Ek mashoor waqiya jo har aam wa khas ke jaban par maujood hai jisko ek qawwal ne padha hai aur wo mashoor itna zyada hogaya waqye ka khulasa ye hai ke Ek baar baaj Sahaba Ne Nabi E Karim ﷺ ki bargaah e aqdas me ye complaint ki ke Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Azan ke kalimat ko ada karne me kuch mistake kar dete hai kisi dusre ko muazzin bana diya jaaye lihaja is wajah se kisi aur ko Azan dene ka hukm diya gaya, raat kaafi hogayi subah na huwi Hazrat Umar Radiallahu Anhu - Nabi E Karim ﷺ ki baargah me Hazir Huwe aur ye baat kahi ke subah nahi horahi itne me Hazrat Jibril E Ameen Alaihsalam Hazir huwe aur Farmaya Bilal Radiallahu Anhu Ki Azan Arsh wale bhi sunte hai liahaja ab jab tak Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Azan na denge Subah na hogi, Phir Hazrat Bilal Radiallahu Anhu ne Azan kahi aur subah huwi.
Ab Is waqiyat ko bayan karne me qawwal ne jo rang roop diya hai saccha waqiya kah kar bayan kiya hai woh kisi se chupa nahi hai halanki ye pura waqiya jhutha mangadant hai.
Imam Shamsudin Sakhawi Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 831 Hizri Likhte hai
“Allama Jamaludin Mizzi Rahmatullah Alaih Farmate hai Ye Rivayat Aam Wa Khas ke jaban par to mashoor hai par hume ye kisi bhi kitab me na mili”
Ek Aur Makam Par is rivayat ka zikr karte likhte hai
“Hafiz Ibn Kathir likhte hai ke is rivayat ki koi asl nahi hai”
(Al Maqasid Al Hasanah, Raqam : 221,582)
Allama Mufti Shariful Haq Amzadi Rahmatullah Alaih likhte hai
“Tamam Muhaddiseen ka is baat par ittefaque hai ke ye rivayat mauzu manghadant hai aur bilkul jhuth hai”
(Fatawa Shara E Bukhari Vol : 02, Pg : 38)
“Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Ko Azan Se majool karne ka hukm humko nahi mila”
(Fatawa Bahrul Uloom, Vol : 01, Pg : 109)
Aur Bhi kayi buzurgo ne isko mauzu manghadant waqiya bayan kiya hai isko bayan karne se hume bachna chahiye.
No comments:
Post a Comment