Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (05)
Is Part May
Humne 2 Hadeeso Ka Jawab Diya Hai
Imam
Bayhaki Nay Suna Ahmed Bin Muhammad Say Unhone Ahmed Bin Adi Say Wo Ibn Sa’ad
Say Wo Ibrahim Bin Saeed Say Wo Muhammad Hajar Say Wo Saeed Bin Abdul Jabbar
Say Wo Apne Walid Abdul Jabbar Say Wo Apni Walida Say Aur Aap Hazrat Wayl Bin
Hajar Radialla Taala Anhu Say Riwayat Karte Hai Ki Wo Farmate Hai Ki Rasul ALLAH
ﷺ Masjid May Gaye Aur Mehrab May Dakhil
Hue Phir Apne Hatho Ko Takbeer Kay Saath Uthaya Aur Apna Daya Haath Baye Haath
Per Rakhkar Seene Per Bandh Liye.
Sunan
Bayhaki Jild 2 Hdaees 2335
Yeh Hadees
Kai Zaef Rawiyo Ki Wajah Say Sakhta Zaef Hai
Isme Pehle
Rawi Muhammad Bin Hajar Hai Jiske Baare May Aimma Nay Kalam Kiya Hai.
Imam Bukhari Farmate Hai Isme Najar Hai (Lisan Us Mizan Jild 5 Safa 119 , Mizan Ul Aitidal Jild 6 Safa 104)
Imam Zehbi
Farmate Hai Ki Yeh Munkir Riwayat Bhi Laatey Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 6 Safa
104)
Isme Dusre Rawi
Umme Abdul Jabbar Hai
Allama Ibn
Turkmani Nay Farmaya Na May Inka Haal Janta Hu Aur Na Naam Kay Wo Siqah Thi Ya
Gair Siqah. (Jawahir Ul Naqi Ala Sunan Bayhaki Jild 2 Safa 46 , Talik Ul Hasan
Jild 1 Safa 68)
Isme Teesra
Rawi Saeed Bin Abdul Jabbar Hai Jo Zaef Hai
Imam Nasai
Nay Farmaya Yeh Kawi Nahi Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 215)
Imam Hajar
Asqalani Farmate Hai Saeed Bin Abdul Jabbar Hajarmi Kufi Zaef Hai (Al Takrib
Safa 238)
Itne Zauf
Kay Baad Is Hadees Ko Daleel Banana Aqal Kay Khilaf Hai Aur Khud Gair Muqallid
Kay Usoolo Kay Khilaf Hai.
Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (06)
Rawi : 1.Abu
Zakariya Bin Abu Ishaq 2.Hasan Bin Yaqub
Bin Bukhari 3.Yahya Bin Talib 4.Zaid Bin Hubab 5.Rawah Bin Mussayb 6.Umar Bin Malik
Nakri 7.Abu Jauza
Abu Jauza
Nay Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Say Riwayat Kiya Ki Aap ALLAH Taala
Kay Is Farman “Toh Apne Rab Kay Liye Namaz Padho Aur Qurbani Do (Al Kausar Ayat
02) Ki Tafseer Karte Hue Farmate Hai Ki (Namaz May) Daye Haath Ko Baye Haath
Per Seene Say Upar Rakhe Jaye.
Sunan Kubra
Lil Bayhaki Jild 2 Safa 47 Hadees 2339
Sahabi Ka
Qaul Gair Muqallido Kay Nazdeek Hujjat Nahi Phir Kaisa ??
Fatawa Naziriya
Safa 340
Arful Jawi
Safa 38
Taj Ul Muqlal
Safa 292 Wagaira
Iske 2
Rawiyo Per Aimma E Jara Wa Tadil Nay Kalam Kiya Hai
1.Yahya Bin
Abi Talib
Musa Bin
Haroon Nay Kaha Isey Jhoot Bolne Ki Adat Thi
Abu Ubaid Al
Ajri Nay Kaha Ki Imam Abu Dawud Nay Issey Naqal Karda Ahadees Per Kalam Pher
Diya Tha
Mizan Ul
Aitidal Jild 7 Safa 192 Raqam 9555
Iske Baare
May Imam Ibn Hibban Nay Kaha Ki Yeh Siqaat Say Manghadat Hadeesein Bayan Karta
Tha Aur Sanado Ko Bigad Deta Tha , Mawkuf Riwayato Ko Marfu Kardeta Tha , Iski
Roh Bin Gatif Say Li Gai Riwayatein Munkir Hai , Issey Riwayat Karna Halal Nahi
Aur Naahi Iski Kitabo Say Jabtak Jaanch Na Li Jaye
Majruhin Jild
1 Safa 370 Raqam 342
Imam Ibn
Jauzi Nay Isey Apni Zuafa May Darj Kiya Hai (Al Zuafa Wal Matrukin Raqam 1251)
Imam Ibn
Adi Nay Kaha Iski Ahadees Gair Mehfooz Hai (Al Kamil Jild 4 Safa 58, Raqam 664
, Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 91 Raqam 2815)
Aimma Say
Sakht Kalam Honay Kay Bawajud Wo Kaunsi Tawseek Baki Hai Jiski Bina Per Is
Hadees Ko Daleel Banana Halal Hoga ?
Aur Is
Riwayat Per Khud Gair Muqallid Hazraat Ka Amal Nahi Hai Kyuki Nahar Say Murad
Seene Ka Wo Upari Hissa Hota Hai Jo Gale Say Mila Hota Hai Lekin Yeh Hazrat Toh
Yaha Say Takreeban 8-10 Inch Niche Seene Per Bandhte Hai Bhala Is Riwayat Ka
Inko Kya Fayda ? Jab Sakht Zaef Hadees Per Inka Mukammal Amal Hi Nahi Toh
Daleel Kay Taur Per Yeh Hadees Pesh Karne Mardud Aur Batil Hai.
No comments:
Post a Comment