Post 01 Click Here to Read
73 Me 01 Kaun Post 02
Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan
Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya
(Sunan Ibn Majah, Pg : 659, Kitab Ul Fitan, Baab : Ummat K bant Jaane Ka Bayan, Hadees : 3993)
(Sunan Ibn Majah Hadees : 3992 Rivayat Hazrat Auf Ibn Malik Radiallahu anhu)
Scan Page Sunan Ibn Majah #3992 #3993
Is hadees E Pak Se Maloom huwa kay jo Giroh haq pe hoga pe wo jamat hogi ab wo kaunsi jamaat hai iska khulasa aage ki hadees me aayega jaise
Jalilul Qadr tabayn Imam Sirin Rahmatullah alaih ne yahan do hisse bayan kiye Ahle Sunnat Wa Jamaat aur ek ahle biddat yaani us daur me ahle biddat rawafiz Shia Khwarij Qadiriya wagairah they.
Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya
Kaum E Yahud 71 ya 72 Firko Me Ba’nti, Isai 71 Ya 72 Firke Me Ba’nte Aur Meri Ummat 73 Firqe Me Ba’nt Jaygi”
(Sunan Abu Dawood, Pg : 830, Kitabul Sunnat, Baab : Sharaye Sunnah, Hadees : 4596)
(Jamai Tirmizi Vol : 03, Book No 40, Kitabul Imaan Aana Rasool Allah ﷺ, Hadees : 2640)
Scan Page Sunan Abu Dawood
Hadees 08 :
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Kaum e Yahud 71 Firke Me Ba’nti, Aur Meri Ummat 73 Firqe Me Ba’nt Jaygi”
(Sunan ibn Majah, Pg : 659 Kitab Al Fitan, Baab : Ummat k Firqe Me Ba’nt Jaane Ka Bayan, Hadees : 3991)
Upar ki 02 hadees E Paak Dekhe to maloom hota hai kay pahle ki Kaum
Bani Yahud Nasara firqe me bant gaye aur Ummat E Muhammadiya bhi firqe me bantegi ab dekhte hai wo Haq Jamat ki kya nishani hai aur baatil ki kya nishani hai.
Ummah 73 Firqo Me Bant Jayegi Aur Haq Par Wo Hoga Jo Sahaba Kay Tarike Pe Hoga Aur Jamat Se Juda Rahega
Hadees 09 :
Hazrat Anas bin Malik se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya Bani Israil 71 Hisso Me Bant Gayi aur Mera Ummat 72 Hisso Me Bantegi, Sab Jahannam Me Jaynge Siwaye Ek key, Jo Jamaat Hai”
Hazrat Anas bin Malik se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya Bani Israil 71 Hisso Me Bant Gayi aur Mera Ummat 72 Hisso Me Bantegi, Sab Jahannam Me Jaynge Siwaye Ek key, Jo Jamaat Hai”
Is hadees E Pak Se Maloom huwa kay jo Giroh haq pe hoga pe wo jamat hogi ab wo kaunsi jamaat hai iska khulasa aage ki hadees me aayega jaise
Hadees 10:
Hazrat Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu Se rivayat Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya ﷺ Beshak Kaum E Bani Israel (Kaum E Moosa ) 72 Firke Me Ba’nt(Divide) Gayi Aur Meri Ummat 73 Firko’n Me Ba’nt Jaygi, Sab k Sab Jahannami Honge Sirf Ek Firqa Jannati Hoga.
Sahaba E Kiram Radi Allahu Anhu Azmain Ne Arz Kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ
Wo Jannati Firqa Konsa Hoga ?
Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Mere Aur Mere Sahaba K Tarike Par Chalega
(Jamai Tirmizi, Pg : 595-96, Kitab No 40 Kitab Al Imaan Aana Rasool Allah, Baab : مَا جَاءَ فِي افْتِرَاقِ هَذِهِ الأُمَّةِ , Maa Jaa Fi Aftaraki Haaja il Ummah, Hadees :2641)
Yahan 04 hadees E paak se maloom huwa kay Sahaba Kay tarike pe chalna
hai aur Jamat kay saath hona hai,
Musalmano Me Badi Jamaat Kay Saath Rehna Uske Saath Allah Taa'la Ka Fazl Hai
Hadees 11 :
Abdullah ibn Abbas Se Rivayat hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya
“Allah Ka Daste Qudrat Jamaat k Saath Hai”
(Jamai Tirmizi, 490, Kitab No 33 Kitab al Fitan, Hadees : 2166)
Ummat Kabhi Gumrahi Pe Jama Na Hogi Jamaat jo Alag Huwa Wo Jahanam Me Jayga
(Jamai Tirmizi, 490, Kitab No 33 Kitab al Fitan, Hadees : 2166)
Ummat Kabhi Gumrahi Pe Jama Na Hogi Jamaat jo Alag Huwa Wo Jahanam Me Jayga
Hadees 12 :
Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega Ya Ye Farmaya Ummat E Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega) Aur Jama’at Par Allah Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka DASTEQUDRAT Hai Aur Jo Shakhs Jama’at Se Juda Ho Woh Aag Kee Taraf Juda Ho.”

(Jamai Tirmizi, Pg : 490, Kitab al Fitan, Hadees : 2167)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg :201, Hadees : 397)
Scan Page Jamai Tirmizi #2166 & 2167
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg :201, Hadees : 397)
Scan Page Jamai Tirmizi #2166 & 2167
Hadees 13:
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Beshak Meri Ummat (Majmooi’i Taur Par) Kabhi Gumraahi Par Jama Nahin Hogi Pas Agar Tum In Me Ikhtilaaf Dekho To Tum Par Laazim Hai Ki Sab Se Badi Jama’at (Ka Saath) Ikhtiyaar Karo.”
(Sunan Ibn Majah, Pg : 651, Kitab No 36 Kitab Al Fitan, Baab : Sawad e Aazam, Hadees : 3950)
(Imam Tabrani Al Majma ul Kabir, Vol : 12 , Pg : 447, Hadees : 13623) Scan Page Sunan Ibn Majah #3950
(Imam Tabrani Al Majma ul Kabir, Vol : 12 , Pg : 447, Hadees : 13623) Scan Page Sunan Ibn Majah #3950
Yahan Lafz jamaat aaya hai iska maana ye naa lele koi kay yahan baat Tableegi Jamat ki horahi hai balki tableegi jamaat to bani hi Deoband Sect kay niche hai, Yahan Sahaba Ki Pairwi aur Jamaat kay saath jude rahne ka hukm hai jo aur wo jamaat kaunsi hai wo Ahle Sunnat Wa Jamaat hai.
Nabi E karim ﷺ ne Musalmano ko Jamaat kay sath rehne ka hukm diya aur farmaya kay ye Ummat kabhi gumrahi par jama naa hogi yaani aaj dekhe to puri duniya me Sawad E Azam ahle sunnat wa Jamaat hai jo Miladi auliya Allah se aqeedat rakhne wale hai aur yehi log shuru se rahe hai phir kuch tabke aaye aur unhone in sabko biddati gumrah mushrik kahna shuru kiya jinki tadad Rupay me charana bhi nahi hai to bhala wo haq pe kaise honge aap kisi bhi wahabi se kahe kay pucho aapke baap dada par dada kaun hai wo kahega mai sunni tha yahin se saabit hogaya tum abhi aaye ho.
Jo sawad e azam ahle sunnat wa jamat se juda rahega wohi hidayat pe hoga jo inse hatega wo gumraah hojayga. Ahle Sunnat Lafz ka intekhab isliye kiya gaya kay Hum Nabi E Karim ﷺ ki Sunnat par amal karte hai aur Jamat E Sahaba Ahle Bayt Auliya Mufasireen wagairah sabko mante hai. (Iski aur zyada details tashreeh agli post me hogi)
Imam Muslim Rahmatullah Alaih ne Apni Sahih me hadees naql ki hai Hadees 14 : Imam Muhammad Ibn Sirin Radiallahu Anhu Farmate Hai Pahle Jamane Me Koi Humse Hadees bayan karta to hum uski sanad naa puchte Phir jab fitna failaya to Logo ne kaha Apni Apni Sanad bayan karo Phir Dekha jayega agar rivayat karne Wale AHLE SUNNAT hai to unki rivayat kabool ki jayegi aur jo ahle biddati hai unki rivayat na kabool ki jaayegi" (Sahih Muslim, Kitabul Muqaddamah, Pg : 16, Hadees : 27) Scan Page
Jo sawad e azam ahle sunnat wa jamat se juda rahega wohi hidayat pe hoga jo inse hatega wo gumraah hojayga. Ahle Sunnat Lafz ka intekhab isliye kiya gaya kay Hum Nabi E Karim ﷺ ki Sunnat par amal karte hai aur Jamat E Sahaba Ahle Bayt Auliya Mufasireen wagairah sabko mante hai. (Iski aur zyada details tashreeh agli post me hogi)
Imam Muslim Rahmatullah Alaih ne Apni Sahih me hadees naql ki hai Hadees 14 : Imam Muhammad Ibn Sirin Radiallahu Anhu Farmate Hai Pahle Jamane Me Koi Humse Hadees bayan karta to hum uski sanad naa puchte Phir jab fitna failaya to Logo ne kaha Apni Apni Sanad bayan karo Phir Dekha jayega agar rivayat karne Wale AHLE SUNNAT hai to unki rivayat kabool ki jayegi aur jo ahle biddati hai unki rivayat na kabool ki jaayegi" (Sahih Muslim, Kitabul Muqaddamah, Pg : 16, Hadees : 27) Scan Page
Jalilul Qadr tabayn Imam Sirin Rahmatullah alaih ne yahan do hisse bayan kiye Ahle Sunnat Wa Jamaat aur ek ahle biddat yaani us daur me ahle biddat rawafiz Shia Khwarij Qadiriya wagairah they.
Ye Raha Is ummat kay 73 Firqe me bant jaane wale dalail aur ab hume kiske saath rehna hai wo bhi zikr huwa ab agli post me is talluk se aur details post hogi kay hume haq par rehne k liye kis kis ki pairwi jaruri hai.
Post Created by Shaikh Sher Ali Hanfi
Wah sachi bahut Acha ilm hasil hua apki is blog se..
ReplyDeleteAllah apki umr ijafa ata farmaye..
Ameen
ماشاء اللہ agar ye dalail proof kitab ki shakal mein hoti to or f
ReplyDeleteaidemamd hota
Hmre mazhab ne badi problem hmre ulma ki janib se hai unhone sahi tarike se step wise authentic dalail se kabhi in topic ko discuss hi nhi kiya hai
DeleteLekin ye tamam chizo ko hum kam az kam research ppr ki shakl me upload krnge
DeleteSubhan allah..
ReplyDeleteJazaakallah khair
Mashaallah Allah apko isi traha din ki khidmat ki toufiq ata farmaye
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDeleteIs post mai wo hadees bhi ani chayiye thi jis mai rasoolullah SAW ne aek sithi lakir khichi aur bad mai uske right side mai aur left side mai 6 lakir khichi aur farmaya ye sidha rasta jannat ki taf jata hai aur baki rasto pe shaitan bhaitha hai
ReplyDeleteमस्लके आलाहजरत ज़िंदाबाद - MASLAKE AALAHAZART ZINDABAAD - مسلک اعلٰیحضرت زنداباد Riyaz Mansuri
ReplyDeleteSubhanallah Allah apki hifazat farmai
ReplyDelete3C79D
ReplyDeletepubg uc satın al
sightcare
Aslam o alikum mujhe 3 talaq k bare m sawal krna h m bht preshan hn mra husband ny 3 bar kaha talaq dy ta hn aik hi bar 3 bar tu mri talaq hogai ya nh ya 1 bar hoi h bht mhbrbani hogi mujhe is ka jab dydy m bht prefab hn mra 1 sal ka bacha h or wo sharminda bh h wo kh raha h mra irada nh tha dyna ka
ReplyDelete