Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 11 April 2017

Ilm E Gaib Ki Woh Hadees Jise Gustakh Ilm E Gaib Ki Nafi K Liye Dalil Lete Hai Aur Unke Jawabaat

Ilm E Gaib Ki Woh Hadees Jise Gustakh Ilm E Gaib Ki Nafi K Liye Dalil Lete Hai Aur Unke Jawabaat

Mukhalifeen Nafi E Ilm E Gaib K Liye Bahut Si Ahadees Pesh Karte Hai Unsabka Ijmali Jawaab Toh Yeh Hai Ki Un Ahadees Me Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Yeh Na Farmaya Ki Mujhe Rab Ne Fala Chiz Ka Ilm Na Diya Balki Kisi Me Toh Hai Allahu Aalam Kisi Me Hai Mujhe Kya Khabar.Kisi Me Hai Ki Fala Baat Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Na Batai.Kisi Me Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Fala Se Yeh Baat Puchi Aur Yeh Tamam Baate Ilm Ki Nafi Saabit Nahi Karti Na Batana Ya Puchna Ya Allahu Aalam Farmana Aur Bahut Si Maslehato’n Ki Wajah Se B Ho Sakta Hai.Bahut Si Baateln Khuda Ne Bande Ko Na Batai.Sawaal K Bawajood Makhfi(Chupaye) Rakha.Bahut Si Chizo’n K Muta’alik Parwardigar E Aalam Farishto’n Se Puchta Hai Kya Usko B Ilm Nahi.Ek Hadees Sahi Kataiyudhalaat Aisi Lao Jisme Ataai Ilm E Gaib Nafi Ho.Magar In Sha Allah Na Laa Sakege.Yeh Jawaab Nihayat Kaafi Tha Magar Fir B Unka Mashur Ahadees Arz Karke Jawaab Arz Karta Hu.

Wabillahittaufik.

Hadees # 1

Sahi Bukhari Jild 9 Hadees No. 477.

Hazrat Ayesha Radialla Taaa Anha Se Riwayat Hai Ki Jisne Kaha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Apne Rabb Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Jo Kahe K Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaib Jante Hai Toh Woh Jhuta Hai

Jawab:

Yeh Hadees Bilkul Sahi Hai Lekin Hadees Ko Samajna Padega.....

Is Hadees Me 2 Point Hai..

1) Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha.

2) Agar Koi Kahe Ki Nabi Sallallahualaihiwasaalm Ko Ilm E Gaib Hai Toh Woh Jhuta Hai...

Pehle Point Ka Jawab Hum Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jeelani Radialla Taala Anhu Se Samajte Hai.

Kitab Ka Naam Gunya Tut Talebeen

Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.

Safa No. 178 :

Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) Allah Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Aayat (Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dusri Martaba Dekha ,Surah Najam Aayat 13, Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.

Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad Swallallahualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.

Subhan Allah

Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Ko Har Tabka (Jamaat) Manti Hai Aur Yeh Aqeeda Rakhti Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Allah Taala K Wali Hai .

Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Waali Hadees Ka Jawab Dete Hai,

Safa 179 Per

Likhte Hai: “Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Nafi Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.

Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.

Scan Page Mulahiza Ho.

Front Cover

 Safa 178
 Safa 179

Ab Dusra Point

Dusre Point Ka Jawaab Yeh Hai Ki Hazrat Ayesha Ne Zaati Ilm E Gaib K Baare Kaha Hai Ki Agar Kisi Ne Kaha Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Khud Se Gaib Jaante Toh Woh Jhuta Hai...Q K Ilm E Gaib Khud Se Jaan Lena Sirf O Sirf Allah K Liye Hai Aur Allah K Ilawa Kisi K Liye Nahi Aur Ataai Ilm E Ghaib K Bare Humne Quran Shareef Ki Aayat Aur Ahadees E Mubaraka Pesh Kiye Aur Aage In Sha Allah Hum Imam K Aqwal B Pesh Karege.

Note: Hadees Kabhi Quran Shareef Se Takra Nahi Sakti Aur Yeh Hadees Sahi Hai Aur Quran Ki Woh Aayatein B Sahi Hai Jo Ataai Ilm E Gaib K Baare Batati Hai Jinka Zikr Pehle Kiya Gaya Hai.

Isliye Yeh Hadees Nabi Swallallahualaihiwasallam K Ilm E Gaib Ki Nafi Nahi Karti.

Isi Hadees Per Hum Ab Imam Ibn Hajar Asqalani Radialla Taala Anhu Ki Likhi Hui Sharah Sahi Bukhari Fatah Ul Bari Se Padhte Hai:

Tarjuma: Maruzi Rahimahullah Ne Imam Ahmed Bin Hanbal Radialla Taala Anhu Se Pucha K Log Kehte Hai K Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Ne Farmaya Hai K Jo Koi Tumhe Kahe K Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha Hai Toh Usne Allah Per Bohtan Bandha,Iska Jawab Kaise Diya Jaye,(Imam Ne Farmaya) Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam K Aapne Farman Se Jisme Inhone Farmaya Hai “Rayyat Rabbi”(Yaani Mene Rab Ko Dekha) , Yeh Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Qaul Ka Jawab Hai Kyukay Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam Ka Farma Dena Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Farmane Se Hazar Badarja Buland Hai.

Fatah Ul Bari Sharah Sahi Bukhari Jild 8 Safa 494.

Ab Imam Nawawi Rahimah Ullah Ka Jawab Padhte Hai Isi Hadees Per Sharah Sahi Muslim Kitab Al Iman 

Likhte Hai:

Jab Yeh Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Ki Sahi Hadees Se Saabit Ho Chukka Hai Toh Hum Yeh Nahi Soch Sakte K Yeh Inhone Apni Taraf Se Se Kaha Hoga,Yaqeenan Inhone Aap Swallallahualaihiwasallam Se Sunkar Farmaya Hai.Mamar Bin Rasheed Hazrat E Ayesha Aur Hazrat Ibn Abbas Rizwanallah Alaihim Ajmaen Ki Babat Farmate Hai K Yeh Ikhtilaf Is Wajah Se K Ayesha Radialla Taala Anha Issey Mukammal Taur Per Waqif Na Thi Jabke Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Mukammal Taur Per Jante The,Toh Agar Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Isko Saabit Karrahe Hai Aur Kuch Aur Log Iski Nafi Karrahe Hai Toh Yeh Sabik Ka Usool Hai K Woh Nafi Per Bhari Hota Hai.

Subhan Allah Sharah Se Haq Wazeh Hogaya.

Hadees # 2

Mishkat Baab Elaan Nikah Ki Pehli Hadees Hai Ki Huzur Swallallahualaihiwasallam Ek Nikah Me Tashreef Le Gaye Jaha’n Ansar Ki Kuch Bacchiya Daff Bajakar Jung E Badar K Maktuleen K Marsiya K Geet Gaane Lagi, Unme Se Kisi Ne Yeh Misra Padha “Wa Fina Nabiyun Yaalimu Ma Fi Gadeen”, Humme Aise Nabi Hai Jo Kal Ki Baat Jaante Hai Toh Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Ki Yeh Chod Do, Wahi Gaaye Jao Jo Pehle Gaa Rahi Thi.
Isse Maalum Hua Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Gaib Nahi Tha Agar Hota Toh Aap Inko Yeh Kehne Se Na Rokte, Sachhi Baat Se Kyo Roka???

Jawaab: 

Awwal Toh Gaur Karna Chahiye Ki Yeh Misra Khud Un Bacchiyo’n Ne Toh Banaya Hi Nahi,Q K Bacchiyo’n Ko Sher Banana Nahi Aata,Aur Kisi Kaafir Wa Mushrik Ne Banaya,Wa Huzur Swallallahualaihiwasallam Ki Nabi Nahi Mante The,La Muhala Yeh Kisi Sahabi Ka Sher Hai,Batao Wa Sher Banane Waale Sahabi Maz Allah Mushrik Hai Ya Nahi,Fir Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Na Toh Is Sher Banane Wale Ko Bura Kaha Na Sher Ki Majammat Ki Balki Usko Gaane Se Roka Q Roka? 4 Waja Se 

1) Agar Koi Humare Saamne Humari Taarif Kare Toh Bataur Inkisaar Kehte Hai, Are Miyan Yeh Baat Chodo, Wahi Baat Karo.Yaha B Inkisaar Hai. 

2) Yeh Ki Khel Kud Gaane Bajane K Darmiyan Naat K Ashaar Padhne Se Mumanat Farmai, Iske Liye Adab Chahiye. 

3) Yeh Ki Gaib Ki Nisbat Ko Apni Taraf Karne Ko Napasand Farmaya 

4) Yeh Ki Marsiya K Darmiyan Naat Hona A Pasand Farmaya, Jaisa Ki Aajkal Naat Khwa’n Karte Hai , Ki Naat Wa Marsiya Ko Milakar Padhte Hai.

Mirkaat Se Isi Hadees K Matahet Hai,

Mana Farmaya Ilm Ki Nisbat Apni Taraf Karne Ko Q Ki Ilm E Gaib Khuda K Siwa Koi Nahi Jaanta Aur Rasul Wahi Gaib Jaante Ha Jo Allah Bataye Ya Yeh Napasand Kiya Ki Aapka Zikr Daff Bajane Me Ya Maktulin K Marsiya K Darmiyan Kiya Jaye Q Ki Aapka Darja Issey Aala Hai.

Ashiyatullama’at Me Isi Hadees K Matahet Hai 

“Shareheen Ne Kaha Hai Ki Huzur Swallallahualaihiwasallam Ka Usko Mana Farmana Isliye Hai Ki Isme Ilm E Gaib Ki Nisbat Huzur Swallallahualaihiwasallam Ki Taraf Hai , Lihaja Aapko Napasand Aai Aur Kuch Ne Farmaya Ki Aapka Zikr Shareef Khel Kood Me Munasib Nahi.

Hadees # 3

Madina Paak Me Ansar Baago Me Nar Darakht Ki Shaak Mada Darakht Me Lagate The Taaki Fal Zyada De , Is Kaam Se Ansaar Ko Huzur Alaihissalam Ne Mana Farmaya(Is Kaam Ko Arbi Me Talkih Kehte Hai) Ansar Ne Talkih Chod Di , Khuda Ki Shaan Fal Ghat Gaye , Iski  Shikayat Sarkare Do Aalam Ki Khidmat Me Pesh Hui , Toh Farmaya Antum Aalamu Be Umure Duniyakum , Apne Duniyawi Mamlat Tum Khub Jaante Ho , Maalum Hua Ki Aapko Yeh Ilm Na Tha Ki Talkih Rokne Se Fal Ghatt  Jayege Aur Ansar Ka Ilm Aapse Zyada Saabit Hua.

Jawaab: 

Huzur Alaihissalam Ka Farman, Antum Aalamu Be Umure Duniyakum, Izhare Narazi Hai Ki Jab Tum Sabr Nahi Karte Toh Duniyawi Muamlaat Tum Jaano Jaise Hum Kisi Se Koi Baat Kahe Aur Wah Isme Kuch Ta’ammul Kare Toh Kehte Hai Bhai Tu Jaan! Isse Nafi Ilm Maksud Nahi.

Sharah Shifa Mulla Ali Qari “Bahse Maujizat” Me Farmate Hai.

Tarjuma : Allah Taala Ne Huzur Alaihissalam Ko Tamam Dini Wa Duniyawi Maslehato’n Per Muttala Farmane Se Khas Farmaya , Is Per Yeh Aitraaz Hai Ki Huzur Ne Ansar K Darakhto’n Ki Talkih Karte Hu Paya , Toh Farameina Ki Tum Isko Chod Dete Toh Accha Tha , Unhone Chod Diya Toh Kuch Fal Hi Na Aaya Ya Naakis Aaya Toh Farameina Ki Apne Duniyawi Mamlaat Tum Jaano , Shaikh Sanosi Ne Farmaya Ki Aapne Chaha Tha Ki Unko Khilafe Aadat Kam Karke Baabe Tawakkul Tak Pahucha Dein Unhone Na Mana Toh Farama Diya Ki Tum Jaano , Agar Woh Yeh Maan Jaate Aur Do Ek Saal Nuksan Bardasht Kar Lete Toh Is Mehnet Se Bach Jaate .

Mulla Ali Qari Isi Sharah Shifa Jild 2 Safa No. 238 Me Farmate Hai.

Agar Woh Hazrat Huzur K Farman Per Saabit Rehte Toh Is Fun Me Faukiyat Le Jaate Aur Un Se Talkih Ki Mehnat Dur Hojati.

“Faslul Khitab” Me Allama Kaisari Se Nakal Farmaya.

Huzur Alaihissalam Ke Ilm Se Zamin Wa Aasman Me Zarra Bhar Chiz B Poshida Nahi, Agarche Aap Farmate The Ki Duniyawi Kaam Tum Jaano.Hazrat Yusuf Alaihissalam Ne Kabhi Kashtkari Na Ki Thi Aur Na Kashtkaro’n Ki Sohbat Haasil Ki Magar Zaman E Kaht Aane Se Pehle Hukum Diya Ki Galla Khub Kasht Karo Aur Farmaya “Fama Hasadtum Fajruhu Fi Sumbulehi”, Ki Jo Kuch Kaato’n Usko Baal Hi Me Rehne Do Yaani Gehu Ki Hifazat Ka Tarika Sikhaya, Aaj Bhi Galla Ko Bhuse Me Rakh Kar Uski Hifazat Karte Hai Unko Kheti Baadi Ka Khufiya Raaj Kis Tarah Maalum Hua? Aur Farameina “Ijalni Ala Khazainul-Arze Inni Hafizun Aalim”, Mujhko Ko Zameen K Khazino Per Mukarar Kardo Me Iska Muhafiz Aur Har Kaam Janne Wala Hu, Yeh Mulki Intezaam Wagairah Kis Se Sikhe? Toh Kya Huzur Alaihissalam Ki Danai Aur Huzur Ka Ilm Hazrat Yusuf Alaihissalam Se Bhi Kam Hai (Maz Allah)

Hadees # 4

Hadees Shareef Me Hai Ki Huazur Alaihissalam Ne Kuch Biwiyo’n K Ghar Shahad Mulahiza Farmaya Us Per Hazrat Aisha Ne Arz Kiya Ki Ya Habib Allah Aapke Dahen Paak Se Magaafir Ki Buu Aa Rahi Hai Toh Farmaya Ki Humne Magaafir Nahi Istemal Farmaya, Shahad Piya Hai, Fir Huzur Ne Apne Per Shahad Haram Karliya, Jis Per Yeh Aayat Utri “Lema Tuhirrimu Ma Allahu Laka” Maalum Hua Ki Aapko Apne Dahan Paak Ki Buu Ka B Ilm Na Tha Ki Isse Buu Aa Rahi Hai Ya Nahi .

Jawaab: 

Iska Jawaab Isi Aayat Me Hai “Tabatgi Marjaata Azwazika” A Habib Yeh Haram Farmana Aapki Bekhabri Se Nahi Balki Un Mautreej Ajwaaj Ki Raza K Liye Hai, Fir Apne Muh Ki Buu Gaib Nahi Mehsus Chiz Hai Har Sahi Buu Dimag Mehsus Kar Leta Hai Kya Badmazhab Ambiya K Hawaas Ko Bhi Naakis Manne Lage Hai.

Hadees # 5

Agar Huzur Alaihissalam Ko Ilm E Gaib Tha Toh Bire Mauna Ke Munafikeen Dhoke Se Aap Se 70 Sahaba E Ikram Kyo’ N Le Gaye?? Jinhe Waha Le Jaakar Shahid Kar Diya , Is Aafat Me Unhe Huzur Alaihissalam Ne Kyo’n Fasaya??

Jawaab: 

Ji Ha Huzur Alaihissalam Ko Yeh Bhi Khabar Thi Ki Bire Mauna Wale Munafikeen Hai Aur Yeh Bhi Khabar Thi Ki Yeh Log In 70 Sahaba Ko Shaheed Kar Denge, Magar Saath Hi Yeh Bhi Khabar Thi Marzi E Ilahi Yehi Hai Aur Un 70 Ki Shahadat Ka Waqt Aagaya Hai , Yeh Bhi Jaante The Ki Rab Taala Ki Raza Per Raazi Rehna Bande Ki Shaan Hai , Ibrahim Alaihissalam Toh Marzi E Ilahi Paakar Farzand Per Churi Le Kar Tayar Ho Gaye , Kya Yeh Begunah Per Zulm Tha?? Balki Rajaye Maula Per Raazi Thi , Accha Batao Rab Taala Ko Toh Khabar Thi Ki Ghosht Me Zaher Hai , Aur Bire Mauna Waale Un 70 Ko Shaheed Kar Denge “Wahi” Bhej Kar Kyo’n Na Rok Diya , Allah Taala Samaj De.

Hadees # 6

Hazrat Siddikatul Kubra Ka Haar Ghul Ho Gaya , Jagah Jagah Talash Karaya Gaya Na Mila , Fir Oont K Niche Se Baramad Hua , Agar Huzur Alaihissalam Ki Ilm Tha Toh Logo’n Ko Usi Waqt Kyo’n Na Bata Diya Ki Haar Waha Hai , Maalum Hua Ki Ilm Na Tha .

Jawaab : 

Is Hadees Se Na Baatana Maalum Hua Na Ki Na Janna Aur Na Batane Se Sekdo’n Hikmate Hoti Toh Kuch Hazrat Ne Chand Ke Ghatne Badne Ka Sabab Daryaft Kiya , Rab Taala Ne Na Bataya , Toh Kya Khuda E Paak Ko Bhi Ilm Nahi ?? Marzi Ilahi Yeh Thi , Ki Siddika Ka Haar Ghum Ho , Musalmaan Uski Talaash Me Yaha Ruk Jaaye , Zohar Ka Waqt Aajaye Paani Na Mile , Tab Huzur Alaihissalam Se Arz Kiya Jaaye Ki Ab Kya Kare Tab Yeh Aayatein Tayammum Naazil Ho Jisse Hazrat Siddika Ki Azmat Qayamat Tak K Musalmaan Maalum Kar Le Ki Unke Tufail Humko Tayammum Ka Hukum Mila , Agar Usi Waqt Haar Bata Diya Jaata Toh Aayat Tayammum Kyo’n Naazil Hoti , Rab K Kaam Asbaab Se Hote Hai , Ta’ajub Hota Hai Hai Ki Jo Aankh Qayamat Tak Ke Haalat Ko Mushahda Kare Usse Oont Ke Niche Ki Chizen Kis Tarah Makhfi(Chupi) Hai , Shaane Mehboob Alaihissalam Pehchanne Ki Khuda Taufik De .

Hadees # 7

Gustakhon Ka Kehna Hai Ki Agar Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Gaib Tha Toh Unhone Khaibar Me Zaher Wala Ghost Q Khaya????? Aur Ilm E Gaib Hote Hue Zaher Wala Ghost Khaya Iska Matlab Ki Aapne Khudkushi Karne Ki Koshish Ki Jo Islam Me Haram Hai Aur Haram Kaamo Se Nabi Pakeeza Hai.

Jawaab: 

Us Waqt Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Khabar Thi K Us Ghost Me Zaher Hai Aur Saath Hi Yeh B Khabar Thi K Zaher Se Un Per Koi Farq Nahi Padega Allah Ki Ataa Se Aur Saath Hi Yeh B Pata Tha Ki Allah Ki Marzi Se Agar Woh Ghost Khakar Inteqaal Hojate Toh Unhe Shaheed Ka Maqaam Milta.

Yeh Jawaab K Baat Badmazhab Likhte Hai Ki “Un Sahaba E Kram Ka Kya Jo Us Waqt Maujud The Aur Zaher Wala Ghosht Khakar Inteqaal Hogaye??? Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Pata Tha Toh Unhe Zaher Wala Ghosht Khaane Diya???

Is Per Humara Jawaab Ahadees Se:

Abu Dawud, Al-Darimi Aur Ibn Hisham Likhte Hai “Ghosht Ne Khud Nabi Swallallahualaihiwasallam Se Kaha Ki Usme Zaher Mila Hua Hai Aur Sahabi “Bishr Bin Al-Bara' Bin Ma'rur Al-Ansari (Radialla Taala Anhu)” Ne Ghosht Kha Liya Aur Inteqaal Hogaye. Agar Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Pehle Se Khabar Hoti Toh Woh Sahaba Ko Ghosht Khane Se Manaa Karte.Nabi Swallallahualaihiwasallam Ek Niwala Liya Aur Fir Muh Se Thuk Diya Aur Aapne Farmaya Ki “Ghosht Ne Mujhse Kaha Ki Usme Zaher Mila Hai” Lekin Jabtak Bishr As-Sahabi Ne Kha Liya Aur Inteqaal Hogaye . Imam Nawwawi (Rehmatullah Alaih) Ne Kaha Ki Yeh Ek Mu’jizat Me Se Hai.

Aur Jaankari K Liye Internet Pe Aap Log Check Kar Sakte Hai Ki Yahood O Nasara Aur Isaai Ne B Yehi Sawaal Kiye Hai Jo Yeh Badmazhab Karte Hai.
Nabi Swallallahualaiwasallam Ne Zaher Wala Ghosht Khaya Q K Yahudi Ne Kaha “إنكاننبيافلايضره” Agar Yeh Asal Nabi Hai Toh In Per Zaher Ka Asar Nahi Hoga.(Swallallahualaihiwasallam)

[Mishkat Al Masabih, Bab Al- Mawjizat)

Badmazhab Ko Sochna Chahiye Ki Yahudi Or Isaai Ne Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ko Aazmeina Hai K Zaher Asar Karega Ki Nahi Aur Isliye Humare Sarkar Ne Yeh Mujizat Dikhaya.
Sahaba E Kram Ka Inteqaal Hogaya Q K Zaher Un Pe Asar Karta Hai Jo Nabi Nahi.

Badmazhab Ne Is Mujizat Me Yeh Note Nahi Ki Jisne Humare Sarakar Swallallahualaihiwasallam Ko Aazmaya Unhone Is K Baad Imaan Laaye Aur Islam Qabul Kiya. 

[Al Bidaya Wan Nihaya, Vol 3,P 388]

Badmazhab Ne Hamesha Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam K Ilm E Gaib Ko Jhutlaya Aur Yehi Saabit Karte Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Gaib Nahi(Maz Allah)

Hadees # 8

Bukhair Jild 1 Kitabul Janaiz Safa No. 166 , Me Hazrat Ummul-Ula Ki Riwayat Hai ,Khuda Ki Qasam Me Nahi Jaanta Haalaki Me Allah Ka Rasul Hu Ki Mere Saath Kiya Jayega.
Isse Maalum Hua Ki Huzur Alaihissalam Ko Apni Bhi Khabar Na Thi Ki Qayamat Me Mujh Se Kya Mamla Hoga 

Jawaab: 

Is Jagah Ilm Ki Nafi Nahi Balki Diraytan Ki Nafi Hai Yaani Me Apne Atkal Wa Qyas Se Nahi Jaanta Ke Mere Saath Kya Mamla Hoga Balki Iska Ta’akkul Wahi E Ilahi Se Hai Toh A Ummul-Ula Tum Jo Usman Ibne Majun Ke Jannati Hone Ki Gawahi Mahaz Qyas Se De Rahi Ho Yeh Mautbaar Nahi.

Isi Gaib Ki Khabre Me Toh Ambiya E Kram Bhi Qayas Nahi Farmate, Warna Mishkat “Babu Fazail Dayyadul-Muslimeen” Me Hai Ki Hum Aulade Aadam K Sardar Hai Us Roz “Liwa-Ul-Hamd” Humare Haath Me Hoga Aadam Wa Aadmiyan Humare Jhande Ke Niche Honge Unki Mutabik Kis Tarah Ki Jayegi.

-shaikh mohammad imran saifi

Ilm E Gaib Aur Aimma E Muhaddiseen wa Mufassireen
http://786sho.blogspot.in/2017/04/ilm-e-gaib-aur-aimma-e-muhaddiseen-wa.html

11 comments:

  1. Masahallah bhai...best article...
    but ek doubt hai plz clear kare...

    is hadees ka full reference chahiye..
    means sahih bukhari me konsi baab ?? hadees number ??? jo apne hadees numberdiya hai wo vol 9 ke mutabik hai ,,but har kisi ke pass 9 vol me bukhari nahi hoti hai...plz full reference de..


    Sahi Bukhari Jild 9 Hadees No. 477.

    Hazrat Ayesha Radialla Taaa Anha Se Riwayat Hai Ki Jisne Kaha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Apne Rabb Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Jo Kahe K Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaib Jante Hai Toh Woh Jhuta Hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. (English) reference : Vol. 6, Book 60, Hadith 378
      Arabic reference : Book 65, Hadith 4855

      Kitabut Tafseer ; Sahi Bukhari

      Delete
    2. great post mujhe shab e barat k mutaliq janna hai with ref.

      Delete
    3. Right side me upar dekhiye likha hai
      Shabe baraat usme click kro milega
      http://786sho.blogspot.in/2016/05/shaban-shabe-baraat-ki-hakikat.html?m=1


      https://786sho.blogspot.in/search/label/shabe%20baraat%20kay%20roze?m=1

      http://786sho.blogspot.in/2017/05/shabe-baraat-shabaan-ki-hakeekat.html?m=1

      Delete
  2. assalamualaikum, janab mujhe hifzul imman ka safa number 8 ka scan page chahiye,
    najdi wahabde ke muh par marana hey,.
    mohsinalisaiyed24@gmail.com

    ReplyDelete
  3. Bhai jo ahadees number 7 mai mishkat ka hawala diya hai uski scan ki zarurat hai send krdo pls wahabi ko dena hai jldi

    ReplyDelete
  4. Assalamualaikum .

    Iss hadees ki Muhaddisin se Sharah bataye plssssssssss baht log isse bhatakrahe hai...


    Assalamualaikum


    Hazrat...ek hadees se *Hazir Nazir* aur *Har* Chiz ke gaib ki nafi karte hai.



    Kayamat k din Kuch Log Aayenge Aur Farsihtey Unhe Dhakka Dekar Houje Kausar Se Door Hakalenge!..
    Mai Kahunga Ke – “Ye Mere Ummati Hai Farishto Inhe Aane Do!!”
    Tou Farishtey Kahenge Ke – “Allah Ke Rasool (ﷺ)! *Aapko Maloom Nahi*,..
    Inn Logon Ne Aapke Jaane Ke Baad Aapke Deen Me Biddate ijad Ki ,..
    ”Tou Rasool’Allah (ﷺ) Kahenge – “Door Le Jao ! Inko Meri Nazro Se Door Kardo ! Mere Jaane Ke Baad Ye Kaam Kiya Mere Deen Me,…
    Tou Hakaal Diye Jayenge Houze Kausar Se Aur Jahannum Raseed Kiye Jayenge…
    Yahi Unka Thikana Hoga,…
    – (Sahi Bukhari: Jild:3 Hadith No.1931 Bab: Fitno Ka Bayan)– English Ref (Sahih Bukhari Volume 009, Book 088, Hadith Number 173

    Isme likha h **Farishte Kehrahe hai Aye Nabi salalahu alahiwasalam Aapko nahi pata**

    ReplyDelete
  5. Ilm e Ghaib ka inkar koi nahi karta balke barelvio ko chod ke sabka yeh aqeedah he ke NABI ko
    un un bato ka ilm e ghaib tha jiska ALLAH ne btaya ye alag baat he ke barelvi bhi yehi kehte hen ke allah KI ATTA SE MILA he lekin wo kehte hen ALLAH ne ek bar me sara kuch btadiya he toh bhai phir NABI ko qamath ke din ka ilm nahi tha or ek sahih hadees he kuch logon ne dhoke se sahaba ko bulake katal kardiya puri hadees he me sirf refrence deraha hu agar NABI pata hota to kya ap sallahu alehi wasalam bhejte un sahaba ko jinhe dhoke se qatal kardiya gaya or bhi is trha ki hadeese hen or sabse badi baat agar ALLAH ne apko sara ghaib ka ilm ek dafa me dediya hota to phir Jibrael ke zariye wahi bhejne ki zarurat naa hoti qk wahi ka matlab hi yeh he ghaib ki khabar dena jo NABI ko naa pta ho baqi QURAN se or HADEES se jo log ILM GHAIB sabit karte hen usse sirf ilm e ghaib hona sabit hota he usko already sare maslak k log mante hen koi inkar nahi krskta per barelvio ka ye aqeedah galat he ke sara ek dafa me dediya tha to bhai phir btado jibrael kis liye aya karte thhe unhi bato ko dubara btane jo apko pele se pta hoti thin ye to ho nahi sakta yqinan or bhi hadeese hen aesi jisse ye sabit hota he ke sara kuch nahi pata hota tha NABI ko pele se balke kisi na kisi moqe par wahi nazil hoti thi tb pta chalta tha

    ReplyDelete
    Replies
    1. ALLAH kya nahi janta he ke uske farishte amal likne hen

      Delete
  6. MASLAKE ALA HAZRAT ZINDABAD

    ReplyDelete
  7. Bibi Aisha ki bat wajeh h
    Ki jo ilme gain nabi ko kahe aur kahe ki nabi ko dekha h
    Wo jhoota h
    Wajeh h sab kuch .

    Badbakht
    Abdul qadir jilani kya farmate wo bibi Aisha k bat k age kuch bhi nhi h.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers