Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 12 July 2018

,

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Al Malfoozat Par Aitraaz Murdo Ko Acche Kafn kay saath dafn karo



Wahabi Ka Aitraaz Aala Hazrat Fazil E Barelvi Shah Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih Pe
 “Ek Bibi Ne Marne kay baad Khwab Me Apne ladke Se Farmaya mera Kafan Aisa Kharab hai kay mujhe Apne Saathiyo me jaate Sharm Aati hai, Parso Ek Shaks Aane Waala hai Uske Kafan Me Acce Kapde Ka Kafan Rakh Dena, Subah ko Sahabzaade ne uth kar Us Shaks Ko Daryaaft Kiya Maloom Huwa Ki Woh Bilkul tandrust hai Aur Koi Marz Nahi Teesre Roz Khabar Mili Uska Inteqal Hogaya Hai, Ladke Ne Fauran Nihayat Umda Kafan Silwa Kar Uske Kafan Me Rakh Diya Aur Kaha Meri Maa Ko Pahucha Dena Raat Ko Saaleha Khwab Me Tashreef Laayi Aur Bete Se kaha Khuda Tumhe Jaza Khair De Tumne Bahot Accha Kafan Bheja hai”
Reference :
(Muhammad Mustafa Raza Khan Al Maroof Mufti Azam Hind,
Kitab Al Malfoozat Aala Hazrat Hissa 01, Pg : 122 Hindi Edition, Print Razvi Kitab Ghar)
Isko naql karke Wahabi firqe ka Imam E Ahle Sunnat Fazil E Barelvi pe naa haq aur tassub ki bina pe aitraaz karna kay Sunniyo kay yahan murde kafn kay saath marne kay baad milte hai aur dusra ye waqya Mufti Ahmad Raza Khan Barelvi ne kya kya gad rakha hai ek aam musalman ko ye batane ki naa haq koshish hoti hai kay inke aqaid kitne kharab hai halanki isme kuch kharab nahi par apni baat ko wahabi firqa is andaaz me bayan karte hai ghair muqalideen kay turram khaan Meraj Rabbani is waqye ko bayan karke kahte hai dekho inke murde picnic manate hai aur ek aam Musalman inke makr wa fareb me aajata hai.


Imam Jalaludin Suyuti Ash Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 911 Hizri ne is unwaan pe apni tasneef  Sharusudoor me kayi hadees naql ki hai jo hum yahan pesh kar rahe hai jisko padhke aap samajh jayenge Wahabi Firqe Ki Ilmi Kabiliyat kitni hai aur Is kaum ne kitna padha hai hote to jaahil hai par dawa hai Ahle Hadees hone ka.
Is Talluk Se Imam Suyuti Ne kayi hadees naql ki hum yahan 06 rivayat naql kar rahe hai aur footnote me unke hawale de rahe hai.
Hazrat Sayyidna Jabir Ibn Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat hai ki Huzoor Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Apne Murdo ko Acche Kafan Do Kyuki Who Apni kabro Me Baham Mulakat Karte hai Aur (Acche Kafn) Par Fakhr Karte Hai(01)
Muslim Sharif Me hain Ki Jab Tum Kisi Wali hoto Usse Accha Kafan(02)
Imam Ibn Shireen Rahmatullah Alaih Se Marvi Hai Kay Acche Kafan Ko Pasand Kiya Jaata hai aur Kaha Jaata Tha Murde Apne Kafan Kay saath milte hai  - (03)
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasool E Akram Ne Farmaya Apne Murdo Ko Accha Kafn Do Kyuki Wo Apni Kabro Me Baham Mulakat Karte Hai. (04)
Hazrat Anas Ibn Malik Se Rivayat hai Rasool E Akram Ne Farmaya Tum Me Se Jab Koi Kisi Ka Wali Ho To Usse Acche Kafan De Kyuki Murde Apne Kafano Me Aapas Me Mulakat Karte hai. (05)
Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Se Marvi hai Nabi E Akam Ne Farmaya Jab Tum Me Se Kisi ka Wali Ho To Usse Acche kafan De Kyuki Murde Apni Kabr Me Aapas Me Mulakat Karte hai.(06)
Reference :
(Imam Jalaludin Suyuti Sharaus Sudoor, Pg : 192 -93, Baab : Kabr Me Murdo Kay Uns, Namaz, Tilawat, Inaamat Wa Libas Aur Deegar Ahwaal Ka Bayan)
Scan Page of Sharaus Sudoor Lil Suyuti


01) Imam Daylami Al Musnadul Firdaus Vol : 01, Pg : 66, Hadees : 316

02) Sahih Muslim vol Pg Kitabuz Janaiz Baab : Tahseen Kafan Al Mayyat, Hadees : 943
03) Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 03, Pg : 468, Hadees : 11131, Kitabuz Janaiz, Baab No 49 : Maa Yakulu Fi Tahseen Al Kafan
04) Imam Ibn Adi Al Kamil, Vol : 04, Pg : 237, Raqam : 734 Suleman ibn Arqam
05 Kitab Zaufa Vol : 02, Pg :408, Raqam : 491
06) Sunan Ibn Majah Vol : 03, Pg : 468, Kitbuz Janaiz, Hadees : 1474 Sahih

Upar bayan In Ahadees E Karima Se Maloom Huwa Kay Murde Kabr me Acche Kafn Kay saath Ek Dusre Se Mulakat Karte hai to ab ye koi Imam Ahmad Raza Khan Alaihrehma ka Aqeedah nahi balki ye to 1400 Saal Se  Islami Aqaid hai jo Sahaba Se Leke Aaj Tak rayeez hai jo hadees e karima me hai to ab yahan Aala Hazrat Alaihrehma Par Aitraaz naa kare balki apni bad aqeedgi pe afsos kare aur tauba karke Sahih Sunni Aqeedah ban jaaye.
Ab Dusra Aitraaz is Waqye ko leke Kay isko bhi Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih ne likh maara hai ye unhone koi Apni taraf Se Nahi bayan kiya balki ye waqya naql kiya hai Imam Jalaludin Suyuti ki ussi kitab me se mulahiza karen Ye Ussi tarah ka same waqya.

“Hazrat Sayyidna Muhammad Ibn Yusuf Firyabi Rahmatullah Alaih farmate hai “Kaisarya” me ek Aurat Faut hogayi uske Beti ne usko Khwab me Yun Kahte huwe Suna ki Tum Logo ne Mujhe Tang Kafan Diya hai, Ab Mujhe Apne Saath Waaliyo me Sharm Mehsoos karti hoon, Suno ! Maine falan jagah chalis dinaar rakhe hai falan din falan aurat mere pass aayegi Lihaja Un Darahim ka kafn kharid kar us Aurat ko dedo woh hum tak pahucha degi.
Uski Beti Kahti Hai Maa ne Jis jagah ki nishan dehi ki thi Mere Ilm me to wahan koi Deenar nahi tha Phir Bhi jab Maine us Jagah Dekha to Waqayi Wahan Chalis Deenar Rakhe he Aur Walida Sahiba Ne Jis Aurat Kay marne ka kaha tha Usse bhi us waqt koi bimaari naa thi lekin phir bhi woh bimaar hogayi.
Hazrat Muhammad Ibn Yusuf Firyabi Alaihrehma Farmate hai Logo ne mujhe aakar ye baat batayi aur pucha Aye Abu Abdullah ! Aap Is masle Me Kya farmate hai ? To Mujhe Is masle Me Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se marvi wo Hadees E Paak Yaad Aagayai
“Murde Apne Kafno Me ek dusre Se Mulaqat Karte hai” 07
To Maine Unse Kaha Tum Bazazain Jao Wahan Do Mashoor Muhadis Ibn Neshapur aur Abu Toba kay naam se mashoor hai wo tumhara masla hal kar denge logo ne us ladki ko Bazazain bhej diya wahan wo Muhadiso ne usse kafan kharid kay de diya Phir jis Aurat kay mutallik usko khwab me bataya tha wo unke pass pahuchi aur unse kaha Muhtarma Mai Aapko Ek Cheez Dungi agar Aap Inteqal kar jaaye to usko meri walida ko dedena unhone kaha thik hai Mai Tumhari Amanat pahucha dungi
Phir jo waqt aur Din Us Marhooma ne khwab me bataya tha ussi din us muhtarma ka inteqal hogaya Logo ne Ladki ka kharida huwa kafan us aurat kay kafn me rakh diya kuch Din baad Us ladki ne Apni Walida ko khwab me dekha Aur Kahte Huwe Suna Aye Meri Beti Fulan Aurat hamare Pass Pahuch Gayi Aur Kafan Bhi Mujhe mil chuka jo bahot Accha hai ALLAH Taala tujhe Iski Behtareen Jaja Ata Farmaye”
Reference :
(Imam Jalaludin Suyuti Sharaus Sudoor, Pg : 194 Arabic)
Scan page


Aur Isko Imam Suyuti Rahmatullah alaih ne apni taraf se nahi likha hai unhone isko Imam ul Hanabila Imam Ul Muhadiseen Imam Abul Faraz Abdur Rehman Ibn Jauzi Rahmatullah Alaih Se Naql Kiya hai.
(Imam Abul Faraz Abdur Rehman ibn Jauzi Siddique Hanbli, Al Mutwaffa 597 Hizri, Uyun Al Hikayat Vol : 02, pg : 306 Hikayat Number : 427)
Scan Page

07) Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Pg : 469, Kitabuz Janaiz, Baab No 49 : Maa Yakulu Fi Tahseen Al Kafan


Ab Gumraah Wahabi Firqe Ko thoda Mehnat karna chahye aur jitna bebaki se Wo Imam Ahle Sunnat Ka Mazaak udha rahe they thoda mehnat karke Imam Suyuti aur Imam Abul Faraz Abdur Rehman Ibn Jauzi, Imam Faryabi, Muhadis Abu Toba, Ibn Neshapuri ka udhaye aur lagaye Shirk kay fatwe lagaye yaa tauba karke sahih aqeedah hojaye. 
ALLAH Tamam Musalmano ko Fitna E Wahabiya Se Mehfooz rakhe
Aamin 

Keep Remembrance at your prayer Shaikh Sher Ali Hanafi

Wednesday 4 July 2018

,
سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥

Baab 01 : Farz Namaz Me Iqamat Kay Waqt Kab Khade Hona Chahiye ? NAMAZ ME KAB KHADE HONA BY FAROOQUE KHAN RAZVI SHORT VIDEO


Namaz Ki Iqamat kay waqt Imam Aur Muqtadi ko kab khade hona chahye ye silsile me jab hum aaj halaat ka jaiza le to dekhte hai hum Ahle Sunnat ki Masjid me kuch fitna parast wahabi aate hai aur intentionally Namaz ki iqamat kay waqt hi khade hojate hai aur jab unhe kaha jaaye bhai beth jao Hayya Alas Salah pe khade hona chahiye pahle se nahi khade rahna chahye ye khilaf e sunnat hai to wo naa ki beth te hai balki logo se jhagda karte hai.
Awwal to ye hai kay Jab wahabi firqe kay aqabir mufti hum Ahle Sunnat ko Musalman hi nahi maante hume Mushrik kahte hai to hamare Imam Kay piche Namaz padhne kyun aate hai ?
Jab is masle me hum Ahadees E Karima, Sahaba E Kiram ka Amal aur Fuqaha Muhadiseen ki taraf nazar daale to maloom hota hai kay wahabi ek jhuta firqa hai balki ye amal karna kay Namaz E Iqamat kay pahle hi khade hojana Makrooh aur Hadees E Rasool ﷺ Aur Sunnnat E Sahaba kay khilaf Hai. WAHABI SAZISH KO SAHIH SE SAMJHO : Ye Inki ek badi sazish ka hissa hota kay awaam kay saamne khud ko ye dikhaye kay hum to Sunnat kay tarike ko follow kar rahe hai aur hume fitna parwar bataya jaa raha taaki kisi tarah kuch himayat haasil karle. Matlab Saaf hai Namaz padhna nahi asal apne baatil firqe ka prachar karne aate hai warna Apni hi Wahabi Masjid kay Imam kay piche kyun nahi jaate ?

Hadees  01 :
أَبِي قَتَادَةَ، عَنْ أَبِي قَتَادَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إِذَا أُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَلاَ تَقُومُوا حَتَّى تَرَوْنِي
Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Anhu Se Marvi hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Jab Iqamat Kahi Jaaye to tum log us waqt tak khade naa hona jab tak mujhe naa dekh lo” References : (Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 637, 638)
(Sahih Bukhari, Kitabul Jumaah, Hadees : 909) (Sahih Muslim, Kitab Mawazeus Salat, Hadees 1266) (Sunan Nasai, Kitabul Azaan, Hadees : 688) (Sunan Nasai, Kitab Al Imamah, باب قِيَامِ النَّاسِ إِذَا رَأَوُا الإِمَامَ Hadees : 790) (Sunan Abu Dawood, Kitab As Salat, Hadees : 539, 540) (Jamai Tirmizi, Kitab Safar, Baab No : 29, Hadees : 592)

قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ أَبِي قَتَادَةَ حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
Is hadees E paak se ye maloom huwa Kay Khud Nabi Ne Talim farmaya kay namaz kay liye us waqt tak khade naa hona jab tak Mujhe naa aata naa dekh lo.
Ab Yahan Sawal Hai Kay Nabi E Akram Aate Kab They ? Hadees 02:
Hazrat Umme Habiba Radiallahu Anha Farmati Hai Ki Nabi Huzre Mubarak Me Tashreef Farmat They Aur Muazzin Kay Kalimat Ka Jawab Ussi tarah de rahe they jab muazzin Ne ‘HAYYA ALAL SALAT’ kaha To aap Namaz kay liye Khade hogaye. References : (Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 01, Pg : 481, Hadees : 1851) (Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer Vol : 23, Hadees :485) (Imam Mutaqqi Hindi Kanjul Ummal Vol:08, Hadees :23273)
Hadees 03:
Hazrat Abdullah ibn Auf Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Jab Hazrat Bilaal ‘KAD KAAMA TIS SALAT’ Kahte to Rasoolullah Takbeer Kahte huwe khade hojate.
References :
(Sunan Kubra Al Bayhaqi Vol :02, Hadees : 2297)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 08, Hadees : 3371)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Lisanul Mizaan Vol : 02, Pg : 564)
SAHABA RIZWANULLAHIM AZMAYEEN KA AMAL
HAZRAT ALI RADIALLAHU ANHU KA AMAL
Hadees 04:
Hazrat Abu Khalid Walbi Rahmatullah Alaihi Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Rivayat Karte Hai Ki Ek Martaba Aap Iqamat Hojane kay baad tashreef laaye aur logo ko dekha ki wo aapki aamad ka intezar kar rahe hai Aap Ne Farmaya Mujhe kya huwa kay tumhe Intezar me khada huwa dekh raha hoon. References : (Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 02, Pg :333, Hadees : 4117) (Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Pg : 504, Hadees : 1933) (Imam Nawawi Sharh Sahih Muslim Vol : 04, Pg :231) (Sunan Al Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :32)
HAZRAT ANAS IBN MALIK RADIALLAHU ANHU KA AMAL Hadees 05: Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat ki Gayi kay Jab ‘KAD KAMATIS SALAT’ kaha jaata to Aap Jaldi Se khade hojate. References : (Imam Ibn Abdul Barr Al Tamheed Vol :04, Pg :174) (Imam Qazi Iyaaz, Akmalul Al Muallim Vol : 02, Pg :557) (Imam Nawawi Sharh Sahih Muslim Vol : 04, Pg :231) (Sunan Al Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :33)
Hazrat Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Hadees 06: Hazrat Ubaidullah Ibn Abi Yazeed Rahmatullah Alaih Ne Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ko Zam Zam Kay Kun’we kay karib dekha idhar Iqamat Kahi Jaane Lagi to Imam Aur Logo kay bich ektelaf Hogaya ek ne buland Awaaz Se Kaha Namaz Khadi hochuki hai to logo ne usse kaha beth jao Muazzin Kad Kamatis Salat Kahega (phir khade hona) References : (Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 03, Hadees : 4123) (Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1937)
Tabi‘een التابعين Ka Amal
Hadees :
Hazrat Ibrahim Nakhayi Rahmatulla Alaihi Farmate Hai Jab Muazzin (Iqamat Me) HAYYA ALAL SALAT Kahta To Aap (Galiban Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu anhu) Uth Khade Hote Aur Jab Muazzin “Kad Kamatisalat” Kahta to Aap Takbeer Kahte
(Al Musannaf Ibn Shayba Vol : 02, Pg : 332, Hadees : 4114)
Hadees :
Imam Ibn Juraiz Rahmatullah Alaih Ne Kaha Maine Hazrat Ataa Se Pucha Jab Muazzin ‘KAD KAMATIS SALAT’ Kahe To kya Log Is Waqt Khade Hojaye,
Hazrat Ataa Ne Farmaya HAAN
(Al Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1936)
Hadees :
“Hazrat Imam Ibrahim Al Nakha'i Rahmatullah Alaih Se Rivayat hai Ki Jab Muazzin Hayya Alal Falaah Kahe To Kaum Saff Me Khadi Ho”
(Imam Abu Yusuf, Kitabul Aasaar Pg : 19, Hadees : 89)
Hadees :
Hazrat Abu Ubaid Rahmatullah Alaih Kahte Hai Ki Maine Makame Hanasra Me Hazrat Umar Ibn Abdul Aziz Rahmatullah Alaih ko ye Farmate Huwe Suna Ki Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat’ Kahe Tab Khade Huwa Karo
Reference :
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Hadees : 4121)
(Imam ibn Abdul Barr At Tamheed Vol : 04, Pg :173)
Hadees :
Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ki Hume Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih Ne Khabar Di Ki Imam Ibrahim Nakhai Farmate Hai Jab Muazzin (Iqamat Me) Hayya Alal Falah Kahe To Kaum Ko Chahye Kay Khade Hokar Saff Bandhe Aur Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat’ Kahe to Imam Taqbeer Kahe.
(Imam Muhammad Kitab Ul Aasaar, Kitabus Salat, Pg : 53, Hadees : 63)
Hadees :
Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Ki Gayi Ki Jab “Kad Kamatisalat” Kaha Jaata To Aap Jaldi Se Khade Hojate Aur Yehi Hazrat Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Ki Sunnat Hai Aur Aur Yehi Hazrat Ata Rahmatullah Alaih Aur Imam Hasan Basri Radiallahu Anhu Ka Kaul Hai.
(Sunan Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :33)

Hadees :
Imam Tirmizi Apni Sunan me Hazrat Qatadah Waali Hadees (Jo humne 1st hadees likhi wo) Likhne kay baad farmate hai

‏‏‏‏ وَقَدْ كَرِهَ قَوْمٌ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَغَيْرِهِمْ أَنْ يَنْتَظِرَ النَّاسُ الإِمَامَ وَهُمْ قِيَامٌ ‏.
وَقَالَ بَعْضُهُمْ إِذَا كَانَ الإِمَامُ فِي الْمَسْجِدِ فَأُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَإِنَّمَا يَقُومُونَ إِذَا قَالَ الْمُؤَذِّنُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ ‏.‏ وَهُوَ قَوْلُ ابْنِ الْمُبَارَكِ
Ulemaaye Sahaba Ki Jamaat logo kay khade hokar Imam ka Intezar Karne Ko Makrooh Samajhte Hai Aur Baaj Ahle Ilm Kahte Hai Ki Imam Kay Masjid Me Dakhil Hote Huwe Iqamat Hoto (Log) Us Waqt Khade Ho Jab Muazzin ‘Kad Kamatis Salat , Kad Kamatis Salat’ Kahe Aur Yahi Imam Ibn Mubarak Ka Kaul Hai.
(Imam Tirmizi, Kitabul Safar Hadees : 592 )
Tabe Tabain Ka Amal
Imam Muhammad Hasan Shaybani (Al Mutwaffa 189 Hizri)
Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ki Logo Kay liye Munasib Hai ki Jab Muazzin Iqamat Me Hayya Alal Falah Kahe to Khade Hokar Apni Safe Sidhi Kare Aur Jab Muazzin “Kad Kamatis Salat” Kahe to Imam Takbeer Kahe Aur Yahi Imam Abu Hanifa Ka Kaul Hai.
(Muwatta Imam Muhammad, Kitabus Salat, Pg : 87-88)
Allama Aalam Ansari Dahelvi Rahmatullah Alaih Imam Muhammad Ka qaul naql karke farmate hai hamare teeno ulema kay nazdeeq hai.
(Fatawa Tatarkhaniya vol : 01, Pg : 387)
Allama Shami Is Masa’le Par Bahot Si Ahnaaf Ki Kitabo Ko Zikr Karne Kay baad kahte hai ki Main Kahta hoon ki Allama Muttaqi Kay matan me isko bayan kiya gaya ki Aimma E Salasa (Imam Abu Hanifa, Imam Yusuf, Aur Imam Muhammad) Kay Nazdeeq Imam Aur Muqtadi Jab takbeer me Hayya Alal Falaah Kaha Jaaye Tab Khade Ho”
(Imam Shami Al Fatawa Vol : 02, Pg :177)

Agar Muazzin Imam Kay elawa Koi Dusra Ho Aur Imam Aur Muqtadi Masjid Me Hi Hoto Phir Muazzin Iqamat Me Jab Hayya Alal Falah Kahe to Aimma E Salasa Kay Nazdeeqi Imam Aur Muqtadi Us waqt khade hojaye hamare teeno Imam Kay Nazdeeq Yehi Sahih Hai”
(Fatawa Al Alamgiri Vol : 01, Pg : 63-64 Al Fasalussani Fil Kalimatil Azaana Kitabul Azaan)
“Khulasa E Kalam Is Masle Me Yeh Hai Kay Jab Muazzin Hayya Alal Falah Kahe Agar Imam Unke (Kaum) Saath Masjid Me Hai To Logo kay Liye Mustahab Hai Kay Is Waqt Khade Ho”
(Imam Abu Baqr Al Qasani Mutwaffa 557 Hizri ,Badeussanaye Vol : 01, Pg : 296 or 200, Kitabus Salat, Fasal Wa’amma Sunnataha)

Imam Qardari Likhte Hai
“Sunnat Ye Hai Kay Imam Aur Kaum Us Waqt Khade Ho Jab Muazzin Hayya Alal Falah Kahe”
(Tabi’nul Haqaiq Shara Kanzul Daqaiq Vol : 02, Pg : 34, Baab Aada’bi’salat)
AIMMA E AHNAAF KA IQAMAT SE PAHLE KHADE HONE KO MAKROOH KAHNE KI DALIL
Hazrat Muawiya ibn Qurrah Rahmatullah Alaih Se Rivayat Hai ki (Sahaba Aur Tabaiyn) Is baat ko Maqrooh Jaante They Ki Namaz Me Muazzin Kay Iqamat Shuru Karte Hi (Koi) Khada Ho
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1850)
Hazrat Atiyaa Rahmatullah Se rivayat Hai Ki Hum Hazrat Ibn Umar Radiallahu anhu Kay pass bethe they to muazzin ne iqamat shuru kardi to hum khade hogaye to hazrat ibn Umar Radiallahu anhu Ne kaha beth jao jab Muazzin ‘KAD KAMATISALAT’ Kahe To Khade Hona
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1940)
(Jamiul Ahadees Ul Kabeer Vol : 20, Hadees : 17360)
Hazrat Imam Hasan Basri Rahmutallah Alaih Se Marvi Hai Ki Aap Makruh Samajhte They Ki imam Muazzin Kay Kad Kamatisalat Kahne Se Pahle Khade Ho
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 03, Hadees : 4121)
Imam Abdul Wahab Sharani Likhte Hai Hazrat Umar Radiallahu Anhu Kaha Karte They Jab Tak muazzin Qad Kamatis Salat naa kahe Namaz Kay liye khade naa huwa karo
(Kashful Gamma Pg : 98)

Imam Badruddin Ayni Rahmatullah Alaih Ne Likha Hai Mashoor Tabayn Hisham ibn Urwa Rahmatullah Alaih Makrooh Jaante they Ki koi khada ho is se pahle muazzin Kad Kamatis Salat Kahe
(Umdatul Qari Shara Sahih Bukhari Vol : 05, Pg : 154)
Imam Ibn Hajar Asqalani (Al Mutwaffa  852 Hizri) Jalilul Qadr Sahabi E
Rasool  Hazrat Anas Ibn Malik ka amal likhte hai
“Hazrat Anas us Waqt Khade hote Jab Muazzin قد قامت الصلاة Qad Qamatis Salah Par Hota”
(Fathul Baari Shara Sahih Bukhari,  Vol : 02, Pg : 462, Kitabul Salat, baab : Mata Yakumannas)

Imam Muhammad Ibn Ahmad Al Sarakshi apni Mabsut me likhte hai
“Hazrat Imam Abu Yusuf ki hadees se dalil pesh ki kay Hazrat Umar Muazzin Ki Iqamat Se Farig hone kay baad Mahraab Me Khade Hote They”
(Kitab Al Mabsut, Vol :01, Pg :150 Kitabus Salat)  
MUHADISEEN KA AMAL WA FARMAAN
Imam Badruddin Ayni Al Hanfi Al Mutwaffa 855 Hizri Is hadees kay shara me likhte hai “Imam E Azam Abu Hanifa Imam Muhammad Ka kawl naql karte farmate hai wo unhone farmaya ki Jab Muazzin Hayya Alas Salah Kahe to saare Namazi Saff Me Khade Hojaye”
Ulema E Deoband kay Aqabir Nawab Qutbudin Khan Sahab Mishqat Al Masabih ki shara me likhte hai “Fuqaha Ne Likha hai Kay Jab Taqbeer kahne Waala Kahe us waqt muqtadi ko khada hona chahiye” (Shara E Mazahir E Haqq E Jadid Shara E Mishqat Vol : 01, Pg : 24)
KUCH MASAIL KI AHEM WAJAHAT
1) Kuch Kitabo Me Hayya ‘ala-s-Salah, pe uthne ka hukm hai aur Kuch me Hayya ‘ala-l-falah pe to kaise Aur kab khade hon ?
Al Jawab : Imam Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi likhte hai
“Hayya ‘ala-s-Salah kay aakhir me uthna shuru karen aur Hayya ‘ala-l-falah kay aakhir tak pura Sidha hojaye is se dono kaul pe amal hojayga”
(Fatawa Razviya Vol : 02, Pg : 472 Mutarzim)
(Mufti Jalaludin Amzadi Apni kitab ,08 Muhikkana Faisle Pg : 42)

02) Shara E Sahih Muslim me Imam Nawawi (Al Mutwaffa ) likhte hai
“Imam Abu Hanifah Aur Ulema E Koofa Ne Kaha Saff me us waqt khade ho jab Muazzin Hayya ‘ala-s-Salah kahe ”
(Shara E Sahih Muslim Lil Nawawi Vol : 01, Pg : 221) Wahabi Deobandi Firqe ka ye tamam saboot kay baad bhi apni ana me ada rahna ye jahalat aur hatdharmi hai unhe chahiye kay apni islaah kare.
ALLAH Unhe haq kabool karne waala banaye. Aamin

Post Written By Shaikh Sher Ali

Sunday 1 July 2018

,
http://www.systemoflife.com/articles/refutation/2000034-najd-in-the-eyed-of-classical-scholars#axzz5K4bBRGN8Najd Aur Iraq

Salamun Alaykum

Tamam Taareef ALLAH Taala K Liye

Sallu Alal Habib Swallallahualaihiwasallam

Yeh Ek Chota Sa Risala Is Mauzu Per K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag Ilaqa Hai Chunki Wahbi Apna Pura Zor Lagadete Hai Yeh Sabit Karne K Liye K Najd Wa Iraq Dono Ek Hi Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Jis Najd K Liye Dua Na Ki Wo Iraq Hai Aur Wahi Per Fitne Aur Zalzale Hai.
Is Risale Me In Sha ALLAH Taala Wahbiyo K Is Batil Aqeede Ki Dhajjiya Udaadi Jayegi.
Sabse Pehle Hum Najd Aur Iraq Ka Maana Dekh Lete Hai.

Najd Ka Maana Arbi Lughat Me Yun Hai : Buland Zameen : Al Kamoos Safa No. 879

Scan Page :





Aur Iraq Ka Maana : Tool Me Samander Ka Kinara : Al Munjad Safa No.555 & Misbah Ul Lughat Safa No. 526.

Scan Page :




Lughat Se Saaf Zahir Hai K Najd Buland Zameen Ko Kehte Hai Aur Iraq Ko Tool Me Samander Ka Kinarah , Is Buniyad Per Toh Wahbi Ki Jahalat Nazar Aati Hai K Wo Iraq Aur Najd Ko Ek Kehta Hai.

Ab Aaye Hadees Shareef Ki Taraf Jaha Se Yeh Sabit Hai K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag Alag Ilaaqe Hai


Hadees # 1

Sahih Muslim English Version Book 07 Hadees 2666


وحدّثني مُحَمَّدُ بْنُ حَاتِمٍ وَ عَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ . كِلاَهُمَا عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ بَكْرٍ .
قَالَ عَبْدٌ : أَخْبَرَنَا مُحَمَّدٌ أَخْبَرَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ . أَخْبَرَنِي أَبُو الزُّبَيْرِ أَنَّهُ سَمِعَ جَابِرَ
بْنَ عَبْدِ اللهِّ رَضِيَ اللهُّ عَنْهُ مَا يُسْأَلُ عَنِ الْمُهَلِّ؟ فَقَال: سَمِعْتُ أَحْسَبُهُ
مُهَلُّ أَهْلِ الْمَدِينَةِ مِنْ ذِي الْحُلَيْفَةِ. وَالطَّرِيقُ الآخَرُ « رَفَعَ إِلَى النَّبِيِّ فَقَالَ
الْجُحْفَةُ. وَمُهَلُّ أَهْلِ الْعِرَاقِ مِنْ ذَاتِ عِرْقٍ. وَمُهَلُّ أَهْلِ نَجْدٍ مِنْ قَ رْنٍ. وَمُهَلُّ
أَهْلِ الْيَمَنِ مِنْ يَلَمْلَمَ ».

Is Hadees Ka Mukhtasar Tarjuma Kardetau K Yaha Per Sahaba E Kram Se Ihram K Halat Me Andar Dakhil Hone K Baare Pucha Gaya Toh Aapne Kaha K Nabi Alayhissalam Ne Farmaya K Madina Walo K Liye Dhul –Hulaifa Hai , Syria Walo K Liye Juhfa , Iraq Walo K Liye Dhat Al-Irq ,Najd Walo K Liye Qarn (Al-Manazil) Aur Yemen Walo K Liye Yalamlam Hai.

Hadees # 2

Sunan Nisai Hadees 2657 Kitab Al Hajj Baab 22 Miqat Ahle Iraq

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمَّارٍ الْمَوْصِلِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو هَاشِمٍ، مُحَمَّدُ بْنُ عَلِيٍّ عَنِ الْمُعَافَى، عَنْ أَفْلَحَ بْنِ حُمَيْدٍ، عَنِ الْقَاسِمِ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ وَقَّتَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لأَهْلِ الْمَدِينَةِ ذَا الْحُلَيْفَةِ وَلأَهْلِ الشَّامِ وَمِصْرَ الْجُحْفَةَ وَلأَهْلِ الْعِرَاقِ ذَاتَ عِرْقٍ وَلأَهْلِ نَجْدٍ قَرْنًا وَلأَهْلِ الْيَمَنِ يَلَمْلَمَ ‏.‏

Tarjuma: NABI Alayhissalam Ne Miqat Dhul Hulaifa Bataya Ahle Madina Walo K Liye , Juhfa Bataya Ahle Sham Aur Egypt (Misr) Walo K Liye , Dhat ‘Irq Bataya Ahle Iraq Walo K Liye , Qarn Bataya Ahle Najd Walo K Liye Aur Yalamlam Bataya Ahle Yemen Walo K Liye.

In Ahadees Se Saabit Hogaya K Najd Aur Iraq Yeh Dono Alag Jagah Hai.
Issey B Wahbi Ka Dil Nai Bharega Aur Naahi Wo Haq Manega Kyukay Waqt Aane Per Apni Nasl Ko B Choddena Wahbi Ki Fitrat Hai.

Wahbi Kahega K Ek Hadees Hai Jisme Nabi Alayhissalam Ne Iraq K Liye Dua Nai Ki Hai.
Hadees Musanad Imam Ahmed Bin Hanbal ; Safa 450, Hadees 2302 Jiska Scan Me Niche Duga , Issey Yeh Sabit Karna Chahte Hai K Iraq Se Shaytan Ka Singh Niklega .



Iski Liye B Me Hadees Pesh Karduga Jissey Baat Ek Dum Wazeh Hojayegi.Sabse Pehli Wah Hadees Jisme Nabi Alayhissalam Ne Najd K Liye Dua Na Ki.

Hadees # 1

Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasooll Allah ﷺ Ne Farmaya Aye Allah Shaam Aur Yemen Par Barkat Nazil Farma Is Par Logon Ne Kaha Ki Hamarey Najd Ke Liye Bhi Barkat Ki Dua Kar Dijiye Aap ﷺ Ne Phir Wohi Farmaya Aye Allah Mulk E Shaam Aur Yemen Par Barkat Nazil Farma, Is Par Logon Ne Kaha Ki Hamarey Najd Mein ? To Aap ﷺ Ne Farmaya Wahan To Zalzaley Aur Fitney Hongey Aur Shaitan Ka Sing Wohi Se Tulu Hoga

Sahih Bukhari, Kitab Al Istisqa , Hadees 1037 ; English Book K Hisab Se Kitab No. 15 Hadees 32

Is Hadees Se Saaf Malum Hua K NAJD Me Zalzaley Aur Fitney Hongey Isi Wajah Se Nabi Alayhissalam Ne Dua Na Farmai ,

Ab Me Wo Hadees Pesh Karuga Jaha Nabi Alayhissalam Ne Iraq K Liye Dua Farmai.

Imam Tabrani ,Al Mua’jam Us Sageer Jild 1 Hadees 273
إسحاق بن خالويه الواسطي حدثنا علي بن بحر بن بري حدثنا
هشام بن يوسف الصنعاني أخبرنا معمر حدثنا ثابت البناني وسليمان
التيمي عن أنس بن مالك أن النبي صلى الله عليه و سلم نظر قبل
العراق والشام واليمن فقال اللهم أقبل بقلوبهم على طاعتك وحط من
وراءهم لم يروه عن التيمي الا معمر ولا عنه إلا هشام بن يوسف القاضي
تفرد به عنه علي بن بحر

Hazrat Anas Bin Malik Se Marwi Hai Nabi Alayhissalam Ne Iraq,Syria Aur Yemen Ki Taraf Dekhkar Dua Farmai K A ALLAH Inke Diko Ki Farmbardari Qabul Farma Aur Inke Ird Gird Barkat Ataa Farma.

Is Hadees K Baad Imam Haythami Ne Likha

رواه الطبراني في الصغير والأوسط ورجاله رجال الصحيح غير علي بن بحر
بن بري وهو ثقة

K Imam Tabrani Ne Isey As Sageer Aur Al Awsat Me Riwayat Ki Hai Iske Tamam Rawi Sahih K Hai ( Yaani Sahih Bukhari Wa Muslim K) Siwaye Ali Bin Bahr Bin Bariy K Aur Yeh B Thiqa Hai ; Majma Uz Zawaid Jild 10 Safa 57.

Ab In Ahadees Se Saaf Zahir Hogaya K Jis Per Nabi Alayhissalam Ne Dua Na Ki Aur Fitne Aur Zalzale Hone Ka Zikr Kiya Wo Najd Hai Aur Jinke Liye Barkat Ki Dua Ki Wah Iraq Hai , Ab Issey B Zyada Kya Safai Hogi K Najd Wa Iraq Yeh Dono Alag Alag Hai , Agar Ek Hote Toh Nabi Alayhissalam Kabhi Iraq K Liye Dua Na Karte.

Me Yeh Batadu K Khud Wahbi B Maante Hai Is Baat Ko K Nabi Alayhissalam Ne Iraq K Liye Dua Farmai Aur Inhone Yaani Wahbiyo Ne Isey Apni Site System Of Life Per B Daala Hai , Screen Shot Zarur Dekhe

Link : 


http://www.systemoflife.com/articles/refutation/2000034-najd-in-the-eyed-of-classical-scholars#axzz5K4bBRGN8






WAHBI BOLTA HAI MAGAR SAMAJTA NAI

Wama Alayna Illal Balag

-Shaikh Mohammad Imran Saifi.







Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers