Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday, 6 April 2017

Ilm e Gaib

1)      Pesh E Lafz
2)      Tamheed
3)      Ilm E Gaib Ka Maana
4)      Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda
5)      Zaati Aur Atai Ilm E Gaib
6)      Ilm Wa Gaib Ki Lugvi Aur Istelah Tareef
7)      Wahi k Iqsam


Pesh E Lafz

Tamam Taareef Khudawande Quddus K Liye Jisne Yeh Aalam Nabi Swallallahualaihiwasallam K Sadke Me Banaya Aur Hum Per Ehsaan Kiya K Humare Bich Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Maaboos Farmakar Aur Saath Hi Is Aalam Me Hume Paida Farmakar Nabi Swallallahualaihiwasallam Ka Ummati Banaya.
Khatme Nabuwat K Baad Allah Taala Ne Ummat K Darmayan Mujhtahid Ko Bheja Jo Nabi Swallallahualaihiwasallam K Sunnat Ko Zinda Karne Aaye Aur Saath Hi Ummat Me Auliya Allah Aaye Aur Inhe Alag Alag Martabo Se Jaana Jaata Hai Jaise Wali, Malang, Qutub, Abdal Wagaira.Yeh B Allah Taala Ki Nemat Hai Jo Usne Humare Bich Paida Farmaya Aur Iska Hum Hamesha Shukr Baja Laate Hai, Alhamdulillah.
Is Risale Ko Likhne Ka Maqsad Awaam K Ilm Me Izaafa Paida Karna Hai Aur Khususan Batana Maqsad Yeh Hai Ki Ahle Sunnat Wal Jamaat Sunni Hanfiyo Ka Aqeeda Quran O Hadees Se Qatan Bahar Nahi Aur Naahi Sharia K Khilaf Hai.

Tamheed

Allah Taala Ne Ambiya E Kram Alaihimussalam Ko Beshumar Chizo Se Nawaza Hai Aur Maojizat B Ataa Kiye , Ilm Ataa Kiye ,Gaib Ataa Kiye Aur Sabse Zyada Humare Aaka E Do Aalam Sarkar E Noor E Mujassam Mohammad Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ko Ataa Kiye,Aur Aapko Awwal Ta Akhir Ka B Ilm Ataa Kiya,Humare Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Tha K Yahudi Mein 71 Firqe Bane Aur Isai Mein 72 Firqe Aur Meri Ummat Mein 73 Firqe Banege (Hadees ) ,Ab Yeh Tamam Firqe Wujud Mein Aa Chuke Hai Aur Inme Aise Kai Firqe Hai Jo Nabi Swallallahualaihiwasallam K Ilmul Gaib Hone K Munkir B Hai,Hum Is Risale Me Quran O Hadees Wa Ullema K Aqwal Bayan Karege Jisse Yeh Tabke Yaani Firqe Ko Aqeeda Batil Saabit Hoga Aur Hum Sabke Ilm Mein Izaafa Hoga,Aameen.

   
Ilm E Gaib Ka Maana

Gaib Woh Chupi Hui Chiz Hai Jis Ko Insaan Na To Aankh, Kaan, Naak Wagera, Ya Kisi Hawaas Se Mehsoos Kar Sake, Aur Na Bila Daleel Aqal Main Aasake.
Jaise Khanon Ki Lazzaten (Taste), Aur In Ki Khushbu Wagera Hamare Liye Gaib Nahin, Q K Yeh Aankh Se Chupay Hone K Baawajood, Dusre Hawaas (Naak, Zabaan) Se Mehsoos Ki Ja Sakti Hain,

Ab Gaib Kya Hoga...

Jinnat, Malaika (Farishtey), Aur Jannat Aur Dozakh Wagera Hamare Liye Is Waqt Gaib Hain..
Q K Yeh Na Hawaas Se Maalooom Hosakte Hain, Aur Na Hi Bila Daleel E Aqal Se

Ab Gaib Hote Hain, 2 Tarah K.

1) Woh Gaib, Jis Par Koi Daleel Qaim Hosake, Yaani Dalael Se Maaloom Hosake
Jaise Jannat, Dozakh Aur Allah Ta'ala Ki Zaat O Siffaat K In Baaton Ka Andaza, Is Duniya Ki Cheezen Dekh K Aur Qura'ani Aayaat Dekh Kar Pata Chalta Hai

2) Dusra Gaib Woh Jis Ko Kisi Daleel Se Bhi Maaloom Na Kiya Ja Sake, Jaise Qayamat Ka Ilm, K Kab Hogi??, Insaan Kab Marega??, Aur Aurat K Pait Main Larka Hai Ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad Hai, Ya Naik Bakht (Naik) Aulaad, Yeh Woh Baaten Hain, Jin Ko Daleel Se Bhi Maaloom Nahin Kiya Ja Sakta...

Isi Dusrey Gaib Ko Mafateh-Ul-Gaib, Kaha Jata Hai..
Ek Aayat Hai Qura'an Ki (Parah#29, Surah#Jinn, Aayat#26,27)Uski Tafseer Bezaawi Main Is Hi Aayat K Tahet, Gaib Ki Kuch Yun Taareef Ki Gai Hai:

"Gaib Se Muraad Woh Chupi Huwi Cheez Hai, Jis Ko Hawaas Na Pa Saken Aur Na Badahatan Usko Aqal Chahe"

Tafseer Kabeer Surah Baqrah K Shuru Main Isi Aayat K Ma Tehet Hai:

"Aam Mufassareen Ka Qaul Hai, K Gaib Woh Hai, Jo Hawaas Se Chupa Ho, Phir Gaib Ki 2 Qismen Hoti Hai, Ek To Woh Jis Par Daleel Ho, Dusri Woh Jis Par Koi Daleel Nahin"

Tafsser Rooh Ul Bayaan Main Shuru Surah E Baqrah K Ma Tehet Hai:

"Gaib Woh Hai, Jo Hawaas Aur Aqal Se Poora Poora Chupa Ho, Is Tarah K Kisi Zariye Se Bhi Batada'an, Khullam Khulla Maaloom Na Hosake, Gaib Ki 2 Qismen Hain, Ek Woh Jis Par Koi Daleel Na Ho, Woh Hi Is Aayat Se Muraaad Hai, K Allah Ta'ala K Paas Gaib Ki Kunjiyaan (Chabiyaan) Hain, Dusri Qisam Woh Jis Par Daleel Qaim Ho, Jese Allah Ta'ala Aur Uski Sifaat, Woh Hi Is Jagah Muraad Hai"

Nabi Ka Maana: Gaib Ki Khabaar Dene Wala (Al Munjad Fil Lughata Wal Adab Wal Uloom, Beirut) 

                                                    Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda

Nabi Swallallahualaihiwasallam Ka Ilm E Gaib Ataai Hai Aur Jis Waqt Quran Ki Akhri Aayat Ka Nuzul Hui Us Waqt Aapko Mukammal Ilm Ataa Hogaya (Maakana Wa Mayakoon)
Hawala Muqalaat E Kazmi Safa 111 Jild 2 Pe Aur Safa 156 Haq PerKaun Hai.

Zaati Aur Ataai Ilm E Gaib

Zaati :- Allah Taala Ka Ilm Zaati Hai,Yaani Khud Ka Ilm,Use Kisi Ne Diya Nahi,Woh Apni Qudrat Se Har Chiz Karta Hai,Use Har Pal O Zarre Ki Khabar Pehle Se Hi Maalum Hai,Allah K Liye Gaib Kuch Nahi Yaani Allah K Liye Koi Chiz Chupi Hui Nahi Hai.

Ataai:- Allah Taala Ne Apne Ilm E Gaib Ko Makhlooq Me Ataa Kiya Aur Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Sabse Zyada Ka Ilm Ataa Hua,Yaani K Allah Se Ilm E Gaib Ataa Hua Hai,Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ka Jo Ilm E Gaib Hai Woh Allah Ki Ataa Se Hai,Khud Se Kuch Nahi Aur Allah Ne Kitna Ilm E Gaib Ataa Kiya Yeh Baat Toh Lauh E Mehfooz Ko B Khabar Nahi,Aap Swallallahualaihiwasallam Ko Allah Ne Bepanha Ilm Ataa Kiya Hai.Ataai Ilm Ki Dalil Surah Al Baqrah Aayat No.255 Jiska Tarjuma Hai “Aur Woh Nahi Paate Uske Ilm Mein Se Magar Jitna Woh Chahe”.

Toh Pata Chala Ki Allah Taala Jitna Chahe Utna Ilm Apne Se Ataa Karta Hai.
  

Ilm Wa Gaib Ki Lugvi Aur Istelah Tareef Ilm

Ilm Ki Lughvi Tareef

“Ilm Arbi Zaban Ka Lafz Hai,Fani Taur Per Yeh Baab “Aalemey Ya’alamu” Se Masdar Hai Aur “Ain” Laam” “Meem” Iska Maadah Shuru Hai. Issey “Taf’eelu” K Wazan Per Taalim Aur Tafa’ool K Wazan Per “Ta’allum” Aaya Hai Isi Maadey Se Aleem Aur Allaam Bataur E Mubalga Aur Ism Fa’il Alam Ek Alfaz Quran Majeed Me Aye Hai.”Ma’alum Isme Mafa’ul Jiski Jama’a “Maalumat” Hai Bhi Isi Se Mushtak Hai, Al Munjid Me Lafz E Ilm Ka Maani “Idrakush Shayyee Behaqeeqatehi” (Kisi Shay Ki Haqeeqat Ko Jaan Lena)Aur “Al Yaqeenu Wal Ma’rifatu” (Yaqeen Aur Aur Marifat) Mazkoor Hai.Urdu Me Lafz Ilm Ka Tarjuma “Janna , Wakifat , Aagahi Hasil Karna” Kiya Gaya Hai,Ilm Ki Zadd “Jahal” Hai.

Ilm Ki Istelahi Tareef 

Ahle Ilm Wa Fann K Darmayan Ilm Ki Tareef K Baarey Me Khasa Fakhri Wa Nazri Ikhtilaf Paya Jaata Hai.
Imam Mausuf Ki Raye Yeh Hai Ilm Ka Lafz Bizzat E Khud Itna Wazeh Hai K Koi Dusra Lafzz Iski Tareef Nahi Karsakta,Apne Nuqta Nazar Ki Mazeed Wazahat Karte Hue Likhte Hai “Haqeeqat E Ilm Ka Tasawwur Az Khud Itna Wazeh Aur Roshan Hai K Is Ki Pehchan K Liye Tareef Ki Zarurat Nai. (Tafseer E Kabeer JIld 2 Safa 203)

Imam Ragib Asfhani Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Kisi Shaye Ko Is Ki Haqeeqat K Hawale Se Jaan Lena Ilm Hai” (Al Mufradat : Safa 343)

Imam Ashari Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Kisi Shaye Ko Is Haqeeqat K Hawale Se Jisper Qayam Hai Jaan Lena Ilm Hai” (Ba Hawala Dayrah Ma’rif Islamiyah Jild 13 Safa 445)

Imam Ghazali Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Kisi Shaye Ko Is Haqeeqat Kay Hawale Se Jisper Wah Qayam Ho Pehchan Lena Ilm Hai” (Al Msutasfa : Jild 1: Safa 24)

Imam Jurjani Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Ilm Wah Pukhta Aitkaad Hai Jo Waqa’a K Ain Mutabik Ho” (At Tarifiyat : Safa 200)

Imam Ibn Hajam Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Kisi Shaye Ki Is Haqeeqat Per Yaqeen Karlena Ilm Hai Jisper Wah Qayam Ho”. (Al Ehkam Fi Usool Al Ehkam : Jild 1 : Safa 36)

Gaib

Gaib Ki Lughvi Tareef

“Gaib ““Gaab” “Yagib”Se Masdar Hai,Jo Chiz Aankho Se Makhfee Ho Gaib Kehlati Hai.

Imam Ibn Manzur Radialla Taala Anhu Gaib K Tahet Likhte Hai “Jo Chiz Tumse Gayab Ho Wah Gaib Hai
Imam Abu Ishaq Ne “Yumeenun Bilgaib” Ki Tafseer Me Kaha Hai Jo Chiz Mutaqeen Se Gayab Thi Aur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Inko Iski Khabar Di Wah Gaib Hai Jaise Marne K Baad Uthna,Jannat,Dozakh Aur Har Wah Chizein Jo Inse Gayab Thi Aur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Inko Iski Khabar Di Wah Gaib Hai. (Lisan Ul Arab Jild 1 Safa 654)

Aur Imam Ibn Manzur Radialla Taala Anhu Ibn Al Arabi K Hawale Se Gaib K Maani K Bare Me Mazeed Likhte Hai “Aur Wah Chiz Bhi Gaib Hi Hai Jo Ankhon Se Toh Gaib Ho Magar Dilo Me Maujud Ho” (Lisan Ul Mizan : Jild 1 : Safa 654)

Imam Qurtabi Radialla Taala Anhu Gaib Ki Lughvi Tareef In Alfazo Me Likhte Hai “Mahavrah Arab Me Gaib Wah Hai Jo Aap Ki Nazro Se Poshida Ho,Jab Suraj Gurub Hojaata Hai Toh Kehte Hai “Gabat Asshams” Aur Gaybat Ka Maani Toh Ma’arif Hai (Yaani Kisi Ki Gair Maujudgi Me Iski Aib Goi Karna)Aur Jab Kisi Aurat Ka Shohar Gayab Hojaaye Toh Kaha Jaata Hai “Agabat Al Maraat” Wah Aurat “Mugaybah” Kehlati Hai, Aur Hum “Geebat Wa Gaybeh” Me Girgaye Se Murad Hai K Hum Ghaddhe Me Girgaye Aur “Al Gayabah” Darakhto K Jhund Ko Kaha Jaata Hai Kyukay Isme Ek Jagah Kaafi Darhakt Jama Hote Hai Jinke Andar Chupa Jasakta Hai Aur Pastt Zameen Ko “Algaib” Kaha Jaata Hai Kyukay Zameen Ka Yeh Hissa Nazar Se Poshida Hota Hai” (Al Jamia Al Ehkam Al Quran : Jild 1 : Safa 163)

Gaib Ki Istelah Tareef

Imam Ragib Asfahani Radialla Taala Anhu Gaib Ki Istelahi Tarif In Alfazo Me Karte Hai “Gaib Wah Hota Hai Jo Hawaas Khamsa Me Na Aasake Aur Naahi Aqal Ki Tezi Iska Idrak Kar Sake Aur Wah Sirf Ambiya Alaihissalam Ki Khabar Se Malum Ho (Al Mufradat Fi Garib Ul Quran Safa 367)

Qazi Nasiruddin Bezawi Gaib Ka Mehfum Yun Bayan Karte Hai “Gaib Se Murad Har Wah Makhfi Shaye Hai Jiska Idrak Na Toh Hawaas Kar Sake Aur Naahi Wah Aqal Ki Saree Alfehmi K Dayre Me Aasake (Anwar E Tanzeel : Jild 1 : Safa 28)

Imam Fakhruddin Razi Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Gaib Wah Hai Jo Hawaas Se Gayab Ho” (Tafseer Ul Kabeer : Jild 2 : Safa 27)

Allama Zamakhshari Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Gaib Se Murad Wah Makhfee Chiz Hai Jiski Ibteda Ka Sirf ALLAH Taala Ko Ilm Hota Hai Aur Hume Isme Se Sirf Inhi Chizon Ka Ilm Hota Hai Jinka ALLAH Taala Ne Hume Ilm Diya Hai Ya Jin K Ilm Per Daleel Qaim Farmai Hai (Al Kashaaf : Jild 1 : Safa 39)

Imam Qurtabi Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Gaib Wah Sab Kuch Hai Jiski Khabar Rasul Swallallahualaihiwasallam Ne Di In Umoor Me Se Jin Tak Aqal Raah Yaab Nahi Ho Sakti Yaani Alamat E Qayamat , Azaab E Qabr , Hashr Nashr , Pul Siraat,Meezan,Jannat Aur Dozakh” (Al Jamia Al Ehkam Al Quran : Jild 1 : Safa 163)

Imam Nasafi Radialla Taala Anhu “Yu Minuna Bilgaib” K Tafseer Me Gaib Ka Mehfum Yun Bayan Karte Hai “Gaib Se Murad Wah Umoor Hai Jo Muttakin Ki Nazro Se Poshida The Aur Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Inhe In Umoor Ki Khabar Di Jaise Marne K Baad Uthaya Jaana,Hashr Nashr , Hisaab Aur Digar Umoor E Gaibiya”(Madarik : Jild 1 : Safa 13)

Shaikh Ismail Haqqi Radialla Taala Anhu Likhte Hai “Gaib Se Murad Wah Umoor Hai Jo Hawaas Aur Aqal Se Mukammal Taur Per Istarah Poshidah Ho K Ibteda Ann Badhi’ee Taur Per Inka Idrak Kisi Ko Na Hosake”(Tafseer Rooh Ul Bayan : Jild 1 : Safa 32) 

Qaazi Sanaullah Panipati Rahimahullah Gaib Ka Mehfum Yun Bayan Karte Hai “Gaib Se Murad Wah Hai Jo Logo Ki Nazro Se Gayab Hai Jaise Zaat Wa Sifaat Baari Taala,Malaika,Jinnat,Dozakh,Pul Sirat,Meezan,Azaab E Qabr,Aur Isi Tarah K Deegar Umoor” (Tafseer Mazhari : Jild 1 : Safa 20)

Yeh Tamam Lughvi Aur Istelahi Tareef Tamam Deobandi Aur Wahbi K Muh Per Tamacha Hai aur Jo Logo Apni Zidd Se Yeh Kehte Firte Hai K Ilm E Gaib Sirf Zaati Hota Hai Jabke Salaf Ne Apni Apni Kitabo me Kuch Aur Hi Likha Hai.



Wahi k Iqsam

Wahi Kisey kehte hai ?

Ilm e gaib nabuwat ka khasa hai aur nabuwat aur risalat ki buniyad hai , ilm e gaib ka sar chashma wahi e ilahi hai aur nabi gaib per wahi k zariye matlaa hote hai,yaha zaruri malum hota hai k wahi ka maani wa mehfum aur nuzul wahi ki mukhtalif soorton ko samaj liya jaye.

Wahi ka lugvi maana

Lugvi aitbaar se wahi k mukhtalif maani hai jinhe arbi lughaat lisan ul arab , al qamoos ,muhit al muhit ,al mufradat aur al munjid wagaira me dekha jaa sakta hai aur inme se chand maani yeh hai
1) Tez ishara karna 
2) Likhna 
3) Paigam dena 
4) Ahista bolna 
5) Baat dil me daalna 
6) Har wah baat jo aap dusre k dil me muntakhil k wah isey jaan le

Yeh tamam maani quran wa hadees aur qalam wa mahavra e arab se sabit hai,Quran majeed me is lafz ka zyada istemal “ilqa” k maani me hua hai.

Wahi ka Istelahi Maana

Istelah sharia me wahi se murad ALLAH taala ka apne kisi muntakhib wa muqarrab bande hai yaani nabi ko aisi mehfuz tareeqe se ilm wa hidayat ataa karna jo insane ki nafsi aur kasbi istedad se bahar ho.

Imam Ibn Hajar Asqalani radialla taala anhu wahi ki tareef yun karte hai “ALLAH taala ka shariat ka ilm ataa kardena kehlata hai” Fath ul Bari Jild 1 Safa 9

Imam Qastalani radialla taala anhu wahi ki tareef yun karte hai “ALLAH taala ka apne ambiya Alaihissalam ko kisi baat per matlaa karna khwa wa kitab ya farishta k zariye ho ya khwab aur ilham ki soorat me. Irshad us saari Jild 1 Safa 48

Imam Badrudden aini radialla taala anhu likhte hai “ALLAH taala ka wah qalam jo isne apne barguzida ambiya me se kisi per nazil kiya ho. Umtadul Qari Jild 1 Safa 14

Allama Mohammad Abdul Azeem Zarqani Rahimahullah likhte hai “wahi yeh hai k ALLAH taala apne muntakhib bando ko hidayat wa ilm k in gosho per matlaa farmade jinki itlaa wah inhe dena chahe magar posheeda tez tareeqe se jo aadatan insaano me nahi hota” Al manahil al irfan Jild 1 Safa 92

Allama rasheed razavi likhte hai “wahi wah ilm hai jo kisi shaks ko is yaqeen k saath hasil ho k yeh ALLAH taala ki taraf se hai khwa waasta k zariye hasil ho ya bil waasta” Al wahi Al mehmudi Safa 44

Dr Nuruddin atar likhte hai “ALLAH taala ka apne muntakhib bando ko khufiya aur tez waaste se matlaa karna wahi hai” uloom ul quran al karim Safa 55

In tamam tareefeen ka hasil qalam yeh hai wahi ek aisa gaibi zariya hai jiske baa’is bagair kisi gaur wa fikr k ,qasb wa nazr aur tajurba wa istedlal k ALLAH taala ki taraf se is k fazl khaas wahb e khalis taur per nabi per ilm k sarbasta khazano k darwaze khol diye jaate hai ,yeh ilm naa toh hawaas e khamsa zaahiri se hasil hota hai aur na toh yeh hawaas e khamsa batini ka mohtaj hai na iske husul me lataaif khamsa dhakil hota hai na kashf ka.

                                                                Wahi k Iqsaam

Qul 8 qism hai wahi ki

1) Khwab :

Ambiya k khwab hamesha sacche hote hai, hadees shareef se sabit hai. Hadees : Rasul ALLAH swallallahualaihiwasallam per wahi ka aaghaaz jis chiz se hua wah sacche khwab the Huzur Swallallahualaihiwasallam khwab me raat ko jo kuch dekhte iski taabeer din ko subah k ujaale ki tarah saamne aajati. Sahi Bukhari Jild 1 Safa 2 Baab Wahi Ambiya e Kram ka khwab wahi hota hai. Sahi Bukhari Jild 1 Safa 25 Kitab al Wudu

2) Ilqa fi qalb (Dil me Daaldena)

Wahi ki Dsuri soorat ilqa fi qalb hai yaani farishta huzur Swallallahualaihiwasallam k qalb anwar me jaagte me koi baat ilqa kardeta hai jaisa Imam Jalaluddin suyuti radialla taala anhu ne likha hai “wahi ki dusri qism aap Swallallahualaihiwasallam k dil per qalam ilqa kiya jaana hai jaisa hai k huzur Swallallahualaihiwasallam ka farman hai rooh ul quddus mere dil per qalam ilqa karta hai” al itqan fi uloomil quran Jild 1 Safa 44

3) Ghanti ki Misl Aawaz

Hazrat Aisha Radialla taala anha farmati hai haris bin hissham ne arz kiya k ya rasul ALLAH aap k paas wahi kaise aati hai? aapne farmaya. Kabhi kabhi mere paas ghanti ki Aawaz ki tarah wahi aati hai aur wah mujh per zyada sakht hoti hai phir wah mujhse judaa hojati hai yaha tak k me isko yaad karleta hu. Sahi Bukhari Jild 1 Hadees 2

4) Farishte ka aadmi ki shakal me aana

“NABI Swallallahualaihiwasallam ne farmaya k basawqaat farishta mere saamne aadmi ki shakal me aata hai wah mujhse se qalam (wahi) karta hai aur jo wah kehta hai me yaad karleta hu” Sahi Bukhari 

5) ALLAH taala ka bila waasta (parde k piche se )wahi farmana

Tarjuma : aur ALLAH taala ne moosa Alaihissalam se qalam farmaya , Surah Nisa Aayat 164
Imam Ibn Qayyum likhte hai “wahi ki yeh soorat Hazrat moosa Alaihissalam k liye nass qurani qati se taur per sabit hai ,lekin nabi e karim Swallallahualaihiwasallam k liye iska saboot meraj ki hadees me hai” Zaad al maad Jild 1 Safa 80

6) Farishte ka apni asli soorat me zaahir hona

Wahi e ilahi ki ek soorat yeh hoti thi k farishta (Hazrat Jibrael Alaihissalam) apni asli soorat me dikhte the aur isi halat me wah ALLAH taala ka hasb mashiyat apki taraf wahi karte the.
Imam Ibn Qayyum jauzi likhte hai “Yeh soorat aapke saath 2 martaba pesh I Jiska zikr ALLAH taala ne Surah Najm me faramaya” Zaad al maad JIld 1 Safa 80

7) Shab e Meraj ki wahi

Shab e meraj ki wahi ka zikr karte hue Imam Ibn qayyum wahi e ilahi ki ek soorat in alfaz me likhte hai “wahi e ilahi ki ek wah wahi hai jo ALLAH taala ne meraj ki raat aap Swallallahualaihiwasallam per namaz ki farziyat wagaira k silsile me farmai jab k aap aasmano k upar the” Zaad al maad Jild 1 Safa 80

8) ALLAH taala ka bila wasta wa bila hijab wahi

Wahi e Ilahi ki ek soorat yeh b hai k ALLAH taala ka bila wasta wa bila hijab wahi farmana , chunanche hadees me aata hai

Mishkaat Ul Masaajid Main Abdur Rehman Bin Aaish Se Riwaayat Hai:

Tarjuma: " Hum Ne Apne Rab Ko Achi Soorat Main Dekha, Rab Ta'ala Ne Apna Dast Qudrat Hamaray Seenay Par Rakha, Jis Ki Thandak Hum Ne Apne Qalb Main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen Ki Cheezon Ko Hum Ne Jaan Liya".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah Rab Ta'ala, Fi Nom, Jild#2, Page#51, Raqamul Hadees, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)


-Shaikh Mohammad Imran Saifi


3 comments:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers