Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 6 May 2020

Wahabi Abu Zaid Zameer ko Imam Maalik k Qaul "ALLAH kaha hai" per Jawab

Sabse Pehle Abu Zaid Zameer ki Video Sunay


Abu zaid zameer Sahaab ne Imam Maalik Radialla taala anhu Al Mutawaffa 179 Hij. ka Qaul Pesh kiya hai, ke Allah tala Aasmaan par hai aur uska Ilm Har Jagah hai, Koi Jagah Aisi Nahi jo Uske Ilm ke a-haate se Khaali ho, Imam Maalik Radialla taala anhu ke Is Qaul ka Tafseelan Jawaab Mulaaheza Farmaaye :

Al – Jawaab no 1 :
Abu zaid Zameer Sahaab ne Imam Maalik Radialla taala anhu ka Qaul Seer Alamun Nubula ke Hawaale se Naql kiya hai.
Seer Alamun Nubula me Imam Zehbi Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate hai ke

وَرَوَى عَبْدُ اللهِ بنُ أَحْمَدَ بنِ حَنْبَلٍ فِي كِتَابِ “الرَّدِّ عَلَى الجَهْمِيَّةِ” لَهُ، قَالَ: حَدَّثَنِي أَبِي، حَدَّثَنَا سُريج بنُ النُّعْمَانِ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بنِ نَافِعٍ، قَالَ: قَالَ مَالِكٌ: اللهُ فِي السَّمَاءِ، وَعِلْمُهُ فِي كُلِّ مَكَانٍ لاَ يَخْلُو مِنْهُ شَيْءٌ.

Riwayat hai, Abdullah bin Ahmed Kitaab “Ar-Radda Alal Jehmiya” me ke Unhone Farmaaya, Maine Suna Mere baab [Imam Ahmed Radialla taala anhu] se….
(Seer Alamun Nubula : Jild 8 : Safa 101)
Scan Page :

Maloom huwa ke Abu zaid Zameer sahaab ne Yeh Qaul Imam Ahmed Radialla taala anhu ki Kitaab “Ar-Radda Alal Jehmiya” se Naql kiya hai.
Lekin Kitaab ke bare me Ghair Muqallideen Muhaddis Zubair Ali zai Sahab Likhte hai ke
Yeh Kitaab Imam Ahmed Radialla taala anhu se Saabit NAHI,Balke Kehte hai ke Yeh Mauzu hai. (Al Hadees : Shumaara no 26 : Safa 18)
Scan Page :

Lehaaza Ghair Muqallideen ke Nazdeek Jo Kitaab Imam Ahmed Radialla taala anhu se Saabit Nahi hai, Toh Uska Hawaala Dekar, Abu zaid Zameer sahaab Apni Naaqis Tehqeeq ka Saboot derahe hai.
Zameer Sahaab se Guzaarish hai ! Pehle Apne Akaabir ki Tehqeeq Dekh wa Padhle.
Note :
Lekin Yeh Qaul Imam Ahmed Radialla taala anhu se Unki Dusri Kitaab Elal wa Marifatur Rijaal Jo ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam Ahmed Radialla taala anhu se Saabit hai (Al Hadees : Shumaara no 26, Safa 18), Usme bhi yeh qaul Maujood hai.
Scan Page :

Magar Phir bhi Imam Malik Radialla taala anhu ke Is Qaul se Abu zaid zameer ko Kuch Faida nahi, Kyunke Is Hadees ki Sanad ko Imam Ahmed Radialla taala anhu ne Yu Zikr kiya hai :

حَدَّثَنَا سُرَيْجُ بنُ النُّعْمَانِ، اخبرني عَبْدِ اللهِ بنِ نَافِعٍ، قَالَ:قَالَ مَالِكٌ: اللهُ فِي السَّمَاءِ، وَعِلْمُهُ فِي كُلِّ مَكَانٍ لاَ يَخْلُو مِنْهُ شَيْءٌ

Sanad :
Imam Ahmed  — > Suraij Ibn Numaan  — > Abdullah bin Naafe — > Imam Maalik Radialla taala anhu ajmaen
(Elal wa Marifatur Rijaal : Jild 1 : Safa 530 – 531)
Scan Page :

Is riwayat ki Sanad me Abdullah bin Naafe As-saaigh hai.Yeh Raavi Zaeef aur Bure Hafize Waala hai.
1 – Imam Bukhari Al Mutawaffa 256 Hij. Farmaate hai ke Uske Hafize me Kharaabi hai.
2 – Imam Ibn Hibban Al Mutawaffa 354 Hij. Farmaate hai ke yeh Hafize se Bayaan Karta hai toh Basa Auqaat qata Karta hai.
3 – Imam Abu Ahmed Al Haakim Al Mutawaffa 378 Hij. Farmaate hai ke wo Muhaddiseen ke Nazdeek Hafize Hadees Nahi hai.
4 – Imam Khaleeli Al Mutawaffa 448 Hij. Farmaate hai ke Uske Hafize se Muhaddiseen Raazi Nahi hai.
5 – Imam Abu Haatim Al Mutawaffa 272 Hij. Farmaate hai ke wo Hafize Hadees Nahi hai aur unke Hafize me Kamzoori hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 6 : Safa 51-52)
Scan Page :

aur Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rahimahullah Al Mutawaffa 852 Hij. ne bhi Is Raavi ke Hafize ki Kamzoori ki Taraf Ishaara kiya hai. (Taqreeb)
Maloom huwa ke Yeh Raavi par Muhaddiseen ne Hafize ki Jarah ki hai, aur Hafize ki Jarah Khud ghair Muqallideen Ulama ke Nazdeek Jarah Mufassar hai.
1 – Maulana Sultaan Mehmood Sahaab Ghair Muqallideen ne Hafize ki Jarah ko Jarah Mufassar Qaraar diya hai. (Istelaah ul Muhaddiseen : Safa 30)
Scan Page :

2 – Maulana Yahiya Gondalwi Sahaab ne bhi Hafize ki Jarah ko Jarah Mufassar qaraar diya hai. (Tehqeeq ur Raasiq : Safa 114)
3 – Maulana Irshaad ul Haq Asri sahaab ne bhi Hafize ki Jarah ko Jarah Mufassar Qaraar diya hai. (Tauzihul Kalaam : Jild 2 : Safa 962)
Scan Page :

4 – Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Sahaab ne Hafize ki Jarah ko Mufassar kaha hai. (Abkaar ul Minan : Safa 168-169)
Lehaaza Maloom huwa ke Hafize ki Jarah, Jarah Mufassar hai.
Note :
Ispar aur Dusre Muhaddiseen ne bhi Jarah ki hai, Humne Hafize ki hi Jarah par Ittefa kiya hai.
Aur Ghair Muqallideen ka yeh Tai-shuda Usool hai ke Jarah Mufassar Ta’adeel par Muqaddam hoti hai.Chunaanche,
1 – Ghair Muqallideen ke Muhaddis e Zamaa Hafiz Zubair Ali Zai Likhte hai ke
Jarah Mufassar Ta’adeel e Mubham par Muqaddam hogi hai. (Nurul Aainain : Safa 61, 2012 Edition)
Scan Page :

2 – Ghair Muqallideen ke Muhaqiq Kifayatullah Sanabili Sahaab [Ek Raavi ke bare me] Likhte hai ke
Baaz ne Uski Mujmal ki Tauseeq hai, Jo Jarah Mufassar ke Muqaamle Maqbool NAHI hai. (Masnoon Taraveh : 96)
Scan Page :

Agarche Baaz Muhaddiseen ne Abdullah bin Naafe As-saaigh ki Tauseeq ki bhi ho, Toh wo ulama e Ghair Muqallideen ke Usool ki Rooshni me Jarah Mufassar ke hote huwe Mardood hai.
Balke Khud Abu zaid Zameer Ek [Ibn Abi Laila] Raavi jispar Muhaddiseen ne Hafize ki Jarah ho, Us Jarah ko Ta-ajjub aur Danger Raavi ke saat Bayaan Karte hai :



Aur Kehte hai ke Koi Aadmi AQEEDE ke Maamle Aise Raavi ki riwayat par Kaise Aitemaad Karsakta hai, Jiska Hafize hi Kharaab ho aur Aage Kehte hai ke kya aap Aise Aadmi ke Haat me Apna account number Desakte ho, Jiska Hafiza hi Kharaab ho ?
Suniye, Abu zaid Zameer sahaab ki Zubaani :


Lekin Lagta khud abu zaid zameer sahaab Churi Churi, Chupke chupke aise Raavi ke Haat me Apna Account number Derahe hai.
Afsoos Aise Dhoke Tehqeeq ke Naam par Kiya Jaate hai aur Logo ke Saamne Zaeef Qaul Bayaan Karke, Use Saheeh Kehke DHOKA dete hai.
Allah Tala aise Dhoke se Ummat ki Hifaazat Farmaaye….Ameen.
Mazeed Is Raavi [Abdullah bin Naafe As-saaigh] ke bare me Imam Ahmed bin Hanbal Radialla taala anhu Al Mutawaffa 241 Hij. Farmaate hai ke
Yeh Hasan ul Hadees bhi NAHI hai. (Sawaalaat e Abi Dawud : Raqm no 211)
Scan Page :
Lehaaza Is raavi ki riwayat se Istedlaal aur Churi Chupke Account Number Dena BAATIL wa MARDOOD hai.
Al – Jawaab no 3 :
Agar Yeh Qaul ko Saheeh bhi Maan Liya Jaaye, Toh Isse Allah tala ka Aasmaan me hona Saabit hota hai.Iske Khilaaf Hamaare Ghair Muqallideen Hazraat ka Dawa’a hai ke Allah tala Arsh par hai.
Aur Aasmaan aur Arsh ke darmiyaan Kitna Faasla hai, Zara usko bhi Mulaaheza Farmaaye :
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radialla taala anhu Farmaate hai ke Saato Zameeno wa Saato Aasmaano ko Agar Phail Jaaye aur Ek Dusre se Jurd jaaye, Toh Phir bhi Kursi ki Wus’at ko Nahi Paasakte, Balke Yeh (Kursi ke Muqaamle me) Sehra (Desert) me (Angoti ke) Halqe ki Tarah hai. (Durr e Mansoor, Sureh Baqrah : 255)
Aur Yahi Misaal Kursi ki, Arsh ke Muqaamle me hai. (Durr e Mansoor, Sureh Baqrah : 255)
Wazaahat :
Yaani Sehra ke Muqaamle  me jo Misaal wa Wus’at Angoti ki hai, Wahi Misaal Saato Asmaan wa Saato Zameen ki Kursi Muqaamle me yahi hai.
Aur yahi Misaal Kursi ki Arsh ke Muqaamle me hai.
Umeed hai ! Aap Hazraat ko Samjh aagaya hoga, ke Aasmaan aur Arsh ke Darmiyaan Kitna Faasla hai.
Sawaal yeh paida hota hai, ke Ghair Muqallideen ka daw’a ke Allah Arsh par hai, Lekin Apne Dawa ke Khilaaf Allah ke Aasmaan pe Hone ki De rahe hai.
Isi ko Kehte hai
Daw’a kuch aur
Daleel kuch aur.
Khulaasa :
Yeh Qaul ko Imam Maalik Radialla taala anhu ki Taraf Saabit Bataake, Abu zaid zameer Sahaab ka Logo ko Yeh Bataana ke Unka Aqeeda bhi Yahi hai ke Allah tala Arsh hai, Uske Alaawa Nahi, BAATIL, MARDOOD aur Khula Dhoka hai.
Wallahu’alam Summa Rasoolo Alam Swallallahualayhiwasallam.
Mohammad Imran Saifi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers