Tark e Rafayadein ki Hadees per Tehqeeqi Jayza (01)
[Hadees]
Tarjuma :
Hazrat
Alkama Radialla Taala Anhu Riwayat Karte Hai Ki Abdullah Ibn Masood Radialla
Taala Anhu Nay Farmaya “Kya May Tumhe Nabi ﷺ Ki Namaz Na Padhau? Rawi Kehta Hai
Ki Phir Apne Namaz Padhai Aur Ek Baar (Yani Namaz Kay Shuru May) Kay Alawa
Rafayadein Nahi Kiya.
Musannaf
Ibn Abi Shayba Jild 2 Hadees 2456
Sunan Tirmidhi
Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 243
Sunan Nasai
Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 1029
Musnad Abu
Yala Jild 8 Safa 453 – 454 Hadees 5040
Sunan Kubra
Lil Nasai Jild 1 Hadees 649
Musnad Ahmed
Jild 2 Hadees 3681
Sunan Abu
Dawood Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 748
Sharah Mani
Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1258
Muajam Ul
Kabeer Jild 9 Hadees 9298
Asaar E Sunnah
Safa 150 Hadees 402
Al Mahli
Jild 3 Safa 4
Nasb ul Rayah Jild
1 Safa 394 Hadees 1705, 1706
Madinatul Kubra
Jild 1 Safa 69
Musanad Ul
Tahawi Jild 5 Safa 364 Hadees 5066
Tamheed Lil
Abdul Barr Jild 9 Safa 215
Jam’a Al
Fawaid Jild 1 Safa 73
Athaful Mahar
Jild 10 Safa 392
Teeyasrul Wasool
Jild 1 Safa 326
Mukhtasarul
Ahkam Jild 2 Safa 103
Sharah
Sunnah Lil Bagawi Jild 3 Safa 24 Tahtul Hadees 561
Nakhbul Afkar
Jild 4 Safa 163
Al Daraya
Jild 1 Safa 150
Juzz Rafayadein
Hadees 32
Sanad : Waqih
Ibn Jarah > Sufiyan Sawri > Asim Bin Kulayb > Abdur Rehman Bin Aswad
> Alkama
1 Waqih Ibn
Jarah
Imam Yayha Bin
Muin Nay Farmaya Mene Waqih Say Afzal Kisi Ko Nahi Dekha Wo Qibla Ruh Hokar
Hadeesein Yaad Karte, Din Ko Roza Rakhte Aur Raat Ko Ibadat May Guzarte Thay,
Aur Imam Abu Hanifa Kay Qaul Per Fatawa Dete Thay.
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Waqih Say Zyada Wasih Ilm Wala Aur Unse Bada
Hafiz E Hadees Nahi Dekha
Imam Hajar
Nay Farmaya Sihah Sitta Kay Rawiyo May Say Hai, Imam Bukhari, Muslim, Abu Dawud
Kay Shuyukh Nay Inse Riwayat Li Hai, Imam Tirmidhi, Nasai Aur Ibn Shayba Kay
Shuyukh Nay Bhi
Imam Ahmed
Bin Sahal Nay Farmaya Ki Hazrat Waqih Apne Waqt Kay Imam Ul Muslimeen Thay
Tahzib Ul
Tahzib Jild 11 Safa 109 – 114
Taqreeb ut Tahzib Jild 2 Safa 276 Raqam 7414
Tafseel Kay
Liye Dekhe (Tahzib Ul Kamal Jild 30 Safa 462 Raqam 6695)
2 Sufiyan
Imam Ibn Hibban
Nay Inko Siqat Nay Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 6 Safa 401)
Imam Bukhari
Nay Inka Zikr Tarikh Ul Kabir May Kiya Hai (Tarikh Ul Kabir Jild 2 Safa 92
Raqam 2077)
Imam Ibn
Hajar Nay Inke Baare Farmaya Yeh Siqah, Hifz, Faqeeh, Abid, Imam Hujjat Hai
(Taqreeb Ut Tahzib Safa 239 Raqam 2445)
Imam Ahmed
Bin Abdullah Al Ijli Nay Kaha Kufa Ki Sabse Acchi Sanad Hai Sufiyan, An
Mansoor, An Ibrahim, An Alkama, An Abdullah
Inse Puri
Ek Jamat Nay Riwayat Li Hai
(Tahzib Ul
Kamal Jild 11 Safa 154 – 169 Raqam 2407)
3 Asim Bin Kulayb
Imam Ijli
Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Safa 27)
Imam Ibn
Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 7 Safa 256)
Imam Ibn
Shaheen Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai Aur Siqah Mamoon Likha Hai (As Siqat Safa
220 Raqam 799)
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Nay Kaha Inki Hadees May Koi Kharabi Nahi Hai
Imam Ibn
Muin Aur Imam Nasai Nay Siqah Kaha Hai
Imam Abu
Hatim Nay Saleh Kaha
Tahzib Ul
Kamal Jild 13 Safa 538 Raqam 3024
4 Abdur
Rehman Bin Aswad
Imam Ijli
Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Safa 33)
Imam Ibn
Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 5 Safa 78)
Imam Yahya
Bin Muin, Imam Nasai, Ibn Kharash Nay Siqah Kaha Hai (Tahzib Ul Kamal Jild 16
Safa 531 – 32 Raqam 3758)
5 Al Kamah
Bin Kaish
Imam Ibn
Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 5 Safa 207)
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Aur Imam Yahya Bin Muin Nay Siqah Kaha
Aap Jaleel Ul
Qadr Tabai Hai Aur Apke Manakib Bahut Zyada Hai
Tahzib Ul
Kamal Jild 20 Safa 300 – 308 Raqam 4017
Lihaza Is
Tehqeeq Say Sabit Hua Ki Iski Sanad Sahih Hai.
[Aitraaz 1]
Mashur Gair
Muqallid Zuber Ali Zai Nay (Nur Ul Aynen Safa 129 – 140) Per Is Hadees Ko Zaef
Sabit Karne Kay Liye Bahut Say Mardud Aitraz Kiye Hai Ki Jinme Say Ek Yeh Hai
Ki Is Hadees Ka Daromadar Sufiyan Sawri Rehmatullah Alayh Per Hai Aur Wo
Tabqat Salasa Kay Mudallis Hai Aur Yeh
Riwayat Bhi Mu An Ana Hai Lihaza Yeh Riwayat Inki Tadlees Ki Wajah Say Zaef
Hai.
[ Jawab ]
Hum Kehte
Hai Ki Zuber Ali Zai Sahab Nay Adat Kay Mutabik Har Us Hadees Per Jarah Kar
Rakhi Hai Jo Unke Maslak Kay Khilaf Ho Aur Yeh Aitraz Bhi Zuber Ali Zai Al
Kazzab Ka Wo Jhoota Dawah Hai Jisme Yeh Akele Hai Aur Haq Baat Yeh Hai Ki Zuber
Ali Zai Sahab Kabhi Mudallis Ko Mukammal Taur Per Zaef Kehte Hai Aur Kabhi
Mudallis Kay Tabqat Ka Iqrar Karte Hai Jab Khud Inke Qaul May Tazad Paya Jaata
Hai Toh Phir Kisi Mudallis Rawi Kay Baare May Inki Tazaef Ki Kya Keemat?
Jabki Imam
Sufiyan Sawri Dusre Tabke Kau Mudallis Hai
(Tarif Ahle
Takdees Lil Ibn Ibn Hajar Safa 24 Raqa 51)
Aur Martaba
Saniya Kay Mudallis Ki Tadlees Sama Per Mehmool Ki Jati Hai, In Sha ALLAH Aagay
Aimma E Muhaddiseen Aur Khud Firka E Gair Muqallid Kay Namwar Alimo Say Sabit
Karege Ki Unhone Imam Sufiyan Sawri Ko Tabqat Saniya Ka Mudallis Mana Hai Ya
Mudallisseen Kay Tabqat Ka Iqrar Kiya Hai.
[ Aimma E Muhaddisseen
]
Hafiz Salauddeen
(Jama’e Tehsil Safa 106)
Imam Ibn
Sabt Al Ajmi (Asma Ul Mudallissen Safa 66)
Imam Abu
Jara’a (Kitab Ul Mudallisseen Safa 52)
Imam Ibn
Hajar (Nuqat Ala Ibn Salah Jild 2 Safa 637)
Imam Ibn
Hajar (Tarif Ahle Taqdees Safa 24 Raqam
51)
[ Gair Muqallid
Alim ]
Maulana Mubarakpuri
(Tohfatul Ahozi)
Badiuddin Shah
Rashdi (Asma Ul Mudallisseen Safa 22)
Hafiz Gondalvi
(Khairul Kalam)
Abdullah Ropadi
(Fatawa Ahle Hadees Jild 1 Safa 468)
Irshad Ul
Haq Asri (Tauzihul Kalam Jild 1 Safa 759)
Dr Awab Hussain
(Taqbat Ul Mudallisseen Fee Sahih Bukhari Safa 170)
Dr Awab Hussain
(Taqbat Ul Mudallisseen Fee Sahih Muslim Safa 72)
Dr Asim Bin
Abdullah Karyuti (Taqbat Ul Mudallisseen Safa 32)
Dr Rafa’at
Fauji (Al Mudallisseen Number 52 Hashiya 12)
Dr Nafiz Hussain
(Al Mudallisseen Number 52 Hashiya 12)
Yaha Humne
Tawalat Ki Wajah Say Bahut Say Gair Muqallid Hazraat Kay Naam Nahi Likhe Jinko
Darkaar Hai Wo Allama Faisal Khan Ki Tasneef “Masala Tark E Rafaydein Per Zuber
Ali Zai Kay Aitrazati Mazameen Ka Jawab Safa 77 – 78” Dekhe.
Lihaza Sabit
Hua Kay Imam Sufiyan Sawri Jamhoor Gair Muqalliddeen Kay Nazdeek Tabqat Saniya Kay
Mudallis Hai Lihaza Unka An Ana Is Riwayat Ko Mijar Nahi Aur Yeh Zuber Ali Zai
Sahab Ki Munfarid Rai Per Ghadi Hui Imarat Per Zordar Zarb Hai.
[Aitraz 2]
Phir Agla
Aitraz Jo Zuber Ali Zai Nay Kiya Is Hadees Ki Tashih Karne Wale 2 Aimma Hi Hai,
1 Imam Tirmidhi Aur 2 Ibn Hajam Zahiri Jabki Iski Tazaef Karne Wale Kuch Naam
Ginwaye Hai
[Jawab]
Hum Kehte
Hai Ki Zuber Sahab Nay Yaha Bhi Kizb Bayani Say Kaam Liya Hai Aur Haq Ko
Chupaya Hai Jabki Haq Yeh Hai Ki Bahut Say Muhaddisseen Hazraat Nay Is Hadees
Ko Sahih Kaha Hai, Pesh Ekhidmat Kuch Chand Hawale.
Imam Tirmidhi
Nay Is Hadees Ko Hasan Sahih Kaha Hai (Sunan Tirmdhi Kitab Us Salat Jild 1
Hadees 243)
Mashur Gair
Muqallid Imam Ibn Hajam Zahiri Nay Isko Sahih Kaha Hai (Al Mahli Jild 3 Safa 4)
Hafiz Zayli
Likhte Hai Ki Allama Ibn Katan Ul Magribi Nay Isko Sahih Kaha Hai (Nasb ul Rayah Jild 1 Safa 395)
Allama Ayni
Nay Isey Sahih Kaha Hai (Nakhbul Afkar Jild 2 Safa 601)
Mashur Muhaqeeq
Ahmed Muhammad Shakir Nay Isey Sahih Kaha Hai (Musnad Ul Ahmed Ba Talikat Ahmed
Muhammad Shakir Jild 5 Safa 251)
Allama Nemwi
Nay Isey Sahih Kaha Hai (Asaar Se Sunnah Safa 150 Hadees 402)
Aur Gair
Muqallid Alim Albani Likhte Hai “Haq Toh Yeh Hai Ki Yeh Hadees Imam Muslim Ki
Sharait Per Sahih Hai Aur Jin Logo Nay Isey Ma’lul Qarar Diya Hai Hume Unki Koi
Aisi Daleel Nahi Mili Jissey Istedlal Sahih Ho Aur Uski Wajah Say Hadees Ko
Radd Kiya Jaye” (Takhreej Mishkat Jild 1 Safa 254 Raqam 809)
Imam Tahawi
Nay Iski Tasheeh Ki Hai (Sharah Mani Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees
1258)
Imam Ibn
Kittan Al Fasi Nay Kaha Yeh Sehat Kay Qareeb Hai (Bayan Ul Waham Wal Ibham Jild
3 Safa 367)
Imam Darqutni
Nay Kaha Iski Sanad Sahih Hai (Al Ilal Jild 5 Safa 172)
Allama Turkmani
Farmate Hai Yeh Hadees Imam Muslim Ki Shart Per Sahih Hai (Jawahir Ul Naqi Jild
2 Safa 78)
Imam Mughaltai
Nay Isey Sahih Kaha Hai (Sharab Ibn Majah Jild 5 Safa 1467)
Imam Qasim
Isey Sahih Kehte Hai (Tarif Ul Akhbar Raqam 167)
Imam Ibn
Hajar Nay Isey Sahih Kaha (Al Daraya Jild 1 Safa 150)
Imam Suyuti
Nay Isey Sahih Kaha (Imlai Al Masnua Jild 3 Safa 19)
Imam Ibn
Daqeeq Al Eid Nay Sahih Kaha Hai (Nasb ul Rayah Jild 1 Safa 395)
Hafiz Ibn
Qayyum Nay Sahih Kaha Hai (Tahzib Ul Sunnah Jild 1 Safa 368)
Allama Abid
Sindhi Nay Sahih Kaha (Mawahibul Tifa Kalmi Safa 259)
Shaikh Hafiz
Sindhi Nay Sahih Kaha (Kashf Ur Rayn Safa 56)
Muhaddis Surti
Nay Sahi Kaha (Talik Ul Mujli Safa 305)
Issey Yeh
Malum Hua Ki Yeh Hadees Muhaddisseen Kay Ek Baday Tabke Aur Khususan Gair Muqallid
Kay 11 Bade Ullema Kay Nazdeek Sahih Hai Jo Aagay Aarahi Hai, Lihaza Issey
Zuber Ali Zai Ka Jhoot Bhi Sabit Hogaya.
[Aitraz 3]
Phir Zuber
Ali Zai Nay Teesra Aitraz Kiya Hai Ki Asim Bin Kulayb Say Riwayat Karne May
Sufiyan Sawri Alag Hai.
[Jawab]
Hum Kehte
Hai Kay Zuber Ali Zai Kay Is Aitraz Per Hujjat Qayam Karne Kay Liye Yahi Kafi
Hai Ki Imam Al Hafiz Darqutni Nay Asim Bin Kulayb Say Is Hadees Ko Riwayat
Karne May Sufiyan Sawri K 2 Siqah Mutabe
1 Abu Bakr
Nahshli, Siqah Sabt (Tahzib Ul Kamal Jild 33 Safa 156 Raqam 7267
2 Abdullah
Bin Idris, Siqah Sabt (Tahzib Ul Kamal Jild 14 Safa 293 Raqam 3159
Ginwaye Hai
( Ilal Darqutni Jild 5 Safa 171 – 173 Raqam 804)
Aap Tamam
Faisla Kare Ki Gair Muqallid Zuber Ali Zai Ki Baat Maani Jaye Ya Jaleel Ul Qadr
Imam Ki Jinke Baare May Ek Sawal Kay Jawab May Imam Hakim Nay Kaha Ki Imam
Darqutni Nay Khud Apne Jaisa Alim Nahi Dekha Hoga Phir May Kaise Dekh Sakta Hu?
(Hashiya Sunan Darqutni Jild 1 Safa 13)
Sabit Hua
Kay Hazrat Abdullah Ibn Masood Radialla Taala Anhu Ruku May Jaate Aur Uthte
Waqt Rafayadein Nahi Karte Thay, Ullema E Ahnaf Kehte Hai Ki Hazrat Ibn Masood Radialla
Taala Anhu Jaise Jaleel Ul Qadr Sahabi E Rasool ﷺ Kay Baad Apko Sahaba Ko Namaz
Ka Tareeka Amli Taur Per Sikha Rahe Hai Aur Isme Sirf Baar Iftetah Namaz Kay
Mauke Per Haath Uthate Hai, Issey Yeh Malum Hua Ki Rasul ALLAH ﷺ Ka Mamool Yahi
Tha Aur Yehi Sunnat Hai Agar Hazrat Abdullah Ibn Masood Radialla Taala Anhu Nay
Rasul ALLAH ﷺ Ko Hamesha Rafayadein Karte Hue Dekha Hota Toh Aap Kabhi Bhi Nabi
ﷺ Kay Khilaf Amal Na Karte Aur Na Huzur Kay Khilaf Iski Taleem Dete, Isliye
Imam Abu Hanifa Aur Bahut Say Faqeeh Rafayadein Kay Qayal Nahi Hai Aur Yehi
Kehte Hai Ki Rafayadein Sirf Shuru Namaz May Hi Hai.
Ab Aye
Dekhte Hai Ki Bahut Say Gair Muqallid Alimo Nay Is Hadees Ki Tasheeh Ki Hai
Maulana Nazar
Ahmed Dehlvi (Fatawa E Nazariya Jild 10 Safa 442)
Muhaqeeq Shueb
Arnaut (Hashiya Sharah Sunnah Jild 3 Safa 24)
Muhaqeeq Zahirul
Shawesh (Hashiya Sharah Sunnah Jild 3 Safa 24)
Ataullah Hanif
(Talikat Ul Salfiya Safa 123)
Muhammad Abdullah
Punjabi (Aqeeda Muhammadiya Jild 2 Safa 116)
Maulana Ibrahim
Siyalkoti (Wazeh Ul Bayan Safa 399)
Naseereuddin
Albani ( Sahih Ul Nasai Jild 1 Safa 20)
Maulana Ubaidullah
(Sharah Mishkat Jild 2 Safa 293)
Dr Shareef
Mansoor Bin Awn (Marwiyat E Ibn Masood Jild 1 Safa 487)
Hussain Salim
Asad (Hashiya Musnad Ul Abi Yala Jild 8 Safa 454)
In Sab Gair
Muqallid Ullemao Nay Is Hadees Ko Sahih Kaha Hai
Lihaza Sabit
Hua Kay Yeh Hadees Indal Aimma Sahih Hai.
END
No comments:
Post a Comment