Abu zaid Zameer Sahaab Imam Ahmed Bin Hanbal Rehmatullah alayh ka Qaul Pesh Karte hai ke Unse Pucha gaya ke Kya Allah tala Arsh par hai aur Makhlooq se Alag hai, Toh Unhone Farmaaya : Haa.
(Sharah Aiteqaad Usool e Ahlus Sunnah Lil Imam Al Likaayi)
Phir Aage Sharah Aiteqaad Usool e Ahlus Sunnah KITAAB ki Ta’arif Farmaate hai ke Yeh Kitaab me Ahle Sunnat ke Tamaam Usool Maujood hai Waghairah Waghairah.
Sharah Aiteqaad Usool e Ahlus Sunnah Kitaab Ghair Muqallideen ke Nazdeek Unke Musannaif Imam Al Likaayi Al Mutawaffa 418 Hij. se Saabit hi Nahi hai.
Chunaanche Hafiz Zubair Ali zai Sahaab Likhte hai :
Sharah Aiteqaad Usool e Ahlus Sunnah ke Naam se, Al Likaayi se Mansoob Kitaab ‘Ba-sanad SAHEEH Saabit NAHI hai’.
Is Kitaab ka Bunyaadi Raavi Ahmed bin Ali Ibn ul Hussain Zakarriya At-Turaisisi Al Mutawaffa 497 Hij. Saqt Zaeef wa Majrooh hai.
Muhaddis Taahir Salfi Al Mutawaffa 576 Hij. ne Uski Tauseeq ki hai, Lekin Shuja’a Az-Zohli Al Mutawaffa 507 Hij. , Abul Qaasim Ibn us Samarqandi Al Mutawaffa 536 Hij. wagaira Jamhoor ne ispar Jarah ki hai.
Muhammed bin Naasir Al Mutawaffa 550 Hij. use Kazzab Samjhte hai.
Lehaaza Is Ghair Saabit Kitaab se Usool me Istedlaal SAHEEH Nahi hai.
(Mashoor Waqiyaat ki Haqeeqat : Safa 45)
Scan Page :
Lehaaza Jab Kitaab hi Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam al Likaayi se Saabit Nahi hai, Toh Isse Istedlaal Karne ka Kya Faida hai Abu zaid zameer Sahaab ?
Al – Jawaab no 2 :
Sharah Aiteqaad Usool e Ahle sunnah me Jo Ibaarat hai wo Darj e zail hai :
وَرَوَى يُوسُفُ بْنُ مُوسَى الْبَغْدَادِيُّ، أَنَّهُ قِيلَ لِأَبِي عَبْدِ اللَّهِ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ: ” اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ , فَوْقَ السَّمَاءِ السَّابِعَةِ عَلَى عَرْشِهِ بَائِنٌ مِنْ خَلْقِهِ وَقُدْرَتِهِ وَعِلْمِهِ فِي كُلِّ مَكَانٍ؟ . قَالَ: نَعَمْ , عَلَى الْعَرْشِ وَعِلْمُهُ لَا يَخْلُو مِنْهُ مَكَانٌ “
Imam Al Likaayi Al Mutawaffa 418 Hij. Farmaate hai ke riwayat hai Yusuf bin Musa Al Baghdadi Al Mutawaffa 253 Hij. ke Ahmed bin Hanbal Rehmatullah alayh se Kaha gaya ke Kya Allah Tala 7 Aasmaano ke upar hai, Arsh se upar hai, Apne Makhlooq se Juda hai aur Uski Qudrat wa Ilm Har Jagah hai ?
Imam Ahmed Bin Hanbal Rehmatullah alayh ne Jawaab diya : HA ! Allah Arsh par hai aur Uske Ilm se Koi Jagah Khali Nahi hai.
(Sharah Aiteqaad Usool e Ahle Sunnah : Jild 2 : Safa 401)
Scan Page :
Yeh riwayat Besanad hai.
Kyunke is riwayat ki Imam Likaayi ne Apne aur Yusuf bin Musa Al Baghdadi ke Darmiyaan koi Sanad Zikr Nahi ki.
Lehaaza Yeh riwayat Mardood hai.
Mazeed Imam Likaayi Al Mutawaffa 418 Hij. ke baad Imam Mauqoofuddin Ibn Qudaama Al Mutawaffa 620 Hij. ne bhi Yahi baat Naql ki, Lekin Unhone ne bhi Apne aur Yusuf bin Musa Al Baghdadi Al Mutawaffa 253 Hij. ke darmiyaan ki, Koi Sanad Naql Nahi ki.
(Isbaat e Sifatul Uloo : Jild 1 : Safa 167)
Scan Page :
Aur Imam Ibn Qudaama ki Wilaadat 541 Hij. me huwi hai aur Yusuf bin Musa Al Baghdadi ki Wafaat 253 Hij. me huwi hai,
(Al A’alaam : Jild 4 : Safa 67)
Scan Page :
Beech ki Taqreeban 300 Saal ki Sanad Ghaayab hai.
Lehaaza Yeh Sanad bhi Munqate hai.
Isi Tarah Yahi riwayat Imam Zehbi Al Mutawaffa 748 Hij. ki Kitaab ul Uloo me bhi Maujood hai, Lekin waha bhi Darmiyaan ki Koi Sanad Maujood Nahi hai, Balke Unhone bhi Direct Yahi Raavi Yusuf bin Musa Al Baghdadi Al Mutawaffa 253 Hij. se hi Imam Ahmed Rehmatullah alayh ka Qaul Naql kiya hai.
Dekhiye,
(Al Uloo : Jild 1 : Safa 176)
Scan Page :
Note :
Baaz Log Imam Abubakr Khalaal Al Mutawaffa 311 Hij. ki Kitaab, Kitaab us Sunnah ka Hawaala de rahe hai, ke Usme yeh riwayat Maujood hai.
Lekin Imam Khalaal ki Kitaab us Sunnah me YEH RIWAYAT MAUJOOD NAHI HAI.
Lehaaza yeh riwayat Be-sanad hai.
Mazeed Hum arz karde ke Ahlehadees Maslak ki Taa-id me, Agar koi be-sanad riwayat aati hai, toh Abu zaid zameer sahaab use Fauran Qubool karke, daleel Pakard-te hai, Jaisa ke Unhone Imam Ahmed bin Hanbal Rehmatullah alayh ka yeh qaul pesh kiya hai.
Lekin Ahlehadees Maslak ke Khilaaf Koi be-sanad riwayat aati hai, Toh Khud Abu zaid zameer sahaab Us Be-sanad riwayat ke bare me Kya kehte hai, Usko bhi Mulaaheza Farmaaye :
Abu zaid zameer Bataaye,
Kya Aap Diyaanat daar aur Imaandaar saabit horahe hai ??
Algarz Khulaasa yeh ke Is riwayat se Istedlaal BAATIL wa MARDOOD hai.
Aur Allah tala aise wahabiyo ki Dajal aur Dhoke se Huzur Swallallahualaihiwasallam ki Ummat ki Hifaazat Farmaaye
Ameen
Mohammad Imran Saifi.
Assalamu alaikum bhai aimma arba ka aqeeda kya Allah ke talluk se uspar post darkar hai
ReplyDelete