Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 25 December 2014

Hayat Un Nabi صلی اللہ علیہ وسلم : Prophet صلی اللہ علیہ وسلم Is Alive In Grave





سم الله الرحمن الرحيم

♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥


D:\KHUTBA.JPG


Part 01 : Hayat Un Nabi ﷺ Par Wahabi Deobandi Ghair Muqallideen Ka Aqeedah

Ye baat aam hai aur sab jaante hai k wahabi jamat Aqeeda E Hayat un Nabi ﷺ ko nahi maante aur Nabi ﷺ kay baad az wisal Hayat kay kayal nahi hai.
Issi Akeede ko leke Firqa E Deoband 2 firko me ban’t gaya ek hue MAMATI DEOBANDI dusre HAYATI DEOBANDI FIRKA magar ye dono jamat k aqabir buzurg Wa Peshwa hai Shah Ismail Dahelvi apni ruswaye jamana kitab Taqviyatul Imaan me unhone likh diya kay Nabi E Karim ﷺ marke Mitthi me mile gaye

Firqa E Wahabia k HIND me baani Deobandi aur Gair Muqallid jinhe dono jamaat maante hai dono k peshwa hai ye Shah Ismail Dahelvi (Born 1193 Hijri Death 1246 Hizri) apni badnaam kitab Taqviyatul Imaan me likhte hai
"Ya'ni mein bhi ek din Mar kar Mitti mein milne wala hun!" 
(Taqwiyat ul Iman - Urdu; pg : 100 Published by Dar us Salafiya, Mumbai)

Isi kitab ko English me translate kiya Badar Azimabadi likhte hai 
"That is, one day he (the Apostle) was also to die and mingle with dust!" 
(Taqwiyat ul Iman; 79 Published by Adam Publishers, New Delhi)

Kuch wakt pehle Saudi Arabia me kitab chapi Wahhabi/Salafi likhte hai
"Iss se malum hua ke aap Murdah hain" 
(Al Hajj wal Umrah wal Ziarah, pg : 161 by Shaykh Abdul Aziz bin Baaz, Riyadh)
Allah Taa'la ki panah in gumraah logo se khair jab ye bataya jaata hai to wahabi apni kayas lagate hai aur jawab dete hai ye mar gye hai inse hume kya accha kare to jannat me jaaynge aur bura kare to jahannam me jaaynge wo Shah Ismail Ka aqeedah hai hamara nahi lekin agle hi pal usko Rahmatullah Alaih Kahne Se nahi baaj aayenge

Chaliye janab Ye to mar gye to ab inke zinde bolte huwe aalimo ko sun lijiye 
i) Tausif Ur Rehman sahab is video me kehte sawal ka jawab dene pe (CLICK TO LISTEN) Kahte hai“Agar Nabi Zinda hai har jagah mauzood hai to Masjide Nabvi me Kabr kiski hai, aap sochiye ALLAH ne akal di hai agr zinda hai to kabr kiski hai, Sahaba kyu roye.. etc. YE GUMRAAH TARIN AKEEDE KABAR PARASTO K, K NABI ZINDA HAI HAAZIR NAAZIR HAI YE QURAN K BHI KHILAF HAI AUR JO AISA KAHE WO GUSTAKH HAI KAAFIR HAI” 
Aur yehi Tausif Ur Rehman Sahab apne ek bayan me kehte hai k ISA Alaihi salam aaye aur Faut hue suniye is LINK me  
Jabki Isaa Alaihi Salam Zinda aasman me utha lie gye wo bayan se bhi ab tak inhone tauba nhi ki hai.

ii) Ye hai Maulana Meraj Rabbani sahab Sawal hua k Nabi ﷺ Zinda hai ya Nahi Janab jawab dete hai is video me sune link pe http://www.youtube.com/watch?v=Xe8SkypDmTM Meraj sahab is video me kehte hai 
“Aapka Kya Khayal hai Aala Hazrat ! jo aadmi aisa akeeda rakhe Nabi ﷺ Mare nahi Zinda hai aisa aadmi kaafir hai,Kya sahaba Zinda nabi ko dafan karte, 2 maulvi Hindustan se Nepal se nahi dono ne likha Nabi ﷺ kabr me aise zinda hai jase dunya me zinda hai”
Aala Hazrat Rahmatullah alaih ka naam leke in sahab ne ye batane ki koshish ki hai k ye akeeda AALA hazrat ne izaad kiya hai.
Ye hai in ahle hadees khud ko kahne wale ka haal aur ilmi salahiyat inhe aaj tak pata hi nahi hai k Hayat-Un-Nabi ﷺ ka aqeeda Hindustan se nahi balki shuru se hi ISLAM me raha hai aur ulema ka is baat pe izma hai is tehreer ko padhne k  baad aapko pata chal jaayga kay ye jo khud ko ahle hadees kehte hai inhe asal me na to Quran aati hai na to hadis bas yahudio k raste me awaam ko le jaana hota hai…

iii) Ye hai Jarjees Ansari Sahab bahut jhut bolte hai inki fitrat me shamil hai sunlo kya kahte hai is link me 
“nahi nahi sahab mar gay na kehna tauhin hojaygi parda kar gye.. tum kitna hi accha lafz istemal karlo parda kar gye zinda hai bahayat hai wisal kar gye tum kuch bhi kaho kitne hi acche lakab lelo lekin Janabe Muhammad Rasool Allah ﷺ is dunya me nahi hai agr hai to mujhe address do AHLE HADIS KA GUNAHGAAR BANDA  unse milne jaayga chanda jama karke, MAI UNKO APNE GHR BULAKE UNKO APNA GULAM NAHI BANAUGA, Hum unko apne ghr bulana nahi gawara karenge mera ghr is layak nahi hai k hum aaka ko bulao hume batao nabi kaha hai hum jarur jaaynge tum jaao na jaao KYUKI BADE LOG SE MILA JAATA HAI UNKO GHR BULAKE NAUKAR NHI BANAYA JAATA HAI”.
Mujhe ye samajh nahi aaya k kisi ko apne ghar mehmaan banana isse murad naukar banane ka kya maamla hai Balki Mehman ki to hadiso me kaafi fazilat aaye hai ye hai ahle hadis ki hakikat inhe kuch aata jaata nhi hai bas gustakhi karne ka kaam chahye…

iv) Zakir Naik Sahab aaj tak samajh nhi aaya k konsa Islam ye faila rahe hai jo khud Islam se dur hai, aajke Google Se padhne waale Gair mukallid bahot maante hai inhe inko bhi sunlo is link me  https://www.youtube.com/watch?v=LZMwTK3K0JI
“Aaj ki tareekh me hum Muhammad ﷺ se bhi nhi maang sakte ye baba logo ko to chodo Muhammad salallahu alahi wassalam ko bhi MAAN NA hamare liye haraam hai, jo aadmi MAR CHUKA HAI” 

V) Ye hai Bilal Philips sahab foreigner hai to English me lecture dete hai is link me sune wo kya kehte hai  http://www.youtube.com/watch?v=RajY2ZTeJ1M
“When you Call an Rasool Allah ﷺ again there is an line of argument that people like to chat that they are living Rasool Allah ﷺ said ‘EARTH DOES NOT EAT THERE BODY’,OK 
Point 1 :because earth does not earth eat there body this mean they are living ? It is just a miracle of ALLAH,
Point 2 : If Prophet ﷺ does not died then the Sahaba commited great crime isn’t it ? This is non sense, it is an error clear error,
THE POINT IS RASOOL ALLAH ﷺ IS DEAD” “Urdu Translation : Bilal sahab kehte hai jab behas hoti hai to log kehte hai k Nabi ﷺ ne farmaya Jamin Ambiya k jismo ko nahi khati thek hai maan lete hai, agar maan bhi le tab bhi ye kaha saabit hota hai k Nabi ﷺ Zinda hai, agar jism salamat rehta hai to ye ALLAH ki Qudrat ka ek moezeze hosakta hai, agar Nabi ﷺ zinda the to sahabio ne bahot bada gunaah kar diye ek Zinda shaks ko dafan karke,ye bekar baate hai galat akeede hai, hakikat ye hai RASOOL ALLAH ﷺ MAR CHUKE HAI"

Part 02 : Ahle Sunnat Wa Jammat Ka Hayat un Nabi ﷺ Par Aqeedah Kya Hai ? 
1) Ahle Sunnat Wa Jamaat ka Akeeda Is baat pe hai k har wo cheez jisko ALLAH Taa'la ne banaya hai wazood bakhsa hai usko ‘fana hona’ hai baaki rehne waali ZAAT sirf ALLAH Taa'la ki hai. Insaan jinn parind farishte Malaika sabko maut aani hai ye hamara aqeedah hai aur Quran E Pak ki wo aayate'in jisme maut ka bayan aaya hai wo haq hai uspe hamara imaan hai, ALHAMDULLILAH
Is baat se sirf ye samjhana maksad hai k AMBIYA ALAIHI SALAM ko bhi maut aani hai hum iske munkir nahi hai, WAHABI awaam me ye galat baat failate hai k Sunni AMBIYA ki maut nhi maante.
Chunache Sayyid Ahmad Sa’id Kaazmi Rahmatullah Alaihi likhte hai 
“Jo koi bhi Huzur ﷺ k wisaal hone aur jism se Rooh nikale jaane ka munkir hai wo shaks Quran ki aayat ka aur hadis e paak ka munkir hai wo shaks Islam k dayre se bahar hai”
(Hayat Un Nabi pg : 78) 

2) Hum jo kehte hai wo ye hai k Ambiya ko maut aati hai wo k wakt lamhe k liye taaki aayat ka aur ALLAH Taa'la kay farmaan ka maksad pura hojaye aur unki AMBIYA Alaihi Salam ki Rooh E Mubarak unke jism me dobara daal jaati hai AMBIYA KA ZINDA REHNA IS TARAH SE Hota hai jaise wo jaahiri zindagi me the. 
              “ANBIYA KO BHI AANI HAI AZAL 
               MAGAR ITNI KI FAKAT AANI HAI” (Aala Hazrat Muhaddis E Barelvi) 
Kuch Jaruri Masle jinhe yaad rakhe aage aasani hogi,
1) Nabi wafat k baad dunyawi zindagi ki hakikat ki tarah jinda rehte hai.
2) Nabiyo ki jindagi hakiki jismani hai shahido ki tarah maanvi aur Roohani nhi hai. 
Isliye Nabi ki wafat k baad unka choda hua maal baata nhi jaata hai aur unki biwiya nikah nhi kar sakti Aur shahido k masle me maamla alag hai unka maal bhi baat diya jaata hai aur biwiya bhi Nikah kar sakti hai.
3) Nabiyo ki zindagi dunyawi hai barjakhi nhi hai bas fark itna k jaise logo ki nigaho se chipe hai.
(Mufti Zalaluddin Ahmad Amjadi, Anwarul Hadis, pg : 171)

Chunache 'Allama al-Hasan bin 'Ammar al-Shurunbulali Hanfi (Al Mutwaffa 1069 Hijri) me apni kitab Mirakatul Maraqi al-Falah Sharh Matn Nur al-Idah me likhte hai k tehkeek karne waalo se ye baat saabit hai k Huzur ﷺ apni dunyawi zindagi ki tarah hayat hai.

"Ambiya Alaihi salam ki hakiki dunyawi zindagi k saath zinda hai. Unko Rozi di jaati hai tamam lajjat waali cheezo ka maza paata hai lekin jo log unche darje makam tak nhi pahuchte wo unki aankho se cheepe hai.
(Tahtavi pg : 447)

Muhaddis Imam Bayhaki Rahmatullah Alaihi ne is masle pe dalail se bhari ek kitab likhi “Hayat Al Ambiya Fi Kuburihim” 
Fikah E Shafai k bade Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaihi ne bhi ek kitab likhi “Hayat E Ambiya E Kiram”.

Part 03 : QURAN E KARIM AUR TAFSEER SE HAYAT UN NABI  KA SABOOT

ضَرَبَ اللَّهُ مَثَلًا رَجُلًا فيهِ شُرَكاءُ مُتَشاكِسونَ وَرَجُلًا سَلَمًا لِرَجُلٍ هَل يَستَوِيانِ مَثَلًا ۚ الحَمدُ لِلَّهِ ۚ بَل أَكثَرُهُم لا يَعلَمونَ “Allah Ne Ek Gulaam Aadmi Ki Misaal Bayan Farmayi Jisme Kay Badh Aqhlaak Aaka Sharik Ho Aur Ek Aisa Gulaam Mard Ho Jo Khalis Ek Hi Gulaam Ho Kya Wo Dono Ka Haal Ek Jaisa Hai ? Sab Khubiya Allah Kay Liye Hai Balki Unme Aqsar Nahi Jante"(Surah Al Zumar Ayat 29)
إِنَّكَ مَيِّتٌ وَإِنَّهُم مَيِّتونَ
“Beshak Tumhe Intekal Farmana hai aur unko bhi Marna hai”
(Surah Zumar Ayat 30)
Jaise kay ayat upar di gayi aayat 29 me bayan hua k 2 insaan kay halaat alag hote hai uske baad kay Ayat me Maut ka zikr huwa yaani Nabi ki wafat bhi aam Insaan si nahi hai wo bilkul alag hai.
وَلا تَقولوا لِمَن يُقتَلُ في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتٌ ۚ بَل أَحياءٌ وَلٰكِن لا تَشعُرونَ
"Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balki Wo Zinda Hai, Lekin Tumhe Iska Shau'r Nahi"  (Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 154) 
وَلا تَحسَبَنَّ الَّذينَ قُتِلوا في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتًا ۚ بَل أَحياءٌ عِندَ رَبِّهِم يُرزَقونَ"Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Shaheed Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Khayal Mat Karna, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai". (Surah Al-Imran, Ayat : 169)

Tafseer E Quran Se Sabut 
01 : Hazrat Qazi Sanaullah Panipati Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1225 Hijri) likhte hain:
"Mufasserin ki ek jamat is ayat ke tehet Shahido ki zindagi ka bayan karte hain, lekin ye ayat tamam Ambiya, Siddiqin, Saleheen ki hayat par dalalat karti hai.
Kyunki Shahido se bada maqam Siddiqin ka hai, aur unse bada maqam Ambiya ka hai, isiliye Ambiya ki wafaat ke baad unki zauja ko dusra nikah karna jaez nahi,
(Tafsir Mazhari, Vol 1, Page 151)

02. Allama Qazi Shaukani Jinhe Wahabi Apna Peshwa Mante Hai  
"Quran Paak me ek ayat hai jo Shahido ki zindagi per istedlal karti hain, aur unki zindagi duniya ke jaisi hi hai, to fir Ambiya ki Hayat ka aalam kya hoga ? Aur Imam Munziri Rahmatullah ki Hadees kehti hai ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur iski Sanad ko Imam Baihaqi ne Sahi likha hai.
(Shaukani Nayl al-Awtar, Vol 3, Page 282)   

03. Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 911 Hijri) likhte hain:
Ambiya apni Qabro me zinda hai, ye is Ayat ke Zahiri mayno par bhi sabit hai,
ya Jo Mayne Muhaddesin is se nikalte hain usse bhi.
(Al-Hawi lil Fatawa, Vol 2, Pg: 149)

04. Hazrat Imam Ismail Hakki Haqqi Rehmatullah alaih farmate hain. 
Baaz Ulamae Ikram ne Aap ﷺ ki qabr ke paas awaz buland karne ko na-pasand kiya hai, kyunki aap qabr anwar me zinda hain.
(Tafsire Ruhul Bayan, Vol :09,Pg-66)

05. Hazrat Imam Saawi Maaliki Rehmatullah Alaih farmate hain.
"Amibya Ikram Alaihimus salaam ki hayaat, Shuhada ki hayaat se Ajal aur aala hai. 
(Tafseer-e-Saawi alal Jalalain Vol : 01 pg : 128)

Part 04 : Hadees E Rasool ﷺ Se Saboot 

AMBIYA ALAIHI SALAM APNI KABRO ME ZINDA AUR NAMAZ PADHTE HAI… 
سبحان الله
HADEES : 01
Hazrat Anas Radiallahu Anhu se rivayat Hai, Rasool Allah   ne irshad farmaya
“Ambiya apni kabro pe zinda hai aur namaz padhte hai”
(Imam Bayhaqi Hayat ul-Anbiyah, Pg No. 003 – Maktabah Al Mahid Al Ilmiyah, Misr)
(Imam Abu Ya’la Musnad Vol :06, pg : 699, Hadees :3425) Sanad Sahih
(Imam Ibn Hazar Mazma’ul Zawaid Vol : 08, Pg : 387, Hadees : 13812)
aur aage likha hai Imam Abu Yaala & imam bazzar ne iski tehkeek ki aur iske raavio ko bharose k layak bataya hai.
Gair Mukallid k Muhaddis jinhe apna maa baap sab maante hai
Shaikh Albani ne bhi apni kitab “Silsilatal Hadees al Sahih Vol : 02 Pg : 187 Hadis : 621)

Imam Jalaludin Suyuti farmate hain,
“Qabro me Hayat-e-Ambiya par hamara Eiman-e-Qati hai”

See Scan Page of hayat ul Ambiya Imam Bayhaqi:

Front Cover Of Hayat Al Ambiya by Imam Bahqi Rehmatullah Alaih
Pg : 03 of Hayatal Ambiya
Scan Page of Musnad E Abu Yaala & Albani Al Silsilahtul Saheeh
Musnad E Abu Yaala V:06, P:699 H:3425

Albani Silsilah Sahih v:02 pg:187 H:621
Hadees 02 : 
Hazrat Anas RadiAllahu Anhu farmate hai, Rasool Allah   ne farmaya
“Safar E meraj me mera gujar Moosa Alaihi salam ki kabr k pass se hua maine dekha MOOSA ALAIHI SALAM apni kabr me Masroof E Salat the” 
(Sahih Muslim Kitab 30 , Paigambar aur unke sahaba ki khususiyat,, Baab : MOSA ALAIHI SALAM K FAZAIL, Hadees number : 5858)
(Sahih Muslim, Vol : 04, Pg-1845, Hadees-2375)
(Imam Nasai, Sunan Nasai, Baab Us Salat, Baab Zikr E Nabi Moosa Alaihsalam Vol : 2 pg : 237 Hadis: 1630-1636) 
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Book : As Salah Chapter : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl Jild : 2 Pg : Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 03, Pg-148, Hadees :12526, 13618)
(Sahih Ibn Hibban, Vol-01, Pg-242, Hadees-50)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Vol : 08, Pg : 13, Hadees : 7806)
(Imam Ibn Abi Saybah Al-Musannaf, Vol : 07,Pg : 335, Hadees : 36575)
(Imam Abu Ya'ala Al-Musnad, Vol : 06, Pg-71, Hadees :3325)
(Imam Haythami Majma-uz-Zawa'id, Vol : 08, Pg-205)
(Imam Ibn Hazar Asqalani Shara E sahi ul Bukhari Fat'h-ul-Bari, Vol-06, Pg-444.) 

Hazrat Moosa Alaihsalam Ka kabr Namaz Padhna Saabit karta hai kay Ambiya Alaihumsalam apni Kabre Mubarak me hayat hai warna kya Kabr me murde namaj padhte hai ? 
See Scan Page of Muslim Sharif :
Front Cover Muslim Sharif 




Hadees 03 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram   Ne Farmaya Meine Khud Ko Hateem-E-Kaa’ba Me Paaya Aur Quraish Mujh Se Safar E Meraj Ke Baare Me Sawaalaat Karte Rahe The.
Unhone Mujh Se Baitul Muqaddas Ki Kuchh Cheejein Poochhi Jinhein Meine (Yaad’daast Me) Mab’oos Nahin Rakha Tha Jis Ki Wajeh Se Mein Itna Pareshaan Hua Ki Us Se Pahle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huaa Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Baitul Muqaddas Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya.
Vo Mujh Se Baitul Muqaddas Ke Mut’allik Jo Bhi Cheej Poochhte Mein (Use Dekh-Dekh Kar) Unhein Bata Deta Aur Meine Khud Ko Giroh-E-Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Me Paaya.
Meine Dekha Ki Hazrat Moosa Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The, Aur Wo Qabila-E-Shanoah Ke Logon Ki Tarah Ghungharaale Baalon Waale The Aur Phir (Dekha Ki) Hazrat Isaa Bin Maryam Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The Aur Urwah Bin Mas’ood Saqafee Un Se Bahut Mushaabah Hain, Aur Phir Dekha Ki Hazrat Ibrahim Alaihissalam Khade Masroof-E-Salaat The Aur Tumhare Aaqa (Yaani Khud Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam) Un Ke Saath Sab Se Zyaada Mushaabah Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Meine Sab Ambiya-E-Kiram Alaihissalam Ki Imaamat Karaa’i"
(Sahih Muslim,Vol :01,Pg:156,Hadees : 176)
(Imam Nasa'i As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 06, Pg:455, Hadees : 11480)
(Imam Abu Awanah Al-Musnad, Vol : 01, Pg : 116, Hadees : 350)
(Imam Abu Nuayam Al-Musnad-ul-Mustkhraj, Vol :01, Pg : 239, Hadees : 433)
(Imam ibn Hajar Asqalani Fat'h-ul-Bari, Vol : 06, Pg : 487)


ALLAH NE HARAAM KAR DIYA HAI JAMEEN KO K AMBIYA K JISM KO KOI NUKSAAN PAHUCHAYE… SUBHAN ALLAH
Hadees 04 :
Hazrat Abu Darda rivayat farmate hai k ALLAH K RASOOL  ne farmaya 
ALLAH Ne haraam kar diya hai jameen ko k wo Ambiya k jism ko khai aur unhe rizk diya jaata hai” 
(Imam Ibn Majah Sunan Vol :01,  Hadees : 1627)
(Mishkat Al Masabih Vol : 01, Pg : 304, Hadees :1366)


Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1052 Hijri) isi hadees ki shara me likhte hai “Ambiya alaihisalam apni kabro pe zinda hai, jis tarah dunya me jinda rehte hai
(Ash’at al Lama’at Vol :01 Pg : 576)

Shaikh Abdul Hak Muhaddis E Dahelvi Rehmatullah Alaih yaha ek masla bayan farmate hai jo ye kay
“Ambiya zinda hai aur shuru se is baat pe izma raha hai k wo hayat hai unki zindagi asal hai, Shaheedo ki tarah Ruhani ya barjaki nahi”
(Ash’at al Lama’at Vol : 01 Pg : 574)

Note : Shaikh Abdul Haq Muhaddis Rahmatullahi Alaih ko Hindustan k saare akeede waale maante hai rafzio ko chodke phir chahe wo ahle hadis gair mukalid ho ya deobandi ho.

Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari Rahmatullah alaih (Al Mutwaffa 1014 Hijri) likhte hain:
Ambiya ki Hayat-e-Duniya aur Baad-e-Wafat ki Hayat me koi farq nahi hai,
isliye kaha jata hai ki Allah ke wali marte nahi, sirf ek jaga se dusri jaga ka safar karte hain.
(Mirqat Shara E Mishkat,Vol : 2, Pg : 212)

Aur isi baat se ye dono buzurgane Din ka Akeeda pata chalta hai k wo bhi Hayat un Ambiya k kayal the aur hamesha se log maante aaye hai.

Hadees 05 :
“Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram  Ne Farmaya Beshak Tumhare Dinon Me Se Jum’a Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Adam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi,
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.
Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya
Ya RasoolAllah 

Hamaara Durood Aap 
ﷺ Ke Wisaal Ke Baad Aap  Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega ?

Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
To Aap 
 Ne Farmaya : (Nahin Aisa Nahin Hai) Beshak Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap  Ne Farmaya Beshak Allah Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaa’e (Sunan Abu Dawood Vol : 01 Kitabus Salat, Pg : 443, Hadees : 1047) 
Scan Page of Sunan Abu Dawood :
Front Cover Sunan Abu Dawood


Abu Dawood Vol 01 Pg 443 H : 1047

(Imam Nawawi ne likha "Isnaad is Sahih" , Al Azkaar,  Baab As salah 'Ala AN NABI Vol : 01 Pg : 131-132 Hadees: 302) 
Scan Page Of Imam Nawawi Al Azkaar : Front Cover of Al Azkaar





Imam Zahabi ne Hakim ki Sanad ko aur Imam Nawawi ne Azkar me Sahih likha hai (Hafiz Ibn e Katheer , Tafseer Al Quran Al Azeem Jild : 6 Pg : 473 Under Tafseer of Sorat Al Ahzaab, Ayat : 56)
Scan Page of Tafseer Ibn Katheer :
Some More Refernces :
(Imam Ibn e Hajar 'Asqalani, Fathul Bari, Vol: 6, Pg: 562)
(Imam Tabrani , Ma'jam Al Ausath Vol: 5 Pg:97,Hadees: 4780)
(Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadees: 589)
(Imam Ibn e Abi Shaibah Musannaf ibn Abi Shaiba me, Kitab As Salah Chapter : 795 Vol : 6 Pg : 40 Hadees: 8789)
(Imam Ahmad Bin Hambal, Al Musnad Vol:26 Pg:84 Hadees : 16162)
(Imam Bazzar,  Musnad Al Bazzar, Vol : 8 Pg : 411 Hadees : 3485)
(Imam Ibn Hibban Sahih Kitab Ar Raqaiq Chapter : Ad'iyah Vol : 3 pg : 190-191 Hadees : 910)
(Imam ibn e Khuzimah Sahih, Vol: 3, Pg : 118, Hadees :  1733-1734)
(Imam Bayhaqi, Shu'b Al Eman Baab : Fadl As Salah 'Ala An NABI Vol : 4 Pg : 432 Hadees : 2768)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Kitab Al Juma'ah Chapter : 105 Vol : 3 Pg : 353 Hadees : 5993)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Kitab As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Vol : 1 pg : 445 Hadees : 1572, Darmi As-Sunan, Vol :01, Pg-445, Hadees : 1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah (79) Vol : 1 Pg : 345 Hadees : 1085)
(Imam Nasai, Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374 , Nisa'i As-Sunan, Vol -03, Pg-91, Hadees : 1374, &
As-Sunan Al-Kubra, Vol : 01, Pg-519, Hadees -1666)
(Sunan Ibn Majah, Vol 01 , Hadees 1626,
#1085)
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:
“Beshak Ambiya apni Qabro me zinda hain”
(Mishkat Shara E Mirqat – Vol. 2 Pg. 209)
Iski Sharah me Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi likhte hain:
“Beshak Ambiya zinda hain, aur isme koi shak nahi ki unki Zindagi dniya ki hi tarah Jismani hai, Shahido ki tarah Roohani nahi”
(Ashi’ah al-Lam’at – Vol : 1 Pg: 574)

Hadees 06 :
“Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah )
Aur Aap 
ﷺ Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)?

Aap  Ne Farmaya :
Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Lie Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.
Phir Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Ibn Majah As Sunan, Vol :01 , Pg-524, Hadees : 1627)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Vol -10, Pg-23, Hadees :2090)
(Manawi Fayd-Ul-Qadir, Vol : 02, Pg-87)
(Ajlawni Kashf-ul-Khifa, Vol -01, Pg-190, Hadees-501)
(Shawkani Nayl-ul-Awtar, Vol :03, Pg-304)

Huzoor Hamare Salam Ka Jawab Dete Hain
Hadees 07 :
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E Karim  Ne Farmaya Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
(Imam Abu Dawood Sunan, Vol -02, Pg-218, Hadees -2041)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol -02, Pg-527, Hadees-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadees-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol -05, Pg-245, Hadees -10050,
(Shuab-ul-Iman, Vol : 02, Pg-217, Hadees: 5181, 4161)
(Imam Ishaq Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Vol-01, Pg-453, Hadees-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Vol :02, Pg-326, Hadees :2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa'id, Vol : 10, Pg-162)

Is Hadees se wazeh ho gaya ki Ambiya ki Qabro ki ziyarat aur unpar salam bhejna durust hai.
Note : Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah Alaih farmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz Maujud hain, aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently.
To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA bar bar Apne Mehboob 
 ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehboob  ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.

Ambiya Alaihmusalam Jahan Chahe Jaa Sakte Hai 
Safar E Meraj Ki Rivayat Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Hadees 08 :
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya 
عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki  
Forth Aasman me Hazrat Idrees
عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon
عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah
عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
(Sahih Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448) 

Huzoor Rehmat E Aalam Maidan E Karbala Me
Hadees 09: 
Ummul Momineen Umme Salma Radi Allahu Anha Farmati Hai Maine Rasool Allah ko Khwab Me Dekha ki Aap ke Baal Mubarak Aur Daarhi (Beard) Mubarak Gard Aalood hai To Pucha Yaa Rasool Allah Apko Kya Huwa ? To Aap ne Farmaya “Mai Maqtal E Hussain Radiallahu Anhu Se Aaraha Hoon”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 101, Hadees : 6843)
Hadees 10 : 
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ek Roz Mai Dopahar k Wakt Huzoor E Aqdas Ki Ziyarat Se Khawab me Musharraf Huwa, Maine Dekha ki Sumbool E Muambar Wa Gesu E Mua’tar Bikhre Huwe Aur Gubar Aalud Hai, Daste Mubarak Me Ek Khoon Bhari Sishi Hai, Maine Arz Kiya Mere Maa Baap Aap Par Qurban Yaa Rasool Allah Ya Kya hai ?
Irshad Farmaya Hazrat Hussain Aur Unke Saathiyo Ka Khoon Hai, Mai Usse Aaj Subah Se Utha Raha hoon,
Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Farmate hai Ki Maine Us Tarikh Aur Wakt Ko yaad Rakha, Jab Khabar Aayi To Maloom Huwa Ki Hazrat Hussain Radiallahu Anhu Ussi Wakt Aur Ussi Tarikh Me Shaheed Kiye Gaye The”
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 02, Pg :346, Hadees :2165)
(Mishkat Al Masabih , Baab : Fazail E Ahle Bait, Pg : 461)
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 304)

Ye Hadees E Mutwatir Hai Jo Hamesha se bayan ki gayi hai aur ye Hadees Sahi Hai. Maloom Huwa Kay Ambiya Alaihmusalam Naa Sirf jism e hakiki kay saath namaz ada karte hai balki ALLAH Taala ne unhe ekteyar bhi diya hai jahan chahe jaa sakte hai aur jispe fazal farmade wo apni jagti aankh se bhi unka deedar kar sakta hai,

Nabi apni ummat k liye Dua e Istegfar karte hai.. Subhanallah
Hadees 11 :
Hazrat Abdullah Ibn Masood RadiAllaho  Anhu se riwayat hai ki Nabi  ne farmaya,

حياتى خير لكم تحدثون ويحدث لكم فإذا أنامت كانت وفاتى خيرًا لكم تعرض على أعمالكم فإذا رأيت خيرًا حمدت الله وإن رأيت شرًّااستغفرت لكم
Meri zindagi tumhare liye baa’ise  khair hai, aur meri maut bhi tumhare liye baa’ise khair hai. Tumhare a’maal qabr me mujh par pesh kiye jate hain, agar mai isme bhalai dekhta hhu to mai ALLAH ki hamd karta hu aur agar mai isme burai dekhta hu to mai tumhare liye ALLAH se istighfar karta hu.
(Imam Qazi Al Iyaz Maliki Shifa Sharif Vol : 1 Pg:56)
(Imam Suyuti“Manahil al-Safa fi Takhrij Ahadith Al-Shifa Pg : 31 Beirut 1988/1408). (Imam ibn Abi Usama Musnad Bakr ibn `Abd Allah al-Mazni  aur Bazzar ne Ibn Mas’ood ki Hadees se Saheehh sanad ke sath likha.
NABI ZINDA BHI HAIN AUR HAMAARI AWAZ BHI SUN SAKTE HAIN AUR JAWAB BHI DE SAKTE HAIN.. Subhanallah
Huzoor  Apne Rauz E Aqdas Me Jism E Aqdas Kay Saath Zinda Hai 
Hadees 12 : 
وعن أبي هريرة قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلّم يقول: والّذي نَفْسُ أَبي القاسِمِ بِيَدِهِ لَيَنْزِلَنَّ عيسى ابنُ مَريمَ إمَاماً مُقْسِطاً، وَحَكَماً عَدْلاً، فَلَيَكْسِرَنَّ الصَّلِيْبَ، وَيَقْتُلَنَّ الخِنْزِيرَ، وَلَيُصْلِحَنَّ ذَاتَ البَيْنِ، وَلَيُذْهِبَنَّ الشَّحْنَاءَ، وَلَيَعْرُضَنَّ المَالَ فَلا يَقْبَلهُ أَحَدٌ، ثُمَّ لَئِنْ قَامَ على قَبْرِي فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ لأجِيْبَنَّهُ . قلت: هو في الصحيح باختصار. رواه أبو يعلى ورجاله رجال الصحيح
Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai K Unhone Nabi E Rehmat  Ko Farmate Huwe Suna 
“Kasam Us Jaat Ki Jiske Daste Qudrat Me Abul Qasim Ki Jaan hai Hazrat Isa Ibn Maryam Alaihsalam Ek Insaaf pasand Aur Samajhdar Haakim Banke nuzool Honge.
Woh Salib (Cross) Ko Todenge, Khinzeer Ko Khatm karenge aur Aapsi ektelefat aur purani dushmani mita denge.
Unhe Maal Diya Jayga Lekin Wo Usko Kabool Naa Karenge Phir Isa Ibn Maryam Alaihsalam Meri Kabr Par Khade Hokar Kahenge Yaa MUHAMMAD Aur Mai Jarur Unko Jawab Dunga”
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 11, Pg : 462, Hadees : 6584)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 02, Pg : 595)
(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 08, Pg : 211 Is Hadees K Rijaal Sahi Hai)
(Imam Ibn Asakir Tariqh Damishq Vol : 47, Pg : 493)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Al Matalib Aliya , Baab : Huzoor Ki Kabr Me Zindagi)
Imam Abu Yaala Imam Zahbi, Imam Hakim, Aur Imam Haythami iski Isnaad Ko sahih Karar Diya Hai.
Scan page 

Huzoor Nabi-E-Paak Ki Qabr-E-Anwar Se Namaz Ke Waqt Ajaan Ki Aawaaz
Hadees 13:
Hazrat Saeed Bin Abdul Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab Ayyaam-E-Hurra (Jin Dinon Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waqia Pesh Aaya To Huzoor Nabi E Akram Ki Masjid Me Teen-03 Din Tak Ajaan Aur Iqaamat Nahin Kahi Gaee Aur Hazrat Saeed Bin Musayyab Radiallahu Anhu (Jo Ki Jaleelulqadr Taaba’i Hain Unhone Masjid-E-Nabawi Me Panaah Lee Huee Thi Aur) Unhone (Teen-03 Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Wo Namaz Ka Waqt Nahin Jaante The Magar Ek Dheemi See Aawaaz Ke Zareeye Wo Huzoor Nabi E Akram Ki Qabr E Anwar Se Sunte The.
(Sunan Darmi Vol : 01, pg : 56, Baab  : Maa Akramallahu Taala Nabiy Baad Al Mauti, Hadees : 94)
(Imam Abu Nu’ aym Dala’il An Nabuwah Vol : 02, Pg : 567)
(Mishkat Al Masabih Vol : 02, Pg : 400, Hadees : 5951)
(Ibn Saad At Tabakat Vol : 05, Pg : 132)
(Imam Zahbi As Siyar Vol : 04, Pg  : 228-29)
(Imam Jalaludin Suyuti Sharah Sunan Ibn Majah Vol : 01, pg : 291, Hadees : 4029)
Zubayr ibn Bakkar Ne Al Akhbar Al Madina me Nakl Kiya 

Sarkar E Do Aalam ﷺ Ne Farmaya : Jis Ne Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Ki
Hadees 14 : 
“Hazart Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Jis Ne Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Ki”
(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol :12, Pg : 406,Hadees : 13496)
(Imam Daraqutni As-Sunan,Vol : 02 Pg :278, Hadees : 193)
(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Vol : 03, Pg : 489,Hadees : 4154)
(Imam Haythami Majma-uz-Zawa'id,Vol : 04, Pg : 02)


Part 05 : Aqeedah Hayat Un Nabi ﷺ Aur Aimma Mufasireen Muhadiseen Auiya E Kiram ka Aqeedah
1) Aqeeda Imam Bayhaqi Rahmatullah Alaih
“Tamam Ambiya apni qabro me zinda hain.
(Hayat-al-Ambiya lil Baihaqi)
Hazrat Imam Bayhaqi Rahmatullah Alaih farmate hain Hazraat Ambiya Ikram ki arwaah qabz karne ke baad inke ijsaam Mubaarak me wapas lauta di gayi hain. Ab wo apne Rab Ta'ala ke wahan Shaheed ki tarah zinda hain.
(Kitab Al-Etiqad pg :198)

2) Aqeeda Qazi Iyaz - Imam Ali Qari Mullah Ali Qari
Shifa Sharif me  Qazi Iyaz, Hazrat.Ibn Abbas Rehmatullah alaihka qaul naqal karte hue likhte hain ki jab Ghar me dakhil ho aur ghar me koi maujud na ho to is tarah Salam karna chahiye.
“Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe wa barakaatuhu”
Imam Ali Qari Mulla Ali Qari Shifa Sharif ki Shara farmate hue likhte hain:
Jab ghar me koi maujud na ho aur andar dakhil ho to is tarah Salam kahe
"Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe Wa Barakaatuhu"
Iske Aage likhte hain, Is tarah Salam kehne ki waja ye hai ki Nabi alaihis salam ki rooh har momin ke ghar me jalwahgar hoti hai.
(Mullah Ali Qari, Sharah ush-Shifah, Vol : 02, Pg : 117)
Hai koi Wahabi ? To Bataye Imam Ali Qari Rahmatullah Alaih par shariat me kya hukm lagega ? Aur unhone Shifa Sharif ki tafseer farmayi aur Qazi Ayaaz Maliki se naqal kiya to unpar kya hukm lagega?
Aur Qazi Ayaz Maaliki Rahmatullah Alaih ne HAZRAT Ibn Abbas Radiallahu Anhu ke hawale se Salam ka ye tariqa likha hai batao Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu par shariat me kya hukm lagainge? Imam Bayhaqi pe konsa fatwa lagega kab laga rhe hai wahabi fatwa?

3) Imam Ibne Hajar Asqalani ke shagird Imam Sakhawi ( farmate hain
“ki Hamare liye, ye aqeeda hai ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur unhe ne'matein ata ki jati hain”
(Al-Qàùl-al-Badi, Pg.161)
4) Imam Ibn Hajar al-Haitami Makki Shafai Rahmaullah Alaih apni Jawhar al- Munazzam me likhte hain:
''Is baat ke beshumar dalail aut aqwal-e- aimma saheeh sanad ke sath maujud hain ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur wo Roae rakhte hain, Har saal Hajj bhi karte hain, aur apne jism ko us Barish se paak bhi karte hain, jo unpe barasti hai.''

5)Hazrat Imam Abdul Wahab Shorani Rahmatullah Alaih farmate hain, Huzur Anwar apni qabr mubarak me zinda hain. Aur azan wa iqamat ke sath namaz ada farmate hain. Aise hi deegar ambiya namaz ada farmate hain.
(Kashaful Ghama, Vol -01,Pg :67)

6) Hazrat Imam Ibrahim bin Bishar Rehmatullah Alaih farmate hain, mai ek saal Madina Sharif gaya, Rauza Aqdas pe hazir hokar salam arz ki to maine wahan se 'WA ALAIKAS SALAAM' ki awaz suni.
(Subulil Huda Vol 12, Pg.357)

7) HAZRAT Imam Abdul Wahidal Kubr ji Rehmatullah alaih
farmate hain, mere samne Sheikh Abu Bakr Dayar-e-Bakri alaih rehma ne Mawajeha Sharif pe salam arz ki to andar se awaz aayi 'WA ALAIKAS SALAAM YA ABA BAKR' is awaz ko sab haazireen ne suna.
(Zeel Tarikh-e-Baghdad Jild:16, Pg:255)
8) Hazrat Imam Hakim Tirmizi quddisa Sirruhu farmate hain, Siddiq Nabi se kam darja hai, aur Shaheed in dono se kam darja hai, lehaaza Siddiq se iski hayaat bhi kam darja hai, aur Siddiq ki Hayaat Nabi ki Hayaat se kam darja hai. Aur Wali ki Hayaat Shaheed ki hayaat se kam darja hai.
(Nawadirul Usool pg :429) 9) Hazrat Imam Subki Rehmatullah alaih farmate hain. Ulamae Kiram ne farmaya ki Huzur alaihis salam ko Nabuwwat ke sath Shahadat ka martaba bhi diya gaya hai. Aur beshak Shuhada ke liye hayat sabit hai.
(Ref : Shifaus Siqam, S-190)

10) Hazrat Imam Saalihi Shaami Rehmatullah alaihfarmate hain.
“Beshak hamare Nabi Mohtaram alaihis salam zinda hain,
Jaisa ki ye amr apni jaga bilkul sabit hai. Aur apki ummat ke amaal apki bargah me pesh kiye jate hain. Ye bhi apni jaga bilkul sabit hai”
(Ref : Subulil huda jild : 12 pg: 380)


11)Hazrat Imam Abul Qasim Qushairi Rehmatullah alaihfarmate hain. Hum Ahlesunnat ke nazdeek Nabi Akram alaihis salaam zinda hain. Apko ha aur Ilm hasil hai. Aap par ummat ke amaal pesh kiye jate hain.
(Ref : Shakliyate Ahlesunnat pg: 27)


12) Hazrat Imam Mohammad Shobari Rehmatullah alaih farmate hain.
Ambiya Kiram alaihis salaam apni qabro me zinda hain. Namaz aur Hajj ada karte hain. Jaisa ki Ahaadees me aaya hai, aur unka Imdaad farmana unka mojizah hai. (Ref : Shawahidul Haq 118)
13) Hazrat Imam Khafaji Rehmatullah alaih farmate hain. Apke jasad-e-kareem ko zameen par haram kar diya gaya hai. Aap deegar ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain.
(Ref : Naseemur Riyaz jild : 1 pg : 312)

14) Hazrat Sheikh Abdul Qadir Makki Rehmatullah alaihfarmate hain Huzur Nabi Kareem alaihis salam tamam ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain aur mushahidah farma rahe hain. Apka ehteram apki hayat-e-zaahiri ki tarah har musalman par wajib hai.
(Ref : Husn-e-Tawassul pg : 101)

15) Hazrat Imam Hasan Shorunbulani Rehmatullah alaihfarmate hain Muhaqqeqin Islam ke nazdik ye Aqeeda sabit ho chuka hai ki Aap alaihis salam zinda hain aur apko rizq faraham kiya jata hai. Aap ibadat ki lazzat uthate hain.
(Ref: Noorul Izaah pg:189)
16) HAZRAT Imam Barzi Rehmatullah alaih farmate hain.
Huzur alaihis salam wisal ke baad zinda hai.
(Ref : Al-Hawi Lil-Fatawa 2/149)
17) Hazrat Imam Abu Abdullah Qurtubi Rehmatullah alaih farmate hain. Maut
Adm mehez ka naam nahi hai. Ye to ek haal se dusre haal me jane ka naam hai.
Ambiya Kiram to Shuhada ki nisbat zyada haqdaar hain ki wo zinda hon. Unki maut sirf ye hai ki wo humse ghaib hain. Hum unka
idraak nahi kar sakte. Halanki wo zinda aur maujud hote hain. Lekin koi insan unko nahi dekhta.
(Ref : Al-Tazkirah 169)


18) HAZRAT Imam Samhoodi Rehmatullah alaih farmate hain. Huzur Aqdas alaihis salaam ki hayaat baad-al-wafaat me koi shak nahi. Aur isi tarah deegarambiya kiram bhi apni qabro me zinda hain. (Ref : Al Wafa-ul-Wafa 4)
19)HAZRAT Imam Zurqani Rehmatullah alaih farmate hain. Huzur Akram alaihis salam qabr anwar me zinda hai aur azan wa iqamat ke sath namaz padhte hain.
(Ref : Zurqani Alal Mawahib jild : 6 pg : 129)
20)HAZRAT Imam Dawood Rehmatullah alaih farmate hain. Al-Haasil Hayat-e-Ambiya Ikram alaihimus salam to Ijma se sabit hai.
(Ref : Al-Makhtal Wahbiyata pg : 6)

21) HAZRAT Imam Suyuti Rehmatullah alaih farmate hain, Nabi Kareem alaihis salam aur deegar ambiya ki hayat hamare yahan qatayi Ilm se sabit hai.
(Ref : Al-Hawi Lil-Fatawa jild : 2 ,pg:147)

22) HAZRAT Imam Yusuf Nabhani Rehmatullah alaih farmate hain ki
Hadees Saheeh ke sath istedlal kiya gaya hai ki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref : Sa'aadatud Darain pg : 180)

23) HAZRAT Imam Ibn Hajar Makki Rehmatullah alaih farmate hain
"AL-AMBIYAAE AHYAAUN FI QUBOORIHIM" ye Hadees Mubarika Saheeh hai.
(Ref : Al-Jauharil Muazzam S-22)

24) HAZRAT Imam Ali Qari Rehmatullah alaih: farmate hain.
Huzur alaihis salam Apni Qabr me zinda hain. Unko buland darjaat me rizq faraham kiya jata hai.
(Ref: Sharah Shifa jild: 3 pg:396).

25) HAZRAT Imam Abu Bakr Bin Arbi Rehmatullah alaih farmate hain. Tamam Ambiya-e-Kiram alaihimus salaam apni qabro me zinda hain aur unki arwah ko qabz karne ke baad unke jisme me lauta diya jata hai.
(Ref : Al-Hawi lil Fatawa jild : 2 pg: 363)
26) HAZRAT Imam Jameel Aafindi Rehmatullah alaih farmate hain.
Tamam Ambiya apni Qabro me zinda hain.
(Ref : Al-Fajr Al-Saadi 61)

27) HAZRAT Allama Sayyedul Ameen Misri alaihirerhma farmate hain.
Hum sab musalman is aqeede par muttafiq hain ki Huzur Aqdas alaihis salam apni qabr anwar me zinda hain aur ziyarat karne walo ko jante hain.
(Ref : Kashful Irtiyab 261)

28) HAZRAT Sheikh Ghause Azam Jilani Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya-e-Kiram aur Auliya-e-Kiram apni qabro me isi tarah namaz padhte hain jis tarah apne gharo me padha karte the.
(Ref : Sirrul Asraar 104)

29)HAZRAT Sheikh Ahmed Mujaddid Alif Saani Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya Kiram apni qabro me namaz padhte hain ye tumne suna hi hoga.
(Ref : Maktoob 16, Daftar 2)

30) HAZRAT Imam Nooruddin Halbi alaihi rehma farmate hain.
Ambiya duniya ki sair karte hain. Apni arwah ke sath Hajj-o-Umrah karte hain Jab unko ALLAH ka hukm hota hai. Nabi akram sallallaho alaihe wasallam tamam Alvi aur Ardi jahan sarshaar hain.
(Ref : Sa'aadatud Darain 459)

31)HAZRAT Imam Muhammad Alusi alaihi rehma farmate hain,
ek hi waqt me Huzur Anwar alaihis salaam ko kayi muqaamaat par dekha gaya hai. Halanki aap apni qabr anwar me namaz bhi padhte hain.
(Ref : Roohul Muaani Jild : 12 pg :14)

32) HAZRAT Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain. Jaanna chahiye ki Hazraat Ambiya-e-Kiram ki hayat Ulama ke nazdeek muttafiq alaih hai. Aur isme kisi ka koi ikhtilaf nahi. Aapki hayat Shuhada ki hayat se Kaamil tar aur qawi tar hai.
(Ref : Madarijun Nabuwwa jild : 2 pg : 447)

33)HAZRAT Badruddin Ayni Rehmatullah alaih farmate hain,
Imam Dawoodi Rehmatullah alaihne farmaya ki Huzur Aqdas alaihis salam ke liye qabr-e-anwar me dusri maut nahi hai.
(Ref : Umdatul Qari Shara E sahi Bukhari, jild: 18 pg :72)
34) HAZRAT Imam Muhammad Bin Hasan bin Faurik farmate hain, Bila shubah Hamare Nabi Akram alaihis salam Apne Qabr-e-Anwar me zindah hain. Wo ALLAH ke Rasool hain, Abad-al-Abaad tak zinda hain Haqiqi taur par, Na ki Majaazi taur par.
(Ref: Al-Tabqaat-e-Shaafiya jild : 3 , pg: 54)


35) HAZRAT Imam Manawi Rehmatullah alaih farmate hain.
Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain aur Namaz ada farmate hain.
(Ref: Fuyooz-ul-Qaeer jild : 3, pg:400)

36)HAZRAT Imam Ibn Hajar Asqalani Rehmatullah alaih farmate hain,
Aap alaihis salam ki hayat-e-barzakhi aisi hai jaise aap par maut waaqe nahi hui, pas aap Hamesha zinda hain.
(Ref :Fathahul Bari jild : 7, pg:21)

37) HAZRAT Sheikh Noorul Haq Dehelvi farmate hain.
Jamhoor ke nazdeek ye tay shuda aur Mukhtar Haqiqat hai ki Hazraat Ambiya Kiram zaaeqa maut ke baad Zinda hain.
(Ref:Taisirul Qari 3/252)
38) HAZRAT Imam Fakhruddin Razi Rehmatullah alaih farmate hain. Ye is baat ki dalil hai ki Insan maut ke baad nahi marte isi tarah Irshad-e-Mustafa alaihis salam hai ki ALLAH ke Nabi marte nahi, ek ghar se dusre ghar muntaqil ho jate hain.
(Ref : Tafseer Kabeer jild 21 pg: 41)

39)HAZRAT Sheikh Abdul Wahab Bukhari Rehmatullah alaih farmate hain, Sabse afzal nemat Wujud-e-Mustafa alaihis salam hai, jo ta-hayat-e-Naama ke sath Madina Munawwarah me maujud hai.
(Ref: Akhbarul Akhyar pg: 215)
40) HAZRAT Maulana Abdul Hayi Lakhnowi Rehmatullah alaih farmate hain, Risalat maut ke sath hi munqate nahi hoti, balki isi tarah wilayat bhi, to Nabuwwat kaise munqate ho jayegi? Qki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref: Umdatul Riaaya jild :2, pg:307)

41) HAZRAT Allama Kirmani Rehmatullah alaih farmate hain, Aur ye ehtemal hai ki HAZRATAbu Bakr Rehmatullah alaihne iradah kiya ho ki Huzur Aqdas alaihis salam ki Hayat-e-barzakhi aisi hai, maut jiska ta'aqqub nahi kar sakti, aur aap alaihis salam 2 martaba maut ka zaaeqa nahi chakhenge.
(Ref:Kawakibul Darari jild:14 pg: 31)
42) HAZRAT Imam Ahmed Qastalani Rehmatullah alaih farmate hain,
Beshak Ambiya Kiram ki Hayat-e-Qabr sabit hai. Malum hai aur Daaymi hai. Chunki hamare Nabi un sabse afzal hain, Isliye chahiye ki apki Hayat-e-Qabr bhi sabse zyada akmal aur atam ho.
(Ref: Mawahibul Laduniya jild:4 pg:587)

43)HAZRAT Imam Taqiuddin Sheherzori Rehmatullah alaih farmate hain, Ambiya
Kiram akhirat ki taraf tashrif le jane ke baad zinda hain. Lehaza insan ko apki risalat aur hayat ka inkar karte hue darna chahiye. Kyunki ye bahot badi khata hai.
(Ref : Fatawa Ibnus Salaah jild: 1 pg:132)

44)HAZRAT Imam Abul Faaj Bin Rajab Hanbali Rehmatullah
alaih farmate hain. Ambiya ki hayat, Shuhada ki hayat se akmal hai. Isliye bila shubah wo zinda jawed hain.
(Ref: Ahwalil Qubur pg:135)
45) HAZRAT Khwaja Fariduddin Ganj Shakar Rehmatullah alaih farmate hain,
Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain.
(Ref :Sayerul Auliya 185)

46) Mufti Mazharullah Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain,
Huzur alaihis salam hayat hain aur unki rehmat ka silsila kabhi Munqate nahi hua.
(Ref: Mazharul Aqaid 49)

47) HAZRAT Maulana Qutubuddin Khan Rehmatullah alaih farmate hain, Zinda hain Ambiyae Kiram alaihimus salam qabro me, ye masla muttafiq alaih hai. Kisi ko isme khilaf nahi ki unki wahan haqiqi jismani duniya ki si hai.
(Ref: Mazahire Haq 1/445)

48) HAZRAT Khwaja Faqirullah Hanfi Rehmatullah alaih farmate hain
Beshumar Hadeeso me warid hai ki Ambiya apni qabro me zinda hain, Apne Rab ki ibadato me mashghul hain, Namaz, roza, Hajj ada karte hain.
(Ref : Qutubul Irshad pg: 276)

49) HAZRAT Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain. Ambiya Kiram marte nahi hain balki apni Qabro me zinda hain. Namaz padhte aur Hajj karte hain.
(Ref : Fuyuzul Harmain 80)

50)HAZRAT Sultan Baahu Rehmatullah alaih farmate hain, yaad
rahe ki jo Ambiya Kiram ko murda jane uspar Eiman ke salab ho jane ka khauf hai. (Ref :Ainul Faqr 82)

51) HAZRAT Sheikh Ahmed Saeed Dehelvi Rehmatullah alaih farmate hain, Ulama ka ispar ittefaq hai ki Huzur Aqdas apni Qabr Munawwar me zinda hain.
(Ref: Tehqiqul Haqqul Mubeen 40)

52)HAZRAT Allama Zahid Kausari Rehmatullah alaih farmate hain. Hazrat
Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref: Maqalate Kausari pg: 387)

53)HAZRAT Allama Ahmed Dahlaan Makki Rehmatullah alaih farmate hain, Ahlesunnat ke haan Ambiyae Kiram ki Hayate Qabr bilkul sabit hai. Iske bahot dalail hain.
(Ref : Dararus saniya 13)

54) HAZRAT Imam Ibn Abedin Shaami Rehmatullah alaih farmate hain, Ambiyae
Kiram apni qabro me zinda hain.
(Ref : Raddul Muhtar jild: 4 pg:151)

55)Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah alaih farmate hain, Rasoolallah aur tamam Ambiya kiram ki hayate Haqiqi, Dunyavi, Ruhani wa Jismani
se zinda hain. Zameen wa asman ki saltanat me tasarruf farmate hain.
(Ref : Fatawae Razviya jild : 2 pg: 152)

Iske alawa aur bhi bahot se Ulamae Islam ne maslae Hayat un Nabi ko dalail ke sath sabit karne ke baad apna aqeeda raqam farmaya hai ki Huzur Aqdas zinda hain Hazaro waqeyat ispar dalalat kar rahe hain kya ye saare buzurg bhi Mushrik Kaafir the jaise k wahabi mufatkhoro ne likha hai aur takreero me bola hai. ??

Part 06 : Proof From The Books of Wahabis
Dekhe pehle Devbandi peshwao ki kitabo se koi wali Nabi k bare me inke akeede saaf hai k wo mazboor hai apne wisal k baad kahi aa ja nhi sakte.. Maazallah
magar khud ka akabir buzurgo ki shan o azmat dikhani ho to devbandi hazrat saare shirk biddat band kar ke wakiat baayan karte hai dekhe saboot

1)WAFAT k baad Maulana Kasim Nanatvi sahab apne Jism e Jaahiri k saath Devband k madrase aaye
Qari Tayyab(Mananger of Devband & Grandson of Kasim Nanatvi) bayan karte hai k jis jamane me Maulvi Rafiuddin Sahaba Darool Uloom Devband the Mohtamim the us jamane me kuch Mudarris(Teachers) me aapas me kuch maslo ko leke behas chid gayi. Aage chalke Maulana Mehmood Ul Hasan sahab bhi behas wa hungame me sharik hogaye.
Ab aage ka wakiya khud Qari Tayyab sahab bayan karte hai likhte hai.. “Isi Dauran ek din Alsabah baad namaz e Fazr Maulana Rafiuddin sahab rehmatullah alaih ne Maulana Mehmoodul hasan sahab ko apne Huzre me bulaya (jo Devband me hai). Maulana sahab haazir hue aur band huzre ka darwaja khol k andar daakhil hue Mausam Sakht sardi ka tha.
Maulana Rafiuddin sahab farmate hai pehle mera ye Ruee ka lebada dekhlo. Maulana ne Lebada dekha to tarr(Wet) tha aur khoob bhig raha tha Farmaya k wakya yeh hai ki abhi abhi Mualana Kasim Nanatvi Zasde Unsuri(Jisme jaahiri) k saath mere pass aaye   tashrif laaye the. Jis se mai ek dum pasina pasina hogaya aur mera lebada tarbatar ho gaya aur yeh farmaya k Mehmood hasan se kehdo k is jhagde me na pade.
Bas maine ye kehne k liye bulaya hai. Maulana Mehmood Hasan sahab ne arz kiya ki Hazrat mai aapke haath me tauba karta hoon ab iske baad mai kisi se kuch na bolunga.
(Arwah e Salasa pg : 242, Writer : Zahoor ul Hasan, aur Maulana Asraf ali Thanvi ne iski takreej ki hai)

dekhlo devband ki kahani jab baat apne maulvio ki aayi to kisi ne kuch objection nhi kiya k hamare buzurg ne likha hai k Nabi alaihi salam k bare me Maazallah.


ab dekhe dusra saboot Maulana Ashraf Ali Thanvi sahab k dada ka wakiat marne k baad bhi Thanvi k dada Mithai leke apne ghar pahuch gaye

Kisi baraat me Thanvi sahab k dada jaa rhe the waha dakuo ne hamla kiya aur thanvi sahab k dada ka wisaal hua.. ye pasmanjar hai ab aage ka wakiat khud devbandi hazraat likhte hai
“Shahadat k baad ek azeeb wakya hua” Rat k wakt apne ghar misle zinda k tashrif laye aur apne  ghar waalo ko mithai laakar di aur farmaya ki agar tum kisi se jaahir na karogi to is tarah se roz aaya  karunga. Lekin unke ghar waalo ko andhesa hua ka jab baccho ko mitha khate dekhgenge to  maalom nahi kya subaah(shak) karnge is liye jaahir kar diya aur aap tashrif nahi laaye yeh wakiya  khandan me mashoor hai.
(Ref : Ashrafus sawaneh jild 01, Pg : 12 Published Khankaah Imdadia Thana Bhavan, Musaanif  Khwaja Azeezul Hasan )

Ye dekhlo thanvi k dada sahab marne k baad bhi mitahi leke ghar aa sakte hai,  nanatvi sahab marne k baad bhi madrase jaa sakte hai koi shirk biddat nhi hota bas saari tauhid shirk hojati hai jab baat nabi alaihi salam aur aulia allah k liye hoti hai. Kyu ?

Devbadnio k ek aur buzurg sahab Maulana Jakaria Kandhelvi ne ek kitab likhi
jis kitab ko har chille me devbandi leke ghumte hai naam “FAZAIL E AAMAL” me wakya likhte hai chunache likha hai
"Ahmad Raafi Mashoor Buzurg Akaabir Sufiyah Me Se Hain, Inka Kissa Mashoor Hai Ke Jab 555 Hijri Me Wah Ziyarat Ke Liye Haazir Hue Aur Qabar Ke Muqaabil Khade Hue To Yah Do Sher Padhetrans: Doori Ki Haalat Me Main Apni Rooh Ko Khidmat Akdas Me Bheja Karta Tha, Wah Meri Nayab Ban Kar Astaanah Mubarak Choomti Thi, Ab Jismon Ki Haaziri Ki Baari Aayi Hai, Apna Dast Mubarak Ata Kijiye, Taake Mere Honth Isko Choomen Is Par Qabar Shareef Se Dast Mubarak Bahar Nikala Aur Unhone Isko Chooma" (Fazail E Aamal -  Hajj K Fazail Pg 130,131) Yaani Ki Huzur Sayyad Ahmad Kabir Rifayi Rehmatullah Alaih Ne Baargaah E Risalat Me Arz Kiya K Mai Huzur Salallahu Alaihi Wassalam Se Musafa Karna Chahta Hu Aur Huzur Ne Kabar Se Haath Bahar Nikal Diya ..Subhanallah

Jab Kabr se haath bahar nikal sakte hai mere aaka to batao kya khud bahar nahi aasakte.. ?
ye hai devbandi akeede ka dogla pan

Ab Gair mukkalido aur devbandio k shaikhul Islam sahab Abdul Halim Ibn Taimya sahab ki kitab se saboot
Hawala 1 : “Nabio ki zinda hona Bukhari aur muslim ki kitabo se saabit hota hai jisme Rasool allah ne farmaya jab logo ko dafan karke ghar ki taraf aate hai to murda pairo ki awaaj ko sunte hai”
(Ref : al mazmu’aat al fatawa ibn Taimya jild:24, pg. no. 362)

Wahabi k nazdeek bahot moetbar IMAM IBN HAJAR ASQALANI KA AQEEDA, AMBIYA ALAIHESALAM ZINDA HAIN, AUR JAHAN CHAHE JAA SAKTE HAIN:
(Ref: Fath-Ul-Bari Sharah Saheeh Bukhari, Vol2, Pg: 765) me likhte hain,

NABI sallallaho alaihe wasallam ne dekha, HAZRATMoosa alaihesalam Hajj karne aa rahe hain, aur Talbiya(Allahum ma Labbaik) padh rahe hain..
(Sahi Bukhari, Kitabul Hajj, Hadees : 1555)

Is Hadees ki sharah me Imam Ibn Hajar Asqalani likhte hain,

Ho Sakta hai ki Moosa alaihesalam khud hi Hajj karne aaye ho, Kyunki Ambiya zinda hain, aur jahan chahe jaa sakte hain, aur unhe koi bhi Hajj karne se nahi rok sakta. Is Hadees ke tehet Imam Ibne Hajar Asqalani ka Aqeeda bhi pata chalta hai, aur Hadees se istedlal bhi kiya jata hai ki Ambiya alaihimus salam zinda hain,
Wahabio k Imam Ibn-al-Qayyim jo inke Abdul halim ibn taimya k shagird hai likhte hai, Hawala 02 : 
“ye jaan lena zaruri hai ki Ambiya ke jism apni Qabro me isi tarah hain, jaise wo duniya me the, tabhi to jab Sahaba ne pucha ki 'Aap par Darud kaise pesh kiya jayega, jab apka Jism mitti me hoga?' to Nabi alaihe salam ne farmaya: Allah ne Ambiya ke jismo par mitti ko haram kar diya hai ki wo inke jismo ko khaye, aur agar unke Jism salamat na hote, to Nabi alaihe salam ne aisa jawab na diya hota”
[Ref : Al-RûH Page: 58]

Wahabio k bahot moetabar shaks Qazi Shawkani likhte hai
“Nabi apni kabr me zinda hai, iska saboot hadis me mauzood hai, k Ambiya apni kabro me zinda hai”
(ref : Nayt Al Awtar  jild 05 : pg : 101)
Part 07 : Answer of Questions Raised by Wahabis.
1) Tum Sunni kehte ho Nabi alaihi salam apni kabro me zinda hai jabki Quran me ALLAH farmate hai  “kullu nafsun ziyaqatul mout”كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ ۗ
“ HAR JAAN KO MAUT KA MAZA CHAKNA HAI” (Surah Al Imran ayat 185)
Ans) Ye ek bewakufan a aitraz hai hum ne shuru me hi iska jawab diya hai k hum ispe imaan rakhte hai aur akeeda bhi ab wahabi ye baar baar aitraaz kare to iska ilaaz nhi hai.Phir bhi sun lo
Imam Behki rehmatullah alaih farmate hai apni kitab Hayatal Anbiya Fi Kuburihim me farmate Imam Abu Dawood ne apni sunan me hadees likhi hai
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sal Allahu Alaihi WassalamNe Farmaya :

Jo Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.

(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
(Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)

ab aage farmate hai k har wakt nabi e karim Sal Allahu Alaihi Wassalampe har wakt koi na koi ummati durood bhejta hai chunacha Quran me hai  

D:\DATAS\MY HOME DATA\HAYAT UN NABI\Darood aayat.png




“Beshak Allah aur uske Farishte Darood bhejte hai us Gaib batane waale nabi par, aye Imaan waalo unpar Durood aur khoob Salam Bhejo”
(Al Quran, Surah Al Ahzaab Aayat :56)

to kya ruuh jism se nikali jaati hai baar baar aur daali jaati hai ? ji nhi iska jawab Mujadid Imam Jala Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah alaih farmate hain: Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur ''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani permanently. To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur fir bar bar wapas leta hai, balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.

2) Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek wakt aisa aata hai jab koi Durood nhi bhejta hai us wakt kya ?
Ans) Tum wahabi sach me akal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi E Karim Sal Allahu Alaihi Wassalamki shaan o azmat hazam nhi hogi sun lo Hadis koi ek wakt bhi aisa nhi hai jab Nabi pe koi salam nhi padhta jabki Quran me saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nhi ye lo is Hadees ko bhi padh lo

“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e akram alaihih salam ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e akdas ko gher lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalamk roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03,  pg : 1018, Hadis :537)
Gair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518)
ab bhi koi aisa wakt hai jo khali hai durood se ? Allah tumhe Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalamki azmat samajne ki taufeek de 2) Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek wakt aisa aata hai jab koi Durood nhi bhejta hai us wakt kya ?
Ans) Tum wahabi sach me akal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi E Karim Sal Allahu Alaihi Wassalamki shaan o azmat hazam nhi hogi sun lo Hadis koi ek wakt bhi aisa nhi hai jab Nabi pe koi salam nhi padhta jabki Quran me saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nhi ye lo is Hadees ko bhi padh lo
“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e akram alaihih salam ka zikr kiya..
Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e akdas ko gher lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalamk roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03,  pg : 1018, Hadis :537)
(Gair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518) ab bhi koi aisa wakt hai jo khali hai durood se ? Allah tumhe Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalamki azmat samajne ki taufeek de
3) Nabi alaihisalam zinda hai to sahaba ne galat kiya kabar banake ?
Ans) Ye inke dimaag k kachra hai jo kitni bhi daleel dedo saaf nhi hota ussi sahaba ki jamaat ne beshumar aisi rivataye batayi hai jis se ye saabit hota hai k ambiya alaihi salam apni kabro me zinda hai aur unka jism salamat rehte hai ab iske saboot me Daur e Farook e azam me 
“Hazrat Abu Moosa AshAari radiallahu anho Ne Tastaer Ka Qila Fateh Farmaya Waha Par Ek  Mehfooz Jagah Me Ekk TABOOT Mila Jisme Hazrat DANIYAL Alyhissallam Ka Jisme Mubarak Paya Aur
Jisme Mubarak Ki Yah Halat Thi K Gardan Mubarak Aur Seena Ki Tammam Rage CHAL Rahee Thi .
Aap Ne HazRate Umare Farooqe Aazam Ko Khat Likha Jaha Se Jawaab Aaya K
Hazrate DANIYAL Alyhissallam ne Duwa Ki Thi K Mujhe Ummate Muhamadiya Dafan Kare To Aisa Hi Apko Karna Hai Aur Ambiya K Jismo Ko Aag Aur
Zameen Nahi Khatee”
(Ref :Imam ibn Kasir ne Al Badaya Van Nihaya jild:2, Pg :40-42)
(Ref : Imam Abi Shaeba ne Al Musanaf Ibne Abi Saeba jild 07 pg 04)
(Ref: Dalla E Lun Naboovah jild : 1 pg : 382)
Hazrat Daniyal Alaihi salam aur Huzur alaihi slam k darmiyan wakt kitna lamba tha ? approximately 850 saal k wakt phr bhi Jism salamat, nafz chal rhi hai alhamdullilah goya k ye jism ka milna jawab de rha ho k ek kaum aaygi 1400 saal baad jo Nabio ko murda kahegi unke liye ye ibrat hai dekh le..
Hazrat Umar aur digar sahaba se bhi saabit hua k wo bhi Nabiyo ki hayat k kaayal the. Ab Umar Farook e aazam ne unhe dafn bhi karwaya baad me ye jaante hue k wo hayat hai to kya unhone bhi julm kiya jaisa k tumhare Bilal Philips jaise jaahil ne kaha hai. Ab Kya jawab hoga tumhara Dafan karna ye ek Islami tarika hai isliye kiya jaata hai.
ALLAH HIFAZAT FARMAYE MUSALAMNO KI IN WAHABI BADAKEEEDO SE.
4)Nabi barzakhi aetebar se zinda hain Dunyawai Aitbaar se Nahi ?
Ans) Barjaki aitbaar se murda kon hota hai  ?
Har momin musalmaan Barjaki aitbaar se phir zinda hua kyuki aalam e barjakh me to har momin ki rooh zinda hai. Phir Shahido ki zindagi aur unke zinda hone pe aayat kyu aayi ?  aur Ambiya alaihi salam ki zindagi ko saabit karne k liye Muhadisin ne kitabe dalil kyu likhe jama kiye ?
Aur phir ambiya ki hayaat ka tazkira shariat me infiradi tour par kyu hai?
aur sheikh Abdul hak muhaddis dahelvi alahi rehma ka ye farmana k
HAYAT UL AMBIYA Aisa mauzu hai jispe koi ektelaf nhi hai pata chala k ektelaf than nahi jab nazd se fitne uthe tab ektelaf shuru hua hai

SHAIKH ABDUL HAK MUHADDIS DAHELVI farmate hai
“Ambiya zinda hai aur shuru se is baat pe izma raha hai k wo hayat hai unki zindagi asal hai, shaheedo ki tarah Ruhani ya barjaki nhi”
(Ref : Ash’at al Lama’at vol.01 pg. 574)

5) Nabi Zinda Hai To Nazar kyu nhi aate hai ?
Ans) Ye azeeb jaahil hai wahabi log apne akeede ko defend karne k liye kuch bhi sawal karte hai. Pehli baat ye dunya ki kis mazhabi kitab se definition liya gaya hai k zinda hone k liye jaahiran dikhna jaruri hai ? iska jawab pehle de
Agar phr bhi kehte ho k nahi nahi dikhna jaruri hai warna nhi maanege hum,
ALLAH aur uske farishte zinda hai ya murda hai ?
Kiramin Kaatimin Zinda hai ya murda ?
beshak zinda hai phir nazar kyu nahi aate ? to pata chala jaahiran nazar naa aana is baat ki dalil nhi hoti k wo cheez mauzood nahi hai aur modern science to tarakki kar chukka hai bahot aap k saamne aisi cheeze hai jo aam insaan naked aankh se nahi dekh sakta hai uske liye kuch khas equipments ki jarurat hoti hai. Simple hai aaj agr nabi alaihi salam ko dekhna hai to khud ko waise banao k tumhari aankhe unhe dekhne k kaabil hojaye.
Agra ab bhi nhi maanoge to na maano, maan kar hum pe kaunsa ehsaan karoge ?

6) Nabi alaihisalam zinda hai to khana bhi khate honge ? phir Dunyawi maamlat insaan jaruriyat bhi hoti hogi jaise istenja, pakahana etc. wo kaha karte hai ?
Ans) ye bhi inka ek azeeb aitraaz hai aisa konsa usool hai jo ye sab karna hai.
Insaan jannat me jaayga waha bhi haajat hogi to kya ek aam musalman bhi waha najasat karega ? Hargiz nhi waha insaan ko is trah se banaya rakha jaayga k kuch Hazaat ho bhi tab bhi kuch fark nhi padega wo khud se nikal jaaye aur pata bhi nhi chalega. Ab ye haal hai Jannat ka aur jo khud Malike Jannat hai unka aalam kya hoga ? Hamara to akeda hai is baat pe k Huzur E Akram alaihi salam ka rauza to khud jannat se afzal hai.
ab iski bhi daleel chahye to aapke ghar se dalil dete hai ruko
Wahabi Gair Mukkalido k har Dil Aziz Imam Ibn Kayyam Jauzi likhte hai
“Imam ibn Akeel ne farmaya Mujhse kisi Sayil ne pucha Huzra E Nabvi Sal allahu alaihi wassalam aur Khana E kaaba me kon Afzal Hai ? 
Al Jawab : agr tumhari Murad e ye hai k Huzur sal allahu alaihi wassalam waha Tashreef farma hai to Kaaba Afzal Nahi hai.
Allah Ki kasam na arsh  na uske hamileen na Jannat agr dono jaha se mowazna kia  jaaye to Huzre ko sab pe tarjeeh hai”
(Ref : Babul Fawaid jild 03, pg: 1065 by Ibn Kayyam Jauzi)
Subhanallah jab Huzra e Nabvi sal alahu alaihi Wasalam ka aalam ye hai to khud jaha Mustafa Jane Rehmat Sal allahu alaihi Wasalam Aaram farma rahe hai wo jagah khud kitni Mukkadas hai.

7) Nabi kabr me namaz kaise padte hai ? Ruku Sazde itni choti jagah me ?
Ans) Dunya sudhregi tum mardoodo ko akal nhi aaygi sirf dimag issi kaam me kharch karte ho k kis trah se tauhin e risalat ki jaaye. Jab Nabi Alaihi salam ne farmaya k Moosa alaihi salam apni kabr me namaz padh rhe the kisi sahaba ne pucha k kaise padh rhe the kaise khade honge ? Imaan to naam hi hai gaib ki baato ko maan lene ka. Tumhare Kandhe me do Farishte hai “KIRAMIN KATIMEEN” wo namaz kaha padhte hai ? Kandhe me hi padhte hai na ? kandhe me kuch weight bhi uthate hoge tab kya farishte Dab jaate hai ?

Humne Is Mukhtasar se risale me bahot si dalilo se wajeh kiya hai k Huzur E Karim Sal allahu alaihi Wasalam apni Kabr me Dunyawi zindagi ki trah Zinda hai aur Nahi unke zism ko jameen koi Nuksaan pahucha sakti hai ab agr koi Khud ko Ahle Hadees kahe uske baad bhi itni hadeeso ka saaf inkar karde to uske liye Quran e Mukaddasa ki wo aayat hi kaafi hai 
wo kaisa ahle hadees hai hume samajh naahi aata kis muuh se ye khud ko ahle hadees salafi kehte hai jabki naa hadiso ko maante hai na kisi Salaf salaheen ulema ko maante hai 55 se zyada motebar ulema k kaul unki kitabo se wajeh kiya k Tamam log Shuru se leke aakhir tak sab hayate ambiya k kayal the kisi ne is masle me koi sawal hi nhi kiya magar ab jaake jabse ye new jamat paida hui musalmano me ek naya akeeda tarasha gaya k Nabi alaihi salam hayat nahi hai jabki ye akeeda khud me biddat hai. Allah Tabarwatala se dua hai ka Apne Habib alaihi salam k sadke tufail hamari is choti si khidmat ko kabool farmaye hmra akeeda badmazhab se mehfooz kare…. 
Post Created By Shaikh Sher Ali Hanfi Apni Duao Me Hume Jarur Shamil Karen #HayatUnNabi #KyaNabiZindaHai

32 comments:

  1. Lajawab kar diya un tamaam logon ko jo deen mein khureziyan failate firte hain.

    TU ZINDA HAI WALLAH TU ZINDA HAI WALLAH
    MERE CHASHME AALAM SE CHHUP JAANE WAALE
    -----------------------
    IN BADON PAR BHI BARSA DE BARSAANE WAALE ......... AAMEEN

    ReplyDelete
  2. Ek post Fazilat e Siidiq e Akbar, Farook e Azam, Usman e Gani, Maula Ali radiallahu anhu par bhi update kariye

    ReplyDelete
  3. jazakallah bhai...........aap ka bahot bahot shukriya

    ReplyDelete
  4. SubhanAllah! Bahot dalilon ke sath tamaam waswason ka ilaaj ho jaega ye padhkar.
    Very eloquent study!
    Jazak Allahu wa khairan kaseera!

    ReplyDelete
  5. SubhanAllah! Bahot dalilon ke sath tamaam waswason ka ilaaj ho jaega ye padhkar.
    Very eloquent study!
    Jazak Allahu wa khairan kaseera!

    ReplyDelete
  6. As salam alaikum

    Kya jannat me bhi jannati ko 5 waqt ki namaaz padhna hai ?? Ya sirf Duniya me hi ibaadat ke liye namaaz hai ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekumusalam
      Awwal cheez Aapke Sawal Se 02 Chiz Nikalti hai

      aap ye kahna chahte hai kay Namaz To bas Dunya Me Hai Aur Wisal kay baad Ambiya Kaise namaz padte hai ?
      Kya Kabr Me Namaz Unpar Farz Thi ?

      Yehi Sawal hai ?

      Khair
      Jannat Me Kisi kay liye namaz Farz Wajib nahi hai Ibadat ka farziyat hona bas Is Dunya kay liye hai
      lekin lekin Ambiya Alaihusalam ko sabse zyada Lutf ALLAH ki ibadat me aata hai
      liaja wo Luft paane kay liye Ibadat karte hai Kabro me aur ye unka apna ekteyar hai kay padhe yaa naa padhe




      Delete
    2. Assalamualaikum mujhe yeh hawala chahiye
      1.Nabi salallahu alaihisalam kisi sahaba ya ek biwi k khwab me Basharat farmae the aur farmaya Mai Abhi Abhi Karbala se aarahae Hu .Itna pata h ki Tirmizi sharif me h please aap le aaye .
      And 2nd hawala
      2.Fatiha Krna ka hawala mujhe sahih Bukhari se yeh tho milgaya ki Nabi salallahu alaihisalam ne Khane par hath rakhke Jo Allah ne chaha padha Lekin yeh nahi Mila ki Quran ki kuch aayatein padhi please mujhe hawala de jisme Nabi salallahu alaihisalam ne Quran ki aayatein padhi khana saamne rakhke.
      Mere Abbu ka inteqal hogaya hai aur mere ghar me sab Aile hadees h jo rokrahe h mere Ma beheno Ko yeh sab krne se.Please Allah ka zariya banjae aur Madad farmae Jazakallah.

      Delete
    3. My WhatsApp number 9867749816
      Email mehmoodshaikh46@gmail.com

      Delete
  7. Assalsmualykum mujhe hazrat sayyeduna Abdullah ibne abbas raziallahu anhu ki riwayat ka hawala chshiye jisme aaqa e kareem ne farmaya ke roohen apne gharon me makhsoos ayyam me aati hai jaise shab e jumma eidain.. Shab e BARAAT wagaira ko... Plz mujhe iska hadees ka hawala chshiye kisi badmazhab ko dikhana hai... Plz jazakallahu khair agar ho sake to mujhe Watsapp par send kar dijiye.. +919359942713

    ReplyDelete
    Replies
    1. Karbala ka waqia hua tha the ek sahaba ya tabaeen Ko huzur salallahu alaihisalam ne Basharat di thi aur farmaya tha Mai Abhi Abhi Karbala se aara hu ... Subhanallah

      Delete
  8. Assalsmualykum mujhe hazrat sayyeduna Abdullah ibne abbas raziallahu anhu ki riwayat ka hawala chshiye jisme aaqa e kareem ne farmaya ke roohen apne gharon me makhsoos ayyam me aati hai jaise shab e jumma eidain.. Shab e BARAAT wagaira ko... Plz mujhe iska hadees ka hawala chshiye kisi badmazhab ko dikhana hai... Plz jazakallahu khair agar ho sake to mujhe Watsapp par send kar dijiye.. +919359942713

    ReplyDelete
  9. AS-SALAAMU ALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARKATAHU.
    HAZRAT POST TO BAHUT ACHCHI THI PAR IMAAM BEHKI (RADI-ALLAHU TA'ALA ANH) KI KITAAB “Hayat Al Ambiya Fi Kuburihim” KO AAP LOGO NE CHAAP DIYA HAI TO IMAAM JALALUDDIN (RADI-ALLAU TA'ALA ANH) KI BHI KITAAB KO "Hayat E Ambiya E Kiram" JO HAYAT-E-NABI (SALLAL LAHU ALAI'HI WA SALLAM) PAR HAI AGAR CHAAP DETE TO BAD-MAZHABO KE DIL MEIN EK AUR BHALA GHUS JATA

    ReplyDelete
  10. KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.

    KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.


    KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.


    ReplyDelete
  11. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  12. Jo murda kahay tujh ko, (wo) murda hai wALLAH..
    Tu zinda hai wALLAH, Tu zinda hai wALLAH..
    Meri chashm e Aalam se chhup jaanay waalay..
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  13. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  14. "Ambiya ko maut aati hai wo k wakt lamhe k liye taaki aayat ka aur ALLAH k farmaan ka maksad pura hojaye aur unki AMBIYA alaihi salam ki Rooh e Mubarak unke jism me dobara daal jaati hai AMBIYA KA ZINDA REHNA IS TARAH SE Hota hai jaise wo jaahiri zindagi me the.
    “ANBIYA KO BHI AANI HAI AZAL
    MAGAR ITNI KI FAKAT AANI HAI” (Aala Hazrat Muhaddis e Barelvi)"
    ye jo batil Aqida Brelvi hazrat ne banaya hua he is batil Aqide ki koi daleel nahi he aapke pas Ahmad raza khan sahab ke Ashar se koi Aqida sabit nahi hota ki nabi s.a.w. ko sirf ek lamhe ke liye maut aayi fir zinda ho gaye. Ye Aqida Quran ke Khilaf he Quran me Allah farmata he وَ حَرٰمٌ عَلٰى قَرۡيَةٍ اَهۡلَكۡنٰهَاۤ اَنَّهُمۡ لَا يَرۡجِعُوۡنَ‏ Haram he us basti ke liye jise ham maut de or wo wapis aa jaye . is aayat se Sabit hua ki Mara hua shakhs to is duniya me wapas aa hi nahi sakta. Lihaza aapka ye Aqida ki nabi s.a.w. ko Maut aai or ek lamhe ke baad fir zinda ho gaye ye aqida batil he or Quran ke khilaf he.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Humne kab kaha duniya me zinda wapas aa Gaye hum keh rahe he apni qabar me zinda hai

      Delete
    2. Are israr hussain tehkeek theek se karo woh Joh Aayat-E-Mubaraka hai na ke haram hai wali woh unlogon ke taluk se hai ke jinpar azab nazil hua aur halak hui usko Maaz Allah Nabi-E-Pak par fit karrahe ho.yahi kam aata hai Wahabdon ko.

      Delete
  15. "1) Nabi wafat k baad dunyawi zindagi ki hakikat ki tarah jinda rehte hai.
    2) Nabiyo ki jindagi hakiki jismani hai shahido ki tarah maanvi aur Roohani nhi hai. Isliye Nabi ki wafat k baad unka choda hua maal baata nhi jaata hai aur unki biwiya nikah nhi kar sakti. Aur shahido k masle me maamla alag hai unka maal bhi baat diya jaata hai aur biwiya bhi Nikah kar sakti hai.
    3) Nabiyo ki zindagi dunyawi hai barjakhi nhi hai bas fark itna k jaise logo ki nigaho se chipe hai.
    (Ref : Mufti Zalaluddin Ahmad Amjadi, Anwarul Hadis, pg : 171)"

    1- pahli baat bilkul galat he kyu ki wafat ke baad koi duniyawi zindagi ki tarah zinda nahi rahta yah Quran ki aayat وَ حَرٰمٌ عَلٰى قَرۡيَةٍ اَهۡلَكۡنٰهَاۤ اَنَّهُمۡ لَا يَرۡجِعُوۡنَ ke khilaf he.
    2- Nabi s.a.w. ki biwiya isliye nikah nahi kar sakti kyu ki wo Ummat ki Maa hoti he or Maa ke sath nikah haram hota he.
    3- nabiyo ki agar duniyawi zindagi he to aap apne faisle nabi s.a.w. se Q nahi karwate Ummat me itna tanaza he kon haq pe he kon batil pe iska faisla nabi s.a.w. kyu nahi karwate ? Allah Quran hame huqm deta he فَإِن تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ "jab tumhara aapas me tanaza ho kisi masle me to Allah or uske Rasool s.a.w. ki taraf Ruju karo."
    nabiyo ko apne Ummatiyo ki nigaho se chipne ki Kya zaroorat jabki wo to tamam insaniyat ke liye rehmat bana kar bheje gaye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ek din ek zahil non-muslim ne bhi kaha ki tum Apne ALLAH se faisla q nhi karwate?

      Delete
  16. Assalam o Alikum am from Pakistan can anyone send me the screen short of hadith # 10 reference . Masnad e ahmad jilad 4 page no. 484. Fathul bari jilad 10 page no. 415..
    frazi465@gmail.com
    +923005682107 WhatsApp no.

    ReplyDelete
  17. Kya koi aisi post v ban sakti h,jisme sare sahabi,tabaeen,tabetabaeen,imamo ka zikr ho aur ye bataya gaya ho k kis imam ya tabaeen,tabetabaeen ne kon kon si kitab likhi h,,,,aur kon se aise iman hain jinko devbandi,ahlehagees,jamai v manye hain,,,aur kon kon se imam ko ye nahi mante hain aur q

    ReplyDelete
  18. Hazrat Imam Mohsin ibn Ali r.a
    Ke hawale se sahi riwayat aur reference bataiye
    Yaha pr kuch log galat baat bata rahe hai jo Shia ki daleel hai

    ReplyDelete

  19. Hazrat Imam Mohsin ibn Ali r.a
    Ke hawale se sahi riwayat aur reference bataiye
    Yaha pr kuch log galat baat bata rahe hai jo Shia ki daleel hai

    ReplyDelete
  20. Masha allah...
    Allah aapko salamat rakhe
    Allah ham sabko imaan pe khatma de aamin...

    ReplyDelete
  21. Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
    Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

    Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke
    Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki

    Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
    Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki

    Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
    Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki

    Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
    Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

    Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak
    Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

    Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho
    Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

    Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe
    Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki

    Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
    Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki

    Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo
    Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

    Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
    Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

    Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
    Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki

    Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
    Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

    Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
    Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

    Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
    Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki

    Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
    Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

    (Sallallahu alahi wa Sallam)

    Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
    Lillah Al Hamd mai duniya se Musalmaan gaya

    Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
    Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya

    Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
    Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

    Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
    Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya

    Jaano dil hosh wa khirad sab to Madine pahonche
    Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya




    Suraj ultey paaon paltey chaand isharey sey ho chaak Andey najdi deykh ley qudrat Rasulullaha ki ﷺﷺﷺﷺ

    Wasley mowla chahtey ho to wasila dhoondh lo
    Bey wasila najdio hargiz Khuda milta nahi


    ReplyDelete
  22. ماشاءاللہ عزوجل
    سبحان اللہ عزوجل❤

    اللہ عزوجل آپکو سلامت رکھے

    آمین بجاہ نبی الکریم بطفیل سید المرسلین خاتم النبیین رحمۃ العالمین ﷺ ❣💚💙

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers