Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 6 May 2020

Wahabi Abu Zaid Zameer ko Imam Shafa'ii k Qaul "ALLAH kaha hai" per Jawab

Sabse Pehle Abu Zaid Zameer ki Video Sunay


Abu zaid zameer ne Allah ko Arsh par Saabit Karne ke liye, Imam Shafii radialla taala anhu Al Mutawaffa 204 Hij. ka qaul Pesh kiya, Jo ke Darj e zail :

أَخْبَرَنَا الشَّيْخُ الزَّكِيُّ أَبُو عَلِيٍّ الْحَسَنُ بْنُ سَلَامَةَ بْنِ مُحَمَّدٍ الْحَرَّانِيُّ، قَالَ: أَنْبَأَ أَبُو إِسْحَاقَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ نَبْهَانَ الْغَنَوِيُّ الرَّقِّيُّ، قَالَ: أَخْبَرَنَا قَالَ شيخ الإسلام (أَبُو الْحَسَنِ عَلِيُّ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ يُوسُفَ الْقُرَشِيُّ الْهَكَّارِيُّ) : وأخبرنا أَبُو يَعْلَى الْخَلِيلُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْحَافِظُ، أَنْبَأَ أَبُو الْقَاسِمِ بْنُ عَلْقَمَةَ الأَبْهَرِيُّ ، ثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ أَبِي حَاتِمٍ الرَّازِيُّ، عَنْ أَبِي شُعَيْبٍ وَأَبِي ثَوْرٍ، عَنْ أَبِي عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدِ بْنِ إِدْرِيسَ الشَّافِعِيِّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: الْقَوْلُ في السنة التي أَنَا عَلَيْهَا، وَرَأَيْتُ أَصْحَابَنَا عَلَيْهَا، أَهْلَ الْحَدِيثِ الَّذِينَ رَأَيْتُهُمْ (فَأَخَذْتُ عَنْهُمْ) ، مِثْلَ سُفْيَانَ، وَمَالِكٍ، وَغَيْرِهِمَا، الإِقْرَارُ بِشَهَادَةِ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ (وَذَكَرَ شَيْئًا ثُمَّ قَالَ:) وَأَنَّ اللَّهَ عَلَى عَرْشِهِ فِي سَمَائِهِ، يُقَرِّبُ مِنْ خَلْقِهِ كَيْفَ شَاءَ، وَأَنَّ اللَّهَ تَعَالَى يَنْزِلُ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا كَيْفَ شَاءَ وَذَكَرَ سَائِرَ الاعْتِقَادِ

Sanad :
Imam Ibn Qudaama  — > Abu Ali Al Hasan bin Salaama  — > Abu Ishaq Ibrahim bin Muhammed  — > Shaykh ul Islaam Ali bin ahmed Al Hakkaari — > Abu Ya’ala Khaleeli  — > Abul Qaasim bin Alqama  — > Abdur Rehman bin Abi Haatim  — > Abi Shoaib wa Abi Saur — > Imam Shafii radialla taala anhum ajmaen
Matan :
Imam Shafa’ii radialla taala anhu Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai : Jiska Khulaasa yeh hai ke Maine Apne Ashaab Ahle hadees Jaise Imam Sufiyan Rehmatullah alayh wa Imam Maalik Rehmatullah alayh ko Jispar par paaya, Mai bhi usipar Qaayim hu aur wo Yeh Baat hai ke
Is baat ki Shahaadat di Jaaye ke Allah ke Alaawa Koi sach-cha aur Haqeeqi Ma’abood Nahi aur Muhammed Swallallahualayhiwasallam Allah ke Rasool hai, aur Allah Aasmaan se upar Apne Arsh se upar hai, Jaise Chahta hai Apni Maqlooq ke qareeb hota hai aur Jaise Chahta hai, Dunya ke Aasmaan ki Taraf Utarta hai
(Isbaat e Sifat ul Uloo : Jild 1 : Safa 180-181)
Scan Page :

Al – Jawaab no 1 :
Is riwayat se Abu zaid zameer Sahaab ka Istedlaal hi BAATIL hai, Kyunke Iski Sanad me Ek Raavi hai, Abul Hasan Ali bin Ahmed Al Hakkaari Jin par Hadeese Ghardne ka Ilzaam hai.
Chunaanche,
1 – Imam Ibn Asaakir Al Mutawaffa 571 Hij. Farmaate hai ke Yeh Siqa Nahi hai.
2 – Imam Ibn Najjaar Al Mutawaffa 643 Hij. Farmaate hai ke
Unpar Hadeese Ghardne ka Ilzaam hai.
3 – Mazeed Imam Ibn Hajar Asqalaani Rahimahullah Naql Karte hai ke unke Aksar Ahadees Ghareeb aur Munkar hai aur Unki Hadees me Manghadak Baatein hai. (Lizaan ul Mizaan : Jild 5 : Safa 483)
Scan page :

Dosto ! Jo Firqa Logo me Saheeh Hadeeso par Amal Karne ka Dawa Kar rahe hai, Aaj Pata chala Wo toh Aise Raaviyo ki Hadeeso se bhi Daleel Pakardte hai, Jinpar Hadeese Gardne ka Ilzaam hota hai.
Ajeeb Baat Yeh hai ke Aisi Hadeeso se Istedlaal Karke, Logo ko Fareb wa Dhoka Dete huwe Kehte hai ke Imam Shafii ka bhi Yahi Aqeeda tha.
Algarz Abu zaid Zameer Sahaab ka Is qaul se Istedlaal hi BAATIL hai, Kyunke Yeh Qaul Zaeef wa Mardood hai.
Al – Jawaab no 2 :
Is riwayat ki Sanad me Abdur Rehman bin Abi Haatim hai Jo ke Abi Shoaib aur Abi Saur se riwayat Kar rahe hai.
Imam Abdur Rehman bin Abi Haatim ki Wilaadat 240 Hij. me aur Wafaat 327 Hij. Huwi hai. (Al A’alam : Jild 3 : Safa 324)
Scan page :

Lekin Is riwayat wo Abi Saur se riwayat Kar rahe hai, Jinka Naam Ibrahim bin Khaalid Al Kalbi Jinki Wafaat 240 Hij. huwi hai. (Taqreeb : Raqm no 172)
Scan page :

Ghaur Farmaaye ! Jis Saal Abu Saur Faut Horahe hai, Wahi saal Abdur Rehman Bin Abi Haatim Wafaat paarahe hai.
Lehaaza Sanad me Inqeta hai, Yaani Yeh Munqate Sanad hai.
Mazeed,
Abi Shoaib Jinka Naam Saleeh bin Ziyaad Al Jarood hai, aur Aapki Wafaat 261 Hij. me huwi hai. (Taqreeb : Raqm no 2862)
Scan page :

Abi Shoaib se bhi Abdur Rehman bin Abi Haatim ka Sima’a (Sunna) Saabit Nahi hai.
Lehaaza Yeh Sanad me 2 Jagah Inqeta hai, Yaani Abdur Rehman bin Abi Haatim ka Sima’a NA Abu Shoaib se hai ya Nahi Abu Saur se,
Balke Abi Saur se Mulaaqaat bhi Saabit Nahi, Kyunke Jis Saal Abu Saur ki Wafaat hai, Wahi saal Abdur Rehman Bin Abi Haatim ki Wilaadat hai Jaisa ke Tafseel Guzar chuki.
Neez Abu Shoaib ka Sima’a Imam Shafii se bhi Saabit Nahi hai.
Algarz Is sanad me 3 Jagah Inqeta aur Hadeese Ghardne Waala Raavi Maujood hai, Lekin Afsoos Aise Dhoke Tehqeeq ke Naam par kiye jaate hai.
aur Jo Firqe ka Dawa ke Hum Saheeh Hadeeso par Amal Karna hai, wo Logo ke Saamne Zaeef Hadees aur Zaeef Qaul pesh karte hai aur use Saheeh Bataa kar Dhoke dete hai.
Algarz Abu zaid zameer aur Ghair Muqallideen ka Is Asar ko Pesh karke Kehna hai ke yahi Imam Shafii radialla taala anhu ka Aqeeda hai, Bilkul BAATIL wa MARDOOD hai.
Mar-afsoos Ahlehadees Masalaki Hamiyat Logo ko Andha Kardeti hai.

Mohammad Imran Saifi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers