Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 30 April 2017

Taqleed

Index

1) Taqleed ki taarif.

2) MUJTAHID kisse kehte hai aur MUJTAHID ka lafzi mana kya hai ????

3) Taqleed ka Suboot Quran shareef se.

4) Taqleed ka Saboot Hadees shareef se.

5) Wahbi ki kitaab se Taqleed ka saboot

6) Wahbiyo Kay aqli aitrazat aur uske jawabat

7) Wahbi Ki Taqleed.

8) Challenge to all Wahbi

9) Masail Wahbiyon kay liye

10) Wahbiyo ki Jahalat

11) Wahbiyon se 10 sawaalat jo bina Imam ki Taqleed kay Quran o Hadees ki roshni me saabit kare

TAQLEED

Taqleed ki Definition:

1) Zakir Naik:

(A) Jo insaan ki baat maankar aur us per amal kare hatta kay woh baat Quran o Hadees se takra jaaye use Taqleed kehte hai.

(B) Quran o Hadees se hawala milne kay bawajud agar koi Quran o Hadees ko Nai manta aur us shaks ko manta hai toh use Taqleed kehte hai.

Is video per Zakir naik ki Definition khud gaur se sune

https://www.youtube.com/watch?v=leuNHQR7POI


Zakir Naik kay mutabik kya 4 Imam Quran O Hadees se hatkar koi faisla dete the ya apne Qayas se faisla
dete the????

2) Maulvi Talib ur rehman:

NABI Sallallahualaihiwasallam ki Hadees ko taweel karo or kehdo sahi hadees mansukh, Imam kay Qaul ko Bada karo or Hadees ko piche kardo.Yeh Taqleed hai.

Is video per Dekhe Maulvi Talib ur rehman ne kya kaha

https://www.youtube.com/watch?v=G-kTvdWyOOM

Yeh hai Wahbiyo ki ilmi salahiyat kay jise Taqleed ka sahi maana hi nahi pata woh kehte hai Taqleed Haram hai,Shirk hai,Biddat hai.Aur kamal toh yeh hai ki inhe pata hi nahi ki Taqleed kya hai,kisi kay nazdeek Shirk toh kisi kay Biddat toh Kisi kay Haram.Yeh Khud apne aap me confused hai.

Taqleed ka Lafzi maana hai : Qulaada.

Taqleed ka istilahi maana kya hai :

1) Imam Ghazali apni kitaab Al-Mustasfa jild 2 Page 387 per likhte hai “Taqleed yani bina kisi
kay Qaul ko bina hujjat bina Dalil maanlena”

2) Allama shareef jirjani ne At-Taarifat page 97 per likhte hai “Taqleed Yani Hujjat o Dalil kay
bagair bina kisi dalil kay baat maanlena”

3) Taqleed woh jo Mujhtahid ki baat maanle bina kisi Dalil kay [Tazeeb, by Imam-Nawai and Irshaad-ul-Fahool by Qadhi Shawkani].


Taqleed kisme ki jaati hai???

Jawaab: Taqleed Aqaid me nahi balke Fiqh o Masail me ki jaati hai.

Is point ko Yaad rakhe kyuke aage chalkar Wahbi ki Taqleed saabit karna hai.

Taqleed Karte Kab hai??

Jawaab: Jab koi Aqwal Quran o Hadees me na ho us masail ko jaanne kay liye karte hai.

Taqleed Kiski Hoti hai??

Mujhtaheed ki Taqleed ki jaati hai.

MUJTAHID kisse kehte hai aur MUJTAHID ka lafzi mana kya hai ????

Mujtahid ka matlab hota hai Koshish karne wala yeh lafzi maine hai Shara mai mujtahid woh hai jismai ilmi liyaqat aur kabiliyat is qadar ho ki Quraani isharaat ko samaz sake aur Qalam ke maqsad ko pahechaan sake aur ismai se masail nikal sake, Nasikh aur Mansukh ka pura ilm rakhta ho, Ilm e sarf, Nahw wa balagat wagaira mai usko puri maharat hasil ho, Ahkaam ki tamam ayaton aur ahadees par uski nazar ho joh is darja par pahucha woh mujtahid hai aur

mujtahid ke 6 tabke hai

1) Mujtahid fisshara: Woh Hazraat Hai Jinhone ijtihaad karne ke qawaid banaye jaise charo
Imaam, Imaame Azam abu Hanifa, Imaam Shafai,Imaam Malik, Imaam Ahmad Bin Hamble
RadiAllahu Anhum Azmaeen,

2) Mujtahid filmazhab: Woh hazraat hai joh masaile sharaiya furuiya khud nikal sakte hai jaise
Imaam Abu Yusuf, wa Imaam Muhammed, wa Imaam Ibne Mubarak Rehmatullah Azmaeen ki
yeh qawaid mai Hazrat Imaam e Azam ke muqallid hai aur masail mai khud Mujtahid,

3) Mujtahid filmasail: Woh hazraat hai joh qawaid aur masail e furuiya dono mai muqallid hai magar
woh masail jinke mutalliq Aimma ki wajahat nahi milti unko Quraan wa Hadees wagaira dalail se
nikal sakte hai jaise Imaam Tahawi Aur Qazi Khan,Shamshul Aimma Sarkhasi wagaira,

4) Ashabe Takhriz: Woh hazraat hai joh ijtihaad toh bilkul nahi kar sakte haan Aimma me se kisi
ke mukhtasar qaul ki tafseel farma sakte hai jaise Imaam Qarkhi wagaira,

5) Ashabe Tarjih: Woh hazraat hai joh Imaame Azam ki chand riwayat mai se baaz ko tarzih de
sakte hai jaise kisi mas'ala mai Imaam e Azam ke do qaul riwayat mai aaye toh unmai kisi ko tarzih
den yeh woh karsakte hai jaise Sahibe Quduri Aur Sahibe Hidaya,

6) Ashabe Tamiz: Woh hazraat hai joh zahir mazhab aur riwayaten nadirah isi tarah qaule
zaeef aur qawi aur jiyada mazbut me fark kar sakte hai ki aqwaal e rad shuda aur riwayat e
zaeefa ko tark karde aur sahi riwayat aur moatbar qaul ko len jaise sahibe qanz aur sahibe durre
mukhtaar wagaira...

jinmai in 6 wasfo mai se kuch bhi na ho who muqallid hai jaise is zamana ke aam ulama unka sirf yahi kaam hai ki kitab se masail dekh kar logo ko batayen....Wallahu T'aala Aalam

Mujhtahid ko kisi ki Taqleed karna Jaiz nahi aur nahi Gair mujhtahid ki Taqleed ki jaati hai.

Gair Mujhtahid ko Mujhtahid ki Taqleed karna Wajib hai.

 Taqleed ka Suboot Quran shareef


Aayat # 1

Surah Al-Fatiha Aayat no.5-6


(5 (ہم کو سیدھا راستہ چال : Tarjuma


(6 (راستہ ان کا جن پر تو نے احسان کیا

Is aayat se per zara gaur o fikr kare ki Quran shareef me Surah Fatiha me hi ALLAH se dua ki
jaati hai ki “Hume Sidha Rasta chala,Rasta unka jisper tune ehsaan(inaam) kiya.Ab Dekhte hai
ALLAH taala kis per ehsaan(inaam) kiya jinke raaste per chalne ka Hukum diya gaya.iska Jawaab
dusri aayat me padhe

Aayat # 2

Surah Nisa Aayat no. 69

ُسے ان کا ساتھ مل : Tarjuma
اور اس کے رسول کا حکم مانے تو ا
ہ
اور جو ّٰللا نے فضل کیا
ے گا جن پر ّٰللا ہ
یعنی انبیاء )ف۱۸۱ )اور صدیق )ف۱۸۱ )اور شہید )ف۱۸۱ )اور نیک لوگ )ف۱۸۱ )یہ کیا ہی اچھے
ساتھی ہیں

Is aayat se pata chala ki ALLAH taala ne “Ambiya aur Siddique aur Shaheed Aur nake log” in per
ALLAH ne Ehsaan(Inaam) kiya.Ab gaur kare ki ALLAH taala ne khud Taqleed kay bare bata diya ki
Ambiya kay raste per chala aur Siddiquin se muraad Sahaba e kram hai jaise Hazrat Abu Bakar
Siddique aur shauhda kay raaste per chala aur Nake Log(Saleheen) per chala.Toh inke raaste per
chalne ka Hukum ALLAH ki taraf se hai aur jo kehte hai Humare Imam sirf NABI
sallallahualahiwasallam aur hum unke hi raste per chalege aur baaki Biddat,shirk,Haram hai
woh bataye ki Jahannam me kaha thikana banana chahte hai.Wahbiyo’n kay nazdeek NABI
Sallallahualaihiwasallam kay raste per chalna hai baki biddat,haram,Shirk aur yaha ALLAH taala
khud Quran me zahir farma diye ki kis kay raste per chalna hai aur inka raasta NABI
Sallallahualaihiwasallam se juda bhi nahi.Ya fir yeh wahbi saabit kare ki yaha
“Siddiquin,Saleheen,Shauhda” se Muraad kaun kaun hai.???

Gaur kare Surah Fatiha Har namaz me padhte hai toh wahbi namaz me kehte hai “hume us raaaste per chala jis per tune inaam kiya aur bahar kehte hai hum toh itteba karte hai NABI
Sallallahualaihiwasallam ki or kisi ki nahi.toh goya yeh jhut kehte hai humse or humse nahi toh
MAZ ALLAH ALLAH taala se jhut kehte hai warna is aayat me siddiqueen,saleheen se murad kya
hai???

Aayat # 3

Surah Luqman Aayat no. 15

اور اگر وہ دونوں تجھ سے کوشش کریں کہ میرا شریک ٹھہرائے ایسی چیز کو جس کا تجھے :

Tarjuma

علم نہیں )ف۱۱ )تو ان کا کہنا نہ مان )ف۱۱ )اور دنیا میں اچھی طرح ان کا ساتھ دے )ف۱۱ )اور اس کی
راہ چل جو میری طرف رجوع الیا )ف۱۱ )پھر میری ہی طرف تمہیں پھر آنا ہے تو میں بتادوں گا جو تم
کرتے تھے )ف۱۲)

Is aayat me ALLAH taala ne “uski raha chal jo meri taraf ruju liya” . Bataye kisne ruju liya.

Upar jo mene Video ki link di hai Usme ZAKIR NAIK ka kehna hai ki Quran me Aimma ullema ka
zikr hi nahi hai toh wahbiyo’n se sawaal hai ki yaha RUJU KISNE KIYA?????

Aayat # 4

Surah Nisa aayat no. 59

کا اور حکم مانو رسول کا ) : Tarjuma
ہ
اے ایمان والو حکم مانو ّٰللا ۱۶۱ )اور ان کا جو تم میں حکومت
ُسے ّٰللا ہ والے ہیں )۱۶۸ )اور رسول کے حضور رجوع کرو
پھر اگر تم میں کسی بات کا جھگڑا اٹھے تو ا
و قیامت پر ایمان رکھتے ہو )
ہ
اگر ّٰللا ۱۶۱ )یہ بہتر ہے اور اس کا انجام سب سے اچھا

Is aayat me khule Alfaz hai ki “A imaan walo Hukum maano ALLAH ka aur Hukum maano Rasul
Sallallahualaihiwasallam ka aur unka jo tumme Hukumat wale hai(Arbi lafz hai “Uleel amri
minkum” ) is aayat me bhi Imam kay bare likha hai. “Uleel amri minkum” se muraad ullema hai
aur is per ijma hai.

Imam Hakim apni Hadees Mustdarak Al-Hakim Hadees no. 422 per likhte hai “Uleel amri minkum” se muraad Aimma hai.

Isi Hadees ko Tafsee Jareer Jild 5 page no. 88 me Ibn Jareer ne Naqal kiya hai.

Aur isi hadees ko Imam Darmi ne :

Sunan Darmi Jild 1 Page no. 127 , Hadees no. 225.

Imam Darmi jo Imam Bukhari,Imam Muslim aur Imam Abu Dawood kay Ustaad hai unhone Baab Qayam kiya “Al-Iqtadaye al Ullema” aur yehi Hadees us baab me likhi hai.

Wahbi ki apni kitaab se hawala “Uleel amri minkum” se muraad Ullema hai


Aayat # 5

Surah Ambiya aayat no. 7

اور ہم نے تم سے پہلے نہ بھیجے مگر مرد جنہیں ہم وحی کرتے )ف۱۱ )تو اے لوگو علم والوں :

Tarjuma
سے پوچھو اگر تمہیں علم نہ ہو)ف
۱۱)

Is aayat me fir saaf Alfaz hai “Ilm walo se pucho agar tumhe ilm naho” aur yaha Ilm walo se muraad Alim hai ullema hai.

Tafseer Khaizan ul irfan : Is ayat me Taqleed wajib ka hukum hai.

Tafseer e Khazin : Is aayat me ilm walo’n se Muraad Aimma Imam hai


Aayat # 6

Surah Bani Israel aayat no. 71

جس دن ہم ہر جماعت کو اس کے امام کے ساتھ بالئیں گے )ف۱۲۱ )تو جو اپنا نامہ داہنے ہاتھ :

Tarjuma
میں دیا گیا یہ لوگ اپنا نامہ پڑھیں گے )ف۱۶۱ )اور تاگے بھر ان کا حق نہ دبایا جائے گا )ف
۱۶۱)

Is aayat me “jis din hum har Jamaat ko us kay Imam kay saath bulayege” Yaha Imam se muraad “Jiska who Duniya me itteba karta tha” Hazrat Ibn Abbas radialla taala anhuma ne farmaya isse who Imam zama’an muraad hai jiskay daawat per Duniya me log chale khwa isne HAq ki daawat ki ho ya Baatil ki :

Tafseer Khaizan ul irfan.

Ab Agar wahbi kahege ki humare imam NABI Sallallahualaihiwasallam hai toh yehi wahi Ibn
taymiyah kay aage ALLAMA IMAM IBN TAYMIYAH kyu likhte hai?? Kya NABI ka martaba ibn taymiyah kay liye bhi maante hai kya????

Tafseer Rooh ul Bayan me is aayat kay tahet hai ki Qayamat kay din jab log apne Imam kay naam se bulaye jayege toh Aawaz di jayegi”O Hanafi , O shafee” toh isse pata chala ki qayamat kay din sabko Imam kay naam bulaya jayega “O Hanfi,O shafee,O maliki,O Hanmbli” ab jiska koi Imam hi nahi waha per Iblees aur uskay saathi aayege.

Taqleed ka Saboot Hadees shareef se:

Hadees # 1.

Sunan Abu Dawood Hadees no. 3592.

كتاب االقضیة
قضاء کے متعلق احکام و مسائل
باب اجتھاد الراى في القضاء
باب: فیصلہ کرنے میں اجتہاد اور رائے سے کام لینا۔

3592 : حدیث نمبر

حدثنا حفص بن عمر، عن شعبة، عن ابي عون، عن الحارث بن عمرو بن اخي المغیرة بن شعبة، عن اناس، من اھل حمص
من اصحاب معاذ بن جبل ان رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم لما اراد ان یبعث معاذا إلى الیمن قال "كیف تقضي إذا عرض لك
. قال فبسنة رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم . قال "فإن لم تجد "قضاء ". قال اقضي بكتاب ّللا . قال "فإن لم تجد في كتاب ّللا
في سنة رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم وال في كتاب ّللا ". قال اجتھد رایي وال آلو . فضرب رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم
صدرہ وقال "الحمد هلل الذي وفق رسول رسول ّللا لما یرضي رسول ّللا ".
سیدنا معاذ بن جبل رضی ّللا عنہ کے بعض اصحاب نے روایت کیا جو اہل حمص میں سے تھے کہ رسول ّللا صلی ّللا
جب “علیہ وسلم نے جب ارادہ فرمایا کہ سیدنا معاذ رضی ّللا عنہ کو یمن بھیجیں تو آپ صلی ّللا علیہ وسلم نے پوچھا
انہوں نے کہا: میں اّللا کی کتاب سے فیصلہ کروں گا۔ ”کوئی مقدمہ تمہارے سامنے پیش ہو گا تو فیصلہ کیسے کرو گے؟
کہا کہ پھر رسول ّللا صلی ّللا علیہ وسلم کی سنت سے۔ ”اگر کتاب اّللا میں نہ مال تو؟“آپ صلی ّللا علیہ وسلم نے فرمایا
کہا کہ میں اپنی رائے استعمال ”اگر رسول ّللا صلی ّللا علیہ وسلم کی سنت اور کتاب اّللا میں بھی نہ مال تو؟“فرمایا
حمد ہے اس اّللا کی “کرنے میں کمی نہیں کروں گا۔ تو رسول ّللا صلی ّللا علیہ وسلم نے ان کا سینہ تھپکایا اور فرمایا
”جس نے رسول اّللا کے پیامبر کو اس بات کی توفیق دی جس پر اّللا کا رسول خوش ہے۔

Yehi Hadees

Sunan Darmi Jild 1 Hadees no. 170

Sahi Muslim Jild 1 Hadees no. 124

Mua’jame Kabir by Imam Tabrani Hadees no. 362

Imam Tirmizi ne Tirmizi shareef Hadees no.1327
Per Darj ki hai.

Is Hadees se saaf Maalum hota hai ki Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne Hazrat Muaz
radiallataala anhu ki Taqleed karne hukum diya Yemen walo ko.aur is hadees se pata chala ki
Agar Masla Quran o Hadees me na mile toh Hazrat Muaz ne apni rai se faisla lene ka kaha jisse
Sarkar sallallahualahiwasallam Khush hue aur aapke seene per haath maara aur dua farmai.aur
is hadees se saabit hua ki jo Ijtihad karte hai who mujhtahid hota hai jise har chiz ka ilm o
umoor haasil ho aur ALLAH taala uskay Dil me masle ka hal bhi daal deta hai.Subhan ALLAH.

Hadees # 2

Sunan Abu Dawood Hadees no. 4607.

سنن ابوداود
كتاب السنة
سنتوں کا بیان
باب في لزوم السنة
باب: سنت کا اتباع واجب ہے۔

4607 : حدیث نمبر

حدثنا احمد بن حنبل، حدثنا الولید بن مسلم، حدثنا ثور بن یزید، قال حدثني خالد بن معدان، قال حدثني عبد الرحمن بن عمرو
السلمي، وحجر بن حجر، قاال اتینا العرباض بن ساریة وھو ممن نزل فیه }وال على الذین إذا ما اتوك لتحملھم قلت ال اجد ما
احملكم علیه { فسلمنا وقلنا اتیناك زائرین وعائدین ومقتبسین . فقال العرباض صلى بنا رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم ذات یوم
ثم اقبل علینا فوعظنا موعظة بلیغة ذرفت منھا العیون ووجلت منھا القلوب فقال قائل یا رسول ّللا كان ھذہ موعظة مودع فماذا
تعھد إلینا فقال "اوصیكم بتقوى ّللا والسمع والطاعة وإن عبدا حبشیا فإنه من یعش منكم بعدي فسیرى اختالفا كثیرا فعلیكم
بسنتي وسنة الخلفاء المھدیین الراشدین تمسكوا بھا وعضوا علیھا بالنواجذ وإیاكم ومحدثات االمور فإن كل محدثة بدعة وكل
بدعة ضاللة ".
جناب عبدالرح ہمن بن عمرو سلمی اور حجر بن حجر کا بیان ہے کہ ہم سیدنا عرباض بن ساریہ رضی ّللا عنہ کی خدمت
وال على الذین إذا ما اتوك لتحملھم قلت ال اجد ما »میں حاضر ہوئے جن کے بارے میں یہ آیت کریمہ نازل ہوئی تھی
ان لوگوں پر کوئی گناہ نہیں کہ جب وہ آپ کے پاس آئے کہ آپ انہیں سواری دیں، آپ نے کہا کہ میرے “ «احملكم علیه
پاس کوئی چیز نہیں، تو وہ اس حال میں لوٹ گئے کہ ان کی آنکھیں، اس غم سے آنسو بہا رہی تھیں کہ انہیں کچھ میسر
ہم آپ سے ملنے کے لیے آئے ہیں اور یہ کہ آپ کی :ہم نے انہیں سالم کیا اور عرض کیا ”نہیں جسے وہ خرچ کریں۔
عیادت ہو جائے اور کوئی علمی فائدہ بھی حاصل کر لیں، تو سیدنا عرباض رضی ّللا عنہ نے بیان کیا کہ رسول ّللا صلی
ّللا علیہ وسلم نے ہمیں ایک دن نماز پڑھائی، پھر ہماری طرف منہ کر لیا اور وعظ فرمایا، بڑا ہی بلیغ اور جامع وعظ،
ایسا کہ اس سے ہماری آنکھیں بہہ پڑیں اور دل دہل گئے۔ ایک کہنے والے نے کہا: اے ّللا کے رسول! یہ تو گویا
میں تمہیں وصیت کرتا ہوں کہ ّللا کا تقو ہی اختیار کیے “الوداعی وعظ تھا، تو آپ ہمیں کیا وصیت فرماتے ہیں؟ فرمایا
رہنا اور اپنے حکام کے احکام سننا اور ماننا، خواہ کوئی حبشی غالم ہی کیوں نہ ہو۔ بالشبہ تم میں سے جو میرے بعد
زندہ رہا وہ بہت اختالف دیکھے گا، چنانچہ ان حاالت میں میری سنت اور میرے خلفاء کی سنت اپنائے رکھنا، خلفاء جو
اصحاب رشد و ہدایت ہیں، سنت کو خوب مضبوطی سے تھامنا، بلکہ ڈاڑھوں سے پکڑے رہنا، نئی نئی بدعات و
”اختراعات سے اپنے آپ کو بچائے رکھنا، بالشبہ ہر نئی بات بدعت ہے اور ہر بدعت گمراہی ہے۔

Yehi Hadees

Mishkat shareef jild 1 Hadees no. 157

Musnad Ahmed Jild 4 page no.127

Trimizi shareef Hadees no. 2678

Sunan Darmi jild 1 Hadees 96.

Imam Hakim AL-Mustadarak jild 1 page 164 Hadees 129.

Yeh Hadees se saabit hai ki Sarkar
Sallallahualaihiwasallam ne farmaya ki “bilshuba tum me se jo mere baad zinda raha woh bahut ikthelaaf dekhega,chunanche in haalat me meri Sunnat aur mere Khalifa ki sunnat apnaye rakhna”in alfaz se saaf pata chata hai ki sarkar ne apne khalifa ki Taqleed ka Hukum diya kay mera baad jab ikhtelaaf aaye toh mere khalifa ki bhi sunnat apnaye rakhna.Aapko pata tha ki aapke baad ikhtelaaf aayege jiska sabot Quran o Hadees me na hoga

isliye aapne yaha khalifa ki pairwi kay liye kaha.

Hadees # 3

Jame tirmizi shareef jild 2 Kitabul manaqib Hadees no. 1597

Baab : MAnaqib e Hazrat Abu bakar siddique radiallataala anhu.

Hazrat Huzaifa radiallataala anhu se riwayat hai farmate hai hum NABI e karim
Sallallahualaihiwasallam kay paas baithe hue the kay aapne farmaya me (apne aap) nahi jaanta
kay kitne mudday tumhare darmiyan rahuga mere baad kiski pairwi karoge itna farmakar aapne
Hazrat Abu bakar siddique radialla taala anhu ki taraf ishara kiya.

Is Hadees ko

Ibn majah jild 1 Babul qadar Hadees 97.

Musnad Ahmed jild 5 page 385 Hadees no. 23324

Ibn Habban apni Sahi me Hadees no. 6902.

Imam Ibn Abi shayba ne Al-Musannaf jid 7 page 433 Hadees no. 37049

Imam Tabrani Majamul Ausat jild 4 page 140 Hadees no. 3816
Imam Abu Noyam ne Hilyatul Auliya jild 9 page 109 per yehi Hadees nakal ki hai.

Isse bhi Taqleed saabit hai ki agar Quran o Hdees hi kaafi hai toh sarkar ne Hazrat Abu Bakar
siddique ki taraf ishara kiya aur pairwi karne ka hukum diya auris per sahaba e kram ne aisa q
nahi kaha “YA RAsul ALLAH hume aapki Sunnat o Quran hi kaafi hai” lekin yaha per Sahaba e kram khamosh rahe.

Hadees # 4

Mishkat Shareef Jild 3 Kitabul Fit’an Hadees no. 5762.

Hazrat Umar radiallataala anhu se riwayat hai kay mene Rasul ALLAH Sallallahualaihiwasallam
ko farmate hue suna mene apne rab se apne sahaba kay ikhtelaf kay mutaliq sawaal kiya jo
mere baad hoga meri taraf wahi farmai kay a mohammad! tumhare sahaba mere nazdeek
aasman kay taro ki tarah hai jab kay baaz baaz se qawi hai lekin sab noorani hai.apne ikhtelaf
woh jis maukuf per hai un me se jo kisi ko ikhtiyar kare who mere nazdeek hidayat per hai.Rawi
ka bayan hai ki Rasul ALLAH sallallahualahiwasallam ne farmaya mere sahaba taaro’n ki tarah
hai.unmese jiski pairwi karoge toh hidayat hi paoge.

Is Hadees ko

Sunan e Kubra jild 1 page 162 Hadees no. 152

Imam Dailhvi ne Masnadul firdaus jild 4 page 160 Hadees 6497

Imam Zahabi ne Mizamul Atedal jild2 page 142

Imam Khatib Baghdadi “Al-Kifaya” jilg 1 page 48

Imam ibn qadama Hanmbali rehmutalla alaih ne Al-Mughni jild 3

Ibn Kaseer ne “Tu’hfatut Talib” jild 1 page 45 per
nakal kiya hai.

Hadees # 5

Mishkat shareef Jild 1 Hadees 182

Hazrat Abdullah ibn masud radiallataala anhu jo ek Faqih Sahabi hai aapse riwayat hai “ A logo
tum chahte ho ki Hidayat per raho toh unke raaste apnao jo inteqaal hochuke hai aur zindo per
fitno ka andesha hai.

NOTE : Jo inteqaal kargaye woh Hidayat per hue aur zindo per fitno ka andesha hai,Hadees se saabit
hai.Ab Ahle Hadees ko chahiye ki woh Imam ka raasta apnaye jo Hidayat per inteqaal hue.unhe
apne Maulvi ullema ko choddena chahiye Hadees per amal karte hue

Hadees # 6

Sunan Darmi me Imam Darmi ne yeh Hadees likhi hai

“Hazrat Abu Darda se riwayat hai k “A logo agar ullema kay aqwal na hote toh hum sab Hidayat hasil na karsakte the”.

Is hadees se saabit hai gaur kare : Hazrat Abu Darda kaun hai??? Sahabi e Rasool hai aur is
Hadees kay mutabik Hazrat Abu darda ko bhi apne e zyada ilm walo ki zarurat hai,unki Taqleed
karte,lekin wahbi kehte hai hum Taqleed nahi karege toh in wahbi ko Sahaba se zyada ka ilm
hai????

Yeh Woh Hadees hai jisse TAQLEED ka sabot milta hai aur Sahaba ko bhi Taqleed ka Hukum mila.

Wahbi ki kitaab se Taqleed ka saboot

1 ) Ibn Qayum Jawzi student of Ibn Taymiyah.

Kitab Ka Naam "Alamul Muaqqin" Safa 30

Inhone baab qayam kiya hai ki “Sahaba radiallataala anhum me se Mufti Hazraat” are jab
Taqleed hi nahi karni toh sahaba me se Mufti Hazrat ki kya zarurat padgai??? Fatwa dete the
iska matlab kuch log inki Taqleed karte the jabhi toh Fatwa dete the warna Quran shareef kaafi
na thi in sahabiyo’n ko??? Aur inhone kuch sahaba kay naam bi ginaye hai .

2) Same kitaab ka Hawala hai jo upar diya hai sirf safa change hai . Jild 1 safa 41.

Imam Ahmed bin hanmbal ki taarif likhkar kya likhte hai zara gaur farmale.aapke Fatwe kitne the aapki kitabe kitni thi sab likha hai.Wahbiyo’n jab tumhe Taqleed hi nahi Karni

toh Fatwo se kya muraad hai?????

Imamo’n ki kitaab se kya karna hai????

Tumhare nazdeek sirf do hi kitaab honi chahiye 1) Quran shareef 2) Hadees Sahi sitta. Isse zyada
kyu padhte ho. Aur Imam Ahmed bin Hanmbal ne itni kitabe likhi Fatwe likhe iska

matlab hai ki us zamana me bhi Taqleed ka saboot tha lekin ALBANI kay aate hi aitraaz shuru hogaye.isse pehle kisi ka aitraaz koi bata sakta hai??? Aur is Ibarata me Taqleed

kay bare bhi likha hai. “yaha tak un kay mazhab kay mukhalif un kay siwa aur ki Taqleed karne wale bhi un kay qalaam aur un kay fatwo ki izzat wa azmat karte hai”

3 ) Front cover : same book hai jiska hawala upar diya hai “ilamul muaqin” sirf safa chanGe hai :

jild 1 safa 41.

“Chinanche aap ne apne baaz shagirdo’n se farmaya bhi hai kay jis masle me tumhara koi imam na ho khabardaar use zabaan se na nikale”

Isse muraad kya hai?? Taqleed ka Hukum hai ki nahi???Wahbi Bolta hai Magar samajta nahi.aur yaha aap se murad Hazrat Imam Ahmed bin Hanmbal hai.jab waqt kay bade Imam keh rahe hai ki masle me imam ka hona zaruri hai lekin juma juma 8 din wale wahbi
Maulvi jo hafte bhar me mujhtahid hojaate hai who inhi imam per bohtaan lagate hai jaise “Imam Abu hanifa ka fala qaul sahi nahi unhone galti kardi” etc etc.

4 ) Ab yeh kitaab jo me niche duga who kitaab SAUDI se chapi hai “Lama tul Atiqaad”

safa no. 26.

Kehte hai “ Imam Auzai radialla taala anhu , ALLAH un se raazi hua,Farmate hai kay aasar e salf ki pairwi karo agarche log tumhe chodde aur logo’n ki zaati aara se bacho agar che log ise muzaiyan karke kyu na pesh kare”.

Kya kehte hai isme ki agarche log tumhe chodde lekin tum salf ki pairwi na chodo aur logo ko zaati aara se se bacho yaani aaj kal jhute wahbi jo apne aapko mujhtahid samajte hai inki rai se bacho.yaha Bhi Taqleed ka hukum hai Wahbi book se aage dekhe.

5 ) Same kitaab “Lama tul Atiqaad” safa 82 per dekhe.

“Al batta furoi masail me kisi Imam ki taraf nisbat karna maslan charo faqhi mazahib me kisi ki taraf mansub hona,toh yeh mazmoon nahi kyuke furoi masail me ikhtelaf rehmat hai."

Isse bhi Taqleed ka khuli ibarat hai aur Taqleed kitno ki honi chahiye who bhi zaahir hai.


Wahbiyo Kay aqli aitrazat aur uske jawabat


1) Sahaba e kram ne Taqleed kyu nahi ki.

Jawaab : a)

Sahaba e kram jab Direct NABI Sallallahualaihiwasallam se masla hal
karwate the toh unhe Taqleed ki kya zarurat.

b)

Hadees se iska Jawaab talab karte hai :
Hazrat Umar radiallataala anhu se marwi hai “A logo tummese jo chahta ho Quran kay bare me jaane toh usko chahiye kay Hazrat Ubai ibn kaab radiallataala anhu ki taraf ruju kare,aur jo tumme chahta hai ki faraiz kay bare me malumat hasil kare toh use chahiye Hazrat Zaid ibn saabit radialla taala anhu ki taraf ruju kare aur tumme jo chahta hai Fiqha kay masail puche toh usko chahiye ki Hazrat Muaz ibn jabal ki taraf ruju kare aur
tumme jo chahta hai kay who mashiyat kay bare me janna chahta hai toh usko chahiye meri taraf ruju kare.Beshak ALLAH taala ne mujhe khazane ka muhafiz banaya aur me us khazane ka taqseem karne wala hu.

Ref : Al-Musannaf Ibn Abi shaiba jild 6 page 454 Hadees no. 32896.

Sunan e kubra jild 6 page 210 Hadees no.11969.

Hakim (Al-Mustadarak) jild 3 page 306 hadees 8191.

Tafseer qurtubi jild 18 page 20.

Is Hadees se saaf zaahir Taqleed kay bare ki Quran kay bare janna hai toh fala sahabi kay paas
jaye,Fiqha kay bare janna hai toh fala sahabi kay paas jaye,mashiyat kay bare janna hai toh
mere paas aaye.Agar Taqleed ka hukum na hota toh sahaba e kram kehte ki Hum toh Quran o
behter samajte hai hum chahe toh Direct NABI Sallallahualaihiwasallam se puch sakte hai.lekin
aisa nahi hua.Hazrat Umar radiallataala anhu se kisi ne aisa nahi kaha ki iski zarurat kya hai hum
toh direct kam le sakte hai.

Iska matlab yeh hai ki Sahaba e kram me ek jamat aisi thi jo itna ilm na rakhti thi aur apne e
zyada Alim o ilm walo ki taraf ruju karti thi.

2) Sahaba e kram kay zamana me na koi Hanfi tha, Na shafae tha,Na Maliki,Na Hanmbali tha yeh baad ki paidawar hai yeh Biddat hai.

Jawaab: Humne apne aapko Hanfi kaha toh apne hume Biddati kehdiya,isi tarah Shafee,maliki,Hanmbli kaha toh aapne biddati kehdiya..Sirf ek baat batao Wahbio..kaun se sahaba e kram ne apne aako SALAFI kaha hai???? Kabhi kisi ne naam suna Hazrat Abu
bakar siddique salfi,Hazrat Usman gani salfi,Hazrat Umar e Farooq salfi,Hazrat Maula Ali Salfi,kisi ne suna hai kya aisa naam???? Yeh biddat nahi toh fir Biddat kya hai.aur salafi kay maana hai Salaf kay raste per chalne wala..yeh sabse ajeeb baat hai ki jab kisi Imam kay piche nahi chalna toh salfi kaise???? Kyuke wahbi toh direct NABI Sallallahualaihiwasallam ki itteba karne ka daawah karte hai lekin dusre muh salaf ki
pairwi karte hue salafi kehte hai apne aapko.bada hi ajeeb mamla hai..

Sahaba e kram kay zamane me toh Hadees ki kitaabe bhi na thi fir kisne authority di kay tum Quran shareef kay baad Bukhari, Muslim, Abu Dawood etc etc in Hadees per amal karo???? Aur yeh kisne kaha ki Bukhari ko pehla no. dusra Muslim ko ,teesra Abu
dawood ko ,chautha Tirmizi ko, panchwa per Nisai ko aur chate per Ibn Majah ko rakho…yeh tarteeb banana kay liye kaun se sahabi ne bola ya wahbiyo’n per wahi utri thi???? Yeh bhi toh biddat hai.

3 ) Imam Abu Hanifa se pehle log kiski Taqleed karte the??

Jawaab: Me Wahbiyo se puchta hu ki Bukhari shareef se pehle log kis kitaab ko padhte the???? Bukhari shareef ko Quran kay baad mautabaar maanlo yeh kisne kaha??jabke Bukhari shareef se pehle bhi kai kitaabe likhi gai jaise Muwatta Imam Malik , Musnad
Ahmed bin Hanmbal , Musannaf Abdur razzaq , Sunan Darmi etc toh wahbiyon ne inkitaab ko chodkar Bukhari shareef ko kyu pakadliya???

4 ) Imam Abu Hanifa kay Walid kiski Taqleed karte the ???

Jawaab : Hadees me Bukhari se pehle kis kitaab ko maante the?? Aur Bukhari shareef se pehle koi kitaab maante the toh us kitaab ko kyu choda?? Sidhi si baat hai Imam Abu Hanifa Tabae the aur NABI Sallallahualaihiwasallam ne 3 Daur bataye “khair ka Daur”

Taabi Direct Sahabi se riwayat lete the aur Sahabi Direct NABI Sallallahualaihiwasallam se riwayat lete the aur Imam Abu Hanifa kay walid toh Hazrat Ali ki bargah me bhi Haazir hua karte the.jiska hawala hai .

1) Imam Dhahabi, Siyar Alam al-Nubala, Volume 6, Page No: 395 Click Here for Scanned
Page 194

2) Imam Mizzi, Tahzeeb ul Kamal, Volume 29, Page No: 423
Click Here for Scanned
Page 200

3)Imam Hajar al-Asqalani in Tahdhib ut Tahdhib, Volume No.10, Page No. 401(Online) and
Volume 10, Page 449 Click Here for Scanned Page 210

4) Imam Nawawi, Tahdhib al-Asma', Narrator no: 771, page 376

Toh isse saabt hua ki Imam Abu Hanifa kay walid Sahaba e kram ki pairwi karte the aur
mene upar ek hadees dikhai thi kay NABI Sallallahualaihiwasallam ne farmaya sahaba
me se jiski pairwi karege who hidayat per hoge.Isse saabit hai ki Imam Abu Hanifa kay walid Hidayat per hai.

4 ) Sirf ek Taqleed kyu karte ho.

Jawaab: wahbiyon ka kehna ki “4 Haq per hai toh chaaro ki manuga” : yeh toh Hadd hai pehle kisi ko nahi mante hai kehte hai Taqleed shirk , Haram, Biddat aur dusri taraf kehdiye 4 HAq per hai chaaro ko manuga ref. kay liye jo upar video daal gaur se dekhna use.ab chaaro ko maankar chaar chaar baar shirk kardiye wahbi. Yaani yeh chaar ki Taqleed ek saath karege balke mere Nazdeek yeh who log hai jo apne nafs ki Taqleed karte hai kyuke inke nazdeek inhe jo sahi lagta yeh use pakad lete hai aur baaki
choddete hai.aur usi Video me Zakir naik sahib apne aapko 100% Hanfi bhi kehte hai.Ibn Taymiyah apni kitaab Fatwa Ibn Taymiyyah, Volume 20, Chapter of Taqleed me likhte hai ki jab koi shaks kisi Taqleed karne lagta hai aur bina wajah woh dusre shaks ki bhi Taqleed karta hai goya woh apne NAFS ki Taqleed karta hai naki Imam ki Taqleed karta hai aur is tarah karna HARAM hai.yeh wahbi apne ghar kay Imam ki kyu nahi maante.


Wahbi ki Taqleed

Wahbi bhi Taqleed karte hai lekin batate nahi jaisa aapne upar padha aur yaha niche me un Imam kay naam duga jinki who Taqleed karte hai,Hum toh sirf 4 Imam ki Taqleed kay bare kehte hai lekin wahbi 10 Imam ki Taqleed karte hai,Naam mulayza farmaye :

1) Ibn Taymiyah.
2) Ibn Qayum.
3) Ibn Kaseer.
4) Ismail Dehlvi.
5) Siddique Hasan Bhopali.
6) Shawkani.
7) Sanaullah Amritsari.
8) Mohammad Junagadi.
9) Albani.
10) Abdullah ibn Abbas.

Wahbi insab ki Taqleed karte hai aur agar woh kahe hum Taqleed nahi karte toh yeh
apne maktab se Kitaab kyu chaapte ho kyuke inke nazdeek sirf 2 hi kitaab hai 1) Quran 2) Sahi Hadees, Inke alawa yeh wahbi apni kitaabe chaap kar kya saabit karna chahte hai??? Inhe toh chahiye ki sirf Quran aur Sahi Sitta Hadees chaape, Apne maulana ki
kitaab chaapkar sabko dete ho kay yeh padho humari Taqleed karo lekin bolo mat Taqleed karaha hu.Yeh wahbi apne aapko samajdaar samajte hai lekin hote nahi. Aur yeh Jawaab ek aur Aitraaz per diya jaa sakta hai “Quran o Hadees Kaafi hai toh Taqleed
kyu?? Kya jahalat hai agar Quran o Hadees kaafi hai toh apne gharwalo se kaho Quran o Hadees chaape dusri kitaabe band karde chaapna.


Challenge to all Wahbi


Bukhari shareef Inke nazdeek bahut mautbaar kitaab hai ki yeh wahbi Quran shareef kay
baad sidha Bukhari hi padhte hai aur fir dusri kitaabo ko padhte hai.

Challenge hai: Imam Bukhari khud shafee hai.

Wahbiyoh zara bataye ki jo Shaks Taqleed karta ho yaani tumhare nazdeek Shirk, Biddat,Haram kaam kiya uski darj ki hui Hadees ko mautabar kehna kaisa???? Usool e Hadees me agar koi shaks Tadlees kare toh Hadees ko Zaef kardete ho lekin yaha toh Hadees ko apni kitaab me nakal karne wala hi Taqleed karte the.toh puri ki puri Bukhari ka kya
karoge??? Aur yeh bhi batadu ki Imam Buhari ne 2 Aise raawi se riwayat li hai jo HANFI hai.

1) Hazrat Yahya ibn Moin.

 َّيا - ِ ُبو َز َكر َ ُت: َق د َكا َن أ ل َّي...قُ لَ ِ َح ب إ َ ِي َحِن يَفَة أ ب َ أ ِ ي ال َّشافِ ِع ِّي، َين ُظ ُر فِي َرأ ِ ي ن َين ُظ َر فِي َرأ َ َح د أ َرى ألَ َ َما أ ا، َوفِ ي ِه ان ِح َرا ف َي ِس ي ر َع ِن ال َّشافِ ِع ِّي ا َقا َل َهذَ ، َفلِ َهذَ ِ ُر وع فِي الفُ َر ِح َمُه للاُ- َحَنفِّيا

Imam Dhahbee ne apni apni kitaab [Seyar Ailaam an-Nubala] me Hazrat Yahya Ibn Moin ko HANFI likha hai.

2) Hazrat Waqi ibn Jarah.

Waki bin Jarrah ko Imam Dhahabi nay Tazkiratul Hufaad main Hanafi likha hai. Tazkiratul Hufaaz main Waki Bin Jarrah kay neechay unhoon nay likha hai kay wo Abu Hanifa kay fiqh kay mutabiq fatwa detay thay.

Imam Yahya ibn mueen likhte hai ki Waqi ibn Jarah Imam Abu Hanifa kay Qaul kay Mutabik Fatwa dete the.( Al-Intiqa’ fi Fada’il al-A’immati l-Thalathat al-Fuqahap. 211)

Ab Agar Hadees me rawi Zaef aajaye toh Hadees Zaef hojati hai sanad kay aitbaar se lekin Rawi mushrik aajaye toh????? Aur Imam Bukhari ne kaafi saari hadeesein in dono Hanfi rawi se li hai jo Muqallid hai.Bataye kya Faisla hoga Mushrik Rawi per wahbiyon ka????Bukhari manna choddoge ya Taqleed legally shuru kardoge??


Masail Wahbiyon kay liye

Yeh who masail me de raha hu jise wahbyon ko bina Taqleed kay nikalna hoga.

Daleel Bukhari Shareef se.

صحیح بخاری ( 1
کتاب الوضو
باب: وضو میں ہر عضو کو ایک ایک دفعہ دھونا بھی ثابت ہے
157 : حدیث نمبر
حدثنا محمد بن یوسف، قال حدثنا سفیان، عن زید بن أسلم، عن عطاء بن یسار، عن ابن عباس، قال توضأ النبي صلى ّللا علیه
وسلم مرة مرة.
ہم سے محمد بن یوسف نے بیان کیا ، ان سے سفیان نے زید بن اسلم کے واسطے سے بیان کیا ، وہ عطاء بن یسار سے ،
وہ ابن عباس رضی ّللا عنہما سے روایت کرتے ہیں کہ رسول ّللا صلی ّللا علیہ وسلم نے وضو میں ہر عضو کو ایک
ایک مرتبہ دھویا۔

صحیح بخاری ( 2

کتاب الوضو
باب: اس بارے میں کہ وضو میں ہر عضو دو دو بار دھونا بھی ثابت ہے
158 : حدیث نمبر
حدثنا حسین بن عیسى، قال حدثنا یونس بن محمد، قال حدثنا فلیح بن سلیمان، عن عبد ّللا بن أبي بكر بن عمرو بن حزم، عن
عباد بن تمیم، عن عبد ّللا بن زید، أن النبي صلى ّللا علیه وسلم توضأ مرتین مرتین.
ہم سے حسین بن عیس ہی نے بیان کیا ، انھوں نے کہا ہم سے یونس بن محمد نے بیان کیا ، انھوں نے کہا ہم سے فلیح بن
سلیمان نے عبدّللا بن ابی بکر بن محمد بن عمرو بن حزم کے واسطے سے بیان کیا ، وہ عباد بن تمیم سے نقل کرتے ہیں
، وہ عبدّللا بن زید رضی ّللا عنہ کے واسطے سے بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم صلی ّللا علیہ وسلم نے وضو میں اعضاء
کو دو دو بار دھویا۔

صحیح بخاری ( 3

کتاب الوضو
 (باب: وضو میں ہر عضو کو تین تین بار دھونا )سنت ہے
159 : حدیث نمبر
حدثنا عبد العزیز بن عبد ّللا األویسي، قال حدثني إبراھیم بن سعد، عن ابن شھاب، أن عطاء بن یزید، أخبرہ أن حمران مولى
عثمان أخبرہ أنه، رأى عثمان بن عفان دعا بإناء، فأفرغ على كفیه ثالث مرار فغسلھما، ثم أدخل یمینه في اإلناء فمضمض،
واستنشق، ثم غسل وجھه ثالثا، ویدیه إلى المرفقین ثالث مرار، ثم مسح برأسه، ثم غسل رجلیه ثالث مرار إلى الكعبین، ثم قال
قال رسول ّللا صلى ّللا علیه وسلم " من توضأ نحو وضوئي ھذا، ثم صلى ركعتین، ال یحدث فیھما نفسه، غفر له ما تقدم من
ذنبه ".
ہم سے عبدالعزیز بن عبدّللا االویسی نے بیان کیا ، انھوں نے کہا مجھ سے ابراہیم بن سعد نے بیان کیا ، وہ ابن شہاب سے
نقل کرتے ہیں ، انہیں عطاء بن یزید نے خبر دی ، انہیں حمران حضرت عثمان کے مول ہی نے خبر دی کہ انھوں نے
پانی کا برتن مانگا۔ )اور لے کر پہلے( اپنی (حضرت عثمان بن عفان رضی ّللا عنہ کو دیکھا، انھوں نے )حمران سے
ہتھیلیوں پر تین مرتبہ پانی ڈاال پھر انہیں دھویا۔ اس کے بعد اپنا داہنا ہاتھ برتن میں ڈاال۔ اور )پانی لے کر( کلی کی اور
ناک صاف کی، پھر تین بار اپنا چہرہ دھویا اور کہنیوں تک تین بار دونوں ہاتھ دھوئے پھر اپنے سر کا مسح کیا پھر )پانی
لے کر( ٹخنوں تک تین مرتبہ اپنے دونوں پاؤں دھوئے۔ پھر کہا کہ رسول ّللا صلی ّللا علیہ وسلم نے فرمایا ہے کہ جو
شخص میری طرح ایسا وضو کرے، پھر دو رکعت پڑھے، جس میں اپنے نفس سے کوئی بات نہ کرے۔ تو اس کے
گذشتہ گناہ معاف کر دئیے جاتے ہیں۔

Yeh pehli Daleel hai sahi Bukhari se jisme likha hai ki

Hadees no. 157 Wuzu kay aaza ko ek dafa dhona ,

Hadees no. 158 Wuzu kay aaza ko 2 dafa dhona ,

Hadees no. 159 Wuzu kay aaza ko 3 dafa dhona.

Ab wahbiyon se sawaal hai bina Taqleed kay yeh bataye ki kis per Amal karna hai aur uski Dalil bhi dikhai ki fala Hadees per amal karege kyuke 1
Hadees per amal karege toh 2 choot jayegi aur Ahle Hadees Wahbi Hadees ko chodte nahi.

Jawaab ka Intezaar rahega.

Dalil Abu Dawood se

سنن ابوداود ( 1
كتاب الطھارة
طہارت کے مسائل
باب الوضوء من مس الذكر
باب: شرمگاہ کو چھونے سے وضو۔
181 : حدیث نمبر

سنن ابوداود ( 2
كتاب الطھارة
طہارت کے مسائل
باب الرخصة في ذلك
باب: اس میں رخصت کا بیان۔
182 : حدیث نمبر
حدثنا مسدد، حدثنا مالزم بن عمرو الحنفي، حدثنا عبد ّللا بن بدر، عن قیس بن طلق، عن ابیه، قال قدمنا على نبي ّللا صلى ّللا
علیه وسلم فجاء رجل كانه بدوي فقال یا نبي ّللا ما ترى في مس الرجل ذكرہ بعد ما یتوضا فقال "ھل ھو إال مضغة منه ". او
قال - "بضعة منه ". قال ابو داود رواہ ھشام بن حسان وسفیان الثوري وشعبة وابن عیینة وجریر الرازي عن محمد بن جابر
عن قیس بن طلق .
سے روایت کرتے ہیں کہ ہم ّللا کے نبی کریم صلی ّللا علیہ وسلم کی (طلق رضی ّللا عنہ)جناب قیس بن طلق اپنے والد
تھا، کہنے لگا: اے ّللا کے نبی! آپ اس شخص کے (دیہاتی)خدمت میں حاضر ہوئے، تو ایک آدمی آیا وہ بظاہر بدوی
یہ “بارے میں کیا فرماتے ہیں جس نے وضو کے بعد اپنے ذکر کو ہاتھ لگا لیا ہو؟ تو آپ صلی ہللا علیہ وسلم نے فرمایا
امام ابوداؤد رحمہ ّللا کہتے ہیں کہ اس روایت کو ہشام بن حسان، سفیان ثوری، ”اس کے جسم کا ایک ٹکڑا ہی تو ہے!۔
شعبہ، ابن عیینہ اور جریر رازی نے محمد بن جابر سے، انہوں نے قیس بن طلق سے روایت کیا ہے۔

Is Hadees me Sharam Gaah ko chuliya toh wuzu karna hoga (Hadees no. 181)

Aur is Hadees me Sharam gaah ko haath lagaya toh wuzu na toota (Hadees 182)

Wahbiyon batao kis per Amal karoge bina Taqleed kay batana.

Dalil Mishkat Shareef se Kitabut Wuzu jild 1 Hadees 303
Tarjuma: Agar Kisi ne apni biwi ko bosa diya toh wuzu toot jayega.

Kitabut Wuzu jild 1 Hadees 297
Tarjum: Hazrat Aisha Radialla taala anha farmati hai hai ki Baaz auqaat NABI
Sallallahualaihiwasallam apni biwiyon me se Kisi ka bosa lete Wuzu nahi farmate Namaz padha liya karte the.

Ab wahbiyon batao ki Kis Hadees per Amal karoge bina Imam ki Taqleed kay batana.

Is tarah aur bhi masle hai jo puri ki puri wahbiyatbina Taqleed kay masle hal nahi kar sakti.

Wahbiyon ki jahalat 

Yeh Wahbi Khud kya kehte hai inhe aqal nahi hoti aur kuch bhi keh jaate hai.

https://www.youtube.com/watch?v=POhCrZewH14

Yeh Video hai Maulana Ismail Bhati Gair Muqallid ka.Is video me who kehte hai ki Hazrat Abdullah Ibn Masood radialla taala anhu jab taqreer karte aur koi masla bayan karte toh mard toh mard aurte bhi gharme jaakar Hawala dhundti kay fala masle ka hawala HADEES o Quran ki kitaab me maujud hai ki nahi.Aur Hazrat Abdullah ibn Masood ki taarif bhi bayan ki lekin jaahil

wahbi samajhte nahi bas jhut boldete hai.

Ibn Mas'ud [Abu 'Abdur Rahman]

Comp.(RA) [1st Generation]

Full Name: 'Abdullah ibn Mas'ud b. Ghafil b. Habib b. Shamkh b. Far b. Makhzum b. Sahilah b. Kahil b. al-Harith

Parents: Mas'ud b. Ghafil b. Habib / Umm 'Abdullah bin Mas'ud

Siblings: 'Utba ibn Mas'ud

Birth Date/Place: (Makkah)

Death Date/Place: 32 AH/ 652 CE (Medina/Kufa)[ Natural ]

Places of Stay: Makkah/Abyssinia/Medina/kufah

Area of Interest: Tafsir/Quran, Recitation/Quran,

Narrator [ ع - صحابة ,[ Fiqh

Spouse(s): Rayta bint 'Abdullah, Zaynab bint. Abi Mu'awiya

Children : 'Abdur Rahman bin 'Abdullah, Abu 'Ubaida bin 'Abdullah bin Mas'ud

Teachers/Narrated From: Muhammad (sallallahualaihiwasallam), Sa'd ibn Mua'dh, 'Umar ibn alKhattab,Safwan bin 'Assal Hazrat Abdullah ibn Masud ki pur detail hai upar aur isse pata chalta hai ki aap Sahaba e kram hai. Toh Wahbiyo aur Ismail bhati yeh batao ki us waqt Mard aur Aurat kaun si
Hadees ki kitaab me Hazrat Abdullah Ibn Masud ka Hawala dhundte the??? Kya Bukhari ,
Muslim ,Abu dawood , Nisai etc etc us waqt maujud thi ???

JHUTO PER ALLAH ki laanat ho.Yeh wahbi khud kya kehte hai inhe pata nahi. Sahaba e kram kay masle ko Hadees me dhundte the dusre sahabi.

Wahbiyon se 10 sawaalat jo bina Imam ki Taqleed kay Quran o Hadees ki roshni me saabit kare

1) Duniya me Baaz jagah Jaha kai kai mahine Suraj nahi nikalta waha 5 waqt ki
namazo’n ka taayun kaise kiya jayega??

2) Chalti Hui Train me Namaz padhna Jaiz ya NaJaiz???

3) Eiddein kay Chand kay dekhne ka elaan Mike, Telephone, SMS, TV, Radio etc kay
zariye diya jaati hai.Yeh Jaiz ya NaJaiz.

4) Zakaat Notes se adaa kiya to zakaat hogi ya Nahi??

5) Tahajjud ki Azaan Jaiz ya NaJaiz, Agar Jaiz hai toh kiske zamane me hui, Kaun se
Sahaba, Tabai, Tabe tabai kay zamana tha Quran o Hadees se saabit kare.

6) Suwar ka ghost PAAK ya NAPAAK kyuke Quran shareef me Suwar ka Ghosht khana
Haram kaha hai lekin Paak ya Napaak???

7) Kutta, Bhes, Jhinga inka Ghosht khana Jaiz ya NaJaiz??

8) Roze ki halat me injection lagane se Roza tootega ya nahi???

9) Substitute Mother se bacche paida karna Jaiz ya NaJaiz??

10) YouTube wagaira per apni Video banakar taqreer ki daalna yeh Jaiz ya NaJaiz????

Yeh 10 Sawaal hai jo wahbiyon ko Dena hai Bina Taqleed kay sirf o sirf Quran o Hadees ki roshni me.


Shaikh Mohammad Imran Saifi


No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers