Ghair Muqallid Ahle hadees Muballigh Dr. Murtuza Baksh Sahaab ne Imam Abu hanifa Radialla taala anhu ki Taraf Mansoob ek Qaul pardha, Jo ke Darj e zail Maujood hai :
Abu Zaid Zameer ki Video b Sune
Dosto ! Aapne Dr. Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer sahaab ko Yeh riwayat Pardte suna ke Ibn Abi Izz ne Sharah Aqeedatut Tahawiya me Likha hai ke
Shaykh ul Islaam Abu Ismaail Al Ansaari ne Kitaab ul Farooq me Sanad ke saat Abu Mutii Al Bakhii se riwayat Naql ki hai :
Aur Uske baad Unhone Imam Abu hanifa Radialla taala anhu se Sawaal wa Jawaab Naql kiya hai, Jisko Aapne Mulaaheza Farmaaya hai.
Kya Ahlehadees Hazraat Apne Tehqeeq aur Research me Sach-che aur Imaandaar hai, Aaye Dekhte hai :
Al – Jawaab no 1 :
Imam Abu hanifa Radialla taala anhu ki Taraf Mansoob Yeh Qaul ka, Sabse Pehle Jawaab yeh hai ke
Yeh riwayat Be-sanad hai, Hamaari Tehqeeq ke Mutaabiq Dunya ki Kisi kitaab me is riwayat ki Sanad Maujood nahi hai aur Ibn Abil Izz ne bhi Beghair Sanad se Yeh riwayat Naql ki hai.
(Sharah Aqeedatut Tahawiya Li Ibn Abi Izz : Safa 386-387)
Scan Page :
Magar Afsoos Jo Qaum Quraan wa SAHEEH Hadees par Amal karne ka Dawa Karti hai, Dekhiye wo Kaise Kaise riwayaat se Istedlaal aur Daleel Pakardti hai.
Aur Hafiz Zubair Ali zai aur Irshaad ul Haq Asri Sahaab ke Usool ke Mutaabiq Be-sanad riwayat Mauzu Yaani [Manghadak hoti hai]
(Nurul Aainain : Safa 304)
(Maqaalaat e Irshad ul Haq Asri : Jild 2 : Safa 48-50)
Scan Page : Nurul Aainain
Scan Page : Maqaalaat e Irshad ul Haq Asri
Lehaaza Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer Sahaab se Hamaari Guzaarish hai ke Agar aapke Is Hadees ki Sanad hai Toh pesh kare, Warna Ba-qaul e Ulama e Ahlehadees Mauzu riwayaat Pesh Karke Ummat ko Gumraah na kare.
Al – Jawaab no 2 :
Dusra Jawaab yeh hai ke Kitaab ul Farooq ke Musannif, abu Ismaail Al Ansaari ki Kitaab, Kitaab al Farooq bhi Motabar kitaab nahi hai.
Chunaanche Imam Zehbi Al Mutawaffa 748 Hij. Kehte hai [Jiska Khulaasa yeh hai] ke
Kitaab ul Farooq me Zaeef aur Baatil Hadeese hai.
(Seer Alamun Nubula : Jild 18 : Safa 509)
Scan Page :
Isi Tarah Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai Jiska Khulaasa yeh hai ke
Abu Ismaail Al Ansaari Al Hirwi ne Kitaab ul Farooq me Mubalegha aaraayi se Kaam liya, Jiski Wajeh Logo ne Unpar Ta’an Karna shuru Kardiya.
(Fathul Baari : Jild 13 : Safa 468)
Scan Page :
Lehaaza Be-sanad Hone ke alaawa Khud Kitaab ul Farooq Motabar Kitaab nahi hai, Isme Zaeef aur baatil Hadeese Maujood hai aur Iske Musannif ne isi kitaab me Mubalegha se Kaam liya, Jiski Wajeh se Logo ne Inpar Ta’an bhi kiya hai.
Mazeed In Irshaadaat se Is Kitaab, Yaani Kitaab ul Farooq ka Ghair Motabar hona bhi Samjhe aarahi hai.
Lekin Phir bhi ahlehadees Firqa Ahlehadees Aqeede Jaise Ahem Masle ko Aisi Kitaabo se Saabit Kar rahe hai.
Subhan-ALLAH.
Al – Jawaab no 3 :
Teesra aur Ahem Jawaab yeh hai ke Is riwayat ke Bunyaadi Raavi Abu Mut’ii al Balkhi Ghair Muqallideen ke Zaeef hi Nahi Balke Hadeese Gardne waala raavi hai.
Hawaalaat Mulaheeza Farmaaye :
1 – Ahlehadees Muhaddis Hafiz Zubair ali zai Sahaab Abu Mut’ii Al Balkhi par Jarah Naql Karne ke baad Likhte hai ke
Hafiz Zehbi ke Nazdeek Abu Waza’a, Jhoota, Hadeese Gardne waala tha.
(Azwaahul Masaabih : Safa 128)
Scan Page :
Ek Dusre Maqaam par Zai sahaab ne Usko Hadeese gardne waala qaraar diya hai.
(Fataawa Ilmiya : Jild 1 : Safa 137)
Scan Page :
2 – Ahlehadeeso ke Muhaqiq Hafiz Shahid Mehmood Sahaab Likhte hai ke Abu Mut’ii Al Balkhi Saqt Zaeef aur Matrook Raavi hai.
(Difa’a Saheeh bukhari [Haashiya] : Safa 192)
Scan Page :
3 – Yahiya Gondalwi Sahaab ne bhi Is Raavi ko Hadeese Gardne waala Raavi Saabit kiya hai.
Dekhiye :
(Daastaan e Hanafiyya : Safa 102-106)
Scan Page :
Isi Tarah,
4 – Rayees Ahmed Salafi Sahaab aur
5 – Abu Sohaib Dawud Arshad Sahaab ne bhi Abu Mut’ii Al Balkhi par Khoob Jarah Naql ki hai.
(Al Lumaat : Safa 133)
(Sabeer ur Rasool Ma’a Takhreej : Safa 320)
Scan Page : Al Lumaat
Scan Page : Sabeel ur Rasool Ma’a Takhreej
6 – Ghair Muqallideen ke Shah Sahaab Yaani Talib ur Rehman Sahaab Likhte hai ke Muhaddiseen ke Nazar Yeh [Raavi] Kazzab aur Waza’a [Yaani Hadees Gardne waale] hai.
(Tableeghi Jamaat ke Aqaaid : Safa 52)
Scan Page :
7 – Ghair Muqallideen ke Imam Nasir uddin Albani ne bhi is Raavi ko Hadeese gardne waala Raavi kaha hai. (Sharah Aqeedatut Tahawiya Tehqeeq Albaani : Safa 342)
Scan Page :
8 – Ahlehadees Aalim Salahuddin Yusuf ne bhi Unko Zaeef qaraar diya hai. (Kya Aurto ka Tariqa e Namaz Mardo se Mukhtalif hai : Safa 33)
Scan Page :
Balke Hum Aage Bard-ke Kehte hai ke Jis Kitaab se Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer sahaab ne Yeh riwayat Naql ki hai Yaani Sharah Aqeedatut Tahawiya Li Ibn Abil Izz se.
Usi Kitaab me Imam Ibn Abil Izz ne hi Abu Mutii al Balkhi par Matrook aur Hadeese Gardne ki Jarah Naql ki hai.
Dekhiye, (Sharah Aqeedatut Tahawiya Li Ibn Abil Izz : Safa 480)
Scan Page :
Dr. Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer Sahaab Hume Bataaye ke Aap Ek Aise Raavi ko, jo ke Khud Ahlehadees Ulama ke Nazdeek Kazzaab aur Hadees Gardne waala Raavi hai,
Aqeede Jaise Ahem Masle me Us Raavi ki riwayat se Istedlaal Karke, Daleel Pakardke, Logo ko Dhoka Kyun Dete ho ?
Kyun Bichaari Awaam ke Saamne Hadeese Gardne waale Raavi ki riwayat Pardke, Use Imam abu hanifa Radialla taala anhu ka qaul Kehte hai ?
Dosto ! Yahi wo Dhoka hai, Jo Ahlehadees Firqa Bichaari Awaam ko dete hai aur Aapko Jaankar Hairat hogi.
Jab Abu Mut’ii Al Balkhi ki Ahlehadees Maslak ke Taa-id me Aati hai, Toh wo Qubool Karlete hai aur Yahi Wajeh hai ke Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer sahaab ne Uski riwayat se Daleel Pakardte huwe, Logo ke Saamne Imam Abu Hanifa Radialla taala anhu ka qaul Kehkar pesh kiya.
Lekin Jab Isi Raavi ki riwayat Ahlehadees Maslak ke Khilaaf Aayi, Toh Unhone Us Raavi par Jarah Kardi aur Uska RADD kiya.
Ji Ha ! Aapne SAHEEH Suna, Jab Abu Muti’I ki riwayat Ahlehadees Maslak ke Khilaaf Aayi, Toh Unhone Us Raavi ko Zaeef aur Kazzab [Jhoota] kaha hai.
Mard aur Aurat ki Namaz ke Farq ke Masla Jab Ahlehadees Aalim Shaykh Shahid Madani ke Abu Mut’ii ki riwayat Pesh ki gayi, Toh Unhone Kya Kaha uska Mulaaheza Farmaaye :
Algarz Yeh Qaul jo Murtuza Baksh aur Abu Zaid Zameer Sahaab Ne Padha hai, Na Uski Sanad Maujood hai, Na Kitaab ul Farooq Motabar Kitaab hai, Uske Musannif Abu Ismaail Al Ansaari Al Hirwi ne bhi Kitaab ul Farooq me Mubaleghe se Kaam liya, Usme Zaeef aur Baatil Hadeese bhi Maujood hai aur
In Sab ke Alaawa is Qaul ka Bunyaadi Abu Mut’ii Al Balkhi Maujood hai Jo ke Khud Ghair Muqallideen ke Nazdeek Kazzaab aur Hadeese Gardne waala raavi hai.
Magar Afsoos Sad Afsoos Aise Dhoke Tehqeeq aur Salaf-o-Saleheen ke Manhaj ke Naam par, Kiye jaata hai.
Mazeed Aap Hazraat ! Isse Yeh bhi Andaaza Lagaasakte hai ke Ahlehadees Firqa Hadees aur Salaf ko Maanne me Kitna Insaaf se Kaam Lete honge.
Pas, Allah Tala Inke Fitne se Saari Ummat ki Hifaazat Farmaay
Ameen.
Mohammad Imran Saifi
Wahabi dewbandi kahte hai ki allah har jagah hai is ke radd me koi post daliye
ReplyDelete