Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 9 May 2024

,

 


Naaf kay Niche Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (01)


Naaf Kay Niche Haath Bandhne Wali Hadees Ka Jayeza

 

Haq Walo Ko 1 Daleel Kafi Hai Ha Qabul Karne Kay Liye , Ilsiye Hum Abhi Sirf 1 Hadees Pesh Karke Usper Tehqeeq Pesh Karege Aur Aitrazat Kay Jawab Bhi Dege In Sha Allah

 

Hadees:

Imam Ibn Abi Shyba Nay Waqih Ibn Jarah Say Unhone Musa Bin Amir Tamimi Say Unhone Hazrat Alkama Bin Wayl Say Unhone Apne Walid Say Riwayat Kiya Ki Hazrat Wayl Bin Hajar Farmate Hai Ki Mene Rasul Allah ﷺ Ko Dekha Aap Namaz May Apne Daye Haath Ko Baye Haath Per Naaf Kay Niche Rakhe Hue The.

Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 3 Hadees 3959






Is Riwayat Kay Teeno Rawi Indal Muhaddiseen Siqah Aur Adil Hai In Per Kisi Gair Muqallid Ko Aitraz Nahi.


Waqih Ibn Jarah

Sahih Bukhari Wa Muslim Kay Rawi Hai Aur Jaleel Ul Qadr Imam Hai

Rijal Bukhari Lil Bazi Jild 2 Safa 767 Raqam 1288

Rijal Muslim Ibn Manjuya Jild 2 Safa 309 Raqam 1767

Imam Ibn Hibban Nay Inko Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 7 Safa 562)

Imam Ijli Nay Inko Apni Siqat May Darj Kiya Hai (Siqat Safa 56)

Imam Yahya Bin Mueen Nay Farmaya Mene Waqi Say Afzal Kisi Ko Nahi Dekha Wo Qibla Rukh Hokar Hadeesein Yaad Karte , Din Roza Rakhte Aur Raat Ko Ibadat May Guzarte The, Aur Imam Abu Hanifa Kay Qaul Per Fatawa Dete The.

Imam Ahmed Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Waqih Say Zyada Waseeh Ilm Wala Aur Unse Bada Hafiz E Hadees Nahi Dekha

Imam Ahmed Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Hazrat E Waqih Apne Waqt Kay Imam Ul Muslimeen The (Tehzeeb Ul Kamal Jild 30 Safa 471 – 475)

 

Musa Bin Amir Tamimi

Imam Yahya Bin Mueen, Abu Hatim, Muhammad Bin Abdullah Bin Namir, Khatib Baghdadi Aur Imam Ijli Nay Farmaya Musa Bin Amir Tamimi Siqah Rawi Hai.

Imam Abu Jara Nay Farmaya Inme Koi Kharabi Nahi

Tehzeeb Ul Kamal Jild 29 Safa 127, Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 19 Safa 234

 

Alkama Bin Wayl

Yeh Sihah Sitta Kay Rawi Hai Insay

Imam Bukhari Juzz Rafayadein Hadees 32

Imam Muslim Nay Inse Kamo Besh 10 Hadeesein Li Hai Jinme Se Chand Yeh Hai

Sahih Muslim Jild 1 Hadees 358, 359, 891 Wagaira

Imam Tirmidhi Nay Insay Kamo Besh 7 Hadeesein Li Hai Jinme Say Kuch Yeh Hai

Sunan Tirmidhi Jild 1 Hadees 235,1350, 1400, 1482 Wagaira

Imam Nasai Nay Bhi Insay 10 Hadeesein Li Hai Jinme Say Chand Yeh Hai

Sunan Nasai Jild 1hadees 890, 1058 Wagaira

Imam Abu Dawud Nay Insay 10 Hadeesein Riwayat Ki Hai

Sunan Abi Dawud Jild 1 Hadees 725, 985 Wagaira

Aur Ibn Majah Jild 3 Hadees 381

Imam Zehbi Nay Inhe Saccha Likha Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 5 Safa 134)

Ibn Sa’ad Nay Inhe Siqah Kaha

Ibn Hajar Nay Ibn Hibban Kay Hawale Say Inhe Siqat May Zikr Kiya Ha (Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 7 Safa 246)

 

Samaa E Alkama

Gair Muqallid Hazraat Aitraz Karte Hai Ki Hazrat Alkama Ka Sama Apne Walid Hazrat Wayl Radialla Taala Anhu Sabit Nahi Hai Aur Ibn Hajar Ka Qaul Pesh Karte Hai Ki Ane Walid Say Sima Sabit Nahi Hai Lekin Jo Dalail Aagay Ayegi Unsay Yeh Sabit Hota Hai Ki In Allama Ibn Hajar Ka Qaul Sahih Nahi Kyuki Sihah Sitta Kay Imamo Nay Insay Riwayat Li Hai, Aur Khas Kar Imam Muslim Nai Apni Sahih May Sama E Alkama Ki Tashreeh Ki Hai Aur Unka Is Sanad Ko Zikr Karna Is Baat Ki Daleel Hai Ki Hazrat Alkama Ka Apne Walid Say Sama Sabit Hai Aur Jab Sahih Muslim May Yeh Hadees Is Sanad Kay Hote Hue Sahih Hai Toh Phir Musannaf Ibn Abi Shayba May Is Sanad Per Aitraz Kyu Kiya Jaye.

Sahih Muslim Jild 1 Hadees 891 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz Hai

Sunan Nasai Jild 1 Hadees 890 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz Hai

Sunan Abi Dawud Jild 1 Hadees 725 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar” Kay Alfaz Hai

Sahih Khuzayma Jild 2 Hadees 905 “Haddasana An Alkama An Abi Wayl Bin Hajar”Kay Alfaz Hai

Musnad E Ahmed Jild 8 Hadees 19059, 19068, 19071 “Samaytu Alkama Yuhdeesu An Wayl” Kay Alfaz Hai

Imam Tirmidhi Farmate Hai Hazrat Alkama Ko Apne Walid Say Sama Hasil Hai (Sunan Tirmidhi Kitab Us Hudud Hadees 1482)

Lihaza Yeh Aitraz Bhi Be Buniyad Hai

 

Is Hadees Me “Tehtussara” Ki Zyadti

Yeh Hadees Sahih Ul Isnad Hai Isliye Gair Muqallid Iski Sanad Kay Baare Kuch Nahi Keh Sakte Isliye Unhone Is Hadees Ko Gair Moatbar Kehne Kay Liye Dusra Hathiyar Istemal Kiya Hai Aur Wo Yeh Hai Ki Musannaf Kay Asalm Nuskhe May “Tehtussara” Lafz Yaani Naaf Kay Niche Kay Lafz Nahi Hai Aur Yeh Lafz Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh Nay Apni Taraf Say Badhaye Hai Lekin In Sha Allah Hum Aage Sabit Karege Ki Gair Muqallid Hazraat Ka Yeh Ilzam Batil Aur Be Buniyad Hai.


Baaz Hazraat Ko Musannaf Ibn Shayba Kay Kuch Nuskho May Lafz “Tehtussara” Ki Zyadti Nahi Mili Jissey Unko Galat Fehmi Lagi Ki Yeh Lafz Badhaya Gaya Hai Aur Hayat Sindhi Nay Yeh Kaha Ki Yeh Lafz Musannaf May Nahi Hai Iske Radd May Shaikh Abul Hasan Kayam Sindhi Rehmatullah Alayh Nay Apne Risale Fauzul Karam May Kaha Kay Mene Khud Al Musannaf May Is Zyadti Ko Dekha Hai Jo Aksar Nuskho May Ibarat E Sahiha Kay Saath Maujud Tha Aur Kaha Ki Yeh Zyadti Aksar Nuskho May Sahi Hai (Talikul Hasan Jild 1 Safa 70)

Fauzul Karam Scan Page:






Aur Yeh Bhi Farmaya Ki Yeh Nuskha Shaikh Abdul Qadir Ki Library May Maujud Hai Aur Shaikh Mohammad Hashim Sindhi Nay Kaha “Mene Yeh Zyadti Al Musannaf” Kay 3 Nushko May Pai Hai

1.Wo Nuskha Jisko Shaikh Kasim Muhaddis Dayar Misriya Rehmatullah Alayh Nay Naqal Kiya

2.Wo Nuskha Jiski Shaikh Mohammad Akram Naspuri Rehmatullah Alayh Nay Naqal Kiya

3.Wo Nuskha Jisko Shaikh Abdul Qadir Rehmatullah Alayh Mufti Makkah Ul Muazzama Nay Naqal Kiya Hai

Tarsee Ud Durrah Ala Dirham Us Surrah Safa 84




Aur Gair Muqallid Kay 1 Jayyad Alim Allamaa Wahid Uz Zama Nay Bhi Moata Imam Malik Kay Tarjuma May Farmaya Ki “Aur Ibn Abi Shayba Nay Wayl Bin Hajar Radialla Taala Anhi Say Marfuan””Tehtussara” Naqal Kiya Hai (Moata Imam Malik Safa 138)

Dusre Gair Muqallid Alim Abdul Rauf Bin Abdul Hannan Sindhi Nay Bhi Iqrar Ki “Musannad Ibn Abi Shayba Kay Kisi Nuskhe May Hadees Wayl Ibn Hajar Kay Ek Tarik May “Tehtussara” Kay Alfaz Hai Aur Iski Sanad Sahih Hai Aur Ahnaf May Say Baaz Nay Naaf Kay Niche Haath Bandhne May Issey Hi Daleel Li Hai (Salat Ur Rasool Mai Takhreej Wa Talik Safa 230)

 

Lihaza Gair Muqallid Hazraat Humari Na Sahih Apni Alim Ki Hi Maan Lijiye.

Aur Janab Ki Mazeed Tasalli Kay Liye Yeh Batana Munasib Hoga Ki Yeh Zyadti Faqat Yaha Kay Nuskho May Hi Nahi Balki Madina Munawwara Kay Nuskho May Bhi Mazkoor Hai.

Maktabatul Rashd Al Riyadh Say Chapne Wale Musannaf Ibn Abi Shayba Kay Nuskhe May 2 Muhakkik Nay Tehqeeq Ki Hai Jinme 1 Hamd Bin Abdullah Hai Aur Dusre Muhammad Bin Ibrahim Hai Inhone Is Riwayat Kay Niche Nishandehi Ki Hai Ki Yeh Alfaz (Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 2 Safa 336 Hadees 3955) Maktaba Mehmoodiya Bil Madina Tul Nabawiya) Kay Makhtuta May Bhi Maujud Hai.


Jan In Nuskho May Sahih Hawalo Say Pata Chala Ki Yeh Lafz Musannaf May Maujud Hai Toh Ab Yeh Kehna Ki Fala Ko Yeh Zyadti Nahi Mili Kitni Haqeeqat Rakhta Hai ? Kya Nuskho Ki Tadad Ki Wajah Say Aisa Hona Badi Baat Hai ? Hosakta Hai Kisi Nay Dekha Aur Kisi Nay Nahi Dekha Aur Jisne Na Paya Wo Toh Yehi Kahega Kay Mene Nahi Paya Lekin Jisne Yeh Lafz Musannaf May Dekha Hai Aur Kehraha Hai Ki Mene Apni Ankho Say Dekha Aur Dekhna Na Dekhne Per Mukaddam Hota Hai Jaise Ki Imam Bukhari Nay Kaha Dekhiye (Juzz Rafayadein Hadees 11) Phir Gair Muqallid Hazraat Ko Inki Baat Manne May Kya Harj Hai ?

 

Isi Baat Ko Musannaf Per Tehqeeq Karne Wale Shaikh Mohammad Awama Nay Likha Ki “Jisne In 4 Nuskho May Lafz Na Paya Wo Is Baat Ko Manne May Majoor Hai Lekin Iski Warid Karne Ki Nafi May Wo Majoor Nahi Hai Aur Jo Unko 2 Nuskho Say Naqal Kare Jinmay Say Lafz Ka Hona Sabit Hai Wo Isko Sabit Manne Say Majoor Hai Balkay Isper Yeh Baat Wajib Hai Aur Unke Liye Yeh Jayaz Nahi Ki Is Lafz Ko Hazaf Karde (Talikate Musannaf Ibn Abi Shayba Lil Shaikh Mohammad Awama Jild 3 Safa 321)

 

Ek Aitraz Aman Puri Nay Kiya Hai Ki Is Lafz Ki Zyadti Ko Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh (802 Hijri – Mutawakiff 879 Hijri) Nay Apni Taraf Say Badhaya Hai Aur 8th Sadi Say Pehle Is Riwayat May “Tehtussara’’ Lafz Maujud Nahi Tha

Tehsilul Usool Ala Takhreej Salat Ur Rasool Safa 150

Iska Jawab Yeh Arz Hai Ki Aman Puri Sahab Kay Eh Ilzam Bhi Galat Hai Kyuki Khud Aman Puri Sahab Nay Sarahat Ki Hai Ki Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh Paidaish 802 Hijri Me Hui Hai Jabki Murtuza Zubaidi Rehmatullah Alayh Wala Nuskha Yusuf Bin Abdul Latif Hanbali Nay 744hijri May Mukammal Kiya Aur Yahi Baat Muhaqeeq Shaikh Mohammad Awama Nay Kaha Hai

Talikate Musannaf Ibn Abi Shayba Lil Shaikh Mohammad Awama Jild 2 Safa 321

Al Ham Du Lil Lah Is Tehqeeq Say Yeh Baat Saabit Hogai Ki Gair Muqallid Hazraat Ka Qaasim bin Qutlubughaa Hanafi Rehmatullah Alayh Per “Tehtussara” Ki Tehrif Ka Ilzam Lagana Be Buniyad Aur Maslaki Taasub Ki Bina Per Hai Aur Yeh Hadees Inhi Alfazo Kay Saath Marfuan Marwi Hai, Hume Lagta Hai Ki Shayad Hi Aisa Ki Gair Muqallid Ho Jo Is Tehqeeq Ko Qabul Kare Kyuki Inke Nazdeek Inka Mazhab Hadees E Rasool Per Muqaddam Hai , Allah Samajhne Ki Taufeek Ata Farmaye.

 

In Dalail Kay Baad Yeh Aitraz Be Buniyad Hai.

End

 

 

Wednesday 8 May 2024

,


 

Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (05)


Is Part May Humne 2 Hadeeso Ka Jawab Diya Hai

Imam Bayhaki Nay Suna Ahmed Bin Muhammad Say Unhone Ahmed Bin Adi Say Wo Ibn Sa’ad Say Wo Ibrahim Bin Saeed Say Wo Muhammad Hajar Say Wo Saeed Bin Abdul Jabbar Say Wo Apne Walid Abdul Jabbar Say Wo Apni Walida Say Aur Aap Hazrat Wayl Bin Hajar Radialla Taala Anhu Say Riwayat Karte Hai Ki Wo Farmate Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ   Masjid May Gaye Aur Mehrab May Dakhil Hue Phir Apne Hatho Ko Takbeer Kay Saath Uthaya Aur Apna Daya Haath Baye Haath Per Rakhkar Seene Per Bandh Liye.

Sunan Bayhaki Jild 2 Hdaees 2335



 

Yeh Hadees Kai Zaef Rawiyo Ki Wajah Say Sakhta Zaef Hai

 

Isme Pehle Rawi Muhammad Bin Hajar Hai Jiske Baare May Aimma Nay Kalam Kiya Hai.

Imam Bukhari Farmate Hai Isme Najar Hai (Lisan Us Mizan Jild 5 Safa 119 , Mizan Ul Aitidal Jild 6 Safa 104)

Imam Zehbi Farmate Hai Ki Yeh Munkir Riwayat Bhi Laatey Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 6 Safa 104)

 


Isme Dusre Rawi Umme Abdul Jabbar Hai

Allama Ibn Turkmani Nay Farmaya Na May Inka Haal Janta Hu Aur Na Naam Kay Wo Siqah Thi Ya Gair Siqah. (Jawahir Ul Naqi Ala Sunan Bayhaki Jild 2 Safa 46 , Talik Ul Hasan Jild 1 Safa 68)

 

Isme Teesra Rawi Saeed Bin Abdul Jabbar Hai Jo Zaef Hai

Imam Nasai Nay Farmaya Yeh Kawi Nahi Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 215)



Imam Hajar Asqalani Farmate Hai Saeed Bin Abdul Jabbar Hajarmi Kufi Zaef Hai (Al Takrib Safa 238)

 

Itne Zauf Kay Baad Is Hadees Ko Daleel Banana Aqal Kay Khilaf Hai Aur Khud Gair Muqallid Kay Usoolo Kay Khilaf Hai.

 

 

Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (06)

 

Rawi : 1.Abu Zakariya Bin Abu Ishaq  2.Hasan Bin Yaqub Bin Bukhari 3.Yahya Bin Talib 4.Zaid Bin Hubab 5.Rawah Bin Mussayb 6.Umar Bin Malik Nakri 7.Abu Jauza


Abu Jauza Nay Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Say Riwayat Kiya Ki Aap ALLAH Taala Kay Is Farman “Toh Apne Rab Kay Liye Namaz Padho Aur Qurbani Do (Al Kausar Ayat 02) Ki Tafseer Karte Hue Farmate Hai Ki (Namaz May) Daye Haath Ko Baye Haath Per Seene Say Upar Rakhe Jaye.

Sunan Kubra Lil Bayhaki Jild 2 Safa 47 Hadees 2339




Sahabi Ka Qaul Gair Muqallido Kay Nazdeek Hujjat Nahi Phir Kaisa ??

Fatawa Naziriya Safa 340

Arful Jawi Safa 38

Taj Ul Muqlal Safa 292 Wagaira

 

Iske 2 Rawiyo Per Aimma E Jara Wa Tadil Nay Kalam Kiya Hai

1.Yahya Bin Abi Talib

Musa Bin Haroon Nay Kaha Isey Jhoot Bolne Ki Adat Thi

Abu Ubaid Al Ajri Nay Kaha Ki Imam Abu Dawud Nay Issey Naqal Karda Ahadees Per Kalam Pher Diya Tha

Mizan Ul Aitidal Jild 7 Safa 192 Raqam 9555

 


2.Rawah Bin Musayb

Iske Baare May Imam Ibn Hibban Nay Kaha Ki Yeh Siqaat Say Manghadat Hadeesein Bayan Karta Tha Aur Sanado Ko Bigad Deta Tha , Mawkuf Riwayato Ko Marfu Kardeta Tha , Iski Roh Bin Gatif Say Li Gai Riwayatein Munkir Hai , Issey Riwayat Karna Halal Nahi Aur Naahi Iski Kitabo Say Jabtak Jaanch Na Li Jaye

Majruhin Jild 1 Safa 370 Raqam 342

Imam Ibn Jauzi Nay Isey Apni Zuafa May Darj Kiya Hai (Al Zuafa Wal Matrukin Raqam 1251)

Imam Ibn Adi Nay Kaha Iski Ahadees Gair Mehfooz Hai (Al Kamil Jild 4 Safa 58, Raqam 664 , Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 91 Raqam 2815)




 

Aimma Say Sakht Kalam Honay Kay Bawajud Wo Kaunsi Tawseek Baki Hai Jiski Bina Per Is Hadees Ko Daleel Banana Halal Hoga ?


Aur Is Riwayat Per Khud Gair Muqallid Hazraat Ka Amal Nahi Hai Kyuki Nahar Say Murad Seene Ka Wo Upari Hissa Hota Hai Jo Gale Say Mila Hota Hai Lekin Yeh Hazrat Toh Yaha Say Takreeban 8-10 Inch Niche Seene Per Bandhte Hai Bhala Is Riwayat Ka Inko Kya Fayda ? Jab Sakht Zaef Hadees Per Inka Mukammal Amal Hi Nahi Toh Daleel Kay Taur Per Yeh Hadees Pesh Karne Mardud Aur Batil Hai.

 END 


Tuesday 7 May 2024

,

 



Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (04)


Yeh 4th Part Hai , Gair Muqallid Ki Pesh Karda Daleel Seene Per Hath Bandhne Ki Hadeeso Ka Haal


Imam Ahmed Nay Yahya Bin Saeed Say Unhone Sufiyan Say Unhone Simaq Bin Harb Say Unhone Kabisaah Say Unhone Apne Walid Halab Tai Say Ki Hazrat Halab Tai Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Ki Mene NABI ﷺ  Ko Dahini Janib Say Wapas Jate Hue Dekha Hai Aur Baye Janib Say Bhi Aur Mene NABI ﷺ   Ko Apna Daya Haath Baye Haath Per Seene Per Rakha Hua Dekha Hai Aur Dahina Haath Baye Haath Kay Jod Per Tha.

Musnad Ahmed Bin Hanbal Jild 10 Hadees 22313


 

Is Riwayat Ka Haal Muhaddis Ki Nazar May

Iski Sanad May 1 Rawi Simaq Bin Harb Zaef Hai

Imam Shuaba Nay Isko Zaef Karar Diya Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 119)

Imam Saleh Isey Zaef Qarar Dete Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 120)

Imam Nasai Farmate Hai Jab Akela Ho Toh Bilkul Kabil E Qabul Nahi Kyuki Isey Talkin Ki Jati Thi Aur Yeh Qabul Karleta Tha (Marif Al Sunan Jild 2 Safa 440)

Imam Ibn Ammar Farmate Hai Ki Muhaddisseen Ka Faisla Hai Ki Yeh Galityo Ka Shikar Tha (Mizan Ul Aitidal Jild 2 Safa 216)

Imam Ibn Mubarak Nay Farmaya Iski Hadees May Zauf Hai (Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 2 Safa 115)

Imam Ibn Kharas Nay Farmaya Iski Hadees May Gadbad Hai (Tehzeeb Ut Tehzeeb Jild 2 Safa 115)

Imam Zehbi Nay Isey Zaufa May Shumar Kiya Hai (Al Mugni Lil Zehbi Jild 1 Safa 448)

Imam Ibn Adi Nay Isey Zaufa May Shumar Karte Hai (Al Kamil Lil Ibn Adi Jild 4 Safa 641)

Imam Jauzi Nay Bhi Isey Zaufa May Shumar Kiya Hai (Kitab Zaufa Wal Matrukin Lil Ibn Jauzi Jild 2 Safa 26)

Imam Ukeli Nay Isey Apne Zaufa Ki Fehrist May Darj Kiya Hai ( Zaufa E Kabir Jild 2 Safa 178)

Imam Abul Qasim Al Ka’abi Nay Isko Baab “Un Logo Ka Bayan Jinhe Muhaddisseen Nay Ahle Bidat Aur Khwaish Parast Kaha Hai” Kay Tahet Bayan Kiya Hai (Kubulul Akhbar Wa Marifat Ur Rijal Jild 2 Safa 381-390)

Imam Ahmed Bin Hanmbal Nay Mujtaribul Hadees Kaha (Tehzeeb Ul Kamal Jild 13 Safa 119

 

Aur Mashur Gair Muqallid Zuber Ali Zai Api Kitab “Namaz Me Haath Bandhne Ka Hokum Aur Muqam” May Likhta Hai Ki Baaz Log Musnad Ahmed Ki Seene Per Haath Bandhne Wali Hadees Kay Rawi Simaq Bin Harab Per Bhi Jirah Kardete Hai (Safa 38)

Halaki Khud Isne Is Rawi Per Jarah Karte Hue Is Rawi Ki 1 Riwayat Ko Zaef Kaha Hai Aur Iske Zauf Ki Nishandehi Bhi Ki Hai Dekhiye Iski Kitab (Fatawa Ilmiya Jild 2 Safa 122)

In Tashreehat Say Malum Hua Kay Simaq Bin Harab Jamhur Kay Nazdeek Zaef Hai.

Pas Yeh Hadees Is Wajah Say Sakht Zaef Hai Aur Na Qabil E Hujjat Hai Lekin Inke Baare May Bahut Say Aimma Hazraat Ki Tauseeq Bhi Maujud Hai Aur Aisa Rawi Jiskay Baare May Tauseeq Aur Kalaam Paya Jaye Wo Rawi Hasan Hota Hai Aur Inko Allam Nemwi Nay Bhi Hasan Kaha Hai.

 

Hadees May Isterab

 

Dusri Illat Is Hadees Ko Zaef Kehne Ki Yeh Hai Ki Iske Matan May Kalam Hai Kyuki Yeh Hadees Muztarib Hai Aur Gair Muqallid Hazraat Kay Shaikh Zuber Ali Zai Kay Nazdeek Muztarib Hadees Zaef Hai (Nurul Aynen Safa 60)

Is Hadees May “Ala Sadr” Yaani “Seene Per” Kay Alfaz Gaur Mehfooz Hai Kyuki Isi Sanad Say Iske Alawa Khud Imam Ahmed Bin Hanmbal Nay 9 Ahadees Naqal Ki Hai.

Musnad Ahmed Jild 10 Hadees 22316 , 22319 , 22321 , 22322 , 22324 , 22327 , 22328 , 22330 , 22331 , May Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Ala Sadr Kay Alfaz Maujud Nahi Hai. 


















Imam Tirmidhi Nay Sunan Tirmidhi Jild 1 Hadees 238 May 1.Kutayba 2.Abu Al Ahwas 3.Simaq Bin Harab 4.Kabisa 5.Bin Halab Tai Ki Sanad Say Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Bhi Seene Per Haath Bandhne Kay Lafz Maujud Nahi.


حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا أَبُو الأَحْوَصِ، عَنْ سِمَاكِ بْنِ حَرْبٍ، عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ هُلْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَؤُمُّنَا فَيَأْخُذُ شِمَالَهُ بِيَمِينِهِ ‏.‏ قَالَ وَفِي الْبَابِ عَنْ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ وَغُطَيْفِ بْنِ الْحَارِثِ وَابْنِ عَبَّاسٍ وَابْنِ مَسْعُودٍ وَسَهْلِ بْنِ سَعْدٍ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ هُلْبٍ حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.‏ وَالْعَمَلُ عَلَى هَذَا عِنْدَ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَالتَّابِعِينَ وَمَنْ بَعْدَهُمْ يَرَوْنَ أَنْ يَضَعَ الرَّجُلُ يَمِينَهُ عَلَى شِمَالِهِ فِي الصَّلاَةِ ‏.‏ وَرَأَى بَعْضُهُمْ أَنْ يَضَعَهُمَا فَوْقَ السُّرَّةِ ‏.‏ وَرَأَى بَعْضُهُمْ أَنْ يَضَعَهُمَا تَحْتَ السُّرَّةِ ‏.‏ وَكُلُّ ذَلِكَ وَاسِعٌ عِنْدَهُمْ ‏.‏ وَاسْمُ هُلْبٍ يَزِيدُ بْنُ قُنَافَةَ الطَّائِيُّ ‏.‏ 

Reference : Jami` at-Tirmidhi 252
In-book reference : Book 2, Hadith 104
English translation : Vol. 1, Book 2, Hadith 252


Isi Tarah Imam Ibn Majah Nay Sunan Ibn Majah Jild 1 Hadees 809

1.Usman Bin Abi Shayba 2.Abu Al Ahwas 3.Simaq Bin Harab 4.Kabisa 5.Bin Halab Tai Ki Sanad Say Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Bhi Yeh Lafz Maujud Nahi


حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا أَبُو الأَحْوَصِ، عَنْ سِمَاكِ بْنِ حَرْبٍ، عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ هُلْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَؤُمُّنَا فَيَأْخُذُ شِمَالَهُ بِيَمِينِهِ ‏.‏ 

Reference : Sunan Ibn Majah 809
In-book reference : Book 5, Hadith 7
English translation : Vol. 1, Book 5, Hadith 809


Isi Tarah Imam Darqutni Nay Sunan Darqutni Jild 2 Hadees 1085

1.Abu Muhammad Bin Sa’ad 2.Yaqub Bin Ibrahim 3.Abdur Rehman Bin Mehdi 4.Sufiyan 5.Simaq Bin Harab 6.Kabisa 7.Bin Halab Tai Ki Sanad Say Yeh Hadees Takhreej Ki Hai Magar Isme Bhi Yeh Lafz Maujud Nahi.

 

Lihaza Simaq Bin Harab Is Lafz Ki Zyadti May Munfarid Hai Aur Imam Nasai Farmate Hai Ki Jab Akela Ho Toh Bilkul Kabil E Qabul Nahi Kyuki Isey Talkin Ki Jati Thi Aur Kabul Karleta Tha (Marif Al Sunan Jild 2 Safa 440)

 

Allama Nemwi Farmate Hai Issey Malum Hua Ki Imam Ahmed Nay Ba Tarik Yahya An Sufiyan Jo Riwayat Bayan Ki Hai Yeh Bahut Say Ashab E Sufiyan Wa Simaq Ki Riwayat Kay Khilaf Hai Pas Yeh Mehfuz Nahi Hosakti (Talik Ul Hasan Jild 1 Safa 68)

 

Aur Imam Tirmidhi Aur Imam Nemwi Kay Nazdeek Namaz May Haath Bandhne Kay Sirf 2 Hi Mazhab Hai , Naaf Kay Upar Ya Naaf Kay Niche.

 

Imam Tirmidhi Farmate Hai Baaz Ahle Ilm Kehte Hai Haath Ko Naaf Kay Upar Bandhe Aur Baaz Kehte Hai Naaf Kay Niche Bandhe Aur Yeh Sab Jayaz Hai.

Sunan Tirmidhi Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 238

Imam Nawawi Fee Sharah Sahih Muslim Jild 1 Safa 173

 

Aur Is Hadees Say Bilkul Bhi Pata Nahi Chal Raha Ki Aap ﷺ   Nay Namaz Apne Haatho Ko Seene Per Rakhe Thay Kyuki Is Puri Hadees May Namaz Ka Lafz Hi Maujud Nahiaur Phir Khud Imam Ahmed Bin Hanmbal Radialla Taala Anhu Jo Is Kitab Kay Musannif Hai , Inhone Bhi Is Amal Ko Namaz May Say Nahi Samjha Balki Aap Namaz May Seene Per Haath Rakhne Ko Makhruh Kehte Hai (Masail Ahmed Ba Riwayat Abi Dawud Safa 48 Raqam 221)

 

Aur Hazrat Ali Wali Riwayat Per Apka Amal Hai Jo Iske Khilaf Hai (Masail Ahmed Ba Riwayat Abi Dawud Safa 48 Raqam 220) Lihaza Yeh Kaise Hosakta Hai Ki Nabi ﷺ   Say Baqaul Gair Muqallideen Kay Sahih Riwayat Honay Kay Bawajud Ek Mujtahid Seene Per Haath Rakhne Ko Makhruh Kehde Lihaza Imam Sahib Ka Apni Kitab Ki Is Riwayat Kay Khilaf Amal Karna Iska Wazeh Saboot Hai Ki Yeh Riwayat Namaz Kay Liye Nahi Hai Aur Agar Namaz Kay Mutaliq Maan Bhi Liya Jaye Tab Bhi Yeh Zaef, Muztarib Aur Bilkul Bhi Qabil E Istedlal Nahi Hai

End Part 04

Part 05 ki Link

https://786sho.blogspot.com/2024/05/seene-per-haath-bandhne-wali-hadeeso-ka_8.html
,

 



Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (03)


Yeh 3rd Part Hai , Gair Muqallid Ki Pesh Karda Daleel Seene Per Hath Bandhne Ki Hadeeso Ka Haal


Imam Ibn Khuzayma Kehte Hai Humne Abu Tahir Say Unhone Abu Bakr Say Unhone Abu Musa Say Unhone Momil Bin Ismail Say Unhone Sufiyan Sawri Say Unhone Asim Bin Kulayb Say Unhone Apne Walid Say Aur Wo Hazrat Wayl Ibn Hajar Radialla Taala Anhu Say Riwayat Karte Hai Ki Wo Farmate Hai I Mene Rasul ALLAH ﷺ  Kay Saath Namaz Padhi Aur Apne Apna Daya Haath Baye Haath Per Rakhkar Seene Per Bandh Liye.

Sahih Ibn Khuzayma Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 479

 

Is Hadees Me 1 Rawi Momil Bin Ismail Zaef Hai Aur Yeh Aimma E Nakideen Kay Nazdeek Bhi Zaef Hai.

1)      Mashur Gair Muqallid Albani Likhte Hai Yeh Hadees Zaef Hai Kyuki Momil Bin Ismail Bure Hafizay Wala Tha (Taliq Sahih Ibn Khuzayma Jild 1 Safa 243)

2)      Imam Zehbi Farmate Hai Sacche Hai Sunnat Kay Paband Hai Aur Kasirul Khata Hai , Kehte Inki Kitab Dafan Kardi Gai Thi Aur Yeh Hifz Say Riwayat Karte Aur Galti Kargaye (Al Kashif Jild 2 Safa 309)

3)      Imam Bukhari Nay Inko Munkarul Hadees Farmaya Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 29 Safa 178 , Mizan Ul Aitidal Jild 4 Safa 228)

4)      Imam Ibn Sa’ad Farmate Hai Siqah Hai Magar Bahut Galtiya Karte Hai (Tabqat Ul Kubra Jild 5 Safa 501)

5)      Ibn Kanay Kehte Hai Wo Saleh Hai Magar Khatakar Hai (Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa 194)

6)      Imam Darqutni Farmate Hai Siqah Hai Magar Bahut Galti Karte Hai (Sawalat Ul Hakim Lil Darqutni Safa 492, Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa 194)

7)      Imam Abu Hatim Kehte Hai Sacche Hai Sunnat Per Sakhti Say Pehra Hai Magar Bahut Galti Karte Hai (Jarah Wa Tadil Jild 8 Safa 374, Tehzeeb Ul Kamal Jild 29 Safa 178)

8)      Imam Abu Jara Kehte Hai Ki Inki Hadees May Bahut Galtiya Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 4 Safa228)

9)     Imam Marwaji Kehte Hai Jab Momil Hadees Me Akela Ho Toh Wajib Hai Ki Tawkuf Kiya Jaye Kyuki Wo Kharab Hafze Wala Kasirul Khata Tha (Sawalat Marwaji Raqam 13, Tehzeeb Ul Tehzeeb Jild 4 Safa 194)

1    Imam Ibn Hajar Farmate Hai Momil Bin Ismail Jo Hadees Sufiyan Sawri Say Riwayat Kare Usme Zauf Hota Hai (Fath Ul Bari Jild 9 Safa 239 Raqam 7251)

  )    Ek Aur Gair Muqallid Alim Muhammad Bin Saleh Usaymin Kay Nazdeek Yeh Hadees Zaef Hai. (Arkan E Islam Safa 271)

12   Imam Ibn Hibban Kehte Hai Inki Kitabein Dafan Kardi Gai Thi Aur Yeh Hifz Say Riwayat Karte Aur Galti Kargaye (As Siqat Jild 9 Safa 187, Tehzeeb Ul Kama Jild 29 Safa 178)

13   Imam Yaqub Bin Sufiyan Ne Kaha Ki Yeh Siqah Shuyuk Say Munkir Riwayat Bayan Karta Tha (Kitab Ul Marfat Wa Tarikh Jild 3 Safa 52)

14   Imam Abi Umar Samarkandi Ne Kaha Momil Bin Ismail Sahih Ul Hifz Hai (Fawaid Abi Umar Safa 131 Raqam 17)

15   Dusri Jagah Zaef Kaha (Ayzan , Safa 22)

16   Imam Nasai Ne Kharab Hafizay Wala Likha (Mujalassan Nasai Safa 48 Raqam 17)

17   Aur Ek Jagah Kasirul Khata Likha Hai (Sunan Al Kubra Jild 3 Safa 99)

18   Imam Yahya Ibn Mueen Ne Kaha Apne Hifz Say Hadees Bayan Karta Aur Zyadati Karta Tha (Sawalat Junaid Safa 444-445 Raqam 709)

19   Imam Ammar Ne Kaha Apne Hifz Say Hadees Bayan Karta Tha Aur Bahut Zyada Galti Karta Tha (Ilal Hadees Safa 107)

20   Imam Hussaini Ne Kaha Hifz Say Hadees Bayan Karta Aur Galti Karta (Raqam 5747)

21   Imam Ibn Kaseer Ne Kaha Sudook Tha Lekin Kasirul Khata Tha Aur Sufiyan Sawri Kay Sathiyo May Iska Bada Muqam Nahi Tha (Tafseer Ibn Kaseer Jild 3 Safa 385)

22   Imam Ibn Khuzyma Ne Sue Hifz Kaha (Sahih Raqam 1860)

23   Imam Zehbi Ne Al Mugni Fee Zuafa May Zikr Kiya (Raqam 6547)

24   Allama Turkmani Ne Kaha Maeel Ba Tazaef (Jawahirul Naki Jild 2 Safa 30)

 

Iski Bahut Zyada Tazaef Ki Gai Hai Hum Itne May Hi Tawkuf Karte Hai.

Note : Itne Aimma E Muhaddiseen Kay Nazdeek Momil Ka Zaef Hona Is Baat Ki Daleel Hai Ki Yeh Riwayat Sahih Toh Kya Hasan Darje Ko Bhi Nahi Pahuchti.

 

Hadees May Isterab

 

Is Hadees Me Isterab Hai Kyuki Hazrat Wayl Bin Hajar Radialla Taala Anhu Say Jitni Bhi Hadeesein Haath Bandhne Ki Marwi Hai Sab May Sirf Daye Haath Ko Baye Haath Per Bandhne Ki Riwayat Maujud Hai.

Sahih Muslim Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 891

Sahih Ibn Hibban Safa 577 Hadees 1860

Sahih Ibn Khuzayma Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 480

Musnad E Ahmed Jild 8 Hadees 19051, 19057, 19071, 19075, 19076, 19081, 19083.

Sunan Nisai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 890

Sunan Ibn Majah Iqamat E Salat Wal Sunnah Jild 1 Hadees 810

Sunan Darqutni Kitab Us Salat Jild 2 Hadees 1086

Sunan Darmi Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1277

 

Siwaye Ibn Khuzayma Wali Riwayat Kay (Sahih Ibn Khuzayma Hadees 479) Jo Zaef Hai Aur Daleel Upar Guzar Chuki Aur Sunan Bayhaki Ki Riwayat Jo Zaef Hai Iski Daleel In Sha ALLAH Aagay Ayegi


Lihaza IS Hadees Say Gair Muqallid Ehtijaj Kaise Karsakte Hai Jabki Unka Dawah Toh Sirf Sahih Hadees Per Amal Karne Ka Hai ???


End Part 03

Part 04 Link 

https://786sho.blogspot.com/2024/05/seene-per-haath-bandhne-wali-hadeeso-ka_76.html

Sunday 5 May 2024

,

 


Seene Per Haath Bandhne wali Hadeeso ka Jayza (02)


Yeh 2nd Part Hai , Gair Muqallid Ki Pesh Karda Daleel Seene Per Hath Bandhne Ki Hadeeso Ka Haal

Daleel 02 : Sunan Abi Dawud Ki Hadees Ka Haal.

 حَدَّثَنَا أَبُو تَوْبَةَ، حَدَّثَنَا الْهَيْثَمُ، - يَعْنِي ابْنَ حُمَيْدٍ - عَنْ ثَوْرٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى، عَنْ طَاوُسٍ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَضَعُ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى يَدِهِ الْيُسْرَى ثُمَّ يَشُدُّ بَيْنَهُمَا عَلَى صَدْرِهِ وَهُوَ فِي الصَّلاَةِ ‏.‏

Tarjuma: Imam Abu Dawud Riwayat Karte Hai Abu Tauba Wo Haysham Bin Humayd Say Wo Saur Say Wo Sulayman Bin Musa Say Aur Wo Riwayat Karte Hai Hazrat Tawus Radialla Taala Anhu Say Kay Wo Farmate Hai Ki ALLAH Kay Rasul ﷺ  Namaz May Hote Toh Apna Dahina Haath Apne Baye Haath Kay Upar Rakh Kar Apne Seene Per Bandh Lete .

1)      Abi Dawud Safa 138 Hadees 34

Reference

 : Sunan Abi Dawud 759

In-book reference

 : Book 2, Hadith 369

English translation

 : Book 3, Hadith 758

 

Is Hadees Ko In Aimma Ne Zaef Kaha Hai.

1)      Allama Ibn Nuzaim Misri Nay Is Hadees Ko Zaef Kaha Hai (Behrura Raiq Safa 03)

2)      Allama Nemwi Ne Is Hadees Ko Zaef Kaha Hai (Taliqul Hasan Jild 1 Safa 145)

3)      Allama Hashim Sindhi Likhte Hai Isme 2 Rawi Sahi Nahi Hai , 1-Sulayman Bin Musa Aur 2-Haysham Bin Humayd (Dirham Assurah Safa 27)

Note : Rajeh Qaul Yahi Hai Ki Haysham Bin Humayd Siqah Hai (Tehzibul Kamal Jild 30 Safa 372.)

 

Is Hadees Me Jaise Aap Dekh Sakte Hai Ki 1 Rawi Hai Sulayman Bin Musa Damishq Hai Jo Muatkalim Fee Rawi Hai.

1)      Imam Bukhari Farmate Hai Munkirul Hadees Hai (Ilal E Tirmidhi Safa 257 Hadees 473.)

2)      Aur Farmate Hai Mere Nazdeek Wo Munkar Riwayat Naqal Karne Wala Hai (Tehzeeb Ul Kamal Jild 12 Safa 97)

3)      Aur Imam Bukhari Ne Iski Munkir Riwayat Ko Naqal Kiya Hai (Bukhari Fee Zuafa E Sageer Safa 55   Raqam 146)

4)      Imam Abu Hatim Farmate Hai Ki Sacchai Uska Mahal Aur Uski Baaz Hadees Me Isterab Hai (Az   Jarrah Wa Tadil Jild 4 Safa 142 Raqam 615)

5)      Imam Nasai Farmate Hai Ki Wo Hadees Me Kawi Nai Hai Aur Kuch (Kalam) Hai(Tehzeeb Ul Kamal   Jild 12 Safa 97)

6)      Aur Inhone Zaef Qarar Diya Hai (Zuafa Wal Matrukin Lil Nisai Safa 186 Raqam 252)

7)      Imam Saji Farmate Hai Mere Nazdeek Munkar Riwayat Naqal Karne Wala Hai Al Ikmal Mugaltai Jils   2 Safa 135)

8)      Imam Tirmidhi Farmate Hai Uske Paas Munkar Hadees Hai (Ilal E Tirmidhi Safa 257 Hadees 473)

9)      Ibn Jurayj Farmate Hai Mere Nazdeek Uski Hadees Ajeeb Hai (Imam Bukhari Fee Tarikh Ul Ausat Jild 1 Safa 340)

10   Imam Ibn Abdul Barr Farmate Hai Ki Wo Buray Hafize Wala Hai (Iztazkar Jild 15 Safa 204)

1)     Imam Mardini Farmate Hai Wo Mutaqallim Fee Rawi Hai Aur Uski Hadees Ma Sakht Isterab Hai Jisko Imam Abdul Barr Nay Bayan Kiya Hai (Zohar Al Naqi Jild 9 Safa 296)

12   Imam Ali Bin Madni Farmate Hai Ki Unper Kalam Kiya Gaya Hai (Zuafa E Ukayli Jild 2 Safa 506)

13    Imam Ibn Hibban Farmate Hai Ki Uski Tamam Khabre Tadlees Ki Hui Hai ( Masahir Ul Ullema Al Amsar Safa 210 Raqam 1415)

14   Imam Jarud Nay Bhi Inhe Zaef Me Shumar Kiya Hai (Hashiya Tehzeeb Ul Kamal Jild 12 Safa 98)

15   Imam Zehbi Nay Bhi Zaef Qara Diya Hai (Zehbi Fee Diwan E Zuafa Wal Matrukin Safa 176 Raqam 1783)

1)    Ek Jagah Aur Imam Zehbi Ne Zaef Qara Diya Hai (Al Mugni Fil Zuafa Jild 1 Safa 408 Raqam 2630)

17   Imam Ukeli Nay Bhi Zaef Qara Diya Hai ( Zuafa E Kabir Jild 2 Safa 506 Raqam 632)

18   Imam Ibn Jawzi Nay Bhi Zaef Qarar Diya Hai (Ibn Jawzi Zuafa Wal Matrukin Jild 2 Safa 25 Raqam 1549)

19   Imam Abu Jara Razi Nay Bhi Zuafa May Shumar Kiya Hai (Kitab Al Zuafa Jild 2 Safa 622)

 

Aur Yeh Hadees Mursal Bhi Hai Kyuki Iski Sanad May Say Sahabi Ka Naam Gayab Hai Aur 1 Tabai Sidhe Rasul ALLAH ﷺ  Say Riwayat Karrahe Hai Aur Khud Firqa Gair Muqallideen Kay Nazdeek Mursal Hadees Zaef Ka Darja Rakhti Hai , Inhi Kay Ek Alim Zubair Ali Zai Jo Inkay Yaha Muhaqqiq E Asr Kehlate Hai Wo Zaef Hadees Ki Tariff Kuch Yun Farmate Hai.


“Har Wo Hadees Jisme Sahih Aur Hasan Hadees Ki Sifat Maujud Na Ho To Wo Zaef Hadees Hogi , Aur Iski Iqsam Yeh Hai Masalan Mauzu, Maklub, Shaaz, Muallil,Muztarib,Mursal,Munqatah,Aur Muazzil Wagaira (Nur Ul Aynen Safa 60)



Aur Khud Zuber Ali Zai Nay Khud Is Riwayat Ko Mursal Honay Ki Wajah Say Zaef Mana Hai (Namaz Me Haath Bandhne Ka Hokum Aur Maqam Safa 24)

 


Malum Hua Gair Muqallid Ki Yeh Pesh Karda Hadees Zaef Hai Aur Na Qabil E Qabul Hai.

End Part 02


Part 03 Link :

https://786sho.blogspot.com/2024/05/seene-per-haath-bandhne-wali-hadeeso-ka_7.html

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers