Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (03)
Imam Ibn
Khuzayma Kehte Hai Humne Abu Tahir Say Unhone Abu Bakr Say Unhone Abu Musa Say
Unhone Momil Bin Ismail Say Unhone Sufiyan Sawri Say Unhone Asim Bin Kulayb Say
Unhone Apne Walid Say Aur Wo Hazrat Wayl Ibn Hajar Radialla Taala Anhu Say
Riwayat Karte Hai Ki Wo Farmate Hai I Mene Rasul ALLAH ﷺ Kay Saath Namaz Padhi Aur Apne Apna Daya
Haath Baye Haath Per Rakhkar Seene Per Bandh Liye.
Sahih Ibn
Khuzayma Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 479
Is Hadees
Me 1 Rawi Momil Bin Ismail Zaef Hai Aur Yeh Aimma E Nakideen Kay Nazdeek Bhi
Zaef Hai.
1) Mashur Gair Muqallid Albani Likhte
Hai Yeh Hadees Zaef Hai Kyuki Momil Bin Ismail Bure Hafizay Wala Tha (Taliq Sahih
Ibn Khuzayma Jild 1 Safa 243)
2) Imam Zehbi Farmate Hai Sacche Hai
Sunnat Kay Paband Hai Aur Kasirul Khata Hai , Kehte Inki Kitab Dafan Kardi Gai
Thi Aur Yeh Hifz Say Riwayat Karte Aur Galti Kargaye (Al Kashif Jild 2 Safa
309)
3) Imam Bukhari Nay Inko Munkarul
Hadees Farmaya Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 29 Safa 178 , Mizan Ul Aitidal Jild 4
Safa 228)
4) Imam Ibn Sa’ad Farmate Hai Siqah Hai
Magar Bahut Galtiya Karte Hai (Tabqat Ul Kubra Jild 5 Safa 501)
5) Ibn Kanay Kehte Hai Wo Saleh Hai
Magar Khatakar Hai (Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa 194)
6) Imam Darqutni Farmate Hai Siqah Hai
Magar Bahut Galti Karte Hai (Sawalat Ul Hakim Lil Darqutni Safa 492, Tehzeeb Ul
Tehzeeb Jild 4 Safa 194)
7) Imam Abu Hatim Kehte Hai Sacche Hai
Sunnat Per Sakhti Say Pehra Hai Magar Bahut Galti Karte Hai (Jarah Wa Tadil
Jild 8 Safa 374, Tehzeeb Ul Kamal Jild 29 Safa 178)
8) Imam Abu Jara Kehte Hai Ki Inki
Hadees May Bahut Galtiya Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 4 Safa228)
9) Imam Marwaji Kehte Hai Jab Momil
Hadees Me Akela Ho Toh Wajib Hai Ki Tawkuf Kiya Jaye Kyuki Wo Kharab Hafze Wala
Kasirul Khata Tha (Sawalat Marwaji Raqam 13, Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa
194)
1 Imam Ibn Hajar Farmate Hai Momil Bin
Ismail Jo Hadees Sufiyan Sawri Say Riwayat Kare Usme Zauf Hota Hai (Fath Ul
Bari Jild 9 Safa 239 Raqam 7251)
) Ek Aur Gair Muqallid Alim Muhammad Bin
Saleh Usaymin Kay Nazdeek Yeh Hadees Zaef Hai. (Arkan E Islam Safa 271)
12 Imam Ibn Hibban Kehte Hai Inki
Kitabein Dafan Kardi Gai Thi Aur Yeh Hifz Say Riwayat Karte Aur Galti Kargaye (As
Siqat Jild 9 Safa 187, Tehzeeb Ul Kama Jild 29 Safa 178)
13 Imam Yaqub Bin Sufiyan Ne Kaha Ki
Yeh Siqah Shuyuk Say Munkir Riwayat Bayan Karta Tha (Kitab Ul Marfat Wa Tarikh
Jild 3 Safa 52)
14 Imam Abi Umar Samarkandi Ne Kaha
Momil Bin Ismail Sahih Ul Hifz Hai (Fawaid Abi Umar Safa 131 Raqam 17)
15 Dusri Jagah Zaef Kaha (Ayzan , Safa 22)
16 Imam Nasai Ne Kharab Hafizay Wala
Likha (Mujalassan Nasai Safa 48 Raqam 17)
17 Aur Ek Jagah Kasirul Khata Likha Hai
(Sunan Al Kubra Jild 3 Safa 99)
18 Imam Yahya Ibn Mueen Ne Kaha Apne
Hifz Say Hadees Bayan Karta Aur Zyadati Karta Tha (Sawalat Junaid Safa 444-445
Raqam 709)
19 Imam Ammar Ne Kaha Apne Hifz Say
Hadees Bayan Karta Tha Aur Bahut Zyada Galti Karta Tha (Ilal Hadees Safa 107)
20 Imam Hussaini Ne Kaha Hifz Say
Hadees Bayan Karta Aur Galti Karta (Raqam 5747)
21 Imam Ibn Kaseer Ne Kaha Sudook Tha
Lekin Kasirul Khata Tha Aur Sufiyan Sawri Kay Sathiyo May Iska Bada Muqam Nahi
Tha (Tafseer Ibn Kaseer Jild 3 Safa 385)
22 Imam Ibn Khuzyma Ne Sue Hifz Kaha
(Sahih Raqam 1860)
23 Imam Zehbi Ne Al Mugni Fee Zuafa May
Zikr Kiya (Raqam 6547)
24 Allama Turkmani Ne Kaha Maeel Ba
Tazaef (Jawahirul Naki Jild 2 Safa 30)
Iski Bahut
Zyada Tazaef Ki Gai Hai Hum Itne May Hi Tawkuf Karte Hai.
Note : Itne
Aimma E Muhaddiseen Kay Nazdeek Momil Ka Zaef Hona Is Baat Ki Daleel Hai Ki Yeh
Riwayat Sahih Toh Kya Hasan Darje Ko Bhi Nahi Pahuchti.
Hadees May Isterab
Is Hadees
Me Isterab Hai Kyuki Hazrat Wayl Bin Hajar Radialla Taala Anhu Say Jitni Bhi
Hadeesein Haath Bandhne Ki Marwi Hai Sab May Sirf Daye Haath Ko Baye Haath Per
Bandhne Ki Riwayat Maujud Hai.
Sahih Muslim
Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 891
Sahih Ibn
Hibban Safa 577 Hadees 1860
Sahih Ibn
Khuzayma Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 480
Musnad E
Ahmed Jild 8 Hadees 19051, 19057, 19071, 19075, 19076, 19081, 19083.
Sunan Nisai
Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 890
Sunan Ibn
Majah Iqamat E Salat Wal Sunnah Jild 1 Hadees 810
Sunan Darqutni
Kitab Us Salat Jild 2 Hadees 1086
Sunan Darmi
Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1277
Siwaye Ibn
Khuzayma Wali Riwayat Kay (Sahih Ibn Khuzayma Hadees 479) Jo Zaef Hai Aur
Daleel Upar Guzar Chuki Aur Sunan Bayhaki Ki Riwayat Jo Zaef Hai Iski Daleel In
Sha ALLAH Aagay Ayegi
Lihaza IS Hadees
Say Gair Muqallid Ehtijaj Kaise Karsakte Hai Jabki Unka Dawah Toh Sirf Sahih
Hadees Per Amal Karne Ka Hai ???
End Part 03
No comments:
Post a Comment