Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday, 30 April 2020

SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR

بسم الله الرحمن الرحيم
SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR 
Hadees 01:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
‏ لأَنْ أَقُولَ سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ أَحَبُّ إِلَىَّ مِمَّا طَلَعَتْ عَلَيْهِ الشَّمْسُ
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya
سُبْحَانَ اللَّهِ (Subhan Allah) وَالْحَمْدُ لِلَّ (Walhamdulillah) وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ (wala ilaha illallah wallahu akbar)
SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR Kahna Mujhe Har Us Chiz Se Mehboob Hai jis par Suraj Tulu Hota Hai”
(Sahih Muslim kitabut Zikr Wa Dua, باب فَضْلِ التَّهْلِيلِ وَالتَّسْبِيحِ وَالدُّعَاءِ, Hadees : 6512)
(Note Kuch Edition Me Ye Number 2346,2695 bhi hai)
(Imam Tirmizi Kitab-ud-Dua, Hadees : 3597)
قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏
Imam Abu Isa Tirmizi Farmate hai Ye hadees Hasan Sahih Hai
Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkaar, Hadees : 1409)

SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR WA LA HAWLA WA LA QUWWATA ILLA BILLAH AL-'ALI AL-'ADHEEM'
Hadees 02: 
Hazrat Abdullah Ibn Abi Aufa Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ki Khidmat Me Ek Shakhs Hajir huwa aur Arz ki Ya Rasoolullah Mai Quran Se Kuch Yaad Nahi Kar sakta Mujhe kuch Sikha Dijiye Jo Mere Liye Kifayat Karen, Nabi E Karim Ne Farmaya tum ye (SUBHANALLAH WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR WA LA HAWLA WA LA QUWWATA ILLA BILLAH AL-'ALI AL-'ADHEEM')' padha karo,
Ye Sunkar wo kahne laga Aye Allah Kay Nabi Ye to Allah Kay liye huwa mere liye kya hai Aap ne irshad Farmaya Ye Padha karo (اللَّهُمَّ ارْحَمْنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي) ALLAHUMMAR HAMNI WARZUQNI WA 'AAFINI WA 'AAFINI' WAHDINI" Chunache Jab Wo khada huwa to Nabi Ne Farmaya Usne Apna Haath Khair Se Bhar liya"
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Hadees : 832)
(Sunan Nasai, Kitabul Iftah, Hadees : 924)
(Imam Ahmad Musnad Vol : 04, Pg : 353) (Imam Abdur Razzaq Al Musannaf, Hadees : 6747) (Imam Hibban As Sahih, Vol : 05, Pg : 112/113, Hadees : 1808) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg : 431) (Imam Ibn Khuzayma As Sahih Hadees : 544) 
(Imam Darqutni As Sunan Vol : 01, Pg : 313) (Imam Ibn Hajar Asqalani Al Bulugh Al Maram, Kitabus Salat, Hadees : 171)

Yaani jitne chize Jamin hai jis par bhi Suraj ki roshni ho ye kalimat Allah Paak Ko bahut zyada mehboob hai lihaja isko kasrat se padhe kam az Kam 100 baar rozana mahez 05 min lagega. Note : Aage Piche Durood E Paak jarur padhe Post 
Created by Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance At your prayer

7 comments:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers