Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 27 April 2020

subhanallahi wa bihamdihi hadith Fazilat


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 

Jaban Par Halki Par Mizaan Pe Bahot Wazni Hai
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim Se Irshad Farmaya Do Kalimat aise hai jo Jaban Par bahot Halke Hai Magar Mizaan Par Bahot Wazni Hai Aur Allah Paak Ko bahot Pyare Hai
سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ (Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
(Sahih Bukhari, Kitabut Dua, باب فَضْلِ التَّسْبِيحِ Hadees : 6406)
(Sahih Bukhari Hadees : 6682, 7563)
(Sahih Muslim, Kitabut Azkar Wa Dua Wa Tauba Wa Astagfar, Hadees : 6511 {2694})
Muttafaque Alaih
(Imam Tirmizi Kitabut Dua, Hadees : 3467)
الَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ صَحِيحٌ‏.‏
Imam Abu Isa Tirmizi Farmate hai Ye hadees Gharib Sahih Hai
(Imam Ibn Majah Sunan Kitabul Adab, Hadees : 3806)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh al Maram,Kitabul Jamaa, Hadees : 1611)
Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkaar, Hadees : 1408)
Jannat Me Har Tasbih Kay Badle Khazooron Darakht Lag Jayega 
Hadees 02:
Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh سبحان الله وبحمده (Subhan-Allahi wa bi hamdihi) Kahega Uske Liye Jannat me Ek Khazooro’n Ka Ek Darakht Lagaya jayega
(Imam Tirmizi Sunan Tirmizi, Kitab-ud-Dua, Hadees : 3464, 3465)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih Kahte Hai Ye Hadees Hasan Gharib hai
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkar, Hadees : 1439)
Samundar Kay Jhaag Barabar Gunaah Maaf Honge
Hadees 03:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَنْ قَالَ سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ‏.‏ فِي يَوْمٍ مِائَةَ مَرَّةٍ حُطَّتْ خَطَايَاهُ، وَإِنْ كَانَتْ مِثْلَ زَبَدِ الْبَحْرِ
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jisne Din Me 100 Martaba  سبحان الله وبحمده (Subhan-Allahi wa bi hamdihi) Kaha Uske Gunaah Maaf Kar diye Jaate hai Khwah Wo Samundar ki jhaak kay barabar hi Kyun Na Ho” (Sahih Bukhari, Kitabut Dua, اب فَضْلِ التَّسْبِيحِ Hadees : 6405)
(Sahih Muslim, Kitabut Dua Wa Azkar Wa Tauba Wa Astagfaar, Hadees : 6508 {2691})
‏متفق عليه Muttafaque Alaih Hadees
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabul Quran, Hadees : 493)
(Imam Tirmizi As Sunan,Kitabut Dua, Hadees : 3466, 3468)
(Imam Ibn Majah As Sunan, Kitabul Adab, Hadees : 3812)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkar, Hadees : 1410)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh Al Maram, Kitabut Jamaa, Hadees : 1586)
Ye Upar Humne Is talluk Se 03 Sahih Rivayat Bayan ki 100 Martaba Padhne me 05 Minute bhi nahi lagta apni Zindagi me is wazeefa ko shamil karlen Fayeda :
01) Isse Zaban Allah Paak Kay Zikr Se tarr rahegi 02) Amal bahot chota hai iski fazilat bahot zyada hai 03) Dher Saari Naaki Milegi Aur Gunaah maaf honge agarche Samundar kay jhaag (Foam) kay barabar ho
04) Qul 03 hadees hai ek me bas subhan Allahi Wa Bihamdih Hai Ek dusre me add hai 
(Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
Lihaja Ye(Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
Rozana 100 baar padhe isse dono tasbih hojaygi hadees 1 2 3 sab pe amal hojayga.
04) Har Baar padhne k badle Jannat me ek darakht lagega Zikr Se pahle Aage Piche Durood E Paak Jarur padhe ALLAH HUM SABKA KHATMA IMAAN PAR KARE Post by Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance at your prayers

4 comments:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers