Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (04)
Imam Ahmed Nay
Yahya Bin Saeed Say Unhone Sufiyan Say Unhone Simaq Bin Harb Say Unhone Kabisaah
Say Unhone Apne Walid Halab Tai Say Ki Hazrat Halab Tai Radialla Taala Anhu Say
Marwi Hai Ki Mene NABI ﷺ Ko Dahini Janib
Say Wapas Jate Hue Dekha Hai Aur Baye Janib Say Bhi Aur Mene NABI ﷺ Ko Apna Daya Haath Baye Haath Per Seene Per
Rakha Hua Dekha Hai Aur Dahina Haath Baye Haath Kay Jod Per Tha.
Musnad
Ahmed Bin Hanbal Jild 10 Hadees 22313
Is Riwayat
Ka Haal Muhaddis Ki Nazar May
Iski Sanad
May 1 Rawi Simaq Bin Harb Zaef Hai
Imam Shuaba
Nay Isko Zaef Karar Diya Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 119)
Imam Saleh Isey
Zaef Qarar Dete Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 120)
Imam Nasai Farmate
Hai Jab Akela Ho Toh Bilkul Kabil E Qabul Nahi Kyuki Isey Talkin Ki Jati Thi
Aur Yeh Qabul Karleta Tha (Marif Al Sunan Jild 2 Safa 440)
Imam Ibn
Ammar Farmate Hai Ki Muhaddisseen Ka Faisla Hai Ki Yeh Galityo Ka Shikar Tha
(Mizan Ul Aitidal Jild 2 Safa 216)
Imam Ibn Mubarak
Nay Farmaya Iski Hadees May Zauf Hai (Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 2 Safa 115)
Imam Ibn
Kharas Nay Farmaya Iski Hadees May Gadbad Hai (Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 2 Safa
115)
Imam Zehbi
Nay Isey Zaufa May Shumar Kiya Hai (Al Mugni Lil Zehbi Jild 1 Safa 448)
Imam Ibn
Adi Nay Isey Zaufa May Shumar Karte Hai (Al Kamil Lil Ibn Adi Jild 4 Safa 641)
Imam Jauzi
Nay Bhi Isey Zaufa May Shumar Kiya Hai (Kitab Zaufa Wal Matrukin Lil Ibn Jauzi Jild
2 Safa 26)
Imam Ukeli
Nay Isey Apne Zaufa Ki Fehrist May Darj Kiya Hai ( Zaufa E Kabir Jild 2 Safa
178)
Imam Abul
Qasim Al Ka’abi Nay Isko Baab “Un Logo Ka Bayan Jinhe Muhaddisseen Nay Ahle
Bidat Aur Khwaish Parast Kaha Hai” Kay Tahet Bayan Kiya Hai (Kubulul Akhbar Wa
Marifat Ur Rijal Jild 2 Safa 381-390)
Imam Ahmed
Bin Hanmbal Nay Mujtaribul Hadees Kaha (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 119
Aur Mashur
Gair Muqallid Zuber Ali Zai Api Kitab “Namaz Me Haath Bandhne Ka Hokum Aur
Muqam” May Likhta Hai Ki Baaz Log Musnad Ahmed Ki Seene Per Haath Bandhne Wali
Hadees Kay Rawi Simaq Bin Harab Per Bhi Jirah Kardete Hai (Safa 38)
Halaki Khud
Isne Is Rawi Per Jarah Karte Hue Is Rawi Ki 1 Riwayat Ko Zaef Kaha Hai Aur Iske
Zauf Ki Nishandehi Bhi Ki Hai Dekhiye Iski Kitab (Fatawa Ilmiya Jild 2 Safa
122)
In Tashreehat
Say Malum Hua Kay Simaq Bin Harab Jamhur Kay Nazdeek Zaef Hai.
Pas Yeh
Hadees Is Wajah Say Sakht Zaef Hai Aur Na Qabil E Hujjat Hai Lekin Inke Baare
May Bahut Say Aimma Hazraat Ki Tauseeq Bhi Maujud Hai Aur Aisa Rawi Jiskay
Baare May Tauseeq Aur Kalaam Paya Jaye Wo Rawi Hasan Hota Hai Aur Inko Allam
Nemwi Nay Bhi Hasan Kaha Hai.
Hadees May Isterab
Dusri Illat
Is Hadees Ko Zaef Kehne Ki Yeh Hai Ki Iske Matan May Kalam Hai Kyuki Yeh Hadees
Muztarib Hai Aur Gair Muqallid Hazraat Kay Shaikh Zuber Ali Zai Kay Nazdeek
Muztarib Hadees Zaef Hai (Nurul Aynen Safa 60)
Is Hadees
May “Ala Sadr” Yaani “Seene Per” Kay Alfaz Gaur Mehfooz Hai Kyuki Isi Sanad Say
Iske Alawa Khud Imam Ahmed Bin Hanmbal Nay 9 Ahadees Naqal Ki Hai.
Musnad
Ahmed Jild 10 Hadees 22316 , 22319 , 22321 , 22322 , 22324 , 22327 , 22328 ,
22330 , 22331 , May Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Ala Sadr Kay Alfaz
Maujud Nahi Hai.
Imam
Tirmidhi Nay Sunan Tirmidhi Jild 1 Hadees 238 May 1.Kutayba 2.Abu Al Ahwas
3.Simaq Bin Harab 4.Kabisa 5.Bin Halab Tai Ki Sanad Say Yeh Hadees Takhreej Ki
Hai Magar Isme Bhi Seene Per Haath Bandhne Kay Lafz Maujud Nahi.
Reference | : Jami` at-Tirmidhi 252 |
In-book reference | : Book 2, Hadith 104 |
English translation | : Vol. 1, Book 2, Hadith 252 |
Isi Tarah
Imam Ibn Majah Nay Sunan Ibn Majah Jild 1 Hadees 809
1.Usman Bin
Abi Shayba 2.Abu Al Ahwas 3.Simaq Bin Harab 4.Kabisa 5.Bin Halab Tai Ki Sanad
Say Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Bhi Yeh Lafz Maujud Nahi
Reference | : Sunan Ibn Majah 809 |
In-book reference | : Book 5, Hadith 7 |
English translation | : Vol. 1, Book 5, Hadith 809 |
Isi Tarah
Imam Darqutni Nay Sunan Darqutni Jild 2 Hadees 1085
1.Abu Muhammad
Bin Sa’ad 2.Yaqub Bin Ibrahim 3.Abdur Rehman Bin Mehdi 4.Sufiyan 5.Simaq Bin
Harab 6.Kabisa 7.Bin Halab Tai Ki Sanad Say Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar
Isme Bhi Yeh Lafz Maujud Nahi.
Lihaza Simaq
Bin Harab Is Lafz Ki Zyadti May Munfarid Hai Aur Imam Nasai Farmate Hai Ki Jab
Akela Ho Toh Bilkul Kabil E Qabul Nahi Kyuki Isey Talkin Ki Jati Thi Aur Kabul Karleta
Tha (Marif Al Sunan Jild 2 Safa 440)
Allama Nemwi
Farmate Hai Issey Malum Hua Ki Imam Ahmed Nay Ba Tarik Yahya An Sufiyan Jo
Riwayat Bayan Ki Hai Yeh Bahut Say Ashab E Sufiyan Wa Simaq Ki Riwayat Kay
Khilaf Hai Pas Yeh Mehfuz Nahi Hosakti (Talik Ul Hasan Jild 1 Safa 68)
Aur Imam
Tirmidhi Aur Imam Nemwi Kay Nazdeek Namaz May Haath Bandhne Kay Sirf 2 Hi
Mazhab Hai , Naaf Kay Upar Ya Naaf Kay Niche.
Imam
Tirmidhi Farmate Hai Baaz Ahle Ilm Kehte Hai Haath Ko Naaf Kay Upar Bandhe Aur
Baaz Kehte Hai Naaf Kay Niche Bandhe Aur Yeh Sab Jayaz Hai.
Sunan Tirmidhi
Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 238
Imam Nawawi
Fee Sharah Sahih Muslim Jild 1 Safa 173
Aur Is
Hadees Say Bilkul Bhi Pata Nahi Chal Raha Ki Aap ﷺ Nay Namaz Apne Haatho Ko Seene Per Rakhe
Thay Kyuki Is Puri Hadees May Namaz Ka Lafz Hi Maujud Nahiaur Phir Khud Imam
Ahmed Bin Hanmbal Radialla Taala Anhu Jo Is Kitab Kay Musannif Hai , Inhone Bhi
Is Amal Ko Namaz May Say Nahi Samjha Balki Aap Namaz May Seene Per Haath Rakhne
Ko Makhruh Kehte Hai (Masail Ahmed Ba Riwayat Abi Dawud Safa 48 Raqam 221)
Aur Hazrat
Ali Wali Riwayat Per Apka Amal Hai Jo Iske Khilaf Hai (Masail Ahmed Ba Riwayat
Abi Dawud Safa 48 Raqam 220) Lihaza Yeh Kaise Hosakta Hai Ki Nabi ﷺ Say Baqaul Gair Muqallideen Kay Sahih
Riwayat Honay Kay Bawajud Ek Mujtahid Seene Per Haath Rakhne Ko Makhruh Kehde
Lihaza Imam Sahib Ka Apni Kitab Ki Is Riwayat Kay Khilaf Amal Karna Iska Wazeh
Saboot Hai Ki Yeh Riwayat Namaz Kay Liye Nahi Hai Aur Agar Namaz Kay Mutaliq
Maan Bhi Liya Jaye Tab Bhi Yeh Zaef, Muztarib Aur Bilkul Bhi Qabil E Istedlal
Nahi Hai
End Part 04
No comments:
Post a Comment