Hadees 01 :
Hazrar Ummul Momineen Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Mominon Me Se Kamil Tareen Momin Woh Hai Jo Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai.
Aur Apne Ahl-O-Ayal Ke Saath Nihayat Narm Hai.”
हज़रत आयशा रदियल्लाहु तआला अन्हा रिवायत करती हैं कि हुज़ूर नबी ए करीम ﷺ ने फरमाया:
मोमिनों में से कामिल तरीन मोमिन वो है जो बेहतरीन अखलाक का मालिक है।
और अपने अहल-ओ-अयाल के साथ निहायत नर्म है।”
📖 Imam Tirmizi Sunan Hadees 2612
Imam Tirmizi Kahte hai Ye Hadees Sahih Hai
📖 Imam Hakim Al Mustadraq Hadees : 2612
Imam Hakim Kahte Hai Ye Hadees Bukhari Muslim Ki Shart Pe Sahih Hai
📖 Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Hadees : 2450
📖 Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf 05/210, Hadees : 25319
Hadees 02:
Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Rivayat Karte hai ki Huzur Nabi E Karim ﷺ. Ne Farmaya
Tum Me Sabse Zyada Mehboob Aur Kayamat Ke din Mere Nazdik Tareen Baithne Wale Wo Log Hain, Jo Tum Me Se Akhlakh Me Acche Hai.
हजरत जाबिर रदी अल्लाहु अन्हु रिवायत करते हैं की हुज़ूर नबी-ए अकरम ﷺ ने फरमाया: तुम में सब से ज़्यादा महबूब और कयामत के दिन मेरे नज़दीक तरीन
बैठने वाले वो लोग हैं जो तुम में से अख़्लाक़ में अच्छे हैं."
📖 Imam Tirmizi Sunan Hadees : 2018
📖 Imam Ibn Hibban As Sahih 02/235, Hadees : 485
📖 Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Ibn Umar, Hadees : 7035
📖 Imam Bayhaqi Shuabul Iman Hadees : 799
Hadees 03 :
Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E ﷺ Ne Farmaya: Husn-E-Akhlaq Se Badh Kar Mizaan Me Bhaari Cheez Koi Nahin Hogi."
हजरत अबू दर्दा रदी अल्लाहु अन्हु से मरवी है हुजूर नबी ए पाक ﷺ ने फरमाया
हुस्न ए अखलाक से बढ़ कर मिज़ान में भारी चीज कोई नहीं है
📖 Sunan Abu Dawood Hadees : 4799
📖 Sunan Tirmizi Hadees : 2002
Imam Tirmizi Kahte Hai Ye Hadees Hasan Sahih Hai
📖 Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad
06/448, Hadees : 27572
📖 Imam Ibn Hibban As-Sahih, 02/230, Hadees : 481,
📖 Imam Ibn Asim Sunnah Hadees : 783
Hadees 04 :
Hazrat Abu Zar Gaffari Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Tumhara Apne Musalman Bhai Ke Liye Muskurana Bhi Sadka Hai
हजरत अबू ज़र रदी अल्लाहु अन्हु से मरवी है हुजूर नबी ए करीम ﷺ ने इरशाद फरमाया तुम्हारा अपने मुसलमान भाई के लिए मुस्कुराना भी सदका है
📖 Imam Tirmizi Sunan Hadees : 1956
📖 Imam Ibn Hibban Sahih, Hadees : 474
📖 Imam Tabarani Al Mujam Ul Awsat 08/183, Hadees : 8342
📖 Imam Ghazali Fiqh Us Sunnah 03, Pg :98
Hadees 05 :
Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Be Shak Woh Shakhs Aag Par Haraam Kar Diya Gaya Hai Jo Narm Khoo (Nek Mizaaj), Khoosh Akhlaaq Aur (Nek Majaalis Me) Logon Ke Qareeb Hai.”
हज़रत अब्दुल्लाह बिन मसऊद रदियल्लाहु तआला अन्हु से मरवी है कि हुज़ूर नबी-ए-अकरम ﷺ ने फरमाया
बेशक वो शख़्स आग पर हराम कर दिया गया है जो नर्म ख़ू (नेक मिजाज़), ख़ुश अखलाक और (नेक मज़ालिस में) लोगों के क़रीब है।”
📖 Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Ahmad Bin Hanbal, 01/415, Hadees : 3938,
📖 Imam Tabarani Al Mujam Al Kabir 10/231, Hadees : 10262
📖 Imam Ibn Hibban Sahih 02/215, Hadees : 469
📖 Imam Abu Yala Al Musnad Hadees : 5053
Continue
No comments:
Post a Comment