Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 24 August 2019

,

Iman E Walidein E Mustafa Swallallahualaihiwasallam

Bade Sochne Ki Baat Hai K Jiske Sadke Me Qaynat Bani Unke Walidein K Iman Per Deobandi Wahbiyo Ne Humla Kiya Tha , Iska Jawab Humare Ullema Kya , Inse B Pehle Salaf Khalaf Ne Diya Aur Kitabein Likhdi Hai Phir Jo Abhi Abhi Paida Hue 200 Saal Me , Inhe Aqal Na I Aur Nabi E Rehmat Alayhissalam K Walidein Ko Kafir Kehdiya , Maz ALLAH.

Sochne Ka Maqam Hai Yeh Wahi Deobandi Wahbi Hai Jo Kafir Ko Kafir Kehne Se Hume Rokte Hai Lekin Jab Baat Nabi Alayhissalam Per I Toh Inke Walidein Ko Kafir Bolna Kya Apni Kitabo Me Likh B Diya.

Ibn Taymiyah Jo 661 Hijri Me Paida Hua Mulk E Sham Me ,Isne Ek Kitab Likhi , Iktsa Us Siraate Mustaqeem, Is Kitab Me Ibn Taymiyah Ne Bada Zor Lagay K Nabi Alayhisssalam K Walidein Dono Kafir Thay Aur Unka Inteqal Kufr Per Hua .

Ibn Taymiyah Ki Taqleed Karte Hue Tamam Wahbi Nabi Alayhissalam K Walidein Ko Kafir Kehte Hai , Maz ALLAH

Isi Tarah Deoband K Bahut Bade Alim Guzre Hai Jinka Naam Rasheed Ahmed Gangohi Hai , Inhone B Apne Fatwe Me , Yaani Fatawa Rasheediya Me Safa 104 Per Ek Sawal K Jawab Me Kaha K Hazrat Swallallahualaihiwasallam K Walidein K Imaan Me Ikhtelaf Hai ,Hazrat Imam Sahab Ka Mazhab Yeh Hai K Inka Inteqal Halat E Kufr Me Hua Hai Faqat.

Maz ALLAH.

Yeh Haal Hai Deobandi Wahbi Ka

Qara'en Yeh Bataye K , Kya Yeh Mumkin Hai K Jo Rehmatullil Alameen Ho , Unke Walidein Kafir Ho ?

Aaye Ab Daleelo Ki Taraf

Yeh Baat Chupi Hui Nai Aur Naahi Isme Koi 2 Rai Ya Ikhtelaf Hai , K Jis Chiz Ko Nabi Alayhissalam Choo Le Usey Duniya Ki Aag Nai Jala Sakti , Duniya Kya , Usey Jahannam Ki Aag B Nai Jala Sakti Toh Bataye Jis Maa K Shikamb Me 9 Mahine Aapne Aaram Farmaya Ho Wo Jahannum Me Kaise Jaye ??

Quran O Hadees Se Daleel Pesh Karrau

Surah Bani Israel Ayat 15

Tarjuma Kanzul Iman : Aur Humari Sunnat Nai K Rasool Bhejne Se Pehle Hi Azaab Karne Lage.
Is Ayat K Mutabik ALLAH Taala Fermata Hai K Jabtak Rasool Na Bheje Toh Azaab Na Karega , Aur Jab Elaan E Nabuwat Hua Tab Nabi Alayhissalam K Walidein Thay Hi Nai Toh Kafir Kaise Hue ?

Jo Zamana Nabi Alayhissalam K Walidein Ne Paya Usey Zamana E Fatrat Kehte Hai ,Fatrat Per Inka Wisaal Hua, Lihaza Jannati Hue.

Hadees

Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Rasoollah Sallallaho Alaihe Wasallam Farmate Hain:

Har Qarn-O-Tabqa Me Tamam Quroon Bani Aadam Ke Behtar Se Mai Bheja Gaya, Yahan Tak Ki Us Qarn Me Hua Jisme Paida Hua.

(Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab Sifatun Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Jild 1 Pg.503 Hadees 3557 )

Yaani Aap Behter Qarn Me Paida Hue , Qarn Kehte Hai Zamane Ko , Is Hadees Se Yeh B Malum Hota Hai K Jis Pusht Me Nabi Alayhissalam Thay Wo Zamana Behter , Wo Tabka Behter Yaani Wo Shaks Behter Aur Agar Apke Walidein Kafir Hote Toh Yeh Fakr Ki Baat Nabi Alayhissalam Kabhi Nai Karte.

Hadees

Tirmizi Jild 5 Safa 543 Kitabut Dawat Hadees 3532

Hazrat Muttalib Ibn Wadaa Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai K Nabi Alayhissalam K Paas Hazrat Abbas Apke Chacha Aaye Aur Kaha K Baaz Kafir Apke Baare Me Galat Jumle Kehte Hai , Aapne Pura Kaha B Nai Aur Nabi Alayhissalam Ne Jaan Liya Aur Fir Mimber Per Tashreef Le Gaye Aur Farmaya Me Kaun Hu ? Sahaba Ne Arz Kiya Aap ALLAH K Rasool Hai , Aap Alayhissalam Ne Farmaya Me Mohammad Hu Abdul Muttalib Ka Beta , Aur Jab ALLAH Taala Ne Makhlooq Ki Takheeq Farmai Aur ALLAH Ne Mujhe Behtareen Makhlooq Me Mujhe Maboos Kiya Aur ALLAH Ne Makhlooq K 2 Hissey Kiye , 1 Ko Arab 1 Ko Ajam , Aur Mujhe Behtareen Hissey Me Maboos Farmaya Yaani Arab K Andar , Aur Fir ALLAH Ne Isme Qabile Banaye , Aur Behtareen Qabilo K Andar Mujhe Sabse Behtareen Qabile Me Maboos Kiya , Aur In Behtareen Qabilo Me Behtareen Ghar Banaye , Fir In Behtareen Me Sabse Behtareen Ghar Me Mera Intekhab Kiya ,Aur Behtareen Ghar Me Behtareen Nasab Ka Intekhab Kiya ,Toh Zahiran B Tumse Behter Hu Aur Batinan B Tumse Behter Hu.

Is Hadees Ko Imam Tirmizi K Alawa

Musnad E Ahmed Me Jild 1 Safa 210 Hadees 1788
Imam Haythami Ne Majmua Uz Zawaid Jild 8 Safa 216
Imam Behqi Ne Dalail Un Nabuwa  Jild 1 Safa 179
Imam Hussamuddin Hindi Ne Kanzul Ummal Me  Jild 11 Safa 415 Hadees 31950
Imam Tirmizi Ne Iski Sanad Ko Hasan Kaha Hai .

Hadees

Hazrat Ameerul Mumineen Syyeduna Ali Murtaza Radialla Taala Anhu Ki Saheeh Hadees Me Hai:
Ru-E-Zameen Par Har Zamane Me Kam Se Kam 7 Musalman Zarur Rahe Hain. Aisa Na Hota To Zameen-O-Ahle-Zameen Sab Halaak Ho Jate. Isko Abdur Razzaq Aur Ibn Munzir Ne Shaikheen Ki Shart Par Saheeh Sanad Ke Sath Riwayat Kiya.

Sharah Zarqani Alal Mawahib Ladunya, Ba-Hawala Abdur Razzaq Wa Ibn Munzir Jild 1 Pg.174

Imam Abdur Razzaq Ne Al Musannaf Me Likha Aur Farmaya K Iski Sanad Sahi Hai

Gaur Karne Ka Maqam Yeh Hai K Is Hadees K Mutabik Hamesha Se 7 Musalman Zameen Per Rahe Hai Aur Wahbiyo Ki Aqal Dekhe K Nabi Alayhissalam K Walidein Kafir Toh Wo 7 Musalman Us Waqt Kaun Thay Duniya Me? Yeh Kitne Taajub Ki Baat Hai ,

Ayat 2

Surah Tauba Ayat 28

Tarjuma Kanzul Iman : A Iman Walo , Beshak Mushrik Bilkul Hi Naapaak Hai.
Imam Ibn Hajar Al Makki Al Haythami Al Shafai ; Kitab Afzalul Qura’a Me Farmate Hai Jitney Nabi Alayhissalam K Silsila E Nasab Me Aaye Inme Koi Kaafir Nai Tha , Isliye K Kafir Ko Paak Pasandida Nai Kaha Jaa Sakta.

Aur Hadees Me Aaya Hai

Hamesha ALLAH Ne Mujhko Paak, Suthri Pushton Me Naqal Farmata Raha, Saaf Suthra Araasta, Jab 2 Shakhen Paida Huin, Unme Behtar Shaakh Me Tha.

(Al-Hawi Lil Fatawa Ba Hawala Abu Naeem Masaalikul Hanfa Fi Waalidil Mustafa Jild 2 Pg.211)
(Dalailun Nabuwwa,Abi Naeem , Fasl Saani Pg.11-12)

Isko Naeem Ne Dalailun Nabuwwa Me Ibn Abbas Radialla taala anhu Se Riwayat Kiya. Aur Ek Hadees Hai Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Farmate Hain:

Hadees

Mai Hamesha Paak Mardon Ki Pushton Se, Paak Beebiyon Ke Peton Me Muntaqil Hota Raha.

(Sharah Zarqani Alal Mawahib Ladunya Ba-Hawala Abi Naeem An-Ibn Abbas Jild 1 Pg.174)

Hadees

Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Farmate Hain:

Hamesha ALLAH Ne Mujhe Karam Wali Pushton Aur Taharat Wale Shikamo Me Naqal Fermata Raha, Yahan Tak Ki Mujhe Mere Maa Baap Se Paida Kiya. Isko Ibn Abi Amru Al-Adi R.A Se Riwayat Kiya.

Imam Qazi Ayaz Ne As Shifa Jild 1 Safa 132
Imam Zarqani Ne Sharah Mawahib Ladunya Jild 1 Safa 327
Imam Abu Nuaym Ne Dalail Un Nabuwa Me Likha

Ayat 3

Surah Hood Ayat 46

Tarjuma Kanzul Iman: “ALLAH Taala Ne Farmaya A Nooh Yaqeenan Wo Tere Gharane Se Nai Hai”
Yaani Jab Hazrat Nooh Alayhissalam Ka Beta Jab Paani Me Doobne Laga Tab Hazrat Nooh Alayhissalam Ne ALLAH Taala Se Dua Ki Tab ALLAH Taala Ne Farmaya K Wo Yaqeenan Tere Gharane Se Nai Yaani Nasab Cut Gaya.

Isi Tarah Agar Koi Sayed Kafir Hojaye Maz ALLAH ,Ullema Farmate Hai Tab Uska Nasab Cut Gaya Ab Uski Taazeem Na Hogi.

Is Ayat Ko Zahen Me Rakhe Aur Hadees B Dekhte Hai

Hazrat Ashas Ibn Qais Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Nabi Alayhissalam Ne Irshad Farmaya Hum Nasar Bin Kinana K Bête Hai , Hum Apne Baap Se Apna Nasab Juda Nai Karte.

Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Apni Musnad Jild 10 Safa 270 Hadees 22183
Imam Ibn Majah Apni Sunan Me Hadees 2612
Imam Bayhaqi Ne Dalail Un Nabuwa Me Jild 1 Safa 173
Albani Ne Ibn Majah Ki Sharah Me Kaha K Iski Sanad Hasan Hai.
Imam Abu Sirri Rehmatullah Alayh Ne Kaha Iski Sanad Sahi Hai

Quran Kehta Hai K Agar Koi Kafir Ajaye Toh Nasab Cut Jaata Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Juda Nai Karte Farmaya Toh Goya Bata Rahe Hai K Hazrat Adam Alayhissalam Tak Apke Nasab Me Koi Kafir Tha Hi Nai , Sab Musalman.

Isi Tarah Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Abdul Muttalib Se Bataya Hai , Agar Kafir Hote Dada Toh Kya Aap Alayhissalam Nasab Batate ??? Samae’en Hawala Note K Kin Kin Ahadees Me Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Bataya Aur Kaha K Me Beta Hu Abdul Muttalib Ka.

Sunan Ibn Majah Hadees 4087 , English Book 36 Hadees 162
Sahih Bukhari Hadees 4316 , English Book 64 Hadees 347
Jami Tirmidhi Hadees 1688 , English Book 23 , Hadees 19
Sahih Bukhari 2874 , English Book 56 , Hadees 90
Sahih Bukhari 4315 , English Book 64 Hadees346
Sahih Bukhari 2930 , English Book 56 , Hadees 143
Sahih Bukhari 2864 , English Book 56 , Hadees 80

In Tamam Hadees Me Nabi Alayhissalam Ne Farmaya K Aap Alayhissalam Abdul Muttalib K Bête Hai  , Agar Kafir Hote Toh Quran Ki Ayat Per Amal Karke Apna Nasab Cut Karlete Lekin Aap Alayhissalam Ne Bata Diya K Aapke Nasab Kafir Nai Tha.

Aitraz Per Jawab

Sahih Muslim Kitab Ul Janaiz Hadees No 2154

Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai K Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Mujhe Apni Walida Ki Qabr Per Jaane Ki ALLAH Taala Se Ijazat Milgai Lekin Unke Astagfar Ki Ijazat Nai Mili.

Is Hadees E Paak Ko Lekar Wahbi Aitraz Karte Hai K Agar Momin Hoti Toh Ijazat B Milti Lekin Kafir Thi Isliye Ijazat Na Mili , Maz ALLAH

Humara Jawab Yun Hai

Agar Nabi Alayhissalam Ki Walida Ki Qabr Mushrik Wa Kafira Ki Hoti Toh Quran Yun Fermata Hai
Surah Tauba Ayat 84

Tarjuma Kanzul Iman : In Me Se Koi Marjaye Toh Aap Uske Janaze Ki Hargiz Namaz Na Padhe Aur Na Uski Qabr Per Khade Ho Ye ALLAH Aur Uske Rasool K Munkir Hai Aur Marte Dumtak Badkar Aur Be Itaat Rahe Hai.

Ab Gaur Farmaye K Hadees K Mutabik Walida Ki Qabr Ki Ijazat Milgai , Agar Walida Ki Qabr Kafira Ki Hoti Toh Quran Ki Ayat K Mutabik Iijazat Nai Milti , Ijazat Milna Is Baat Ki Daleel Hai K Wo Momina Thi

Aur Magfirat Ki Dua K Liye Q Rok Diya Gaya ? , Isliye Roka K A Mehbub Aap Magfirat Ki Dua Karege Toh Baad Walo Badgumani Hogi K Gunahgaar Thi Kafir Thi Isliye Magfirat Karrahe Thay.
Toh Badgumani Na Ho Aur Apki Walida Bakshi Hui Hai Toh Dua Ki Kya Zarurat Hai
Ab Mumkin Hai K Sawal Uthe K Fir Qabr Ki Ijazat Talab Q Ki ?

Toh Iska Jawab Yun Hai

Imam Jalaluddin Suyuti Ne Al Hawi Lil Fatawa Jild 2 Safa 230 Per Likha
Hujjatul Wada K Mauke Per Yeh Ayat Nazil Hui K “Aaj Humne Tumhara Deen Tumhare Liye Mukammal Kardiya”               

Phir Hajj Se Farig Hue Aur Madina Aate Waqt Wo Maqam Aaya Toh ALLAH Se Dua Ki Maula Mujhe Ijazat De K Me Apni Walida Ki Qabr Ki Ziyarat Karu  , ALLAH Taala Ne Farmaya Jo Aap Chahte Ho Kijiye , Phir Nabi Alayhissalam Qabr Per Aye , Walidein Ko Awaz Di , Dono Apni Qabro Se Zinda Hue , Aur Aap Alayhissalam Ne Salam Kiya Aur Kaha Ammi Jaan Me Apka Beta Mohammad , Me Nabi Banakar Maboos Kiya Gaya Hu, Aap Pichli Ummat Me Uthai Jaati , Me Chahta Hu K Is Ummat Me Uthai Jaye ,Aap Qalma Padh Lijiye Take Is Ummat Me Uthne Ka Apko Sharf Hasil Hojaye,Dono Ko Qalma Padhaya , Fir Dono Apni Qabr Me Aram Farmane Chale Gaye.

Is Waqiye Ko
Imam Ibn Hajar Makki Ne Afzalul Qura’a
Imam Ibn Shaheen
Khateeb Bagdadi Ne Tareekh E Bagdad Me Likha
Imam Quratbi Ne Apni Tafseer Me Likha
Imam Tabri Ne Likha
Imam Zarqani Ne B Likha
Aur Imam Ibn Kaseer Ne B Isey Likha

Aitraz 2

NABI Alayhissalam Ne Farmaya ; Beshak Mera Aur Tera Baap Jahannam Me Hai.
Sunan Abi Dawood Hadees 4718 & Sahih Muslim Hadees 347.

Jawab :

Is Hadees Me Nabi Alayhissalam K Baap  Se Murad Abu Talib Yaani Apke Chacha Hai ,
Digar Ahadees Me Aata Hai Jiska Mafhoom Hai
“Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Chacha Baap Ki Jagah Hota Hai”

Sahi Muslim Jild 1 Kitab Uz Zakat Hadees 2173
Sahi Bukhari Jild 1 Hadees 1399
Sunan Abi Dawood Hadees 1623
Imam Nasai Ne Apni Sunan Me Hadees 2464
Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Musnad Ahmed Me Hadees 8266
Imam Ibn Hibban Ne As Sahih Me Hadees 3273
Imam Ibn Khuzayma Ne Apni Sahih Me Hadees 2329
Imam Bayhaqi Ne Shuayb Ul Iman Me Hadees 7160
Me Naqal Kiya Hai.

Aur Iski Taeed Yeh Hadees Karti Hai Jo Bukhari Me Riwayat Hai

Huzur Syed Aalam Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Abu Talib Ki Nisbat Farmaya:
Maineusey Saraapa Aag Me Duba Paaya To Kheench Kar Takhno Tak Ki Aag Me Kar Diya.
Ek Aur Saheeh Riwayat Me Farmaya:

Agar Main Na Hota To Abu Talib Jahannam Ke Sabse Neeche Tabqe Me Hota

Sahi Bukhari Hadees 3670
Sahi Muslim Hadees 4418

Yeh Tamam Hadees K Sharah Karne Wale Mufassir Ne Kaha K Yaha Baap Se Murad Abu Talib Hai.
Iska Dusra Jawab K Yeh Riwayat Shaaz Hai Aur Iski Mehfooz Riwayat Musannaf Me Milti Hai Jiska Tarjuma Hai

Araabi Ne Nabi Alayhissalam Se Pucha Ki Mera Baap Kaha Hai ? Toh Farmaya Jahannam Me , Phir Dobara Pucha Ki Apke Baap Kaha Hai ? Toh Usko Nabi Alyhissalam Ne Farmaya Ki Jab B Tum Kisi Mushrik Ki Qabr Per Se Guzro To Usko Jahannam Ki Khush Khabri Dediya Karo
Musannaf Abdur Razzaq Kitabul Jaame Hadees 19687.

Muslim Aur Abu Dawud Ki Riwayat Me Hammad Bin Salma Ne Sabit Se Aur Unhone Hazrat Anas Se Ye Riwayat Kiya Hai Jisme Kaha Gaya Hai Ki Beshak Mera Aur Tera Baap Jahannam Me Hai Jabki Musannaf Ki Riwayat Batati Hai Ki Yeh Alfaz Nahi The Balki , Jab Bhi Tum Kisi Mushrik Ki Qabr Per Se Guzro To Usko Jahannam Ki Khushkhabri De Diya Karo , Yeh Alfaz Thay , Yaad Rahe Yaha Aap Alayhissalam Ne Yeh Nai Farmaya Ki Mera Baap Jahannam Me Hai.

Muslim Aur Abu Dawud Ki Riwayat Me Hammad Bin Salma Maujud Hai Aur Inke Hafize Per Muhaddiseen Ka Kalam Hai.

Imam Zehbi Imam Ahmed K Hawale Se Likhte Hai
Hammad Bin Salma Khata Karte Thay.
Siar Alam Nubla

Aur Isliye Imam Bukhari Ne Inse Koi Riwayat Nai Li,Aur Musannaf Ki Riwayat Me Ma’mar Ne Zuhri Se Riwayat Kiya Hai Aur Hammad Bin Salma K Muqable Ma’mar Muhaddiseen K Nazdeek Awsaq Rawi Hai Aur Inki Riwayat Imam Bukhari Ne B Li Hai.

Surah Ahzab Ayat 57 Tarjuma Kanzul Iman : Jo Log ALLAH Aur Uske Rasool Ko Ezaa Dete Hai Inper Duniya Aur Akhirat Me ALLAH Ki Phatkar Hai Aur Inke Liye Nihayat Ruswakin Azaab Hai.
Bukhari Ki Sharah Imam Qastalani Likhte Hai ; Walidein Ko Kisi Nuqs K Saath Zikr Karne Se Bacho Ki Issey Huzur Alayhissalam Ko Ezaa Hone Ka Andesha Hai

Mawahibul Ladunya Jild 1 Safa 111
Afzalul Quraa Li Qari Ummul Qura Sher 6

Aitraz 3

Hazrat Imam E Azam Abu Hanifa Ki Kitab Fiqh Ul Akbar , Usme Imam E Azam Ne Likha K Nabi Alayhissalam K Walidein Kufr Per Mare.

Aur Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Unhone Sharah Fiqh Ul Akbar Likhi Hai , Safa 312 Per , Imam Jalaluddin Suyuti Ka Radd Karte Hue Likha Hai K Nabi Alayhissalam K Walidein Kufr Per Mare.

Jawab

Sabse Pehle K Imam Abu Hanifa Ki Kitab Al Fiq Al Akbar Per 3 Aqwal Hai Ullema K Is Ibarat Ko Lekar
1 Tabqa Imam E Azam Abu Hanifa Ki Kitab Ko Nai Manta K Yeh Imam E Azam Ki Hai Lekin Kuch Ullema Mante Hai
2 Yeh Ibarat Guzishta Edition Me Nai Thi Yeh Baad Me Bad Aqeedo Ne Badai
3 Fiqh Ul Akbar Ki Ibarat Me Tehreef Hai
Haqeeqat Yeh Hai K Imam E Azam Abu Hanifa Ne Likha K Nabi Alayhissalam K Walidein Kufr Per Hargiz Hargiz Nai Mare
Aur Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Ne Apne Is Qaul Se Ruju Karliya Tha Jab Unhone Sharah Shifa Shareef Likhi Jild 1 Safa 6 Per

Alhamdulillah In Dalailo K Baad Deobandi Aur Wahbiyo Ki Challenge Deraha Hu

Sahih Bukhari Hadees 1385 Jiska Tarjuma Hai

Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi Alayhissalam Ne Farmaya ; Har Baccha Imaan Ki Haalat Per Paida Hota Hai ,Phir Uske Aaba O Ajdad Usko Yahudi Ya Nasrani Bana Dete Hai.

Is Hadees Ki Bahut Saari Shawahid Hai ,

Sahi Muslim Hadees 22
Sunan Abi Dawud Hadees 4714
Sunan Tirmidhi Hadees 2138
Jaame Ma’mar Bin Rasheed Hadees 20087
Muatta Imam Malik Hadees 278
Musanad Abu Dawud Tayalsi Hadees 2480
Musannaf Abdur Razzaq Hadees 6611

Iske Alawa Aur B Bahut Si Shahwahid Maujud Hai

Is Hadees Se Saabit Hua Ki Har Baccha Imaan Per Paida Hota Hai Toh Is Hadees K Mutabik Nabi Alayhissalam K Walidein B Iman Per Paida Hue.

Yaani Jabtak Wo Kufr Wa Shirk Na Karege Wo Iman Wale Hi Rahege

Ab Duniya K Tamam Wahbiyo Deobandiyo Ko Challenge Hai Ki Wo Sabit Kare Kisi B Hadees Se Ki Nabi Alayhissalam K Walidein Ne Kabhi Koi Kufr O Shirk Kiya Hai

Agar Sabit Na Kar Sake To Is Hadees Se Unka Iman Wala Hona Sabit Ho Gaya.
ALLAH Taala Se Dua Hai Ki Hume Deobandi Wahbiyo K Fitno Se Bachaye Aur Hamesha Haq Per Rehne Ki Taufeeq Ataa Farmaye

Aameen Sum Aameen

-Shaikh Mohammad Imran Saifi.






Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers