Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 5 October 2016

,

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

ABU HURRAIRA TWO VESSELS OF KNOWLEDGE 
ABU HURRAIRA ABOUT 60 HIJRI HADITH

Hazrat Ameer Mauwiyah رضي الله عنه kay takht nasheen hone se Khilafat E Rashida kay 30 Saal Hazrat Imam Hasan ibn Ali رضي الله عنه kay khilafat chodte mukammal hogaye.

Waqya E Karbala kaa aagaz Hazrat Ameer Mauwiayah رضي الله عنه kay wisaal 22 Razab 60 Hizri kay baad se shuru huwa jab Yazeed ki takht nasheeni 60 Hizri me huwi, ye wo daur aaya jiske  baare me Gaib Ki Khabre Dene Waale Nabi E Rehmat ﷺ ne is daur o sadi kay muttalik Sahaba E  Kiram Rizwanullahi azmayeen ko pahle hi farma diya tha kay ye waqt Banu Ummayah kay sarkash ka nauwazano kaa hoga jisme meri AAL Ahle Bayt pe julm kiye jaaynge chunache is daur kay talluk se Hazrat Abu Hurraira  رضي الله عنه ki rivayat milti hai jo saaf saaf chiz wajeh kar deti hai kay Yazeed bin Mauwiyah ki hukumat kaisi honi thi jo Yazeed ka difa karte hai kyun in sahih  hadeeso ko Nasibi Ahle Hadees awaam se chupate hai

In Sha Allah Taala Agar Sirf Is Research ppr ko koi haq kay saath padhe to wo yahin se faisala kar sakta hai kay Yazeed bin Mauviya lanatullah Alaih ki hukumat kaisi hogi.

Is Ummat Ki Halaqat Quraish Kay Nawzawan Laundo Kay Haatho Hogi
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne Irshad  Farmaya Meri Ummat Ki Halakat Quraish Kay Chand Laundo (Nauzawano) Kay Hatho Se Hogi. Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه  Se ye Rivayat Sun Kar Marwaan ibn Hakam Ne Kaha Allah Taala Ki Laanat Ho Un Laundou’n Par. Phir Banu Ummaya Kay Marwaan bin Hakam Se Sayyidna Abu Hurraira رضي الله عنه Ne Kaha Agar Chahoon Tu Unka Naam Bhi Bata Sakta Hoon Ki Fala’n Kay aur Fala’n Kay Bete Hai.
(Sahih Bukhari  Pg :887, Kitabul Manaqib, Baab : Alamatul Nabuwat Fi Al Islamihi, Hadees : 3605)
(Sahih Bukhari Kitabul Fitan, Baab : Is Ummat Ka Quraish Kay Nawzawano Kay Haath Hala'aq Hona,  Hadees : 7058)
(Imam Abu Dawood Taylasi Al Musnad Vol : 01, Pg : 327)
(Imam Ibn Hibbani Sahih Vol : 15, Pg : 108, Hadees : 6713)
(Imam Tabrani Al Mujam Sageer Vol : 01, Pg : 335)
Scan Page Sahih Bukhari

Sahi Bukhari Front Cover

Sahih Bukhari Hadees 3605

Iski Shara Me Imam Mullah Ali Qari Hanfi (Al Mutwaffa 1014 Hizri) LIkhte Hai "Gaaliban Aap Ne Un haakim Ladkon Se Khulfa E Rasheedin Kay Baad Kay Haakim (Muraad Liye) Hain, Misal Yazeed Aur Abdul Malik ibn Marwan Wagairah" (Mirqat Shara E Mishkat Lil Ali Qari Vol : 10, Pg : 18) Is Hadees e paak se maloom huwa kay Ummat Ki halakat Quraysh Kay Chand Laundo kay haath hogi aur dekhe yaha un Laundo par lanaat ek aisa shaks bhej raha hai Marwan Ibn Hakam jo khud Quraysh se talluk rakhta hai aur us lanaat me barabar sharik huwa hai goya Allah Taala ne Is kay mooh se hi isko lanaat kahelwa di. Ab Yahan Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Ko ye baat kaise maloom huwi jahir si baat hai wo un ladko kay naam tak jaante the jaisa kay sahih bukhari ki rivayat me saabit hai yakinan ye baat Unhe Sarkar E Do Aalam ne hi bayan ki hai jo gaib ki khabre hai aur Khud Imam Bukhari is rivayat baab Alamat E Nabuwat kay tahet likh rahe hai wo bhi apna aqeeda likh rhe hai Nabi ki Alamat hona Hi Ilm E gaib Ki khabre dena hai Aur Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه ko ye bhi Maloom tha kay Aise Laundo ki hukumat aur inka fitna kab kis sadi me shuru hoga jis se ummat ki halakat hogi wo Quraysh kay sarkash nawzawano ki hukumat kaa aagaz kab hoga ? aur wo kon log honge ? Jo aise daur se Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu jaise sahabi bhi khud ALLAH ki panah talab karte the.

Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه Ko Huzoor ﷺ Se Do Ilm Mile

Hadees 02:
Abu Hurrairah رضي الله عنه Farmate Hai Maine Rasoolullah ﷺ Se Do Tarah ka ilm mehfooz kiya Ek ko maine failaya Aur Dusra woh hai agar usko faila’un to meri shah E raag (throat) kaat diya jaaye.
(Sahih Bukhari, Pg :  42, Kitabul Ilm, Baab Hifzul ilm, Hadees : 120)
Scan page

Sahi Bukhari hadees 120

Is hadees e Paak ki shara me Imam Hafiz Ibn Hajar Asqalani Ash Shafai (Al Mutwaffa 773 Hizri) tahreer farmate hai وحمل العلماء الوعاء الذي لم يبثه على الأحاديث التي فيها تبيين أسامي أمراء السوء وأحوالهم وزمنهم ، وقد كان أبو هريرة يكني عن بعضه ولا يصرح به خوفا على نفسه منهم ، كقوله : أعوذ بالله من رأس الستين وإمارة الصبيان يشير إلى خلافة يزيد بن معاوية لأنها كانت سنة ستين من الهجرة . واستجاب الله دعاء أبي هريرة فمات قبلها بسنة Ulema ne Farmaya hai ki wo ilm jisko Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه ne nahi failaya wo un ahadees ka ilm hai jin me hukmarano kay naam unke ahwaal aur unke jamane ka bayan hai Chunache Abu Hurraira رضي الله عنه baaj isharo kinayo me bayan farmate the lekin jaan jaane ka khauf se wajeh taur par bayan nahi karte the jaise ki wo yeh dua karte the AYE ALLAH MAI SAATH (60) hizri aur Laundo KI HUKUMAT SE PANAH CHAHTA HOON Is se Aap ishara karte the Yazeed bin Mauviya ki hukumat ki taraf kyuki wo 60 hizri me huwi ALLAH Taala ne Abu Hurraira ki dua kabool farmayi aur 60 Hizri Se Ek Saal pahle Aap Wafat paa gaye. (Fathul Baari Shara E Sahih Bukhari Vol : 01, Pg : 216) Scan page

Fathul Baari Front Cover

Fathul Baari pg 216 Shara E Hadees 120

Maloom huwa kay Kay Hazrat Abu Hurrairah ko Un logo kay naam  Huzoor Nabi E Akram ﷺ se maloom huwe wo Quraysh kay nawzawan the  jinke baare me agar wo naam farmate hai mai chahun to naam bata dooon falan ibn falan log hai jisme Gair Mukallideen ka hero Yazeed  shamil hai. 

Mumkin ho yaha ye kahden kay Ye Ibn Hazar Asqalani Rahmatullah alaih  ka apna maukoof hai khair bhagne nahi denge hum aur bhi sahih hadees se wajeh karenge wo daur aur wo sarkash launde kon log the jinke naam lene tak se Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu ko jaan ka khatra tha. 
Ab Yahan Mumkin ho kuch ye kahde kay ye to Imam Ibn Hazar Asqalani Rahmatullah alaih ne likha hai Hazrat Abu Hurraira Radiallahu anhu aisa nahi kahte the. 
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu anhu ye dua karte the ye hadees e paak se saabit hai mulahiza karen.

Hazrat Abu Hurrairah Kis Daur Se Paanah maangte The ?
Sixty 60 Hizri Naw Umr Logo ki Hukumat Kay Mutallik Rasoolullah  Ka Farmaan
Hadees 03 :
اللهم لا تدركني سنة ستين ولا إمارة الصبيان
Hazrat Abu Hurraira Bazaar Me Chalte yeh dua maanga karte the AYE ALLAH Mujhe 60 Saal tak baaki naa rakhna Aur un nawzawano hukumat tak.  
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 07, Pg : 461, Hadees : 37235)
(Dalailul Nabuwah Lil Bayhaqi Vol 07,  Pg : 363)
(Imam Ibn Asakir Mukhtasar Tarikh E Damishq Vol : 29, Pg : 206)
(Imam bn Hazar Asqalani Al Isaba Fi Tamyiz Sahaba Vol :07, Pg : 443)
(Imam Ibn Saad At Tabqat Ul Kubra Vol : 04, Pg : 340/341)
(Ibn Kathir Al Badaya Wa Nahaya Vol : 06, Pg : 228-229)
Scan page Al Musannaf Ibn Abi Shayba

Front Page ibn Abi Shayba Al Musnnaf
Hadees : 37235 
Imam Ibn Hazar Asqalani Rahmatullah Alaih Ne Sahih Bukhari ki shara me naql kiya  
للهم لا تدركني سنة ستين ولا إمارة الصبيان.
“Aye Allah Main 60 Hizri Aur Bacch’on kee amaarat ka zamana naa paun” 
(Fathul Baari Shara E Sahih Bukhari Vol : 12, Pg : 10, Hadees : 6731) 

Imam Ibn Hazar Asqalani ne isko Sahih Bukhari Kitabul Fitan ki hadees kay shara me likha Jisme Abu Hurraira Radiallahu anhu ki bayan karda rivayat pe Marwan bin Hakam Ne un Laundo pe lanaat bheji thi. 

Kya Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Apni Marzi Se Ye Dua Karte They ?
Hadees 04 :
 تَعَوَّذُوا بِاللَّهِ مِنْ رَأْسِ السَّبْعِينَ وَإِمَارَةِ الصِّبْيَانِ
Hazrat Abu Hurraira Ne Farmaya Rasoolullah Se Suna Kay 70 ki Duhayi Kay Aagaz Yaani (60 Saal guzarne Kay baad) Se Nau Umr Ladko Ki Hukumat Se Panah Talab Karo.
(Musnad Ahmad Vol :04 pg 313-14, Hadees 8302/8303)
(Mishqat Al Masabih, Hadees 3716)

 قال الهيثمي : رواه أحمد والبزار ورجال أحمد رجال الصحيح غير كامل بن العلاء وهو ثقة
"Imam Haythami  likhte hai Imam Bazzar Aur Imam Ahmad Kay Raavi Sahih Hai" 
(Mazma Uz Zawaid Vol : 07, Pg : 450)
Scan Page Musnad Ahmad ibn Hanbal

Cover Musnad ahmad 

Musnad ahmad Hadees 8302/03

Is hadees e paak ki Shara Me Imam Mullah Ali Qari Hanfi
Rahmatullah Alaih Likhte Hai 

ي ومن حكومة الصغار الجهال كيزيد بن معاوية ، وأولاد الحكم بن مروان ، وأمثالهم وأغرب
Ye Nau Umr Ladke Yazeed bin Mauviya, Marwan ibn Hakam aur unhi kay saathi hain(Mirkat Al Masabih Shara E Mishkat, Kitab Al Imarat, Hadees : 3716) 
Acche Kaam Ko Jurm Samjha Jayga Shariat Ko Chodke Apni Marzi Se Faisle Honge Wo 60 Hizri Se Shuru hoga
Hadees 05: 
ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة ،  والصدقة غرامة ، والشهادة بالمعرفة ، والحكم بالهوى
“Ahle Arab Kay Liye Us Se Sharr Hai Tabahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hizri kay iktemam par aayaga, Jab Amanat Ko Maal E Ganimat Aur Sadqah ko Jurmaana aur Gawaahi Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faislah Khwaahish Kee Bina Par Hoga.
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol 04, Pg : 530, Hadees : 8589)
Imam Hakim Farmate Hain ye Hadees Shaykhen Imam Bukhari Wa Muslim Ki Shart pe Sahih Hai. 
(Imam Abdur Razzaq Al Mussanaf Vol :11,  Pg : 373, Hadees :20777)
Scan Page Mustadraq 
Front Cover Al Mustadraq
Hakim Hadees 8589 Vol 04 pg 530
Imam Na’uym bin Hammad Marwazi (Al Mutwaffa 288 Hizri) ne Apni Kitab Kitabul Fitan me hadees e paak naql ki 
Hadees 06: 
Hazrat Abu Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة والصدقة غرامة والشهادة بالمعرفة والحكم بالهوى.
Ahle Arab Ke Liye Us Sharr Kee Wajah Se Tabaahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitam Par Qareeb Aa Chuki Hai, Amaanat Ko Maal-E-Ghanimat Aur Sadqah (Wa Zakaat) Ko Taawaan (Jurmaana) Khayaal Kiya Jaaega Aur Gawaahi (Shakhsi) Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faisalah (Zaati) Khwaahish Kee Bina Par Hoga.
(Nu’aym Bin Hammad Fi Kitab Ul Fitan Pg : 427/28, Hadees :1967)
(Al Jaam E Muammar bin Rashad, Baab Al Mahdi,Hadees : 1393)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Kitabul Fitan, Hadees : 8536)


Kitabul Fitan pg 427 

In Tamam hadeeso ko humne step wise jama kiya hai ab dekhe in hadees se kya natiza aata hai 
01) Rasoolullah ﷺ Ne Gaib Ki Khabre Di Kay Meri Ummat Ki halakat Quraysh Kay Chand Laundo kay haatho hogi.
02) Jinka aagaz 60 Hizri Se Hoga Jahan Faisle Khwaish Aur tabyaat pe honge naa ki shariat pe unke haq gawahi doge to aag me daalenge yaani unki himayat Jahannam ki taraf le jaaygi aur unke khilaf kahoge to sar tan se alag kar diya jayega aise sarkash hukumat 60 hizri kay khatm me aajaygi. 
03) Aakhir kya aisi baat rahi jo Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه  Dua karte the kuch to baat hogi naa wo kabool huwi 59 Hizri me Abu Hurraira رضي الله عنه  ka wisal hogaya wo ye baat thi kay wo jaalim hukmaran koi aur nahi Yazeed bin Mauviya aur uske sarkash saathi the. 
04) Ye baat sab jaante hai jo Yazeed ko apna Ameer rehbar kahte hai wo bhi jaante hai 22 Razzab ul Murazzab 60 Hizri Ko Hazrat Ameer Mauviya Radiallahu anhu ka wisaal huwa Yazeed Takht e hukumat pe kaabiz huwa yaad rahe 60 hizri wohi daur jiske baare me Rasool E Karim ﷺ Ne farmaya tha aur Abu Hurraira  رضي الله عنه  Dua karte the. 
05)Agar Yazeed Waqayi uski hukumat acchi thi to ye sab hadees kya hai ? Hazrt Abu Hurraira رضي الله عنه  ko to aur zindagi ki dua karna tha taaki farmaan e Rasool ﷺ hadees e paak ki mazid khidmat kare balki unko 60 Hizri dekhna tak gawara naa kiya unhone kyun ?  
06) Hizri Me Waqya E Karbala Kay Pahle hi Yazeed ne Makkah E Muazzama Pe Apna Lashkar bheja Jaake Abdullah ibn Zubair Radiallahu anhu se apni bayt kay liye Ye pahla bada jurm yahan se shuruwat hai.
Yaad rakhe ye hamla usne Waqya E Karbala Kay pahle karwaya 60 hizri me aur phir 61 Hizri Kay Aagaz me Bas 10 Din hi huwe Shahadat E Imam Hussain Radiallahu anhu aur tamam ashaab ko. 
07) Agar Waqayi Yazeed Accha hota aur sabki bado ki izzat karne waala hota to 60 Hizri me aate hi Makkah Pe Hamla kyun karwata jahan wo haar gaya phir Waqya E Karbala Apne Bhai Ubaidullah ibn Ziyad kay haatho karwaya aur phir dobara Madina E Paak Makkah pe sarkash hamla kyun ? 
Agar ispe hi gaur o fikr Yazeed Kay roohani bete karle to dimag khul jayga Aur Imam Hussain Radiallahu anhu ki shahadat ko galat saabit karne me lage hai ye tha 60 hizri kaa daur yeh wo wajah thi kay Imam Hussain Radillahuanhu ko Yazeed kay khilaf awaaz buland karni padi bhala wo kab gawaran karte kay Unke Hayat Hote unke Naana Jaan Muhammadur Rasoolullah ﷺ Ki Shariat ko badal diya jaaye. 

Ye tha 60 Hizri aur Yazeed ki julmana hukumat se panah talab karne ki wajah yun to isme kitabe likhi jaa sakti hai lekin itna hi koi Yazeedi Sahi dil se soche to Yazeed aur gande mazhab ko chod dega. 
Allah Taala Se Dua Hai kay hum Sabka Hashr Aashiq E Hussain Radiallahu anhu me kar aur Yazeedio ka unke baap Yazeed kay saath kar. 

Post by Shaikh Sher Ali Hanfi 

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers