Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 28 May 2024

,


 

Tark e Rafayadein ki Hadees per Tehqeeqi Jayza (01)


[Hadees] 

Tarjuma :

Hazrat Alkama Radialla Taala Anhu Riwayat Karte Hai Ki Abdullah Ibn Masood Radialla Taala Anhu Nay Farmaya “Kya May Tumhe Nabi ﷺ Ki Namaz Na Padhau? Rawi Kehta Hai Ki Phir Apne Namaz Padhai Aur Ek Baar (Yani Namaz Kay Shuru May) Kay Alawa Rafayadein Nahi Kiya.


Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 2 Hadees 2456

Sunan Tirmidhi Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 243

Sunan Nasai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 1029

Musnad Abu Yala Jild 8 Safa 453 – 454 Hadees 5040

Sunan Kubra Lil Nasai Jild 1 Hadees 649

Musnad Ahmed Jild 2 Hadees 3681

Sunan Abu Dawood Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 748

Sharah Mani Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1258

Muajam Ul Kabeer Jild 9 Hadees 9298

Asaar E Sunnah Safa 150 Hadees 402

Al Mahli Jild 3 Safa 4

Nasb ul Rayah Jild 1 Safa 394 Hadees 1705, 1706

Madinatul Kubra Jild 1 Safa 69

Musanad Ul Tahawi Jild 5 Safa 364 Hadees 5066

Tamheed Lil Abdul Barr Jild 9 Safa 215

Jam’a Al Fawaid Jild 1 Safa 73

Athaful Mahar Jild 10 Safa 392

Teeyasrul Wasool Jild 1 Safa 326

Mukhtasarul Ahkam Jild 2 Safa 103

Sharah Sunnah Lil Bagawi Jild 3 Safa 24 Tahtul Hadees 561

Nakhbul Afkar Jild 4 Safa 163

Al Daraya Jild 1 Safa 150

Juzz Rafayadein Hadees 32

 




Sanad : Waqih Ibn Jarah > Sufiyan Sawri > Asim Bin Kulayb > Abdur Rehman Bin Aswad > Alkama


1 Waqih Ibn Jarah

Imam Yayha Bin Muin Nay Farmaya Mene Waqih Say Afzal Kisi Ko Nahi Dekha Wo Qibla Ruh Hokar Hadeesein Yaad Karte, Din Ko Roza Rakhte Aur Raat Ko Ibadat May Guzarte Thay, Aur Imam Abu Hanifa Kay Qaul Per Fatawa Dete Thay.

Imam Ahmed Bin Hanmbal Farmate Hai Ki Mene Waqih Say Zyada Wasih Ilm Wala Aur Unse Bada Hafiz E Hadees Nahi Dekha

Imam Hajar Nay Farmaya Sihah Sitta Kay Rawiyo May Say Hai, Imam Bukhari, Muslim, Abu Dawud Kay Shuyukh Nay Inse Riwayat Li Hai, Imam Tirmidhi, Nasai Aur Ibn Shayba Kay Shuyukh Nay Bhi

Imam Ahmed Bin Sahal Nay Farmaya Ki Hazrat Waqih Apne Waqt Kay Imam Ul Muslimeen Thay

Tahzib Ul Tahzib Jild 11 Safa 109 – 114

Taqreeb ut Tahzib Jild 2 Safa 276 Raqam 7414

Tafseel Kay Liye Dekhe (Tahzib Ul Kamal Jild 30 Safa 462 Raqam 6695)


 


2 Sufiyan

Imam Ibn Hibban Nay Inko Siqat Nay Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 6 Safa 401)

Imam Bukhari Nay Inka Zikr Tarikh Ul Kabir May Kiya Hai (Tarikh Ul Kabir Jild 2 Safa 92 Raqam 2077)

Imam Ibn Hajar Nay Inke Baare Farmaya Yeh Siqah, Hifz, Faqeeh, Abid, Imam Hujjat Hai (Taqreeb Ut Tahzib Safa 239 Raqam 2445)

Imam Ahmed Bin Abdullah Al Ijli Nay Kaha Kufa Ki Sabse Acchi Sanad Hai Sufiyan, An Mansoor, An Ibrahim, An Alkama, An Abdullah

Inse Puri Ek Jamat Nay Riwayat Li Hai

(Tahzib Ul Kamal Jild 11 Safa 154 – 169 Raqam 2407)



 


3 Asim Bin Kulayb

Imam Ijli Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Safa 27)

Imam Ibn Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 7 Safa 256)

Imam Ibn Shaheen Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai Aur Siqah Mamoon Likha Hai (As Siqat Safa 220 Raqam 799)

Imam Ahmed Bin Hanmbal Nay Kaha Inki Hadees May Koi Kharabi Nahi Hai

Imam Ibn Muin Aur Imam Nasai Nay Siqah Kaha Hai

Imam Abu Hatim Nay Saleh Kaha

Tahzib Ul Kamal Jild 13 Safa 538 Raqam 3024



 


4 Abdur Rehman Bin Aswad

Imam Ijli Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Safa 33)

Imam Ibn Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 5 Safa 78)

Imam Yahya Bin Muin, Imam Nasai, Ibn Kharash Nay Siqah Kaha Hai (Tahzib Ul Kamal Jild 16 Safa 531 – 32 Raqam 3758)


 



5 Al Kamah Bin Kaish

Imam Ibn Hibban Nay Inhe Siqat May Zikr Kiya Hai (As Siqat Jild 5 Safa 207)

Imam Ahmed Bin Hanmbal Aur Imam Yahya Bin Muin Nay Siqah Kaha

Aap Jaleel Ul Qadr Tabai Hai Aur Apke Manakib Bahut Zyada Hai

Tahzib Ul Kamal Jild 20 Safa 300 – 308 Raqam 4017

 




Lihaza Is Tehqeeq Say Sabit Hua Ki Iski Sanad Sahih Hai. 

 


[Aitraaz 1]


Mashur Gair Muqallid Zuber Ali Zai Nay (Nur Ul Aynen Safa 129 – 140) Per Is Hadees Ko Zaef Sabit Karne Kay Liye Bahut Say Mardud Aitraz Kiye Hai Ki Jinme Say Ek Yeh Hai Ki Is Hadees Ka Daromadar Sufiyan Sawri Rehmatullah Alayh Per Hai Aur Wo Tabqat   Salasa Kay Mudallis Hai Aur Yeh Riwayat Bhi Mu An Ana Hai Lihaza Yeh Riwayat Inki Tadlees Ki Wajah Say Zaef Hai.

 

[ Jawab ]


Hum Kehte Hai Ki Zuber Ali Zai Sahab Nay Adat Kay Mutabik Har Us Hadees Per Jarah Kar Rakhi Hai Jo Unke Maslak Kay Khilaf Ho Aur Yeh Aitraz Bhi Zuber Ali Zai Al Kazzab Ka Wo Jhoota Dawah Hai Jisme Yeh Akele Hai Aur Haq Baat Yeh Hai Ki Zuber Ali Zai Sahab Kabhi Mudallis Ko Mukammal Taur Per Zaef Kehte Hai Aur Kabhi Mudallis Kay Tabqat Ka Iqrar Karte Hai Jab Khud Inke Qaul May Tazad Paya Jaata Hai Toh Phir Kisi Mudallis Rawi Kay Baare May Inki Tazaef Ki Kya Keemat?

Jabki Imam Sufiyan Sawri Dusre Tabke Kau Mudallis Hai

(Tarif Ahle Takdees Lil Ibn Ibn Hajar Safa 24 Raqa 51)


Aur Martaba Saniya Kay Mudallis Ki Tadlees Sama Per Mehmool Ki Jati Hai, In Sha ALLAH Aagay Aimma E Muhaddiseen Aur Khud Firka E Gair Muqallid Kay Namwar Alimo Say Sabit Karege Ki Unhone Imam Sufiyan Sawri Ko Tabqat Saniya Ka Mudallis Mana Hai Ya Mudallisseen Kay Tabqat Ka Iqrar Kiya Hai.

 

[ Aimma E Muhaddisseen ]


Hafiz Salauddeen (Jama’e Tehsil Safa 106)

Imam Ibn Sabt Al Ajmi (Asma Ul Mudallissen Safa 66)

Imam Abu Jara’a (Kitab Ul Mudallisseen Safa 52)

Imam Ibn Hajar (Nuqat Ala Ibn Salah Jild 2 Safa 637)

Imam Ibn Hajar (Tarif Ahle Taqdees  Safa 24 Raqam 51)

 

[ Gair Muqallid Alim ]


Maulana Mubarakpuri (Tohfatul Ahozi)

Badiuddin Shah Rashdi (Asma Ul Mudallisseen Safa 22)

Hafiz Gondalvi (Khairul Kalam)

Abdullah Ropadi (Fatawa Ahle Hadees Jild 1 Safa 468)

Irshad Ul Haq Asri (Tauzihul Kalam Jild 1 Safa 759)

Dr Awab Hussain (Taqbat Ul Mudallisseen Fee Sahih Bukhari Safa 170)

Dr Awab Hussain (Taqbat Ul Mudallisseen Fee Sahih Muslim Safa 72)

Dr Asim Bin Abdullah Karyuti (Taqbat Ul Mudallisseen Safa 32)

Dr Rafa’at Fauji (Al Mudallisseen Number 52 Hashiya 12)

Dr Nafiz Hussain (Al Mudallisseen Number 52 Hashiya 12)

 

Yaha Humne Tawalat Ki Wajah Say Bahut Say Gair Muqallid Hazraat Kay Naam Nahi Likhe Jinko Darkaar Hai Wo Allama Faisal Khan Ki Tasneef “Masala Tark E Rafaydein Per Zuber Ali Zai Kay Aitrazati Mazameen Ka Jawab Safa 77 – 78” Dekhe.

 

Lihaza Sabit Hua Kay Imam Sufiyan Sawri Jamhoor Gair Muqalliddeen Kay Nazdeek Tabqat Saniya Kay Mudallis Hai Lihaza Unka An Ana Is Riwayat Ko Mijar Nahi Aur Yeh Zuber Ali Zai Sahab Ki Munfarid Rai Per Ghadi Hui Imarat Per Zordar Zarb Hai.

 

[Aitraz 2]


Phir Agla Aitraz Jo Zuber Ali Zai Nay Kiya Is Hadees Ki Tashih Karne Wale 2 Aimma Hi Hai, 1 Imam Tirmidhi Aur 2 Ibn Hajam Zahiri Jabki Iski Tazaef Karne Wale Kuch Naam Ginwaye Hai

 

[Jawab]


Hum Kehte Hai Ki Zuber Sahab Nay Yaha Bhi Kizb Bayani Say Kaam Liya Hai Aur Haq Ko Chupaya Hai Jabki Haq Yeh Hai Ki Bahut Say Muhaddisseen Hazraat Nay Is Hadees Ko Sahih Kaha Hai, Pesh Ekhidmat Kuch Chand Hawale.

Imam Tirmidhi Nay Is Hadees Ko Hasan Sahih Kaha Hai (Sunan Tirmdhi Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 243)

Mashur Gair Muqallid Imam Ibn Hajam Zahiri Nay Isko Sahih Kaha Hai (Al Mahli Jild 3 Safa 4)

Hafiz Zayli Likhte Hai Ki Allama Ibn Katan Ul Magribi Nay Isko Sahih Kaha Hai (Nasb ul Rayah Jild 1 Safa 395)

Allama Ayni Nay Isey Sahih Kaha Hai (Nakhbul Afkar Jild 2 Safa 601)

Mashur Muhaqeeq Ahmed Muhammad Shakir Nay Isey Sahih Kaha Hai (Musnad Ul Ahmed Ba Talikat Ahmed Muhammad Shakir Jild 5 Safa 251)

Allama Nemwi Nay Isey Sahih Kaha Hai (Asaar Se Sunnah Safa 150 Hadees 402)

Aur Gair Muqallid Alim Albani Likhte Hai “Haq Toh Yeh Hai Ki Yeh Hadees Imam Muslim Ki Sharait Per Sahih Hai Aur Jin Logo Nay Isey Ma’lul Qarar Diya Hai Hume Unki Koi Aisi Daleel Nahi Mili Jissey Istedlal Sahih Ho Aur Uski Wajah Say Hadees Ko Radd Kiya Jaye” (Takhreej Mishkat Jild 1 Safa 254 Raqam 809)

Imam Tahawi Nay Iski Tasheeh Ki Hai (Sharah Mani Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1258)

Imam Ibn Kittan Al Fasi Nay Kaha Yeh Sehat Kay Qareeb Hai (Bayan Ul Waham Wal Ibham Jild 3 Safa 367)

Imam Darqutni Nay Kaha Iski Sanad Sahih Hai (Al Ilal Jild 5 Safa 172)

Allama Turkmani Farmate Hai Yeh Hadees Imam Muslim Ki Shart Per Sahih Hai (Jawahir Ul Naqi Jild 2 Safa 78)

Imam Mughaltai Nay Isey Sahih Kaha Hai (Sharab Ibn Majah Jild 5 Safa 1467)

Imam Qasim Isey Sahih Kehte Hai (Tarif Ul Akhbar Raqam 167)

Imam Ibn Hajar Nay Isey Sahih Kaha (Al Daraya Jild 1 Safa 150)

Imam Suyuti Nay Isey Sahih Kaha (Imlai Al Masnua Jild 3 Safa 19)

Imam Ibn Daqeeq Al Eid Nay Sahih Kaha Hai (Nasb ul Rayah Jild 1 Safa 395)

Hafiz Ibn Qayyum Nay Sahih Kaha Hai (Tahzib Ul Sunnah Jild 1 Safa 368)

Allama Abid Sindhi Nay Sahih Kaha (Mawahibul Tifa Kalmi Safa 259)

Shaikh Hafiz Sindhi Nay Sahih Kaha (Kashf Ur Rayn Safa 56)

Muhaddis Surti Nay Sahi Kaha (Talik Ul Mujli Safa 305)

 

Issey Yeh Malum Hua Ki Yeh Hadees Muhaddisseen Kay Ek Baday Tabke Aur Khususan Gair Muqallid Kay 11 Bade Ullema Kay Nazdeek Sahih Hai Jo Aagay Aarahi Hai, Lihaza Issey Zuber Ali Zai Ka Jhoot Bhi Sabit Hogaya.

 

[Aitraz 3]


Phir Zuber Ali Zai Nay Teesra Aitraz Kiya Hai Ki Asim Bin Kulayb Say Riwayat Karne May Sufiyan Sawri Alag Hai.

 

[Jawab]


Hum Kehte Hai Kay Zuber Ali Zai Kay Is Aitraz Per Hujjat Qayam Karne Kay Liye Yahi Kafi Hai Ki Imam Al Hafiz Darqutni Nay Asim Bin Kulayb Say Is Hadees Ko Riwayat Karne May Sufiyan Sawri K 2 Siqah Mutabe

1 Abu Bakr Nahshli, Siqah Sabt (Tahzib Ul Kamal Jild 33 Safa 156 Raqam 7267

2 Abdullah Bin Idris, Siqah Sabt (Tahzib Ul Kamal Jild 14 Safa 293 Raqam 3159

Ginwaye Hai ( Ilal Darqutni Jild 5 Safa 171 – 173 Raqam 804)

Aap Tamam Faisla Kare Ki Gair Muqallid Zuber Ali Zai Ki Baat Maani Jaye Ya Jaleel Ul Qadr Imam Ki Jinke Baare May Ek Sawal Kay Jawab May Imam Hakim Nay Kaha Ki Imam Darqutni Nay Khud Apne Jaisa Alim Nahi Dekha Hoga Phir May Kaise Dekh Sakta Hu? (Hashiya Sunan Darqutni Jild 1 Safa 13)

 

Sabit Hua Kay Hazrat Abdullah Ibn Masood Radialla Taala Anhu Ruku May Jaate Aur Uthte Waqt Rafayadein Nahi Karte Thay, Ullema E Ahnaf Kehte Hai Ki Hazrat Ibn Masood Radialla Taala Anhu Jaise Jaleel Ul Qadr Sahabi E Rasool ﷺ Kay Baad Apko Sahaba Ko Namaz Ka Tareeka Amli Taur Per Sikha Rahe Hai Aur Isme Sirf Baar Iftetah Namaz Kay Mauke Per Haath Uthate Hai, Issey Yeh Malum Hua Ki Rasul ALLAH ﷺ Ka Mamool Yahi Tha Aur Yehi Sunnat Hai Agar Hazrat Abdullah Ibn Masood Radialla Taala Anhu Nay Rasul ALLAH ﷺ Ko Hamesha Rafayadein Karte Hue Dekha Hota Toh Aap Kabhi Bhi Nabi ﷺ Kay Khilaf Amal Na Karte Aur Na Huzur Kay Khilaf Iski Taleem Dete, Isliye Imam Abu Hanifa Aur Bahut Say Faqeeh Rafayadein Kay Qayal Nahi Hai Aur Yehi Kehte Hai Ki Rafayadein Sirf Shuru Namaz May Hi Hai.

 

Ab Aye Dekhte Hai Ki Bahut Say Gair Muqallid Alimo Nay Is Hadees Ki Tasheeh Ki Hai


Maulana Nazar Ahmed Dehlvi (Fatawa E Nazariya Jild 10 Safa 442)

Muhaqeeq Shueb Arnaut (Hashiya Sharah Sunnah Jild 3 Safa 24)

Muhaqeeq Zahirul Shawesh (Hashiya Sharah Sunnah Jild 3 Safa 24)

Ataullah Hanif (Talikat Ul Salfiya Safa 123)

Muhammad Abdullah Punjabi (Aqeeda Muhammadiya Jild 2 Safa 116)

Maulana Ibrahim Siyalkoti (Wazeh Ul Bayan Safa 399)

Naseereuddin Albani ( Sahih Ul Nasai Jild 1 Safa 20)

Maulana Ubaidullah (Sharah Mishkat Jild 2 Safa 293)

Dr Shareef Mansoor Bin Awn (Marwiyat E Ibn Masood Jild 1 Safa 487)

Hussain Salim Asad (Hashiya Musnad Ul Abi Yala Jild 8 Safa 454)

In Sab Gair Muqallid Ullemao Nay Is Hadees Ko Sahih Kaha Hai

Lihaza Sabit Hua Kay Yeh Hadees Indal Aimma Sahih Hai.


END

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 


Sunday, 26 May 2024

,

 



Namaz May Rafayadein Karna Aur Uska Jayza (01)


Ruku May Jaate Aur Ruku Say Uthte Waqt Rafayadei (Yaani Haath Uthana) Kay Baare May Aimma E Kiram May Bahut Say Ikhtilaf Hai Aur Rahi Sahi Kasar Gair Muqallido Nay Puri Kardi Hai Aur Isey Imaano Kufr Ka Mauzu Bana Liya ,Is Masala Ko Itna Uchala Ki Gair Muqallid Hazraat Rafaydein Na Karne Wale Ko Rasul ALLAH ﷺ Ka Ghustakh Aur Na Farman Tasleem Karne Lagay ,Sach Baat Toh Yeh Hai Ki Dono Ka Saboot Nabi ﷺ Aur Sahaba Aur Tabaeen Say Silsilawar Maujud Hai, Kisi 1 Masale Ka Paksh Letay Hue Dusre Ka Inkar Karna Jahilana Amal Hai, Namaz Me Rafayadein Usi Tarah Sabit Hai Jis Tarah Tark E Rafayadein Sabit Hai, Magar Yeh Dawah Karna Ki Nabi ﷺ Nay Hamehsa Rafayadein Kiya Hai, Yeh Sahih Nahi Aur Mohtaj E Daleel Hai.


Aimma E Mujhtahideen Ka Maslak


Kuch Arz Karne Say Pehle Rafayadein Kay Masala Per Aimma E Mujhtahideen Kay Maslak Per 1 Nazar Dalte Chale, Jisa Ki Humne Upar Likha Ki Aimma Dono Taraf Maujud Hai, Baaz Kay Nazdeek Rafayadein Nahi Hai Aur Baaz Kay Nadeek Rafayadein Ka Saboot Nahi,

1 Maslak Yeh Hai Ki Namaz May Sirf Takbeer Oola Kay Waqt Rafayadein Hai Aur Uske Baad Ruku Wagaira Kay Mauka Per Nahi Hai.

Allama Ayni Nay Zikr Kiya Hai Ki Rafayadein Na Karna Imam Abu Hanifa Aur Unke Ashab Ka Maslak Hai, Isi Tarah Imam Sufiyan Sawri, Imam Nakhai, Ibn Ali Laila, Alkama Bin Qais, Aswad Bin Yazeed, Imam Shueba, Imam Abi Ishaq, Imam Mugira, Imam Waqih Ibn Jarah, Imam Asim Bin Kulayb, Aur Imam Jafar Ka Bhi Yahi Qaul Hai Aur Ek Riwayat Say Imam Malik Ka Mashur Mazhab Bhi Yahi Hai, Aur Imam Tirmidhi Nay Kaha Ki Beshumar Sahaba Aur Tabaeen Nay Bhi Yahi Baat Kahi Hai.

Umdatul Qari Sharah Sahih Bukhari Jild 4 Safa 380

Aur Allama Abdul Hay Lakhnawi Sahab Nay Likha Hai Ki Yahi Hazrat Sawri, Hazrat Hasan Bin Hayi, Aur Tamam Faqeeh Kufa Ka Qaul Hai, Aur Yahi Hazrat Ibn Masood Radialla Taala Anhu Aur Unke Shagirdo Ka Qaul Hai.

Ta’alik Ul Mumjad Safa 91

Aur Malikiyo Ki Mashur Kitab “Al Madina Tul Kubra” May Imam Malik Ka Qaul Hai Ki “May Siwaye Shuru Namaz Ki Takbeer Kay Kahi Bhi Rafayadein Ko Nahi Janta Na Jhukte Waqt Na Uthte Waqt. 

Al Madina Tul Kubrak Jild 1 Safa 165

 

2 Maslak Yeh Hai Ki Takbeer Tehrima Kay Baad Ruku May Jaate Waqt Aur Ruku Say Sir Uthate Hue Bhi Rafayadein Hai

Allam Ayni Kehte Hai Yehi Maslak Imam Shafai, Imam Ahmed Bin Hanmbal, Imam Ishaq, Imam Sawr, Aur Imam Tabri Ka Hai, Isi Tarah Imam Malik Ki Ek Riwayat Yahi Hai Aur Imam Hasan Basri, Imam Ibn Shireen, Ata Bin Abi Ribah, Tawus, Mujahid, Qasim Bin Muhammad, Saalim, Qatada, Makhol, Saeed Bin Zuber, Ibn Mubarak, Aur Sufiyan Bn Uyyayna Ka Hai.

Umdatul Qari Sharah Sahih Bukhari Jild 4 Safa 379

Al Mughni Lil Ibn Qadama Jild 1 Safa 350

Issey Malum Hua Ki Sahaba Aur Tabaeen May Say Bhi Bahut Say Hazraat Nay Kisi Na Kisi Qaul Say Ko Ikhtiyar Kiya Hai.

Raha Raajay Aur Marjuh Ka Muamla Toh Kisi Nay Tark Rafayadein Ko Tarjeeh Di Hai Toh Kisi Nay Rafayadein Ko Tarjeeh Di Hai Aur Imam Abu Hanifa Aur Ullema E Ahnaf Bhi Tark E Rafayadein Ki Tarjeeh Kay Qayal Hai.

Al Ham Du Lil Lah Hum Ahnaf Na Toh Yeh Kehte Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Nay Namaz May Rafayadein Kiya Hi Nahi Aur Na Rafayadein Ko Nahsiq Mante Hai Balki Rafayadein Ko Mansukh Honay K Qayal Hai Kyoki Nabi ﷺ Nay Isko Tark Kardiya Tha.

 

Hum Un Ahadeeso Ka Jayza Lege Jissey Yeh Hazraat Daleel Pakadte Hai Aur Kehte Hai Ki Rafayadein Karna Hi Nabi ﷺ Ki Akhri Sunnat Hai

 

Daleel 01


حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُقَاتِلٍ، قَالَ أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ، قَالَ أَخْبَرَنَا يُونُسُ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، أَخْبَرَنِي سَالِمُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، رضى الله عنهما قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا قَامَ فِي الصَّلاَةِ رَفَعَ يَدَيْهِ حَتَّى يَكُونَا حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ، وَكَانَ يَفْعَلُ ذَلِكَ حِينَ يُكَبِّرُ لِلرُّكُوعِ، وَيَفْعَلُ ذَلِكَ إِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ وَيَقُولُ ‏ "‏ سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ ‏"‏‏.‏ وَلاَ يَفْعَلُ ذَلِكَ فِي السُّجُودِ‏.‏



Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Mene Rasul ALLAH ﷺ Ko Dekha Jab Aap Namaz Kay Liye Khade Hote Toh Rafayadein Karte Hatta Kay Dono Haath Kandho Kay Barabar Ho Jate Aur Aap Ruku May Jaate Waqt Aur Ruku Say Uthate Waqt Isi Tarah Karte Jaise Namaz Kay Shuru May Karte Aur Sami Allahu Liman Hamida Kehte Hue Ruku Say Khade Hojate Aur Sajde May Aisa Nahi Karte.

Sahih Bukhari Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 736

Yeh Hadees Sehat Kay Lihaz Say Ala Darje Ki Hai Aur Is Hadees Say Rafayadein Kay Qayal Hazraat Nay Istedlal Kiya Hai Aur Wo Isko Sabse Zyada Mazboot Hujjat Aur Daleel Kehte Hai, Magar Yeh Riwayat Sanad Kay Aitbaar Say Qawi Hone Kay Bawajud Rafayadein Na Karne Walo Kay Paas Is Hadees Per Amal Na Karne Ki Wajah Hai.

 

Hazrat Mujahid Say Marwi Hai Ki Mene Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Kay Piche Namaz Padhi, Aap Takbeer E Tehrima Kay Alawa Namaz May Kahi Rafayadein Nahi Karte Thay.

Sharah Maani Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1265

Musannaf Ibn Abi Shayba Jild 1 Hadees 2467

Marfat Ul Sunan Wal Asaar Lil Bayhaqi Jild 2 Safa 429

Asaar E Sunnah Safa 151 Hadees 405

Imam Ayni Nay Farmaya Kay Yeh Hadees Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ki Sharto Per Sahih Hai.

Nakhbul Afkar Jild 2 Safa 612

Allama Ibn Turkmani Nay Iski Sanad Ko Sahih Kaha Hai.

Jawahirul Naqi Jild 2 Safa 109

Allama Nemwi Nay Inko Sahih Kaha Hai

Asaar E Sunnah Safa 151 Hadees 405

 




Isliye Ullema Ahnaf Kehte Hai Ki Jab Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Nay Khud Hi Rasul ALLAH ﷺ Say Riwayat Kiya Hai Ki Aap Rafayadein Karte Thay Toh Phir Bina Kisi Wajah Kay Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Kyo Isey Tark Karege? Zahir Hai Ki Inke Paas Rafayadein Ko Tark Karne Ki Wajah Yahi Hai Ki Unhone Rasul ALLAH ﷺ Ko Isey Tark Karte Hue Dekha Hoga, Toh Apke Is Amal Say Yeh Ishara Milta Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Bhi Rafayadein Nahi Karte Thay,Jaisa Ki Ibn Masood Radialla Taala Anhu Wagaira Sahaba Say Marwi Hai, Aur Ahnaf Ka Yeh Ek Usool Hai Ki Jab Kisi Sahabi Ki Riwayat Kay Unka Amal Ho Toh Wo Riwayat Mansukh Hai, Isliye Hazrat E Ibn Umar Radialla Taala Anhi Nay Rafayadein Ki Riwayat Kay Bawajud Isey Tark Kardiya Toh Issey Unki Riwayat Mansukh Hogai, Agarche Sahih Isnad Ho.

Is Sahih Hadees Ki Taeed Is Hasan Hadees Say Hoti Hai Jisko Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Kay Dusre Shagird Hazrat Abdul Aziz Bin Hakim Nay Riwayat Kiya Hai.

 

Hazrat Abdul Aziz Bin Hakim Riwayat Karte Hai Ki Mene Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Ko Namaz Kay Shuru May Dono Kano Ki Law Tak Rafayadein Karte Dekha Iske Alawa Wo Kabhi Haath Nahi Uthate.

Muwatta Imam Malik Hadees 108

Hujjat Alal Ahle Madina Lil Imam Muhammad Jild 1 Safa 98


Jab 1 Sahabi Say 2 Qabil E Etimad Tabaeen Gawahi De Toh Zahir See Baat Hai Ki Is Riwayat Ko Takwiyyat Pahuchti Hai, Aur Wo Baat Is Layak Banjaati Hai Ki Log Issey Hujjat Pakde.

“Riwayat Ibn Umar May Tatbeek”

Ek Baat Yeh Bhi Hai Ki Ibn Umar Radialla Taala Anhu Kay Baaki Aur Shagirdo Nay Inko Rafayadein Karte Hue Bhi Dekha Hai Masalan Hazrat Naafe Say

Sahih Bukhari Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 739

Sunan Al Kubra Lil Bayhaqi Jild 2 Hadees 2510

Aur Hazrat Tawus Say (Amani Ul Ahbar Safa 214)


Yeh 2 Qism Ki Riwayat Hai Ab Zahir Hai Ki Ismay Tatbeek Ki Surat Talash Karni Padegi Lihaza Tatbeek Ki Surat Kay Baare May Imama Tahawi Nay Farmaya


Hosakta Hai Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Nuskh Ka Ilm Hone Say Pehle Rafayadein Karte Ho Aur Isko Hazrat Tawus, Saalim, Aur Nafe Nay Dekha Aur Bayan Kiya Ho Aur Jab Apko Nuskh Ka Ilm Hogaya Aur Apne Rafayadein Tark Kardiya Uswaqt Mujahid Aur Abdul Aziz Bin Hakim Nay Apko Dekha Ho Aur Isko Bayan Kiya Ho

Sharah Mani Ul Asaar Kitab Us Salat Jild 1 Hadees 1265 (scan page)






 

Daleel 02


حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ الْوَاسِطِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ خَالِدٍ، عَنْ أَبِي قِلاَبَةَ، أَنَّهُ رَأَى مَالِكَ بْنَ الْحُوَيْرِثِ إِذَا صَلَّى كَبَّرَ وَرَفَعَ يَدَيْهِ، وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَرْكَعَ رَفَعَ يَدَيْهِ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ رَفَعَ يَدَيْهِ، وَحَدَّثَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم صَنَعَ هَكَذَا‏.‏


Hazrat Malik Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Kay Mene Nabi ﷺ Ko Dekha Ki Apne Jab Takbeer Kahi Aur Jab Ruku Kiya Aur Jab Ruku Say Sir Uthaya Toh Rafayadein Kiya.

Sahih Bukhari Jild 1 Kitab Ul Azan Hadees 737

Yeh Hadees Bhi Sehat Kay Lihaz Say Ala Darje Ki Hai Aur Is Hadees Say Rafayadein Kay Qayal Hazraat Nay Istedlal Kiya Hai Aur Wo Isko Is Hadees Ko Dusre Darje Ki Mazboot Hujjat Aur Daleel Tasleem Karte Hai Magar Yeh Riwayat Sanad Kay Aitbar Say Qawi Hai Hone Kay Bawajud Rafayadein Na Karne Walo Kay Paas Is Hadees Per Amal Na Karne Ki Wajah Hai.

Aur Is Hadees Kay Mansukh Hone Ki Taeed Is Tarah Bhi Hoti Hai Ki Hazrat Malik Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Hi Sunan Nasai Me Sahih Sanad Kay Saath Yeh Hadees Maujud Hai Jisme Ruku Kay Saath Saath Sajdo May Bhi Rafayadein Karne Ka Zikr Hai.


سنن نسائی

کتاب: نماز شروع کرنے سے متعلق احادیث

باب: سجدہ کرنے کے وقت ہاتھ اٹھانا

حدیث نمبر: 1088

أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ، ‏‏‏‏‏‏قال:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي أَبِي، ‏‏‏‏‏‏عَنْ قَتَادَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ نَصْرِ بْنِ عَاصِمٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مَالِكِ بْنِ الْحُوَيْرِثِ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَكَانَ إِذَا دَخَلَ فِي الصَّلَاةِ فَذَكَرَ نَحْوَهُ وَزَادَ فِيهِ وَإِذَا رَكَعَ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ السُّجُودِ فَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ.

 تخریج دارالدعوہ:  تفرد بہ النسائي، انظر حدیث رقم: ٨٨١ (بدون ذکر الزیادة)، (تحفة الأشراف: ١١١٨٤) (صحیح  )   

 قال الشيخ الألباني:  صحيح   


Hazrat Malik Bin Huwairish Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Ki Mene Nabi ﷺ Ko Dekha Ki Jab Namaz May Aap Ruku Karte Aur Jab Ruku Say Sir Uthate Aur Jab Sajda Karte Aur Jab Sajde Say Sir Uthate Toh Rafayadein Karte Hatta Kay Apne Dono Haatho Ko Apne Kaano Kay Upar Wale Hisse Kay Barabar Farma Lete.

Sunan Nasai Kitab Ul Iftetah Jild 1 Hadees 1088

Albani Nay Isey Sahih Kaha Hai (Sahih Ul Nasai 1085)

 

Jamhoor Nay Is Hadees Kay Sajde Wale Rafayadein Ko Nahi Liya Aur Isey Mansukh Kaha Hai Jab Is Hadees Kay Is Tukde Ko Isliye Nahi Liya Kay Yeh Mansukh Hai Toh Phir Ruku Kay Rafayadein Ko Mansukh Manne May Kya Dikkat Hai ?

 

Ya Phir Apko Sajde May Bhi Rafayadein Karna Chahiye Kyoki Gairmuqallid Kay Mashur Alim Shaikh Albani Nay Apni Kitab May Likha Hai Ki “Sajdo Ka Rafayadein 10 Sahaba Say Riwayat Hai” (Salat Un Nabi Safa 146)

Aur Likhte Hai “Nabi ﷺ Ka Har Takbeer Per Rafayadein Karna Sahaba Ki 1 Jamat Say Sabit Hai (Takhreej Ul Mishkat Jild 1 Safa 248)

Phir Kyo Rafayadein Kay Qayal Hazraat Nay Isey Mansukh Qarar Dekar Tark Kar Diya Halaki Isko Mansukh Qarar Dene Walo Kay Wo Hi Daleelein Li Hai Jo Hanafi Hazraat Nay Ruku Kay Dauran Kiye Jaane Wale Rafayadein Ko Mansukh Sabit Karne Kay Liye Li Hai.

Isliye Allaa Nemwi Farmate Hai Ki “Wo Log Durustagi Ko Nahi Pahuche Jo Yeh Kehte Hai Ki Sajde Kay Rafayadein Kay Baare May Koi Hadees Nahi Hai Aur Jinhone Isko Mansukh Kaha Hai Unke Paas Is Daleel Kay Alawa Koi Daleel Nahi Ki Jaisi Us Shaks Ki Daleel Hai, Jinhone Yeh Kaha Ki Takbeer Tehrima Kay Alawa Rafayadein Nahi Hai”

Asaar E Sunnah Safa 150 Hadees 401

 

Daleel 03

Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Farmate Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Jab Namaz Shuru Karte Toh Rafayadein Karte Aur Jab Ruku May Jaate Aur Ruku Say Sir Uthate Waqt Isi Tarah Karte Aur Sajde May Aisa Nahi Karte, Aur Yeh Namaz Apki Hamesha Rahi Hatta Kay ALLAH Taala Say Jaa Mile.

Nasburraya Kitab Us Salat Jild 1 Safa 409

Al Diraya Jild 1 Safa 153

Talkhijul Khabeer Jild 1 Safa 218


Is Hadees Ko Likhkar Kuch Gair Muqallid Kehte Hai Ki Dekho Huzur Nay Wisal Tak Rafayadein Kiya Hai Isliye Isey Tark Karna Jahiliyat Aur Haram Hai

Hum Kehte Hai Ki Yeh Hadees Sirf Zaef Hi Nahi Balki Manghadat Hai.

Allama Nemwi Nay Kaha Yeh Hadees Sirf Zaef Hi Nahi Balki Manghadat Hai (Asaar E Sunnah Safa 147 Hadees 394)

Is Sanad May 1 Rawi (Abdur Rehman Bin Quraish Bin Khuzayma Harwi) Hai Jo Hadees Khalat Malat Karta Tha.

Imam Ibn Hajar Nay Isey Hadees Ghadne Wala Kaha Hai (Lisan Ul Mizan Jild 3 Safa 425)

Albani Nay Isey Wajahe Hadees Aur Iski 1 Riwayat Ko Mauzu Kaha Hai (Silsila Ahadees E Zaef Jild 2 Safa 228)

 

Isme 2nd Rawi Asma Bin Muhammad Al Ansari Hai Jiske Baare May Hafiz Ibn Hajar Muhaddiseen Kay Qaul Naqal Karte Hai.

Imam Abu Hatim Nay Kaha Kawi Nahi Hai

Imam Yayha Ibn Muin Nay Kazzab Aur Wajah Kaha

Imam Ukeli Nay Kaha Ki Siqat Say Batil Hadeesein Bayan Karta Hai

Imam Darqutni Nay Matrul Kaha Hai (Lisan Ul Mizan Jild 4 Safa 170)

Imam Zahbi Nay Isey Wajah Hadees Sabit Kiya Hai (Mizan Ul Aitidal Jild 3 Safa 68)

Khatib Bagdadi Nay Isey Kazzab Aur Wajahe Hadees Kaha (Tarikh E Bagdad Jild 12 Safa 286)

Imam Ukeli Nay Isko Aimma Kay Hawale Say Kazzab Aur Hadees Ghadne Wala Sabit Kiya Hai (Kitab Ul Zuafa Al Kabir Jild 3 Safa 340)

Imam Ibn Zauji Nay Aimma Kay Hawalo Say Isey Kazzab Aur Matruk Sabit Kiya Hai (Zaufa Wal Matrukin Jild 2 Safa 176)

Mashur Wahabi Alim Qazi Shawkani Nay Isey Kazzab Likha Hai (Al Fawaid Ul Majmua Safa 67)

Albani Nay Isey Munkirul Hadees Kaha (Silsila Ahadees E Zaefa Jild 1 Safa 265)

Lihaza Yeh Hadees Mauzu, Batil Aur Munkar Hai

Khud Inke Alim Abdur Rauf Nay Is Hadees Kay Akhri Izafe Ko Batil Kaha Hai (Al Qaul Ul Maqbool Safa 414)

 

Zaruri Baat


Hum Kehte Hai Ki Ruku May Rafayadein Karne Kay Mutalik Bahut See Ahadees Hai Lekin Issey Sabit Nahi Hota Ki Yeh Sunnat Hai Jabki Humare Paas Tark E Rafayadein Ki Sahih Hadeesein Maujud Hai, Aur Hum Yeh Tasleem Karte Hai Ki Rafayadein Karna Najayaz Nahi Balki Mansukh Hai Aur Issey Iski Sunniyat Khatam Hogai, Ab Chahe Jitni Daleel Pesh Ki Jaye Wo Sahih Hone Kay Bawajud Mansukh Hai.

Wallah Hu Alam

 

 

 

 


Saturday, 25 May 2024

,

 



Imam Kay Peeche Surah Fatiha Nahi Padhne Ki Hadees Aur Unka Jayza (01)

Haq Walo Ke Liye 1 Hi Daleel Kafi Hai Amal Karne Ke Liye


Hadees :


أَخْبَرَنَا الْجَارُودُ بْنُ مُعَاذٍ التِّرْمِذِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو خَالِدٍ الأَحْمَرُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَجْلاَنَ، عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِنَّمَا جُعِلَ الإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ بِهِ فَإِذَا كَبَّرَ فَكَبِّرُوا وَإِذَا قَرَأَ فَأَنْصِتُوا وَإِذَا قَالَ سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ فَقُولُوا اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ ‏"‏ ‏.‏


Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Say Marwi Hai Ki Rasul ALLAH ﷺ Ne Farmaya: "Imam Isliye Banaya Jata Hai Ke Uski Pairwi Ki Jaye Jab Wo Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Wo Qirat Kare To Tum Chup Raho."

 

1. Sunan Nasai, Kitab-Ul-Iftetah, Hadith No. 921

2. Sunan Abu Dawood, Kitab-Us-Salat, Hadith No. 601

3. Sharah Ma'ani-Ul-Aasar, Hadith No. 1201

4. Sunan Ibn-E-Majah, Kitab-Iqamat-Us-Salat Wal-Sunnah Jild 1 Hadith No. 846

5. Musnnaf Ibn Abi Shaybah Jild 3 Hadith No. 3820

6. Sunan Ad-Darakutni, Kitab-Us-Salat Jild 2 Hadith No. 1228

7. Al Mahli Lil Ibn Hajam Jild 3 Safa No. 340

8. Juzz Al Qirat Lil Bukhari Safa No. 56

9. Kitab-Ul-Qirat Lil Bayhaqi Safa No. 91

10. Sunan Kubra Lil Bayhaqi Jild 2 Hadith No. 2891

 

Sanad : Jarud Bin Maaz Trimdhi > Abu Khalid Al Ahmar > Muhammad Bin Ajlan > Zayd Bin Aslam > Abu Saleh.

1 Jarud Bin Maaz Trimdhi

Imam Tirmidhi Inko Siqah Kehte Hai

Imam Ibn Hibban Inko Alsiqat Me Bayan Karte Hai Aur Farmate Hai Mustakum Ul Hadees Hai

Tahzib Ul Tahzib Jild 2 Safa 53

 

2 Abu Khalid Al Ahmar

Imam Waqih, Ibn Muin, Ibn Madini Inko Siqah Kaha Hai

Imam Nasai Inki Tauseeq Karte Hai

Ibn Hisham Inko Siqah Aur Ameen Kehte Hai

Abu Hatim Inko Sudooq Likhte Hai

Ibn Sa’ad Inko Siqah Aur Kaseer Ul Hadees Likhte Hai

Imam Ajli Inko Siqah Aur Sabt Kehte Kehte Hai

Bagdadi Jild 9 Safa 22

Tahzib Ul Tahzib Jild 4 Safa 181

Imam Zahbi Ne Inko Al Hafiz Sudook Aur Mashur Muhaddis Kehte Hai

Tazkirat Ul Huffaz Jild 1 Safa 250

 

3 Muhammad Bin Ajlan

Imam Tirmidhi Inko Siqah Aur Mamoon Fil Hadees Kehte Hai

Kitab Ul Ilal Jild 2 Safa 238

Imam Nawawi Likhte Hai Wo Imam Ul Faqeeh Aur Abid Thay

Tahzib Ul Asma Qism 2 Jild 1 Safa 87

Imam Zahbi Inko Lmam Kehte Hai

Tazkirat Tul Huffaz Jild 1 Safa 156

Ibn Hammad Hanbali Inko Abid Paband E Shariat Aur Sadaqat Shi’ar Kehte Hai

Shajartl Zahab Jild 1 Safa 224

Imam Ahmed, Sufiyan Bin Uayyna, Imam Ajli, Abu Hatim, Imam Nasai, Ibn Muin Aur Abu Jar’a Inko Siqah Kehte Hai

Yaqub Bin Shayba Inko Sudool Kehte Hai

Imam Ibn Hibban Inko Siaqt Me Darj Karte Hai

Inke Manaqib Bahut Zyada Hai

Tahzib Ul Tahzib Jild 9 Safa 341

 

4 Zaid Bin Aslam

Imam Zahbi Inko Al Imam Aur Al Faqih Likhte Hai

Tazkirat Ul Huffaz Safa 124

Imam Ahmed,Abu Hatim,Imam Nasai, Muhammad Bin Saeed, Ibn Kharash, Yaqub Bin Shayba,Abu Jar’a Inko Siqah Kehte Hai.

Tahzib Ul Tahzib Jild 3 Safa 392.

 

5 Abu Saleh : Inka Naam Jakwan Hai

Imam Ahmed Inko Siqah Ajlunnas Aur Awsikunnas Kehte Hai

Tazkirat Ul Huffaz Jild 1 Safa 83

Imam Abu Jar’a, Imam Ibn Muin, Imam Abu Hatim, Imam Ibn Sa’ad, Imam Ajli Aur            Imam Saji Yeh Sab Inko Siqah Kehte Hai

Imam Ibn Hibban Inki Siqat Mein Likhte Hai.

Tahzib Ul Tahzib Jild 3 Safa 219.

 

Lihaza Is Hadees Ko Darj Karne Ke Baad Mashur Gair Muqallid Alim Nawab Siddik Hasan Khan Sahab Likhte Hai “Is Sanad Ke Rijal Siqah Hai” (Daleel Ul Talib Safa 294)


Gair Muqallid Ke Albani Sahab is Hadees Ko Sahih Kehte Hai , Gair Muqallid Ki Website Sunnah.Com Per Albani ki tehqeeq hai


 


 

Lihaza Sabit Hua Ke Imam Ke Peeche Surah Fatiha Ya Dusri koi Bhi Surah Nahi Padhni Chahiye.



Wednesday, 22 May 2024

,


 

Imam Kay Peeche Surah Fatiha Padhne ki Hadeesein Aur Unka Jayza (03)


Daleel Number 11 Ka Jaiza 

Hajil Bin Sharjil Farmate Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Masood Radialla Taala Anhu Imam Ke Piche Asar Ki Pehli 2 Rakato Mein Surah Fatiha Aur Iske Saath Koi Dusri Surah Bhi Padhte Thay.

1. Kitaab Ul-Qiraat, Safa 64.

Jawab

Iska Jawab Ye Hai Ke Iski Sanad Mein Ek Zaeef Ravi Lais Bin Abi Saalim Hai. Iske Bare Mein Muhaddiseen Ke Aqwaal Dekhein:

 

1. Imam Darqutni Ne Isko Zaeef Kaha.

2. Imam Behaqi Ne Isko Zaeef Kaha.

3. Imam Ahmad Isko Zaeef Kehte Hain.

4. Imam Nasa'i Isko Zaeef Kehte Hain.

5. Imam Yahya Ne Isko Zaeef Kaha (Mizan, Jild 2, Safa 260; Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 8, Safa 468).

 

Aur Iska Dusara Ravi Abdur Rahman Bin Sharwan Hai.

1. Imam Ahmad Farmate Hain Ke Isse Ehtijaz Sahih Nahi Hai (Mizan, Jild 1, Safa 300).

 

Lihaza Iske Zauf Ka Andaaza Aap Khud Laga Lijiye, Dusri Baat Yeh Ki Jab Hazrat Abdullah Ib Masood Se Sahih Sanad Ke Saath Imam Ke Peeche Qirat Na Karne Ki Hadees Maujud Hai Toh Zaef Hadees Kyo Liye Jaye

 

Daleel Number 12 Ka Jaiza 


Hazrat Abdullah Bin Magfal Radialla Taala Anhu Imam Ke Peeche Zohar Aur Asar Ki Pehli 2 Rakato Mein Surah Fatiha Aur Iske Saath 2 Surah Bhi Padhte Thay Aur Pichli Dono Rakato Mein Sirf Surah Fatiha Padhte Thay.

Juzz Al Qirat Safa 13.

 

Jawab

Iski Sanad Mein Ek Ravi Umar Bin Abi Sahim Hai, Iske Baare Mein Imam Iba Hazar Ne Likha:

 

1. Imam Zahbi Farmate Hain Ki Yeh Majhool Hai (Tahdhib Ul-Tahdhib, Jild 7, Safa 450).

Lihaza Issey Daleel Lena Bhi Batil Hai

 

Daleel Number 13 Ka Jaiza 


Abu Nasr Kehte Hain Ke Mene Hazrat Abu Saeed Khudri Radialla Taala Anhu Se Pucha Kya Imam Ke Peeche Qirat Karna Sahih Hai, Farmaya Haa Sirf Surah Fatiha

Juzz Al Qirat Safa 13

Jawab

Iski Sanad Mein Awam Bin Hamza Hai.

Imam Jauzi Ne Isko Al Zuafa Mein Darj Kiya (Jawahirul Naqi Safa 172)

Imam Yahya Bin Muin Farmate Hai Iski Hadees Mahez Hechh Hai (Mizan Jild 2 Safa 308)

Imam Ahmed Farmate Hai Yeh Sahib E Munkar The (Tadhib Ut Tadhib Jild 8 Safa 163)

Lihaza Issey Bhi Daleel Pakadna Batil Hai

 

Daleel Number 14 Ka Jaiza 


Hazrat Sabit Radialla Taala Anhu Farmate Hain Ke Hazrat Anas Radialla Taala Anhu Humein Imam Ke Peeche Qirat Karne Ka Hokum Diya Karte The.

1. Kitaab Ul-Qiraat, Safa 124.

 

Iski Sanad Mein Bhi Wahi Rawiyan Awam Bin Hamza Hain Jo Is Se Pehle Hadees Mein Aaya Hain Aur Imam Baihaqi Ne Imam Ibn Khuzayma Ke Hawale Se Likha Ki Sahih Tareen Baat Yeh Hai Ki Awam Bin Hoshab Ka Naam Lena Sahih Nahi Balki Awam Bin Hamza Hi Hai

 

Daleel Number 15 Ka Jaiza

 

Hazrat Mujahid Radialla Taala Anhu Farmate Hain Ke Maine Hazrat Abdullah Bin Umro Radialla Taala Anhu Ko Zohar Aur Asar Mein Imam Ke Peeche Qirat Karte Suna

1. Sunan Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2942

Is Hadees Mein Bhi 1 Ravi Hai Hussain Jiske Baare Mein Aimma Farmate Hai

1. Hafiz Ibn Hajar Farmate Hain Ke Iska Hafiza Akhri Umar Mein Kharab Hogaya Tha (Taqreeb Safa 95)

2. Imam Abul Haatim.

3. Imam Nasa'i.

4. Imam Yazid Bin Haroon Farmate Hain Ke Iska Hafiza Akhri Umar Mein Kharab Hogaya Tha (Tahdib Ul Tahdib, Jild 2, Safa 382).

 

Daleel Number 16 Ka Jaiza 


Hazrat Ibn Umar Radialla Taala Anhu Aur Hazrat Abdullah Bin Uthba Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Yeh Dono Imam Ke Peeche Qirat Karte The.

 

1. Sunan Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2941.

 

Iski Sanad Mein Abdul Malik Bin Muhammad Hai, Jiska Baare Mein Aimma Ne Kalam Kiya Hai

Imam Darqutni Farmate Hain Ke Wo Sudooq Tha Magar Sanad Aur Matan Mein Bahut Zyada Khata Karta Tha (Tahzib Ul Tahzib, Jild 2, Safa 420).

 

2. Imam Haakim Farmate Hain Ke Agar Raviyaat Mein Munfarid Ho Toh Oos Hadees Se Ihtijaj Jaaiz Sahih Nahi

3. Abu Kasim Farmate Hain Ke Mere Paas Inki Hadeeso Ke 10 Jildein Maujud Hai , Lekin Inme Se Koi Bhi Aisa Nahi Jo Inke Waham Se Bach Saki Ho Wo Zubani Riwayat Bayan Kiya Karte Thay Isliye Unke Waham Bahut Zyada Hai (Tahzib Ul Tahzib, Jild 2, Safa 421).

 

Lihaza Yeh Hadees Bhi Zaef Hai Na Qabil E Qabool Hai.

 

Daleel Number 17 Ka Jaiza 


Far’a Bin Harab Se Marwi Hai Ke Mene Hazrat Iba Abbas Radialla Taala Anhu Ko Farmate Hue Suna Ki Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padha Karo

1. Kitab Ul Qirat Safa 138.

 

Iski Sanad Mein Marwaan Bin Muawiya Hai, Jo Ke Mudallis Hain.

 

1. Imam Ibn Muin Farmate Hain Wo Agar Maroof Raviyo Se Riwayat Kare Toh Siqah Hai (Tazkiratul Huffaz, Jild 1, Safa 272).

 

2. Aur Agar Majhool Logo Se Riwayat Kare Toh Zaef Hai (Tahzib Ul Tahzib, Jild 10, Safa 98).

 

3. Aur Farmaate Hain Wo Galiyose Humare Liye Suyook Chun Lete Thay (Tazkiratul Huffaz, Jild 1, Safa 272).

 

4. Aur Farmate Hai Ke Mene Tadlees Karne Mein Unse Bada Bahane Baaz Nahi Dekha (Tazkaratul Huffaz, Jild 1, Safa 272).

 

5. Aur Farmaate Hain Ke Woh Logon Se Chhupaane Ke Liye Raviyo Ke Naam Badal Dete The (Tazkaratul Huffaz, Jild 1, Safa 272).

 

6. Imam Abu Dawood Farmate Hain Ke Woh Raviyo Ke Naam Badal Dete The.

 

7. Abu Haatim Farmate Hain Ke Woh Sachhe Toh Hain Magar Bakasrat Majhool Raviyo Se Riwayat Karte Hai

8. Imam Zahbi Farmate Hain Ke Woh Be-Tahasha Zindo Aur Murdo Se Riwayat Karte The (Tazkaratul Huffaz, Jild 1, Safa 272).

 

9. Imam Iba Hajar Kehte Hain Ke Woh Mudallis Hone Ke Saath Saath Shia Bhi Thay (Takreeb Safa 273)

Aur Is Sanad Mein Far’a Bin Harab Hai Jo Majhool Hai Lihaza Yeh Hadees Bhi Zaef Hai

 

 

Daleel Number 18 Ka Jaiza

 

Hazrate Abu Darda Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Unhone Farmaya Ke Imam Ke Peeche Surah Fatiha Ki Qirat Tark Na Ki Jaye Agarche Imam Buland Padhe Ya Ahista

1. Sunan Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Hadees 2943.

 

Iski Sanad Mein Walid Bin Muslim Hai, Aur Yeh Mudallis Hai.

 

1. Abu Mas’har Kehte Hain Ke Woh Juthe Raviyo Se Bhi Tadlees Karliya Karte Thay

2. Imam Zahbi Kehte Hain Jab Yeh Ibn Jariz Aur Auzai Se An Se Tadlees Kare Toh Iski Hadees Ka Katai Aitbar Na Hoga (Mizan Jild 3 Safa 275) (Tazhib Ul Tahzib Jild 11 Safa 54)

3. Aur Yeh Riwayat Unki Auzai Se Hi Hai Lihaza Yeh Bhi Zaef Hai

 

Hazrat Abu Darda Radialla Taala Anhu Se Yahi Hadees (Kitab Ul Qirat Safa 68) Per Dusri Sanad Se Marwi Hai Isme 1 Ravi Muhammad Bin Kaseer Hai Jinper Muhaddiseen Ne Kalam Kiya Hai.

Imam Ahmed Ne Inko Sakht Zaef Aur Munkirul Hadees Kaha Hai Aur Farmaya Isne Aisi Munkir Hadees Bayan Ki Hai Jiski Koi Asal Nah Hai

Saleh Bin Muhammad Isko Sudooq Aur Kaseer Ul Khata Kehte Hai

Imam Bukhari Ne Isko Bahut Zaef Kaha Hai

Imam Nasai Farmate Hai Yeh Kawi Nahi Hai Aur Kaseer Ul Khata Hai

Imam Saji Kehte Hai Sudooq Aur Kaseer Ul Galat Hai

Imam Hakim Farmate Hai Muhaddiseen Ke Nazdeek Wo Kawi Nahi

Imam Ibn Adi Kehte Hai Iski Bayan Karda Riwayat Mein Koi Iski Mutabiyat Aur Taeed Nahi Karta

(Tahzib Ul Tahzib Jild 9 Safa 416 – 417)

Lihaza Iski Dono Sanadein Zaef Aur Qabil E Qaboo Nahi


Daleel Number 19 Ka Jaiza 


Hazrate Imran Bin Hussain Radialla Taala Anhu Ne Farmaya Kisi Musalman Ki Namaz Qabool Nahi Hosakti Jabtak Wo Ismein Taharat, Ruku, Sujood, Aur Surah Fatiha Ka Ehtimam Na Kare Chahe Imam Ke Peeche Ho Ya Akele

 

1. Juz'al Qirat, Safa 13.

 

Iski Sanad Mein 1 Ravi Ziyad Bin Abi Ziyad Hai Jasper Kalam Kiya Gaya Hai

 

1. Ibn Muin Isko “Laysh Be Shai” Likhte Hain.

2. Ibn Madni Ki Bhi Yehi Rai Hai.

3. Imam Nasa'i Isko Matrook Kehte Hain.

4. Imam Darqutni Isko Matrook Kehte Hain.

5. Imam Zahbi Kehte Hain Ke Iske Zaef Hone Per Sabka Ittefak Hai

Mizan Jild 1 Safa 354

Tahzib Ul Tahzib Jild 3 Safa 368

Iska Haal Bhi Peechli Riwayaton Jaise Hi Hai.

Aur Jab Humare Paas Imran Bin Husain Ki Imam Ke Peeche Na Padhne Ke Baare Mein Sahih Riwayat Maujud Hai Toh Phir Is Zaef Hadees Se Daleel Kyo Li Jaye

Hadeesein Aur Hai Lekin Koi B Zauf Se Khali Nahi Jinko Tawalat Ki Wajah Se Yaha Tafseel Se Zikr Nahi Kiya Jaa Sakta.

 

Lihaza Humari Naza Mein Jitni Riwayatein Guzri Sabka Zikr Humne Kar Diya Ab Padhne Walo Se Guzarish Hai Ki Aap Faisla Kare Ki Jo Gair Muqallid Hazraat In Riwayaton Ke Zor Per Ahle Sunnat Ko Yeh Kehte Hai Ki Tumhari Namaz Batil Hai, Bekar Hai, Naqis Hai, Aur Imam Ke Peeche Murdo Ke Jaise Khade Rehte Hai In Tohmato Ki Haqeeqat Kitni Hai?

END

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers