Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday, 30 April 2017

Ilm E Ghaib Ke Khilaf Ibarat Fuqah Ke Bayan Mein

1) Fatwa Kaaji Khwa’n Me Hai

Tarjuma : “Kisi Ne Bagair Gawaho’n Ke Nikah Kiya Toh Mard Aur Aurat Ne Kaha Ki Humne Khuda Aur Rasul Ko Gawah Kiya , Toh Logo’n Ne Kaha Hai Ki Yeh Qaul Kufr Hai Kyo’n Ke Usne Etkad Kiya Ki Rasul Allah Alaihissalam Ghaib Jaante Hai , Halaki Aap Toh Ghaib Zindagi Me Na Jaante The Che Jaaye Ki Maut K Baad”

2) Sharah Fiqhe Akbar Me Mulla Ali Qari Alaihirrehma Farmate Hai.

Tarjuma: Hanfiyo’n Ne Sarahatan Zikr Kiya Ki Yeh Etkad Ki Nabi Alaihissalam Ghaib Jaante The Kufr Hai Kyo’nki Yeh Aqeeda Khudaye Paak K Us Farmaan Ke Khilaf Hai Ki “Farma Do Aasamano Aur Zameeno Ka Ghaib Khuda Ke Siwa Koi Nahi Jaanta”.

In Dono Ibarato’n Se Maalum Hua Ki Huzur Alaihissalam Ko Ilm E Ghaib Manna Kufr Hai .

Jawaab:

In Dono Ibarato’n Ka Ijmali Aur Iljami Jawaab Toh Yeh Hai Ki Mukhalifeen Bhi Huzur Alaihissalam Ko Kuch Ilm E Ghaib Maante Hai , Lihaja Woh Bhi Kaafir Hue Kyo’nki In Ibarato’n Me Qul Ya Thoda Ka Toh Zikr Nahi , Yeh Hai Ki Jo Bhi Huzur Ko Ilm E Ghaib Mane Woh Kaafir Hai , Khwa Ek Ka Maane Ya Zyada Ka , Toh Woh Bhi Khair Manaye , Maulvi Ashraf Ali Sahab Ne “Hifzul Imaan” Me Baccho,Paglo Aur Jaanwaro Ko Baaz Ilm E Ghaib Maana Hai , Maulvi Khalil Ahmed Sahab Ne “Barahine Fatiha” Me Shaitaan Aur Malaqul Maut Ko Wasi Ilm E Ghaib Mana , Maulana Qasim Sahab Ne “Tehzirunnas” Me Kamal Hi Kardiya Ki Saari Makhlukaat Se Huzur Alaihissalam Ka Ilm Zyada Mana , Ab In Teeno Saahbo’n Per Kya Hukum Lagaya Jayega??? Tafseeli Jawaab Yeh Hai Kaaji Kha’n Ki Ibaarat Me Hai “Qalu” Logo’n Ne Kaha Aur Kaaji Kha’n Wagaira Fuqha Ki Aadat Yeh Hai Ki Woh “Qalu” Us Jagah Bolte Hai Jaha’n Unko Yeh Qaul Pasand Na Ho .

Shaami Jild 5 Safa : 445 Me Hai.

Ek Shaks Ne Nikah Kiya Allah Wa Rasul Ki Gawahi Se
Toh Nahi Jaiz Hai Balki Kaha Gaya Ki Woh Kaafir Ho Jayega.

Is Ibaarat Ke Matahat Shaami Ne Tatar Khaniya Se Nakal Kiya,

Tarjuma: Mooltkit Me Hai Ki Woh Kaafir Na Hoga Kyo’nki Tamam Chizen Huzur Alaihissalam Ki Rooh Per Pesh Ki Jaati Hai Aur Rasul Baaz Ghaib Jaante Hai , Rab Nefarmaya Hai Ki Pas Nahi Zaahir Farmata Apne Ghaib Per Kisi Ko Siwaye Pasandida Rasul Ke , Me Kehta Hu Ki Qutube Aqaid Me Hai Ki Auliya Allah Ki Karamatme Se Baaz Ghaibo’n Per Muttla(Bakhabar) Hona Bhi Hai .

Shaami “Baabul-Murtdin” Me Masla Bajajiya Zikr Farma Kar Farmaya ,

Tarjuma: Iska Khulasa Yeh Hai Ki Daawa Ilm E Ghaib Nasse Qurani Ke Khilaf Hai Ki Isse Kaafir Ho Gaya , Magar Jabki Isko Sarahatan Ya Dalalatan Kisi Sabab Ki Taraf Nisbat Kar De , Jaise Wahi Ya Ilham.

Mujmeraat Me Hai Ki Sahih Yeh Hai Ki Woh Shaks Kaafir Na Hoga Kyo’nki Ambiya E Kiram Ghaib Jaante Hai Aur Un Per Chize’n Pesh Ki Jaati Hai Pas Yeh Kufr Na Hoga.

In Ibaarat Se Maalum Hua Ki Aqeeda E Ilm E Gaib Per Fatwa Kufr Lagana Galat Hai Balki Fuqha Ka Bhi Aqeeda Hai Ki Huzur Alaihissalam O Ilm E Ghaib Diya Gaya.

Mulla Ali Qari Ki Ibaarat Nakal Nahi Ki Gai , Asal Ibarat Yeh Jo Matlab Wazeh Karti Hai .

Tarjuma: Fir Jaano Ki Ambiya E Kiram Ghaib Ki Chizo’n Ko Nahi Jaante Siwaye Uske Jo Unko Allah Ne Bata Di Aur Hanfiyo’n Ne Tasreeh Ki Ke Jo Nabi Alaihissalam Ko Ilm E Ghaib Jaane.

Ab Pura Matlab Maalum Hua Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Ilm E Ghaib Zaati Manne Ko Mulla Ali Qari Kufr Farma Rahe Hai Na Ki Ataai , Kyo’nki Ataai Ko Toh Maan Rahe Hai , Aur Fir Unki Ibarate Hum Suboot Ilm E Ghaib Me Pesh Kar Chuke Hai , Ki Mulla Ali Qari Huzur Swallallahualaihiwasallam Ko Tamam “Ma Kaana Wa Meinakun” Ka Ilm Maante Hai.

shaikh mohammad imran saifi

1 comment:

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers