apna Daya Haath Baye Haath Ki Pusht,
Gatte, Aur Kalai Per Rakha.
1) Sahih Ibn Khuzayma Jild 1 Hadees 480
2) Sahih Ibn Hibban Jild 5 Hadees 1860
3) Sunan Nisai Jild 1 Hadees 892
4) Sunan Kubra Jild 1 Hadees 965
5) Ibn Munjar Fee Ausat Jild 3 Hadees 1289
6) Sunan Bayhki Jild 2 Hadees 2325
7) Musnad Ahmed Jild 8 Hadees 19075
Imam Nawawi
Kehte Hai Yeh Hadees Sahih Hai.
1) Tehzeeb Ul Asma Wal Lughat Jild 2
Safa 165
2) Majmua Sharah Al Mazhab Jild 4 Safa
379
Is Riwayat Ki
Sanad : 1 Abu Tahir 2 Abu Bakr 3 Muhammad Bin Yahya 4 Muawiya Bin Umro 5 Zaid 6
Asim Bin Kulayb 7 Kulayb
Albani Ne
Kaha Iski Sanad Sahih Hai Aur Imam Nawawi Aur Ibn Kayyum Ne Kaha Yeh Hadees
Sahih Hai Aur Imam Ibn Khuzayma Aur Imam Ibn Hibban Nay Isey Apni Sahih May
Jama Kiya Hai Aur Kaha Iske Rijal Siqah Aur Sanad Sahih Hai.
Sahih Abu
Dawud Lil Albani Jild 3 Safa 315
Lihaza Sahl
Ibn Sa’ad Radialla Taala Anhu Ki Riwayat Aur Is Riwayat Ko Apas May Tatbeek
Dene Say Sabit Hoga Ki Yaha Baye Darag Say Murad Baye Haath Ki Pusht, Gatt, Aur
Kalai Hai.
Aur Issey
Darag Per Haath Rakhna Bhi Lazim Aajayega Kyuki Jab Hum Anghute Kay Paas Wali
Hatheli Ko Baye Haath Ki Gatt Per Rakhege Toh Daye Haath Ki Ungliya Baye Haath
Ki Kohni Ki Janib Kalai Per Aur Daye Haath Ki Gatt Aur Kalai Baye Haath Ki
Pusht Per Hogi Jissey Darag Per Haath Rakhna Lazim Ayega Aur Dono Hadeeso Per
Bhi Amal Hojayega Jissey Ahnaf Ka Amal Bil Hadees Saaf Wazeh Hojata Haiaur Is
Tareeke Per Amal Karne Kay Baad Jab Hum Apne Haatho Ko Bilkul Dheela Choddege
Toh Haath Khud Ba Khud Naaf Kay Niche Ajayega.
Sahih
ReplyDeleteal-Bukhari 2543
Narrated Abu Huraira:
I have loved the people of the tribe of Bani Tamim ever since I heard, three things, Allah's Messenger () said about them. I heard him saying, These people (of the tribe of Bani Tamim) would stand firm against Ad-Dajjal." When the Sadaqat (gifts of charity) from that tribe came, Allah's Messenger () said, "These are the Sadaqat (i.e. charitable gifts) of our folk." `Aisha had a slave-girl from that tribe, and the Prophet )ﷺ( said to `Aisha, "Manumit her as she is a descendant of Ishmael (the Prophet).
Ibn 'Abd al-Wahhab belonged to the Bani Tamim tribe. He was born in Uyayna village near the town of Huraimila in the Najd Desert in 1111 A.H. (1699) and died in 1206 (1792
Jab apki Banu tamim wali Hadith hum wahabio ko dikhate hai to iske jawab me wahabhi hume ye Hadith dikhate hai barae Karam ispe jawab dijiye