Abdul Gaffar Wahabi Salafi Ki Ek Video Dekha , Taqwiyatul
Iman Ki Tareef K Pool Bandh Raha Tha , Wo Video Sab Dekhe , Zyada Badi Video
Nai Hai.
Abdul Gaffar Salafi Apni Video Me Taqwiyatul Iman Ki Tareef
Karte Hai Aur Dusro Ko Padhne K Liye B Kehte Hai. Phir Kehte Hai Is Kitab Me
Kaunsi Aisi Galat Baat Kahi Gai Hai Jiski Wajah Se Is Kitab Per Fatawa Hai ,
Saaf Suthri Tauheed Jo Quran Me Maujud Hai , Jo Nabi Alayhissalam Ki Hadees Me
Maujud Hai , Wahi Tauheed Taqwiyatul Iman Me Hai Aur Wahi Tauheed Kitab Ut
Tauheed Me Maujud Hai. Aur Inka Jurm Yeh
Tha K Inhone Dargaho Per Chalne Wali Dukano Ko Band Karwadiya. Rabb Ki
Tauheed Wahabi Hai Toh Duniya Sunlay Yeh Abdul Gaffar Wahabi Hai.
Yeh Puri Video Me Usne Kaha.
Jawab : Wo Wahabi Kaise Ho Jo Apne Baap Ko Waqt Aanay Per
Chodd Na De Aur Waqt Aane Per Dobara Baap Na Banale.
Mazrat K Saath Sakht Alfaz Isliye Istemal Kiye Hai Q K Inhi
Ko Jab Taqwiyatul Iman Per Haqeeqat Batai Jaati Hai Toh Kehte Hai K Yeh
Deobandi Alim Hai, Humare Nai.
Saniyan Wahabi Ab Quran O Hadees Ko Chodkar Inki Teesri
Kitab Ki Dawat Deta Hua , Taqwiyatul Iman , Wo Dhakosla Dawa Ab Nai Raha K Aao
Kitab O Sunnat Ki Taraf.
Taqwiyatul Iman Me Quran
O Hadees K Khilaf Aqeeda Hai.
Safa 12 Per Hai
“Is Baat May Auliya
Wa Ambiya May Aur Jinn Wa Shayateen May Aur Bhoot Wa Parayt May Kuch Farq Nai”
Scan Page :
Quran Fermata Hai “ NABI Alayhissalam Rehmatulil Alameen Hai
, Toh Baqaul Ismail Dehlvi K Yeh Sab Barabar Hai Kya ???
Phir Safa 20 Per Hai
”Har Makhlooq Bada Ho Ya Chota Wa Allah Ki Shaan Ke Aagey
Chamaar Se Bhee Zaleel Hai”
Phir Yeh Dawah Kaunsi Aayat Wa Hadees Se Liya Hai ?????
Scan Page:
Yaani Chamar Ki Kuch Ehsiyat Hai Lekin Iske Alawa Tamam
Makhlooq Chamar Se Zyada Zaleel Hai.Ab Chamar Kisey Kehte Hai ???
Phir Safa 54 Per Hai
“Makhlooq Hone May Chand Aur Suraj Aur Nabi Aur Wali Barabar
Hai”
Scan Page:
Suraj Aur Chand Se Tasbeeh Deta Hai , Kya Quran O Hadees Me
Iska Zikr Hai ????
Phir Safa 59 Per Hai
“Aur Jiska Naam Mohammad Swallallahualaihiwasallam Hai Ya
Ali Radialla Taala Anhu Hai Wo Kisi Chiz Ka Mukhtar Nai.
Scan Page:
Jabkay Quran O Hadees Se Hume Malum Hota Hai K ALLAH Taala
Ne Nabi Alayhissalam Ko Mukhtar E Qul Banaya Hai.
Kya Abdul Gaffar Sahab Ek Daleel De Sakte Hai K Jiska Naam
Mohammad Ya Ali Hai Who Kisi Chiz K Mukhtar Nai??
Ek Daleel Faqat Abhi Deraha Hu
Surah Al Ahzab Ayat # 37
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Aye Mehboob Yaad Karo Jab Tum
Farmate The Ussey Jisey ALLAH Ne Ne’mat Di Aur Tumne Isey Ne’mat Di”
Subhan ALLAH, NabiﷺALLAH
Ki Ataa Se “Gani” “Ataa Karna” “Ina’am Farmane Wala” Per Ikhityar Hai.
Phir Safa 77 Per Hai
“Rasool K Chahne Se Kuch Nai Hota”
Scan Page:
Yeh Aqeeda B Quran O Hadees K Khilaf Hai , Hadees Me Aata
Hai.
Hadees ka Tarjuma:
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضياللهعنها Se Marvi Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha
Agar Main Chahu To Mere Sath Sone Ke Pahaad Chala Kare.
????
????
Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi
Wa Shamailihi , Hadees : 5586
Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683
Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683
Is Hadees Se Saaf Zahir Hai K Aap K Chahne Se Yaani Is Per B
Ikhtiyar K Chahe Toh Ya Na Chahe Toh Sone Ke Pahad Saath Chale.
Phir Safa 80 Per Hai
“Yani Insan Aapas Mein Sab Bhai Hain. Jo Bada
Buzurg Hai Wa Bada Bhai Hai,So Uskee Badey Bhai Ki See Tazeem Kijiye Aur
Malik Sab Ka Allah Hai Bandagee Us Ko Chahiye.Is Hadees Sey Maloom Hua Ki
Awliya Wa Ambiya,Imam Wa Imam Zadey Peer Wa Shaheed YANI JITANEY ALLAH Ke Muqarrib
Bandey Hain,Wah Sab Insaan Hee Hain Aue Bandey Aajiz Aur Hamaray Bhai.Magar Allah
Ney Inko Badayee Dee ,Wah Badey Bhai Huey. Hum Ko Inakee Farmabardaree Ka
Hukm Kiya Hai.Hum Insay Chotey Hain , So In Kee Tazeem Insannon Ki See Karnee
Chahiye”
Scan Page:
Phir Taqwiyatul Iman K Safa 81 Per
Ismail Dehlvi Likhta Hai “Yaani Me B Ek Din Marker Mitti Me
Miljauga”
Scan Page:
Baqaul Abdul Gaffar Salafi K Taqwiyatul Iman Me Tauheed Hai
Hadees Hai….Phir Yeh Dawah Kaunsi Aayat Wa Hadees Se Liya Hai ????? Jisme Zikr
Hai K Nabi Alayhissalam Ek Din Marker
Mitti Me Miljayege , Maz ALLAH
Aaye Yaha Per Me Khud Wahabi Alim Mulla Jalaluddin Qasmi Ka
Video Dikhata Hu , K Wo Is Aqeede Per Kya Kehta Hai Sune ,
Suna Sabne ? Yeh Apne Baap Se Mukar Gaya , Aur Kamal Ki Baat
Yeh Hai K Qasmi K Piche Abdul Gaffar B Baitha Hai , Jo Sun Raha Hai Lekin Haq
Ki Taufeeq Abtak Nai Mili Isey.
Khud Jalaluddin Qasmi Ambiya k Jismo Mitti nai Khati per daleel b Deraha hai.
Phir Safa 84 Per Hai
“Sara Karobar Jahaan Ka ALLAH He K Chahne Se Hota Hai ,
Rasul K Chahne Say Kuch Nai Hota”
Scan Page:
Yeh Aqeeda Quran O Hadees K Khilaf Hai
Sahi Muslim Hadees 489, English Book 4 Hadith 256 & 990
Hadees Ka Tarjuma:
Hazrat E Rabiya Bin Kaab Aslami Raziallahu Anho Kahte Haiń
Ke Mai Raat Ko
Huzoor ﷺ
Ki Khidmat Me Rahta Tha.Mai Huzoor ﷺ
Ko Wazu Ke Liye Paani Aur Digar Samaan-E-Zarurat Pesh Karta To Huzoor ﷺ Ne Farmaya "JO CHAHO
MANG LO".Maine Arz Kiya
"HUZOOR JANNAT MANGTA HU AUR USME AAPKA SATH". Huzoor
ﷺ Ne Farmaya "ISKE
ALAWA AUR BHI KUCH MANGNA HAI???". Maine Arz Kiya "Huzoor Yahi
Chahiye" Farmaya"Zyada Sajdo Se Apne Nafs Ki Islaah Karke Meri
Muawinat(Himayat) Karo".
Is Hadees Ki Sharh Me Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah
Mirqat Jild 2 Me Likhte Hai
Tarjuma:
"ALLAH Ne Apko Quwwat Ata Farmayi Hai Ki Aap Jo Chahe
ALLAH Ke Khazane Me Se De Sakte Hain”
Scan Page:
Is Hadees Per Hazrat Sheyckh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Iski
Sharah Ashat Ul Lamat Jild 1 Safa 106 Chapi Farid Book Stall Me Likhte Hai “NABI
ﷺ Jo Chahe Jisko Chahe Jitna Chahe ALLAH K Hukm Se Dede”
Phir Safa 91 Per Hai
Kisi Ek Ki Sirf Izzat Ke Liye Unke Saamne Adab Se Khada Rehna Unhi Kaamo Mai Se Hai Jo Allah Ne Apne Kamo Ke Liye Banaya Hai,To Allah Ke Alawa Kisi Ke Liye Ye Na Karna
Matlab Iska Samjhane Ki Zarurat Hai Kya ?? Agar Aap Baa Adab
Khade Hue Toh Shirk Kardiya Hai Apne….
Aise Aur B Bahut Se Hai Is Kitab Me
Aur Aisi Kitab Ko Wahabi Deobandi Ka Apne Ghar Me Rakhna Ayn
Islam Hai. ( Fatawa Rashidiya Safa 219)
Ab Awaam Hi Faisla Kare K Taqwiyatul Iman Kitab Kya Hai ?
Sheyckh Mohammad Imran Fazle Rehmani
Bhai yeh video download kahan se kare?
ReplyDelete+91 8143169375 send me in whatsApp bhai
ReplyDelete