Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 8 May 2020

Baad Az Wafat Waseela Hadees Sunan Darimi Per Tehqeeqi Jayza


Baad Az Wafat Waseela Hadees Sunan Darimi Per Tehqeeqi Jayza



ALLAH Taala Kay Karam Say Ek Aur Hadees Per Tehqeeq Pesh Karraha Hu , ALLAH Taala Nay Mujhe Nabi Alayhissalam Kay Sadkay Tufayl Ba Tawassul Hazrat Ali Karamallahu Taala Wajhul Kareem Yeh Taufeeq Ataa Ki Hai.

Hadees :

حدثنا ‏ ‏أبو النعمان ‏ ‏حدثنا ‏ ‏سعيد بن زيد ‏ ‏حدثنا ‏ ‏عمرو بن مالك النكري ‏ ‏حدثنا ‏ ‏أبو الجوزاء أوس بن عبد الله ‏ ‏قال ‏ ‏قحط ‏ ‏أهل ‏ ‏المدينة ‏ ‏قحطا ‏ ‏شديدا فشكوا إلى ‏ ‏عائشة ‏ ‏فقالت انظروا قبر النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏فاجعلوا منه ‏ ‏كوى ‏ ‏إلى السماء حتى لا يكون بينه وبين السماء سقف قال ففعلوا فمطرنا مطرا حتى نبت العشب وسمنت الإبل حتى ‏ ‏تفتقت ‏ ‏من الشحم فسمي عام ‏ ‏الفتق

Hadees Ki Sanad :

Abu Numan > Sa'id Bin Zayd > Amr Bin Malik Al-Nkri > Abu Al-Juza' > Hazrat Ayesha Siddiqa Radialla Taala Anhu

Hadees Ka Matan (Tarjuma) :

Abu-Al-Juza’ Aws Bin Abdullah Radialla Taala Anhu Se Imam Darimi Riwayat Karte Hain Ki, Madina Ke Log Ek Bar Sukha Padne Ki Waja Se Pareshan Ho Gaye,
Woh Hazrat Ayesha Siddiqa Radialla Taala Anha Ke Pas Apni Shikayat Lekar Pahuche,
Aapne Farmaya Ki Rasoolullah Alaihe Salam Ki Qabr Ke Paas Jaao, Aur Unke Rauze Aur Asman Ke Darmiyan Upar Ek Khidki Khol Do, Taki Rauza-E-Aqdas Aur Asman Ke Darmiyan Koi Parda Na Reh Jaye,
Raawi Farmate Hain Ki Humne Aisa Kiya To Bahot Zor Se Barish Shuru Ho Gayi, Hari Bhari Ghaas Nikal Aayin, Aur Hamare Oont Mote Ho Gaye, Ki Lagta Tha Zyada Khane Ki Waja Se Phoot Padenge.So Is Saal Ka Naam Hariyali Wala Saal Rakha Gaya.
(Sunan Darimi Jild 001, Safa 227, Hadithnumber 093)

Scan Page :





Is Hadees Ko Imam Darimi Apni Kitab May Likhnay K Baad Hashiya Me Likhtay “Iskay Rijal Siqah Hay Aur Yeh Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Say Mauquf Riwayat Hay”

Scan Page Upar Guzra

Aur Isey Imam Ibn Jawzi Nay Apni Kitab Al Wafa Bi Ahwaal Lil Mustafa Jild 2 Safa 817 Per Naqal Kiya Hay
Imam Ibn Jawzi Apni Kitab Al Wafa Bi Ahwaal Lil Mustafa K Muqadme Me Likhte Hai K Isme Koi B Mauzu Riwayat Nai Likhege

Hadees Scan Page :





Imam Subki Nay Shifa As Siqam May Safa 128
Imam Qastalani Nay Al Mawahib Al Adduniyah Jild 4 Safa 276
Imam Zarqani Nay Apni Sharah May Jild 11 Safa 150 Me Likha Hay.

Hadees Per Aitraz :

Iski Sanad May 2 Rawi Hai Jinhay Gair Muqallid Hazraat Zaef Kehte Hay

1     1 Abu Numan : Jo Akhir May Ikhtelat Kay Shikar Hogaye Thay
       2 Sa’id Bin Zayd : Yeh Zaef Hai.

Gair Muqallid Alim Abdul Gafar Salafi Ki Video Sunay.



Abdul Gaffar Salafi Nay Faqat Itna Hi Kaha K Sa’id Bin Zayd Zaef Hay , Lekin Inka Zauf Nai Bataya Aur Iskay Baad Inhonay Abu Numan Ka Zikr Karkay Kaha Kay Akhri Waqt Me Yeh Ikhtelat Ka Shikar Hogaye Thay , Toh Abdul Gaffar Sahab Ko Nai Malum K Yeh Hadees Kab Nakal Ki Gai Hay , Isliye Yeh Zaef Hai.

Hum In Sha ALLAH Taala Tamam Rawiyo Ki Details Pesh Karege Aur Dekhege K Waqai Yeh Kaunsay Rawi Hai , Zaef , Hasan Ya Sahih.

SANAD KI TEHQEEQ

       1 Abu Numan

Inka Pura Naam Mohammad Bin Al- Fadl ‘Aram Hay , Yeh Tabe Tabai Hay Aur Yeh Qutub E Sittah Kay Siqah Rawi Hai.

Sahih Bukhari Me Insay 100 Hadeesein Hai , Sahih Muslim May 9 , Sunan Abi Dawud May 3 , Jame Tirmidhi May 4 , Sunan Nisai May 6 , Sunan Ibn Majah May 5.

Imam Ibn Hajar Taqreeb Ut Tehzeeb May Likhte Hay : Iska Laqab ‘Aram Hay Nawway Tabqay Ka Sigaar Hazraat May Say “Siqah Pukhtakaar” Rawi Hay , Taaham Akhri Umar May Iska Hafiza Badal Gaya.

Scan Page :



Imam Zahbi Mizan Ul Aitedal May Likhtay Hay “Yeh Imam Bukhari Ka Ustaz Hay , Yeh Hafizul Hadees Hay ,Sudooq Hay.

Ibn Warah Kehtay Hay “Aram Nay Humay Hadees Bayan Ki Jo Sadooq Aur Ameen Hay ,

Imam Abu Hatim Kehtay Hay “Jab Aram Tumhay Koi Hadees Bayan Karday Toh Tum Oosper Mohar Lagado , Aram Affan Say Mutakhir Nai Hay Jabkay Sulayman Bin Harb Nay Isay Apni Zaat Per Muqaddam Qarar Diya Hay ,

Imam Abu Hatim Nay Yeh Kaha Hay “Akhri Umar May Aram Ikhtelat Ka Shikar Hogaye Thay Aur Inki Aqal Zaaya Hogai Thi , Toh Jisne 220Hijri Say Pehlay Issey Sima Kiya Hay , Ooska Sima Umdah Hay.

Imam Dar Qutni Kehtay Hay “Yeh Akhri Umar May Tagayyur Ka Shikar Hogaye Thay , Inhonay Ikhtelat Kay Baad Jo Chizein Zahir Ki Wo Hadees Munkar Hay Waisay Yeh Rawi Siqah Hay.

Scan Page :



Imam Ibn Jawzi Ka Isay Apni Kitab Al Wafa Bi Ahwaal Lil Mustafa May Naqal Karna B Sabit Karta Hay K Yeh Riwayat Ikhtelat Ka Shikar Honay Say Pehle Li Gai Kyukay Imam Ibn Jawzi Apni Kitab Kay Muqadmay Me Farmatay Hay “K Isme Koi B Mauzu Riwayat Nai Likhege”

Ab Is Rawi Ko Agar Sahih Na Maana Jaye Tab Bhi Yeh HASAN K Darjay Per Hay.

      2 Sa’id Bin Zayd

Inka Pura Naam Sa’id Bin Zayd Bin Darham Hay , Yeh Tabe Tabai Hay Aur Yeh Sadooq Hay.
Imam Ibn Hajar Apni Kitab Taqreeb Ut Tehzeeb May Likhtay Hay “Saathway Tabqay Ka “Sadooq Sahab E Awham”Rawi Hay.

Scan Page :


Tabqat Ibn Sa’ad Jild 7 May Hai “ Sa’id Bin Zayd Siqah Rawi Hay”

Scan Page :


Tarikh Kabir Al Bukhari May Hay “ Sa’id Bin Zayd Sadooq Hafiz Hay”

Scan Page :



Toh Malum Hua Yeh Rawi Siqah , Sudooq Hafiz Hay.

       3 Amr Bin Malik Al-Nkri

Inka Pura Naama Amr Bin Malik Al- Nkri Hay , Yeh Rawi Tabe Tabai Hay Aur Sadooq Hay

Imam Ibn Hajar Apni Kitab Taqreeb Ut Tehzeeb May Likhtay Hay “Saathway Tabqay Ka “Sadooq Sahab E Awham”Rawi Hay.


Malum Hua Ki Yeh Rawi Siqah Rawi Hay

       4 Abu Al-Juza'

Inka Pura Naam Aws Bin Abdullah Hay , Yeh Tabai Hay Aur Yeh Siqah Hay , Qutub E Sittah Kay Rawiyo May Say Hay.

Sahih Bukhari May Insay 1 , Sahih Muslim May 1 , Sunan Abi Dawud May 4 , Jame Tirmidhi May 2 , Sunan Nisai May 1 , Sunan Ibn Majah May 6 Ahadeesein Maujud Hay.

Imam Ibn Hajar Apni Kitab Taqreeb Ut Tehzeeb May Likhtay Hay “Teesray Tabqay Ka “Baksarat Irsaal Karnay Wala Siqah” Rawi Hay”

Scan Page :



Mizan Ul Aitedal May Hai “ Yeh Mashoor Tabai Hay”

Scan Page :


Imam Ibn Hajar , Lisan Al Mizan May Likhtay Hai “Abu Hatim Nay Inhay Siqah Kaha Hay”
Malum Hua Ki Yeh Rawi Siqah Rawi Hay

Scan Page :


       5. Hazrat Ayesha Siddiqa Radialla Taala Anha.

Yeh Sahabi E Rasool Hay Aur Tamam Ummato Ki Maa Hay , Inkay Taaruf Itna Hay K Jitna B Kiya Jaye Kam Hay.

In Tamam Sanado Ki Tehqeeq Say Malum Hua Ki Tamam Rawi Siqah Sadooq Hay Aur Agar Is Hadees Ko Sahih Qarar Na Diya Jaye Abu Numan Ki Wajah Say Toh Tab Bhi Yeh Hadees HASAN Ka Darje Ko Pahuchti Hay.

 Gari Muqallid ka Is Hadees Per Bejaa Aitraz Karna Sabit Karta Hay kay Gair Muqallid Apni Nafs ki Pairwi Karti Hay Aur Munkir E Hadees Hay.

ALLAH taala Hum Sabko Haq Samajhnay ki Taufeeq Ataa Farmaye

Ameen

Sheyckh Mohammad Imran Saifi.


                                                                                 

4 comments:

  1. Bhai sa'ad ibne zayd pe imam zehbi ne jarah ki hai ki woh zaef thae kya yeh sahih h ,jldi bataye ek gair muqalled ko jawab dena h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Pehle puri post padhne ki taufeeq hasil kare ALLAH se

      Delete
    2. Jazak allah bhai maaf krna puchna padha alhamdulillah mai bhi mureed e asjad miya hu 😊

      Delete
  2. Assalamualaikum ibnje jauzi ne kaha hai ki mauzu rivayat nahi lenge iska scan dijiye

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers