Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 29 March 2020

,
Aurato Ka Masjid Me Namaz Kay Liye jaana Kaisa ?


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Is Masle Me Ahle Sunnah Wa Jamaat Hanfi, Maliki, Shafai Aur Hambali charo Mazhab Ka Ittefaq Hai k Auratein Masajid naa jaaye Ghar me hi Namaz Ada kare aur aisa hi hadees me aaya hai jo aage hum pesh karenge jo unke liye behtar hai zyada fazilat aur azr waala kaam hai aur Aurato k Masajid Me Jaane par manahi Daur E Sahaba Me Hi laga di gayi aur 1400 saal se Ummat me is masle me kabhi is hadh tak kisi ne jor nahi diya na aurato ko masjid lejaye.
Par Ab is Pur fitan daur me Kaum E Wahabiya Urf Naam Nihad Ahle Hadees gair Mukallideen firqa Aurato ko Masajid me laane k liye is hadh tak jor lagaya huwe hai k iska andaza lagaya nahi jaa sakta aur abto inke Fazilatus Shaykh log openly isko promote kar rahe hai, wahin National Media yahan tak kay film aur serial kay jariye bhi is mudde ko is andaaz me bayan kiya jaa raha hai, kaafiro ki taraf se Islam ne aurat ko koi haq hi nahi diya jaisa unko saara haq masjid me jaane se milega hukumat isko promote bhi kar rahi hai.
Khair Apni Jor Awari k Liye Is Gumraah Firqe ne Hadeeso ko bhi Galat Andaaz Me Awaam k Saamne pesh kar logo ko Gumraah kiya hai.



KUFFAR KI SAZISH AUR MUNAFIQEEN KA HAAL
Ye baat bilkul ayne mirror ki manind saaf hai kay hindustan ki kaafir hukumat kabhi Musalmano kay bhale ka kaam nahi karegi balki Musalmano me kis tarah fitna khada kiyaa jaaye uske liye kaam karti nazar aati hai phir chahe wo Talaq E Salasa ka masla ho yaa Masjid Me aurato ki jaane ki baat ho har jagah apna dakhal deke ye batane ki koshish karte hai kay hum MUSLIM WOMEN’s RIGHT kay liye kaam kar rahe hai jo Islam ne nahi diya.


LAMHA E FIKRIYA
Bhala Kya Hamari Muslim Maa Bahen Sach me ye samajhti hai kay Islam ne unhe Haq Naa diya hai aur ye Kaafir RSS Sangh unhe Haq dila rahe hai ?
Mere Khayal hai sab sawal se samajh gaye honge kay jawab naa me hoga Jinka Apna hindu dharm aurato kay baare me kya kya bakwas karta hai hume batane ki shayad jarurat nahi hai khud Hindustan kay hindu family kay ghar ka haal dekhe to aqsar Hindu Auratein gharelu masail Zahez se leke sharab tak me apne ghar kay mardo kay haath rozana maari jaa rahi hai wahan inhe women’s right nazar nahi aata par chunki Musalmano me ektelaf aur Fitna daalna hai lihaja ye MEDIA house me Aurato kay Masjid me jaane kay masle ko DEBATE ka mauzu banaya jaa raha hai.
Maksad MUSLIM Women Right nahi balki MUSALMANO ko unke deen se dur karke galat kaam me uljhana aur mentally pressure karna hai.


EK AHEM KUFFAR SAZISH AUR USKA KHULASA
Ab agar koi Hindu Organization ye baat karegi to jaahir hai Musalman unko mukammal nazar andaz karenge lihaja kuch naam ki muslim aurato ko paisa deke kharida jaata hai jo shuru se liberal kism ki hoti hai Deen se matlab nahi sirf apni dunya ko sawarna maksad e khaas hota hai aisi kuch auratein saamne aati hai.


SHAISTA AMBER : All India Muslim Women Personal Law Board AIMWPB ki founder hai mohtarma naam rakha Muslim Women Law Board kaam pure karti hai Kaafiro ko Khush karne waale inhone India me ek Masjid Taamir ki khas aurato kay liye.
Jab koi Musalman masjid banata hai to inaugaration me yaa kisi acche kaam k liye bulata kisko hai ? Jaahir hai kaum kay rehbar Ulema Mashaikh Sufiya ko magar ye Mohtarma ne Invite kiya RSS CHIEF MOHAN BHAGWAT ko yaani Masjid Ki Sang E Bunyaad bhi RSS Chief Mohan Bhagwat kar rahe hai jahir hai inko fund wahin se milta hai ab aap andaza laga kay sazish ka taar kahan tak faila huwa hai.
HUM YAHAN IS MASLE KO STEP WISE BAYAN KARENGE TAAKI PADHNE WAALE HAMARE TAMAM CHEEZ KO ACCHE SE SAMAJH SAKE.
In Sha Allah Taala isko Padhke aapke Kayi Sawal kay jawab mil jayenge
Namaz Aur Bande Ka Allah Taala Se Talluk
Jitni ibadat ki kisme hai Allah Taala Usme Sabse zyada kisi ibadat ko pasand farmaya hai to wo hai Namaz ko ada karna chahe mard ho yaa aurat isliye Quran E Karim Hadees E PAak me jagah Jagah Namaz ki takeed ki gayi hai aur chodne waalo ko tambeeh azaab e ilahi ka mustahik bataya gaya hai.
Namaz talluk hai bande ka khuda se isme Mard aurat ki barabri ka koi masla nahi dono ko Allah taala Ne wohi cheez ka hukm diya hai aisa to hai nahi kay mard pe 05 waqt farz hai to aurat pe 04 balki dono kay liye har rakat waqt wahin farz hai.
Mard ko jitna sawab Masjid me jakar milta hai aurat ko bhi ghar me namaz ada karne pe wohi azar milta hai jo aage hum hadees e paak se bataynge.


Aurato Ko Masajid Jaane Kay Dalail Aur Uska Jaiza
Hadees 01:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ
"‏ إِذَا اسْتَأْذَنَكُمْ نِسَاؤُكُمْ بِاللَّيْلِإِلَى الْمَسْجِدِ فَأْذَنُوا لَهُنَّ ‏"‏‏.‏ تَابَعَهُ شُعْبَةُ عَنِ الأَعْمَشِ عَنْ مُجَاهِدٍ عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم
“Hazrat Abdullah ibn Umar Se marvi hai Nabi ne Farmaya Agar Auratein Masjid Me Jaane ki Izazat maange to unhe jaane do”
References :
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees :  865, Baab 162 : باب خُرُوجِ النِّسَاءِ إِلَى الْمَسَاجِدِ بِاللَّيْلِ وَالْغَلَسِ )
(Sahih Muslim, Kitabul Salat, Baab 30 :باب خُرُوجِ النِّسَاءِ إِلَى الْمَسَاجِدِ إِذَا لَمْ يَتَرَتَّبْ عَلَيْهِ فِتْنَةٌ وَأَنَّهَا لاَ تَخْرُجُ مُطَيَّبَةً , Hadees : 886 - 887)
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Hadees : 866)
Scan Page Sahih Bukhari #865


Ye Hadees padhke Wahabi Ahle hadees firqe kay Ulema Se leke inki lady’s preacher tak aurato kay aage awaam kay saamne baat karte hai jaahir hai ab awaam chunki is masle pe zyada kuch jaanti nahi to samajh leti hai kay Aurato ko to masjid me jaana chahiye aur aaj hume roka jaata hai aur Ulema kay khilaf dil me badgumani daalne ki koshish Aur apne firqe ki tableeg aur ahadees kay maane ko alag andaaz me pesh karne ka.
Magar sirf ek hadees padh dene se ye pura masla samajh aajaye aisa nahi hai balki is talluk se kayi aur rivayat hai jisko padhne kay baad aapko saaf saaf samajh aajayga ye farmaan Farziat kay liye nahi tha balki Khud Nabi ne apne waqt me hi ispe pabandi ka silsila shuru kiya aur daur e Farooque E Azam Radiallahu anhu me tamam Sahaba sahabiyat Ummol Momineen Rizwanullahim Azmayeen tak is baat pe raazi hochuke they kay khwateen ko masjid naa jaane diya jaaye jo aage hum dalil se saabit karnge.


ANDHERE ME MASJID JAANE KI IZAZAT
Aur iss tarah ki dusri rivayat Me Raat Ka ZIKR HAI
Hadees 02:  
ائْذَنُوا لِلنِّسَاءِ بِاللَّيْلِ إِلَى الْمَسَاجِدِ
“Hazrat Ibn Umar se marvi Nabi Ne Farmaya Aurato ko raat kay waqt Masjid jaane do”
(Sahih Bukhari,Kitabul Jumaah, Hadees : 899)
Scan Page
Pahli hadees ko dekhe to hukm maloom hota hai kay jaane ki izazat maange to dedo par dusri rivayat me izazat ka hukm hai wo bhi raat kay andhere taaki ye pahchan naa hosake kay kon aaya aur kon gaya aur issi pe sahabiyat ka amal tha magar kya aaj kay daur me ye mumkin hai ?
KUCH SAHABIYA AATI AUR RAAT KAY ANDHERE ME HI WAPAS CHALI JAATI
Hadees 03 :
عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ إِنْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لَيُصَلِّي الصُّبْحَ، فَيَنْصَرِفُ النِّسَاءُ مُتَلَفِّعَاتٍ بِمُرُوطِهِنَّ، مَا يُعْرَفْنَ مِنَ الْغَلَسِ
“Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati hai Jab Nabi Subah (Fazr) ki namaz padha lete to auratein Chadar Lapet Kar (Apne Gharo ko) wapas hojati andhere me unki pehchan naa ho sakti”
Reference :
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan Baab : 167 Hadees : 867)
Scan Page Sahih Bukhari #867



Is hadees se ye baat bhi maloom hogayi kay auratein aati to jarur thi Daur e Risalat me lekin wo kab sirf raat ki namaz yaani jab namaz andhere kay waqt hoti jaise Fazr, Isha kay waqt Zohar Asr me bhi nahi aati kay us waqt chahre pahchane jaate hai aur maloom padta hai kon aaya aur kon gaya.
Kya aaj aise halaat hai kay koi Aurat aaye aur uski pahchan naa hosake charo taraf light Camere lage hai har mard pahchan sakta hai kay falan kisi bahen hai biwi hai maa hai yahan ek aur hadees mulahiza karen.

Sahabiyat Namaz Padhti Aur Pahle Hi Chali Jati
Hadees 04 :
عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا سَلَّمَ قَامَ النِّسَاءُ حِينَ يَقْضِي تَسْلِيمَهُ، وَيَمْكُثُ
Hazrat Umm Salama Radiallahu Anhu Farmati Nabi E Karim jab salam pherte to aapke Salam pherte hee auratein jaane kay liye uth jaati aur Aap thoda der tahre rahte khade naa hote
قَالَتْ نُرَى ـ وَاللَّهُ أَعْلَمُ ـ أَنَّ ذَلِكَ كَانَ لِكَىْ يَنْصَرِفَ النِّسَاءُ قَبْلَ أَنْ يُدْرِكَهُنَّ الرِّجَالُ
Imam Zuhri Farmate hai Hum Ye Samajhte hai aage Allah jaane ye isliye taaki auratein nikal jaaye
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, #870 #875) Scan Page

Is hadees no 04 se maloom huwa kay andhere kay waqt sahabiyat jaati jarur thi magar bas itne waqt kay liye jaise hai Aap Salam pherte Sahabiyat uth kar ghar ko chali jaati intezar bhi naa karti.

KHUSHBU LAGAKAR RAAT KAY WAQT BHI MANAHI
Hadees 05: :

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَيُّمَا امْرَأَةٍ أَصَابَتْ بَخُورًا فَلاَ تَشْهَدْ مَعَنَا الْعِشَاءَ الآخِرَةَ
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi ﷺ Ne Farmaya Jis Aurat ne bhi KHUSHBOO ki Dhund Li ho, Toh Wo hamare Saath Isha ki Jamaat me haazir naa ho”
References :
(Sahih Muslim, Kitab As Salat, baab 31 , Hadees : 444)
(Sunan Nasai, Kitab Al Zeenat, Baab 37, Hadees : 5138)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Tarajjul, Hadees : 4175)


Hadees 06:
عَنْ زَيْنَبَ، امْرَأَةِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِذَا شَهِدَتْ إِحْدَاكُنَّ صَلاَةَ الْعِشَاءِ فَلاَ تَمَسَّ طِيبًا ‏
“Zaynab Al Thaqafiya Jauza Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu Rivayat Karti hai Nabi ﷺ Ne Farmaya Agar Aurat Namaz E Isha Kay liye Bahar Jana Chahe to Khushbu ka Istemal naa karen”
References : 
(Sahih Muslim, Kitab As Salat, Baab :30, Hadees : 443 (A))
(Sunan Nasai, Kitab Al Zeenat, Baab 37, Hadees : 5129, 5130, 5132,5133)
Bushr Ibn Said Radiallahu Anhu Se Yehi Marvi Hai
(Imam Malik Al Muwatta, Kitab Al Qibla, Hadees : 13)



Raat kay waqt jaane ki izazat di gayi jisme Andhera ho log pahchan naa sake amal aisa kay Salam hote hi Masjid Se nikal jaati apne gharo ko aur usme bhi khushbu lagakar jaane ki izazat naa thi.
Aaj kitni auratein hai jo aisa karengi balki Un Hamari maa bahno kay liye bhi lamha e fiqriya hai jo Mazarat E Auliya par Saz Sawar kar jaati hai yaad rakhe Jab Namaz kay liye Masjid me khud ko aarasta karke jaane ki izazat nahi to Dargaah par is tarah jaane ki izazat kaise hogi ?
Allah Taala Samajh Ata Farmaye
SAHABA NE KHUSHBU LAGAYI HUWI KHATOON KO MASJID JAANE SE ROK DIYA
Hadees 07:
نا أَبُو زُهَيْرٍ عَبْدُ الْمَجِيدِ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الْمِصْرِيُّ، نا عَمْرُو بْنُ هَاشِمٍ، يَعْنِي الْبَيْرُونِيَّ، ثنا الْأَوْزَاعِيُّ، حَدَّثَنِي مُوسَى بْنُ يَسَارٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: مَرَّتْ بِأَبِي هُرَيْرَةَ امْرَأَةٌ وَرِيحُهَا تَعْصِفُ، فَقَالَ لَهَا: إِلَى أَيْنَ تُرِيدِينَ يَا أَمَةَ الْجَبَّارِ؟ قَالَتْ: إِلَى الْمَسْجِدِ قَالَ: تَطَيَّبْتِ؟ قَالَتْ: نَعَمْ قَالَ: فَارْجِعِي فَاغْتَسِلِي، فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «لَا يُقْبَلُ اللَّهُ مِنَ امْرَأَةٍ صَلَاةً خَرَجَتْ إِلَى الْمَسْجِدِ وَرِيحُهَا تَعْصِفُ حَتَّى تَرْجِعَ فَتَغْتَسِلَ
“Hazrat Musa ibn Yaser Radiallahu Anhu Se marvi Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu ke Qareeb se Ek Aurat Guzri aur Khushbo Uske Kapdo se Mehak rahi thi.
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu ne Pucha ke Aye Khuda E Jabbar ki Bandi, Kaha ka Iraada hai ?
Usne Kaha : Masjid ka !
Abu Hurairah Radiallahu Anhu ne Pucha Tumne Khushbo Laga rakhi hai ?
Usne Kaha : Haan !
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu ne Kaha Laut Jaa aur Use Dho-daal, Kyunke Maine Rasoolullah ﷺ se Suna hai ke Allah tala Kisi Aurat ki Namaz Qubool nahi karta, Jo Is Halaat me Masjid ke liye Nikle, ke Khusbo Uske Kapdo se Mehak rahi ho”

(Saheeh Ibn Khuzaima Vol :03, Pg : 92, #1682, wal Hadeesuhu SAHEEH)
Scan Page
:

Sahaba Ka Amal dekhte jaaye kaisa tha Khushbu kapdo se mahek rahi thi to Masjid me jaane se rok diya aaj kya aise halaat hai ?

AURATO KAY LIYE MASJID SE ZYADA BAHTAR JAGAH GHAR HAI
Hadees 08:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
‏ "‏ لاَ تَمْنَعُوا نِسَاءَكُمُ الْمَسَاجِدَ وَبُيُوتُهُنَّ خَيْرٌ لَهُنَّ
Hazrat Abdullah Ibn Umar se marvi hai Nabi ﷺ ne Farmaya Aurato ko Masjid me aane se naa roko lekin ghar unke liye behtar hai.
References :
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, baab 203, Hadees 567)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 327, Hadees : 755)
Imam Hakim Farmate hai Ye hadees Imam Bukhari Wa Muslim Ki shart par Sahih hai.
Imam Zahbi Ne bhi isko Talkhees Me Shaikhen Ki Shart Pe Sahi Qarar diya.  

Scan Page Sunan Abu Dawood #567


Is se maloom huwa kay Nabi ﷺ ne Masjid me aane ki izazat to di thi lekin phir farmaya kay AURATO kay liye unka ghar bahter hai yaani kay ab jaise jaise Islam fail raha tha hukm me tabdeeli aane lagi kay ye ishara tha kay ghar me hi ab namaz ada karen.
AURATO KAY LIYE MASJID SE ZYADA AFZAL HAI GHAR ME NAMAZ ADA KARNA
Hadees 09:
، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «صَلَاةُ الْمَرْأَةِ فِي بَيْتِهَا أَفْضَلُ مِنْ صَلَاتِهَا فِي حُجْرَتِهَا، وَصَلَاتُهَا فِي مَخْدَعِهَا أَفْضَلُ مِنْ صَلَاتِهَا فِي بَيْتِهَا
“Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi ﷺ ne irshad Farmaya Aurat ki Ghar ke Andar ki Namaz, Ghar ke Sehan ki Namaz se afzal hai aur Uski Ghar ki (Andruni) Kotri ki Namaz, Ghar ki Namaz se Behtar hai”
References :
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 328,  Hadees : 757)
Imam Hakim Farmate hai Ye hadees Imam Bukhari Wa Muslim Ki shart par Sahih hai.
(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabeer Vol : 09, Pg : 299)
Imam Zahbi Ne bhi isko Talkhees Me Shaikhen Ki Shart Pe Sahi Qarar diya.  


(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, #570) (Jamai Tirmizi, #1173) (Naseerudin Albani Muhadis E Azam Saudiya, Sahih Attargeeb Wal'tarheeb, Vol :01, Pg : 136)
Scan Page Sunan Abu Dawood

Hakim Al Mustadraq


Hakim Al Mustadraq #757
Hadees 10:
عَن أم سَلمَة رَضِي الله عَنْهَا  قَالَت قَالَ رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم صَلَاة الْمَرْأَة فِي بَيتهَا خير من صلَاتهَا فِي حُجْرَتهَا وصلاتها فِي حُجْرَتهَا خير من صلَاتهَا فِي دارها وصلاتها فِي دارها خير من صلَاتهَا فِي مَسْجِد قَومهَا
Hazrat Umme Salamah radiallahu anha Se marvi hai Huzur ne Farmaaya ke Aurat ki Apni Kotri ki Namaz Behtar hai, Uske Bade Kamre ki Namaz se aur Uske Bade Kamre ki Namaz Behtar hai, Ghar ke Sehan ki Namaz se aur Uske Sehan ki Namaz, Masjid ki Namaz se Behtar hai.
References :
(Imam Munziri At Targheeb Wat Tarheeb Vol : 01, Pg : 141, #03) Imam Munziri ne isko Imam Tabarani Kay Hawale Se Naql kiya aur farmaya Iski Sanad Jayyad Hai. Scan Page



Hadees 11:
عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلَاةُ الْمَرْأَةِ فِي بَيْتِهَا خَيْرٌ مِنْ صَلَاتِهَا فِي حُجْرَتِهَا وَصَلَاتُهَا فِي حُجْرَتِهَا خَيْرٌ مِنْ صَلَاتِهَا فِي دَارِهَا وَصَلَاتُهَا فِي دَارِهَا خَيْرٌ مِنْ صَلَاتِهَا فِيمَا وَرَاءَ ذَلِكَ
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai  
(Imam Ibn Adbul Barr Al Tamheed Vol : 23, Pg : 401)
Sanad Hasan kay saath likha.
Ek Aur Rivayat Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi hai is tarah ki.
(At-Tamheed Li Ibn Abdul Barr Vol : 23 Pg : 399, wa Isnaaduhu HASAN Bish-Shawaahid) Hadees 12:

حَدَّثَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ الْمَحْبُوبِيُّ، بِمَرْوَ، ثنا سَعِيدُ بْنُ مَسْعُودٍ، ثنا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، أَنْبَأَ الْعَوَّامُ بْنُ حَوْشَبٍ، حَدَّثَنِي حَبِيبُ بْنُ أَبِي ثَابِتٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَا تَمْنَعُوا نِسَاءَكُمُ الْمَسَاجِدَ، وَبُيُوتُهُنَّ خَيْرٌ لَهُنَّ»
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasoolullah ﷺ ne Farmaya ke Apne Aurto ko Masjid Aane se Na Roko, Halaanke Unke Ghar Unke liye Zyaada Behtar hai. (Yaani Masjido me Namaaz Pardne ke Muqaable me Unke liye Ghar me Namaaz Pardna Zyaada Baa-is e Sawaab hai)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg :  327,#755)
Imam Hakim Rahmatullah Alaih aur Imam Zahbi Rahmatullah Alaih is riwayat ko Shaikhain ki Sharat par Sahih Kaha Scan page

Namaz Bande aur Allah kay darmiyan ek rabta hai jiski kabooliyat ussi tarah hogi jo tarika Nabi ne bayan kiya aur hamare tamam Aslaaf uski pairwi karte rahe. Hadeeso Se Ummul Momineen Radiallahu Anha kay aqwal se maloom huwa aurato kay liye bahtar Afzal namaz unke ghar me hai naaki masjid me aur jo afzal behtar hai uska azr sawab bhi zyada hai lihaja Muslim khwateen ko chahiye kay sahih deen samjhe uspe amal karen naaki munafiqeen k maqr fareb me aaye. Ab Hattdharmi karke koi liberal type ladies khadi ho aur jisko thik se naa gusl aata ho naa namaz kay ehkaam pata ho aur media kay aage khud ko Muslim society ki numainda banakar pesh kare to aap samajh sakte hai aisi khatoon ek kafiro ki taraf se mohra hai aur kuch nahi.


AURATO KAY LIYE GHAR ME NAMAZ ADA KARNA MASJID ME NAMAZ PADHNE SE ZYADA SAWAB HAI AUR ALLAH KI QURBIYAT BHI ZYADA HOTI HAI
Hadees no 02 se 12 tak is baat pe dalil hai kay ghar me khwateen ka namaz padhna masjid me namaz padhne se zyada afzal hai ab yahan hum dalail kay taur pe ek hadees pesh karte hai jo sawab bhi zyada hai uski.
Hadees 11:
إِنَّهَا لَا تَكُونُ أَقْرَبَ إِلَى اللَّهِ مِنْهَا فِي قَعْرِ بَيْتِهَا
Aap ﷺ ne Farmaaya ke Aurat Allah se Sabse Zyaada Qareeb us Waqt hoti hai, Jab ke wo Apne Ghar me Hoti hai”
References :
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Ausat Vol :03, Pg : 189, Hadees : 2890)
(Imam Munziri Attargeeb Wa Tarheeb Vol : 01, Pg : 141 )
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 07, Pg : 612, Hadees : 7671)

Farmate hai Iske Rizaal Sahihain kay Rizaal hai.
Scan Page #Tabarani Al Ausat #2890





Hadees 12 :
عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِنَّ أَحَبَّ صَلَاةٍ تُصَلِّيهَا الْمَرْأَةُ إِلَى اللَّهِ فِي أَشَدِّ مَكَانٍ فِي بَيْتِهَا ظُلْمَةً
Allah ke Nazdeek Sabse Zyaada Mehboob Aurat ki wo Namaz hai, Jo Taarik tar Kotri me ho. (Yaani Sabse Zyaada Poshida Jagaah par ho).
References :
(Sahih Ibn Khuzayma Vol :03, Pg : 95-96, #1691)
Imam Ibn Khuzayma Is hadees ko sahih kahte hai.
(Imam Haythami Mazma uz Zawaid Vol : Pg :120 Hadees : 2115)
(Imam Manawi At Taiseer Vol : 2, Pg : 352)
(Imam Munziri At-Targheeb wat Tarheeb Vol : 01, Pg :136) Scan Page Sahih Ibn Khuzaymah



BANI ISRAEL KI KHWATEEN MASJID JAANE SE ROK DI GAYI THI
Hadees 13:
عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ لَوْ أَدْرَكَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مَا أَحْدَثَ النِّسَاءُ لَمَنَعَهُنَّ كَمَا مُنِعَتْ نِسَاءُ بَنِي إِسْرَائِيلَ‏.‏ قُلْتُ لِعَمْرَةَ أَوَ مُنِعْنَ قَالَتْ نَعَمْ‏
“Syeda Ayesha Siddiqa Radiallahu Anhu Farmati Hai Aaj Aurato’n Me Jo baatein paida hogayi hai agar Rasool E Karim Ne Dekh liya hota to aaj unko Masjid Me Aane Se Rok Dete Jis Tarah Bani Israel Ki Auratein Ko Rok Diya Gaya Tha,
Raavi Ne Pucha Kya Bani Israel Ki Auraton Ko Rok Diya Gaya Tha,
Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ne Farmaya Haan”
References :
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 869)
(Sahih Muslim, Kitabul Asalat, Baab 30, hadees 895)
(Sahih Muslim, Kitab As Salat, baab 31 , Hadees : 445 - (446 Rivayat Yahya ibn Saad)
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabul Qibla, Hadees : 472)
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Baab 204, Hadees :  569)

Scan page Sahih Bukhari #869


NABI ﷺ KHUD AISE HALAT ME AURATO KO AANE SE ROK DETE
Hadees 14:

حَدَّثَنَا الْحَكَمُ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ أَبِي الرِّجَالِ، فَقَالَ أَبِي: يَذْكُرُهُ عَنْ أُمِّهِ، عَنْ عَائِشَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ  لَا تَمْنَعُوا إِمَاءَ اللهِ مَسَاجِدَ اللهِ، وَلْيَخْرُجْنَ تَفِلَاتٍ ” قَالَتْ عَائِشَةُ: ” وَلَوْ رَأَى حَالَهُنَّ الْيَوْمَ مَنَعَهُنَّ

Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai Huzur Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya ke Allah ke Bandiyo ko Allah ki Masaajid se na Roko aur  wo Gharo se is Halaat me Nikle, ke Unke Kapdo se Buh aati ho.
Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Aage Bayaan karti hai ke Agar Huzur ﷺ Aaj ke Halaat Dekh-lete (ke Aurtein Kharaab Kapdo ko Chor-kar, Kaise Zeenat Waale Libaas aur Zeenat waali Cheeze Istemaal Kar rahi hai), Toh Aap ﷺ Aurto ko Masjid Aane se Rok dete”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Al Musnad Vol : 40, Pg : 468-69, #24406)
Tehkeek Shuayab Al Arnaut wa Isnaaduhu SAHEEH wa Rijaaluhu Kulluhum Siqaatun

Scan Page

Nabi ﷺ Ne Khud Sharait Ki Khilaf Arzi Karne Ki Wajah Se Aurato Ko Aane Se Roka
Hadees 15:
عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ بَيْنَمَا رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ جَالِسٌ فِي الْمَسْجِدِ إِذْ دَخَلَتِ امْرَأَةٌ مِنْ مُزَيْنَةَ تَرْفُلُ فِي زِينَةٍ لَهَا فِي الْمَسْجِدِ فَقَالَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ يَا أَيُّهَا النَّاسُ انْهَوْا نِسَاءَكُمْ عَنْ لُبْسِ الزِّينَةِ وَالتَّبَخْتُرِ فِي الْمَسْجِدِ فَإِنَّ بَنِي إِسْرَائِيلَ لَمْ يُلْعَنُوا حَتَّى لَبِسَ نِسَاؤُهُمُ الزِّينَةَ وَتَبَخْتَرْنَ فِي الْمَسَاجِدِ
“Hazrat Syeda Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Bayan Farmati hai Nabi ﷺ Masjid me tashreef farma they kay Qabeele Muzaina Ki ek khatoon Khoobsurat Kapdo me Mazeen Naaz o Nakhoot kay saath Masjid Me daakhil huwi (Uski ye na pasandida Kaifiyat Dekh Kar), Nabi ﷺ Ne irshad Farmaya AYE LOGO Apni Aurato ko Zeenat Se aarasta hokar aur khush raftari kay saath Masjid me aane Se rooko, Bani Israel ussi waqt Maloon kiye gaye, Jab Unki Auratein Saj Dhaj kar naaz o nakhoot se Masjido me aane lagi”
(Sunan Ibn Majah, Kitabul Fitan, Hadees : 4001)




Nabi ﷺ Ne Khud Sahabiya Ko Ghar Me Namaz Padhne Ka Hukm Diya Masjid E Nabwi Me Apni Iqteda Me Nahi
Hadees 15 :
“Umm Humayd Jauza Abu Humayd Al Saeedi Nabi E Akram ﷺ Ki Khidmat Me Haazir huwi aur Arz kiya : Aye Allah ke Rasool ﷺ ! Mai Aapki Iqtedaa me Namaaz Pardne ki Khwahish Rakhti hu.Aap ﷺ ne Farmaaya ke Mai Jaanta hu ke Tu Mere Saat Namaaz Pardne ko Pasand karti hai, Lekin Teri Ghar ki (Andruni) Kotri ki Namaaz Bade Kamre ki Namaaz se Behtar hai.
Aur Teri Bade Kamre ki Namaaz Sehan ki Namaaz se Behtar hai. Aur Teri Sehan ki Namaaz Mahelle ki Masjid ki Namaaz se Behtar hai aur Mahelle ki Masjid ki Namaaz Meri Masjid ki Namaaz se BEHTAR hai.
Umme Humaid Radiallahu Anha (Huzur ﷺ ke Mansha ko Samajh-kar, Unhone) ne Apne Ghar waalo (Ghar ke Andar) Masjid Banaane ka Hukum diya, Chunaanche Ghar ki Taarikh-tar Kotri me Unke liye Masjid Banaayi gayi aur wo Usi me Namaaz Pardti rahi Yaha tak ke Allah se Jaali mili”
References :
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 45, Pg : 37, #27090)Tehkeek Shaykh Arnaut Hadees E Hasan.
(Imam Ibn Khuzaimay, Sahih Ibn Khuzaima Vol : 03, Pg : 95, #1689)Hadee Sahih
(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabeer Vol : 25, Pg : 148, #356)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol :02, Pg :33,  #2106)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Fathul Baari Vol : 02, Pg : 349)
Hasan Hadees
(Imam Ibn Hibban As Sahih, Vol : 05, Pg : 595)
Sanad Qawi
(Wahabi Muhadis Saudia Arabi Albani, Sahih Attargeeb Wa Tarheeb, Vol : 01, Pg : 135)
Scan Page Musnad Ahmad #27090

Kaum E Muslim Ko Bani Israel Ki Tarah Maloon Karne Ki Sazish
Jaisa kay upar dalil kay taur pe do hadees se saabit hai kay jab Bani Israel ki aurato ne zeenat ko arasta karke Masjid me jaana Shuru kiya unhe unke daur me rok diya gaya aur phir bhi log baaz naa aaye to ye bhi unke barbaadi aur lanaat ka sabab bani yehi sazish log aaj kaum e Muslim kay saath kar rahe hai ab bazaar to waise bhi fehesh goyi ka adda bepardgi ka adda ban chuka hai koshish kafiro ki yehi hai kay jaisa unke Mandir barbaad huwa hai aur yehi sab kaam wahan ho rahe hai Musalmano ki ibadat khano ko bhi ussi tarah behayi ka adda bana diya jaaye aur Musalmano ko aur zyada ruswayi ka samna karna pade.

Sahaba Aur Tabayin ka Amal 
Hadees 16: 
Hazrat Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu Farmaate hai ke Bani Israael ke Mardo wa Aurtein Ekhatta Namaaz Padha karte they, Jab Kisi Aurat ka Koi Aashna hota, Toh Khadawan Pahen leti thi, Jisse wo Lambi Hojaati Apne Aashna ko Dekhne ke liye (Toh Unki is na-Zeba Harkat par Ba-taur Sazaa ke) Unpar Haiz Musallat Kardiya gaya (Yaani Haiz ki Muddat Daraaz kardi gayi aur Is Halaat me Masjid me Unka Aana Haraam Kardiya gaya,
Hazrat Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu isko Bayaan karne ke baad Farmaate they ke In Aurto ko Nikaalo Jaha se Allah ne Inko Nikaala hai.
References : 
(Imam Ibn Khuzaima As Sahih, Vol:03, Pg :99, #1700)
Sanad Sahih
(Imam Ibn Hajar Asqalani Futhul Baari Shara Sahih Bukhari, Vol : 02, Pg : 350)
(Imam Haythami Al Mazma Uz Zawaid, #2120) 
Is hadees Kay Rijaal Ko Sahih Qarar Diya Hai
Ibn Khuzaima #1700 Scan Page


Juma Aur Eidan Ka Masla Aur Sahaba Ka Amal
Hadees 17 :
Imam ul Mufassireen Abdullah bin Abbas Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 68 Hijri ka Fatwa Aurato Kay Jumah Ki Namaz Kay Baare Me Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallahu Anhu se riwayat hai ke
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، قَالَ : حَدَّثَنَا إسْرَائِيلُ ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَبَّاسٍ ، أَنَّ امْرَأَةً سَأَلَتْهُ عَنِ الصَّلاَة فِي الْمَسْجِدِ يَوْمَ الْجُمُعَةِ ؟ فَقَالَ : صَلاَتُكِ فِي مَخْدَعِكِ أَفْضَلُ مِنْ صَلاَتِكِ فِي بَيْتِكِ ، وَصَلاَتُكِ فِي بَيْتِكِ أفْضَلُ مِنْ صَلاَتِكِ فِي حُجْرَتِكِ ، وَصَلاَتُكِ فِي حُجْرَتِكِ أَفْضَلُ مِنْ صَلاَتِكَ فِي مَسْجِدِ قَوْمِك
Ek Aurat ne Jume ki Namaz Masjid padhne ke bare me Unse pucha, Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu ne Jawaab me Unhe Ijaazat Dene ke Ba-jaaye Farmaaya Teri Kotri ki Namaz, Tang Kamre ki Namaz se Behtar hai, Tere Tang Kamre ki Namaz, Khule Kamre ki Namaz se Behtar hai aur Teri Khule Kamre ki Namaz Masjid ki Namaz se Behtar hai.
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03,Pg : 341,Hadees :7698)
Scan Page

Hadees 18: 
Imam Naafe Rahmatullah Alaih Al Mutawaffa 117 Hijri Farmaate hai ke
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ جَابِرٍ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ «أَنَّهُ كَانَ لَا يُخْرِجُ نِسَاءَهُ فِي الْعِيدَيْنِ
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Apni Aurto ko Eidain me Nahi Lejaate the.
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 03, Pg : 40 Hadees :5850)
Scan Page 



Hadees 19: 
Imam Abdur Rehman Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 126 Hijri Farmaate hai ke
حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ ، عَنْ قُرَّةَ , قَالَ : حدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ الْقَاسِمِ ، قَالَ : كَانَ الْقَاسِمُ أَشَدَّ شَيْءٍ عَلَى الْعَوَاتِقِ ، لاَ يَدَعُهُنَّ يَخْرُجْنَ فِي الْفِطْرِ وَالأَضْحَى.
Imam Qaasim bin Muhammed bin Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 106 Hijri Jawaan Aurto ke bare me Saqth they, wo Unko Eid ul Fitr aur Eid ul Azha ke liye Nahi Nikaalne dete the.
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 03, Pg : 41 Hadees:5852)

Hadees 20 : 
Imam, al Hafiz, Al Mujtahid Ibrahim an Nakh’ii Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 96 Hijri Farmaate hai ke
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ مَنْصُورٍ ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ ، قَالَ : كُرِهَ لِلشَّابَّةِ أَنْ تَخْرُجَ إلَى الْعِيدَيْنِ
Jawaan Lardkiyo aur Aurto ka Eidain ke liye Nikalna Makrooh hai. (Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 03, Pg : 41,Hadees : 5853)
Scan Page (Hadees 20 #5852 || Hadees 21 #5853)




MASJID ME NAMAZ ADA KARNE KI MANNAT MANGNE WAALI AURAT AUR IMAM HASAN BASRI KA FATWA 
Hadees 21 :
Imam Hasan Al Basri Radiallahu Anhu Al Mutwaffa 110 Hijri se Pucha gaya ke
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، حَدَّثَنَا إيَاسُ بْنُ دَغْفَلٍ ، قَالَ : سُئِلَ الْحَسَنُ عَنِ امْرَأَةٍ جَعَلَتْ عَلَيْهَا إِنْ أُخْرِجَ زَوْجُهَا مِنَ السِّجْنِ أَنْ تُصَلِّيَ فِي كُلِّ مَسْجِدٍ تُجَمَّعُ فِيهِ الصَّلاَة بِالْبَصْرَةِ رَكْعَتَيْنِ ، فَقَالَ الْحَسَنُ : تُصَلِّي فِي مَسْجِدِ قَوْمِهَا فَإِنَّهَا لاَ تُطِيقُ ذَلِكَ لَوْ أَدْرَكَهَا عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ لأَوْجَعَ رَأْسَهَا
Ek Aurat ke bare me ke Jisne Yeh Nazar Maangi Rakhi thi ke Agar Uska Shohar ko Jail se Rihaayi mil-jaaye, Toh wo Basra ki Har us Masjid me 2 Rakaat Nafil Padhegi, Jisme Ba-jamaat Namaz hoti hai.
Hazrat Hasan al Basri Radiallahu Anhu ne Farmaaya ke wo Apne Mahelle ki Masjid me 2 Rakaatein Aada karke Apni Nazar puri kare, Kyunke Basra ki Har Masjid me Jaakar Namaz pardne ki (Sharan) Taaqat Nahi, Neez Hasan Al Basri Radiallahu Anhu Farmaate hai ke Agar Umar bin Khattab Rdh. Is (Nazar Maangne waali) Aurat ko Paalete, Toh Usko Zaroor Saza Dete.
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 03, pg : 342, Hadees : 7701)
Scan Page
AZAN SUNKAR MARD KO MASJID JANE KA HUKM AURAT KO NAHI
Hadees 22 :
Imam Ibn Juraij Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 150 Hijri Farmaate hai ke
عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، عَنْ عَطَاءٍ قَالَ: قُلْتُ لَهُ: أَيَحِقُّ عَلَى النِّسَاءِ إِذَا سَمِعْنَ الْأَذَانَ أَنْ يُجِبْنَ كَمَا هُوَ حَقٌّ عَلَى الرِّجَالِ؟ قَالَ: «لَا لَعَمْرِي»
Maine Imam Aata bin Abi Rabaah Radiallahu Anhu Al Mutawaffa 114 Hijri se pucha hai ke Jaise Mardo ke liye Yeh Haq Saabit hai ke Jab wo Azaan Sune, Toh Masjid me Haazir ho, Kya Aurto ke liye bhi Yeh Saabit hai ?
Imam Aata Radiallahu Anhu ne QASAM UTHAAKAR Farmaaya ke Unke Liye Saabit Nahi.
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf Vol : 03, Pg : 147, Hadees: 5106)


EK AHEM HIKMAT
Jaisa kay hum sab is baat ko bakhubi jante samajhte hai kay Aurato kay kuch ayyam e makhsoos hote hai jisme unpar koi namaz farz nahi hoti jisko MC Period ka waqt bhi kaha jaata hai ye wo cheez hai jisko aqsar auratein apne shohar tak se chupa kar rakhti hai ab bilfarz maan le koi aurat lagatar namaz ada karne kay liye Masjid aarahi ho aur achanak wo aana band karde 04 05 din isse kya hoga wo Raaz awaam me khul jayga kay falan khatoon apne ayyam e makhsoos me hai.


Masjid Ko Kahin Park Na Bana Liya Jaaye
Hoga ye kay jab mard aurat ki mixup hogi uske natize bhi bure hi honge koi ladka ladki jab maa baap se masjid jaane ki izazat mangege koi maa baap mana to kar nahi sakte iske liye natiza hoga jo meeting kal tak logo ki park me lagti thi wo namaz kay bahane masjid kay ird gird lagegi ispe shayad hume zyada khulase ki bhi jarurat nahi hai log samajh gaye honge.

In tamam Hadees E Paak Se Tabain Se Leke Sahaba tak kay Fatwe aur Sahaba Ka Farman Kay Nabi Kay Jamane me agar aise halat hote to Aap bhi Aurato ko masjid me aane ki izazat na dete ab koi hatt dharmi karke is masle ko ek fitne kay sabab udhaye aur muslim khwateeno ko gumrah kare to yakin jaane wo chupa huwa munafiq hai.
Note : Agar koi aitraaz jiska jawab post me na ho to comment box me kare taaki post me usko bhi update karke shamil kar sake. keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanfi

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers