Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday 11 April 2020

73 Me 01 Kaun

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم  بسم الله الرحمن الرحيم الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَ لصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ ﷺ

Ye ek aisa wasi unwan hai jispe kayi nashist chahye aur kayi kitab is unwan par deegar ulema ne likhi hai har daur me har firqe ne khud ko hi sahih bataya hai baaki sabko galat, aur hum is daur me hai ye daur bhi usse alag nahi huwe hai Nabi E Akram ﷺ ne apne Ashaab ko aane wale tamam waqyat har fitne ka zikr karke bata diya aur sahaba ne usko apni aankho se jo unke saamne hua wo dekha bhi aur qutoob e hadees tarikh kay jariye hum tak wo cheez aayi.
Jab tak Islam Sirf Makkah me tha musalman kam they dushman e Islam bas kaafir they yehi wajah bhi thi kay Qurani tauheed pe aur jo shirk ki mazzamat me aayat aayi wo inhi kay baare me aayi jab Musalmano ne hijrat ki aur Madina E Pak aagaye to ek tabka aaya jisse Munafiq kaha jaata hai jinke baare Surah Baqrah Surah Munafiqun aur bhi deegar aayat me inka khulasa hai.| Bas firqa issi tarah wajud me aaya Sabse Pahle Munafiqeen they phir Daur E Siddique E Akbar Radiallahu Anhu me naya fitna aaya munkireen e Zakat ka phir Islam Ki Ek Aisi Dhal jo is ummat aur fitno ki darmiyan ek Darwaze se thi Unhe Shaheed kiya gaya jiska Zikr hadees me milta hai.

Nabi E Karim Ne Kayamat Tak Aane Waale Fitno Kay Baare Me Bata Diya
Hadees 01:
Hazrat Huzaifa Radiallahu Anhu Bayan Karte hai Nabi E Karim Hume Khitab Farmane Kay liye Ek Jagah Khade huwe Aur Aap ﷺ Ne wahan Se Kayamat tak aane waale tamam waqiyat bayan farma diye Yaad Rakhne Waale ne usse yaad rakha aur bhula dene waale ne usse bhula diya.
(Sahih Bukhari, Pg : 1673, Kitabul Qadar, Hadees : 6604)
(Imam Muslim Sahih Muslim, Hadees : 23, 2891, 7263)
(Imam Abu Dawood, Kitab Al Fitan Wal Malahim, Hadees : 4240) 
(Khatib Tabrezi Mishkal Al Masabih, Vol : 03, Kitabul Fitan, Hadees :5379)


Jahir hai Jab Rasoolullah ﷺ ne sahaba ko kayamat tak hone waale tamam waqiyat kholkar bayan kiye they to ye bhi mumkin nahi kay firqo ka zikr naa kiya ho ji haan Nabi E Rehmat ne Apni ummat me hone waale firqo ka unki nishaniyo ka khula zikr kiya hai jo aage hum is series me kishtwar post karenge.

Ameerul Momineen Hazrat Umar Ibn Khattab Is Ummat ki Dhaal Hai
Hadees 02:
Hazrat Sayyidna Huzaifa bin Yaman رضي الله عنه   Se Rivayat Hai wo Farmaye hai hum Ameer Ul Momineen Sayyidna Umar Farooque E Aazam رضي الله عنه   kay pass bethe they, 
Farooque E Aazam رضي الله عنه   Ne Kaha Fitne Kay Baare Me Rasoolullah ﷺ ki koi hadees kisi ko yaad hai ? Maine Arz Kiya  Mujhe yaad hai, Farmaya Sunao Tumhara Yehi Mansab hai,
Maine hadees Sunate huwe kaha Rasoolullah ﷺ ne farmaya Insaan Ka fitna Uske Ahle Khaana, Maal, Jaan, Aulaad aur padosi kay baare me hota hai,  Jo Roza, Namaz, Sadqa Aur Neki Ka Hukm Dene Se Aur Burayio ko rokne se mit jaata hai,
Ye Hadees E Paak Sunke Ameerul Momineen Farooque Azam رضي الله عنه   Ne farmaya Ye Hadees E Paak Nahi balki mai us hadees e paak ki baat kar raha hoon Jisme us Fitne Ki baat hai jo samundar ki tarah mauz e marega,
Maine Kaha Aye Ameerul Momineen Aapka Abhi is se kya waasta abhi to fitne kaa darwaza band hai.
Aapne Kaha Wo Darwaza toda jayga yaa khola jayega ?
Maine Kaha Toda Jayga aur Phir Kabhi band naa hosakega.
Sahaba E Kiram Rizwanulahi azmayeen Farmate Hai Humne Baad Me Hazrat Huzaifa رضي الله عنه   Se Pucha Kya Hazrat Umar رضي الله عنه   ko us Darwaze Kay baare me Ilm tha ?
Unhone Kaha Ji Haan Bilkul Ilm Tha Balki Aisa Ilm Tha Jaise Kal  din se pahle raat kay aane ka ilm hota hai aur haan maine Unhe Jo kuch bataya wo koi galat baaton ka mazmua nahi hai balki sahi baatein hai
Sahaba farmate hai humne aage Hazrat Huzaifa رضي الله عنه   ki haibat kay maddenazar koi sawal naa kiya albatta Unke Gulam Hazrat Masrooq رضي الله عنه Ne Kaha Wo FITNO KO ROKNE WAALA KOI AUR NAHI KHUD HAZRAT UMAR IBN KHATTAB رضي الله عنه   KI JAAT HAI”.
(Sahih Bukhari, Pg : 138 , Kitab - Mawakit Salat, Baab -  الصَّلاَةُ كَفَّارَةٌ,
Hadees : 525)
(Sahih Bukhari , kitab Manakib E Nabi Wa Ashaab, baab - Alamatal Nabuwat Fi Islam, Hadees : 3586, 3606)
(Sahih Bukhari Kitabuz Jakat, Hadees : 1435)
(Sahih Bukhari kitabul Fitan, Hadees : 7096)
(Sahih Muslim Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 144, 195)
(Sahih Muslim Vol : 07, Kitabul Fitan, Hadees : 6914) Scan Page Sahih Bukhari #525


Natiza yehi huwa Kay Hazrat Umar Radiallahu Anhu ki shahadat kay baad hi Musalman fitno ki jadd me aaye Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu ki khilafat kay shuruwati 06 saal to bade acche guzre aur uske baad kay 06 saal me kayi fitne aaye aur Misr(Egypt) Kay balwayio kay haatho Aap Radiallahu Anhu ki shahadat huwi Kisi tarah Maula Ali Radiallahu Anhu Ameerul Momineen Musalmano Kay khalifa bane aur wahin Sham Me Qital E Usman Radiallahu Anhu kay mutalbe me Hazrat Ameer Muaviya Radiallahu Anhu ne ek alag Sham me hukumat kayam ki natiza Islami Hukumat kay do hisse hogaye aise me Islam Dushman taqat ne jamke iska nafa uthane ki koshish ki wahin aage chalke Jung E Jamal Aur Jung E Siffin ki surat me dekhne ko mili jahan Ek giroh Sham ki taraf se huwa dusra Kufa Maula Ali Radiallahu Anhu ki janib se huwa shuruwat me bas ek ektelaf tha baad me daur E Sahaba kay baad dhire dhire ek firqe ki shakl ekteyar kar chuka tha jo Nasibiyat ki taraf aaye jinhone Ahle Bayt Se izhaar e bugz rakha dusre Shia' aaye jinhone Hubbe E Maula Ali Radiallahu Anhu me dusre sahaba ki tauheen ki aur jung E Siffin kay baad Maula Ali Radiallahu Anhu Aur Ameer Muavia Radiallahu Anhu me ek sulah huwi wahan ek naya giroh nikla jinhe Kharji kaha jaata hai Jo jinhone Maula Ali Radiallahu aur Ameer Muaviya Aur Dusre Sahaba ko Kaafir kahna shuru kiya Kharjiyo Se Maula Ali Radiallahu Anhu ne Jung Ki Jisse Jung E Naherwan kahte hai kharjio ka aqeedah wohi tha kay Maula Ali aur Muavia ibn Abu Sufyan Rizwanullahim Azmayeen Quran ki ayato k mutabik mushrik kafir hogaye hai MaazALLAH Astagfirullah. Aur Wohi Nazariyat aaj kay wahabiya me hai jo aage ki post se samajh aajayga

Rasoolullah ﷺ Ki Maula ALI Radiallahu Anhu ko Quran Ki Tafseer Ki Khatir Jung Ki Basharat
Hadees 03:
"Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se marvi hai wo farmate hai hum Nabi E Akram kay intezar me bethe huwe they kay Aap Apni Ahliya Muhtarma (Hazrat Aisha Siddiqua Radiallahu Anha) kay ghar se bahar tashreef laaye, To Aap Ka Jhoota (Shoes Mubarak) tut gaya aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu uski marramat karne ki garz se piche reh gaye aur hum unke intezar me wahin thaher gaye, Nabi E Karim Ne Farmaya tum me se ek shaksh aisa bhi hai jo Quran E Karim ki tafseer kay liye qitaal karega (Jung karega) jaisa kay maine Quran E Muqaddas ki haqqaniyat ki khatir kaafiro se jung ki, Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Farmate hai ye Sunke hum sab hasrat aur massarat se shauk me pad gaye kay wo khushnasib kaun hoga hamare saath Abu Baqr Siddique Aur Umar Ibn Khattab Rizwanullahim Azmayeen bhi they, Aap Ne Farmaya Nahi tum me se koi nahi balki is waqt wo shaksh mere Jhoota(Shoes) ka gaan't baand raha hai yaani Hazrat Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu, Abu Saeed Khudri Radiallahu anhu kahte hai ye sunke hum Maula Ali Radiallahu Anhu ko ye khushbari dene gaye aur unhe is baat ki khabar di, Sunne kay baad Hazrat Ali Radiallahu Anhu ne is tarah radde amal diya goya wo ye basharat pahle se hi jaante they"

(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 18, Pg : 296, Hadees : 11773) Shaykh Arnaut Ne Is hadees ki Sanad Ko Sahih qarar diya
(Imam Ahmad Musnad Ahmad ibn Hanbal. Vol. 17, Pg : 390, Hadees : 11289) Ye hadees bhi sahih hai iski sanad dusri hai
(Imam Ibn Abi Shayba Al-Musannaf Vol : 17, Pg : 105,Hadees : 32745)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 122-123)
Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ki Shart par ye hadees Sahih hai Aur Imam Zahabi ne Talkhis me iski tashreeh ki hai isko sahih kaha hai. (Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :02, Pg : 341 - 342, Hadees : 1086) Sanad Sahih (Imam ibn Hibban As Sahih Vol : 15, Pg:385, Hadees : 6937) Shaykh Arnaut Ne Imam Muslim ki shart par iski sanad ko sahih kaha (Imam Tahawi Sharh Mushkelul Athar Vol :10, Pg :237, Hadees :4058) Shaykh Arnaut ne iski rivayat bhi sahih qarar diya (Imam Bagawi Sharh Al-Sunnah Vol: 10, Pg : 232/233, Hadees : 2557)

Imam Dhahabi Rahmatullah Alaih Imam Ahmad ibn Hanbal Radiallahu Anhu Ki Rivayat naql karne kay baad likhte hai "Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu ne khawarij se jung ki ek wo giroh jinhone apni jahalat aur khud sakhta aql se Quran E Karim Ki tafseer ki"(Tarikh ul-Islam Wa Wafiyat Al-Mashahir Wa Al-A'lam Vol : 02, Pg : 366) Shaykh Albani Imamul Wahabiya (Silsilat Al-Ahadith Al-Saheeh Vol :05, Pg : 639, Hadees :2487) Scan Page Musnad Imam Ahmad Ibn Hanbal #11773 Tehkeek Shaykh Arnaut

Nasbi, Kharji, Shia ye to they hi tab ek Aur firqa wajood me aaya jisne Maula Ali Radiallahu Anhu se haddh e gulu izhar e muhabbat ka dawa kiya aur Maula Ali Radiallahu anhu ko KHUDA declare kar diya jinhe Maula Ali Radiallahu Anhu ne Zinda jalwa diya aur aaj bhi ye tamam giroh mauzud hai jinhe Nusairiya Shia kaha jaata hai. Sahaba Kay daur me hi ek aur firqa aaya hai jinhe hum QADARIYYAH kahte hai ye firqa taqdeer ka munkir tha aur isme ye inkaar e taqdeer ki aiteqadi biddat izaad ki zikr zikr hadees me aata hai. 

Hadees 04:
"Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Qadariyyah (Taqdeer Kay Munkir) Is ummat kay Majoosi hai Agar wo bimar ho to unki iyadat ko naa jao aur agar mar jaaye to unke janaze me Sharik mat ho" 
(Sunan Abu Dawood, Pg :768, Kitabul Sunnah, Baab : باب فِي الْقَدَرِ, Hadees : 4691)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol : 02, Pg : 86/125, Hadees : 5584/6077)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat, Vol : 05, Pg : 114, Hadees : 4217) 
(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 107)
Scan Pages 


Baaj Logo ko ye bhi ek aitraaz hota hai kay ye ulema kya kah rahe janaze me naa jao ek dusre se mazhabi talluk na rakho balki ayadat ko bhi na jao wo jhagda lagane wali baatein hai hargiz nahi balki ulema in hadeeso ko samne rakh kar bolte hai In Sha Allah Taala jald hum dalail se ek post Badhmazhab kay piche namaz kay talluk se likhenge

Aur Ek Firqe Ka Zikr Dusri Hadees E Paak Me Milta Hai Hadees 05: Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Is Ummat Kay Do Giroh Aise Hai Jinka Islam me Koi Hissa Nahi EK Murji'ah Aur Dusra Qadariyyah (Taqdeer Ka Munkir)"
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Muqadammah, Hadees : 62)
(Sunan Tirmizi, Kitab Al Qadar, Baab Maa Ja Fi Taqdeer, Pg : 485,Hadees : 2149)
(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Baab : Taqdeer Par Iman Laane Ka Bayan, Vol : 01, Hadees : 105)
Scan Page Tirmizi #2149


Note : QADARIYYAH firqa taqdeer ka munkir tha isko koi galti se Silsila E Qadriya Gaus E Azam se naa samjhe wo alag hai.
Ye firqe aachuke they baad me Tabain Tabe Tabain ka daur aaya usme ek aur Firqa aaya jiska naam Mutazila tha ye daur E Abbasiya me urooj ko aaya Imam Ahmad Ibn Hanbal Radiallahu Anhu ne Is firqe kay khilaf kayam kiya Aur wohi wajah thi kay sabse pahli baar kisi ko Imam Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka laqab mila to wo Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih they.

Rasoolullah ﷺ Ki ALLAH Pak Se Dua 

Hadees 06: 
 Amr Ibn Saad Apne Walid Hazrat Saad Ibn Abi Waqqas Radiallahu Anhu Se hadees bayan karte hai Kay Unhone Farmaya Ek Martaba Rasoolullah Madine Ki Buland Ilake Se tashreef Laaye yahah tak kay Banu Mauviya Ki Masjid kay karib Se guzre to wahan dakhil huwe aur Do rakat namaz ada farmayi aur humne Bhi Aap ﷺ Kay saath namaz ada ki aur Aap ﷺ ne Apne Rab Se bahot Lambi der tak dua farmayi Aur Phir Hamare taraf Aap ﷺ ne rukh kiya Aur Irshad Farmaya Maine Apne Rab Se Teen chizen Mangi jisme se Do Mujhe Ata kardi gayi Aur Ek Se Mujhe Rok Liya Gaya, Maine Apne Rab Se manga Kay meri ummat ko ek saath Kahet Saali Se halak na karna to mujhe Ata kiya gaya aur maine manga Meri Ummat ko ek gark karke halak na karna to usme bhi mujhe ata kiya gaya Aur Maine Arz ki kay inke aapas me jung na ho to usse mujhe rok liya gaya"
(Sahih Muslim, Kitabul Fitan, Baab : Is Ummat ki halakat Aapas me ek dusre kay haatho hona, Pg : 1414, Hadees : 7154)
Scan Pages

Ye taqdeer ka faisla hochuka hai kay Is ummat me aapsi inteshar hoga aur ye tareekh me dekha gaya aur aaj bhi hum dekh rahe hai kaise Islami kahe jaane wale mulk ek dusre se dast o gireban hai aur iski badi wajah apne nazariyat ko farog dena yaani firqe ki tableeg karna hai Is tarah Aur Bhi Firqe Aaye Aur gaye ab hum jis daur me hai usme hamare saamne jo firqe hai wo har firqe ka dawa hai uske haq pe hone ka Jis tarah se pichle kuch saal me Shia'at ne Muh uthaya hai aur din raat sahaba ki tauheen ki hai wo hamare saamne hai phir Munkireen E Hadees Ka ek fitna jo kahta hai humare Liye sirf Quran kaafi hai Khatme Nabuwat Kay munkireen ka fitna jinhe aam jaban me Qadiyani kahte hai phir ek fitna Wahabiyat Gair Muqallideen naam nihad ahle hadees ki shakl me aaya aur ek Deoband ki shakl me itne me hi aur bhi bill se nikal pade hum kisi firqe ko nahi mante hum bas Quran Hadees maante hai aur Sunnio ko taana diya jaata hai tum log baba logo ko mante ho hum Quran hadees mante hai. Ye aur aise tamam firqe inki bunyadi jo root nazar aati hai wo Daur E Sahaba Kay waqt ek giroh niqla tha Khwarij ka unke aur Mutazila kay nazariye ko saamne rakhe to aaj wohi mix nazariya wahabiyat ka hai. Hum upar bayan kiye tamam fitno ka line se zikr karenge taaki kuch series me ye post muqammal ho
Next Post Is Ummat Kay 73 Sects Hone Ka Bayan Click here To Read Post Created by Shaikh Sher Ali Hanfi

6 comments:

  1. Mobile number mil sakta hai hazrat ka

    ReplyDelete
  2. Mujhe puchna hai hazrat se ki kisi uadis mai 72 firka kisi 71 kisi mai 73 ayesa q hazrat plz islah kare ...

    Mustafa zaan E remat pe lakho salaam

    ReplyDelete
  3. Shia ne kuch sahaba ko gali bura bhala kaha aur kuch sunni firqo ne hadees ko chupaya jaise mouvia r.a ke bare me jitne bhi hadees hai jaise ki bukhari,Muslim,etc sab hadees ko ummat se chupaya quran kehta hai jo haq baat chupaye uspe allah ki lanat firasto ki lanat tamam lanat karne walo ki lanat.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Allah tumko aqal de sunni ne hadees chhupaya hota to likha hi kyun hota
      Bukhari Muslim ki 150 se zyada shara likhi hai
      Aur sabme likha hai

      Koi hadees chupayi nhi gayi masla ye hai kay tum hadees ka tarjuma padhkr baaki sab avoid kar dete ho to samajh aayega kahan se

      Delete
  4. Bhai barevli to khud ek gumrah kom h

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers