Imam Kay Peeche Surah Fatiha Padhne ki Hadeesein Aur Unka Jayza (01)
Ye Mauzoon
Namaaz Ke Kuch Un Masaailon Mein Se Hai Jin Ke Bare Mein Aimah E Ummat Mein
Ikhtilaf Wa Hay Aur Yahaan Aimah E Ummat Ke Mukhtalif Masalik Ko Bayaan Karna
Munaasib Hoga Jisse Baat Saaf Zaahir Ho Jaye Ke Kin Aimah Ke Nazdeek Kya Raaye
Hai.
1. Ba'az
Aimah Ke Nazdeek Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padhna Waajib (Balki Farz) Hai,
Chahe Namaaz Sirri (Khafi) Ho Ya Jahri Aur Yahi Imam Shafi'i Ka Maslak Hai. (Sharah
Ul Madhab, Jild 1, Safa 323)
2. Imam
Ahmad Bin Hanbal Ka Madhab Inke Qawl Mein Jahri Namaazon Mein Adame Waajib Ba
Qadm Istihbab Bayan Kiya Hai Aur Farmate Hain Aur Yahi Humare Imam (Ahmad Bin Hanbal),
Imam Zuhri, Imam Malik, Imam Ibn Uyainah, Imam Ibn Mubarak, Aur Imam Ishaq Ka
Maslak Hai Aur Imam Shafi'i Ka Ek Qawl Bhi Hai. (Al-Mughni, Jild 1, Safa 392)
3. Imam
Malik Ke Nazdeek Sahi Qawl Wahi Hai Jo Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Nazdeek Hai Ke
Jahri Namaazon Mein Padhna Aur Sirr Namaazon Mein Padhna Waajib Hai. (Sharh Ul Madhab,
Jild 1, Safa 323; Al-Mughni, Jild 1, Safa 365)
4. Mazhab E
Imam Abu Hanifa Ke Bare Mein Imam Muhammad Farmate Hain Ke Imam Ke Peeche
Qira'at Karna Jaaiz Nahi Agar Chahe Namaaz Sirr Ho Ya Jahri Aur Yahi Imam Abu
Hanifa Ka Qawl Hai.
1. Moata
Imam Muhammad Kitab Ul Salat Safa 93
2. Kitab Ul
Aasaar Kitab Ul Salat Safa 62
3. Al
Hidaya Jild 1, Safa 102
Is Mukhtasar
Tafseel Se Pata Chala Ke Imam Abu Hanifa Ke Saath Aimah E Arba'a Mein Se Imam
Malik Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Hain Jo Muqtadi Ka Jahri Namaaz Mein Qira'at
Karna Jaaiz Nahi Samajhte. Aur To Aur, Imam Ahmad Bin Hanbal To Yahan Tak
Farmate Hain Ke "Ye Rasool Allah ﷺ" Aur Aapke Sahaba Radi Allahu Anhum
Aur Ye Imam Malik Ahle Hijaz Mein Se Hain, Imam Sauri Ahle Iraq Mein Se Hain,
Aur Imam Awzai Ahle Shaam Mein Se Hain, Aur Imam Abu Laish Ahle Misr Mein Se
Hain. In Hazraat Mein Se Kisi Ne Bhi Ye Nahi Kaha Ke Aadmi Namaaz Padhe Aur
Iska Imam Qira'at Kare Aur Wo Khud Qira'at Na Kare To Uski Namaaz Baatil Hai. (Al-Mughni,
Jild 1, Safa 393)
Yahan Is
Mauzoo Ko Zikr Karne Ka Maqsad Kisi Par Keechad Uchhalna Nahi Balki Logon Tak
Is Maslay Ki Kitab O Sunnat Se Haqeeqat Pohchani Hai Taakay Awaam Ko Un Logon
Ke Bare Mein Pata Chale Jo Ye Kehte Hain Ke Jisne Imam Ke Peeche Bhi Surah
Fatiha Na Padhi Uski Namaaz Baatil Wa Naqis Hai Jabke Hum Imam Ahmad Ka Qawl
Pehle Hi Pesh Kar Chuke Hain Ke Inhone Kisi Bhi Imam Aur Mujtahid Ko Aisa Kehte
Hue Nahi Suna Phir Ye Ghair Muqallid Kaun Hote Hain Aisa Kehne Wale Ye Inka
Khud Saakta Nazariya Hai Jo Inhone Imam E Azam Se Ta'assub Ki Bunyad Par Ghad
Liya Hai Jise In Sha ALLAH Aage Kitab O Sunnat Se Sabit Kiya Jayega. In Sha ALLAH
Ab Hum Ghair Muqallid Hazraat Ke Un Dalaail Ka Jaeza Lenge Jin Se Unhone
Istidlal Kiya Hai.
Ghair Muqallid
Hazraat Sabse Pehle Quran Ki Is Ayat Say Daleel Lete Hai.
【Daleel Number-1 Ka Jaiza】
【1】 Aur Apne Rab Ko Apne Dil Mein Yaad Karo Zaari Aur Darr Se Aur
Be Aawaz Nikle Zubaan Se Subah Aur Shaam Aur Ghaafilon Mein Na Hona. Surah A'raf Ayat 205
Is Aayat Ko
Pesh Karne Ke Baad Imam Bayhaqi, Ibn Taymiyyah Aur Ghair Muqallid Ke Ek Aalim
Farmate Hain Ke Ye Aayat Imam Aur Muqtadi Dono Ke Liye Jahri Aur Sirri Namaaz
Mein Shaamil Hai Aur Surah Fatiha Aur Ghair Fatiha Ko Aam Hai Aur Isse Sabit
Aata Hai Ke Muqtadi Imam Ke Peeche Surah Fatiha Aahista Aahista Padhna Sahi
Hai. Imam Bayhaqi Apni Sanad Se Is Ka Matlab Bayan Karte Hue Hazrat Zaid Bin Aslam
Ka Qawl Bhi Bayan Karte Hain.
1. Bayhaqi
Fis Masa'il Kitab Ul Qira'at Safa 72
2. Ibn
Taymiyyah Fataawa Jild 2, Safa 149
3. Khairul
Kalam Safa 68
Jawab:
Is Aayat Se
Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padhne Ka Istidlal Ghalat Hai. Pehli Baat Ye Ke
Agar Waqai Is Aayat Se Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padhna Muraad Hota To Ye
Baat Nabi ﷺ Aur Aapke Sahaba Radi Allahu Anhum Aur Tabe'in Hazraat Se Har Giz
Chupi Na Rehti. Kamal Hai Jo Baat Nabi ﷺ Ne Nahi Farmaayi Aur Aapke Sahaba
(Radi Allahu Anhum) Ko Samajh Nahi Aayi, Wo Unke Baad Ke Insano Ko Aayi Hai?
Doosri Baat
Ye Ke Ye Daleel Surah A'raf Ki Sahih Tafseer Ke Khilaaf Hai Jo Hum Ahnaf Ke
Dalaail Ke Tehat Zikr Karenge.
Aur Teesri
Baat Ye Ke Is Aayat Mein Na To Imam Ka Zikr Hai Na Muqtadi Ka Aur Na Hi Qira'at
Surah Fatiha Ka, Phir Ye Kisi Ki Manmani Taweel Ka Taqleed Ki Jaye Aur Agar In
Hazraat Ki Baat Maan Li Jaye To Kya Ghair Muqallid Hazraat Imam Ke Peeche Surah
Fatiha Ke Alawa Bhi Doosri Surah Padhne Ke Qail Hain? Phir Ye Aayat Ko Sirf Surah
Fatiha Par Mukhtasir Kyun Kiya Jaye!
Chauthi Baat
Ye Ke Avvalan To Ye Aayat Namaaz Ke Bare Mein Hai Hi Nahi Aur Ba Fazal Agar Ye
Aayat Namaaz Ke Bare Mein Maan Li Jaye To Isse Sirf Imam Aur Munfarrid Muraad
Hoga Na Ke Muqtadi. Kyun Ke Is Aayat Ke Mufrad Se Ye Baat Dalalat Karti Hai Aur
Isse Pehle Wali Aayat
"Aur
Jab Quran Padha Jaye To Usse Kaan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho Ke Tum Par
Raham Ho" (-204) Surah A'raf Mein Muqtadi Muraad Hai Kyukay Ismay Tamam
Segay Jama Ke Istemal Huwe Hai
Ab Rahi Imam
Bayhaqi Ki Wo Riwayat Jo Hazrat Zaid Bin Aslam (Radi Allahu Anhum) Se Manqool
Hai, Uska Jawab Ye Hai Ke Iski Sanad Mein Ek Ravi Abdul Aziz Bin Muhammad Hai
Jiske Bare Mein Aimah-E-Muhadditheen Ne Kalaam Kiya Hai.
1. Imam Abu
Zur'a Ne Inko Kamzor Hafize Wala Kaha.
2. Imam
Ahmad Aur Imam Ibn Hibban Ne Inko Yukhti Se Taabeer Kiya.
3. Imam
Sa'zi Ne Inko Kasir Ul Wahm Wala Kaha Hai.
(Tahdhib Al-Tahdhib
Jild 6, Safa 354)
Aur Isi Ka
Ulta Hazrat Zaid Bin Aslam (Radi Allahu Anhum) Se Hi Tark-E-Qirat Khalaf Ul Imam
Ki Riwayat Sahih Sanad Se Manqool Hai, Phir Is Zaeef Riwayat Ka Us Sahih
Riwayat Se Kya Muqabla?
Lihazaa Ye
Istidlal Ghalat Aur Be-Bunyaad Hai.
【Daleel Number 2 Ka Jaiza】
【2】Hazrat Ubadah Bin Samit (Radi Allahu Anhum) Se Rivayat Hai Ke Rasool
Allah ﷺ Ne Farmaya, "Jis Ne Namaz Mein Surah Fatiha Nahi Padhi Uski Namaz
Hi Nahi."
1. Sahih
Bukhari, Kitab-Ul-Azan, Hadees No. 756
2. Sahih
Muslim, Kitab-Us-Salat, Hadees No. 869
Is Hadees
Ko Dekh Kar Gair Muqallid Hazraat Kehte Hain Ke Kyukay Lafz Mann Ke Maani Hokum
Aam Ke Hain Aur Is Mein Imam Wa Munfarid Ka Koi Qayd Nahi Hai, Lihaza Har Us
Shakhs Ki Namaaz Nahi Hogi Jo Namaaz Mein Surah Fatiha Na Padhe Chahe Wo Imam
Ho, Muqtadi Ho, Ya Munfarid Ho.**
Jawab
Beshak Yeh
Hadees Sanad Aur Matn Ke Lehaaz Se Aala Qism Ki Hai Lekin Is Hadees Mein Nabi ﷺ
Ne Muqtadi Ki Qira'at Bhi Muraad Nahi Li, To Phir Ghair Muqallid Ka Istidlal
Bhi Baatil Hai Ke Is Hadees Mein Ba-Jama'at Namaaz Ka Zikr Hi Nahi Hai Aur Jab
Tak Mukhalif Hazraat Yeh Sabit Na Kar Dein Ke Rasoolullah ﷺ Ne Namaaz
Ba-Jama'at Ke Baare Mein Yeh Farmaya Hai Tab Tak Inka Daawa Bhi Ghalat Hai.
Aur Dusra
Jawab Yeh Ke Is Hadees May Lafz “Mann” Istimaal Hua Hai Aur Ghair Muqallid Hazraat
Agar Yeh Sabit Kar Dein Ki Lafz 'Mann' Aam Hi Istimaal Hota Hai Kabhi Kisi
Khaas Moqa Ya Shakhs Par Istimaal Nahi Hota Tab To Inka Daawa Sahi Hai Lekin Yaqeen
Maniye Lafz “Mann” Kabhi Aam Istemal Hota Hai Aur Kabhi Khaas, Hawala Mulahiza
Farmaye.
(1) ءَاَمِنْتُمْ
مَّنْ فِی السَّمَآءِ اَنْ یَّخْسِفَ بِكُمُ الْاَرْضَ فَاِذَا هِیَ تَمُوْرُ
“Kya Tum Se
Na Darte Ho Jiski Sultanat Aasman May Hai” Surah Mulk Ayat 16
Yaha Lafz
“Mann” Aya Hai Aur Yeh Khaas Ma’ani Mein Istimaal Hua Hai Ke Yahaan Muraad Sirf
Allah Ki Zaat Hai Na Ke Sab Aasman Waale Muraad Hain.
(2) “Nabi ﷺ
Ne Farmaya, Tumse Pehle Log Is Liye Halaak Hue Ke Kamzor Par To Hadd Qaim Karte
Aur Buland Martaba Waalon Ko Chhod Dete”
(Sahih
Bukhari, Kitab Ul Diyat, Hadees 6787)
Yaha Lafz
Bhi “Mann” Khaas Ma’ani Mein Istimaal Hua Hai Jisme Un Logon Ke Baare Mein
Bataya Gaya Hai Jo Allah Ke Ahkaam Ko Ameer Logon Ke Liye Badal Dete The Na Ke
Aam Logon Ke Liye.
Lihaza Lafz
“Mann” Se Istidlal Karna Mehaz Kham Khayaali Hai Aur Yahaan Aam Logon Ki Jagah
Khaas Imam Ya Munfarid Hi Jaiz Hai.
Akhri Jawab:
Hum Kehte Hain Ke Is Hadees Mein Sirf Imam Aur Munfarid Ko Surah Fatiha Padne
Ka Hukum Hai Muqtadi Ko Nahi, Kyunke Sahih Muslim Mein Yeh Poori Hadees Is
Tarah Hai:
(1) Hazrat Ubadah Bin Samit Radi Allahu Anhu
Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya, "Jis Ne Namaaz Mein Surah
Fatiha Aur Isse Zyada Kuch Aur Na Padha To Uski Namaaz Hi Nahi"
Sahih Muslim, Kitab Ul Salat, Hadees 872
Musnad Abu Awana Jild 1 Safa 450 Hadees 1665
Sunan Nisai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 914
Is Turuk Mein Surah Fatiha Ke Alawa Kuch Aur Padhne Ka Bhi Hokum Hai Aur
Zahir See Baat Hai Kuch Aur Say Murad Quran Shareef Ki Dusri Surah Hai Aur Kisi
Bhi Gair Muqallid Kay Yaha Muqtadi Ka Imam Ke Piche Surah Fatiha Ke Alawa Kuch
Aur Tilawat Karna Jayaz Nahi Phir Kyu Yeh Hadees Har Namazi Ke Liye Maan Li
Jaye Jabki Khud Inka Is Hadees Per Mukammal Amal Nahi Hai Lihaza Is Hadees Say
Muqtadi Ka Imam Ke Peeche Qirat Karne Ka Masala Zarra Barabar Bhi Sabit Nahi
Hota.
【Daleel Number-3 Ka Jaiza】
【3】Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne
Farmaya "Jis Ne Namaaz Padhi Aur Usmein Surah Fatiha Na Padhi To Uski
Namaaz Adhoori Hai." Aur Is Baat Ko Teen Martaba Farmaya. Abu Hurairah Radi
Allahu Anhu Se Poocha Gaya Ke Hum Imam Ke Peeche Hote Hain To? Aap Radi Allahu Anhu
Ne Farmaya, "Haan Padho Dheere Se."
Sahih Muslim,
Kitab Ul Salat, Hadees 873
Ibn Majah Aur
Abu Dawood Me Yeh Lafz Hai “Toh Unhone Mera Haath Dabaya Aur Kaha “Oo Farsi
Isey Mann May Padhle””
Sunan Ibn
Majah, Kitab Iqamat As-Salat Wa As-Sunnah, Hadees 838
Sunan Abu
Dawood, Kitab Us Salat, Hadees 813
Jawab :
Is Hadees
Se Nabi ﷺ Se Sirf Yeh Baat Sabit Ho Rahi Hai Ke Jis Ne Surah Fatiha Nahi Padhi
Uski Namaaz Nahi, Lekin Yeh Sabit Nahi Ho Raha Ke Aap ﷺ Ne Imam Aur Munfarid Ke
Muta'alliq Kaha Ya Muqtadi Ke Baare Mein Kyuki Sunan Abu Dawood Mein Hi:
(1 Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu
Se Hi Marwi Hai Ke Nabi ﷺ Ne Mujhe Farmaya Ke 'Madinah Mein Ailan Karo Ke
Namaaz Nahi Hoti Quran Ke Baghair Chahe Surah Fatiha Ho Ya Uske Alawa Aur
Kuch.'
(Sunan Abu Dawood, Kitab Us Salat, Hadees 811-12)
Yah Toh Fatiha
Ke Alawa Aur Kuch Zyadz Padhe Baghair Namaaz Nahi Hoti Aur Aisa Tab Bhi Mumkin
Hai Jab Namaazi Ya To Imam Ho Ya Phir Akela. Kyunke Muqtadi Ke Liye Surah
Fatiha Se Zyada Kuch Aur Padna To Ghair Muqallid Ke Yahaan Bhi Jaiz Nahi. Lihaza
Yeh Bhi Muqtadi Ke Liye Nahi Hai.
Doosri Baat
Yeh Ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Ka Yeh Farmaana Ke Muqtadi Ko Apne Mann
Mein Pad Le Na Chahiye Yeh Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Nahi Balki Hazrat Abu
Hurairah Radi Allahu Anhu Ka Ijtihad Hai Aur Aap Ne Nabi ﷺ Ke Qawl “Mann Salli”
Aakhir Tak Se Khud Ijtihad Kar Ke Yeh Baat Sahil Ko Bataayi Jab Ke Yeh Nabi ﷺ
Ka Hadees Nahi Aur Ghaur Talab Baat Yeh Hai Ke Ghair Muqallid Hazraat Jinke
Nazdeek Sahaba Ka Qawl Bhi Hujjat Nahi Hai Phir Ab Yeh Kyo Tasleem Kar Rahe
Hain.
Dekhiye Inhi Ke Kitaabein:
1. (Fatawa
Naziria Safa 340)
2. (Arful
Jawi Safa 38)
3. (Taju’l
Muqallal Safa 292)
Lekin Ghaur
Talab Baat Yeh Hai Ke Yeh Ghair Muqallid Is Masle Mein Ahnaaf Ke Dalaail Ko
Sirf Is Liye Tark Kar Dete Hain Kyukay Unme Aksar Sahaba Ke Qawl Hain Missal
Kay Taur Per
(2 Hazrat Ata Bin Yasar Rahmatullah
Alaihe Se Riwayat Karte Hain Ke Unhone Zaid Bin Thabit Radi Allahu Anhu Se Imam
Ke Saath Qira’at Karne Ke Baare Mein Daryaft Kiya Toh Hazrat Zaid Bin Thabit Radi
Allahu Anhu Ne Farmaya Imam Ke Saath Kisi Cheez Mein Qira’at Nahi.
Sahih Muslim, Kitab Ul Masaajid, Hadees 1293
Sunan Nisai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 963
Sunan Al Kubra Lil Nisai Jild 1 Hadees 1032
Musnadul Awana Jild 1 Hadees 1951
Sunan Al Kubra Lil Bayhaqi Jild 2 Hadees 2911
Sharah Mani Ul Aasar Jild 1 Hadees 1224
(3 Hazrat Jabir Bin Abdullah Radi Allahu
Anhu Ne Farmaya Jisne Koi Rakat Padhi Aur Usme Surah Fatiha Na Padhi To Goya
Usne Namaaz Hi Nahi Padhi. Siwa Iske Ke Wo Imam Ke Peeche Ho.
Imam Tirmizi Farmate Hain Yeh Hadees Hasan Sahih Hai.
Sunan Tirmizi, Kitab Us Salat, Hadees 295
Muwatta Imam Malik, Kitab Us Salat, Hadees 178
Musannaf Abdur Razzaq, Hadees 2745
Musannaf Ibn Abi Shaiba, Hadees 3641
Sunan Kubra Lil Bayhaqi, Hadees 2899
Sharh Ma'ani Ul Aasar, Hadees 1209
Sunan Daraqutni, Kitab Us Salat, Hadees 1226
Jab In
Sahaba Se Yeh Baat Saaf Maaloom Ho Rahi Hai Ke Muqtadi Ke Alawa Kisi Ki Bhi
Namaaz Bina Surah Fatiha Ke Nahi To Phir Kyo Is Hadees Ko Sirf Is Liye Tark Kar
Dete Hain Ke Yeh Sahaba Ka Qawl Hai Aur Usko Maan Lete Hain Jo Inke Mazhab Ke
Mutabiq Hai Jab Ke Wo Bhi Sahaba Ka Hi Qawl Hai Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Nahi.
Teesri Baat
Yeh Ke Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Ka Kehna Hai Ke Ise Man Mein Padh
Le Se Murad In Alfaaz Par Ghor Aur Tadabbur Karne Ke Hai Kyoki Sawal Karne Wale
Is Baat Ko Achi Tarah Se Jaante The Ke Sare Sahaba-E-Kiram Ke Peechay Kuch Bhi Padhna
Khilaf Hai, ( Jiske Dalail Aage Zikar Kiye Jayenge) Isi Liye Unhone Abu
Hurairah Radi Allahu Anhu Se Yeh Sawal Kiya Aur Jawab Mein Aapne Bhi Aisa
Hikmat Bhara Jawab Diya Ke Woh Bina Kisi Aitiraz Ke Mutmaeen Ho Gaye Aur Man
Mein Padh Lene Se Murad Ghor-O-Fikr Hai Aur Is Se Imam Ke Peechay Qirat Karna
Laazim Nahi Aayega Kyoki Agar Aap Farmate Ikhfa Kar Toh Iska Matlab Yeh Hota Ke
Kam Se Kam Itni Aawaz Mein Padhein Ke Khud Ke Kaan Soon Sakein Aur Yahi Hamare
Fuqaha Ka Qaul Hai.
Chunanche Ahnaaf
Ke Mashhoor Faqih Allama Ibn Abideen Shami Farmate Hain:
"Kam Se Kam Ikhfa Yeh Hai Ke Khud Ko Sunaye Aur Unko Jo Qareeb Ho."
(Fatawa
Shami, Jild 1, Safa 534-535)
Is Ghor-O-Fikr
Ka Faayda Yeh Hai Ke Insaan Ke Dimagh Mein Namaz Mein Asar Aur Khayalat Aise
Aate Hain Jo Agar Zuban Se Ada Kar Liye Jaayein To Namaz Fasid Ho Jaati Hai (Ya
Toot Jaati Hai). Maslan, Gaane, Ghazlein, Waghera, Jismein Insaan Aksar Ghor-O-Fikr
Karne Lagta Hai Lekin Phir Bhi Uski Namaz Nahi Toot Ti, Kyunki Ab Tak Woh Sirf
Is Par Ghor-O-Fikr Kar Raha Hai. Lekin Insaan Agar Isko Zuban Se Ada Kar De
Chahe Aahista Hi Kyun Na Kahe To Uski Namaz Fasid Ho Jaayegi. Isliye Hazrat Abu
Hurairah Radi Allahu Anhu Ne Unko Surah Al-Fatihah Ko Man Mein Padh Lene Ko
Kaha Ya Ghor-O-Fikr Karne Ko Kaha. Aur Is Hukum Par Toh Ahnaaf Ki Masjidein Bhi
Khaali Nahi Hai Lihaza Is Hadith Se Mukhalif Ka Istedalal Karna Naqlan Aur
Aqlan Bhi Durust Nahi.
【Daleel Number 4 Ka Jaiza】
Haddasna Hannad
Haddasna Abd Bin Sulayman An Muhammad Bin Ishaq An Makhol An Mehmood Bin Rabi
An Hazrat Ubadah Bin Samit Radialla Taala Anhu Se Riwayat Karte Hain Ke Hum Subah
Fajr Ki Namaz Mein Nabi Muhammad ﷺ Ke Peechay Thay To Aap ﷺ Ne Quran Padhna
Shuru Kiya. Jab Namaz Se Farigh Huye Toh Farmaya, "Shayad Tum Apne Imam Ke
Peechay Padhte Ho?" Hum Ne Kaha, "Ji Haan." To Allah Ke Rasool ﷺ
Ne Farmaya, "Siwaye Surah Al-Fatihah Ke Aur Kuch Na Parho, Kyunki Us
Shakhs Ki Namaz Nahi Hoti Jo Surah Al-Fatihah Na Parhe."
Hazrat Abu
Isa Tirmizi Farmate Hain Ke Yeh Hadees Hasan Hai.
1. Sunan Al-Tirmizi,
Kitab Al-Salat Jild 1 Hadith No. 293
Lekin Hum
Kehte Hain Ke Imam Tirmizi Ki Yeh Baat Durust Nahi Hai, Kyunki Is Hadees Ke Ek
Ravi Muhammad Bin Ishaq Hasan Ul-Hadees Hone Ke Saath-Saath Mudallis Bhi Hain. Aur
Imam Ibn Hajar Waghera Ne Unko Chauthi Tabaqa Ke Mudallisin Ke Tahet Mein Zikr
Kiya Hai. Dekhiye Ahl-E-Taqdees Safa No. 46, 125 Aur Is Tabaqa Ke Mudallis Ka 'An'ana
Qabool Nahi Hota Aur Aisa Ravi Jab Tak Samahat Ka Izhaar Na Kare, Riwayat Zaeef
Maani Jayegi. Lihaza Yeh Riwayat Bhi Zaeef Hai.
【Daleel Number 5 Ka Jaiza】
Muhammad Bin
Abi Aisha Radialla Taala Anhu Ne Ek Sahabi Radialla Taala Anhu Se Riwayat Kiya
Ke Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya, "Shayad Tum Log Padhte Ho Jab Imam Padhta
Hai?" Sahaba Ne Arz Kiya, "Ji Haan, Hum Qiraat Karte Hain." Aap ﷺ
Ne Farmaya, "Surah Al-Fatihah Ke Siwa Kuch Na Padho."
Imam
Bayhaqi Farmate Hain Ke Iski Sanad Jayyad Hai.
Musnad Ul Ahmed
Jild 5 Safa 234
Sunan Bayhaqi
Jild 2 Hadees Hadees 2922
Kitab Ul
Qirat Lil Bayhaqi Safa 51
Jawab
Iska Jawab
Yeh Hai Ke Na Maloom Imam Bayhaqi Ne Iski Sanad Ko Kaise Jayyad Kaha Hai Jabke
Iski Sanad Mein Ek Ravi Ibrahim Bin Abi Lais Hai Jo Ke Zaeef Hai. Jinke Bare
Mein Aimma-E-Hadees Ne Kalam Kiya Hai:
1. Salih Kehte
Hain Ke Woh 20 Saal Tak Jhoot Bolta Raha.
2. Imam
Saji Ne Isko Matrook Kaha Hai.
3. Ibn
Mu'een Ne Isko Kazzab Aur Khabees Kaha Hai.
4. Sabse Pehle
Iske Jhoot Ki Haqeeqat Durki Nay Wazeh Ki Thi
5. Yaqoob Bin
Shaibah Kehte Hain Ke Logon Ne Pehle Isse Riwayatein Likhi Thi Magar Baad Mein
Sab Ne Isko Chor Diya Tha Kyunki Iski Jur'at Itni Barh Gayi Thi Ke Woh Jali Aur
Mozooh Hadees Bayaan Karne Se Bhi Gurayz Nahi Karta Tha.
6. Imam
Nasa'i Kehte Hain Ke Woh Thiqah Nahi Hai.
7. Ibn Saad
Kehte Hain Ke Hadees Mein Woh Zaeef Samjha Jata Hai.
(Lisan Ul-Mizan
Jild 1 Safa 93-94)
8. Hafiz
Khateeb Baghdadi Kehte Hain Ke Ibn Mu'een Ne Pehle Iski Tauseeq Ki Thi Lekin
Baad Mein Tahqiq Karne Ke Baad Iski Intehai Muzammat Ki Aur Isko Kazzab Aur Khabees
Kaha Aur Farmaya Ke Allah Iska Satyanash Kare Hadees Mein Jhoot Bolta Hai.
9. Imam
Ahmad Aur Ali Bin Madini Per Pehle Iska Muamla Chupa Raha Lekin Jab Iska Jhoot
Wazeh Hogaya Toh Unhone Isse Riwayatein Lena Tark Kardiya
(Bagdadi Jild
6 Safa 194-196)
Lihaza Yeh
Hadees Bhi Zaeef Hai Aur Istidlal Ke Qabil Nahi Hai.
Iski Doosri
Sanad Bhi Zaeef Hai Aur Woh Bhi Zaeef Se Khaali Nahi Hai.
END Part 01
Part 02 Link
https://786sho.blogspot.com/2024/05/imam-kay-peeche-surah-fatiha-padhne-ki_22.html
Part 03 Link
https://786sho.blogspot.com/2024/05/imam-kay-peeche-surah-fatiha-padhne-ki_57.html
No comments:
Post a Comment