Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 11 August 2020

,

سم الله الرحمن الرحيم
♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله
Nabi ﷺ Ne Karbala Me Imam Hussain Radiallahu Anhu Ko Kyun Na Bachaya aqsar wahabi aitraz karte hai tum Sunni Isteghasa Istianat Karte ho madad kay liye bhi pukarte ho agar Nabi E Pak ﷺ ko madad karne ka izn hota to Nabi E Karim  ne sabse pahli madad to Apne hi Nawase Imam Hussain Radiallahu Anhu Aur unke saathiyo ki Karbala Me karna tha Imam Hussain Radiallahu Anhu ko kyun na bachaya ye aitraaz humesha aap sunoge gustakho ki jaban se, In Sha Allah Taa'la is Post ko padhke aapke ummid hai ye aitraz ka jawab mil jayega. 

Yahud Ka Allah Kay Masoom Nabiyo Ko Shaheed Karna 
Ayat 01 :

ضُرِبَت عَلَيهِمُ الذِّلَّةُ أَينَ ما ثُقِفوا إِلّا بِحَبلٍ مِنَ اللَّهِ وَحَبلٍ مِنَ النّاسِ وَباءوا بِغَضَبٍ مِنَ اللَّهِ وَضُرِبَت عَلَيهِمُ المَسكَنَةُ ۚ ذٰلِكَ بِأَنَّهُم كانوا يَكفُرونَ بِآياتِ اللَّهِ وَيَقتُلونَ الأَنبِياءَ بِغَيرِ حَقٍّ ۚ ذٰلِكَ بِما عَصَوا وَكانوا يَعتَدونَ
Ye jaha Bhi payen jayen inpar zillat musallat kardi gayi siwae iske ke inhe Allah ki taraf se sahara mil jaye ya logon ki taraf se sahara mil jaye.Ye Allah Ke gazab ke mustahaq Hain Aur Inpar muhtaji mussalat kar di gayi hai.ye is wajah seh hai ke wo Allah Ki ayaton ke sath kufr karte the Aur Nabiyon ko nahaq Shaheed Karte The, Aur isliye ke wo nafarman Aur Sarkash the.
(Surah Al Imran Ayat 112) 

Ayat 02 : 

وَ لَقَدْ اٰتَیْنَا مُوْسَى الْكِتٰبَ وَ قَفَّیْنَا مِنْۢ بَعْدِهٖ بِالرُّسُلِ٘-وَ اٰتَیْنَا عِیْسَى ابْنَ مَرْیَمَ الْبَیِّنٰتِ وَ اَیَّدْنٰهُ بِرُوْحِ الْقُدُسِؕ-اَفَكُلَّمَا جَآءَكُمْ رَسُوْلٌۢ بِمَا لَا تَهْوٰۤى اَنْفُسُكُمُ اسْتَكْبَرْتُمْۚ-فَفَرِیْقًا كَذَّبْتُمْ٘-وَ فَرِیْقًا تَقْتُلُوْنَ
Aur Beshak Humne Moosa ko Kitab ata ki Aur iske baad pe dar pe Rasool bejhe Aur Humne Isa Bin Maryum Ko Khuli Nishaniyan Ata Farmayin Aur paak rooh ke Zariye inki madad ki To(Aye Bani Israel!)Kya (TumharaYe Mamool Nahi Hai?Ke)Jab Kabhi Tumhare Paas Koi Rasool Aise Ahkam Lekar Tashreef Laya Jinhe Tumharee Dil Pasand Nahi Karte The To Tum Takkabur Karte They Phir In (Ambiya Mese)Ek Giroh Ko Tum Jhutlate The Aur Ek Giroh Ko Shaheed Kardete the.
(Surah Al Baqrah Ayat 87) 

Ayat 03 :
وَ اِذَا قِیْلَ لَهُمْ اٰمِنُوْا بِمَاۤ اَنْزَلَ اللّٰهُ قَالُوْا نُؤْمِنُ بِمَاۤ اُنْزِلَ عَلَیْنَا وَ یَكْفُرُوْنَ بِمَا وَرَآءَهٗۗ-وَ هُوَ الْحَقُّ مُصَدِّقًا لِّمَا مَعَهُمْؕ-قُلْ فَلِمَ تَقْتُلُوْنَ اَنْۢبِیَآءَ اللّٰهِ مِنْ قَبْلُ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِیْنَ
Aur Jab Inse Kaha Jaye Ke Ispar Imaan Lao Jo Allah Ne Nazil Farmaya Hai To Kehten Hain Hum Isi Par Imaan Laten Hain Jo Hamare Uper Nazil Kiya Gaya Aur Wo Torat Ke Ilawa Degair Ka Inkar Karte Hain Halanki Wo(Quran)Bhi Haq Hai Inke Paas Moujood (Kitab)Ki Tasdeeq Karne Wala Hai.Aye Mehboob!Tum Farma Do Ke (Aye Yahoodiyon)Agar Tum Imaan Wale The To Phir Pehle Tum Allah Ke Nabiyon Ko Kyun Shaheed Karte The?
(Surah Al Baqrah Ayat 97) 

Hum puchte hai gustakho se Allah Pak to apne tamam Nabiyo Se Muhabbat karta hai na Allah pak Qadir hai na bachane me ? Phir Kyun Na bachaya Apne Nabiyo ko ? Kya jawab hoga ? Khair jo bhi jawab ho jarur den khair Nabi 
 ne Hazrat Imam Hussain Radiallahu Anhu ki shadat ki khabar pehle hi dedi thi
Hadees 01 : 
Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Aur Hazrat Umm Salama Radiallahu Anha Ki Rivayat 
حدثنا مؤمل حدثنا عمارة بن زادان حدثنا ثابت عن أنس بن مالك أن ملك القطر استأذن ربه أن يأتي النبي فأذن له، فقال لأم سلمة املكي علينا الباب لا يدخل علينا أحد، قال وجاء الحسين ليدخل فمنعته، فوثب فدخل فجعل يقعد على ظهر النبي صلى الله عليه وسلم وعلى منكبه وعلى عاتقه، قال: فقال الملك للنبي أتحبه؟. قال نعم. قال: أما إن أمتك ستقتله، وإن شئت أريتك المكان الذي يقتل فيه. فضرب بيده فجاء بطينة حمراء، فأخذتها أم سلمة فصرتها في خمارها. قال قال ثابت: بلغنا أنها كربلاء
Muammal, → Umaarah bin Zaadaan, →  Thaabit → Anas bin Malik Hazrate Anas رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Farmate Hai Ki Baarish Ka Farishta Huzoor ﷺ Ki Baargaah Mein Haazir Huwa To Us Waqt Imaame Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Aaye Or Aaqa ﷺ Ki Gaud Mein Beth Gaye To Aaqa ﷺ Un Ko Chumne Or Pyaar Karne Lage Us Farishte Ne Pucha Ya Rasulallah ﷺ Aap In Se Pyaar Karte Hain Farmaya Haan To Kehne Laga Ki Aapki Ummat Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Ko Qatal Kar Degi Agar Aap Chaahein To Mein Inki Qatal Gaah Ki Mitti Dikha Dun Fir Us Fariste Ne Surkh ( Laal ) Mitti Laa Kar Di.Us Mitti Ko Umme Salma Ne Apne Kapde Mein Le Liya.
Hazrat Thabit Bunani Farmate Hai Hamare pass jo baat pahuchi wo ye kay Karbala hai.
(Imam Abu Ya'la Al Musnad Vol : 6, Pg : 129,  Hadees : 3402 {647})
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Hadees Umm Salamah, Vol : 10, Pg : 180, Hadees : 26586)
(Imam Al Bazzar Al Musnad, Hadees : 2642)
(Imam Al Haythami Majma Al-Zawa'id  Vol. 9, Pg : 217, Hadees : 15111)
(Shaykh Nasiruddin Albani Silsilat Al-Ahadith Al-Saheeh. Vol. 2, Pg.465-466)
Albani Ne Kaha ye hadees Bukhari Wa Muslim Ki Shart par sahih hai.
(Imam Ahmad ibn Hanbal Fada'il Al-Sahaba. Vol. 2, Pg.965 - 966. Hadees : 1357)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Al Kabeer, Vol :03, Pg : 107, Hadees 6814 or 2814)
(Imam Ibn HIbban Sahih Vol : 15, pg :142, Hadees : 6742)Hadith Hasan, 
(Imam Abu Nuaym Dalailun Nubuwwah Vol:01, Pg 553, Hadees : 492)
(Imam Bayhaqi Dalail Un Nubuwwah, Vol : 06, Pg : 469)(Imam Zahabi Siyar Vol : 03, Pg : 288, 289)
(Imam Al Mizzi Tahzeeb Al Kamal, Vol : 06, Pg : 408)
(Imam Hussamuddin Hindi Kanzul Ummal, Hadees :37672)

(Imam Suyuti Khasais Ul Kubra Vol : 02, Pg : 450)  

{Is hadees Ka Scan page Aur bhi Is talluk se kayi hadees Hamare is Link me padh Sakte hai CLICK HERE TO READ}

Shaheed Zinda Hai Unhe Murda Na Kaho 
وَلا تَقولوا لِمَن يُقتَلُ في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتٌ ۚ بَل أَحياءٌ وَلٰكِن لا تَشعُرونَ
"Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balki Wo Zinda Hai, Lekin Tumhe Iska Shau'r Nahi"  
(Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 154) 

وَلا تَحسَبَنَّ الَّذينَ قُتِلوا في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتًا ۚ بَل أَحياءٌ عِندَ رَبِّهِم يُرزَقونَ
"Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Shaheed Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Khayal Mat Karna, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai". 

(Surah Al-Imran, Ayat : 169)

Zindagi Afzal ya shahadat Afzal???
Is jawab ke liye kisi ka ahle ilm hona shart nahi kam se kamtar ilm rakhne wala shaks bhi ye janta hai ke shahadat zindagi pe afzaliyat rakhti hai. 

Nabi  ne aur khud Imam Hussain Radiallahu Anhu ne apne lie afzaliyat ko chune.... Toh ye sawal kay Nabi  ne Imam Hussain Radiallahu Anhu ko kyun nahi bachaya ahmakana hai aur sawal karne wale ki jahalat zahir karta h

Agar bachna hi hota toh kya Nabi  ki sirf dua kafi na thi jab unhe Imam Hussain Radiallahu Anhu ki shadat ki khabar di gai Aap  usi lamha Imam Hussain Radiallahu Anhu zindagi ki dua mang lete kya Nabi  ki koi dua radd hui hai jo ye hoti ? Apka Imam Hussain Radiallahu Anhu ki zindagi ki dua na mangna balke shadat ki khabar dena is baat ki daleel hai ke Aap ﷺ Ne Imam Hussain Radiallahu Anhu kay lie zindagi se jada shahadat ko tarji di Aur jab tarji shahadat ko pehle hi de di gai toh bachane ka sawal hi kha ata hai.

Nabi ﷺ ki khususiyat aur ikhtiyarat Quran Aur hadees me maujood hai lekin bugz e Nabi  me kuch log itni had par ker jate hai ke jab Nabi  ke ikhtiyaraat me wo hadees wa sahi dalail se koi kami nahi nikal pate toh aise aehmakana sawal logo ko gumrah karne aur fitna failane ke lie karte hai.

Nabi  Imam E Pak Ko bachana chahte to yakinan bacha hi lete lekin imtehan tha taqdeer ka faisla yehi tha warna Nabi E Karim  to khud Karbala me Mauzud they padhiye sahih hadees. 

Hadees 02:
قَالَ حَدَّثَتْنِي سَلْمَى، قَالَتْ دَخَلْتُ عَلَى أُمِّ سَلَمَةَ وَهِيَ تَبْكِي فَقُلْتُ مَا يُبْكِيكِ قَالَتْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم - تَعْنِي فِي الْمَنَامِ - وَعَلَى رَأْسِهِ وَلِحْيَتِهِ التُّرَابُ فَقُلْتُ مَا لَكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ ‏.‏ قَالَ ‏ "‏ شَهِدْتُ قَتْلَ الْحُسَيْنِ آنِفًا ‏"‏ ‏
Ummul Momineen Umme Salma Radi Allahu Anha Farmati Hai Maine Rasool Allah ﷺ ko Khwab Me Dekha ki Aapke Baal Mubarak Aur Daarhi (Beard) Mubarak Gard Aalood hai To Pucha Yaa Rasool Allah ﷺ Apko Kya Huwa ? To Aap ﷺ ne Farmaya “Mai Maqtal E Hussain Se Aaraha Hoon”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 101, Hadees : 6843)
Scan Page

(Imam Aajuri Kitabus Sharia, Vol : 01, Pg : 2175, Hadees : 1665)
Scan Page 
(Imam Tirmizi, Kitabul Manaqib, Hadees : 3771) 
.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Gharib Hai 
Scan Page
Hadees 02: 
“Abdur Rehman → Hammad Ibn Salama → Ammar ibn Abi Ammar → Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ek Roz Mai Dopahar k Wakt Huzoor E Aqdas  Ki Ziyarat Se Khawab me Musharraf Huwa, Maine Dekha ki Sumbool E Muambar Wa Gesu E Mua’tar Bikhre Huwe Aur Gubar Aalud Hai, Daste Mubarak Me Ek Khoon Bhari Sishi Hai, Maine Arz Kiya Mere Maa Baap Aap Par Qurban Yaa Rasool Allah ﷺ ! Ye Kya hai ? Irshad Farmaya Hussain Aur Unke Saathiyo Ka Khoon Hai, Mai Usse Aaj Subah Se jama kar rha hoon hoon,
Hazrat Ammar Radi Allaho Anhu Farmate hai Ki Maine Us Tarikh Aur Wakt Ko yaad Rakha, Jab Khabar Aayi To Maloom Huwa Ki Hazrat Hussain Ussi Wakt Aur Ussi Tarikh Me Shaheed Kiye Gaye They”
(Musnad Ahmad Ibn Hanbal Vol : 03, Pg : 155-156, Hadees : 2553)

(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 04, Pg :59-60, Hadees :2165)
Takhreej E Musnad Shaykh  Ahmad Shakir Aur yehi Shaykh Arnaut likhte hai Iski Sanad Qawi (Strong) hai Imam Muslim Ki Shart Par. 
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 439, Hadees : 8201)
Imam Hakim Aur Imam Zahebi Talkhees Al Mustadraq me Kahte Hai Ye hadees Imam Muslim Ki Shart Par Sahih Hai.
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail E Sahaba, pg : 778, Hadees : 1380)
Takhreej Wa Tahkeek Wahabi Shaykh Wasiullah Abbas Likhte Hai Ye hadees Sahih Hai.

(Khateeb Tabrezi Mishkat Al Masabih , Baab : Fazail E Ahle Bait, Pg : 1741, Hadees : 6172)
Iski Takhreej Wahabi Muhaddis Albani Ne ki hai likhte hai Hadees Sahih Hai.

(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer, Vol : 03, Pg :116, Hadees : 117)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 09, Pg : 193 - 194 Hadees :15141 Abdullah Ibn Abbas)
Farmate hai Imam Ahmad Aur Imam Tabrani Dono kay raavi Siqah hai
(Imam Ibn Abdul Barr Al Istiyab Vol : 01, Pg : 38)
(Hafiz Ibn Kathir Al Al-Bidayah Wa'an-Nihayah. Vol : 11, Pg. 571 & 573)
(Imam Zahbi Siyar A'lam An Nubala Vol : 03, Pg : 316)
(Imam Ibn Hajar Al Haythami Kitab Al Tazkira Pg : 1120 Sanad Jayyad)Maloom Huwa Kay Nabi E Karim ﷺ to wahan Mauzud they agar koi shaks apni kam ilmi aur bugz kay bina pe kahe kay ekteyar tha to kyun na bacha liya to aiso ko bas ALLAH nek hidayat de.

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers