Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday 18 May 2020

Hazrat Umar Ka Hazrat Abbas Ka Wasila Lena Tehkeek

Tawassul : Sahih Bukhari Hadees 1010 per Tafseeli Bayan



ALLAH Taala Nay Mujhe Taufeeq Ataa Ki  , Kay May Is Hadees Per Kuch Tafseel Bayan Karu.

Awam Pehle Yeh Samajhlay Kay Khud Say Quran O Hadees Samajhna Gumrahi Hay.

Quran Shareef Me Yun Zikr Hay .

Surah Ambiya Ayat 07:

وَ مَاۤ اَرْسَلْنَا قَبْلَكَ اِلَّا رِجَالًا نُّوْحِیْۤ اِلَیْهِمْ فَسْــٴَـلُوْۤا اَهْلَ الذِّكْرِ اِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَ(۷)

Tarjuma Kanzul Iman :

“Aur Humnay Tumsay Pehlay Na Bhejay Magar Mard Jinhay Hum Wahi Kartay Toh Aye Logo Ilm Walo Say Pucho Agar Tumhay Ilm Na Ho”

Hadees :

حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلاَنَ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ السَّرِيِّ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، رضى الله عنهما قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏

Tarjuma :
Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai K NABI صلی اللہ علیہ وسلم Nay Farmaya Jo Shaks Bagair Ilm Kay Quran Kay Baare May Kahe To Wo Aag May Hai.

Jame Trimidhi Hadees 3204 : Yeh Hadees Hasan Sahih Hay

Hadees :

حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بْنُ وَكِيعٍ، حَدَّثَنَا سُوَيْدُ بْنُ عَمْرٍو الْكَلْبِيُّ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ اتَّقُوا الْحَدِيثَ عَنِّي إِلاَّ مَا عَلِمْتُمْ فَمَنْ كَذَبَ عَلَىَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.

Tarjuma :
Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Nay Farmaya Mujhsay Bayan Karnay Say Bacho Siwaye Uskay Kay Maynay Apko Sikhaya , Kyukay Jo Shaks Meray Baaray Mujhper Jhoot Bolta Hay Wo Aag May Hay , Aur Jo Shaks Quran Kay Baaray May Kuch Kahay , Iski Apni Rai Kay Mutabik , Wo Bhi Aag May Hay.

Jame Tirmidhi Hadees 3205 : Yeh Hadees Hasan Hay.

Toh Is Ayat Aur Ahadees Se Saaf Wazeh Hogaya Kay K Agar Tumhay Ilm Nai Toh Ilm Walo Say Pucho Aur Quran O Hadees May Apni Taraf Say Kuch Na Kaho Warna Tumhara Thikhana Jahannum Hay.

Ab Aye Mauzu Ki Taraf

Hadees :

Sahih Bukhari Hadees 1010

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ، قَالَ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُثَنَّى، عَنْ ثُمَامَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ أَنَسٍ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ فَقَالَ اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا فَتَسْقِينَا وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا‏.‏ قَالَ فَيُسْقَوْنَ‏.

Tarjuma Wahabi Ka :

Hazrat Anas Bin Malik Radialla Taala Anhu Nay Kay Jab Kabhi Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Kay Zamana May Qahat Padhta Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Hazrat Abbas Bin Muttalib Radialla Taala Anhu Kay Waseelay Say Dua Kartay Aur Farmatay Kay A ALLAH , Pehlay Hum Tere Paas Apnay Nabi E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ka Waseela Liya Kartay Thay , Toh Tu Paani Barsata Tha , Ab Hum Apnay Nabi  E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Kay Chacha Ko Waseela Banatay Hay Toh Tu Hum Per Paani Barsa , Anas Radialla Taala Anhu Nay Kaha Kay Chunanchay Barish Khub Hi Barsi.

Yeh Hadees Gair Muqallid Ki Pehli Aur Akhri Daleel Hay Waseela Per , Kay Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu , Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Paas Kyu Jaatay ?

Iskay Alawa Puri Gair Muqallid Agar Ek Jagah Miljaye Toh Issey Zyada Wo Daleel Day Hi Nai Saktay K Baad Az Wafat Waseela Lena Bidat Hay Ya Haram Hay Ya Shirk Etc.

Humara Jawab :

Sabsay Pehlay Toh Gair Muqallid Ko Yeh Sabit Karna Padega Kay “”Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu , Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Paas Kyu Jaatay ? “”

Iski Wajah Yeh Hay Yeh Tabsera Hadees Per Khud Gair Muqallid Ka Gadha Hua Hay Apni Taraf Say , Imam Bukhari Nay Hadees Kab Likhi ?? Oos Daur Say Lekar Gair Muqallid Kay Wujood May Aanay Tak Accha Khasa Fasla Hay , Toh Is Darmiyan May Kis Muhaddis , Muffasir , Aimma E Mujhtahideen Wagaira Nay Yehi Istedlal Lliya Jog Air Muqallid Letay Hay ??

Warna Hum Toh Hukm Bata Chukay Hay Pichay K Quran O Hadees Ko Apni Zaati Rai Se Samajhna Kaisa ? Ab Gair Muqallid Ko Chahiye Kay Wo Is Per Yaani Apnay Istedlal Per Muttafaq Alayh Imam Kay Hawalay Say Daleel Qayam Karay Aur Apna Batil Aqeeda Sabit Karay.

Iskay Baraqs Hum Is Hadees Per Imamo Kay Sharah Pesh Karege , In Sha ALLAH Taala.

Issey Qabl Yeh Waseela Per Gair Muqallid Ka Yeh Aqeeda Bhi Jaan Liya Jaye Kay Inkay Nazdeek , Koi Zinda Shaks Agar Samne Maujud Na Ho Toh Uska Waseela Lena Jayaz Nai

Saniyan Agar Samnay Maujud Ho Tab Bhi Waseela Nai Le Saktay Kyukay Yeh Sirf 3 Waseela Kay Qayal Hay.

ALLAH Kay Naamo Ka Waseela
Khudkay Nek Amal Ka Waseela
Nek Buzurg Yaani Saleh Banday Say Dua Karwao

Daleel Kay Liye Tauseef Ur Rehman Ka Video Sunay



Ab Agar Aap Tamami Hazraat Hadees Per Gaur Karay Toh Usmay Aisa Kahi Bhi Nahi Likha Hay Kay Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Paas Gaye Ho Aur Unsay Dua Kay Liye Kaha Ho Aur Hazrat Abbas Bin Muttalib Nay Dua Ki Ho.

Jabkay Hadees Kay Alfaz Hay “Ab Hum Apnay Nabi  E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Kay Chacha Ko Waseela Banatay Hay Toh Tu Hum Per Paani Barsa , Anas Radialla Taala Anhu Nay Kaha Kay Chunanchay Barish Khub Hi Barsi.”

Toh Ismay Samnay Maujud Honay Wali Gair Muqallid Hazraat Ki Shart Hay Hi Nai ,  Phir Yeh Hadees Gair Muqallid Ki Daleel Kaisay Banti Hay ?

Lekin Dusri Hadees Hay Sahi Bukhari Ki Hadees No 3710

Hadees :

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الأَنْصَارِيُّ، حَدَّثَنِي أَبِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُثَنَّى، عَنْ ثُمَامَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ أَنَسٍ ـ رضى الله عنه أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ، كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ، فَقَالَ اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا صلى الله عليه وسلم فَتَسْقِينَا، وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا‏.‏ قَالَ فَيُسْقَوْنَ‏.

Tarjuma Wahabi Ka :

Hazrat Anas Radialla Taala Anhu Nay Kay Hazrat Umar Bin Khattab Radialla Taala Anh Qahat Kay Zamanay May Hazrat Abbas Bin Muttalib Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badha Kar Barish Ki Dua Karatay Aur Kehtay Kay Aye ALLAH Pehlay Hum Apnay Nabi E Kareem Say Barish Ki Dua Karatay Thay Toh Tu Humay Sayrab Ataa Karta Tha Aur Hum Apnay Nabi Kay Chacha Kay Zariye Barish Ki Dua Kartay Hay , Isliye Humay Sayrab Ataa Farma , Rawi Nay Bayan Kiya Kay Iskay Baad Khub Barish Hui.

Yeh Dusri Hadees Hay Jismay Zikr  Hay Kay Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badhakar Barish Ki Dua Karatay.

Ab Is Hadees May 2 Hissay Hay.
            
            1 Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Ko Aagay Badhakar Barish Ki Dua Karatay : Jo Gair Muqallid Mantay Hay
        
       2 Hazrat Umar Nay Hazrat Abbas Radialla Taala Anhum Ajmaen Kay Waseelay Say Khud Dua Ki : Iskay Munkir Hai Gair Muqallid Jiski Daleel Pichay Guzri.

Yeh Kaisa Aqeeda Hay Kay Hadees Ka Ek Hissa Maano Aur Dusra Hissa Nai Wo Bhi Sahih Hadees Ka.

Ab Aaye Muhaddiseen Yaani Ilm Walo Ki Sharah Ki Taraf Kay Wo Is Hadees Kay Baaray Kya Kehtay.

1) Fath Ul Bari Sharah Sahi Bukhari , Safa 577

Imam Ibn Hajar Asqalani Rahimah Ullah Likhtay Hay

اللهم إنه لم ينزل بلاء إلا بذنب , ولم يكشف إلا بتوبة , وقد توجه القوم بي إليك لمكاني من نبيك

YA ALLAH , Koi Pareshani Na Utray Siwaye Gunaho Ki Wajah Say Aur Naahi Tauba Kay Siwaye Uthaye Gai Ho , Log Meray Zariye Teri Taraf Mutawajja Hue Kyukay May Teray Nabi Ka Rishtedar Hu

Aur Phir Aagay Likhtay Hay

ويستفاد من قصة العباس استحباب الاستشفاع بأهل الخير والصلاح وأهل بيت النبوة , وفيه فضل العباس وفضل عمر لتواضعه للعباس ومعرفته بحقه
               
Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Tawassul Say Malum Hua Kay Nek , Saleh Aur Ahle Bayt Ka Waseela Lena Bhi Jayaz Hay.

Scan Page:



2) As Shifa As Siqam Safa 377

Imam Subki Likhtay Hay

Is Hadees Say Malum Hua Saleh Logo Ka Tawassul Lena Jayaz Hay , Balkay Kisi Bhi Muslim Nay Iska Innkar Nai Kiya Hay Siwaye Bidati Kay Jo Tawassul Kay Munkir Hay.

Scan Page :





3 Nuzhatul Qari Sharah Sahih Bukhari Safa 613

Mufti Mohammad Shareef Ul Haq Amjadi Sahab Likhtay Hay

Yeh Hadees Iski Daleel Hay Kay Ahle Bayt Aur Buzurganaydeen Ko Khuda Ki Bargah May Waseela Banana Mustahab Hay , Jaisa Kay Allama Ibn Hajar Aura Llama Ayni Nay Tasreeh Ki Hay.

Scan Page:



4 Deoband Ki Kitab Anwar Ul Bari Sharah Sahi Bukhari Jild 18 Safa 223

Deobandi Sayed Ahmed Raza Sahab Bijnori Nay: Imam Ibn Hajar Ka Hi Hawaal Apni Kitab May Naqal Kiya Hay Aur Usmay Ek Jagah Likhtay Hay , “Issey Malum Hua Kay Yeh Tawassul Bhi Goya Huzoor E Akram صلی اللہ علیہ وسلم  Ki Zaat Aqdas Say Mansoob Wa Mutaliq Tha”

Scan Page:




5 Naimat Ul Bari Sharah Sahih Bukhari

Ghulam Rasool Saedi Sahab Jild 15 Safa 138 Per Likhtay

Is Hadees Say Aur Hafiz Ibn Hajar Asqalani Ki Sharah Say Yeh Malum Hua Kay ALLAH Taala Ki Bargah May Jis Tarah Nek Aamaal Ka Waseela Pesh Karna Mustahab Hay Isi Tarah ALLAH Taala Ki Bargah May Nek Hazraat Ka Waseela Pesh Karna Bhi Jaiz Hay Aur Mustahab Hay

Scan Page:



Hasil Qalam

In Sahih Bukhari Ki Sharah Say Malum Hua Kay Is Hadees Say Yeh Wazeh Taur Per Sabit Hay Kay Nek Saleh Ka Waseela Lena Jayaz Aur Mustahab Hay Lekin Humay Aisi Koi Daleel Nai Mili Ya Sharah Mili Kay Jismay Gair Muqallid Hazraat Ka Aqeeda Ya Tabsera Bayan Kiya Gaya Ho Kay Baad Az Wafat Waseela Lena Jayaz Nai Balkay Shirk , Bidat , Najayz O Haram Hay.

Gair Muqalliad Hazraat Ko Chahiye Kay Apna Aqeeda Sabit Karnay Kay Liye Quran Shareef Say Sareeh Ayat Ya Hadees E Mutawatir Lay Aaye Warna Khud Saakta Manghadat Tabsera Karkay Awam Un Naas Ko Gumrah Karna Band Karay.

ALLAH Taala Hum Sabko Haq Per Amal Karnay Ki Taufeeq Ataa Farmaye Aur Gair Muqallid Kay Fitno Say Bachaye

Aameen Sum Aameen


Sheyckh Mohammad Imran Saifi.

1 comment:

  1. Hazrat Anas Bin Malik Radialla Taala Anhu Nay Kay Jab Kabhi Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Kay Zamana May Qahat Padhta Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu Hazrat Abbas Bin Muttalib Radialla Taala Anhu Kay Waseelay Say Dua Kartay Aur Farmatay Kay A ALLAH , Pehlay Hum Tere Paas Apnay Nabi E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ka Waseela Liya Kartay Thay , Toh Tu Paani Barsata Tha , Ab Hum Apnay Nabi E Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Kay Chacha Ko Waseela Banatay Hay Toh Tu Hum Per Paani Barsa , Anas Radialla Taala Anhu Nay Kaha Kay Chunanchay Barish Khub Hi Barsi.

    SabsayG phele gair Muqallid Ko Yeh Sabit Karna Padega Kay “”Dekho NABI Zinda Nai Thay Aur Baad Az Wafat Waseela Jayaz Hota Toh Hazrat Umar Radialla Taala Anhu , Hazrat Abbas Radialla Taala Anhu Kay Paas Kyu Jaatay ? “”

    Aapki baat sahi hai janab.
    Is hadis se ye bhi sabit hota hai ke waseela lena sahi hai .

    Hamara sawal.
    Nabi Kareem s.a.w parda karne ke bad Hazrat Umar r.a ne Hazrat Abbas r.q ka waseelay se dua ki .
    Aaj ke musalman kiske waseelay se dua mange.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers