Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 24 May 2022

,

Aurat Ki Namaz Mardo Se In Arkan Me Juda Hai

 

Shariat E Islamiya K Ehkam Khudawandi K Mukhatib Mard Aur Aurat Dono Hai , Jis Tarah Arkan E Islam Mard Per Lagu Hote Hai Thik Usi Tarah Aurat Per Bhi Lagu Hote Hai , Lekin Islam Me Aurat K Parde Ka Khayal Har Maqam Per Rakha Gaya Hai Aur In Arkan Ki Adayegi Me Islam Ne Aisa Intezam Kiya Hai Ki Aurat Mukammal Perde Me Mehfuz Rehsake ,Islam Me Iman K Baad Sabse Badi Nemat Namaz Hai Aur Iski Adayegi Me Mard Wa Aurat Dono Ki Namaz Ka Tarika Alag Hai.

Ahadees E Mubarak Ki Taraf Ruju Karte Hai .


 

Aurat Namaz Shuru Kare Toh Seene Tak Haath Uthaye 

·         Hazrat Wayl Bin Hujr Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Me Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Khidmat Me Hazir Hua Toh Aap Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Mujhe Farmaya Aye Wayl Bin Hujr Jab Tum Namaz Padho Toh Kano K Barabar Apne Haatho Ko Uthao Aur Aurat Apne Haatho Ko Chathi K Barabar Uthaye.

Muazzam Ul Kabir , Jild 22 , Safa 19 , Hadees 28

Muazzam Ul Zawaid Lil Haismi , Jild 2 , Hadees 2594

Jame Ul Hadees Lil Suyuti , Jild 23 , Hadees 26377

 

Aurat Ka Seene Per Haath Bandhna

·         Hazrat E Ata Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki Aurat Apne Qayaam Me Hatho Ko Jitna Upar Karsakti Hai Kare.

Musannaf Abdur Razzaq  , Jild 3 ,  Hadees 5067.

·         Aur Allama Abdul Hayi Lucknowi Hanfi Likhte Hai Ki Aurto K Liye Sabka Ittefaq Hai Unke Liye Sunnat Haatho Ko Seene Per Bandhna Hai.

Al Sa’aya , Jild 2 , Safa 156.

 

Aurto Ka Sajda Karne Tarika

·   Hazrat Yazeed Bin Abi Habib Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam 2 Aurto K Karib Se Guzre Jo Namaz Adaa Karrahi Rahi Thi Toh Aap Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Jab Tum Sajda Karo Toh Apne Jism Ka Kuch Hissa Zameen Se Mila Liya Karo Kyuki Aurat Ka Hukum Isme Mard Ki Tarah Nahi.

Mursal Abi Dawud , Safa 191 , Hadees 89

Sunan Al Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3201



Jame Ul Hadees Lil Suyuti , Jild 3 , Hadees 2110

Talkhisul Habeer , Jild 1 , Safa 394

 

·  Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Ki Jab Aurat Namaz Me Baithe Toh Apni Ek Raan Ko Dusri Raan Per Rakhe Aur Jab Sajda Kare Toh Apna Pait Apni Raano Se Milaye Jo Ki Iske Liye Zyada Parde Ki Halat Hai Aur ALLAH Taala Uski Taraf Dekhta Hai Aur Fermata Hai Aye Malaika Gawah Hojao Mene Is Aurat Ko Baksh Diya.

Sunan Al Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3199



Al Kamil Li Ibn Adi , Jild 2 ,Hadees 399

Jame Ul Hadees Lil Suyuti , Jild 3 , Hadees 1759

Kanzul Ummal Hadees 20199

 

· Hazrat Ali Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Aurat Jab Sajda Toh Apni Raano Ko (Pait Se) Milaye

Musannaf Abdur Razzaq , Jild 3 , Hadees 5072

Sunan Al Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3197

Musannaf Ibn Abi Shayba , Jild 1 , Hadees 2793



 

·Hazrat Ibrahim Nakhai Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki Aurat Jab Sajda Karegi Toh Apni Rano Ko Pait Se Milayegi Aur Apni Sureen Ko Upar Nahi Uthayegi Aur Naahi Sajde Me Mardo Ki Tarah Apne Haatho Ko Khinch Kar Ucha Karegi.

Musannaf Ibn Abi Shayba , Jild 2 , Hadees 2798 



Aurat Ka Kayde Me Baithne Ka Tareeka

·         Hazrat Abu Saed Khudri Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Mardo Ko Hukum Farmate The K Sajdo Me Apni Rano Ko Apne Pait Se Juda Rakhe Aur Aurto Ko Hukum Dete Ki Simat Kar Sajda Kare Aur Mardo Ko Hukum Dete Ki Tashahud Me Baye Pair Bichakar Usper Baith Jaye Aur Daye Pav Ko Khada Rakhe Aur Aurto Ko Hukum Dete Ki Char Zanu Baithe.

Sunan Al Kubra Lil Behki , Jild 2 , Hadees 3198

 

·         Hazrat Nafe Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Se Kisi Ne Pucha K Daur E Nabuwat  Me Aurat Kistarah Namaz Padhti Thi Toh Apne Farmaya Pehle Wo Char Zaanu Hokar Baithti Thi Phir Unhe Simat Kar Baithne Ka Hukum Diya Gaya.

Musnad Abu Hanifa Lil Harisi , Safa 40 , Hadees 79

Jame Ul Musanid , Jild 1 ,  Safa 400

 

 

·         Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Aurto Ki Namaz K Mutalik Pucha Gaya Toh Apne Farmaya Khub Simat Kar Namaz Padhe.

Musannaf Ibn Abi Shayba , Jild 1 , Hadees 2794



·         Hazrat Nafe Rehmatullah Alayh Farmate Hai Ki Hazrat Safiya Radialla Taala Anha Jo Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Ki Biwi Hai , Namaz Me Char Zaanu Hokar Baiththi Thi.

Musannaf Ibn Abhi Shayba , Jild 1 , Hadees 2800


·         Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Apni Sureen Per Baithti Thi Aur Apni Rano Ko Milati Thi Aur Baaz Awkat Char Zanu Baithti Thi.

Ibn Rajab Fee Fath Ul Bari , Jild 5 , Safa 152-153.

 

Namaz Me Aurto Ko Sir Per Dupatta Lapetna Zaruri Hai

·         Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Farmati Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Baligh Aurat Ki Namaz Bina Dupatta K Kabul Nahi Hoti .

Sunan Abi Dawud , Kitab Us Salat , Jild 1 , Hadees 638

Sunan Tirmizi , Kitab Us Salat , Jild 1 , Hadees 358

 

Aurto Ko Ghar Me Namaz Padhne Me Zyada Sawab Hai

·         Hazrat Abdullah Ibn Masud Radialla Taala Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya ALLAH K Nazdeek Aurat Ki Sabse Pasandida Namaz Wo Hai Jisey Wo Andheri Kohtri Me Adaa Karti Hai.

Sahih Ibn Khuzeyma , Jild 3 , Hadees 1691


·         Ummul Momineen Hazrat Umme Salama Radialla Taala Anha  Riwayat Karti Hai Ki Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Aurat K Namaz Padhne K Liye Sabse Behtareen Jagah Unke Gharo K Tehkhane Hai.

Musnad Ahmed , Jild 12 , Hadees 27077

Sahih Ibn Khuzeyma , Jild 3 , Hadees 1683

Mustadaral Al Hakim , Jild 1 , Hadees 759

 

·         Hazrat Umme Humayd Radialla Taala Anha Riwayat Karti Hai Ki Mene Huzur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Bargah Me Hazir Hokar Arz Kiya Ya Rasul ALLAH Me Apke Saath Namaz Padhna Pasand Karti Hu, Toh Apne Farmaya Me Janta Hu Ki Tum Mere Saath Namaz Padhna Pasand Karti Ho Lekin Tumhara Ghar K Andruni Kamre Me Namaz Padhna Bahar K Kamre Me Namaz Padhne Se Behter Hai Aur Bahar K Kamre Me Namaz Padhna Sahan Me Namaz Padhne Se Behter Hai Aur Sahan Me Namaz Padhna Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Behter Hai Aur Tumhara Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhna Meri Masjid Me Namaz Padhne Se Behter Hai , Rawi Kehte Hai Ki Phir Umme Humayd Ne Apne Ghar K Ek Kone Me Masjid Banane Ka Hukum Diya Aur Jab Tak Zinda Rahi Usi Kone Me Namaz Padhti Rahi.

Musnad Ahmed , Jild 12 , Hadees 27630

Sahih Ibn Khuzeyma , Jild 3 , Hadees 1689

Sahih Ibn Hibban , Hadees 2214

 

Meri Islami Behno Se Guzarish Hai Ki Apni Namaz Ko Hukum Rasul ALLAH Swallallahualaihiwasallam K Mutabik Durust Karne Ki Koshish Kare

Wallah Hu Alam Bil Sawab

 

 


Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers