Hadees :
Hazrat Abu Masood Al Ansari Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jisne Bhalai ki Taraf Rehnumai Ki To Uske Liye Is Bhalai Par Amal Karne Wale Ki Misl Sawab hai
(Sahih Muslim, Kitabul Imaara (Govt),باب فَضْلِ إِعَانَةِ الْغَازِي فِي سَبِيلِ اللَ38) Hadees : 1893-1894)
Hadees :
"Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jisne Neki Ki Taraf Bulaya Uske Liye Utna Hi Sawab Hai Jitna Us Par Amal karne wale kay liye Hai Aur uske Sawab me Bhi Kuch Kami Naa Ayegi"
(Sahih Muslim, Kitabul Ilm, (6) باب مَنْ سَنَّ سُنَّةً حَسَنَةً Hadees : 2674)
Duniya Aur Akhirat Ki Bhalai Ki Dua Karna Karna
Quran E Karim Me Aayat E Karima Hai
“وَمِنهُم مَن يَقولُ رَبَّنا آتِنا فِي الدُّنيا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنا عَذابَ النّارِ”
Wa-minhum man yaqulu rabbana ʾatina fi d-dunya ḥasanatan wa-fi l-ʾakhirati ḥasanatan wa-qina ʿadhaba n-nar
“Aur Koi Yun Kahta Hai Kay Aye Hamare Rab Hume DUNIYA Me Bhalai Ata Farma Aur Hume Aakhirat me bhi Bhalai Ata Farma Aur Hume Dozhakh Kay Azaab Se Bacha”
(Surah Baqarah Ayat 201)
Is Dua E Kalimat Ko Nabi E Karim ﷺ Khoob apni duao me manga karte they chunache Imam Bukhari Rehmatullah Alaih rivayat naql karte hai
عَنْ أَنَسٍ، قَالَ كَانَ أَكْثَرُ دُعَاءِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم " اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً، وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

“Hazrat Anas Ibn Malik Radiallahu Anhu Ne Irshad Farmaya Nabi E Karim ﷺ Apni Duao Me Aqsar ye dua manga karte they
اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً، وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
‘Allahumma Rabbana Aatina Fid-Dunya Hasanatan, Wa Fil-Akhirati Hasanat, Wa Qina ‘Azhaab-annar’
Aye Hamare Rab Hume Duniya Me Bhalai Ata Farma Aur Hume Aakhirat me bhi Bhalai Ata Farma Aur Hume Dozhakh Kay Azaab Se Bacha”
(Sahih Bukhari , Kitab-ud-Dua, Hadees : 6389)
(Sahih Bukhari , Kitab-ud-Dua, Hadees : 6389)
(Sahih Bukhari Kitab ut Tafseer, Surah Baqarah Ayat 201, Hadees : 4522)
(Sahih Muslim, Kitabut Dua Wa Azkar Wa Tauba Wa Astagfaar, Hadees : 6501 {2688},6506-6507 {2690})
Muttafaque Alaih Hadees متفق عليه
(Sahih Muslim, Kitabut Dua Wa Azkar Wa Tauba Wa Astagfaar, Hadees : 6501 {2688},6506-6507 {2690})
Muttafaque Alaih Hadees متفق عليه
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Salatal Witr, Hadees : 1514)
(Jamai Tirmizi, Kitab-ud-Dua, Hadees : 3487)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad, Kitab-ud-Dua, Hadees : 633,677,682,727,728)
(Jamai Tirmizi, Kitab-ud-Dua, Hadees : 3487)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad, Kitab-ud-Dua, Hadees : 633,677,682,727,728)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitab-ud-Dua, Hadees : 1467)
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Manasik Hajj, Hadees : 1877 Rivayat Hazrat Abdullah ibn Saib Radiallahu Anhu Farmate hai Nabi E Karim ﷺ Makam E Ibrahim Aur Rukn E Yamani Kay darmiyan ye Dua farmayi)
Is dua ko yaad karlen Har Namaz KaBaad Isko padhen In Sha Allah Taala Sunnat pe amal bhi hoga aur Duniya aur akhirat ki bhalai milegi
No comments:
Post a Comment