Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 22 May 2020

,
بسم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Baab 02 : Namaz Me Rukh Qible Ki Janib Karna Namaz Ki Shuruwat hoti hai niyat se aur phir Qibla rukh hokar namaz ada karna hai isme kisi firqe ka ektelaf bhi nahi lihaja hum is unwaan me sirf ek hadees e paak naql karke aage kay ekhtelafi unwaan ki taraf badh jaynge. Hadees 01 :
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Nabi E Karim ﷺ Ne Waju Kay Baad Taqbeer Kahne Aur Qible Ki Taraf Rukh Karne Ka Hukm Farmaya” (Sahih Bukhari, Kitab Al Aistidhan, Hadees : 6251)
{Taqbeer E Tahrima Kay Haath Kano Tak Uthana, Niyat Bandhte Waqt haath kahan Tak Uthana Hai, Kaano tak Haath Uthana}

Baab 03 : Taqbeer E Oula Kay Waqt Haath Kaano Tak Uthana Niyat Qibla rukh karne kay baad ab masla aata hai Niyat bandhte waqt taqbeer e Oula ka - haath ko kaha tak uthana Hai ? Is baab ko hum do hisse me taqseem karte hai awwal hamare dalail pe dusra unwaan Wahabiyo kay dalail kay jawab me,
Hum Ahle Sunnat Wa Jamat Haatho ko Kaano ki Lau tak lejane ko Sahih Sunnat tarika kahte hai jiski dalil bhi hum aage pesh karenge lekin mukhalifeen Wahabi firqa Taqbeer E Oula kay waqt aurato ki manind haatho ko KANDHE tak le jaane ko Sunnat kehta hai aur hadh to ye hai kay jo Sahih Aqeedah Musalman haath ko kaano ki Lau tak lekar jaate hai unhe biddati kahne se bhi gurez nahi karte yaani sirf apni dalail dekh lena aur dusre ki dalil tak naa dekho aur faisla kardo bhala ye kahan ka insaaf hai ? 

HAATH TAQBEER E OULA (TAHREEMAH) KAY WAQT KAAN KI LAU TAK UTHANE KI DALIL
Hazrat Maalik Ibn Huwairish Radiallahu Anhu Ki Marvi Rivayat

Hadees 01 :  "Hazrat Maalik Ibn Huwairish Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Farmate Hai Maine ALLAH kay Rasool ﷺ Ko Dekha Yahan Tak kay Aap ﷺ Apne Dono Haatho Ko Kaano Ki Lau Kay Barabar Uthaya"
(Sahih Muslim,Kitabus Salat,Hadees : 861)
(Imam Ahmad ibn Hanbal Al Musnad Vol : 06, Hadees : 15685)
Hadees 02 :
“Hazrat Malik Ibn Huwairish Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai
Nabi E Karim
Jab Takbeer E Tahrima Kahte To Apne Dono’n Haatho Ko Kano kay karib tar uthate”
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Iqama Salat, Hadees : 859,979)
(Sunan Nasai, Kitab Al Aiftitah,Hadees : 880,1025)


Hazrat Wa’il ibn Huzr Radiallahu Anhu Ki Rivayat Hadees 03: عَنْ فِطْرٍ، عَنْ عَبْدِ الْجَبَّارِ بْنِ وَائِلٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ ﷺ يَرْفَعُ إِبْهَامَيْهِ فِي الصَّلاَةِ إِلَى شَحْمَةِ أُذُنَيْهِ
Hazrat Wa’il ibn Huzr kay shahabzade Farmate Hai Maine Nabi E Akram ﷺ Ko Dekha Nabi ﷺ Namaz Me Apne Anghute ko Kaano Ki LAU Tak Le jaate they.
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Baab : Ifteta’yi Salati, Hadees: 736)

Hadees 04 : 
عَنْ أَبِيهِ، عَنْ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ، قَالَ رَأَيْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم حِينَ افْتَتَحَ الصَّلاَةَ رَفَعَ يَدَيْهِ حِيَالَ أُذُنَيْهِ
Hazrat Wa’il ibn Huzr Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Farmate hai Maine Rasool E Karim ﷺ ko dekha Jab Namaz Shuru Karte to Apne Haatho ko kaano ki lau tak le jaate.
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Hadees :728, 957)
GM Shaykh Albani ne isko Sahih Kaha.

Hadees 05:
Hazrat Wa’il ibn Huzr Radiallahu Anhu Bayan karte hai kay Madina E Munawwara Aaya to maine (dil me) ye khayal kiya hai Kay Mai Nabi E Karim
Ki Namaz ko bagaur dekhunga,
Nabi E Karim Ne Allah-o-Akbar kaha Aur Haath uthaya hatta kay maine dekha Kay Aap ka Anghuta aapke kaano kay karib dekha”
(Sunan Nasai, Kitab-ut-Tatbeeq, Hadees : 1103)
(Sunan Nasai, Kitabut Iftaah, Hadees : 889)
(Sunan Nasai, Hadees : 1265)
(Sunan Ibn Majah, Kitab Iqamasalat, Hadees : 867)

Hadees 06 :
Hazrat Wa’il ibn Huzr Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Farmate hai Maine Rasool E Karim ﷺ ko dekha Jab Namaz Shuru Karte to Apne Haatho ko buland Karte taqbir kahte yahan tak kay Aapka haath kaano tak  hota
(Sahih Muslim, Kitabus Salat, Hadees : 401)

Hazrat Bara ibn Al Azib Radiallahu Anhu Ki Marvi Rivayat 
Hadees 07 : 
“Hazrat Bara ibn Al Azib Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Wo Farmate Hai Maine Nabi E Akram Ko Dekha Kay Jab Aap Namaz Shuru karte to apne dono haath Mubarak Kaan kay karib tak uthate phir rafayden naa karte”
(Sunan Abu Dawood, Kitab As Salat, Hadees : 750)
Hazrat Qatada Radiallahu Anhu Ki Marvi Rivayat 
Hadees 08:
عَنْ قَتَادَةَ، بِهَذَا الإِسْنَادِ أَنَّهُ رَأَى نَبِيَّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَقَالَ حَتَّى يُحَاذِيَ بِهِمَا فُرُوعَ أُذُنَيْهِ
Hazrat Qatadah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Namaz Me Haatho Ko Kaano Ki Lau tak Le jaate.
(Sahih Muslim, Kitabus Salat, Hadees : 763)
Ye kuch hadees humne pesh ki hai haatho ko kaano ki lau tak laane par warna qutoob e hadees me aur bhi rivayat hai ab jinke dil me nifaq hai wo kaise manenge aur jinhe maan na hai unke liye ek hi hadees kafi hai, Yahan gair muqallideen ek hadees pesh karte hai yahan hum us hadees ko pesh karke jawab likhenge taaki masla samajh aajaye Gair Muqallideen Ki Pesh Karda Dalil Hadees 09 : “Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Pahli Taqbeer Kahi aur Apne Dono Haatho ko Kandho Tak Uthaya” (Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 736, 738) (Sunan Abu Dawood, Kitab As Salat, Hadees : 722) (Sunan Ibn Majah, Kitab Iqamat As Salat Wa Sunnah, Hadees : 858) (Sunan Nasai, Kitabul Iftetah, Hadees : 1026 - Raavi Salim ibn Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu) Hadees 10 : "Hazrat Imam Zuhri Radiallahu Anhu ne Hazrat Ibn Juraiz Radiallahu Anhu Se Rivayat ki Wo Farmate hai Jab Nabi E Karim Namaz kay liye khade hote to apne Kandho tak uthate aur taqbeer kahte"
(Sahih Muslim, Kitab-us-Salat, Hadees : 790)
Hadees 11: "Hazrat Abu Humaid As Saidi Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Jab Taqbeer farmate to apne haath mubarak ko kandho kay muqabil karte"
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 828) (Sunan Abu Dawood, Kitab Us Salat, Hadees : 790) (Sunan Nasai, Kitabus Sahu, Hadees : 270) (Sunan Tirmizi, Kitab Us Salat, Hadees : 270)
Yehi Rivayat aur bhi sanado se marvi hai maloom huwa kay Kandho tak haath uthana Sunnat hai aur kaan tak uthana khilaf e sunnat hai. Al Jawab : Asal me ye dono rivayato ko samajhne ka fer hai hum ahle sunnat wa jamat ahnaf kay liye koi mushkil nahi hai hamara amal ye dono hi hadees e paak par hai aur ye hadees ka maana ghair muqallideen ne galat liya hai, i) Agar koi shaksh Kaan ki lau tak haath ko uthaye to uska haath khud ba khud kandho kay upar bhi jayega aur uska amal dono hadees pe hi hai, Alhamdullilah jo hum Ahle Sunnat Wa Jamaat Ahnaf ka mazhab hai. ii) koi shaksh sirf kandhe tak haath uthaye to bazahir wo ek hadees pe to amal karta dikhaye deta hai magar kaan tak haath lejane ka wali rivayaton ka inkaar karta hai, iii) Hadees e pak ko samajhne me fer huwa hai wahabiya ko yaani Sahaba E Kiram haath ko is tarah uthate kay wo kaan tak anghuta jaata aur bazahir wo haath kandhe tak dikhta lihaja naa to yahan tazaad hai aur na inpar amal mushkil hai aur ahnaf ka amal bilkul saaf hai kay kaano ki lau tak anghuta le jate hai aur dono par amal hojata hai Alhamdullilah. iv) Hamara ghair muqallideen ko challenge hai koi ek marfu hadees aisi dikha dikhao jisme yeh ho kay Huzoor Nabi E Akram ﷺ  sirf Apna anghuta Mubarak apne kandho tak uthate ho
v)Hum likh dete hai nahi laa sakte kyuki jahan jahan Kandho ka zikr hai wahan haath irshad farmaya gaya hai, aur jahan kano ka wahan anghuta farmaya gaya.
vi) In dono tarah ki rivayato se maloom huwa kay haath is tarah uthate kay anghuta kaan mubarak tak pahuch jata tha aur yehi ahnaaf ka amal hai, Alhamdullilah. 


Raising Hand Till Ear 
Namaz Me Kano Tak Haath Uthana 
Haath Ko Kano Ki Lau Tak Uthana Sunnat hai 
Niyat Karte Waqt Haath Ko Kano Tak Uthana

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance at your prayer

Monday 18 May 2020

,
Tawassul : Sahih Bukhari Hadees 1010 per Tafseeli Bayan



ALLAH Taala Nay Mujhe Taufeeq Ataa Ki  , Kay May Is Hadees Per Kuch Tafseel Bayan Karu.

Awam Pehle Yeh Samajhlay Kay Khud Say Quran O Hadees Samajhna Gumrahi Hay.

Quran Shareef Me Yun Zikr Hay .

Surah Ambiya Ayat 07:

وَ مَاۤ اَرْسَلْنَا قَبْلَكَ اِلَّا رِجَالًا نُّوْحِیْۤ اِلَیْهِمْ فَسْــٴَـلُوْۤا اَهْلَ الذِّكْرِ اِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَ(۷)

Tarjuma Kanzul Iman :

“Aur Humnay Tumsay Pehlay Na Bhejay Magar Mard Jinhay Hum Wahi Kartay Toh Aye Logo Ilm Walo Say Pucho Agar Tumhay Ilm Na Ho”

Hadees :

حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلاَنَ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ السَّرِيِّ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، رضى الله عنهما قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏

Tarjuma :
Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai K NABI صلی اللہ علیہ وسلم Nay Farmaya Jo Shaks Bagair Ilm Kay Quran Kay Baare May Kahe To Wo Aag May Hai.

Jame Trimidhi Hadees 3204 : Yeh Hadees Hasan Sahih Hay

Hadees :

حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بْنُ وَكِيعٍ، حَدَّثَنَا سُوَيْدُ بْنُ عَمْرٍو الْكَلْبِيُّ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ اتَّقُوا الْحَدِيثَ عَنِّي إِلاَّ مَا عَلِمْتُمْ فَمَنْ كَذَبَ عَلَىَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.

Tarjuma :
Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Nay Farmaya Mujhsay Bayan Karnay Say Bacho Siwaye Uskay Kay Maynay Apko Sikhaya , Kyukay Jo Shaks Meray Baaray Mujhper Jhoot Bolta Hay Wo Aag May Hay , Aur Jo Shaks Quran Kay Baaray May Kuch Kahay , Iski Apni Rai Kay Mutabik , Wo Bhi Aag May Hay.

Jame Tirmidhi Hadees 3205 : Yeh Hadees Hasan Hay.

Toh Is Ayat Aur Ahadees Se Saaf Wazeh Hogaya Kay K Agar Tumhay Ilm Nai Toh Ilm Walo Say Pucho Aur Quran O Hadees May Apni Taraf Say Kuch Na Kaho Warna Tumhara Thikhana Jahannum Hay.

Ab Aye Mauzu Ki Taraf

Hadees :

Sahih Bukhari Hadees 1010

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ، قَالَ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُثَنَّى، عَنْ ثُمَامَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ أَنَسٍ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ فَقَالَ اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا فَتَسْقِينَا وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا‏.‏ قَالَ فَيُسْقَوْنَ‏.

Tarjuma Wahabi Ka :

Hazrat Anas Bin Malik Radialla Taala Anhu Nay Kay Jab Kabhi Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Kay Zamana May Qahat Padhta Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Hazrat Abbas Bin Muttalib Radialla Taala Anhu Kay Waseelay Say Dua Kartay Aur Farmatay Kay A ALLAH , Pehlay Hum Tere Paas Apnay Nabi E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ka Waseela Liya Kartay Thay , Toh Tu Paani Barsata Tha , Ab Hum Apnay Nabi  E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Kay Chacha Ko Waseela Banatay Hay Toh Tu Hum Per Paani Barsa , Anas Radialla Taala Anhu Nay Kaha Kay Chunanchay Barish Khub Hi Barsi.

Yeh Hadees Gair Muqallid Ki Pehli Aur Akhri Daleel Hay Waseela Per , Kay Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu , Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Paas Kyu Jaatay ?

Iskay Alawa Puri Gair Muqallid Agar Ek Jagah Miljaye Toh Issey Zyada Wo Daleel Day Hi Nai Saktay K Baad Az Wafat Waseela Lena Bidat Hay Ya Haram Hay Ya Shirk Etc.

Humara Jawab :

Sabsay Pehlay Toh Gair Muqallid Ko Yeh Sabit Karna Padega Kay “”Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu , Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Paas Kyu Jaatay ? “”

Iski Wajah Yeh Hay Yeh Tabsera Hadees Per Khud Gair Muqallid Ka Gadha Hua Hay Apni Taraf Say , Imam Bukhari Nay Hadees Kab Likhi ?? Oos Daur Say Lekar Gair Muqallid Kay Wujood May Aanay Tak Accha Khasa Fasla Hay , Toh Is Darmiyan May Kis Muhaddis , Muffasir , Aimma E Mujhtahideen Wagaira Nay Yehi Istedlal Lliya Jog Air Muqallid Letay Hay ??

Warna Hum Toh Hukm Bata Chukay Hay Pichay K Quran O Hadees Ko Apni Zaati Rai Se Samajhna Kaisa ? Ab Gair Muqallid Ko Chahiye Kay Wo Is Per Yaani Apnay Istedlal Per Muttafaq Alayh Imam Kay Hawalay Say Daleel Qayam Karay Aur Apna Batil Aqeeda Sabit Karay.

Iskay Baraqs Hum Is Hadees Per Imamo Kay Sharah Pesh Karege , In Sha ALLAH Taala.

Issey Qabl Yeh Waseela Per Gair Muqallid Ka Yeh Aqeeda Bhi Jaan Liya Jaye Kay Inkay Nazdeek , Koi Zinda Shaks Agar Samne Maujud Na Ho Toh Uska Waseela Lena Jayaz Nai

Saniyan Agar Samnay Maujud Ho Tab Bhi Waseela Nai Le Saktay Kyukay Yeh Sirf 3 Waseela Kay Qayal Hay.

ALLAH Kay Naamo Ka Waseela
Khudkay Nek Amal Ka Waseela
Nek Buzurg Yaani Saleh Banday Say Dua Karwao

Daleel Kay Liye Tauseef Ur Rehman Ka Video Sunay



Ab Agar Aap Tamami Hazraat Hadees Per Gaur Karay Toh Usmay Aisa Kahi Bhi Nahi Likha Hay Kay Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Paas Gaye Ho Aur Unsay Dua Kay Liye Kaha Ho Aur Hazrat Abbas Bin Muttalib Nay Dua Ki Ho.

Jabkay Hadees Kay Alfaz Hay “Ab Hum Apnay Nabi  E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Kay Chacha Ko Waseela Banatay Hay Toh Tu Hum Per Paani Barsa , Anas Radialla Taala Anhu Nay Kaha Kay Chunanchay Barish Khub Hi Barsi.”

Toh Ismay Samnay Maujud Honay Wali Gair Muqallid Hazraat Ki Shart Hay Hi Nai ,  Phir Yeh Hadees Gair Muqallid Ki Daleel Kaisay Banti Hay ?

Lekin Dusri Hadees Hay Sahi Bukhari Ki Hadees No 3710

Hadees :

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الأَنْصَارِيُّ، حَدَّثَنِي أَبِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُثَنَّى، عَنْ ثُمَامَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ أَنَسٍ ـ رضى الله عنه أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ، كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ، فَقَالَ اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا صلى الله عليه وسلم فَتَسْقِينَا، وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا‏.‏ قَالَ فَيُسْقَوْنَ‏.

Tarjuma Wahabi Ka :

Hazrat Anas Radialla Taala Anhu Nay Kay Hazrat Umar Bin Khattab Radialla Taala Anh Qahat Kay Zamanay May Hazrat Abbas Bin Muttalib Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badha Kar Barish Ki Dua Karatay Aur Kehtay Kay Aye ALLAH Pehlay Hum Apnay Nabi E Kareem Say Barish Ki Dua Karatay Thay Toh Tu Humay Sayrab Ataa Karta Tha Aur Hum Apnay Nabi Kay Chacha Kay Zariye Barish Ki Dua Kartay Hay , Isliye Humay Sayrab Ataa Farma , Rawi Nay Bayan Kiya Kay Iskay Baad Khub Barish Hui.

Yeh Dusri Hadees Hay Jismay Zikr  Hay Kay Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badhakar Barish Ki Dua Karatay.

Ab Is Hadees May 2 Hissay Hay.
            
            1 Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badhakar Barish Ki Dua Karatay : Jo Gair Muqallid Mantay Hay
        
       2 Hazrat Umar Nay Hazrat Abbas Radialla Taala Anhum Ajmaen Kay Waseelay Say Khud Dua Ki : Iskay Munkir Hai Gair Muqallid Jiski Daleel Pichay Guzri.

Yeh Kaisa Aqeeda Hay Kay Hadees Ka Ek Hissa Maano Aur Dusra Hissa Nai Wo Bhi Sahih Hadees Ka.

Ab Aaye Muhaddiseen Yaani Ilm Walo Ki Sharah Ki Taraf Kay Wo Is Hadees Kay Baaray Kya Kehtay.

1) Fath Ul Bari Sharah Sahi Bukhari , Safa 577

Imam Ibn Hajar Asqalani Rahimah Ullah Likhtay Hay

اللهم إنه لم ينزل بلاء إلا بذنب , ولم يكشف إلا بتوبة , وقد توجه القوم بي إليك لمكاني من نبيك

YA ALLAH , Koi Pareshani Na Utray Siwaye Gunaho Ki Wajah Say Aur Naahi Tauba Kay Siwaye Uthaye Gai Ho , Log Meray Zariye Teri Taraf Mutawajja Hue Kyukay May Teray Nabi Ka Rishtedar Hu

Aur Phir Aagay Likhtay Hay

ويستفاد من قصة العباس استحباب الاستشفاع بأهل الخير والصلاح وأهل بيت النبوة , وفيه فضل العباس وفضل عمر لتواضعه للعباس ومعرفته بحقه
               
Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Tawassul Say Malum Hua Kay Nek , Saleh Aur Ahle Bayt Ka Waseela Lena Bhi Jayaz Hay.

Scan Page:



2) As Shifa As Siqam Safa 377

Imam Subki Likhtay Hay

Is Hadees Say Malum Hua Saleh Logo Ka Tawassul Lena Jayaz Hay , Balkay Kisi Bhi Muslim Nay Iska Innkar Nai Kiya Hay Siwaye Bidati Kay Jo Tawassul Kay Munkir Hay.

Scan Page :





3 Nuzhatul Qari Sharah Sahih Bukhari Safa 613

Mufti Mohammad Shareef Ul Haq Amjadi Sahab Likhtay Hay

Yeh Hadees Iski Daleel Hay Kay Ahle Bayt Aur Buzurganaydeen Ko Khuda Ki Bargah May Waseela Banana Mustahab Hay , Jaisa Kay Allama Ibn Hajar Aura Llama Ayni Nay Tasreeh Ki Hay.

Scan Page:



4 Deoband Ki Kitab Anwar Ul Bari Sharah Sahi Bukhari Jild 18 Safa 223

Deobandi Sayed Ahmed Raza Sahab Bijnori Nay: Imam Ibn Hajar Ka Hi Hawaal Apni Kitab May Naqal Kiya Hay Aur Usmay Ek Jagah Likhtay Hay , “Issey Malum Hua Kay Yeh Tawassul Bhi Goya Huzoor E Akram صلی اللہ علیہ وسلم  Ki Zaat Aqdas Say Mansoob Wa Mutaliq Tha”

Scan Page:




5 Naimat Ul Bari Sharah Sahih Bukhari

Ghulam Rasool Saedi Sahab Jild 15 Safa 138 Per Likhtay

Is Hadees Say Aur Hafiz Ibn Hajar Asqalani Ki Sharah Say Yeh Malum Hua Kay ALLAH Taala Ki Bargah May Jis Tarah Nek Aamaal Ka Waseela Pesh Karna Mustahab Hay Isi Tarah ALLAH Taala Ki Bargah May Nek Hazraat Ka Waseela Pesh Karna Bhi Jaiz Hay Aur Mustahab Hay

Scan Page:



Hasil Qalam

In Sahih Bukhari Ki Sharah Say Malum Hua Kay Is Hadees Say Yeh Wazeh Taur Per Sabit Hay Kay Nek Saleh Ka Waseela Lena Jayaz Aur Mustahab Hay Lekin Humay Aisi Koi Daleel Nai Mili Ya Sharah Mili Kay Jismay Gair Muqallid Hazraat Ka Aqeeda Ya Tabsera Bayan Kiya Gaya Ho Kay Baad Az Wafat Waseela Lena Jayaz Nai Balkay Shirk , Bidat , Najayz O Haram Hay.

Gair Muqalliad Hazraat Ko Chahiye Kay Apna Aqeeda Sabit Karnay Kay Liye Quran Shareef Say Sareeh Ayat Ya Hadees E Mutawatir Lay Aaye Warna Khud Saakta Manghadat Tabsera Karkay Awam Un Naas Ko Gumrah Karna Band Karay.

ALLAH Taala Hum Sabko Haq Per Amal Karnay Ki Taufeeq Ataa Farmaye Aur Gair Muqallid Kay Fitno Say Bachaye

Aameen Sum Aameen


Sheyckh Mohammad Imran Saifi.

,

سم الله الرحمن الرحيم

♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

ABOUT US : Ye Website ko kyun banayi gayi 
Is website ko banane ki jarurat kyun padi jabki aaj internet ka jamana hai social media aam hai logo kay haath me Cell phone hai applications hai badaqeedah tabka apni badaqeedgi ko badi aasani se failata raha, jisko jo chahye wo google karle aur material lele lkin isme hazaro website aati ab ek muslim ye nahi parakh kar sakta wo website hai kiski aur usme jo likha hai wo sahih hai ya nahi yaa phr un bato ka maane kuch aur liya gaya ho,
Ahle Sunnat Wa Jamaat ki kayi website hai internet me magar siwaye kuch ek kay koi bhi website us level ki nahi hai jahan se aap kisi badaqeedah ka ilmi dalail se jawab de yehi pareshani rahi hai,
Lihaja humne ispar kaam shuru kiya aur Alhamdullilah is website kay jariye bahut se dalail aur unwaan par scan page kay saath likhe jisse har banda isse nafa uthaye.

CONTACT US : 

Aap humse INSTAGRAM/Facebook Aur hamare Hi Web me Left Side CONTACT US FORM kay jariye bhi contact kar sakte hai @sunnihanfiorganization https://www.instagram.com/sunnihanfiorganization/?igshid=l4ly86mhr731&hl=en

Facebook page: 
https://www.facebook.com/SunniHanfiOrganisationMumbai/

Subscribe Youtube Channel https://www.youtube.com/user/786SHO/videos

DONATE US : 

Admin Shaikh Sher Ali Hanfi

Saturday 16 May 2020

,
سم الله الرحمن الرحيم

♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Aqaid Articles Link
Topic Cover Wasila, Ilme Gaib, Hayat Un Nabi ﷺ, , Isaal E Sawab, Noorul Bashar, Khatme Nabuwat ﷺ and Many More with authentic Proof Scan Pages CLICK HERE TO READ


ALLAH TAA'LA KAHA HAI AUR ALLAH KAY BAARE ME AQEEDAH : Imam Abu Hanifa, Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullahi Alahim Azmayeen Ka Kya Aqeedah Tha CLICK HERE TO READ Wahabiyo Kay Jhuth Ka Pardafash


73 Me 1 Kaun ?
Topic Cover 73 Sects Hadees, Islam Me Firqe Kab kaise bane, Haq Pe rehne kay liye aapko kiska dhaman thana hai etc and bhi bahut se unwaan
Link CLICK HERE TO READ 

Fazail Wa Manakib
Topic Cover : Fazail E Sahaba, Fazail E Abu Baqr Umar Usman Ali, Fazail E Durud E Paak and many more CLICK HERE TO READ

Karbala Ka Bayan
Topic Cover : Related to Muharram, Karbala, Shahadat E Imam, Hadees E Qastuntunya, Yazeed lanati , and many more CLICK HERE TO READ  

Topic : Milad Un Nabi ﷺ, Dalail Aitraaz ka jawab etc CLICK HERE TO READ

Topic : Namaz E Nabwi ﷺ
Topic : Namaz Se Related, Aurato ka Masjid me jaana kaisa ? (Detail Explanation with scan page), namaz Me kab khade ho, Salat Al tasbeeh ki namaz ki dalil aur tarika, and many more to update In Sha Allah Taala CLICK HERE TO READ 

Fazail E Ramzan Ul Karim (Collection of More Than 70 hadees)
Topic : Chand Ka Masla, Sehri Kay Fazail Masail, Iftar kay masail dua, Roze Kay Fazail, Eitekaf, Shabe Qadr wagairah 
CLICK HERE TO READ

Shabe Baraat Detail Explaination CLICK HERE TO READ 

Topic : Wahabi Poster Aur Shayri
Wahabi ki sher o shayri poster kay jariye kiye aitraaz ka jawab CLICK HERE TO READ

Dua Azkar Tauba : Nabi ﷺ Ka bataya gaya Dua Azkar CLICK HERE TO READ 

Topic : Radde E Deoband Deoband kay Aitraz ka jawab
 CLICK HERE TO READ

Topic : Aala hazrat par Aitraaz ka jawab CLICK HERE TO READ

JO TOPIC NA MILE TO SEARCH BOX ME TALASH KARE : Jo unwaan chahye search me Likhe)


Admin Shaikh Sher Ali Hanfi

Friday 15 May 2020

,
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh 

Please read full Kayi Logo kay dimaag ka shaitan nikal jayega

Mera Aapse Ek Sawal : Zaid Ek Kitab Likh Kay Usko Print karna chahta hai Par Zaid Is baat ko jaanta hai Kitab likhne me badi badi sakht galti kar gaya hai jo intentionally hai 
Jiske manzar e aam me aane se Musalmano Me Qatl O Garat hogi Khoon kharaba inteshar hoga ghar ghar jhgada  hoga aur Zaid Jaanta hai kay ye sab usne likha hai Jo Sarasar Galat hai. 

EK Aam Musalman Sacche Dil Se Haath Rakh kay Bataye kya Aisi Kitab aap likhne denge print hone denge aur aisi kitab ka dars prachar karne denge ? 

Mera Gumaan hai 100% Musalman yehi kahega kay aisi kitab naa print ho naa iska dars tableeg ho aur jo iska prachar kare asal fitna to kaum ko todne waali baat hai kay iski tableeg ho. 

Ji Haan Par Jaise Jaise Qayamat ka waqt karib hoga fitne aaynge jo Haq pe hoga usko galat kaha jayga aur jo tafarka daalenge unko HAQ aur Peace Maker Banaya jayga Aaj Yehi Horaha Hai

Paap Ka Ghada Zyada Bada nahi hota wo bharta hai jis tahreek ko Nazd Se Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi Tamimi Ne Arab Ki Sarjameen Pe Failaya Us Mission Ko Hindustan Undivided Me Failane Waale sabse bade shaksh kaa naam hai Ismail Dahelvi, Aalam E Islaam ka badnaam jamana shaksh Isne Ek Kitab Likhi Taqviyatul Imaan Usme wo amal jo musalman Sadiyo se karte aarahe they usko SHIRK aur Kufr Kaha Phir Aage Bada Aur Nabi E Karim Ki Sakht Tauheen Karta raha Aur Naa Haq Musalmano ko kaafir Mushrik Kahne Ki Takfeeri Mission ka aagaz Hindustan ki Sarjameen Me Kiya.

Jinko dono firqe khwah naam nihad Ahle Hadees ho ya Deobandi Tableegi Waale Tarik Jameel dono apne peshwa rehnuma Mujadid Maante hai.

Kitab Taqviyatul Imaan likhne kay baad Ismail Dahelvi ne apne kuch logo ki ek secret meeting li jisme kya huwa khud unke hi Bade Mujadid Ki Kalam Se Sune Chunanche Ashraf Ali Thanvi likhte hai

“Maulvi Ismail Sahab Ne Taqviyatul Imaan Awwal Arabi Me Likhi Thi, Chunache Uska Ek Nusqha Mere Pass Aur Ek Nuskha Maulana Gangohi Kay Pass Aur Ek Nuskha Maulvi Nasrullah Khan Khurjovi Kay Qutoob khane Me Bhi Tha, Iske Bad Maulanaa Ne Usko Urdu Me Likha Aur Likhne Kay Baad Apne Khas Khas Logo Ko Jama Kiya, Jin Me Sayyed Sahab, Maulvi Abdul Hayy Sahab, Shah Maulvi Fariduddin Sahab Muradabadi, Momin Khan, Abdullah Khan Alwi{Ustad Imam Baksh Sahbai Wa Mamluk Ali Sahab} Bhi They Aur Unke Saamne Taqviyatul Imaan Pesh Ki Aur Farmaya Ki Maine Ye Kitab likhi hai 

AUR MAI JAANTA HOON KI ISME BAAZ JAGAH JARA TEZ ALFAAZ BHI AAGAYE HAIN AUR BAAZ JAGAH UN UMUR KO JO SHIRK E KHAFI THEY, SHIRK E JALI LIKH DIYA HAI, IN WAZUH SE MUJHE ANDESHA HAI KI ISKI ISHA’AT SE SHAURISH JARUR HOGI,

Agar mai yaha rahta to in mazameen ko main 8 yaa 10 baras me baa tadreez bayan karta, lekin is waqt mera irada hajj ka hai aur wahan se wapsi kay baad azme jehad hai, isliye Is kaam se mazoor hoon, 

AUR DEKHTA HOON DUSRAA IS BAAR KO UTHAYEGA NAHI ISLIYE MAINE YE KITAB LIKH DI HAI GO IS SE SHAURISH HOGI MAGAR TAWAKKO HAI KI LAD BHID KAR KHUD THIK HOJAYENGE YE MERA KHAYAL HAI,

Agar Aap Hazraat ki raay ishaat ki ho, to ishaat ki jaaye, warna isse chak kar diya jaaye, is par ek shaks ne kaha ki ishaat to jarur honi chahye magar fala’n fala’n makam par tarmeem honi chahye, is par Maulvi Abdul Hayy Sahab, Shah Ishaaq Sahab Aur Abdullah Khan Alwi Wa Momin Khan Ne Mukhalifat Ki aur kaha Tarmeem ki jarurat nahi, is par aapas me guftgu huwi aur guftgu kay 
baad BIL ITTEFAK Ye tay paaya gaya ki tarmeem ki jarurat nahi hair USSI TARAH SHAYA HONI CHAHYE CHUNACHE USKI ISHAAT USSI TARAH HUWI”

[Musannif Ashraf Ali Thanvi, Arwaah E Salasa Yaani Hikayat E Auliya Pg : 67-68,Hikayat No. 59, Maktaba Umar Farooque]
Scan Page 
LIKHNE WAALE KOI CHOTE SHAKS NAHI UNKI JMAAT KAY SABSE BADE THANVI SAHAB JINKI TALEEM TABLEEGI TARIK JAMEEL LOG AAM KARTE HAI. 

MUZRIM ISMAIL DAHELVI KA IQBALIYA JURM 

01.  MAI JAANTA HOON KI ISME BAAZ JAGAH JARA TEZ ALFAAZ BHI AAGAYE HAIN

02. BAAZ JAGAH UN UMUR KO JO SHIRK E KHAFI THEY, SHIRK E JALI LIKH DIYA HAI.

03. IN WAZUH SE MUJHE ANDESHA HAI KI ISKI ISHA’AT SE SHAURISH JARUR HOGI. 

04. GO IS SE SHAURISH HOGI MAGAR TAWAKKO HAI KI LAD BHID KAR KHUD THIK HOJAYENGE.

05. CHUNACHE BILA TARMEEM USKI ISHAAT USSI TARAH HUWI.

Ummat E Muslimah Ko Ittehad Ka Dars Dene Waale Wahabi Aaj bhi inki kitaab Taqviyatul Imaan Padhte hai uska Prachar karte hai 
USKE BANAYE TAUHEED SHIRK KAY USOOL KO FAILATE HAI AUR 
PHIR KAHTE HAI YE WAHABI MUNAFIK BHOLE BHALE SUNNIO SE KAHTE HAI
 
DEKHO EKTELAF SUNNI ULEMA KARTE HAI HAMESHA RADDH KARTE HAI WAHABI KA NAMAZ ROZA KI BAAT NAHI KARTE.

SUNNI ULEMA KA KASOOR BAS ITNA HAI KAY TUMHARE ISSI GANDE CHAHRE KO SAAMNE LAATE HAI JO CHAHRA TUM AINE ME DEKH NAHI SAKTE TO KAHTE HO AINA HI JHOOTA HAI. 

Quran E Karim Me Rab Taala Munafikeen Ki Khaslat bayan karta hai. 

“Aur Jo Unse Kaha Jaaye Jamin Me Fasad Naa Karo To Kahte Hai Hum To San’warne waale Hai “  - 11
“Sunta Hai Wohi Fasadi Hai Magar Unhe Sha’ur Nahi” – 12
“Aur Jab Unse Kaha Jaaye Imaan Lao Jaise Aur Log Imaan Laaye Hain, To Kahte Hai Kya Hum Pagalo Ki Tarah Imaan Laayen ? – 13 ”
{Surah Baqrah Ayat 11 12 13}

Quran ka farmaan hai Kay Khud ko Piece Maker Kahenge aur khud sabse bade fasadi hai aaj puri dunya kay saamne wahabi khud ko kahte hai HUM MUTTAHID HONE KI BAAT KARTE HAI HUM EK KAR RHE HAI QURAN SUNNAT KI DAWAT PE SUNNI LOG KAUM ME JHAGDA LAGA RAHE HAI. 

Aiso Kay bare me Rab Taala Irshad farmata hai 
“Aur Kuch Log Kahte Hai ki Hum Allah Aur Pichle Din Pe Imaan Laaye Aur Wo Imaan Waale Nahi Dhoke Dena Chahte hai ALLAH AUR IMAAN WAALON KO AUR HAKIKAT ME DHOKA DETE HAI MAGAR APNI JANO KO”
{Surah Baqrah Ayat 9}

Un Besharm Munafiko me hain himmat kay jaake apne maulvi sahib ko ye kitab dikha kay puche kay ye kitab kyun Chapi gayi ?
Wo bhi us daur me jab Musalman angrezo kay khilaf ek saath ladte nazar aarahe they, kya wajah padi kay musannif khud kah raha hai 

ISME SHIRK NAHI THA USKO BHI SHIRK LIKHA HAI AUR ALFAAZ TEZ TARRAR ISTEMAL KIYE HAI AUR PHIR IS KITAB KAY AANE SE MUSALMAN AAPAS ME LADNA SHURU KAR DENGE 

SAB KUCH JAANTE HUWE BHI ITNA BADA JULM KIYA GAYA AUR USSI MAULVI KI LIKHI BAAT USSI KITAB KI TALEEM GHAR GHAR AAM KYUN KAR RAHE HAI ? 

Ye kya koi Chota Jurm hai kay Musalman ko bila wajah Mushrik Kaafir kaha jaaye ? 

Ye Jante huwe kay musalman aapas me lad marenge phir bhi kitab likhi gayi chapi gayi aur aaj bhi chap rhi hai kyun ?
Aur ye tamam chiz koi gaflat me nahi ki gayi balki mission kay tahet iska aagaz jo huwa tha aaj bhi apni Takfeeri Kharji Zahen kay saath Munafikana tarike se badastur chalu hai Jinki aakhri nasl Dajjal Se jaa milegi. 

LAGAO RAAG AB WAHABIYO – SULLEHKULLI KAY EK HOJAO ? 
HAI WAHABI AUR SULLEHKULLI KAY PASS ISKA KOI JAWAB ? 

Ab Ye Kitab Taqviyatul Imaan Aur Iska Musannif Ismail Dahelvi Deobandi Tableegi Jamaat Aur AHle hadees kahne waale wahabi kay nazdeeq kya makam rakhte hai inki taleem kitni failayi jaa rahi hai aage kay post karunga taaki ye naa kahe kay hum maante nahi hamara talluk nahi.

Wednesday 13 May 2020

,

Abdul Gaffar Wahabi Salafi Ki Ek Video Dekha , Taqwiyatul Iman Ki Tareef K Pool Bandh Raha Tha , Wo Video Sab Dekhe , Zyada Badi Video Nai Hai.



Abdul Gaffar Salafi Apni Video Me Taqwiyatul Iman Ki Tareef Karte Hai Aur Dusro Ko Padhne K Liye B Kehte Hai. Phir Kehte Hai Is Kitab Me Kaunsi Aisi Galat Baat Kahi Gai Hai Jiski Wajah Se Is Kitab Per Fatawa Hai , Saaf Suthri Tauheed Jo Quran Me Maujud Hai , Jo Nabi Alayhissalam Ki Hadees Me Maujud Hai , Wahi Tauheed Taqwiyatul Iman Me Hai Aur Wahi Tauheed Kitab Ut Tauheed Me Maujud Hai. Aur Inka Jurm Yeh  Tha K Inhone Dargaho Per Chalne Wali Dukano Ko Band Karwadiya. Rabb Ki Tauheed Wahabi Hai Toh Duniya Sunlay Yeh Abdul Gaffar Wahabi Hai.
Yeh Puri Video Me Usne Kaha.

Jawab : Wo Wahabi Kaise Ho Jo Apne Baap Ko Waqt Aanay Per Chodd Na De Aur Waqt Aane Per Dobara Baap Na Banale.

Mazrat K Saath Sakht Alfaz Isliye Istemal Kiye Hai Q K Inhi Ko Jab Taqwiyatul Iman Per Haqeeqat Batai Jaati Hai Toh Kehte Hai K Yeh Deobandi Alim Hai, Humare Nai.

Saniyan Wahabi Ab Quran O Hadees Ko Chodkar Inki Teesri Kitab Ki Dawat Deta Hua , Taqwiyatul Iman , Wo Dhakosla Dawa Ab Nai Raha K Aao Kitab O Sunnat Ki Taraf.

Taqwiyatul  Iman Me Quran O Hadees K Khilaf Aqeeda Hai.

Safa 12 Per Hai
“Is Baat  May Auliya Wa Ambiya May Aur Jinn Wa Shayateen May Aur Bhoot Wa Parayt May Kuch Farq Nai”

Scan Page :


Quran Fermata Hai “ NABI Alayhissalam Rehmatulil Alameen Hai , Toh Baqaul Ismail Dehlvi K Yeh Sab Barabar Hai Kya ???


Phir Safa 20 Per Hai
”Har Makhlooq Bada Ho Ya Chota Wa Allah Ki Shaan Ke Aagey Chamaar Se Bhee Zaleel Hai”
Phir Yeh Dawah Kaunsi Aayat Wa Hadees Se Liya Hai ?????

Scan Page:


Yaani Chamar Ki Kuch Ehsiyat Hai Lekin Iske Alawa Tamam Makhlooq Chamar Se Zyada Zaleel Hai.Ab Chamar Kisey Kehte Hai ???

Phir Safa 54 Per Hai
“Makhlooq Hone May Chand Aur Suraj Aur Nabi Aur Wali Barabar Hai”

Scan Page:


Suraj Aur Chand Se Tasbeeh Deta Hai , Kya Quran O Hadees Me Iska Zikr Hai ????



Phir Safa 59 Per Hai
“Aur Jiska Naam Mohammad Swallallahualaihiwasallam Hai Ya Ali Radialla Taala Anhu Hai Wo Kisi Chiz Ka Mukhtar Nai.

Scan Page:


Jabkay Quran O Hadees Se Hume Malum Hota Hai K ALLAH Taala Ne Nabi Alayhissalam Ko Mukhtar E Qul Banaya Hai.

Kya Abdul Gaffar Sahab Ek Daleel De Sakte Hai K Jiska Naam Mohammad Ya Ali Hai Who Kisi Chiz K Mukhtar Nai??

Ek Daleel Faqat Abhi Deraha Hu

Surah Al Ahzab Ayat # 37
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Aye Mehboob Yaad Karo Jab Tum Farmate The Ussey Jisey ALLAH Ne Ne’mat Di Aur Tumne Isey Ne’mat Di”

Subhan ALLAH, NabiALLAH Ki Ataa Se “Gani” “Ataa Karna” “Ina’am Farmane Wala” Per Ikhityar Hai.

Phir Safa 77 Per Hai
“Rasool K Chahne Se Kuch Nai Hota”

Scan Page:


Yeh Aqeeda B Quran O Hadees K Khilaf Hai , Hadees Me Aata Hai.

Hadees ka Tarjuma:
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضياللهعنها Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha Agar Main Chahu To Mere Sath Sone Ke Pahaad Chala Kare.
????

Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa Shamailihi , Hadees : 5586
Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683

Is Hadees Se Saaf Zahir Hai K Aap K Chahne Se Yaani Is Per B Ikhtiyar K Chahe Toh Ya Na Chahe Toh Sone Ke Pahad Saath Chale.


Phir Safa 80 Per Hai

“Yani Insan Aapas Mein Sab Bhai Hain. Jo Bada Buzurg Hai Wa Bada Bhai Hai,So Uskee Badey Bhai Ki See Tazeem Kijiye Aur Malik Sab Ka Allah Hai Bandagee Us Ko Chahiye.Is Hadees Sey Maloom Hua Ki Awliya Wa Ambiya,Imam Wa Imam Zadey Peer Wa Shaheed YANI JITANEY ALLAH Ke Muqarrib Bandey Hain,Wah Sab Insaan Hee Hain Aue Bandey Aajiz Aur Hamaray Bhai.Magar Allah Ney Inko Badayee Dee ,Wah Badey Bhai Huey. Hum Ko Inakee Farmabardaree Ka Hukm Kiya Hai.Hum Insay Chotey Hain , So In Kee Tazeem Insannon Ki See Karnee Chahiye”

Scan Page:





Phir Taqwiyatul Iman K Safa 81 Per

Ismail Dehlvi Likhta Hai “Yaani Me B Ek Din Marker Mitti Me Miljauga”

Scan Page:


Baqaul Abdul Gaffar Salafi K Taqwiyatul Iman Me Tauheed Hai Hadees Hai….Phir Yeh Dawah Kaunsi Aayat Wa Hadees Se Liya Hai ????? Jisme Zikr Hai K Nabi  Alayhissalam Ek Din Marker Mitti Me Miljayege , Maz ALLAH

Aaye Yaha Per Me Khud Wahabi Alim Mulla Jalaluddin Qasmi Ka Video Dikhata Hu , K Wo Is Aqeede Per Kya Kehta Hai Sune ,



Suna Sabne ? Yeh Apne Baap Se Mukar Gaya , Aur Kamal Ki Baat Yeh Hai K Qasmi K Piche Abdul Gaffar B Baitha Hai , Jo Sun Raha Hai Lekin Haq Ki Taufeeq Abtak Nai Mili Isey.
Khud Jalaluddin Qasmi Ambiya k Jismo Mitti nai Khati per daleel b Deraha hai.


Phir Safa 84 Per Hai
“Sara Karobar Jahaan Ka ALLAH He K Chahne Se Hota Hai , Rasul K Chahne Say Kuch Nai Hota”

Scan Page:



Yeh Aqeeda Quran O Hadees K Khilaf Hai

Sahi Muslim Hadees 489, English Book 4 Hadith 256 & 990

Hadees Ka Tarjuma:

Hazrat E Rabiya Bin Kaab Aslami Raziallahu Anho Kahte Haiń Ke Mai Raat Ko
Huzoor Ki Khidmat Me Rahta Tha.Mai Huzoor Ko Wazu Ke Liye Paani Aur Digar Samaan-E-Zarurat Pesh Karta To Huzoor Ne Farmaya "JO CHAHO MANG LO".Maine Arz Kiya
"HUZOOR JANNAT MANGTA HU AUR USME AAPKA SATH". Huzoor Ne Farmaya "ISKE ALAWA AUR BHI KUCH MANGNA HAI???". Maine Arz Kiya "Huzoor Yahi Chahiye" Farmaya"Zyada Sajdo Se Apne Nafs Ki Islaah Karke Meri Muawinat(Himayat) Karo".

Is Hadees Ki Sharh Me Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Mirqat Jild 2 Me Likhte Hai

Tarjuma:
"ALLAH Ne Apko Quwwat Ata Farmayi Hai Ki Aap Jo Chahe ALLAH Ke Khazane Me Se De Sakte Hain”

Scan Page:


Is Hadees Per Hazrat Sheyckh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Iski Sharah Ashat Ul Lamat Jild 1 Safa 106 Chapi Farid Book Stall Me Likhte Hai “NABI Jo Chahe Jisko Chahe Jitna Chahe ALLAH K Hukm Se Dede”



Phir Safa 91 Per Hai

Kisi Ek Ki Sirf  Izzat Ke Liye Unke Saamne Adab Se Khada Rehna Unhi Kaamo Mai Se Hai Jo Allah Ne Apne Kamo Ke Liye Banaya Hai,To Allah Ke Alawa Kisi Ke Liye Ye Na Karna

Matlab Iska Samjhane Ki Zarurat Hai Kya ?? Agar Aap Baa Adab Khade Hue Toh Shirk Kardiya Hai Apne….

Aise Aur B Bahut Se Hai Is Kitab Me

Aur Aisi Kitab Ko Wahabi Deobandi Ka Apne Ghar Me Rakhna Ayn Islam Hai. ( Fatawa Rashidiya Safa 219)

Ab Awaam Hi Faisla Kare K Taqwiyatul Iman Kitab Kya Hai ?

Sheyckh Mohammad Imran Saifi.

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers