Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 7 April 2020

Waba Kay Waqt Azan Dena Kaisa



بسم الله الرحمان الرحيم

Kaum E Wahabiya har waqt apne firqa wariat me uljhi rahti hai aur ilzaam dusre pe lagati hai puri duniya is waqt ek Waba me mubtela hai jisse hum sab #COVID-19 Coronavirus kay naam se jante hai isse bachne k lihaj se Drs ne Ulema ne kayi chiz bayan ki usme se ulema ne ye bhi kaha kay Musalman apne gharo muhalle me azan den jisse aafat balaye taali jati hai.
Wahabiyo ko isse bhi mirchi lagi aur inke nazdi Aakao ne iske khilaf bhi biddat shirk ki taqreer kar daali uske baad hi inke social media muballigeen ne posters message banakar isko biddat biddat kahna shuru kiya 

Poster niche hai 

Kuch Ahem Baatein Aur Nazariyat
Farz Namaz Kay liye Azan Dena Sunnat E Muakkada hai.
Wiladat Huwe Baccho Kay Kaan Me Azan Dena bhi Sunnat O Mustahab Hai.
Jungle Mein rasta bhatak jaye koi batane wala naa ho.
Jinn Ki Sarkashi Kay waqt (maslan kisi par jinn sawar ho)
Bahot barish ho, aag lag jaaye, waba ho aisi surat me bhi Azan dena Jaiz O Mustahab hai.
Hum Ahle Sunnat Wa jamaat Ka Dawa hai Waba/aag lagne/ barish zyada hone Kay waqt Azaan Dene kay Jaiz aur mustahab hone ka lihaja hamare jimme Jaiz hone ki dalil dena hai.
Aur Jo Munkireen hai isko biddat haram kahte hai unke jimme hai kay saaf sahih hadees pesh karen kay aise mauke pe azaan dena mana hai.
Ye Shariat ka usool hai is usool ko yaad rakhe koi Amal ka naa karna ye uske nazaiz hone ki dalil nahi hai Jaiz hone kay liye bas itna hi kaafi hai kay uske khilaf koi sahih dalil mauzud naa ho Aur ye usool hi sabne likha hai. 
(Imam Ibn Hajar Asqalani Fathul Baari Shara E Sahih Bukhari Vol : 09, Pg : 16)
(Ashraf Ali Thanvi Deobandi - Bawadir-un-nawadir Pg:458)
(Miya Nazir Hussain Dahelvi Ahle Hadees Fatwa E Naziriya Vol : 01, Pg : 564)

Mukhalifeen ki Kuch Maqr aur Fareb waali Baatein
Kuch wahabi jo thode unche kism kay ahmak aql se khali hote hai wo kahte milenge hume dikkat Azaan se nahi hai lekin jo azan hoti hai wo 05 waqt namaz kay liye hoti hai ab yahan to koi namaz nahi hai lihaja azan durust nahi hai aur biddat hai aur dusre kahenge kay aise waba kay waqt dua karna chahye Azan dena nahi. Hum Kahte hai dua bhi kare Azan bhi de aur Medicine Specialist Drs ki salah bhi le.
Azan Dene Ki Fazilat 
Azan Dene Wali ki Gardan Baroz E Kayamat Buland Hogi
Hadees 01:
“Hazrat Ameer Muawiya ibn Abu Sufyan Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Kayamat Kay Din Muazzin Logo me Sabse Zyada Buland Gardan wale Honge"
(Imam Muslim, Sahih Muslim Vol : 01, Pg : 191, Kitabus Salat, Baab Fazail E Azan, Hadees : 387)


Azan Ki Awaaz Sunkar Shaitan Bhag Jaata Hai
Hadees 02:
“Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ne irshad farmaya Jab Shaitan Namaz kay liye Azan ki awaaj sunta hai to bhagta huwa “Rauha” , pahuch jaata Hai, Pucha Gaya RAUHA kaha hai Farmaya Madina E Munawwara Se 36 Miles Dur Hai”
(Sahih Muslim, Vol : 01, Kitabus Salat, baab Fazail E Azan, Hadees : 
388) Scan Page

Sahih Muslim #387 #388

Azan Dene Wale Kay Kabr Me Kide Nahi Padenge
Hadees 03:
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Sawab Ki Khatir Azan Dene Waala Us Shaheed Ki Manind hai Jiska Jism Khoon Me Luthda Huwa hai Aur Jab Marega Uske Jism me Kide nahi Padenge”
(Imam Tabrani Al Muj’al Kabeer, Vol : 12, Pg : 422, Hadees : 13554)
(Imam Jalaludin Suyuti Ash Shafai Sharau’sudoor, Pg : 540) 
Scan Page

Azan Aur Iqamat Kay Darmiyan Dua Raddh Nahi Hoti
Hadees 04: “Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Maangi Jaane Waali Duaa Radd Nahin Hoti.” (Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Vol :01, Pg : 63, Kitabus Salat, Hadees : 212) قَالَ أَبُو عِيسَى حَدِيثُ أَنَسٍ حَدِيثٌ حَسَنٌ
Imam Tirmizi Farmate hai ye Hadees Hasan Sahih Hai
(Sunan Tirmizi Hadees : 1601,3494,3595)
(Sunan Abu Dawood, Kitabus Salat, Hadees : 521)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Manaqib, Hadees : 1041)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh Al Maram, Hadees : 1594)
(Imam Nasai Sunan-ul-Kubra, Vol : 06 Pg : 22, Hadees :9897)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 03, Pg : 119, Hadees : 12221)
(Imam Ibn Abi Shaybah Al Musannaf, Vol : 06, Pg : 31, Hadees : 29247) (Imam Abu Yaala Al Musnad, Vol : 06, Pg : 363, Hadees : 3679)
Scan Page Jamai Tirmizi




Hadees 05: 
“Jab Azan Dene Wala Azan Deta hai to Aasman Kay Darwaje khol diye jaate hai aur Dua Kabool hoti hai” (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 242, Hadees :2048)
ye hadees E Paak Se saabit hai kay Azan kay baad dua ki maqbooliat ka mauka zyada hota hai lihaja waba kay waqt bhi azan deke log waba se hifazat ki dua karte hai. Hadees 06 :
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Dada Ustad Hazrat Imam Abdur Razzak Al Mutawaffah 211 Hijri
"Hazrat Abdullah Bin Salam Radiallahu Anhu Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Sham Ko Jis Basti Ya ilaqe Me Azan Di Jaye To Wo Subho Tak Amaan Me Rehti Hai Aur Subho Ke Waqt Azan Di Jaye To Wo Sham Tak Amaan Me Rehti Hai"
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf Vol:01, Pg : 487, Hadees : 1837)
Scan page


Ye upar 05 hadees e karima humne bataur e fazail e azan par pesh ki hai ispe wahabi kahenge kay hamara ektelaf to inpe nahi hai namaz kay elawa jo Azan di jaa rahi hai wo biddat hai lihaja hum yahan wo hadees e karima pesh kar rahe hai jinme Namaz kay elawa bhi baaz auqat Azan dena saabit hai pesh karenge aur aakhir me Wahabiyo kay bade aqabireen ki kitab se pesh karenge.

Nabi E Akram Ne Imam Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu kay kaan Me Azan Di
Hadees 06:
عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي رَافِعٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم أَذَّنَ فِي أُذُنِ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ - حِينَ وَلَدَتْهُ فَاطِمَةُ - بِالصَّلاَةِ ‏.‏
“Hazrat Abdullah ibn Abu Rafaye Se Rivayat Hai Jab Imam Hasan Ibn Ali Ki Wiladat Hazrat Syeda Fatima Se Huwi to Nabi E Karim Ne Hasan Ibn Ali kay kaan me azaan Di”
(Sunan Abu Dawood, Kitab Ul Adab, Baab : Paida Hue Bacho Kay Kaan Me Azaan Dene ka Bayan, Pg : 924, Hadees : 5105)
(Sunan Tirmizi, Kitab Al Adha,Hadees :1514)
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf #7986)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 03, Pg : 179,#4827)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Ul Kabeer #931)
(Imam Bayhaqi Shuab Ul Iman, # 8617)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 09, Pg : 305)
Scan Page Sunan Abu Dawood #5105



Ranj Wa Gham Ghabrahat Ko Dur Karne Kay Liye Azan Dena Me
Hazrat Adam Alaihsalam Kay Liye Hazrat Jibril E Ameen ka Azan Dena
Hadees :
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Nabi E Akram ne farmaya Jab Hazrat Adam Alaihsalam Jannat Se Hindustan Utre to unhe Ghabrahat huwi To Jibril Alaihsalam ne Utar kar Azan Di”
(Imam Abu Nauyam Asfahani Hilyatul Auliya, Vol : 05, Pg : 137, Hadees : 6566, Urdu Tarjuma Maktabatul Madina)
(Imam Ibn Asaqir Tareekh E Madina Vol :07, Pg :437) 
(Imam Hindi Kanjul Ummal, Vol : 11, Pg :455, Hadees : 32139)
Scan Page

Hadees :
Imam Daylami Ne Musnad Al Firdaus Me naql  kiya 
قَالَ رَایٰ النَّبِیُّ صَلّٰی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْهِ وَسَلَّم حُزِیْناً فَقَالَ یَا ابْنَ اَبِیْ طَالِبٍ اِنِّیْ اَرَاكَ حُزِیْناً فَمُرْ بَعْضَ اَھْلِكَ یُؤَذِّنُ فِیْ اُذُنِكَ فَاِنَّهٗ دَرْءُ الْھَّمِ
Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu Se Marwi hai Aap Radiallahu Ahhu farmate hai kay Mujhe Nabi E Karim ne jab gamgeen dekha to irshad Farmaya Aye Ali Radiallahu Anhu Mai Tujhe Gamgeen Pata Hoon apne kisi ghar wale se kah ki tere kaan me azan kahe, azan gam wa pareshani ki daafe hai"
(Imam Jalaludin Suyuti, Jame Ul Ahadees Vol : 15, Pg :338-39, Hadees : 6017)
(Imam Mullah Ali Qari Mirqat Al Mafatih Shara E Mishqat, Vol : 02, Pg : 331) Scan Page Jame Ul Hadees Lil Suyuti

Aala hazrat Fazil E Barelvi Rahmatullah Alaih isko naql karne kay baad Fatawa Razviya Vol : 05 Pg : 668 me bayan karte hai
“Maula Ali Aur Maula Ali tak jis qadr is hadees kay raavi hai sabne farmaya humne isse tajurba kiya to aisa hi paaya”  Scan page

Sharir Jinn Se Bachne Kay Liye Azan Kahna Hadees :
"Hazrat Suhail Radiallahu Anhu ne farmaya unke walid ne unhe Banu Haritha ki janib ek ladke ya unka ek saathi (khadim) kay saath bheja, kay achanak usko kisi awaaj dene waale ne baag se naam leke awaz di,
Hazrat Suhail Radiallahu Anhu Farmate hai jo ladka mere saath tha usne baag (Garden) me jhaka usko kuch nazar nahi aaya. 
Hazrat Suhail Radiallahu Anhu kahte hai Maine ye waqya apne walid se bataya unhone kaha kay agar mujhe maloom hota kay tum is waqye se do char hoge to mai tumjhe na bhejta. 
Lekin ainda tum agar koi awaaj suno to namaz ki azaan do kyuki maine Abu Hurraira Radiallahu Anhu se suna hai wo Nabi Ne farmaya kay jab namaz kay liye Azan pukari jaati hai to shaitan peeth fer kay gooz (hawa kharij) karte huwe bhaag jata hai"
(Sahih Muslim, Vol : 01, Pg : 192, Hadees : 744, Kitabus Salat, Baab Fazail E Azan)
Scan Page

Wahabiyo ka aitraaz yehi raha kay chunki Azan sirf namaz kay liye hoti hai baaki kisi kaam kay liye nahi di jaa sakti wo biddat hai yahan humne kayi hadees bataur e dalil pesh ki jisme Sahih Muslim jaisi kitabo kay dalail bhi shamil hai kay azan naa sirf namaz kay liye balki deegar kaam kay liye bhi di jaa sakti hai.
Wahin Ulema E Deoband Kay Imam Wa Peshwa Rashid Ahmad Gangohi Khatme Bukhari Sharif kay baad dua kay talluk se kahte hai
"Musibat Kay Waqt Bukhari Sharif Ka Khatm"
Sawal : Kisi Musibat kay waqt Bukhari Sharif Ka Khatam Karna Kurune salasa Se saabit hai ya nahi aur biddat hai ya nahi ? Al Jawab : Kurune Salasa me Bukhari ki taalif nahi huwi thi magar iska khatm durust hai ki zikr khair kay baad dua kabool hoti hai, Iska asal shara se saabit hai, biddat nahi, Rashid Ahmad Aafi Anhu"
(Fatwa E Rashidiya Pg : 173) Scan Page
Yaad rahe Imam Bukhari Rahmatullah Alaih ka wisal 256 Hijri me huwa naa Aap Radiallahu Anhu Tabayi they Na sahabi uske baad bhi Khatme Bukhari kay baad dua kabool hogi ye niyat se dua karna biddat nahi halanki inhi logo ka apna usool hai kay jo kaam sahaba ne nahi kiya hadees me Nabi Ne nahi kiya wo biddat hai yehi to hum kahte hai kay Azan E Qabr ho ya waba kay waqt azan dena ye biddat kyun hogaya jabki iski asl sabit hai aur hadees e maujud hai Azan kay baad dua kabool hoti hai to wo biddat hojata hai. Wahin Ek Aur Makam Par Deoband Kay Mufti Azam ka fatwa padhe Waba Kay waqt Azan Dene kay talluk se
"Waba Ke Liye Surah Yaseen Sharieef Ka Amal Or Iska Hukum" Sawal 121 : Ek Shehar Me Bohat Taaon Hogya Ahle Shehar Ne Mil Kar Kuch Rupiya Jama Kiya Ke Isko Sadqa Kiya Jaye Aur Ulema Se Pocha Ke Is Rupye Ko Kis Par Kharch Karen,Ek Alim Ne Kaha Ke Yateem Or Bewah Auraton Par Sarf Kiya Jaye Or Nez Kaha Ke Shehar Ke Ird-Gird Surah Yaseen Padhi Jaye Aur Jis Waqt Lafz "Mubeen" Aye Is Waqt Khade Hokar Azaan Di Jaye,Aur Ek Dusre Alim Ne Kaha Ke Ye Fail Biddate-Saiyyah Hai Aur Shirk Hai Aur Jisne Ye Fail Kiya Isko Tajdeej Nikah Or Tauba Or Astaghfar Karna Zaroori Hai Warna Iske Peeche Namaz JaiZ Nahi Hai❓ Al Jawab : Sadqa Karne Me To Zahir Hai Koi Harj Hi Nahi Balki Sadqa Karne Se Bala Dafa Hoti Hai,Aur Amal Mazkor Agarcha Hadees Wa Fiqa Se Sabit Nahi Hai Batarik Amaal Mashaikh Isme Kuch Harj Nahi Aur Kufr Wa Shirk Kehna Isko Galt Hai,Lihaza Tajdeej Nikah Ki Zaroorat Nahi Aur Namaz Iske Peeche Durust Hai Ahwat Ye Hai Ke Aise Amal Ko Tar'k karden. (Mufti Azizur Rahman , Fatawa E Darul Uloom Deoband, Vol : 01, Pg :170-171) Scan Page



Ulema E Deoband Kay aur Aqabir Mufti Mahmood Hasan Gangohi Sahab Jo Deoband Kay sabse bade Mufti bhi they unke Fatwa E Mehmoodiya me ek sawal kay jawab me likhte hai. "Dafa waba wa bala ke liye Azan" Sawal 2201 : Yaha par bukhar, maleria wagera ki aam shikayat hai,masjid ya gair masjid me kisi bimari ke dafa karne ke liye chand admi mil kar ya alàedha alaedha azanen den to shar'an jaiz hai? Is qism ki azan kya waqte namaz ya gair waqte namaz me kahi jaye to jaiz hai? Al Jawab : Bala ke dafiya ke liye azan kehna sabit Balki mustahab hai. 1)bhukhar ke dafiya ke liye azan kehna sabit nahi hai, shar'an dafa bala ke liye azan is tarah kahi jaye ke azane namaz ka ishtabah na ho. (Fatawa E Mehmoodiya Mufti Hasan Gangohi, Vol : 05, Pg : 407) Scan Page


Yahan humne Deobandi Ulema kay 03 Fatwe pesh kiye sabka kahna hai ye shariat ki asal se saabit hai karne me koi harj nahi naa kare to bhi behtar hai to deobandiyo ko chahye agar wo naa bhi azaan de to kam az kam ummat me inteshar karke dusro ko biddati hone ka ilzam na lagaye.
Aate hai Chote bhai gair muqallideen kay taraf inke jaban to biddat biddat kay elawa aur kuch nahi nikal sakti
Gair Muqalideen kay Allama Nawab Siddique Hasan Khan Bhopali apni kitab Ad Dua Wad Dua me likhte hai

Jinnat Ko Bhagane Kay Liye "Zaid ibn Aslam Radiallahu Anhu Maun Par Waali they logon ne yahan Jinnat Bahut Hai, Kaha Kasrat Se Azan Har waqt kaha karo Chunache Aise hi Kiya fir Kisi jin ko wahan na dekha"

Mushkilat Se Nikalne Kay Liye "Hazrat Ali Radiallahu Anhu Kehten Hain Ke Mujhe Nabie-Paak ﷺ Ne Mujhe Mahoom Dekh Kar Farmaya Ke Baaz Ke Apne Gharwalon Se Kisi Ko Hukum De Ke Wo Tere Kaano Me Azaan Kehden Ke Ye Dawa-e-Gum Hai,Or Mene Aisa Hi Kiya Or Mujhse Gum Door Hogya" (Kitabut Taweezat Al Maroof Ad Dua Wad Dua Page : 76)

Scan Page

Imam Ul Muhadiseen Shaykhul Islam Imam Ibn Hajar Asqalani Shafai Rehmatullah Alaih (Al Mutwaffa 852 Hijri) Waba Kay waqt ek bahtareen amal bayan karte hai HAR MARZ KI DAWA HAI SALLE ALA MUHAMMAD  

Imam Ibn Hajar Asqalani Rahmatullah Alaih likhte hai
أن من أعظم الأشياء الدافعة للطاعون و غيره من البلايا العظام، كثرة الصلاة علي النبي ﷺ)...!" "Taun (plague) aur Dusri badi Balaon Ko, Khatm karne wali badi chizo me se ek chiz Nabi Par zyada Se Zyada Durood Bhejna Bhi hai"
(Imam Ibn Hajar Asqalani Badzlu Al Maun Fi Fadhli Al Taun Pg : 333, Darul Aasimah Riyadh) Scan Page


Imam Ibn Hajar Asqalani Rahmatullah Alaih ne bhi yahan ek nushqa bayan kiya kay aise waqt Durood E Paak ki kasrat karna bhi bahot mufid hai issi tarah baaz sufiya auliya ne baaj isme Aazam aur deegar zikr wazaif dua bayan kiye hai jo kiye jaa sakte hai. Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

1 comment:

  1. Exquisite and detailed article. جزاک اللہ

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers