Imam Kay Peeche Surah Fatiha Padhne ki Hadeesein Aur Unka Jayza (03)
【Daleel Number 11 Ka Jaiza】
Hajil Bin
Sharjil Farmate Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Masood Radialla Taala Anhu Imam Ke
Piche Asar Ki Pehli 2 Rakato Mein Surah Fatiha Aur Iske Saath Koi Dusri Surah
Bhi Padhte Thay.
1. Kitaab Ul-Qiraat,
Safa 64.
Jawab
Iska Jawab
Ye Hai Ke Iski Sanad Mein Ek Zaeef Ravi Lais Bin Abi Saalim Hai. Iske Bare Mein
Muhaddiseen Ke Aqwaal Dekhein:
1. Imam
Darqutni Ne Isko Zaeef Kaha.
2. Imam
Behaqi Ne Isko Zaeef Kaha.
3. Imam
Ahmad Isko Zaeef Kehte Hain.
4. Imam
Nasa'i Isko Zaeef Kehte Hain.
5. Imam
Yahya Ne Isko Zaeef Kaha (Mizan, Jild 2, Safa 260; Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 8, Safa
468).
Aur Iska
Dusara Ravi Abdur Rahman Bin Sharwan Hai.
1. Imam
Ahmad Farmate Hain Ke Isse Ehtijaz Sahih Nahi Hai (Mizan, Jild 1, Safa 300).
Lihaza Iske
Zauf Ka Andaaza Aap Khud Laga Lijiye, Dusri Baat Yeh Ki Jab Hazrat Abdullah Ib
Masood Se Sahih Sanad Ke Saath Imam Ke Peeche Qirat Na Karne Ki Hadees Maujud
Hai Toh Zaef Hadees Kyo Liye Jaye
【Daleel Number 12 Ka Jaiza】
Hazrat Abdullah
Bin Magfal Radialla Taala Anhu Imam Ke Peeche Zohar Aur Asar Ki Pehli 2 Rakato
Mein Surah Fatiha Aur Iske Saath 2 Surah Bhi Padhte Thay Aur Pichli Dono Rakato
Mein Sirf Surah Fatiha Padhte Thay.
Juzz Al
Qirat Safa 13.
Jawab
Iski Sanad
Mein Ek Ravi Umar Bin Abi Sahim Hai, Iske Baare Mein Imam Iba Hazar Ne Likha:
1. Imam
Zahbi Farmate Hain Ki Yeh Majhool Hai (Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 7, Safa 450).
Lihaza Issey
Daleel Lena Bhi Batil Hai
【Daleel Number 13 Ka Jaiza】
Abu Nasr Kehte
Hain Ke Mene Hazrat Abu Saeed Khudri Radialla Taala Anhu Se Pucha Kya Imam Ke Peeche
Qirat Karna Sahih Hai, Farmaya Haa Sirf Surah Fatiha
Juzz Al
Qirat Safa 13
Jawab
Iski Sanad
Mein Awam Bin Hamza Hai.
Imam Jauzi
Ne Isko Al Zuafa Mein Darj Kiya (Jawahirul Naqi Safa 172)
Imam Yahya
Bin Muin Farmate Hai Iski Hadees Mahez Hechh Hai (Mizan Jild 2 Safa 308)
Imam Ahmed Farmate
Hai Yeh Sahib E Munkar The (Tadhib Ut Tadhib Jild 8 Safa 163)
Lihaza Issey
Bhi Daleel Pakadna Batil Hai
【Daleel Number 14 Ka Jaiza】
Hazrat
Sabit Radialla Taala Anhu Farmate Hain Ke Hazrat Anas Radialla Taala Anhu Humein
Imam Ke Peeche Qirat Karne Ka Hokum Diya Karte The.
1. Kitaab Ul-Qiraat,
Safa 124.
Iski Sanad
Mein Bhi Wahi Rawiyan Awam Bin Hamza Hain Jo Is Se Pehle Hadees Mein Aaya Hain
Aur Imam Baihaqi Ne Imam Ibn Khuzayma Ke Hawale Se Likha Ki Sahih Tareen Baat Yeh
Hai Ki Awam Bin Hoshab Ka Naam Lena Sahih Nahi Balki Awam Bin Hamza Hi Hai
【Daleel Number 15 Ka Jaiza】
Hazrat Mujahid
Radialla Taala Anhu Farmate Hain Ke Maine Hazrat Abdullah Bin Umro Radialla Taala
Anhu Ko Zohar Aur Asar Mein Imam Ke Peeche Qirat Karte Suna
1. Sunan
Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2942
Is Hadees
Mein Bhi 1 Ravi Hai Hussain Jiske Baare Mein Aimma Farmate Hai
1. Hafiz Ibn
Hajar Farmate Hain Ke Iska Hafiza Akhri Umar Mein Kharab Hogaya Tha (Taqreeb
Safa 95)
2. Imam
Abul Haatim.
3. Imam Nasa'i.
4. Imam
Yazid Bin Haroon Farmate Hain Ke Iska Hafiza Akhri Umar Mein Kharab Hogaya Tha
(Tahdib Ul Tahdib, Jild 2, Safa 382).
【Daleel Number 16 Ka Jaiza】
Hazrat Ibn Umar
Radialla Taala Anhu Aur Hazrat Abdullah Bin Uthba Radialla Taala Anhu Se
Riwayat Hai Ke Yeh Dono Imam Ke Peeche Qirat Karte The.
1. Sunan
Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2941.
Iski Sanad
Mein Abdul Malik Bin Muhammad Hai, Jiska Baare Mein Aimma Ne Kalam Kiya Hai
Imam
Darqutni Farmate Hain Ke Wo Sudooq Tha Magar Sanad Aur Matan Mein Bahut Zyada
Khata Karta Tha (Tahzib Ul Tahzib, Jild 2, Safa 420).
2. Imam
Haakim Farmate Hain Ke Agar Raviyaat Mein Munfarid Ho Toh Oos Hadees Se Ihtijaj
Jaaiz Sahih Nahi
3. Abu Kasim
Farmate Hain Ke Mere Paas Inki Hadeeso Ke 10 Jildein Maujud Hai , Lekin Inme Se
Koi Bhi Aisa Nahi Jo Inke Waham Se Bach Saki Ho Wo Zubani Riwayat Bayan Kiya
Karte Thay Isliye Unke Waham Bahut Zyada Hai (Tahzib Ul Tahzib, Jild 2, Safa 421).
Lihaza Yeh
Hadees Bhi Zaef Hai Na Qabil E Qabool Hai.
【Daleel Number 17 Ka Jaiza】
Far’a Bin
Harab Se Marwi Hai Ke Mene Hazrat Iba Abbas Radialla Taala Anhu Ko Farmate Hue
Suna Ki Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padha Karo
1. Kitab Ul
Qirat Safa 138.
Iski Sanad
Mein Marwaan Bin Muawiya Hai, Jo Ke Mudallis Hain.
1. Imam Ibn
Muin Farmate Hain Wo Agar Maroof Raviyo Se Riwayat Kare Toh Siqah Hai (Tazkiratul
Huffaz, Jild 1, Safa 272).
2. Aur Agar
Majhool Logo Se Riwayat Kare Toh Zaef Hai (Tahzib Ul Tahzib, Jild 10, Safa 98).
3. Aur Farmaate
Hain Wo Galiyose Humare Liye Suyook Chun Lete Thay (Tazkiratul Huffaz, Jild 1, Safa
272).
4. Aur
Farmate Hai Ke Mene Tadlees Karne Mein Unse Bada Bahane Baaz Nahi Dekha (Tazkaratul
Huffaz, Jild 1, Safa 272).
5. Aur Farmaate
Hain Ke Woh Logon Se Chhupaane Ke Liye Raviyo Ke Naam Badal Dete The (Tazkaratul
Huffaz, Jild 1, Safa 272).
6. Imam Abu
Dawood Farmate Hain Ke Woh Raviyo Ke Naam Badal Dete The.
7. Abu
Haatim Farmate Hain Ke Woh Sachhe Toh Hain Magar Bakasrat Majhool Raviyo Se
Riwayat Karte Hai
8. Imam
Zahbi Farmate Hain Ke Woh Be-Tahasha Zindo Aur Murdo Se Riwayat Karte The (Tazkaratul
Huffaz, Jild 1, Safa 272).
9. Imam Iba
Hajar Kehte Hain Ke Woh Mudallis Hone Ke Saath Saath Shia Bhi Thay (Takreeb
Safa 273)
Aur Is
Sanad Mein Far’a Bin Harab Hai Jo Majhool Hai Lihaza Yeh Hadees Bhi Zaef Hai
【Daleel Number 18 Ka Jaiza】
Hazrate Abu
Darda Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Unhone Farmaya Ke Imam Ke Peeche Surah
Fatiha Ki Qirat Tark Na Ki Jaye Agarche Imam Buland Padhe Ya Ahista
1. Sunan
Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2943.
Iski Sanad
Mein Walid Bin Muslim Hai, Aur Yeh Mudallis Hai.
1. Abu Mas’har
Kehte Hain Ke Woh Juthe Raviyo Se Bhi Tadlees Karliya Karte Thay
2. Imam
Zahbi Kehte Hain Jab Yeh Ibn Jariz Aur Auzai Se An Se Tadlees Kare Toh Iski
Hadees Ka Katai Aitbar Na Hoga (Mizan Jild 3 Safa 275) (Tazhib Ul Tahzib Jild
11 Safa 54)
3. Aur Yeh
Riwayat Unki Auzai Se Hi Hai Lihaza Yeh Bhi Zaef Hai
Hazrat Abu Darda
Radialla Taala Anhu Se Yahi Hadees (Kitab Ul Qirat Safa 68) Per Dusri Sanad Se
Marwi Hai Isme 1 Ravi Muhammad Bin Kaseer Hai Jinper Muhaddiseen Ne Kalam Kiya
Hai.
Imam Ahmed
Ne Inko Sakht Zaef Aur Munkirul Hadees Kaha Hai Aur Farmaya Isne Aisi Munkir
Hadees Bayan Ki Hai Jiski Koi Asal Nah Hai
Saleh Bin Muhammad
Isko Sudooq Aur Kaseer Ul Khata Kehte Hai
Imam Bukhari
Ne Isko Bahut Zaef Kaha Hai
Imam Nasai
Farmate Hai Yeh Kawi Nahi Hai Aur Kaseer Ul Khata Hai
Imam Saji
Kehte Hai Sudooq Aur Kaseer Ul Galat Hai
Imam Hakim
Farmate Hai Muhaddiseen Ke Nazdeek Wo Kawi Nahi
Imam Ibn
Adi Kehte Hai Iski Bayan Karda Riwayat Mein Koi Iski Mutabiyat Aur Taeed Nahi
Karta
(Tahzib Ul
Tahzib Jild 9 Safa 416 – 417)
Lihaza Iski
Dono Sanadein Zaef Aur Qabil E Qaboo Nahi
【Daleel Number 19 Ka Jaiza】
Hazrate
Imran Bin Hussain Radialla Taala Anhu Ne Farmaya Kisi Musalman Ki Namaz Qabool
Nahi Hosakti Jabtak Wo Ismein Taharat, Ruku, Sujood, Aur Surah Fatiha Ka
Ehtimam Na Kare Chahe Imam Ke Peeche Ho Ya Akele
1. Juz'al Qirat,
Safa 13.
Iski Sanad
Mein 1 Ravi Ziyad Bin Abi Ziyad Hai Jasper Kalam Kiya Gaya Hai
1. Ibn Muin
Isko “Laysh Be Shai” Likhte Hain.
2. Ibn Madni
Ki Bhi Yehi Rai Hai.
3. Imam
Nasa'i Isko Matrook Kehte Hain.
4. Imam
Darqutni Isko Matrook Kehte Hain.
5. Imam
Zahbi Kehte Hain Ke Iske Zaef Hone Per Sabka Ittefak Hai
Mizan Jild
1 Safa 354
Tahzib Ul
Tahzib Jild 3 Safa 368
Iska Haal
Bhi Peechli Riwayaton Jaise Hi Hai.
Aur Jab
Humare Paas Imran Bin Husain Ki Imam Ke Peeche Na Padhne Ke Baare Mein Sahih
Riwayat Maujud Hai Toh Phir Is Zaef Hadees Se Daleel Kyo Li Jaye
Hadeesein Aur
Hai Lekin Koi B Zauf Se Khali Nahi Jinko Tawalat Ki Wajah Se Yaha Tafseel Se
Zikr Nahi Kiya Jaa Sakta.
Lihaza Humari
Naza Mein Jitni Riwayatein Guzri Sabka Zikr Humne Kar Diya Ab Padhne Walo Se
Guzarish Hai Ki Aap Faisla Kare Ki Jo Gair Muqallid Hazraat In Riwayaton Ke Zor
Per Ahle Sunnat Ko Yeh Kehte Hai Ki Tumhari Namaz Batil Hai, Bekar Hai, Naqis
Hai, Aur Imam Ke Peeche Murdo Ke Jaise Khade Rehte Hai In Tohmato Ki Haqeeqat
Kitni Hai?
END
No comments:
Post a Comment