Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday, 29 April 2017

Shabe Baraat ki hakikat post 01



بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Mukhtasar Sa Yahan Padh Sakte Hai Fazail E Shabaan Kay Talluk Se CLICK HERE
Post 01 : Fazail E Shaban Shabe Baraat Ki Haqeekat Mauzooda daur me kuch roshan khayali naam nihad ahle hadees jo Hai Wahabi ye Firqa Ummat e Muslima me har mahina kuch na kuch fitna chodta hai har us amal ko shirk biddat haram kehte hai jiska talluk aqaid or maamlaat E ISLAMIYA se hai aaj se kuch saal phle aapne kisi ko bhi SHABAN ki fazilat aur ki 15wi shab jisko Shab E Baraat kaha Jaata Hai us raat jaag kar Namaz Roza Tilawat Karne ka Inkaar karte nahi dekha hoga par ab ek aisa firqa wajood me hai Ibadat us firqe par bhoj hai hama waqt bahane talashte hai k kisi tarah ummat e muslimah ko gumraah kare Amal Se roke.
Unka kehna hai Shaban ki asal hadees se saabit nahi hai balki jo rivayat hai sab mauzu hai jaeef hai halanki ye unki Laa ilmi hai jo aise jumle nikalte hai. Bahot Si rivayat is talluk se SAHIH hai jo is post ko padhke jo aage dalail aaynge aap samajh jaynge aur kuch ahadees zaif hai lekin jo zaif hai wo bhi aisa nahi hai kay usko raddh kar diya jayega balki Zaeef hadees agar Shawaheed kay saath ho alag alag sanado se aaye to wo HASAN darje ki hoti hai. Aur maan lo jaeef hadees bhi ho tab bhi aimma ka usool yehi hai k amal o fazail me jaif hadees kabool ki jaati hai aur uspe amal hoga ab uske khilaf bolne waalo ko chahye k saaf saaf alfaz waali sahi hadees leke aaye jisme saaf mauzood ho k 15 shaban ko kayam aur roza na rakho aur agar nahi la sakte hai to unhe sochna chahye wo kya kar rahe hai.

Maahe Shabaan Naam E Aamal Allah Taala Ki Taraf Uthaye Jaate Hai
Hadees 01 :
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
Reference :
(Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2358) Scan Page SUNAN NASAI jiski tahkeek Wahabiyo Kay Sabse Bade Muhadis Naseerudin Albani ne ki hai.



Upar Bayan Karda Hadees E Paak Se maloom huwa Ye Mubarak mahine Me Hamare Naam E Amal Allah Ki Janib Uthaye Jaate Hai Aur Jab Naam E Amal Uthaye jaye to Khud Rasoolullah Farmate hai Kay Mahboob hai ROZADAR hoon.
To Ab Yahan Wo Waqt Din Konsa hai Jab Shabaan Me Naam E Amal Uthaye Jaate Hai ? Iski Rehnumai Bhi Hadees E Paak Se Milti Hai. NISF E SHABAAN 15wi Raat Shabaan Ki ALLAH TAALA KI KHAS REHMAT BANDO KI TARAF MUTWAZZE HOTI HAI Hadees 02 :
Hazrat Ma’az Bin Jabal Raziallah anhu Nabi E Karim Se Riwayat Karte Hai Ke Aap Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
References :
(Sahih ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed ki bunyaad Pe SAHIH hai.
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36,  Hadees :6776) (Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05,  Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)
Imam Ibn Hibban Ne Yahan sarahat Kay ek saath Baab Kayam Kiya
SHABAN KI 15wi Shab ALLAH Taala Ka Bando Ko Maaf Karne Ka Bayan
Scan Page
Imam Ibn Hajar Haythami  Shafai Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Imam Tabarani ne jo Ye Rivayat naql ki hai Mujam Al Kabeer Aur Mujam Al Awsat Me Ye Dono Rivayat kay raavi SIQAH hai”
(Majma Uz Zawaid, 08, Pg : 126, Hadees : 12860)
(Imam ibn Rajjab Hambali Lataif Al Marif Vol :01, Pg : 224)
Isko Sahih Kahte Hai
. Hadees 03 :  
“Abdullah ibn Amr ibn Al Aas Radiallah Anhu rivayat karte hai k Nabi ne Farmaya ALLAH Taala 15th Shaban ki Shab Par Nazre Karam Karta Hai Aur Apne Bando Ko Baksh Deta hai siwaye keena parwar aur naahaq qatl karne waalon ke
References :
(Musnad Ahmad Vol : 06, Hadees : 197 - 98, Hadees : 6642)
Ahmad Shakir SAHIH.
(Imam Hasan Al Khallal, Al Majalis Al Ashrah Vol : 01, Pg : 18, Hadees :02)
(Yahya Al Shajiri, Tarteeb Amali Al Khamesiyyah, Vol : 02, Pg : 48, Hadees : 1539)
(Naseerudin Albani Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol :03, Pg : 136)
Al Bazzar ne is hadees ko riyayat kiya aur hasan kaha
Shaykh Shuayb Arnaut Ne Hasan Li Ghairih
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg: 65)
Scan Page Musnad Ahmad




Hadees 04 :
“Hazrat Abu Baqar Siddique Radiallahu Se Rivayat Hai Nabi E Karim Ne Farmaya Jab Nisf E Shaban Ki Raat Aati Hai Allah Taala Aasman E Awwal Me Istawa Karta hai Aur Apne Bando Ki Magfirat Karta hai Siwaye Mushrik Aur Dilo Me Bugz Nafrat Rakhne Waalo Kay”
References :
(Imam Asim As Sunnah Vol : 01, Pg : 222, Hadees : 509)
YE Hadees Sahi Hai Front Cover As Sunnah




































(Imam Ibn Khuzayma Kitabut Tawheed Vol : 01, Pg :325,  Hadees : 48) (Imam Ibn Abi Dunya Fazail E Shahar Ramzan Hadees : 02)
(Imam Fakihi Al Akhbar Makkah Vol :03, Pg : 66, Hadees :1838)
(Imam Darqutni Al Nuzool Vol : 01, Pg :155, Hadees :75)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol :01, Pg : 157, Hadees :80 )
(Imam Maruzi Musnad Abu Baqr Siddique Vol : 01, Pg :171, Hadees :104)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 05, Pg : 357, Hadees : 3546)
(Imam Ibn Hazar Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 01, Pg : 125, Hadees : 12957)
Is Hadees Ko Hasan Kaha.
(Imam Ibn Hajar Asqalani Amal Al Mutlaqah Vol : 01, Pg :122)
Isko Hasan kaha.
Hadees  05 :  
Hazrat Abdullah Ibn Umar  Radiallahu anhu Se Riwayat Hai Ke Aap Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.
Reference :
(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Imam  Bayhaqi Sunan Al Kubra, Hadees : 6386 and Shu’ab, 3:342 #3711, 3713),
Issi Rivayat Ko Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Imam Ibn Asakir Ne Naql Kiya.
(Imam Daylami Musnad Al-Firdaws Vol :2 Pg : 311 Hadees : 2797 )
Scan Page


Hadees 06 :
Imam Muhammad Ibn Idrees Shafai Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ul Umm Me Likhte Hai
“05 Raat hai Jinme Duaye Kabool Hoti Hai Jumaah Ki Raat, Eid Ul Fitr Ki Raat, Eid Ul Azhaa Ki Raat, Razzab Ki Pahli Raat, NISF SHABAN (yaani 15wi raat)”
Reference :
(Kitab Ul Umm Vol : 02, Pg :485, Hadees : 482)
Imam Shafai Ek Baab Kayam Karte Hai LAYLATUL EIDAIN
Scan Page



(Imam Nawawi Ash Shafai Kitab Al Majmua Vol : 05, Pg : 50)
Me Likh Kay Is Raat Kayam Karne Ko Durust Farmaya. Aaj Log Kahte Hai EID bas Do hai Imam Shafai 05 05 Raat Ko EID kah rahe hain.
In Upar Karda SAHIH hadeeso Se ye maloom huwa Kay NISF SHABAN ki raat jisko Bakshish Magfirat Ki raat kahte hai SHABE BARAAT ki raat ALLAH Taala Apne Bando ki duaye Kabool karta hai magfirat karta hai Lihaja Ye raat Khaskar kay Kayam Karna Dua Karna Ibadat Me guzarna Kaise Biddat Hogaya ?
Isko Biddat Siwaye Kam Ilm Jaahil Insaan kay koi Musalman nahi kah sakta.
Hadees 07 :
Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha farmati hai k Rasool Allah ko Farmate Huwe Suna Hai ALLAH Tabarakwa'tala 04 raato me Khas Kar Bhalai Ka Darwaja Khol Deta Hai
01) Eid Ul Fitr
02) Eid Ul Azha
03) Shaban ki 15wi Raat Jisme Marne waalo K Naam Hai Karne Waalo K Naam Logo K Rizk Likhe Jaate Hai.
04) Yaum E Arfa Ki raat (Yaani 08 Aur 09 Zilhajja Ki Raat Se Fazr Tak) References : (Imam Jalaludin Suyuti Tafseer E Durre Mansoor Vol : 07, Pg : 302 print Darul Fikr Beirut)
Aur Is Tarah Ki Fazail E Shaban Aur Uski Darmiyani Raat Yaani NISF SHABAN Al Maroof Shabe Baraat Ki Rivayat Kam Az Kam 15 Sahaba E Kiram Se Marvi Hai Jo naa sirf is raat ki fazilat jaahir karti hai balki is hadees ko bhi MUTAWATIR tak pahuchati hai Aur Mutwatir Wo Rivayat Hoti hai jisko bade se bada Muhadis Aalim raddh nahi kar sakta. In tamam Rivayato Se Humne Saaf Saaf SHABAN KI 15wi Raat Ki Fazilat Saabit Ki Hai Aur Is raat ki fazilat kay tahet jo hadees e paak me aayi hai us lihajse Puri dunya kay Musalman raat ibadat me guzarte hai ab koi shaks sirf Apne So Called Saudi Yaa India Kay Wahabi Aalim Jo khud Ahle hadees kahe unhe Sune Aur In tamam Ahadees Ka Khula Raddh kare aur phir dawa ye kare kay wo sirf QURAN SAHIH hadees ko maanta hai amal karta hai, kisi Imam Ki nahi maanta Taqleed nahi karta to aap khud padhke faisla karen kay ye dawa uska sacch hai ye kitna bada jhooth hai aur musalmano ko gumraah karne ka kaisa tarika hai.
ALLAH TAALA IS FITNE SE MUSALMANO KI HIFAZAT KARE.

Next post 02 Niche Diye CLICK LINK Pe Padhe
01) NISF E SHABAN KI 15wi raat Naam E Amal Ka Band Hona Rooh Kay Kabz Hone, Rizq kay Dalail ?
02) Shabe barat ki Fazilat Aur Wo Kon Badnasim Hai Jinki Is Raat Bhi Magfirat Nahi Hoti ?
CLICK HERE TO READ POST 02
Post by Shaikh Sher Ali Hanfi (SHO) Please share to others Keep us Remember on your Prayer

11 comments:

  1. Is sabse 15 Shaban ki fazilat to pata chalti hai aur ibaadat bhi hum kabhi bhi Kar sakte Hain par aisa NAI pata chalta ki Hume is Raat jaag Kar ibaadat Karni Chahiye...

    ReplyDelete
  2. thik hai bhai , toh aap mat jaagna...hum toh jagege aur ibadat b karege

    ReplyDelete
  3. Haq Hai
    MASLAKE AALA HAZRAT ZINDABAD

    ReplyDelete
  4. Ya mere Molla aulma Aahle sunnat salamat rakhe

    ReplyDelete
  5. Hazart aur bhi hadees ap sunni hanfi page pe aplod krte raye
    Dil khush ho geya paidh

    ReplyDelete
  6. ماشا ء اللہ بھائی آپ کو اللہ سلامت رکھے اور آپ کے علم میں بے شمار اضافی کرے اور کچھ لوگ جو گمراہ ہیں انہیں ہدایت ملے آمیںن

    ReplyDelete
  7. Maslake Ala hazrat jinada baad

    ReplyDelete
  8. Alhumdulillah sunni page akhir kar mil hee gaya ♥️❤️♥️💐💐😊♥️

    ReplyDelete
  9. JazakAllah good work. Keep it up.

    ReplyDelete
  10. Assalamu Alaikum janab yeha bar shab e baraat ki rozo ki fazilat par koi haddis nahi hai agar ho sake to pls post zaroor kare

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers