Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Dua Zikr Azkar Astagfar



“Aye Imaan Walo Allah Ko Bahot Zyada Yaad Karo”
(Surah Al Ahzab Ayat 41)
الَّذينَ آمَنوا وَتَطمَئِنُّ قُلوبُهُم بِذِكرِ اللَّهِ ۗ أَلا بِذِكرِ اللَّهِ تَطمَئِنُّ القُلوبُ
“Jo Imaan Laaye Aur Unka Dil Allah ki  yaad  se chain paata hai Sunlo Allah ki yaad se dil chain paata hai”
(Surah Al Ra’d Ayat 28)
فَاذكُروني أَذكُركُم وَاشكُروا لي وَلا تَكفُرونِ
To Tum Mujhe Yaad Karo Mai Tumhe Yaad Karunga Aur Mera Shukr Ada Karo Aur Meri Naa Shukri Na Karo
(Surah Al Baqarah Ayat 152) 


Allah ta’ala Qur’an sharif me farmata hai ke
Aye mo’mino, tum zyada se zyada mera zikr karo ya’ni mujhe yaad karo.
Kyun ke mo’min banda apne Rabb ko mohabbat ke saath yaad karta hai to uske dil ko zaroor sukoon milta hai.
Mo'min kabhi ALLAH aur uske RASOOL sallalahu alaihi wasallam ke zikr se thakta nahi.
Wo kamyab ho gaya jisko zikr karne aur sunne me khushi milti hai.
Mo’min hamesha dil me khaufe khuda rakhkar har gunah se bachne ki koshish karta hai.
Aur Allah ta’ala zikr karne wale aur shukr ada karne wale bando ko aisi izzat ata farmata hai ke zameen par insano me bhi aur aasmano me farishto ke darmiyan bhi uska zikr buland kar deta hai.
Use Allah ta’ala aise kamaalat ata farmata hai ke wo jo chahta hai ya kehta hai wo Allah ta’ala ata faramata hai aur uski har nek jaiz duao ko Allah ta’ala qubool farmata hai. Wo jiske liye dua karta hai use uski murade mil jaati hai. Unke waseele se dua karne wale ki dua bhi Allah ta’ala qubool farmata hai.
ALLAH aur uske RASOOL sallalahu alaihi wasallam ka zikr 3 tareeqe se hota hai :

1) Lisani – Zaban se Allah ta’ala ka zikr karna ya’ni Allah ta’ala ke Asma e husna, Hamdo sana, Kalma, Tawhid wa Tamjeed. Tasbih wa Taqdees, Takbeer wa Tahleel, Ta’auz wa Tasmiyah padhna.
(2) Qalbi – Dil me Allah ta’ala ka zikr karna, uski Hamdo sana karna, Allah ta’ala ke Asma e husna, uski sifaat, uski qudrat, uske ehsan yaad karna.
(3) Jismani – Har waqt dil me ye khayal rakhna ke Allah mujhe dekh raha hai.
Allah ta’ala ki raza ke nek amal karna aur har gunah se bachne ki koshish karna.
Allah ta’ala ki raza ke liye kiya gaya koi bhi nek amal Allah ta’ala ke jismani zikr me samil hai.
Jaise kisi hajatmand insan ki imdad karna ya kisi ki taklif door karna.
Raste par se kankar-patthar ya kaante ya najasat door karna ke koi aane jaane wale ko taklif na ho.
Talibe ilm ki imdad karna.
Ilme deen sikhna aur Doosro ko sikhana aur nek amal karne ke liye samjhana.
Likhkar Allah ta’ala ka zikr karna ye Zikre jismani me samil hai.
Mo’min ko chahiye ke Fb par bhi zikre ilahi karta rahe.
Jab koi achi bat padhe ya sune to ‘Subhan Allah’ likhe ya padhe,
Koi achi chiz ya photo dekhe to ‘Masha Allah’ likhe ya padhe,
Koi herat wali baat padhe ya sune to ‘Allahu akbar’ likhe ya padhe,
Kisi bad-mazhab ya kaafir ki galat-fehmi wali baat sune ya padhe to ‘Ma’az allah. Astagfirullah’ padhe aur likhe.
Jab koi nek kaam karne ka irada kare to ‘Insha Allah’ likhe ya kahe,
Jab koi dua padhe to ‘Aameen’ likhe ya kahe,
Jab koi nek amal ki ya sahi ilme deen ki baat sune ya padhe to ‘Jazakallah’ likhe ya kahe.
Sirf ‘Like’ karne se bhi neki milegi.
Aur ye sab likhne se insha allah zikre ilahi ka sawab milta rahega.
Ye chhoti chhoti nekiya Roze mehshar ko kaam aaengi.
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me sab ko sahi tareeqe se zikre ilahi karne ki aur nek amal karne ki taufiq ata farmae aur use qubool farmae aur sab ko dunya aur aakhirat me bhalai ata farmae.

Aameen.
Post 01 :

subhanallahi wa bihamdihi hadith Fazilat CLICK HERE TO READ 


Post 02 rabbana atina fi d-dunya ḥasanatan wa-fi l- akhirati ḥasanatan wa-qina CLICK HERE TO READ: 

Post 03 : 
SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR WA LA HAWLA WA LA QUWWATA ILLA BILLAH AL-'ALI AL-'ADHEEM'

SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR   
CLICK HERE TO READ

3 comments:

  1. Masha allah bahot hi achha ilm bata rahe ....Allah apko aur taufiq de rabbi zidni ilma

    ReplyDelete
  2. Subhan Allah. Boohut acha Topic hai tarif kay liye alfaz nhi hai

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers