Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 21 December 2019

,
Wahabiyo ka Tashahuud masale per apas may ikhtilaf Part - 1

Umuman Ghair Muqallideen Ummat ko Yeh kehke Dhoka Dete hai, ke Hanafi ka shafii se Ikhtelaaf hai aur Shafii ka Hanbali se, Hanbali ka Maliki se aur Maliki se Hanafi hai.
Aur Kehte hai ke Hum Ikhtelaaf ki Shakal me Kitaab wa Sunnat ki Taraf Lauto.
Lekin Unko Pata nahi hai, Khud Ahlehadees Firqe me Apas me Kitna Iktelaaf hai.
Aayi-ye ! Jo Quraan wa Hadees par Amal karne ka, Ikhtelaaf ki Surat me Quraan wa Hadees ki Taraf Lautne ka Dawa’a Karte hai aur Saat hi Saat Hanafi, Shafii ko Ikhtelaaf ka Ta’ana Dete hai, Unk Androoni Daastaan Dekhte hai, Tashahud me Ungli hilaane ke Masle par.
Pehla Ikhtelaafi Nazariya :
Ghair Muqallideen Ulama me Ek Jamaat wo hai, Jo Yeh Kehte hai ke Ungli Ashadu al-laa par Uthaana aur Illallah par Jhukaana Chahiye.
1 – Ahlehadees Aalim, Allama Ameer Yemeni Likhte hai ke (Tashahud me) Ishaara karne ki Jagah ‘laailaaha Illallah’ hai, Kyunke Behaiqi ki Ek riwayat me Huzur Saw ka amal Aisa hi hai.
(Subool us Salaam : Jild 1 : Safa 283)

2 – Dusre Ghair Muqallid Aalim Maulana Sadiq Sialkoti Sahaab Likhte hai ke
Qaida e Tashahud me Bait-kar Jab Aap At-tahiyaat padhte huwe Kalma e Shahaadat par Pahuche, Toh Anghushte Shahaadat se Ishaara Kare.
(Salaat ur Rasool : Safa 447)


Note : Sadiq Sahaab ne Mazeed Aage yeh bhi kaha hai ke Yeh Amal Hadees se Saabit nahi hai, Lekin pata nahi Phir yeh amal Kyun Bataa rahe hai : Jabke Unke Nazdeek yeh Saabit nahi hai ?
3 – Ghair Muqallideen ke Khateeb ul Hind Maulana Muhammed Junagadi Sahaab Likhte hai ke “aur Asha-allaa-ilaaha par Shahaadat ki Ungli Utaaye aur Illallah par Neeche Karde”. (Salaat e Muhammedi : Safa 16)

4 – Maulvi Abdul Ghaffar Salafi Sahaab Tashahud me Ungli Kab Utaayi Jaaye ke Sawaal ke Jawaab me Likhte hai ke
Jis Waqt Tashahud ho, Laailaaha Illallah par Pahunche, Tab Ungli ko Mutaharrik kare [Yaani Hilaaye].
(Fataawa Sattaariya : Jild 1 : Safa 65)

5 – Maulvi Ibrahim Sialkoti Ahlehadees Aalim ne bhi yahi kaha hai ke Ishaara Tashahud me Kalima Shahaadat par hona chahiye.
(Salaat un Nabi : Safa 42)

6 – Ghair Muqallideen ke Mufti Abul Hasnaat Muhammed Saeedi Sahaab Farmaate hai ke Laa [Yaani Laailaaha] par Kalime ki Ungli utaaye aur Illallah par Rakh de. (Fataawa Ulama e Hadees : Jild 2 : Safa 183)

7 – Ghair Muqallideen ke Buzurg Maulana Ishaq Sahaab bhi Yahi Kehte hai.



Dusra Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Tashahud me Sirf Ishaara hi Kaafi hai.
Fazilatus Shaykh Hafiz Salahuddin Yusuf Sahaab Likhte hai ke Awwal toh [Ungli se] Ishaara hi Kaafi hai. (Masnoon Namaz : Safa 66)

Aage Kehte hai ke Ungli se Ishaara Karna Daraasal Tauheed ki Gawaahi dena hai aur YEH MAQSAD SIRF UNGLI KE ISHAARA SE HAASIL HOTA HAI.
(Masnoon Namaz : Safa 67)


Teesra Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Tashahud me Baithte hi Ungli ko Harkat Dena chahiye, Salaam Phairne tak aur Abu zaid Zameer Is baat ke Qaayil hai.


Yeh Amal ka Khud Dusre Ulama e Ahlehadeeso ne RADD kiya hai,
Ahlehadees Aalim Salahuddin Yusuf hi Is Amal ka Radd Karte huwe Tehreer karte hai ke Ungli ko Musalsal Harkat Dete rehne ka bhi koi Waazeh Saboot Nahi.
(Masnoon Namaz : Safa 67)

Ek aur Aalim Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Likhte hai ke
Harkat ki Takraar aur Kasrat, Jaisa ke Riwaaj hota jaaraha hai, USKI KOI BUNYAAD NAHI hai.
(Sunan e Abi Dawud Tarjuma : Hadees no 989)

Li-Jiye, Khud Ahlehadees Hazraat hi ke Ulama e Kiraam is Amal ko Ghair Saabit aur Be-Bunyaad Qaraar dete hai.
Ghar ko Aag Lagi, ghar ke Chiraagh se.
Chou-tha Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Sirf Duaa-e-Masuraa [Yaani Allahumma Zanamtu Nafsi……] me Harkat deni chahiye, Yaani Durood e Shareef ke baad aur Ahlehadees Aalim Zubair Ali zai is Baat ke Qaayil hai.
Chunaanche  Hadiyatul Muslimeen : Safa 57 par Likhte hai ke ‘Durood ke baad Ishaara Karna’.


Paanchwa Ikhtelaafi Nazariya: Yeh hai ke [1, 2 Baar] Harkat dene se Hadees par Amal Hojaayega.
Ghair Muqallideen ke Fazilatus Shaykh Hafiz Salaah uddin Yusuf Kehte hai ke Hadees me Harkat Dena ka Jo Zikr aaya hai, Toh Uska Maqsad Musalsal Harkat Dena nahi hai, Balke Ek 2 Martaba Harkat dene se Hadees par Amal Hojaata hai.
(Masnoon e Namaz : Safa 67)



Ghair Muqallideen ke Muhaqiq Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Farmaate hai ke
[Tashahud me Ungli se] Chand baar Darmiyaan me Harkat de li-Jaaye, Taake Harkat waali hadees par Amal Hojaaye.
(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 989)

Isi Tarah Ungli ko Kaise Hilaayi Jaaye, Usme bhi Ahlehadeeso ka Ikhtelaaf hai :
Pehla Ikhtelaafi Qaul : Yeh hai ke [Tashahud me] Ungli ko upar se Neeche tak Hilaayi Jaaye aur yahi Ahlehadeeso ke Muballigh Faiz Syed Sahaab kehte hai.
[Video me Faiz Sahaab ki Ungli ko Ghaur Kare]


Dusra Ikhtelaafi Qaul : Yeh hai ke Ungli ko Utha-le aur Utaaye Huwe Aahista Aahista harkat de, aur Yahi Abu zaid zameer sahaab Kehte hai aur
Mazeed Jo Log Ungli ko upar se Neeche Tak Hilaate hai, Uska Zameer sahaab ne Mazaaq bhi Udaaya hai [Yaani Unhone Faiz sahaab ke qaul ka Mazaaq udaaya hai]


Teesra Ikhtelaafi Qaul Tashahud me Ungli Kaise Hilaaye Jaaye me, Usme Yeh hai ke Ungli Right Left Hilaayi jaaye aur Yahi Ghair Muqallideen ke Buzurg Maulana Ishaq Sahaab ki Raaye hai.


Ghair Muqallideen Hazraat se Guzaarish hai ke wo Yeh Bataaye ke, Inme se Konsa Aalim Haq par hai aur Kon Baatil par ?
Neez Agar In Ulama e Ahlehadees ne, Daleel ke Saamne Aane ke Bawa-jood Unko Na-Maan kar Apni hi Raaye ko Saheeh Samjha, Toh Kya unpar Mushrik hone ka Fatwe Lagega ?
Baraaye Meherbaani Quraan aur Hadees ki Rooshni me Jawaab de.




Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers