Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 23 December 2015

,
12 Rabi Ul Awwal Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Nahi Hai - Most Extensive Research Paper
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 


Musalmano ko 12 Rabi Awwal Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم Manane Se Rokne K liye Kaum E Wahabiya Aur Inke Tamam Hum Khayal Firqe ab tak puri tarah bebas hochuke hai bas unke pass sirf fareb dhoka makkari k elawa kuch baaki nahi raha.
Ahle Sunnat Wa Jamaat Ne Milad Un Nabi
صلى الله عليه وسلم k jawaz par jitne dalail pesh kiya phir chahe wo Quran Sahi Hadees se ho ya Aimma Fuqaha k kitab se ya khud Kaum E Wahabiya k Aqabireen ki kitab aur fatawo se ho hakikat yehi rahi k wahabi unka jawab naa la sake kabhi.
To ab Milad se rokne k liye ek naya aitraaz laaya gaya wo ye k 12 Rabi Awwal Sharif k din Huzoor Nabi E Karim
صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisal Huwa Sahaba Gamgeen the us din khusi to Dushmane Islam ne manayi thi aur tum bhi manate ho ye aitraaz kar ek aam Musalman ko confuse kiya jaata hai.
Aaye Ab Hadees Aur Tareekh ki kitabo me Is Talluk se Kya Likha Hai k Huzoor Rehmat E Aalam
صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Kab Huwa  ?
Iske Talluk se hume jo milta hai wo yaha pesh karte hai.
01) 12 Rabi Ul Awwal : Ye kaul Umool Momineen Sayeeda Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho ki Taraf Mansoob hai.
(Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 256)

Ye Rivayat Jo 12 Rabi Awwal ki hai is rivayat me Ravi Hai “Imam Muhammad Ibn Umar Al Waqidi Aur “Muhammad ibn Ali Ibn Subarrah” jinpe Muhadiseen ki kaafi jirah Hai ye dono raavi Sayyida Ayesha Radi Allaho Anha k rivayat  me hai. 
Imam Ali bin Al Madeeni, Imam Abu Hatim Razi, Imam Yahya Ibn Moeen Rizwanullahi Azmayeen ne kaha Imam Waqidi Siqaah Nahi Hai.
Imam Ahmad Ibn Hambal ne Kaha Imam Waqidi Hadees gadte hai.
Imam Hatim Aur Imam Bukhari Ne Kaha Imam Waqidi Masrooq Hai Yaani Rejected.
Imam Murrah Kahte Hai Imam Waqidi Se Koi Hadees naa le.
Imam ibn Aadi Ne Kaha Imam Waqidi Par Aimma Ki Jiraah hai.

Imam Zahbi Ne Kaha Muhadiseen Ne Waqidi Ko Zaeef Kaha Hai.
(Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 425 - 426)

Yaha Ye Bhi Kaha Jaa Sakta Hai k Baaj Muhadiseen Ne Imam Waqidi ko Bhi Siqaah Karar Diya Hai Ye baat Bhi Sahi Hai Lekin Agar Yaha Imam Waqidi Ko Siqaah bhi maane uske baad bhi Ye rivayat 12 Rabi Ul Awwal Ki Motebar Nahi saabit hosakti kyuki Is Rivayat karne me ek dusra raavi bhi hai jispar bhi Muhadiseen ki khoob jirah hai wo hai 
“Muhammad ibn Ali Ibn Suburrah”   inke baare me Imam Ahmad Ibn Hambal kahte hai Ye Hadees Gadte The. 
(Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 397)

Dusri Rivayat Hai Hazrat Abbas Radi Allaho Anho Ki Usme Ek Raavi Hai Ibrahim ibn Yazeed Jo Imam Waqidi K Shaykh Hai Wo Bhi Zaeef Raavi Hai aur dusri wajah ye bhi hai k Khud Ibn Abbas Se 02 03 Kaul Is talluk se mauzood hai mukhtalif rivayat me ye to rahi Muhadisaana baat lkin kisi ko Jiddh hai k nahi nahi 12 hi hai tab bhi hum iske aakhri hisse me Sahi Hadees Se Ye Proof karenge k 12 Rabi Ul Awaal Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Nahi Hai jo sabse aakhri me aayga aur is risale ka sabse extensive research hai jiske jawab koi maa kaa laal nahi laa sakta In Sha Allah Taala.

02)10 Rabi Ul Awwal : Ye Rivayat Bhi Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho ki taraf mansoob hai.
(Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 256)

Is rivayat Me bhi 02 Raavi hai Ek “Saif Ibn Umar” Jo Zaeef Raavi Hai Aur Dusre “Muhammad ibn Ubaidullah Al Aazmi” Jo Masrook Hai.
(Hafiz Imam Ibn Hajar Asqalani Takreeb Ut Tahzeeb Pg : 142 And 203)
 
03) 15 Rabi Ul Awwal : Ye Kaul Hazrat Asma bint Abu Baqr Siddiq Radi Allaho Anha ki jaanib Mansoob Hai.
Kutoob E Hadees Me Iska Koi Hawala Nahi Hai.
04) 11 Rabi Ul Awwal : Ye Kaul Hazrat Abdullah ibn Masood Radi Allaho Anho ki  taraf Mansoob hai iska bhi koi hawala qutoob e hadees me nahi milta.
(Imam Samhoodi Al Wafa Ul Wafa Vol : 01, Pg  :318)

05) 2 Rabi Ul Awwal : Ye Kaul Bahot Se Sahaba Tabaein Se Aaya Hai jinme Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho
(Imam Tabri Tafseer E Jamai Ul Bayan Vol : 06,Pg : 51)
Hazrat Anas ibn Malik Radi Allaho Anho Aur Unke Shagirdo Se.
(Imam Tabri Tareekh Ul Umaam Wal Mooluk Vol : 03, Pg : 197)

Hazrat Saeed Ibn Zubair Radi Allaho Anho
(Al Itqaan Fi Uloom Ul Quran Vol : 01, Pg : 27)
Imran Suleman Turkal Al Taeemi Radi Allaho Anho
(Dalailun Nabuwwah Lil Bayhaqi Vol : 07, Pg : 234)

Antara bin Abdul Rehman Shaibani Radi Allaho Anho
(Maalim Ul Tanzeel Lil Bayhaqi Vol : 02, Pg : 10)

Saaad ibn Ibrahim Al Zuhri ,Muhammad Ibn Kais Al Madani , Imam Muhammad Baqir Ibn Imam Zainul Aabedin, Hazrat Urwa Ibn Zubair , Hazrat Moosa Ibn Uqba , Imam Ibn Shahabudin Zuhri , Imam Lais Ibn Saad, Imam Abu Noem Al Fazl ibn Dukhain Rizwanullahi Azmayeen.
(Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 255)

Hafiz Ibn Hajar Asqalani Likhte Hai
“Is Masle Me Kaafi Tehkeek O Guftgu k baad 2 Rabi Awwal Hi Huzoor Rehmat E Aalam
صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Hai, Aur Jo rivayat 12 Rabi Ul Awwal ki Hai wo Kaafi Kamzor Hai Aur Akl bhi usko kabool Nahi Karti Ye Ek Galat Fehmi Hai k 12 Rabi Ul Awal Yaum E Wisaal Hai.
(Fathul Baari Shara E Sahi Bukhari Vol : 08, Pg :130)
Ulema E Devband K Nazdeeq Motebar Shaksiyat Shaykh Shibli Nomani Sahab Ne Huzoor E Akram صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal 01 Rabi Ul Awwal Likha Hai.
(Seeratun Nabi Lil Shibli Vol : 02, Pg : 160)
Muhammad ibn Abdul Wahab Nazdi Shaykh ul Fil Kul E Wahabiya unke Bete Shaykh Abdullah Nazdi Ne Apni Kitab Muktasar Seerat Ul Rasool Allah Pg : 09 Pe Huzoor Ka Yaum E Wisaal 08 Rabi Ul Awaal Likha Hai Aur Issi Kitab Me Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم ka Jaiz Hona Likha Hai.

Yaha Humne Sabke Kaul Likh diye k 12 Rabi Ul Awwal Yaum E Wisal Nahi Hai Par Agar kuch log koi abhi bhi galat fehmi ya hat dharma me lage hai to ye hamare is risale ka aakhri hissa hai jis se wajah taur pe Hadees E Sahi Se Saabit hojayga k 12 Rabi Ul Awwal Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisal Nahi Hai aur koi maa kaa laal Ahle hadees khud ko kahne waala iska jawab nahi laa sakta. In Sha Allah Taala

Isko Likhne k se pehle kuch important baat jo yaad rakhe
- Huzoor Rehmat E Aalam
صلى الله عليه وسلم Ne Hizrat k baad Ek Hi Hajj Farmaya jo 10 Hizri me Huwa Aur 11 Hizri Rabi Ul Awwal Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal Huwa  ispe kisi ka ektelaf nahi hai balki ektelaf is baat pe hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal 11 Hizri Rabi Ul Awwal ki Kis tarikh ko huwa hai.
 

 Ab Aaye Dekhe Hadees E Sahi Se Kya Nikalta Hai
Hadees 01:
عَنْ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ، أَنَّ رَجُلاً، مِنَ الْيَهُودِ قَالَ لَهُ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ، آيَةٌ فِي كِتَابِكُمْ تَقْرَءُونَهَا لَوْ عَلَيْنَا مَعْشَرَ الْيَهُودِ نَزَلَتْ لاَتَّخَذْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ عِيدًا‏.‏ قَالَ أَىُّ آيَةٍ قَالَ ‏{‏الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينًا‏}‏‏.‏ قَالَ عُمَرُ قَدْ عَرَفْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ وَالْمَكَانَ الَّذِي نَزَلَتْ فِيهِ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَهُوَ قَائِمٌ بِعَرَفَةَ يَوْمَ جُمُعَةٍ
“Hazrat Umar Ibn Khattab Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate hai Ek Yahudi Ne Mujhse Kaha Aye Ameerul Momineen Ek Aayat Aap  Hazrat Apni Kitab (Quran) Me Padhte Hai Agar Wo Hum Par Nazil Hoti To Hum Us Din Ko Eid Bana Lete.
Umar Ibn Khattab Ne Pucha Wo Konsi Aayat Hai ?
Yahudi Ne Kaha
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينً (Surah Maida Ayat 03)    ”
Hazrat Umar Ne Irshad Farmaya Isme Koi Shak Nahi Hum Jaante Hain Kab Aur Kaha Ye Aayat E Karima Huzoor Rehmat E Aalam Par Naazil Huwi Aur Wo Juma Ka Din Tha Nabi E Akram Arafat Me The (Yaani Hajj ka Din)”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 45, Kitabul Imaan, Baab : Imaan Ka Zyada Aur Kam Hona,Hadees : 45)
(Sahi Bukhari Vol :06, Pg :106.  Kitabut Tafseer, Hadees : 4606)
(Sahi Bukhari  Vol : 09,Pg : 231, Hadees  : 7268)
(Sahi Muslim Vol : 07, Pg :418 - 420 Kitabut Tafseer, Hadees : 7523, 7524, 7525, 7526,7527)
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 605,  Kitabul Hajj, Hadees : 3005)
(Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 31,  Kitabul Imaan,  Hadees : 5012)
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg :357, Kitabut Tafseer,  Hadees : 3043  “Arabic Hadees No : 3317”)


Hadees 02 :
'Hazrat Ammar bin Abi 'Ammar se rivayat hai
“Hazrat Ibn Abbas Ne الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينً (Surah Maida Ayat 03) Ye Aayat Ki Tilawat Farmayi Aur Unke Saath Ek Yahudi Tha Jisne Kaha Agar ye Aayat Hum par Naazil Hoti to Hum Is Din Ko Bataur E Eid Manate, To Ibn Abbas Ne Farmaya Beshak Ye Aayat 02 Eid Par Nazil huwi Ek Juma Aur Arafaat ka Din”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 358, Kitabut Tafseer, Baab : Surah Al Maida K Baare Me, Hadees : 3044 “Arabic Hadees : No : 3318,)
(Imam Ibn Jarir Tabri Tafseer Al Tabri Vol : 06, Pg :82)
(Ibn Katir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 30)
(Mishkat Al Masabih Vol :01, Kitabus Salat, Baab : Juma Ka Bayan, Hadees : 1288)
In Hadees E Paak Se Maloom Huwa K Jis Din Surah Maida Ayat 03 Nazil Huwi Wo Din Yaum E Arafat Ka Din Tha Yaani 09 Zil Hajja, Juma Ka Din Tha Aur 10 Hizri Thi Ye Ek Chiz Mil Gayi.

Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal Kis Din Ko Huwa ?
Ab wisaal kis din huwa uske saboot me  bhi hum Hadees E Sahi pesh karte hai
Hadees 03 :
“Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم K Marjul Maut k wakt Hazrat Abu Baqr Siddique Radi Allaho Anho Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The To Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakr Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya K Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat  huwi”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680)
(Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’)

Hadees  04 :
“Anas Bin Malik Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Jab Hazrat Abu Baqr Siddique Peer K Din Subah K wakt Namaz Ki Imamat Farma Rahe The To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Huzra E Ayesha Se Parda hataya aur Dekha k Log Saffo Me Khade The Aur Muskuraya.
Hazrat Abu Bakr Saff Se Piche Hatne Lage k Huzoor
صلى الله عليه وسلم Namaz k Liye Aana Chahte Ho. Musalmano Ka Khayal Namaz Se Hatke Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Taraf Hogaya. Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Ishare Se Farmaya Namaz Mukammal Kare Aur Phir Huzoor صلى الله عليه وسلم Apne Huzre Me Chale Gaye Aur Parda Gira Diya, Aur Ussi Din Huzoor صلى الله عليه وسلم Ussi Din Wisaal Huwa.
References :
(Sahi Bukhari Vol : 02, Pg :177, Kitaab Aamal Fi Salat, Hadees : 1205)

Hadees 05 :
“Hazrat Anas Farmate Hai Aakhri Baar Maine Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ka Deedar Kiya Jab Allah K Nabi صلى الله عليه وسلم Ne Parda Hatake Dekha To Log Saff  Me Abu Baqr Siddique K Piche The Aur Abu Baqr piche aana Chahte the lekin Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ishara Farmaya k tahre raho aur parda gira diya pass Ussi Din Huzoor  صلى الله عليه وسلم  Ka Wisaal Huwa Aur Wo Din Peer Ka Tha”
Reference :
(Sunan Nasai Vol :03, Pg : 23, Kitabuz Janaiz Baab :
باب الْمَوْتِ يَوْمَ الاِثْنَيْنِ “Peer K Deen Wisaal Ka Bayan”Hadees : 1832)
Sunan ibn Majah, Hadees : 1624 me Bhi is tarah ki rivayat hai.
In Sahi Rivayato Se 02 Chiz Mil Gayi Ek To jab Yaum E Arafat Ka Din Tha
1) 10 Zil Hajj Yaum E Arafat Jo Huzoor E Karim صلى الله عليه وسلم Ka Aakhri Hajj farmaya wo din Juma ka tha.
2) 11 Hizri Rabi Ul Awwal Me Huzoor صلى الله عليه وسلم K Wisaal Ka Din Peer Monday tha.
3) Islami mahino Me Zil Hajja 12 wa Aur Saal Ka Aakhri Mahina Hai Uske Baad Naya Saala Naya Mahina Muharrama Ul Haraam, Safar, Rabi Un Awwal yaani Zil Hajja Yaum E Arafat k din kay baad Huzoor Nabi E Akram Ki hayat kul Muharram, Safar aur Rabi Ul Awwal Rahi aur Phir Peer K Din Wisaal Huwa yaha hum pura calculation karke chart me dikhaynge k Peer K deen Rabi Ul Awwal k Maah Me 12 tarikh aati hi nahi.
4) Kabil E Gaur Baat Hai Yaha K Islami Mahine Yaa To 29 Din K Hote Hai Yaa Phir 30 Din K hote hai Naa to ye 28 Din K Honge Naa To 31 din honge.

Yaha Hume 04 Condition Mili
i) Yaa To 02 Mahine 29  Din k Aur Ek Mahine 30 Din ka.
ii) Yaa To 02 Mahine 30 Din K Aur Ek Mahina 29 Din Ka.
iii) Yaa Phir Teeno Mahine 30 Din k Jo Mumkin Nahi Hai.
iV) Aur Yaa Phir Teeno Mahine 29 Din K Jo Ye Bhi Mumkin Nahi Hai to yaha hume first aur second condition dekhni hai k wo Din 12 Rabi Ul Awwal Kya Peer Ka Tha ?
Condition 01 : Mathematical Chart 02 month of 29 Days And 1 Month of 30 DaysAgar 02 Mahine Hum 29 Days K Le Aur 1 Din 30 Din Ka le to bhi 12 Rabi Ul Awwal Jumah K Din aata Hai Naaki Peer K Din.

Day
Zil Hajja 10 Hizri (Month of 29 Days)
Muharram 11 Hizri (Month of 30 Days)
Safar 11 Hizri (Month of 29 Days)
Rabi Awwal 11 Hizri
Friday
09 Z H Yaum E Arafat
01 M
--
--
Saturday
10 Z H EID UL AZHA
02 M
--
--
Sunday
11 Z H
03 M
01 S
--
Monday
12 Z H
04 M
02 S
01 R A
Tuesday
13 Z H
05 M
03 S
02 R A
Wednesday
14 Z H
06 M
04 S
03 R A
Thursday
15 Z H
07 M
05 S
04 R A
Friday
16 Z H
08 M
06 S
05 R A
Saturday
17 Z H
09 M
07 S
06 R A
Sunday
18 Z H
10 M
08 S
07 R A
Monday
19 Z H
11 M
09 S
08 R A
Tuesday
20 Z H
12 M
10 S
09 R A
Wednesday
21 Z H
13 M
11 S
10 R A
Thursday
22 Z H
14 M
12 S
11 R A
Friday
23 Z H
15 M
13 S
12 R A
Saturday
24 Z H
16 M
14 S
13 R A
Sunday
25 Z H
17 M
15 S
14 R A
Monday
26 Z H
18 M
16 S
15 R A
Tuesday
27 Z H
19 M
17 S
16 R A
Wednesday
28 Z H
20 M
18 S
17 R A
Thursday
29 Z H
21 M
19 S
18 R A
Friday
--
22 M
20 S
19 R A
Saturday
--
23 M
21 S
20 R A
Sunday
--
24 M
22 S
21 R A
Monday
--
25 M
23 S
22 R A
Tuesday
--
26 M
24 S
23 R A
Wednesday
--
27 M
25 S
24 R A
Thursday
--
28 M
26 S
25 R A
Friday
--
29 M
27 S
26 R A
Saturday
--
30 M
28 S
27 R A
Sunday
--
--
29 S
28 R A
Monday
--
--
--
29 R A
Result : 12 Rabi Ul Awwal 11 Hizri Jumaah Ko Aata Hai.

Condition No 02 : 02 Months 30 Days kay aur 01 Month 29 Days Ka Usme Dekhe Konsa Din 12 Rabi Ul Awwal.

Day
Zil Hajja 10 Hizri (Month of 30)
Muharram 11 Hizri (Month of 29)
Safar 11 Hizri (Month of 30)
Rabi Awwal 11 Hizri
Friday
09 Z H Yaum E Arafat
--
--
--
Saturday
10 Z H EID UL AZHA
01 M
--
--
Sunday
11 Z H
02 M
01 S
--
Monday
12 Z H
03 M
02 S
--
Tuesday
13 Z H
04 M
03 S
01 R A
Wednesday
14 Z H
05 M
04 S
02 R A
Thursday
15 Z H
06 M
05 S
03 R A
Friday
16 Z H
07 M
06 S
04 R A
Saturday
17 Z H
08 M
07 S
05 R A
Sunday
18 Z H
09 M
08 S
06 R A
Monday
19 Z H
10 M
09 S
07 R A
Tuesday
20 Z H
11 M
10 S
08 R A
Wednesday
21 Z H
12 M
11 S
09 R A
Thursday
22 Z H
13 M
12 S
10 R A
Friday
23 Z H
14 M
13 S
11 R A
Saturday
24 Z H
15 M
14 S
12 R A
Sunday
25 Z H
16 M
15 S
13 R A
Monday
26 Z H
17 M
16 S
14 R A
Tuesday
27 Z H
18 M
17 S
15 R A
Wednesday
28 Z H
19 M
18 S
16 R A
Thursday
29 Z H
20 M
19 S
17 R A
Friday
30 Z H
21 M
20 S
18 R A
Saturday
--
22 M
21 S
19 R A
Sunday
--
23 M
22 S
20 R A
Monday
--
24 M
23 S
21 R A
Tuesday
--
25 M
24 S
22 R A
Wednesday
--
26 M
25 S
23 R A
Thursday
--
27 M
26 S
24 R A
Friday
--
28 M
27 S
25 R A
Saturday
--
29 M
28 S
26 R A
Sunday
--
--
29 S
27 R A
Monday
--
--
30 S
28 R A

Agar 02 Mahine 29 Days Ka Le Aur Ek Mahina 29 Days Ka To Bhi
12 Rabi Ul Awwal Saturday ko aaya.

Condition No 03 : Agar teeno Mahine 30 Days Kay le to bhi 12 Rabi Ul Awwal ko Din Sunday Aata hai.

Condition No  04 :Agar Teeno Mahine 29 Days Kay Le To 12 Rabi Ul Awwal Aata Hai  Thursday Kay Din.

Conclusion :  Yaha Humne Har Possibilities Ko Hadees Sahi se Bata Diya k Rabi Ul Awwal Peer k Din Nahi Aata To Ye Baatein Failake Awam ko Subahat Me Daalna Milad Ko Rokna ye Sab Galat Tarika Hai Allah Aise fitno se Hum Musalamano Ki Hifazat Farmaye.

 Posted By Sher Ali Hanfi S.H.O 
Pray For Our Team 

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers