Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (02)
Yeh 2nd Part Hai , Gair Muqallid Ki
Pesh Karda Daleel Seene Per Hath Bandhne Ki Hadeeso Ka Haal
Daleel 02 : Sunan Abi Dawud Ki Hadees Ka Haal.
Tarjuma: Imam
Abu Dawud Riwayat Karte Hai Abu Tauba Wo Haysham Bin Humayd Say Wo Saur Say Wo
Sulayman Bin Musa Say Aur Wo Riwayat Karte Hai Hazrat Tawus Radialla Taala Anhu
Say Kay Wo Farmate Hai Ki ALLAH Kay Rasul ﷺ Namaz May Hote Toh Apna Dahina Haath Apne Baye
Haath Kay Upar Rakh Kar Apne Seene Per Bandh Lete .
1) Abi Dawud Safa 138 Hadees 34
Reference |
|
In-book reference |
: Book
2, Hadith 369 |
English translation |
: Book
3, Hadith 758 |
Is Hadees Ko
In Aimma Ne Zaef Kaha Hai.
1) Allama Ibn Nuzaim Misri Nay Is
Hadees Ko Zaef Kaha Hai (Behrura Raiq Safa 03)
2) Allama Nemwi Ne Is Hadees Ko Zaef
Kaha Hai (Taliqul Hasan Jild 1 Safa 145)
3) Allama Hashim Sindhi Likhte Hai Isme
2 Rawi Sahi Nahi Hai , 1-Sulayman Bin Musa Aur 2-Haysham Bin Humayd (Dirham
Assurah Safa 27)
Note : Rajeh
Qaul Yahi Hai Ki Haysham Bin Humayd Siqah Hai (Tehzibul Kamal Jild 30 Safa 372.)
Is Hadees
Me Jaise Aap Dekh Sakte Hai Ki 1 Rawi Hai Sulayman Bin Musa Damishq Hai Jo
Muatkalim Fee Rawi Hai.
1) Imam Bukhari Farmate Hai Munkirul
Hadees Hai (Ilal E Tirmidhi Safa 257 Hadees 473.)
2) Aur Farmate Hai Mere Nazdeek Wo
Munkar Riwayat Naqal Karne Wala Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 12 Safa 97)
3) Aur Imam Bukhari Ne Iski Munkir
Riwayat Ko Naqal Kiya Hai (Bukhari Fee Zuafa E Sageer Safa 55 Raqam 146)
4) Imam Abu Hatim Farmate Hai Ki
Sacchai Uska Mahal Aur Uski Baaz Hadees Me Isterab Hai (Az Jarrah Wa Tadil Jild
4 Safa 142 Raqam 615)
5) Imam Nasai Farmate Hai Ki Wo Hadees
Me Kawi Nai Hai Aur Kuch (Kalam) Hai(Tehzeeb Ul Kamal Jild 12 Safa 97)
6) Aur Inhone Zaef Qarar Diya Hai
(Zuafa Wal Matrukin Lil Nisai Safa 186 Raqam 252)
7) Imam Saji Farmate Hai Mere Nazdeek
Munkar Riwayat Naqal Karne Wala Hai Al Ikmal Mugaltai Jils 2 Safa 135)
8) Imam Tirmidhi Farmate Hai Uske Paas
Munkar Hadees Hai (Ilal E Tirmidhi Safa 257 Hadees 473)
9) Ibn Jurayj Farmate Hai Mere Nazdeek
Uski Hadees Ajeeb Hai (Imam Bukhari Fee Tarikh Ul Ausat Jild 1 Safa 340)
10 Imam Ibn Abdul Barr Farmate Hai Ki
Wo Buray Hafize Wala Hai (Iztazkar Jild 15 Safa 204)
1) Imam Mardini Farmate Hai Wo
Mutaqallim Fee Rawi Hai Aur Uski Hadees Ma Sakht Isterab Hai Jisko Imam Abdul
Barr Nay Bayan Kiya Hai (Zohar Al Naqi Jild 9 Safa 296)
12 Imam Ali Bin Madni Farmate Hai Ki
Unper Kalam Kiya Gaya Hai (Zuafa E Ukayli Jild 2 Safa 506)
13 Imam Ibn Hibban Farmate Hai Ki Uski
Tamam Khabre Tadlees Ki Hui Hai ( Masahir Ul Ullema Al Amsar Safa 210 Raqam
1415)
14 Imam Jarud Nay Bhi Inhe Zaef Me
Shumar Kiya Hai (Hashiya Tehzeeb Ul Kamal Jild 12 Safa 98)
15 Imam Zehbi Nay Bhi Zaef Qara Diya
Hai (Zehbi Fee Diwan E Zuafa Wal Matrukin Safa 176 Raqam 1783)
1) Ek Jagah Aur Imam Zehbi Ne Zaef Qara
Diya Hai (Al Mugni Fil Zuafa Jild 1 Safa 408 Raqam 2630)
17 Imam Ukeli Nay Bhi Zaef Qara Diya
Hai ( Zuafa E Kabir Jild 2 Safa 506 Raqam 632)
18 Imam Ibn Jawzi Nay Bhi Zaef Qarar
Diya Hai (Ibn Jawzi Zuafa Wal Matrukin Jild 2 Safa 25 Raqam 1549)
19 Imam Abu Jara Razi Nay Bhi Zuafa May
Shumar Kiya Hai (Kitab Al Zuafa Jild 2 Safa 622)
Aur Yeh
Hadees Mursal Bhi Hai Kyuki Iski Sanad May Say Sahabi Ka Naam Gayab Hai Aur 1
Tabai Sidhe Rasul ALLAH ﷺ Say Riwayat
Karrahe Hai Aur Khud Firqa Gair Muqallideen Kay Nazdeek Mursal Hadees Zaef Ka
Darja Rakhti Hai , Inhi Kay Ek Alim Zubair Ali Zai Jo Inkay Yaha Muhaqqiq E Asr
Kehlate Hai Wo Zaef Hadees Ki Tariff Kuch Yun Farmate Hai.
“Har Wo
Hadees Jisme Sahih Aur Hasan Hadees Ki Sifat Maujud Na Ho To Wo Zaef Hadees Hogi
, Aur Iski Iqsam Yeh Hai Masalan Mauzu, Maklub, Shaaz,
Muallil,Muztarib,Mursal,Munqatah,Aur Muazzil Wagaira (Nur Ul Aynen Safa 60)
Aur Khud
Zuber Ali Zai Nay Khud Is Riwayat Ko Mursal Honay Ki Wajah Say Zaef Mana Hai (Namaz
Me Haath Bandhne Ka Hokum Aur Maqam Safa 24)
Malum Hua Gair
Muqallid Ki Yeh Pesh Karda Hadees Zaef Hai Aur Na Qabil E Qabul Hai.
No comments:
Post a Comment