Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 26 June 2020

,
سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله
Ek Naya fashion chal pada hai har shaksh rah chalta insan khud ko Maulayi Hubbe Ahle Bait Ka dawedar kahta hai aur dusro ko jo inke nazariyat se milap nahi rakhte unhe fauran Yazeedi Nasibi kahte hai aur inhone jo miyar banaya hai is daur me kisi dusre ko nasbi kahna ka wo hai Sahabi E Rasool Hazrat Ameer Muaviya Ibn Abu Sufyan Radiallahu Anhu ki tauheen karna aur dusra Iman E Abu Talib yaani jo shakhs Iman E Abu Talib Ka qayal nahi hai aur Ameer Muaviya Radiallahu Anhu ki tareef karta hai ya unhe bura bhala nahi kahta to wo nasbi hai inke hisab se,
Halanki jinke apne andar neem rafziyat ka virus hai wo dusro ko nasbi kah rahe hai aur aise logo kay baare me Nabi E Karim ﷺ
 ne jis tarah Ahle Bait kay mutallik wasiyat farmayi thi to Sahaba Kay baare me bhi farmaya tha ho ye raha hai ek wasiyat dikhaye jaa rahi hai dusri dikhaye nahi jaa rahi lihaja jaruri hai kay hum dono ko padhe aur dono pe kayam rahe, 
Hamare Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih Ne Kya Khoob Farmaya hai 
"Ahle Sunnat ka hai beda paar Ashab-e-Huzoor Najm hai aur Nao hai Itrat Rasool Allah ﷺ ki"

Yaani Ahle Sunnat Ka Beda Paar hai Kyuki Hamare pass Nabi E Karim  Kay Sahabi bhi hai jinki misl sitaro si hai aur Nizaat kay liye Ahle Bait bhi jo Kashti E Nooh Ki manind hai inme se kisi ko bhi choda jaaye to raah e hidayat se banda bhatak jayega

Aqeedah : Islam me Har chiz Ki Muhabbat ka Takaza hai Nisbat Se Yaani Hum Nabi E Karim ﷺ Ki ahle bayt se aqeedat muhabbat rakhte hai to wo nisbat qurbiyat ki wajah hai Nabi E Karim  ki jaat wa shaksiyat, ussi tarah Ashaab E Rasool  Ki nisbat bhi hai Nabi E Karim  se lihaja ussi nisbat ka takaza hai kay hume inka bhi ahteram adab karna hai lihaja ek taraf maan na aur dusre taraf gustakhi karna ye dar asal Nabi E Pak  se khayanat karna hai is baat ko samajhna sabse ahem hai.
Yahan Hum Sahaba Kay mutallik kuch ahadees e karima likh rahe hai ummid hai log padhke jaban daraji se khud ko rokenge Kyuki Jis Nabi 
 ka Ahle bayt kay mutallik farmaan hai wohi Nabi E Pak  ka apne Sahaba kay baare me bhi farman wasiyat hai.


{Fazail E Ahle Bayt Pe Hamari Post Jarur padhe CLICK TO READ}


Koi Kitna Hi Amal Karle Sahaba k Martabe Ko Nahi Paa Sakta 
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu se rivayat hai k Rasool Allah ﷺ ne Irshad Farmaya Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza E Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
(Sahih Muslim, Pg : 1258, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba, Baab No 54 Sahaba ko Bura Na kaho, Hadees : 6382)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Kitab Al Sunnah, Hadees : 4658)
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Kitab Ul Manakib, Hadees : 3861)
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab Al Mukaddam,Hadees : 161)

Note : Ye hadees Imam Abu Dawood aur Imam Tirmizi ne Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anho se rivayat ki.
Scan Page Sahih Muslim


Nabi E Karim  Ki Suhbat Me Guzara Ek Lamha Zindagi Bhar Kay Amal Se Bahtar hai
Hadees 02: 
“Hazrat Nusair Bin Zu’look Radiallahu Anhu Rivayat Karte Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Farmaya Karte They Ke Huzoor Nabi E Akram  Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Ek Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hai"
(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 44, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162)

(Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg : 405, Hadees : 32415)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol : 02 Pg : 484, Hadees : 1006)
Scan Page Sunan Ibn Majah 


Jo Sahaba Ko Takleef Pahuchaye Usne Huzoor  Ko Takleef Pahuchayi
Hadees 03:
“Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram  Ne Farmaya Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Me Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Mere Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakreyga.”
(Sunan Tirmizi, Pg : 861, Kitab Manakib, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees -20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)
Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan likha hai
Sahaba k Mutallik Huzoor  Ki Wasiyat Aur Nasihat
Hadees 04: 
“Hazrat Jabir Bin Samurah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Unhoney Bayan Kiya Key Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ney Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :
Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi E Akram  Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap  Ney Farmaya Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain.
Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain.
Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Radi Allaho Anho Sey Marwi Aik Riwayat Mey Farmaya :
Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”
(Sunan Ibn Majah Pg : 404, Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01, 98, Hadees : 144)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 187,188, Hadees : 388, 390)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)
Scan Page Ibn Majah

Khane Me Namak Na Hoto Khana Accha Nahin Lagta
Hadees 05 :
Hazrat Hasan Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Apne Sahaba Se Farmaya Tum Logo’n Me Aise Ho Jaise Khane Me Namak Hota Hai.
Raawi Kahte Hain Ki Hazrat Hasan Radiallahu Anhu Ne Kaha Ki Namak Ke Beghair Khana Accha Nahin Hota Phir Hazrat Hasan Radiallahu Anhu Ne Kaha Us Qaum Ka Kya Haal Hoga Jis Ka Namak Hee Chala Gaya.”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail Us Sahaba, Vol :01, Pg :59, Pg : Hadees : 17)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 404, Hadees : 32405)
(Imam Abdullah Ibn Mubarak Kitab Uz Zuhd, Vol : 01, Pg : 200, Hadees : 572)

Sahaba Kay Bare Me Apni Jaban Na Chalana
Hadees 06 :
Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya
Jab Mere Sahaba Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh Ho Jaao Jab Sitaaro’n Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh Ho Jaao Aur Jab Qadr Ka Zikr Kiya Jaaye To Bhi Khaamosh Ho Jaao.”
(Imam Tabarani Al-Mujam ul Kabir, Vol : 02, Pg : 96, Hadees :1427)
Sahaba Pe Tabbara Karne Waalo Par Lanaat
Hadees 07 : 
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Rasoolullah  Ne Farmaya :
Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi) Par Allah Ta’ala Ki Laanat Ho.”
(Jamai Tirmizi, Pg : 870, Kitabul Manakib, Hadees : 3866)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366)
(Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01, Pg : 263, Hadees : 1022) 

Hadees 08:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم، قَالَ لَعَنَ اللَّهُ مَنْ سَبَّ أَصْحَابِي
"Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi E Karim  ne Farmaya Allah Taa'la Ki Lanat hai unpe jo mere Sahaba ki tauheen karte hai"
(Imam Tabrani Al Mujam Al Ausat, Hadees : 7198)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Hadees :13588
(Imam Jalaludin Suyuti Jaame Us Sageer, Hadees : 7260)
(Hafiz Ibn Kathir Jami Al Masaneed Wa Sunan, Vol :01, Pg : 458, Hadees : 983)
(Imam Nurudin Haythami Majmaʻ al-zawāʼid wa-manbaʻ al-fawāʼid, Vol : 10, Pg :21)
Scan Pages Hafiz Ibn kathir

Gustakh E Sahaba Par Lanat Inki Aakhirat Me Koi Sunwayi Nahi Hogi

Hadees 09:
“Hazrat Uwaym Bin Saidah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya 
Beshak Allah Ta’ala Ne Mujhe (Apna Pasandidah Rasool) Ikhtiyar Kiya Aur Mere Liye Mere Sahaba Ko Ikhtiyar Kiya Pass Is Ne Mere Liye Un Me Se Wujara’ Banaaye Aur Qareebi Rishtedar Aur Ansaar(Madadgaar) Pas Jis Ne Inhein Gaali Dee To Us Par Allah Ta’ala Aur Us Ke Firishto’n Aur Tamam Logo’n Ki La’nat Ho Aur Qiyamat Ke Roz Allah Ta’ala In Ke Kisi Her Pher Ya Daleel Ko Qubool Nahin Karega.”
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 05, Pg : 491,Hadees : 6656)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam ul Awsat, Vol : 01, Pg : 144, Hadees : 456)
(Imam Ibn Abi Asim As-Sunnah, Vol : 02, Pg :483,Hadees :1000)
Scan Page
Hadees  10:
"Hazrat Ata’ Bin Abu Ribah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi E Karim  Ne Farmaya Jis Ne Mere Sahaba Ki Meri Wajah Se Hifazat Kee Aur Izzat Kee To Qiyaamat Ke Din Mein Us Ka Muhaafiz Hounga Aur Jis Ne Mere Sahaba Ko Gaaliya’n Dee To Us Par Khuda Kee La’nat Ho.”
(Fazail E Sahaba Imam Ahmad Ibn Hanbal, Pg : 43, Hadees :10)
Hadees 11:
"Hazrat Jabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi E Rehmat ﷺ Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki Beshak Log Kaseer Ta’daad Me Hain Aur Mere Sahaba Qaleel Hain.

Pas Mere Sahaba Ko Bura Bhala Mat Kaho Aur Jis Ne In Ko Bura Bhala Kaha Us Par Allah Ta’ala Kee La’nat Ho.”
(Tabarani Al Mujam ul Awsat, Vol : 02, Pg : 47,Hadees : 1203)
(Imam Abu Yala Al Musnad Vol : 04, Pg : 133, Hadees : 2184)
Scan Page

Hadees 12:
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai,Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya,Jo mere sahaba radiallah Anham Ke Baare Me Badgoi Kare Is Par Allah Ki, Farishton Ki Aur Tamaam Logon Ki Lanat Hai.

(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Hadees : 12709)

Ye tamam rivatein likhne ka maksad bas itna hai kay aaj jo log kuch bayanat tareekhi waqiyat ya deegar rivayat padhke apne aapko bada muhakkik dikhana chahte hai unhe hosh kay nakhoon lena chahye kay wo apni aakhirat ko barbaad karne me lage hai baroz e kayamat inki koi dalil inke kaam na ayegi balki ye jaise jaise gustakhi karnge haq se dur hote chale jaynge ab dekha bhi jaa raha jo log kal tak Hazrat Ameer Muaviya Radiallahu Anhu pe laan taan karte they ab deegar sahaba pe bhi karne lage kya ye ishara inhe khud samajh nahi aaraha kay ye gumraah huwe jaa rahe hai ? 

Ab is Talluk se hum mukhtasar Aimma Sufiya Kay aqwal pesh karte hai aur ye tabka khud faisla kare kya inse bada Ahle Bayt ka muhib aur ilm wala hai ? 


Imam ul Muslimeen Imam E Ahle Sunnat Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 241 Hizri)
"Hazrat Abdullah (Imam Ahmad Ibn Hanbal Kay Sahabzade) Bayan Karte Hain Mene Apne Walid e Girami Se Us Aadmi Ke Bare Main Pucha Jo Nabi Kareem  ke Kisi Sahabi Ko (Maaz Allah) Gali Deta Hai Tu Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya Main Us Aadmi Ko(Jo Huzoor Sallal Laho Alaihi Wasallam Ke Kisi Sahabi Ko Gali De) Islam Par Nahi Samjhta"
(Imam Khallal As Sunnah, Vol : 03, Pg : 483, Hadees : 782)
Scan Page



Imam Abu Jafar Al Tahawi Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 321 Hijri) jo Imam Hai tamam Ahnaf kay apni aqeede ki kitab me likhte hai
"وَنُحِبُّ أَصْحَابَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَلَا نُفَرِّطُ فِي حُبِّ أَحَدٍ مِنْهُمْ وَلَا نَتَبَرَّأُ مِنْ أَحَدٍ مِنْهُمْ وَنُبْغِضُ مَنْ يُبْغِضُهُمْ وَبِغَيْرِ الْخَيْرِ يَذْكُرُهُمْ وَلَا نَذْكُرُهُمْ إِلَّا بِخَيْرٍ وَحُبُّهُمْ دِينٌ وَإِيمَانٌ وَإِحْسَانٌ وَبُغْضُهُمْ كُفْرٌ وَنِفَاقٌ وَطُغْيَانٌ
Hum Ashabe Rasool Se Muhabbat Karte Hain Or Hum Inmese Kisi Ki Muhabbat Me Is Ke Haq Se Zada Nahi Badhte.Or Na Hi Inmese Ki ki Bar'at Ka Izhar Karte Hain.Hum Unse Buzg Rakhte Hain,Jo Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Se Buzg Rakhta Hai.Hum Inse Bhi Buzg Rakhte Hain Jo Inka Ache Andaz Me Naam Nahi Leta .Hum Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Ka Tazkira Intehai Muhabbat Bhare Andaz Me Karten Hain. Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Ki Muhabbat Deen, Imaan Aur Ehsan Ki Alamat Hai,Aur Inse Buzg Kufr,Nifaq Aur Sarkashi Hai
(Al-Aqidah al-Tahawiyyah, الثَّنَاءُ عَلَى الصَّحَابَةِ ,Pg : 71 ) scan page (red borderline)

Imam Ibn Abdul Barr Maliki Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 492 Hizri)
"Hum Musalamano Ka Ahle Haq Ka ispe Izma ittefaque hai kay Hum Sahaba ka baare me bahes na karnge ruk jayenge"
(Al-Isti'ab fi marifat al-ashāb Vol : 01 Pg :23)
Aashiq E Rasool ﷺ Imam Qazi Iyaz Maliki Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 544 Hizri)
"In Mukaddas Hazrat Ahle Bayt, Umhatul Momineen aur tamam Sahaba e Kiram Rizwanullahim Azmayeen ki Shaan me tankees karna haram hai aur tankees karne wala Maloon (lanati) hai"
(Al-Shifa bi Ta'rif Huquq al-Mustafa 
 Pg : 876) Scan Page .
Imam Mullah Ali Qari Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1014 Hizri) Unhone Apni Mashoor Kitab jo Sharh hai Shifa ki likhte hai
"Jo Rasool Allah ﷺ Ke Kis Bhi Sahabi Par Ghazab'naak Hua Wo Kafir Hai Kyunke Allah ﷻ Ka Irshad Hai Sahaba Par Ghazab'naak Kafir Hote Hai"
(Sharh Al-Shifa bi Ta'rif Huquq al-Mustafa 
 Vol :02,Pg : 95) 
Scan Page


Sarkar E Gaus E Azam Peer Syed Abdul Qadir Jilani Baghdadi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 561 Hizri)
Sahaba E Kiram Rizwanullahim Azmayeen Kay Ektelafat Pe Syedna Gaus E Azam Radiallahu Anhu Ka Aala Faisla
“Kharjio ka kaul iske khilaf hai Allah unko halaak kare who kahte  hai Hazrat Ali Radiallahu Anhu Kabhi Imam Bar-haq Naa They.
Ab Raha Ye Mamla Ki Aap ki Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Aur Ameer Mauviya (Rizwanullahim Azmayee) Se Jung Huwi to Imam Ahmad ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Ne Is Silsile me Sarahat Farmayi Hai Is Mamle balki un tamam, ektelafat aur Naza’at kay bare me khamosh raha jaaye jo sahaba e kiram kay darmiyan waqay huwe kyuki kayamat kay din ALLAH Taala un kay Bahmi Tanazaat ko dur kar dega.
Irshad E Rabbani Hai “UNKE DILO ME JO BAHMI RANZISH HOGI HUM USKO DUR KARDENGE AUR BHAI BHAI HOYANGE WHO SAAMNE SAAMNE TAKHT PAR BETHE HONGE (Surah Al Hizr Ayat 47)”
Alawa Azi Ye Baat Bhi Hai ki Ahle Hallo Aqd (Madina) Ne Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ki khilafat par Ittefark kar liya tha isliye Aap ko khud Apni Khilafat Sahih Hone Ka Yakin Tha Aur Mukhalifeen Se JUNG KARNE ME WOH HAQ PAR THEY isliye ki jo bhi Itaat Ameer Se Bahar Huwa Aur Jung Ka Jhanda Buland Kiya woh baagi hogaya aur Baagi Se Jung Karna Jaiz Tha.
RAHA AMEER MAUVIYA AUR HAZRAT TALHA AUR HAZRAT ZUBAIR Radiallahuanhum ka Maamla to wo bhi haq par they isliye kay wo khalifa e mazloom (Usman E Gani) ka badla Lena chahte the Aur KAATIL HAZRAT ALI KAY LASHKAR ME MAUZOOD THEY.
Pas Har Farik kay pass jung kay jawaz ki ek wajah mauzood thi lihaja HAMARE LIYE SAKOOT IS SILSILA ME SABSE ACCHI BAAT HAI UNKE MAAMLE KO ALLAH KI TARAF LAUTA DENA CHAHYE DENA CHAHYE WO SABSE BADA HAKIM HAI AUR BEHTAREEN FAISLA KARNE WAALA HAI. Hamara Kaam hai ki hum Apne Aib par Nazar daale’n aur dilo ko gunaho ki chizo aur apni jaahiri halaat ko tabahi angez kaamo se paak aur saaf rakhe"
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 112)
Scan Page
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Wa Deegar Ashab E Rasool ﷺ Kay Darmiyan Waqaye Huwe Ektelaf par faisla AHLE SUNNAT Ka Izmayi Maukoof Likhte Hai
"Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Is baat pe Ittefak hai Jin baato par Sahaba E Kiram Kay Darmiyan Ektelaf Hai Unse Jaban Ko Roka Jaaye Usme Bahas Guftgu naa ki jaaye. Sahaba ki Badhgoi Se Jaban Ko Band Rakha Jaaye Unke FAZAIL Wa Mahasin ko bayan karna Aur Unke Baahmi Ektelaf ko ALLAH Taala Kay Supurd karna Wajib Hai, Jis Tarah bhi unka Wakaye huwa. Jaisa Hazrat Ali Radiallahu Anhu Aur Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Umool Momineen Ayesha Siddiqa Aur Ameer Mauviya kay darmiyan ektelaf wakeh huwa jiska zikr pahle hochuka aur us ektelaf par bahas naa kare aur Jaban Ko Band kare Har Sahabi Buzurgi Aur Fazilat ka aitraaf karna jaruri hai. Allah Taala Ka Irshad Hai “Woh Jo log baad aaye hai kahte hai Aye Hamare Parwardigar hume baksh de aur un bhaiyo ko bhi jo imaan me humse pahle guzar Chuke unke baabat hamare dilo me koi burayi paida naa ho Aye Hamare Rab Tu hi Shafkat Aur Raham Karne Waala hai" (Surah Hashr Ayat 10) Ek Aur Ayat Me Irshad Farmaya Hai //Yeh Ummat Woh Hai Jo Guzar Chuki Hai us Giroh Ne Jo kuch kiya uska jawab unhi kay jimme hai jo kuch tum karoge to uske jimmedar hoge un logo kay baare me tumse nahi pucha jayga// (Surah Baqrah Ayat 134)"
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 113/114) 
Tamam Sahaba Rizwanullahim Azmayeen Kabil E Ahteram hai jo unpe laan taan kare Jahannum ka kutta hai “Rasoolullah Ka Irshad Hai Mere Ashaab Ka Zikr Ho To Tum Jaban Roko Yaani Kisi ko bura naa kaho, Hadees Sharif Kay Dusre Alfaaz Is Tarah Hai Mere Sahaba Kay Baahmi Nazaat Se Apne Ko Bachaye Rakho Kisi ko bura naa kaho agar tum me se koi shaksh bhi uhad pahad kay barabar Sona Raah E Khuda me kharch kardega Jab bhi Sahaba kay ek mud balki aadhe mud ka bhi sawab nahi milega, Hazrat Anas bin Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Huzoor Ne Farmaya ki Woh Kitna Khush Nasib Hai Jisne Mujhe Dekha Aur Woh Shaks Jisne Mere Dekhne Waale ko Dekha, Rasool Allah Ne Farmaya Mere Sahaba Ko gaali naa do Jo unko gaali dega Uspe ALLAH ki laanat”
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 114)

“Hazrat Anas bin Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Me Aaya Kay Huzoor ﷺ Ne Farmaya ALLAH ne mujhe Chun liya aur mere liye Mere Sahaba Ko Chun Liya aur Unko Mere Liye Ansaar Aur mera rishtedaar bana diya, Aakhir Jamane Me Ek Aisa Giroh Paida Hoga Jo SAHABA KAY MARTABE KO GHATAYGA, KHABARDAAR TUM UNKE SAATH NAA KHANA, NAA NIKAAH KA SILSILA KARNA, NAA UNKE SAATH NAMAZ PADHNA, NAA UNKI NAMAZ E JANAZA PADHNA AISE LOGO PE LANAAT KARNA JAIZ HAI”
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 114)
"Hazrat Burida Radiallahu Anhu ki rivayat hai kay Rasoolullah Ne Farmaya Jis Jameen par Mera koi Sahabi Faut Hoga Usko Us Jamin Waalo’n Kay Liye Kayamat kay Din Shafi Banaya Jayga, Hazrat Sufyaan bin Uyaynah Ka Kaul Hai Ki Rasoolullah ﷺ Kay Ashaab Kay Mutallik Jo Shaks EK (Badh) LAFZ BHI KAHEGA WO GUMRAAH AUR BAD RAAH HOGA” (Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 114)
Maloom huwa kay jo Nabi E Karim Se Muhabbat ka dawa kare uspe lazim hai kay Sahih aqaid pe kayam rahne kay liye Nabi E Karim Kay farmaan kay mutabik Awwal se leke aakhri tamam sahaba se muhabbat rakhe kisi ek kay bhi baare me badgumani naa kare jab bhi Sahaba Ka zikr ho to khair se kare dua se kare, aur apne imaan ki fiqr karen unke imaan par tabsera karne kay bajaye sahaba ki tauheen karna Rafziyat hai aur Ahle Bait ki tauheen nasbiyat dono se bache Sahaba Ahle Bayt tamam se muhabbat rakhe isme hi aafiyat hai yehi ahle sunnat ka mazhab hai agar koi peer aapko kisi Sahabi se bugz rakhne ki targeeb de ya unse kisi sahabi se izhar bugz dikhta ho aise peer se muridi tod do ye khud gumrah honge aur dusro ko gumrah kar denge jo khud ko Qadri kahe aur Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Gaus E Azam Rahmatullah Alaih Imam Tahawi jo hum Ahnaf kay azeem Imam hai unhe naa maane aur jahil aajke peero ko maane wo bhi jo rafziyat se muttasir hai to aap andaza lagaye wo kis qadr gumrah hai.
In Sha Allah Taala Iske agli post me Mashajaraat E Sahaba E Kiram Rizwanullhim Azmayeen pe Aqabir aur ahle sunnat ka izma bhi post karnge jo in masail ko aur saaf kar degi.
Post by Shaikh Sher Ali Hanfi
Fazail E Sahaba,sahaba ko gali dena hadees,Hadith on Sahaba: Do not curse companions of the Prophet , ruling on hating the sahaba, Mere sahaba ko gali na do, Nabi E karim Ki Sahaba Kay baare me wasiyat

Friday 19 June 2020

,
سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Pesh E Lafz
Tamam Tarif Allah Taa’la k Liye k jisne hume Nabi E Akram ka Ummati banaya Sahih Aqeeda Sunni Musalman kay ghar paida farmaya.
Durood Wa Salam ho Nabi E Akram Par Ahle Bayt Par tamam Sahaba Auliya Allah Par Allah Taala Ne Humare dilo me Apne Mehboob Bando Ki Muhabbat daali yehi wo Muhabbat hai jo Nizaat ka jariya bhi hai Muhabbat E Auliya ahle bayt Nahi to Ibadat bhi kaam nahi aaygi Ibadat Aur Muhabbat E Auliya jab ek bande me ijtema karle to yakinan ye raah e nizat hai par ab kuch gumraah firqe wajood me hai jinhone firqa e mutazila ki tarj par azmat auliya karamat e auliya kay munkir hai aur har wakt bas daur e pur fitan me Musalmano ko in Auliya Allah se dur karne ki koshish karte hai balki itne tez jaban hai kay Allah paak kay in mukaddas bando ko babi kahke chidate hai aur inko ALLAH muqable khada kardete hai yaani jo Allah kay dost hai unhe hi Allah pak ka dushman batane lagte hai, aur apni kam ilmi ya bugz hasad ki bina par in mukaddas buzurgo ki shaksiyat pe hamla karte hai, 

Lihaja hamari is risale me mukhtasar si koshish hai k Shaan Azmat E Auliya Allah Yaha Quran E Karim Aur Hadees E Paak Se Jama Kare Hai taaki jo Auliya Allah k Makam, Darjaat unke Karamat k Munkir hai wo padh k samajh jaaye aur apni Akhirat Inki Gustakhi Kar barbaad naa kare.  
Gair Janib Daar Hokar padhe to In Sha Allah Taala Yaha Se Haq Jarur Mil jayga.

Auliya Allah Kay Mutallik Kuch Ahem Aqaid Aur Masail
1) Wilayat Allah Tabarakwa’taala Se Bande Kay Ek Khas Kurb Ka Naam Hai Jo Allah Taala Apne Buzurgeeda Bando ko Apne Fazl Aur Karam Se Ata karta Hai.
2) Wilayat Koi Aisi Cheez Nahi Jo Aadmi bahot Zyada Mehnat karke Hasil karle Balki Wilayat Allah Pak Ki Den hai, Albatta Amaal E Hasna Allah Taala Ki Is Den Ka Zariya Hote Hain, Aur Kuch Logo Ko Wilayat Pahle Se Hi Mil Jaati Hai.
3) Wilayat Be Ilm Ko Nahi Milti, Ilm Do tarah kay hai Ek wo jo jaahiri taur par haasil kiye jaaye aur dusre wo uloom jo wilayat k martabe par pahuchne se pehle hi Allah Taala us par Uloom kay darwaje khol deta hai.
4) Tamam Agle Pichle Waliyo Me Se Huzoor ki ummat k Auliya Sabme Afzal Hai
5) Shariat tarikat ki manafi nahi hai balki tarikat shariat ka batini hissa hai, kuch bane huwe jaahil sufi ye kah diya karte hai tarikat aur hai shariat aur haiye mahez gumrahi hai aur is baatil khayal ki wajah se Apne Aapko Shariat se zyada(Uncha) samajhna khula huwa kufr aur ilhaad hai.
6) Koi Kitna hi bada Wali kyu naa hojaye Shariat k Ahkam Se Chutkara nahi paa sakta.
(Shadrusharia Allama Amzad Ali Aazmi, Bahar E Shariat, Hissa Awwal, Wilayat Ka Bayan, Pg : 264/65/66)

7) Koi Wali Kisi Martabe Ka Ho Kisi Sahabi Kay Rutbe Ko Nahi Pahuch Sakta.
(Shadrusharia Allama Amzad Ali Aazmi, Bahar E Shariat, Hissa Awwal, Imamat Ka Bayan, Pg : 253) 
Scan Page Bahar E Shariat
Chunache Allama Saadudin Masood bin Umar Taftazani Rahmatullah Alaih likhte Hai
“Wali Us Shaks Ko Kahte hai Jo Mumkin Hadh Tak ALLAH Aur uski Sifaat Ki Marifat (Yani Pahchan) Rakhta Ho Ibadat Ki Pabandi Karta Ho Aur Har Kism Kay Gunaho Lajjat Aur Shahwat Se bachta Ho”
(Shara E Aqaid, Karamat E Auliya Pg : 316-17) scan page 
Wali Masoom To Nahi Hote Imkaan E Khata Unse Bhi Mumkin Hai Lekin Allah Pak Ki Ye Shaan Hai k Apne In Mukaddas bando Ko Gunaah E Kabira Se Mehfooz Rakhta Hai Aur Chote Gunaah Bhi Ho To Baar Baar Wo Unse Hote Nahi Aur Allah Ki Bargaah Me Huma Wakt Jhuke Huwe Tauba Go Hote Hai. 

Wali Ka Matlab Kya Hota Hai ? Wali Arabic Me Singular/Wahid k liye  ولي Aur Jab Plural Ek Se Zyada K liye to Waha Lafz أولياء Auliya ka istemal hota hai.
Wali k Lugati maana hai “Dost”, ”Madadgaar”,
English Me : “supporter”, “guardian” or “protector” Jis tarah hum Kahte hai Auliya Allah yaani Allah kay dost kay hote hai aur inki shaan is qadr buland hai kay jis cheez ki ye qasam utha le to ALLAH usko puri farma deta hai,
Kya Auliya Ka Zikr Quran E Karim Me Hai ?
Quran E Karim Me ye lafz alag alag andaz me 200 se zyada makam pe aaya hai yahan hum Panjetan paak ki Nisbat Se 05 aayate E Karima fazail Wa Zikr E Auliya par pesh karte hai, 
Ayat 01 :
إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسُولُهُ وَالَّذِينَ آمَنُوا الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَيُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ رَاكِعُونَ
“Tumhare Dost Nahi Magar Allah Aur Uska Rasool Aur Imaan Waale Ki Namaz Kayam Rakhte Hai Aur Zakat Dete Hain Aur Allah k Huzoor Jhuke Huwe Hai
(Surah  Maida Ayat 55)

Ayat 02 :
اللَّهُ وَلِيُّ الَّذِينَ آمَنُوا يُخْرِجُهُم مِّنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ ۖ وَالَّذِينَ كَفَرُوا أَوْلِيَاؤُهُمُ الطَّاغُوتُ يُخْرِجُونَهُم مِّنَ النُّورِ إِلَى الظُّلُمَاتِ ۗ أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ ۖ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
“Allah Wali Hai Musalmano Ka Unhe Andheriyo Se Noor Ki Taraf Nikalta Hai Aur Kafiro K Himayati Shaitan Hain Wo Unhe Noor Se Andheriyo Ki Taraf Nikalte Hai Yahin Log Dozakh Waale Hai, Unhe Hamesha Usme Rehna”
(Surah Baqrah Ayat 257)

Quran E karim Ki Aur ek bahot Mashoor Aayat E karima Jisko Aksar Ulema Bayan me Auliya Allah ki Shaan Aur Azmat par bataur E Dalil Padte hai wo ye Hai.

Ayat 03 : 
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُون
“Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum”
(Surah Yunus Ayat 62)
Ayat 04 : 
إِن أَولِياؤُهُ إِلَّا المُتَّقونَ
“Aur Allah Kay Auliya To Parhezgar hi Hai”
(Surah Anfal Ayat 34)

Wali Wo Azeem Martabat Jaat Hai Jo Allah Taa'la K Nazdeek Bahot Badi Kurbiyat aur makam rakhte hai, Awliya E Kiram ka Zikr to Quran E Karim Se saabit hai aur issi tarah Awliya ki karamatein bhi Quran me hai ab koi kahe kay ye Wali auliya kuch nahi hote karamat nahi hoti to aisa shaksh kaafir hai.
Shan Wa Manakib E Auliya Hadees E Paak Me
AULIYA ALLAH KON HOTE HAI ? WALI WOH HAI JINKO DEKHO TO Allah Taala YAAD AAJAYE.
Hadees 01: 
Hazrat Abdullah Ibn Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivayat hai Farmate hai k Rasool Allah se Sawal kiya gaya k AULIA ki Tarif kya hai -
Nabi E Karim ne Irshad Farmaya Jaan lo K Allah k Aulia wo hai jinhe dekho to tumhe Khuda ka Zikr yaad aajaye.”
References  :
(Imam Nasai Sunan Kubra Vol : 06 ,pg : 362 Ayat of Surah Yunus 62, Hadees : 11233)
(Abdullah Ibn Mubarak  -kitabut Zohad  Vol : 01  Pg: 72, Hadees:217)
(Imam Hakim Al Tirmizi - Nawadirul usool Vol :02 Pg: 35)
(Imam Haythami Al Makki Shafai - Majma Uz Zawaid  Vol:10 Pg : 78)

Hadees 02: 
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Hai Ke Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah Hamarey Behtareen Hum nasheen Kaun Log Hain ? Aap   Ney Farmaya : Aisa Hum nasheen Jis Ka Dekhna Tumhe Allah Ta’ala Ki Yaad Dilaye Aur Jis Ki Guftgu Tumhare ilm Mey Izaafa Kare Aur Jis Ka Amal Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”
References :
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 04, Pg :326, Hadees : 2437)
(Imam Abd bin Humayd Al Musnad  Vol : 01 Pg: 213,Hadees : 631)
(Imam Abu Nuaym Al Hilyat ul Awliya, Vol : 07, Pg :46)
(Imam Ibn Mubarak Kitab Az Zuhad, Vol : 01 Pg : 121, Hadees : 355)
(Imam Ibn Abi Duniya Kitab-ul-Awliya Pg : 17, Hadees : 25)
(Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib Vol: 01 Pg : 63, Hadees : 163,
(Imam Hussamul Hindi Al  Kanz-ul-Ummal, Vol : 09,Pg :28, 37, Hadees : 24764, 24820)
(Imam Abdul Bakir Zurqani  Shara E Muwahibul Laduniya, Vol :04 Pg : 553)
Scan page Musnad Abu Yaala

Is talluk se kaafi hadees e paak hai humne 02 bayan ki maloom huwa kay awliya swalaheen ki nishani ye hai kay unko dekh kar bande ko Allah Pak ki yaad aajaye to bila shuba wo dhongi peer kaise wali ho sakte hai jo aapko Allah pak ki ibadat se agar mana kare namaz roze shariat pe amal se roke ? Jinhe dekh kar aapko Allah Taa'la to nahi balki charas afim yaad aajaye yaad rakhe aise peer dhongi hote hai aur aapke liye nuqsan sabit honge duniya me bhi aur aakhirat me bhi.
Ek aitraaz karne wale jo bahut shatir hote hai wo karte hai dekho Awliya to hote hai magar jo tum log ye Bayazid Bustami, Ibrahim Ibn Adham, Moinudin Hasan Sanjari, Sultan Bahuddin Naqshbandi Rahmatullah Alaihim Azmayeen jaise buzurgo ko wali kahte ho to aapko kisne bata diya ye Awliya me se hai ? Iske Kayi jawab hai hum do bayan karte hai ek hadees e paak se padhiye

ALLAH Paak Awliya Ki Muhabbat Ko Dil Me Dalta Hai
Hadees 03:
Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il  عليه السلام Ko Aawaaz Deta Hai Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Se Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain.
hir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Detey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey.
Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.
Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
References : 
(Sahih Bukhari, Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 5693)
Note : ye hadees aqsar nuskho me #6040 par darj hai (Sahih Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)
(Sahih Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)
(Sahih Muslim, Vol :06, Pg : 496, Kitab No 45 Kitabul Birr Walsala Wal Adab, Baab : Hadees : 2637) (Al Muwatta Imam Malik, Vol : 02, Pg : 953, Hadees : 1747)
(Jamai Tirmizi,  Kitab Tafseer, Baab Surah Mariam Hadees :3161 ) 
(Musnad E Ahmad Vol : 02, Pg : 509, Hadees : 10623)
(Imam Abu Nua’ym Hilyatul Aulia Vol : 07, Pg :141)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Kitabuz Zuhad, Vol :02 pg:301 Hadees :805)
(Imam Nawawi - Riyadusalaheen Vol : 01, Pg : 525, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama, Hadees : 387)
(Imam Nawawi 40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)


Allah Tabarkwatala Aise bando k liye Jibrail E Ameen Alaihsalam ko Mukhatib Karke Unse Farmata hai Mai Is Se Muhabbat Karta hoon Tum Bhi karo, Farsihto Me bhi Ailan Karo k inse Muhabbat Kare Aur Sirf Farishte hi nahi balki Jameen Me Musalmano k Dilo me bhi inki muhabbat ko daal dete hai pata chala jinke dilo me wo azmat e Auliya Muhabbat E Auliya Daal di gayi hai wo hi Musalman hai aur jo sina Us Layak hi nahi hai wo mehroom reh gaya. Dusra jawab ye wo buzurg shaksiyat hai jinke wali hone kisi firqe ka ektelaf nahi chahe Deobandi ho ya Ahle hadees sab inhe apna buzurg peshwa mante hai Ahle hadeeso kay to bade bade aalimo ne inki khoob tarif tak ki hai, In Sha Allah Taala Kabhi waqt huwa to ghair muqallideen kay nazdeek in awliya ka kya makam hai wo bhi post hogi, aur ye wo buzurg hai jinhe Aimma E muhadiseen Aimma e jirah wa tadeel ne bhi Sultanul Arifeen jaise alqabat se nawaza hai, woto aajke Wahabi hai jo inki shaksiyat par hamla kar rahe hai aur apni hi laa ilmi ko ek ilm ka naam diya huwa Ilmi kitabi halanki sirf selected urdu tarjuma aur apne matlab ki hadees wo bhi galat maane me padhte hai. Banda ALLAH ka Qurb Kab Hasil Karta hai Allah kay Wali Ka Ekteyar Aur Unse Dushmani Bugz Hasad Karne Ka Nuqsan
Hadees 04: 
Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Marvi Hai Huzoor Nabi E Karim  Ne Farmaya Allah Taala Farmata Hai Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Eilan E Jung Karta Hoon Aur Mera Banda Aise Kisi Cheez Kay Zariye Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Key Zariye Barabar Mera Qurb Haasil Karta Rahta Hai.
Yahan Tak Ke Main Us Se Muhabbat Karne Lagta Hoon Aur Jab Mein Usse Muhabbat Karta Hoon To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoon Jis Se Woh Sunta Hai Aur Uski Aankh Ban Jaata Hoon Jisse Woh Dekhta Hai Aur Uska Haath Ban Jaata Hoon Jisse Woh Pakarta Hai Aur Uska Paanw Ban Jaata Hoon Jise Woh Chalta Hai.
Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hai To Main Usse Zaroor Ata Karta Hoon Aur Agar Woh Meri Panaah Mangta Hai To Mein Zaroor Usse Panaah Deta Hoon.
Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Usme Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota jaise Banda-E-Momin Ki Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usse Mout Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.
References : 
(Sahih Bukhari Pg : 2384/85, kitab ar Riqak, baab : 38 باب التَّوَاضُعِ , Hadees : 6137) Arabic Nuskha 
(Sahih Bukhari Vol : 08, Pg :275, Kitab Ar Riqak,Hadees : 6502)
Yehi Rivayat bahot se Sahaba rizwanullaheem Azmayeen se aayi hai mukhtalif alfaaz k saath.
(Sahih Ibn Hibban Vol : 02, Pg : 58, Hadees : 347)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra, Kitab Uz Zuhad Al Kabir, Vol :02, pg : 269, Hadees : 696)
(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Kabir Vol : 08, Pg : 221, Hadees : 7880 & Vol 12, Pg : 145, Hadees : 12719)
(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 1 Pg :192, Hadees  : 609, Vol 09, Pg : 139, Hadees : 9352)
(Imam Abdul Razzaq Al Mussanaf Vol : 11, Pg : 192-93)
(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya Vol : 01, Hadees : 45 Rivayat Hazrat Anas)
(Imam Abu Nauym Al Hilyatul Awliya 01/5, 8/318)
(Imam Qushayri Risala E Qushairiya Pg : 292)
(Imam Bazzar Al Mazma Uz Zawaid Vol : 04, Pg: 241-42)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 520 Rivayat Hazrat Maymuna) 
(Imam Hakim Tirmizi Nawadir Al Usul, Hadees : 75,162,228) 
(Imam Daylami Al Musnad Firdaws Vol :03, Pg : 215, Hadees : 4472, 4475)
Scan Page 6137 Sahih Bukhari
Hadees E Mustafvi  Se Awliya Allah ki Ahem pehchan maloom huwi k Banda Allah ki bargaah me makbool aur martaba tab paata hai jab Sabr ko Ekteyar karle aur khoob Nafl ki pabandi kare.

Ek Jaruri Wajhahat Nafl ka makam Farz, Wajibat, Sunnat k baad hai yehi wajah rahi k jitne Auliya Allah guzre Imam Hasan Basri, Imam Zafar Sadiq, Imam E Aazam Abu Hanifa, Gaus E Aazam, Baba Farid, Khwaja Moinudin Chisri Ajmeri, Makdhoom E Ashraf Simnani wagairah inki puri zindagi Farz Wajibat Sunnat ki khoob kasrat to hoti aur uske elawa raat raat Nafl ibadat me guzar dete par aaj k kuch kam ilm Musalman Aise Aise logo ko apna peer aur wali maante nazar aate hai jo mureedin k saath raat bhar Qawwali bajate nazar aate hai kuch to itne aage hai raat bhar khud nasha charas peete hai aur mureedin ko bhi pilate hai Nafl to dur Faraiz tak ada nahi hote Subah Fazr k wakt aate hi Sote nazar aate hai aise peero se ALLAH Taala Hume bachne ki taufeek de 02 04 Quran ki aayat ka galat mafoom bayan kar apne mureedo ko gumraah karte hain.
Phir Aage Farmaya Wo Jo maange usse ata karta hoon uski baat raddh nahi hoti Allah Taala Uska Haath Ban Jaata Hai Unki Aankh ban jaata hai 
Harkat banda karta hai par usme wo tamam Power Allah ka hota hai jo ALLAH Unhe ata karta hai 
Banda hota Ek Makam par hai par dekhta puri dunya ko saamne dekhta hai 
Aur Jo Wali Ki Tauheen karte hai wo hakikat me Imaan waale to hargiz nhi wo Allah Se hi jung karte hai

Awliya Ko Dekh kar Ambiya Shohada Bhi Rashq Karenge
Hadees 05:
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Rivayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram 
 Ne Farmaya  Allah Ta’ala Kay Kuch Bande Aise Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-E-Kiram Aur Shohada Bhi Us Par Rashk Karenge
Arz Kiya Gaya (Ya RasoolAllah ﷺ) Woh Kaun Log Hain ? (Hamey Un Ki Sifaat Bata’iye) Taake Hum Bhi Un Sey Muhabbat Kare
Aap  Ne Farmaya :
Woh Aise Bande Hain Jo Aapas Me Beghair Kisi Qaraabatdari Aur Waste Key Mahaz Allah Ta’ala Ki Khaatir Muhabbat Karte Hain Unke Chahre Purnoor Hongey Aur Woh Noor Key Mimbaron Par Jalwa Afroz Honge.
Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Aur Unhey Koi Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap  Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُون
“Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum”(Surah Yunus Ayat 62)
References :
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 02, Pg : 332, Hadees :573)
(Imam Abu Yala Al Musnad, Vol : 10, Pg : 495, Hadees : 61100
(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Vol : 06, Pg : 485, Hadees : 8997, 8999)
Issi tarah Ki Rivayat Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Se marvi hai 
(Imam Abu Dawood Sunan, 03/288, Hadees :3527)
(Imam Nasai Sunan ul Kubra, Vol : 06, Pg : 362, Hadees : 11236)
(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Vol : 06, Pg : 486, Hadees : 8998)
Scan Pages 
70000 Auliya Bina Hisab Wa Kitab Jannat Me Jayenge Aur Har Ek Kay Saath 70000 Honge
Hadees 06:
"Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ ko farmate Huwe Suna Mere rab ne mujhse wada farmaya kay meri ummat me se 70000 logo ko jannat me dakhil karega unka naa hisab hoga aur na koi unpe azab hoga, Aur phir Hazar kay saath 70000 Hazar honge"
(Imam Tirmizi, Sunan Kitab Al Kiyama Wa Ar Raqaiq Wa Al Wara, Hadees : 2437)
Imam Tirmizi farmate hai Ye hadees Hasan hai
(Imam Ibn Majah Sunan, Kitabuz Zuhd, Hadees : 4286) 
Scan Page  
Hadees 07:
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne irshad farmaya Meri ummat kay 70000 afraad bila hisab wa kitab jannat me dakhil honge, jinke chahre chaudhwi raat ki chand ki manind chamakte honge"
(Imam Muslim Sahih, Kitabul Iman, Baab 94 Bila Hisab wa kitab Jannat me Jaane Wale Giroh Jinpar Koi Azab Nahi, Hadees : 217)
Scan Page
Fazail e Auliya Allah, Shan E Auliya, Fazail Wa Manakib E Auliya Allah,

Yahan Ye Mukhtasar Article Auliya Allah Kay Fazail Manakib Par Jama Kiya Gaya Hai.
Agli Post Karamat E Sahaba Par Hogi In Sha Allah Taa'la Post By Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Us Remember in your prayer

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers