Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday, 14 April 2020

Sahih Muslim Hone Kay liye Kya Jaruri hai

Pichli Do Post Me Humne Wajah kiya kay Is Ummat Me Insteshar Firqe Kaise Huwe POST 01 READ HERE
Post 02 : Is Ummat Me 73 Firqe Aur Sawad Azam Ka Bayan CLICK HERE TO READ
Sahih maano me ek aql mand aur jahenshin shaksh wo hai jo us talluk se aane waali tamam hadeeso ko pahle apne saamne rakhe aur phir uske baad sab par gaur o fiqr karke ek result conclusion par aaye warna aaj jo halat hai ek aayat ya ek hadees ko base banakar uske bina par logo ko kaafir mushrik biddati bola jaa raha hai sabse badi khayanat aaj yehi hai.

Sahih Mazhab Par Rehne Kay Liye Kya Kya Jarurat Hai
Quran E Karim Ayat 01 : اهدِنَا الصِّراطَ المُستَقيمَ
صِراطَ الَّذينَ أَنعَمتَ عَلَيهِم غَيرِ المَغضوبِ عَلَيهِم وَلَا الضّالّينَ
"Hume Sidhe Raste par Chala, Unlogo kay raste par jinpar tune ehsan kiya aur naa ki unlogo k raspe par jinpar tera ghazab huwa aur na unke jo bahke huwe hai"
(Surah Fatiha, Ayat 06 - 07)
Quran E Muqaddas Ki aayat e karima pe dekhe to ye aayat har banda padhta hai Hume Unke Raste pe chala jo jin par ehsan huwa inaam huwa aur naa unke jo bahqe huwe hai to wo kaunsa giroh hai jispe ALLAH paak ne Inaam kiya hai uska zikr bhi Quran E Muqaddas me hai
Ayat 02 :
وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَالرَّسولَ فَأُولٰئِكَ مَعَ الَّذينَ أَنعَمَ اللَّهُ عَلَيهِم مِنَ النَّبِيّينَ وَالصِّدّيقينَ وَالشُّهَداءِ وَالصّالِحينَ ۚ وَحَسُنَ أُولٰئِكَ رَفيقًا
"Aur Jo Allah Aur Rasool ki Itaat kare to wo unlogo kay saath hoga jinpar Allah ne fazal kiya yaani Anbiya Aur Siddiqeen Aur Shohda Aur Salaheen Aur ye Kitne Acche Saathi hai" (Surah Al Nisa Ayat 69) yaani Nabi E Akram ki itaat farmabardari ka hukm Quran ki nass se hai to ab sawal ye hai Nabi ki itaat kaise ho to uski rehnumai beshumar hadees e paak se hoti hai jo is baab me hum aage pesh karenge taaki samajh aaye haq aur sacche mazhab par kayam rehne k liye kya kya jaruri hai.
ALLAH PAK KAY BANDE WALIYO KO MAAN NA HAI Ayat 03 :
أَلا إِنَّ أَولِياءَ اللَّهِ لا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
"Sunn Lo Beshaq ALLAH kay waliyo par koi khauf hai aur na koi gam" (Surah Yunus Ayat 62) Ye wo makam hai Allah kay waliyo ka jinki shan ALLAH ne is tarah bayan ki Quran ki bahot si aayat inki fazilat aur inke makam kay baare me hai Hadees me aaya. Hadees : "Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasool E Akram Ne Irshad Farmaya Allah Taa'la Farmata hai Jisne Meri Kisi Wali Se Dushmani ki mai usse Ailan E Jung Karta Hoon"

(Sahih Bukhari Kitabur Riqak, Baab 38: باب التَّوَاضُعِ Hadees : 6502)
Maloom huwa kay waliyo ko bhi hume maan na hai ab jo log kahte hai ye wali baba logo ko maan ne ki inki tazeem karne ki kya jarurat hai wo Itaat E Rasool ka matlab hi nahi samjhe hai balki unhone bas Namaz Me rafayden ko hi itaat samajh liya hai.

Quran Aur Sunnat Ka Daman Thamo
Hadees 01 : 

وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، أَنَّهُ بَلَغَهُ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ تَرَكْتُ فِيكُمْ أَمْرَيْنِ لَنْ تَضِلُّوا مَا تَمَسَّكْتُمْ بِهِمَا كِتَابَ اللَّهِ وَسُنَّةَ نَبِيِّهِ 
“Hazrat Malik Ibn Anas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Akram   Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chize’n Chode Jaa Raha Hoon Jab Tak Inhe Thame rahoge Kabhi Gumraah naa Hoge, Ek Kitabullah (Quran) Aur Ek Meri Sunnat
(Imam Malik Al Muwatta, Pg : 688, Kitab Al Qadr, Hadees : 1718)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra, Vol : 10, Pg : 114 Hadees E Ibn Abbas Radiallahu Anhu)
(Imam ibn Abdul Barr Maliki At Tamheed, Vol : 24, Pg :331 hadees Sahih)
Scan Page 



Quran Aur Ahle Bayt Ka Daman Thamo
Hadees 02 :
“Hazrat Jaabir bin Abdullah Radiallahu Anhu se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim ﷺ Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)
Scan Page Tirmizi

Khulfa E Rashideen ki Pairwi Karna

Hadees 03 : “Hazrat Irbaaz Bin Saariya رضي الله عنه  Se Riwayat Hai Ke Ek Din Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Fajr Ki Namaz Kay Baad Hamey Nihayat Faseeh Wa Baleegh Waa’z Farmaya Jis Sey Aankhon Mey Aansoo Jaari Ho Gaye Aur Dil (Khashiyyatey Elaahi Sey) Kaanpney Lagey. Ek Shakhs Ney Kaha Yeh To Alwida Kehney Waaley Shakhs Key Waa’z Jaisa (Khitaab) Hai ! Ya RasoolAllah ﷺ!

Aap Hamey Kya Waseeyat Farmatey Hai ?

Aap ﷺ Ney Farmaya :
Mein Tumhey Parhezgaari Aur Sun Ney Aur Maan Ney Ki Waseeyat Karta Hoo’n, Chaahey Tumhaara Haakim Habashi Ghulam Hee Kyun Na Ho.
Is Liye Ke Tum Mey Sey Jo Zinda Rahey Ga Woh Bahut Sey Ikhtilaf Dekhey Ga Khabardaar (Shariat Key Khilaaf) Baaton Sey Bachana Kyun Ke Yeh Gumraahi Ka Raasta Hey.
Lihaaza Tum Mey Sey Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Leyna.
(Sunan Abu Dawood , Kitabul Sunnah, Baab : Sunnat Pe Amal Karne Ka Bayan, Pg : 832,Hadees : 4607)
(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg : 44, Kitabul Ilm, Hadees : 2676)
عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ
(Sunan Ibn Majah Vol : 01 Pg : 32,Kitabul Mukadamah, Hadees : 42)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg : 174, Hadees : 329)
Scan Page Sunan Abu Dawood


SAHABA TABAIN AUR TABE TABAIN KI PAIRWI KA HUKM Hadees 04: Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Kay Wo Farmate hai Mere Walid Hazrat Umar Radiallah Anhu Makam Al Jabiyah Me Hamare Darmiyan Khutba Dene Khade huwe Aur farmaya Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Aye Logo Main Tumko Apne Sahaba Ki Pairwi Karne Ki wasiyat karta hoon Phir Unke baad aane waalo ki (yaani tabain) aur phir unke baad aane waalo ki (Yaani tabe tabain) (Jamai Tirmizi, Pg : 489, Kitabul Fitan, Hadees : 2165) Imam Tirmizi ne Likha قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ  Ye hadees Hasan Sahih hai Scan page Jamai Tirmizi

Quran E Karim Ki Khud Se Tafseer Na Karna
Hadees 05: Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Shakhs ne Qur'an me (beghair Ilm Ke) Apni Rai'i Chalayi Wo Apna Thikana Jahannam me bana le"
(Sunan Tirmizi, Pg :659 Kitabut Tafseer Ul Quran,Hadees : 2950)
Imam Tirmizi Farmate Hai ‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.
Ye hadees Hasan Sahih hai. (Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih, Kitabul Ilm, Hadees : 234)

Hadees 06 : "Hazrat Jundub Ibn Abdullah Radiallahu Se Rivayat hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh Quran Kay baare me apni rai se kuch kahe aur agar wo durust bhi ho tab bhi usne galti ki"
(Sunan Tirmizi, Pg :660 Kitabut Tafseer Ul Quran,Hadees : 2952)
(Imam Abu Dawood, Sunan Abu Dawood, Kitabul Ilm,
باب الْكَلاَمِ فِي كِتَابِ اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ Hadees : 3652)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih, Kitabul Ilm, Hadees : 235)
Scan Page Jamai Tirmizi hadees 2950 & 2952


Maloom huwa kay khud kay mutabik urdu English tarjuma karke Musalmano pe fatwa lagana shuru kare khud ayat ko select karke us aayat ko base bana le aur tamam dusri aayat uski tafseer hadees sab chodke fatwa lagana shuru kare to gumraah khud hoga dusro ko gumrah karega aur jahannam ka indhan banega.
CLICK HERE TO READ UMMAT E MUSLIMA SHIRK PAR JAMA NA HOGI

Har Sadi Me Mujadideen Ka Aana Hadees 07 : "Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Rivayat Karte Hai Nabi E Pak Ne Farmaya Allah Taa'la Is Ummat kay liye har Sadee Kay Aakhir Me Kisi Aise Shaksh (ya ashakhas) ko paida farmayega Jo us(ummat) kay liye uske deen ki tajdeed karega"
(Sunan Abu Dawood, Pg : Kitabul Malahim, Hadees : 4291) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 567, Hadees : 8592) (Imam Tabarani Al Mujam Ul Awsat Vol : 06, Pg : 223, Hadees : 6527)
Scan page Sunan Abu Dawood #4291
Upar bayan karda in ayat e karima hadees e pak se wajah hai kay hume
hidayat kay liye sabse aham Musalmano me uska daman pakadna hai jo Silsile se saabit hai 01) Quran 02) Hadees (Sunnat) 03) Ahle Bayt 04) Khulfa E Rashideen 05) Sahaba 06)Tabayn 07) Tabe Tabain 08) Auliya Salaheen 09) Quran Kay Mufassireen Muhadiseen jinhone Hadees ko jama kia 10) Mujadideen Fuqaha jo har sadi is deen ki tarjeed kay liye aayenge aur jo inme se kisi bhi link ko chodkar deen ko samajhne jayega wo gumrah hi hoga Jo tabka Sirf Quran Ahle Bayt ki baat kare baaki ko naa maane gumrah hoga dekh le Shia ko Jo tabka sirf Quran aur Sahaba ki baat kare gumrah hoga dekh le Deobandio ko Jo tabka sirf Quran Hadees Quran Hadees ki ratt lagaye gumrah hoga dekhlen Ahle hadeeso gair muqallideen ko Lihaja hum par jaruri hai kay Quran kay saath in tamam ko maane inke aqaid ko maane jo tarike pe ye giroh hai unke saath rahe taaki hidayat pe rahe inse dur huwe to hidayat ki rassi bhi chut jaygi ALLAH Taala Se Dua Hai hume har fitne se mehfuz rakhe aur hamara khatma bil khair farmaye POST CREATED BY SHAIKH SHER ALI KEEP KEEP REMEMBRANCE AT YOUR PRAYERS

2 comments:

  1. Bhai bht hi achi tahreer h
    Ma sha Allah
    Kuch log bade buzrugane deen se apne murshid se rae mashware krne ka b hasi mazaq udate hein khte h ki unhe utna importance kyu de rahe unhe insab ka kya ilm h
    Ap is or bhi post tahreer karein bhai

    Jazakallahu khaira

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers